Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Alcohol / perfume (16 Questions)


Showing 0- 16 questions from 16 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
149
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: Salamulikum I just wana ask. Those perfumes which have made from Alchol is useable or not ? Plz try to give the answer as soon as possiable Thx you.

Answer: W.Salam
All kinds of Alchol in perfumes are allowed for use.
Ref:Jadeed Fiqhi Masail page no 62 Prob no 39

Print

Id:
258
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: salam ale kum, kya roze ki halat mei namaz e jumma mei atar lagana jaez hai.thanks

Answer: Salam un alaikum,
Itar ka lagana rozay ko batil nahi karta hay.
Ref: Mujtahid Se Pooche Gaye Sawalat (Roza) Ques No. 172

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
976
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: mujhe maloom kerna tha keh cents jin mein alchol denated mix hoti hai kya woh laga ker namazz perhi ja sakti hai

Answer: In ka Istemaal JAIZ hay.(means Namaz Sahih hay)Ref:Mujtahid say Poochay Gaey Sawalaat Book-4 Ques. No.45

Print

Id:
1298
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Perfume jis mai Alcohal hota hai, usko laga kar namaz/roza jaiz hai kay nahi?

Answer: Choonkay ye najis nahi hay lihaza inka istemal jaiz hay aur is kay saath namaz aur roza bhi sahi hay.Ref:Book-4 Q.No.45.

Print

Id:
1485
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Can u please give me detail about performing AQIQA?

Answer: Mustahib hai ke larkay ka aqiqa nar (male) janwar se kia jai,aur larki ka maada (female) janwar se kia jai. Aur wo janwar uyoob (faults) se saalim ho (means koi kharabi na ho) aur sehat-mand (mota taza) ho.Riwayat mein hai ke wo janwar Bakra ya Bakri ho aur us ka gosht (meat) us ke tamam jagho par charha huwa ho.Behtar yeh hai ke woh Bakra ya Bakri moti ho, aur (bacchay ke) baap ya baap ki taraf se jo rishtay-daar hain un ke liyay aqiqay ka gosht khana makrooh hai, aur ahwat yeh hai ke maa aqiqay ka gosht na khae.Aqiqay ke liyay bakri (goat) & gaae (cow) & qurbani ke janwar kafi hain, jabke maindha (sheep) jo 2 saal ka ho woh ziyada behtar hai.
Mustahib hai ke hadyoo (bones) ko joroo (joints) se juda kia jai aur kaha gaya hai ke hadyoo ko taurna (break karna) makrooh hai.
Mustahib hai ke is mein se chautah hissa (1/4) daai ko diya jai aur baqi muhtajoo mein taqseem kia jai, jabke ziyada behtar yeh hai ke is ko paka (cook) kar walima kiya jai, jis mein 10 ya 10 se ziyada afraad (10 or more than 10 persons) ka hona ziyada behtar hai. Jis tarha se namak (salt) aur pani (water) mein pakana ziyada behtar hai.
Aur baaz logo ke darmiyan mashoor hai ke hadyoo ko sufaid (white) kapray mein lapait kar dafnana (burried) mustahib hai, lekin hamaray paas is baray mein koi daleel nahi hai. (Ref: A.Sistani, Minhaaj-us-saaliheen, masala no. 1384)

Print

Id:
1502
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ASSLAAMUALIKUM I WANT TO ASK U CAN I USE ALCHOLIC PERFUMES DURING PRAY

Answer: ji haan, alcholic perfumes istimaal kiyay ja saktay hain. kyon ke in ki tamaam qismain paak hain. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 2, ques no: 53.

Print

Id:
1963
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Can perfumes be used? Do i need to take bath if i have to read Namaz with perfume on my body?

Answer: b.t. jo al-kohal ya sprit lakdi ya kisi or cheez se hasil ki jaye wo pak he. isi tarh khushbuyat (perfume) or polish me shamil mom bhi pak hain jin me al-kohal ho. (ref: tawzihul masail, Aytullah Khoui (r.a.) masaala no. 2917)

Print

Id:
3117
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: during the process of making vanila flavour there is necessary use of alkohal to desolve the vanila beans,there is less than 1%of alkohal in every vanila flavoured ice creams and other vanila flavoured food.these foods are halal or haram.

Answer: All kinds of alcohol (whether extracted from wood or other sources) is pure, not najis. So, the medicines, the perfumes, and the food containing alcohol are pure and can be used. It is also permissible to eat such food if the amount of alcohol is very minute.

Print

Id:
6349
Mujtahid:
Sistani Shab Date:

Question: Kia ALcholic perfume / body spray laganay kay namaz hojatee hay

Answer: Jee haan.alcholic perfume / body spray laga ker namaz perhi jasakti hay.
Sanati(industrial) aur tibbi(medical) alkuhal ki tamam aqsaam paak hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 109)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13957
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Kia alkohal wali perfume use krna jaiz hai? Plz reply fast. Haq nawaz khaskheli.

Answer: 1-Jee haan alcohol wali perfume ka isatemaal jaiz hay.Q k sanati(Industrial) or tibbi(Medical) alcohol ki tamaam aqsaam paak hain.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 109)
2- Alcohol ki tamaam anwaa chahay onhain lakrhi se banaya gaya ho ya kisi or cheez se, paak hain. Is bina per wo tamaam dawa,en(medicine), itr(perfume), or khane wali chezain jin main alcohol shamil hay paak hain or in ki nijasat k hawalay se kisi ta,ammul k baghair aap inhain istemaal ker saktay hain or agar in main alcohol ki miqdaar bohot kam maslan 2 fisad(2%) hu tu inhain khaya bhi jasakta hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 37)

Print

Id:
49256
Mujtahid:
Date:

Question: mujhay aik deodorant bht pasand hai laikin us main alcohol hai, kia wo laganay say namaz ya rozay main koi faraq perta hai?

Answer: Alcohol paak hai aur us k sath namaz perh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 109,787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
76747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASSALAM WALIKUM ,MERA NAAM AHMED HAI AUR YEH JANA CHATHA HOON KI AGAR MAIE ALCOHOL MIXED PERFUME APPLY AKROON THO KAY MERI PAKI TOOT JAYEGE ,HAAN THO KYON AUR NA THO KAISE ?

Answer: Tamaam aqsaam k alcohol paak hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #109). Update on dated 22-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
110419
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Aoa Kia perfume laga hu tu namaz hujati hae???? I am asking for both male and female

Answer: Alcohol pak hai layhaza perfume laga ker namaz perh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 109+786).
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114903
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-28

Question: Salam aleakum Agha minoxidle hair spray mai alcohol mila huwa hota hai kia usy hair per use kr sagty hain.....

Answer: Alcohol ki tamaam aqsaam paak hain chahay onhain lakrhi ya kisi or cheez se banaya gaya ho, Is bina per wo tamaam khane wali chezain, dawaen(medicine), or itr(perfume) jin main alcohol shamil hai paak hain or in ki nijasat k hawalay se kisi taammul k baghair Aap inhain istemaal ker saktay hain or agar in main alcohol ki miqdaar bohot kam maslan (2%)fisad ho to inhain khaya bhi jasakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #109)
(Ref: Jadeed fiqhi masael, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #37)
[Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121828
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-10

Question: Assalam o alaikum Mera sawal yeh h k Kisi bhi drink me agr 8 percent alcohol mix hoto kia woh halal h or perfume me Jo alcohol hota h woh jaiz h?

Answer: 1: Agar kisi cheez me 8 percent alcohol mix ho to Jaiz nahin.
2: Har qism ka alchohal pak hai lihaza perfume me jo alcohol hota hai wo jaiz hai.
(Note: Alcohol pak to hai lekin kisi cheez me is ka istemaal direct jaiz nahin hai, Aur agar alcohol kisi bhi cheez me mila hua ho to alcohol ki miqdaar us cheez me 2 percent se ziyadai miqdaar jaiz nahin hai magar ye ke us me pani ya koi aur cheez us me milayei jaye taake alcohol ki miqdaar us cheez me 100 me se 2 percent ya us se bhi kam ho jaaye.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition #42, maslah # 109. link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01731/ ).
[Updated on 11-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123021
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-05

Question: Kya jis perfume me ethanol mila huva ho wo laga sakte h kya wo jayaz h

Answer: Alcohol ki tamam aqsaam (ethanol, ethyl alcohol, grain alcoho) paak hain lehaaza perfume laga sakte hain, aur jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #109).
[Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print