Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nijasat (86 Questions)


Showing 50- 86 questions from 86 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
35521
Mujtahid:
ahl e sunat Date:

Question: kya hindu k sath khana khaya ja sahta hai?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Kafir najis hai laikin oski najasat doosri cheez ki taraf os waqt muntaqil ho gi jab donoo mai sai koi aik tar ho aur najasat , najis cheez sai pak cheez tak saraiat kar jae to wo cheez najis ho jae gi. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 34, pg # 57)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
35755
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Mera sawal ye hai ke, agar kapron me mani (semen) lag jaye or wo khush (dry) hojaye to kya un kapron me Ibadat jaiz hai ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Faqat najasat k hatanay sai koi cheez pak nahi hoti hai. aur is ko pak krnay k lie zaroori hai k is par pani dala jae aur is ko nichorna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
37003
Mujtahid:
Date:

Question: As salam alikum.. Sb mujhay ya phuchna tha key aga diwar pay mani lagi ho or uspay agar kuch din bud chuna ya colour kar diya jaya to kay tamam diwar na pak ho jayagi? Plz mujhay bataya., bohut parayshan hu

Answer: Agar diwar par color krnay sai pehlay os color ko jo pehlay sai diwar par tha hata dia ho to koi problem nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80-225)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
37464
Mujtahid:
Date:

Question: Sir kya Islam mein orat mani kha skti hy ..??? Plzzzz give me answer me waiting on my mail.. Plzzzz

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
39657
Mujtahid:
Date:

Question: janab mre pishaab ki leakage ka msla hai kia ap mehbani kr k mri mada kr skty hain me bht preshan hn. is wja se me paak b ni reh pata

Answer: 1)Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79)
2)Jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 311)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41963
Mujtahid:
Maulana muhamad taqi Date:

Question: Assalamualikum mera sawal ye hai ki agar mani apne jism ko lag gai toh sirf uss jagha ko pani se saaf karne se kya hum paak ho sakte hai aur namaz pad sakte hai aur kapde paak ho sakte kya ye swal hai mera allah hafiz

Answer: Wssalam o alykum,Agr ap mani kharij hone se insan mujnib hojaye to Namaaz or is jesi ibadatoo ke liye gusal e janabat karain, or agr insan mujnib na ho lekin mani insane k jism ya libaas per lag jaye faqt najis maqaam ko paak karna kafi hai pure kapre o badan ko paak karna wajib nahi.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 122 , 356 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai).

Print

Id:
41979
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Asak...Agar peshaab se ya kisi Bhi cheez se najis jagah sookh jaye aur phir us par cream lage ya chiknaayi lage haath lag jaye to kya haath najis honge.

Answer: Ager haath itna ter ho ke is ki tari najis cheez tak ponhach jaae to haath najis ho jaae ga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 119 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
49091
Mujtahid:
ayat ulla sestani Date:

Question: Salam,I want to know that a basin where clothes of periods are washed,so how can we make it paak that we can easily perform wudu

Answer: Agar sink mai khoon laga hua ho to pehlay os khoon ko hataya jae aur phir aik dafa pani dala jae to wo paak ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49157
Mujtahid:
Date:

Question: ager kissi bachey ne peshaab kia ho or wo khush ho gya ho .ager us bachey ko hum uttha ley tu humhare haath ya kapre na pak tu nhi hogey?ager wohi hissa humhare kapro ya hath ko touch ho.

Answer: Agar hath, libas ya bachay mai sai koi aik ya donoo tar(geela) hon aur osi jigha touch ho jis jigha peshab lagi thi aur tari transfer bhi ho jae to wo hath ya wo libas bhi najis ho jae ga (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49427
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM-O-ALAIKUM sir mera question ya hai k agar itlham ho jay tu kia qamiz or baneen bi napak ho jay gi iss ko nejsat na lagay tu ?

Answer: Agar nijasat nahi lagi to ye chezain najis nahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #122 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52008
Mujtahid:
ayatollah sistani Date:

Question: Asak...mera sawaal hai ki agar koi najis cheez jaise peshaab ya khoon kisi jagah pe sookh gaya ho aur us pe oily yani chikna haath lag jaaye to kya haath najis ho jayega?

Answer: Agr haath ki tari najis jaga tak na ponhche to najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52121
Mujtahid:
Date:

Question: a.s mra sawal ya hai ka jb ehtilam ho jata hai or wo gand kampron par lag jata hai tu majbori ka bais namaz parni par jayi to parhi ja sakte hai.or wohi kapra pahna ja sakta han .

Answer: Jin kaprho par mani lag gai ho wo kaprhey namaz mai nahi pehen saktay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #786). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56674
Mujtahid:
Date:

Question: Jb ma peshap karta ho to us ky bad lase dar katry niklty ha plz is ka hal btaye

Answer: Ager peshaab ke baad ap ne istabra kiya hai to wo qatre paak hain or na hi wazo ko torte hain or na hi in se gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57599
Mujtahid:
Date:

Question: Peshab k bad jo katray aty hain woh kiyu aty hain yeh kis cheez Ki alamat ha R raat main soty time agr atylaam na ho 1 month tak to koi problem hai kia..?

Answer: Wo qatre paak hain or un se gusal wajib nahi hai. Albatta agr apne peshab k bad istibraa (jo k ek mustahib amal hai) krliya hai to to istibraa k bad jo qatre niklen to wo paak hen, lekin agr peshab k bad istibraa na kre to or abhi itna wqt bhi na guzra ho or peshab k maqam se koi liquid kharij ho to wo peshab ka hum rakhegi matlab najis hogi or kapron ko bhi najis kregi.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70-71-72)
Note Or wo qatre kun aate hain? kis cheez ki alamat hain? ehtilaam kun nahi hota? in tamaam ke jawabaat ke liye Doctor se maloom karain.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57747
Mujtahid:
Date:

Question: kya sharab ki khali (empty) purani bottle ko hath lagana gunah h?

Answer: Ager wo bottle paak na ki gaae ho to ager gele hath ko bottle ki najis jaga per lagaain or hath ki tari us najis jaga tak ponhach jaae to namaaz ke liye or un chezoon ke liye jin ko paak rakhna zarori hai – masalan Quraan e Majeed – is hath ko paak karna hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 787 , 129 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
58323
Mujtahid:
Date:

Question: salam kia kisi janwar ya parinday ke galast kapray ya jism ke 1ungli ke brabar hise par lag jaye to wazu toot jata h? aur gusul farz ho jata he?

Answer: Tamaam halal gosht janwaro or parindo ka paishab or pakhana najis nahi hay or ink badan per lagne se wuzu nahi tootta aur nah hi is say ghusl wajib hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b),Tauzeehul Masail Masla#322,343)(Khuda aapki tawfiqaat mein Izafa farmaye).

Print

Id:
58770
Mujtahid:
Date:

Question: namz k duran peshab ka qatra nikal jany sy wazu toot jata hai kia?? ya pir ghusal wajib hai....

Answer: Pheshab najis hai aur agar aam insaan ( jise misalsal pheshaab aane ki memari na ho) se namaz k dourain pheshaab k qatre kharij ho jaay to us ki namaz batil ho jate hai aur libas tabdeel kar k ya use libaas ko pak kar k dobara se wazu kar namaz perhna zarori hai laikin ghusal karna wajib nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #81,1113 ,322) 1)agar koi shakhs ayse maraz me mubtela ho k ise pheshaab k qatre gherte rehte ho to Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko chhoreden. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki mohlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.3) jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz se pehle najis shuda maqam ko dho le.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-311) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58904
Mujtahid:
Date:

Question: sawal:-kiya kisi ko bina kisi bimari ke ULTI (VOMAIT) hota hai to wo napak ho jata hai kiya usper gusul wajib ho jata hai please jawab dijiye according to hadees ALLHA HAFIZ

Answer: Ulti pak hai aur is se ghusl bhi wajib nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #80, before 344 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
59403
Mujtahid:
Date:

Question: Kya shohar se phone pe bat krne se orat ka Jo liquid ata h who napak h?

Answer: Ager bato ki waja se ap shewat ki intiha tak ponhach gaae thi or phir ye ratobat (liquid) shehwat ke sath is miqdaar main nikle ke shalwaar is se aloda (gili) ho jayae or is ko inzaal(Mani ka uchhal kr nikalna) kaha jana sahi ho (yani is ke nikalne ke baad shehwat katam ho jaye ya kam ho jaye) to ye mani hai, or namaaz or is jesi dusri Ibadaton ke liye gusal e janabat wajib hai, or ager in 4 sharait (shewat ki intiha tak pohanchna, shewat ke sath nikalna, kapro ka aloda hona or inzal kaha ja sake) main se koi ek bhi na ho to ye mani nahi hai or nikalne wali ratoobat pak mani jayegi.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60335
Mujtahid:
Date:

Question: washroom+bathroom pay nahany sy insan naPAK ho jta ha ...?

Answer: G nahi or Agar kise pak cheese k baare me shak ho k najis hoi hai k nahe to wo pak mani jayegi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 117) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
60444
Mujtahid:
Date:

Question: istebra krne ke bad bhi mujhe peshab ke khatre ate hi hai kya mai namaaz padh sakte hai ya nahi plz plz bataie

Answer: Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat bhi pak hogi aur is sai wazu bhi batil na ho ga.jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)

Print

Id:
60527
Mujtahid:
Date:

Question: Salam lekum my bth rom mey pishab baite baad pani sey doleta hoto pani pant po padke pant bigjata hyso hua to namaz padega to namaz qubool hogi

Answer: Wssalam o alykum, Ager kapro ke nijis hone ka yaqeen o itminaan na ho or namaaz ki tamaam sharait mojood hon to namaaz sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 117 , 929 , 1113 to 1143 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60798
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi jagha per yani zameen per aloodghi ya napaki lagy hoy hy to os jagha ko kis tarah pak kia ja sakta hy.

Answer: Agar wo zameen jis ka farash phater ya eentoon ka ho ya dosere sakht zameen jis me paani jzb na hota ho najis ho jaay to wo zameen qaleel paani se paak ho sakte hai laikin (nijaasat door kane k baad) zarori hai k is per itna paani daala jaay k behne laghe .jo paani upper daala jaay agar wo kise gharhe waghaira se bahar na nikle aur aik jagha jama ho jaay to is jagha ko paak karne ka tareeqa ye hai k jama shuda paani ko kaapre ya bartan ki madaad se bahar nikaal diya jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 174)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61151
Mujtahid:
Date:

Question: agr jagty huy gandy khyal sy ya sex movie dekhny sy penis sy les dar katry nikl ay to gusal zruri ha or kapry kis tra pak krny hn kya sirf gandi jga ko saff krna kafi ha

Answer: Mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344,389 ) Haram k baray mai sochna agar inzal(mani kharij hona) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,344,345 ) Libaas k jis hisse ko nijaasat laghe ghe srif wo hissa najis hogha baaqi hissa paak rahe gha . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #122 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61176
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal yay ahi k ehtilam k bad jab hum napak hojatay hian to agar kisi cheez ko touch kartay hian to wo bhi napak hojati ahi ya nhi jesay agar hum pakk kapray jo ghusal k bad pehenay hian unhian touch kartay hain to wo pak rahay gain ya napak hojain gay ???

Answer: Libaas ya badan k jis hisse ko nijaasat lage gi srif wo hi hissa najis hogha baqi paak rahe gha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 122) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61177
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal yay hai k kya mazi say kapray napak hojatay hain ya nhi aur un kapron mian jin kapron pay mazi lagi ho namaz parh saktay hain ya nhi ..aur agar mazi jism k kisi hissay pay lag gaye to ghusal karna paray ga ya us hissay ko pani say saaf karna paray ga ..?Aur jism pay say saaf karna lazmi hai ya nhi kapray change karkay wuzu karkay namaz parh saktay hian..

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai, aur is halat mai jab k mazi pak hai to yaqeenan jism or kapron ko najis nahi kregi lehaza namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)

Print

Id:
61194
Mujtahid:
Date:

Question: As Salam O Aliakum Wr Wb sir mera sawal ye hay k mai wuzu k liay astanja kerta hon tu peshab k 1,2 katray reh jatay hain tu mai wuzu ker leta hon phr mai namaz ki neat baandh leta hon tu namaz k doran aisa hota hay k aik adh drop nikal jata hay tu is se 1.kia mery namaz khatam ho gae hay means waste ho gae hay? 2. wuzu b toot gea hay ? 3.kia meray cloths b napaak ho gay hain mjay change kerna parain gay? ab day mai agr mai nay 5 times wuzu kia hay tu 2 bar aisa ho jata hay means 2 namazon mai tu mai kia keron ab mai cloth b bar bar change ni ker skta r namaz b thek se ni perh skta.please mery help kerain mai namaz achay tareekay se perhna chahta hon mjay bht dukh hota hay jub aisa hota hay tu.kitni bar mai nay again wuzu b kia mgr again aik adh drop nikal jata hay wo hota peshab ka he hay tu mai kia ker skta hon?mery namazin kabool hongee ya nahin..? mjay jaldi se reply kr dain please mai bht preshan hon ALLAH apko iska ajar day.ameen ALLAH HAFIZ As Salam O Aliakum Wr Wb

Answer: Jis shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat(qatre) kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat (qatre) kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai.aur us se wuzu bhi baatil hojaata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)

Print

Id:
61585
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya ehtlam honay se jitnay kupray pehnay ho wo sb napak ho jatay hain jaisay jacket, shirt or socks etc ?

Answer: G nahi sirf wohi jaga najis hogi jahan najasat lagi hogi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
61587
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam o alaokum! Mera Sawal Ye Ha K Agr Insan k jism napak ha [ means mani sy napak ha] or phr adhay jism dhony say pak hoga [means adhi legs dholi] ? or phr adhy jism dho kr kapre phen liye jo kapre pheny wo pak khelaenge ya nai ?

Answer: Wssalam o alykum, ager kapre pehanne se pehle jisam ko paak kar liye to kapre paak hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61685
Mujtahid:
Date:

Question: Sir, mera msle ye hai muje 4 sal se likoria hai, or ab is sal me jb merabf muje fon sex pe majbor karta hai to is ma jhut mot k sex karti ho matlb k mai apni sharamgah ko hat b nai lagati or na kisi or hisse ko touch karti ho , to is silsle os wakt mera jo likoria hotq hai wo napak hai ya nai?? Matlb muj pe ghusal lazim hoa ya nai???plz meri confusion dor kar de...

Answer: Gusal wajib nahi hai, lekin is terhan ki dosti o batain Shareeat e Muqaddasa main haraam hain. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430) , (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 344 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
66238
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal yeh hai k main agr apni gf se baat kr raha hoon or kisi waja sy meri mani leak hojaye thori si toh mera jism or kapray na pak hojayenge ?

Answer: Agar mani kaprhe ko lagi ho tu wo na paak ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66240
Mujtahid:
Date:

Question: Agar kapdo pe mani lag jae tou kese saaf karein kese pak karein?

Answer: Pehle paani se mani ko hata ker aik dafa pani daal ker os ko nichorhain tu kaprha paak ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #156). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69055
Mujtahid:
Date:

Question: agr mini kapron py lag jay to napak ho jaty han agr hamara ehtlam ho jay or kapron py na lagy jesy ky shirt to wo bhe napak ho jay gii??

Answer: Jis jagah mani lage sirif wo jagah napak hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76536
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mini agr mouth ke andar chli jai to usse pak kese karte hai plz btai

Answer: Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door hojanay se monh paak ho jaata hay or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435h,Mafhoom e Maslah #233). Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81791
Mujtahid:
Date:

Question: Agr hm koi khushk napak kapra khusk pak jism pr pehn ly aur phr jism pr pasina aay aur wo khushk napak kapra mai pasiny ki waja sy nami aajay to kya wo jism ka hissa napak hojayga??? Agr han to sirf us jaga ko dhona kafi hai ya ghusal karna paryga ???

Answer: Jahan tak wo pasina puhanchy ga to wo hissa najis ho jaey ga lekin is say ghusl wajib nahi hota sirf wo jaga dhona kafi hy. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #410). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
116646
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: Asalamualaikum. Mera sawal yey hy k agr soty hue nightfall hojai or kpro pe mani lagjaye. To wo kpra agar kch din bad dhoya jaye to mani sookh jati hy kpro pr. To mani ko kese puri tarah nikala jaye? Kyuke bad me pak krne k bad kpry ko touch krke aisa shaq hota hy k shyd thori si mani abi b rehgai hy. Pls madad kren. Wazahat krdijyega shukria

Answer: wsalam.
agar koi libaas mani sai najis hojaaye tou zaroori hai k pehle us nijasat ko door kia jaaye phr aik martaba dhoya jaaye or phr usay nichor liya jaaye taakay us ka dhowan nikal jaaye is tarah yeh libaas paak hojaaye ga.
agar libaas ko kur paani sai paak kia jaa raha hai tou phr nichorne ki bhi zaroorat nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 156).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print