Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mutlaq Aur Muzaaf Pani (4 Questions)


Showing 0- 4 questions from 4 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
182
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: SALAAM, PESHAB KARNE KE BAD AGAR PANI KHARIJ HO TO KIA YEH NAJIS HO GA.

Answer: Salam un Alaikum,
Agar yaqeen ho keh yeh ratoobat peshab hee hay to phir najis hogi. Shak kee sorat mein agar peshab key baad istabra kiya tha to wo ratoobat paak shumar hogi, laikin agar istabra nahi kiya tha to phir najis shumar hogi. Aurat key liye pehsab key baad istabra nahi hay lehaza agar koi ratoobat kharij ho aur shak ho keh paak hay ya nahi to wo paak mani jaye gee.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani (Topic of Istabra Page No.18)

Print

Id:
987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam elekum, Please tell me the quantity of Kur water in litres. Thankyou

Answer: Kur pani wo hota hay kay jo 36 cubic Balisht (1 Balisht taqreeban 22 centi meter) kay bartan ko pur kar day jo kay taqreeban 384 litre hota hay.Ref: Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.14.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
36588
Mujtahid:
Date:

Question: kapron ko pak karne ka kai tareeqa hai agar particular jaga ka pata ho?aur agar napaak jaga ka ilm na hoo tu pir kaisay paak kya ja sakta hai?

Answer: Agar kisi najis cheez ko kurr pani (384 liters) ya jari pani me is tarah dibo diya jaye kay pani is chiz kay tamaam najis maqamaat tak pohonch jaye to wo cheez paak hojati hai aur libaas ko pak karnay ke liye isay nichorna bhi zarori nahi hai aur agar badan ya libaas pishaab say najis ho jaye to ehtiat-e-wajib ki bina par isay kur say 2 dafa dhona lazim hai albatta jari pani say 1 dafa dhona kafi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #153) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
125557
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-01

Question: Salam Alekum Molana Sahab Mujhe Ye Maloom Karna Hai Ki Agar Kisi Kunwari Ladki Ke Baap Or Dada Ka inteqal Ho Gaya ho to Phir Us Ladki Ko Mutta Ke Liye Kisse Ijazat leni Padegi ....

Answer: Agar kunwari larki ka wali (yani baap ya dada) maujood (hayat) na ho to phir nikah ke liye kisi se ijazat lena zaroori nahin hai, aur nikah (daaimi ya mutah) kar sakti hain. Albatta nikah ki baaqi sharaait ka maujood hona zaroori hai. lekin agar wali ki ijazat ke alawa, nikah ki baaqi sharaait me se koi aik shart bhi agar maujood na ho to nikah sahi nahin hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2342).
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print