Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Baitul khala k ahkam (87 Questions)


Showing 0- 50 questions from 87 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salaam...mera sawal yah hai k..english bathroom (camot)mai baith saktay hai isse najis to nahi hotay na...namaz hosakty hia?

Answer: Jab tak paak cheez kay najis ho janay ka ilm na ho wo cheez najis nahi hoti.Ref:Tauzeehul Masail Pg.31,Masala No.117

Print

Id:
627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Salam-o- Aalikum, Mera sawal yeh hai key humari office main tamam peon hindu hain aur Approximately 50% staff non-muslim hai, aur aik hi wash room hai, aik cooler hai jis main sai sun pani peetay hain. main pani tu office ka nahin peta laikin wash room ka bahat masla hota hai ?

Answer: Salam un alaikum,
Aqai Sistani kee nigah mein hindu najis hein laikin esaai, jews aur majosi paak hein. Lehaza agar aap ko office key bathroom key najis honay ka yaqeen ho aur tari key libas ya badan ka koi hissa wahan lag jaye to sirf wohi hissa najis mana jaye ga aur namaz key liye us ka paak karna zaroori hoga.
NOTE: We are sorry for the late reply.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2032
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam O Alaikum, Agar Taharat kerty howy pani k kuch chinty flush se ya hathon se takra ker paoon ya kapron per gir jain to kia namaz parhi ja sakti hai ya nahin aur woh pani na-pak ho ga ya pak samjha jai ga. Thanks

Answer: w.s. agar peshab or pakhane ke maqam ko qalil pani se pak kiya jaye to dhone ke bad girne wala pani agarche najis he lekin 5 shrayet ke sath jis maqam par girega use najis nahin krega: 1. us k sath najasat n ho 2. najasat ki wajeh se uska rang, bu ya zayeqa tabdil n huwa ho 3. baher se koi or najasat us me na lagi ho 4. pakhana k sath khun ya koi or najasat bahir n aee ho 5. najasat apne maqam se mamool se ziyada n pheli ho. (mujtahid se puchhe gaye sawalat, part:1)

Print

Id:
4840
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mein na yeh poochna tha ka islam ma istanja kis hath sa karnay ka hukam diya gya ha? or agar larkiyan contiously discharge hoti rahen bay shak thori hi quantity ma to kya wo namaz contiue rakha sakti hen is halaat ma without taking bath? mera last sawal yeh ha ka islam ma pregnanat ourton kay rozay k baray ma kya rayait ha kya wo chorh sakti hen? agar chorh dein to kya kufara ho ga?

Answer: 1) dayen (right) hath se taharat karna makrooh ha. 2) : (agar ye blood haiz ka he to haiz wali aurton par chand chizain harama ho jati hain, in me se ek) namaz aur is jaisi degar ebidatein jinhein wazu , gusl ya tayamum ke sath ada karna zaruri he. Agar is niyat se anjam dein ke sahih amal anjam de rehai hoon, jaiz nehai he. (ref: tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani (d.b.) masla #76 & 448) 3):agar kisi bare nuqsan ka andesha na ho , is ki apni zaat ya bache ko koi jani khatra bhi na ho aur doctor ne mena bhi na kia ho to roza rakhne me koi haraj nahei he.Aur agar vo zarar is qism ka ho jo aam tor per berdasht na kia jata ho to roza rakhna sahei nahei he aur agar vo zarar mout ya is jaisi kisi cheez ka sabab bun reha ho to phir roza rakhna haram he.(ref : Mujhated se pouche gye sawalat part roza pg # 80)

Print

Id:
4908
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: islami tarike se under shaving kahan se le kr kahan tak krni cahiye?

Answer: 1)Rawayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Rawayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2)
3)ye tamam kam , Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198)

Print

Id:
5288
Mujtahid:
Date:

Question: assalam valekum,agar hum safar gaye hain aur waha bathroom nahi hai aur pani bhi aur hum aise hi peshab bait aaye toh hum peshab se pakh kaise ho sakte hain aur uski dua kya hai?(dua zaroor bataiye pls.)?

Answer: Peshab ka makrajh(nali) paani k ilawa kisi cheez se paak nahi hota aur usay aik martabah dhona hota he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 62).

Print

Id:
5834
Mujtahid:
Date:

Question: salam qari sahib.mera aap se yeh swal hai k agar istanja karne k baad hath sirf pani se doyey jaen aur sabun use na kren to hath paak hojatey hain ya nahi?wasslaam

Answer: Istinja karnay k bad agar nijasat hathoon me reh jay aur wo nijasat peshab ho tu peshab door karnay k bad 2 dafa pani dalna zurari he. Aur agar wo pakhana ho to pakhana door karnay k bad aik dafa pani dalna zarori he. Albatta rang ya bu baqi reh jay tu koe haraj nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 63, 154-156).

Note: Sabun se haath dhona zarori nahi he, sirif paaani se hi dhone se najis cheez paak hojati hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7644
Mujtahid:
Date:

Question: Dear Sir, Agar Halte majboori mein agar aik taraf mard ho aur aik taraf aurat to kis ki taraf face kar key peshab karna chahei aurat ki taraf ya mard ki taraf.

Answer: 1)Insaan per wajib he k peshab aur pakhana kartay waqt aur doosray maoqay per apni sharamgahoon ko un logoon se jo mukallaf hoon chahay wo maa aur behen ki terah is k mehram hi Q na hoon. Aur isi terah deewano aur in bachoon se jo achay aur buray ki tameez rakhtay hoon chupa kar rakhay. Lakin sohar aur biwi ka aik doosray se chupana laazim nahi he.
2)Apni sharamgah ko kisi makhsoos cheez se chupana laazim nahi he, maslan agar haath se bhi chuppa lain to kaffi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 53,54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8029
Mujtahid:
Date:

Question: bait ul khala ma jana ka kya tareeqa ha aur kis taranh bait khala k bad khud ko dhona chahiya

Answer: 1) Mustahab he k Bait ul khala me jatay waqt pehlay bayaan(left) poun(leg) ander rakhay aur nikaltay waqt pehlay dayaan(right) poun bahar rakhay. Aur ye bhi mustahab he k rafa e hajat kartay waqt sar dhak kar rakhaain. Aur badan ka bojh bayen poun per dalain.
2)peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se paak nahi hota he. aur ose aik martaba dhona kafi he albatta ethiyat e mustahab he k do martaba dohain aur behtr ye he k teen martaba dohain.
3)agar maqam e pakhana ko pani se paak kia jay to to zarori he k pakhanay ka koe zarra baqi na rehay albatta rung ya bo reh jay to koi haraj nahi aur agar pehli baar hi wo maqam is terah dhul jay k phakanay ka koe zarra baqi na rahay to dubara dhona lazim nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 75, 62, 63) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8992
Mujtahid:
Date:

Question: Shram Gah kya hay? merd aur aurat k reference say byan farmaiye. Allah Quran may kai jagha fermata hay k us kay pasnadidah banday wo hain jo nmaz parhtay hain, zkt dete hain aur apni sharam gahon ki hifazat kertay hain, to qibla yahan shram gahon ki hifazat say murad "ZINA SE BACHNA HAY" ya Shram Gah se murad kuch aur doosray jismani hissay bhi hain. Jwab detail se dain.

Answer: Orat or mard ka mqam peshab(penis/vegina) or mqam pakhana ` maqad`(anus) in ko sharmgah kaha jata hai, or tafaseer men in ayat k bare men jo likha hai wo yehi hai k wo log apni sharmagahon ko haram kamon men istamal nahi krte. Jese surah Moimneen ki ibtdai ayaat men bhi is ka zikr hai.
(Ref : Minhaj us salaheen Ayat-ullah sistani (d.b). part # 2, masla # 34)

Print

Id:
11533
Mujtahid:
Date:

Question: sir main jb bhi peshab karta hn to us k bad aik do qatray gir jatay hain aur ager wesay meri penis karak ho jay ya kisi larki ko dekh k meri penis khari ho jay to meri penis se se kush pani ki tarhan les dar koi chez nekalta hi ...please is ka mujhay kuch elaj btay aur main is wajah se namaz bhi nahe perh pa raha ....plz mujhay is ka solution bta de ta k main namaz perh sakn....plz mujhay intyzar rahay ga ap k intyzar ka..

Answer: Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)

Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70)
Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11540
Mujtahid:
Date:

Question: salam, janab mujhy ye poochna hai k agar peeshaab k ealava he qatray kharij ho jain toh un k baray main kai hukam hai aur kai woh napak rutoobat tasawoor ki jay gi ya pak?? aur istabra ka tareeqa bhi bata deen.

Answer: Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)

Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70).
Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
13067
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualeakum,mera peshab ke baad khare hone par qatra aata hai ,namaz ke liye gusal aur wazu par masla aur ahtiyat plz jald bataye.

Answer: Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he.Laihaza agar koe ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab he ya nahi tu wo ratubat paak hogi or agar ye aurat wuzu se ho tu iska wuzu or ghusl bhi is ratubat k kharij hone ki wajah se batil nahi hoga. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 74).
Wazifa:
Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13787
Mujtahid:
Date:

Question: After peshab if I use toilet paper properly and do not take any water then completing my Ozu(with water) can I pray namaz? For more information few time in my penis I can see there is very little mozi and its make me disgusting.To clear this mozi with water is difficult to me in outside of house (like in office).In this situation I only use toilet paper properly and completing ozu with water I pray namaz. In my house time I take bath to wash mozi. Am I correct?

Answer: 1-The urinary organ cannot be made Pak without water. If one uses kurr or running water, then washing the organ once will suffice, after removal of essential najasat. But, if one uses under-kurr water, then recommended precaution is to wash it twice , better still, three times.
2- The moisture which is discharged by man during wooing and courtship, is called ,Mazi,. It is Pak, and so is the liquid which is seen after ejaculation. It is called ,Wazi,. Similarly, the liquid which at times comes out after urine, is called ,Wadi, and it is Pak if urine has not reached it. If a person performs Istibra after urinating, and then discharges liquid doubting whether it is urine, or one of the above mentioned three liquids, that liquid is Pak.
3- If a person doubts whether he has performed Istibra or not, and then discharges a liquid about which he is not sure whether it is Pak or not, that liquid is will be deemed najis, and if he has performed Wudhu it becomes void. However, if he doubts whe ther he performed the Istibra correctly or not, and a liquid is discharged about which he is not sure whether it is Pak or not, that liquid will be Pak, and it will not invalidate the Wudhu.(Ref: A.sistani(d.b), tauzeehul masa,il, maslah#62,70,71+ http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2123+http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2124+) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14416
Mujtahid:
sunni Date:

Question: bathroom ma koi dua ya ayat pahi ja sakti ha ?

Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein.
Yes, it is.(Ref: E-mail Rcvd from Ayatullah Sistani(d.b), dated:13-04.12+ urwatul wusqa, part#1, before maslah#459 )
Translation: jee haan, ye (jaiz) he.

Print

Id:
15104
Mujtahid:
istinja ki problem Date: 2018-09-07

Question: Assalam aleykum mera sawal ye hai ki jab koi istinja karke inkle or fir se usko lage ki uska peshab kharij ho raha hai ya wo kahi ja raha ho or usko libas na badal sake or usmai peshaab ke katre lag jaye to namaz jayez hogi..

Answer: 1) Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab naali main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi hai. Pas agar kor ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab hay ya nahi tu wo ratubat paak hogi or is k wuzu or ghusl ko bhi batil nahi karay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 69,74)
2)Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. Agar koe shakhs halat e iktiyari mai najis libas k sath namaz parhay to is ki namaz batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16038
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Maqam e paeshab ya pakhana ko agar qaleel pani sai pak kia jae to jo pani is maqam sai gry ga wo najis ho gay a pak?

Answer: Agar chah ye pani najis hai, lakin jis jigha bhi wo pani gry ga wo nichay di gae in shrait k sath is maqam ko najis nhi karay ga. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 13, pg # 25) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16278
Mujtahid:
Date:

Question: salam o alaikum.....sir main jab bara peshaab karta hoo to us k baad kuch white rang k qatrey nikal aatey hain kiya us k baaad ghusal farz hai

Answer: Wo ratubat jo baaz auqaat peshab k baad nikalti hay jisay wadi kaha jata hay, Agar peshab is se nah mila ho to pak hay.wadi k aanay se ghusl wajib nahi hota. (Ref : TauzeehulMasailAyatullah Sistani d.b. masla #70, 345 )

Print

Id:
25077
Mujtahid:
ayat ullaha sistani (d.b) Date:

Question: assalamu aleykum, mera sawal a hai k baitul khola (toilet) me bait kar khana pine se kya hukoom hia, haram hai , ya halal, ya makru plz answer den

Answer: Bathroom mai koi cheez khana makrooh hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #76)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32074
Mujtahid:
ilaj hal Date:

Question: asalamualaikum sir mera swal ye hai k meri umr 26. Hai. mai jb peshab krta hn to pesb krny k bad mjhy asa mehsoos hota hai k kch qtry nklny wataly hain pr wo peshab nhi hota kch ratubat k qtry hoty hain to kia ye qtry ksi kmzori ki alamt hain kiq mjhy isy seriously lena chye

Answer: Is rotobat ko wadi kehty hain agar is k sath peeshab namila hoa ho to paak hai or is nikalne se wuzu bhi bati nahi hota.(Ref :Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #70 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32876
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: AoA mera sawal ha k aksar shehwat angais khialat ki waja se aalae tanasul se aik ratobat kharij hoti ha .kia is ratobat se ghusl wajib hota ha or is ratobat se kapre napak to nai hote.

Answer: Wo rutubat jo kbhi kbhi shehwat ubharnay par mard k aala-e-tanasul sy kharij hoti hai usay mazi krhtay hain aur wo paak hai,us say gusal wajib nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40146
Mujtahid:
Date:

Question: Sir Mai Istinja ka tariqa jan na chahta hun balke confirm kerna chahta hoon. Teen bar aalay (penis) ki right side ko dhona, Phir teen bar aaly ki left side ko dhona, phir teen bar bund ko dhoona, Phir aalay(penis) ko teen bar dhoona Left hand se kya ye tariqa sahi hai. My age is 24 aur mujhe sharam aati hai face to face kisi se. Kindly reply me.

Answer: Paishab ka makhraj paani ka alawa kisi cheez se paak nahi hota or osko 1 martaba dhoona kafi hay laikin afzal hay k 3 martaba dhoya jaey.Aur agar pakhanay ki jaga(anus) ko paani se dhoya jay tu zarori hay k pakhanay ka koe zarrah(spot) baqi nah rahay laikin agar colour ya smell baqi reh jaey tu koe haraj nahi hai.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #62,63). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Note: oper biyaan kiay gay fatway ka khulasa ye hay k maqaam e paisah ko 1 baar dhona wajib hay or pakhanay k maqaam ko is terah dhoya jay k pakhanay ka koe zarra baqi nah rahay. Yani agar 1 baar pani daalnay se hi maqaam e pakhana saaf ho jay tu phir 2 ya 3 baar dhona lazim nahi hoga.

Print

Id:
40624
Mujtahid:
istenja kab karna zaruri hai Date:

Question: wazu karne se pehle kya istenja karna zaruri hai matlab agar peshab pakhana na aaya ho to phir bhi aur kya peshab karne k baad pura istenja karna zaruri hai.

Answer: 1)Agar aaza e wazoo(wo body parts jis par wazoo kia jata hai) k alawa badan ka koi hissa najis ho to wazoo sahi hai laikin agar peshab ya pakana k maqam ko pak na kia gya ho to phir ehtiyat e mustahab ye hai k pehlay inhain pak karay phir wazoo karay.
2)Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez sai pak nahi hota hai aur osay aik martaba dhona kafi hai albetta ehtiyat e mustahab ye hai k 2 martaba dohain aur behtr ye hai k 3 martaba dohain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 276-62)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41010
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: salam taharat ka bad agr hath pak kia ja rahai ho to jo hath pak kia ja rahai hai woh taharat ka hukum mai hi ai gai ya us ka lia alag hukum hai

Answer: Agar koe shaks kisi cheez ko pani se dhoay tu os cheez k paak honay per os shaks ka wo hath bhi paak ho jata hay jo os cheez k sath dhul gaya ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #212)

Note: Istinja k mukammal hotay hi aap ka wo hath jo istinja main istemaal hoa hay wo bhi paak hojaay ga.

Print

Id:
44178
Mujtahid:
Date:

Question: AOA. I want to about the hades of cleanliness. and why open defecation in open places is prohibited in Islam. give me detail reference of Quran and Hadees

Answer: 1)It is Mustahab that a person sitting for relieving himself, sits at a place where no one would see him.
2)It is Makrooh to face the sun, or the moon, while relieving oneself. But if a person manages to cover his private parts, it will not be Makrooh. Moreover, it is Makrooh to sit for urinating etc. facing the wind; or on the road side, or in lanes, or in front of a doors of a house or under the shade of the fruit-yielding tree. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 75-6)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46446
Mujtahid:
Date:

Question: kya muslim khada ho kar pishab (urine) kar sakta hai.

Answer: Kheray ho ker paishab kerna makrooh hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #77). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46712
Mujtahid:
dont understand Date:

Question: mera sawal hai k islam ma aurat ko yeh hukam hai k khana pakatay howay sur pay dupatta rakhay aur yeh k bait ul hilah ma jatay howay bhi sir pay dupatta rakhay warna saitan zanna karta ha aurat k saath..............inn baaton ma kahan tuk sachai hai

Answer: Bathroom mai sar ka daphna mustahab hai aur khana pakatay huay agar koi na mehram dekh raha ho to pardah karna paray ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 75, 2397-8)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47936
Mujtahid:
Hanafi Date:

Question: Salam Sir, Khary ho kar peshab karny ka kitna azab hy. Pant pehny hue office me English commode pe kaisy peshab kia jaye. 2nd mery ghar me b English commode hy to mujy lagta hy k is pe per bet jany se qatry neechy body per gir sakty hy , to me khary ho kar peshab karna prefer karta hun... Please guide me

Answer: Kharay ho kar peshab karna makrooh hai yani agar na karain to sawab milay ga aur agar karain gai to koi gunah nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 77)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
51944
Mujtahid:
Date:

Question: hum india me rehte hai.hamara naya ghar bana hai jiske toilet ki facing east west hai. Aur kiblah west south ki taraf hai..plz mujhe bataiye kya is tarah ka toilet ko use karna sahi hai ya nahi.

Answer: (Ehtiyaat ki bina par)wajib hai ke peshab ya pakana karte howe ap ka sena ya pusht (peet) qible ki tarf na ho, or na hi sharam gaah ko is ki taraf pheren, chahe toilet ki facing kuch bhi ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 55 , 56 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
51985
Mujtahid:
Date:

Question: assalam wa alaikum. Hamaee ghar ki lavatory east west facing hai aur kibla south west me hai..to kya ese lavatory ko use kar sakte hai. Plz jald se jald reply kijiye.

Answer: Peshab ya pakhana kertay waqt ehtiyaat e lazim ki bina par daban ka samnay ka hissa yani pait aur seena qibla ki taraf nah ho aur na hi pusht(peeth) qiblay ki taraf ho.(Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#55). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52140
Mujtahid:
Date:

Question: kapron per ager pashab ka ketra nikal ayn lakin banda ko shak ho ka katra nikla han ka nahi to es halat main namaz ho jay ge or es halat main kapra pak raha ga ka nahi

Answer: Agar peshab ka qatra bahar na niklay tou namz parhi jaskti hai,jab tak yaqeen ya aqli tareqay sy itmena na ho shak ki surat mai nijsat sabit nahi hoti. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#115). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
59858
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal hai ky bara peshab saaf karny ka kya tareeqa hai matlb kin ungliyun sy krny ki ijazat hai islam main

Answer: Ulte (left) hath ki koi si bhi ungli se is terhan karain ke pakhane ke tamaam zarraat hat jaain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 63 , 76 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60753
Mujtahid:
Date:

Question: agar pashab ka bad istanga ka lia pani na ho to aur koi aur cheeze mati vgaira be na ho to kya ksi kagz sa istanga saf kr saktai hai hamray kaprai aur jisam pak ray ga ya nahi aurnamaz hamri hojsakti ha ya nahi please answer immediately

Answer: Pheshaab ka makraj faqat paani se he paak ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #62 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60902
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai k kain jab peshab karta ho to mani ati hai kya kro phr nahana chea ya nhi

Answer: Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70).
Lehaza ager ye ratobat (peshab ke baad nikalne wala pani) un sifaat ke saath (shehwat, uchal ke nikalna, nikalne ke baad badan ka sust ho jana) nikle jin ke sath mani ehtilaam ki halat main nikalti hai to ye mani hai, or gusal karna ho ga, or ager un sifaat ke sath nahi nikle chahe is ka rang mani ke rang ki terhan ho ya kisi or terhan ka to mani nahi hain, or na hi gusal wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61228
Mujtahid:
Date:

Question: Mazi jis jagah lagti hai wohi jagah napak hogi ya pora libas napak hOgaye ga.Mazi agar jism pay lag gaye to ghusal karna hoga ya usi khas jaga jahan mazi lagi hai usko saaf karna kafi hai??Aur mazi jism say saaf karna lazmi ahi ya kapray change karkay namaz parh saktay hain ?

Answer: Mazi paak hay or is k kharij hone se wuzu bhi nahi toot ta or jis jagah lag jay os ko paak kerna wajib nahi os is mazi k saath namaz perhna bhi sahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62413
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualykum Meri shalwar me peshab k qatre gir jate hain kya isse na paak ho jate hain

Answer: Peshaab najis hai aur jahaan per bhi peshaab lage ga wo cheez najis ho jaay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80 ).
Agar jism ya libaas par peshab k qatray gir jae to 2 dafa qaleel pani ko os par bahana zaroori hai ta k wo pak ho jae aur ghusl krna wajib nhi aur libaas ko har dafa dhone k baad nichoorna zarori hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 154)
Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62448
Mujtahid:
Date:

Question: Kia peshab rokne pr peshab k kuch katre nikal jane se bhi kapre na pak ho jate hai aur kia ghusal farz hota hai?

Answer: Peshaab kharij hone se ghusl wajib nahe hote laikin namaaz perhne k lie wuzu karna zarori hai. Agar libas peshab sai najis ho jae to os ko pak karnay k lie qaleel pani ko 2 dafa os par bahana zaroori hai ta keh pak ho jae aur har dafa pani daalnay k baad os kapray ko nichora bhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322,154). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
63259
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar pisaab ka katra istanja karte waqt jism ke kisi hise pe lag jaye to usko sabun ke bagher saaf karsakte hai ??

Answer: Badan k jis hisse me pheshaab lag jaay us ko faqat pani se 2 martaba paak karna zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #154). Update on dated 30-04-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63781
Mujtahid:
Date:

Question: my question is that chota peeshab rukna kia gunah girls k ly? kia disadvantages hain? aur private parts k sath play krna peshab ko rukay rehna k duran tu kia ye gunnah hai?

Answer: 1)Peshaab rookna makrooh hai aur agar badan k lie mukammal tour per muzir ho to haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #78). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2)Insaan k lie apne penis se play karte hoe mani kharij karna guhnah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65990
Mujtahid:
Date:

Question: Agar paani na ho aur uski wajah se peshab ki paaki na ho toh kya kisi aur cheez se paaki ho sakti

Answer: Paisahb ka makhraj pani k alawa kisi cheez se paak nahi ho sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #62). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66114
Mujtahid:
Date:

Question: Ager jrian ka masla ho or pishab main mani khraj ho jay or us ka pta bi na chaly to kia ghusal wajib ho ga

Answer: Jo ratubat paishab k sath kharij hoti hay osy wadi kaha jata hay or ye mani nahi hoti. Mani uchal ker lazzat k sath kharij hoti hay or is k nikalne k baad badan sust ho jata hay. Is liay aap per ghusl wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70667
Mujtahid:
Date:

Question: Agar Mein peshab krne k bad peshab k qatre ko tissue paper se saaf kia toh mein paak hua k nai

Answer: Paishab ka maqam pani k alawa kisi bhi cheez se paak nahi hota or osay aik mertaba dhona kafi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #62). Update on dated 07-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77088
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alaikum. mjy mani aur mazi me farq ki kuch samjh nh aa rhi h. aur mera masla ye hai k kabhi kabhi larki sy fahash baat ya kisi movie ganda scene dekhty huy penis sy aek lais daar qatra nikl ata h. wo qatra lais daar to hota h, phr ye lais daar qatra mani hoga ya mazi?? plz plz iska answer zaror dain

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77089
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alaikum. mjy mani aur mazi me farq ki kuch samjh nh aa rhi h. aur mera masla ye hai k kabhi kabhi larki sy fahash baat ya ganda scene dekhty huy penis sy aek qatra nikl ata h. wo qatra lais daar to hota h, phr ye lais daar qatra mani hoga ya mazi?? plz plz iska answer zaror dain

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77090
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aoa. swal ye hai k sexy batin krty rhy phr shehwat b ae aur penis sy qatra b nikla jo lais daar tha. lakin is doran penis ko hath tk nh lgaya. jism b sust nh hoa aur qatra uchar kar b penis sy nh nikla. to ye lais daar qatra ab mani hogi ya mazi????

Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77091
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aoa. larki sy phone py sexy batein ki. phr penis se lais daar qatra nikla. phr me peshab karny gya to peshab k bd b lais dar ratobat nikli. ab ye ratobat mani hogi ya mazi? aur gusal farz ho jaey ga?

Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82318
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o ALikum salwal ye hay k chhota peshab(urine krny k baad sirf uazu tanasil ko dhona kafi hay ya pakhana ki jagha ko b dhona chahiye. BCZ AAJ KAL ENGLISH TOILET PE URINE KRNY K BAAD SIRF UZUW KO DHONA ASAAN HOTA HAY PLS ANSWER KARAIN.ye masla mujy koi nai bata rha

Answer: Peshab k baad uzu e tanasul ko aik dafa dhona kaafi hay. Agar pakhanay ka maqam najis nah hoa ho tu os ko dhona wajib nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #62). Update on dated 17-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86986
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamo Alekum mera sawal yah h ap say jab may call py apni mangyter say bat karta hun to mera mazi kharijh hota h to mazi pak h yah na pak kindly answer me

Answer: Mazi pak hoti hai chahay jitni miqdar amin ho.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 70). Update on dated 14-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88414
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Aoa. Istanja k waqt safai k lie pechli jaga ungli dalny (beshak thori ya zada) se wuzu istanja ojae ga ya .koi masla a ???

Answer: Istintaja yaani peshaab ya pakhanay k maqam par is tarah pani daalna k nijasat hat jaey. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 315). Update on dated 10-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88542
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam alaikum sir. Mera name irfan raza. hai. Sir mera nikah howa hai mere mamo ke bethi se. Ma us se sms ye call par bathen karta ho to call ke duran aur sms ke dura khatre kharij hotey. Ya pehshab se pehle khatre kharij hotey to kiya muje subha ghusal karna prega. Namaz kiliye.. muje se katre jab be nikalte hai to muje bohat shak be hota hai aur darta ho take es halat ma mout na hojaye.. plz ans me..

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70). Update on dated 04-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print