Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Rozay Ke Ahkam (310 Questions)


Showing 50- 100 questions from 310 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
2440
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Agar rozey ki halat main insaan ghalti se masturbate karle tou kiya uska roza qayam rehta hai ya toot jaat hai?

Answer: bismehi taala, (masterbating) istimna (hram he aur) yeh kam roze ko batil kar deta he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1597)

Print

Id:
2441
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: hamal main rozay chonay ka kaffara kya ha

Answer: bismehi taala, jis orat ka wazae hamal ka waqt qareeb ho, us ka roza rakhna us k liye ya us k hone wale bachche k liye muzir ho us par roza wajib nahin aur zaroori he k woh har din k awaz ek mud taam faqeer ko de aur dono soorto me jo roze na rakhe ho un ki qaza baja laye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1737)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2458
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-07

Question: Assalamoalikum.....sir mai nai rozay khonlay k baddd istmna kya tha....or then maii nai gusal kar liya or agaly din ka roza rakh liya...kya mujh pai koi roza ya namaz ki qaza or kfara hai...kindly jaldi jawab dain...

Answer: w.s. (aap par roze ya namaz aur kaffare ke hawale se koi zimmedari nahin he albatta istighfar zaroori he aur yeh yad rahe k) istimna haram he or gunah he. gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharee rasta sirf shadi he. (www.sistani.org. topic:istimna q.10)

Print

Id:
2460
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-07

Question: if some one look or think about some one and his money drop come out from his panies, is his fast broken or he need for bath

Answer: bismehi taala, jo shakhs mani nikalne k irade se ched-chad aur dil-lagi kare to khawah mani na nikale ehtiyate lazim ki bina par zaroori he k roze ko tamam kare aur us ki qaza bhi baja laye, agar rozedar mani nikalne k irade k bagair misal k tor par apni biwi se ched-chad aur hansi mazaq kare aur use itminan ho k mani kharij nahin hogi to agar-che ettefaqn mani kharij ho jaye us ka roza sahih he. albatta agar use itminan na ho tu us soorat me jab mani kharij hogi to us ka roza batil ho jayega. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1603 & 1604)

Print

Id:
2465
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamoalikum.....sir mai nai rozay khonlay k baddd istmna kya tha likin mere mani(spearm) uss time kharij nahi hoowa....or woo mid of the day rozay ki halt mai howa....but uss mai manni nikalny ki poorii 3 nishanian nahin then...assaa aksar mere satt hoota hai ...jub rafa hajt k liye jawonn mostly tabb ....... then rozay maii nai gusal kar liya or agaly din ka roza rakh liya...kya mujh pai koi roza ya namaz ki qaza or kfara hai...kindly jaldi jawab dain...

Answer: Agar kisi shaks k badan say koe rutubat kahrij ho or wo ye nah jaanta ho k ye mani hay ya khuch or tu agar wo rutubat lazzat k saath or uchal ker nikli ho or nikalnay k baad badan sust hogaya ho tu wo rutubat mani k hokum main hay.laikin agar wo beemaar ho tu zarori nahi k rutubat uchal ker niklay or oskay nikalnay k waqt badan sust hojaay,balkeh agar sirf lazzat k saath niklay tu bhi wo rutubat mani k hokum main hay.bay ikhtiyaari(yani mani k is waqt nikalnay main aap ki merzi nahi thee) ki halat main mani k nikalnay say roza batil nahi huta.is liay aap ka roza batil nahi hay,or naahi koe kaffarah wajib hay.agar jism say nikalnay wali rutubat main mani ki nishaaniyaan maujood theen tu app per ghusl wajib tha.agar baghair ghusl k namaz ada ki thee tu namazon ki qaza aap per wajib hay.laikin jaisa k aap nay fermaya k os rutubat main mani ki sab nishaniyaan maujood nahi theen is liay ghusl bhi wajib nahi,or namazain bhi dorust hain. .(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345,1570,1573) .
istimna haram or gunah hay.is gunah se bachnay ka sharee rasta sirf shadi he. (www.sistani.org. topic:istimna q.10)

Print

Id:
3031
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia rozy mein rony sy, matam karny sy aur khoon nikalny sy roza makrooh ya batil hojata hy??

Answer: roza daar k liay khuch chzain makhrooh hain jin main se aik ye bhi hay k:
Her aisa kaam kerna jo kamzori ka sabab banay maslan khoon daina or garam ham’maam main jana. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3034
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam. mera sawal ye he k eid 3 days tak manai jati he tu eid k 2nd and 3rd day ka roza haram he makroh he mustahub ya mubah?aur agar koi deen pe strictly amal karta ho lekin bachpan me agar us ne masail na janne ki waja se apne wajib roze kaza kr diye tu kia kaza k sath koi kaffara bhi dena hota he aur wo kaffara kia he aur agar kici k pas kaffare ki raqam na ho tu kia responsibility he ?plz reply as soon as possible

Answer: 1)Faqat eid k pehlay din roza rakhna haram he eid k dosray or tessray din raza rakna mustahab hay balkeh saal k tamaam dino k rozay rakhna mustahab hain siwaay chand din k rozo k jin main roza rakhna haram ya makhroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1709-1718).
2) Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630).
3)agar kisi shaks ko maloom hi nah ho k os per roza wajib hay tu os per koe kaffara wajib nahi hoga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1631).
4)agar koe shaks ramazan k rozo ki qaza kernay main kae saal ki takheer ker day tu zarori hay k qaza karay or pehlay saal main takheer kernay ki wajah say her rozay k liay 1 mud khana ghareeb ko day laikin baqi kae saal ki takheer k liay khuch bhi wajib nahi hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1680).
5) Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4000
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Meri shadi k baad pehlay saal ramzanon main meray 6 rozay batil hogaye,hum jantay thay k manah hay phir bhi yeh gunah sarzad hogaya, main qaza or kufara donon ada kerna chahti hun, kia mujhay her rooz k badlay 60 maskeenon ko khana khilana hoga? or shohar k liye bhi yehi hukum hay?

Answer: Agar aap dono nay jaan boojh ker ramazan k rozay hambistari (intercourse) say baatil kiay hoon chahay merd ka uzo e tanasul (penis) aurat ki sharamgaah(vagina ) main mukammal daakhil nah hoa ho balkeh supari (khatna ka maqaam) ki miqdaar tak bhi daakhil hoa ho or mani(semen) bhi khaarij nah hoe ho tu aap dono par rozay ki qaza or kaffarah wajib hay.or agar uzo e tanasul aurat ki sharamgaah main supari ki miqdaar say kam daakhil ho or mani bhi kharij nah hoe ho tu roza baatil nahi hoga.

Agar koe shaks bhool jaay k wo rozay say hay or hambistari karay tu os ka roza baatil nahi haga albattah agar hambistari k doraan yaad aajay k rozay say hay tu zarori hay k hambistari fauran terk ker day or agar aisa nah karay tu os ka roza baatil hay.
Or agar rozay daar ramzaan main apni rozay daar bivi say hambistari karay tu agar os nay bivi ko majboor kia ho tu wo apnay rozay ka kaffara day or ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay keh apni bivi ka bhi kaffara (60 miskino ko khana khilana etc.) day or agar bivi habistari per razi ho tu dono per aik aik kaffara wajib hoga.or jin rozo ki qazo ko aglay ramzaan aanay say pehlay baja nah laa’in tu ehtiyaat e lazim ki bina per her din k liay aik mud(750g) ta’aam(food) bhi dain.is ko fidya e takheeri kaha jata hay.
shohar mani nikaalnay k iraday k baghair bivi ka bosa (kiss) layna ya koe shehwat angaiz kaam karma mekhroh hay,haram nahi hay or nah hi is say roza baatil huta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1565-1568, 1649,1629,1681) .

Print

Id:
4298
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalam u alikum ::Mere nani kafi old hain or roza nahi rakh sakte un ko kiaa karna hoga koi kafara hai to bataen?

Answer: Jo shakhs burhape ki wajah se roza na rakh sakhta ho os per roza wajib nahi he. Or agar roza rakh sakta ho laikin roza rakhna shaded takleef ka sabab ho tu aisi sorat main bhi roza rakhna wajib nahi hay laikin is sorat main zarori hay k rozay k aywaz aik mud( ¾ kg) ta,aam(khana) yani gandum ya jow ya roti ya is jaisi milti julti koe cheez day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1696) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4299
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: molana ssahb!mera sawal hai k agar kisi aurat ko roze k doran haiz aajata hai to wo kya kare? wo apna roza pura karsakti hai ya nai,! 2

Answer: Agar aurat rozay se ho or din main osay haiz ya nifaas ka khon aajay tu agarchah ye khon maghrib k qareeb hi Q nah aay oska roza batil hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#1612 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4359
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kiya Rozay main injection lagwa saktay hayan

Answer: Injection aur drip se roza batil nahi hota chahae injection taqwiyat pounchaney wala hi q na ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1557)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4361
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya shohar apne beve say ramazan k mahenay main humbistare kar sakta hy

Answer: Ramzan ki pehli raat ko hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Aur ramzan me din k waqt hambistri karnay se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565-68) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4390
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: meri wife pregnant thi 7 1/2 month me baby ki deth hogai wo ab roze nahi rakh sakti to usko kaza kazakrne honge-or kiya orat azaan desakti he ghar me

Answer: 1) Agar koe shaks beemari ki wajah se ramzan k rozay nah rakhsakay tu os ko chahiay k agalay ramzan se pehlay in rozo ki qaza rakh lay or agar ramzan k baad majbori k door honay k baad or aglay ramzan tak jaan bojh ker rozo ki qaza nah baja laay tu zarori hay k rozo k qaza karay or her din k liay 1 mud(750gm) khana bhi faqeer ko day.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1676).
2) Har mard aur aurat k lie mustahab he k rozana ki wajib namazoo se pahle azan aur aqamat kahey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 903) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4418
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya rozay mein bhukhar ki halat main thermometer moun mein rakh saktein hain ya nahi?

Answer: Agar thermometer khusk ho tu koe haraj nahi hay laikin agar thermometer geela ho or os ko monh main lay ker is ki tari ko nigal lain tu roza batil hojaay ga siwaay is sorat k keh tari lo,aab e dehen main ghul mil ker is terah khatam ho jay keh osay baironi tari nah kaha jasakay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1554) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4436
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia rozy ki halt min menses aany sy rozh qahm rhta hay quran o snt ki roshni min wazhat krin.

Answer: Agar aurat rozay se ho or din main osay haiz ya nifaas ka khon aajay tu agarchah ye khon magrib k qareeb hi Q nah aay oska roza batil hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#1612 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4441
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A.A sir mara question yz ha ka roza ki halit main bevi ko kiss key ha our nami bhi nakli ha,many gusil bhi nahi keya.kya muj pa gusil wajb ha/ ky mara roza batal ha/ plz marry madad farmaya thanks.

Answer: 1)Agar mani k kharij na honay ka itminaan na ho to is surat me is ka roza batil he aur qaza aur kaffara bhi wajib he laikin agar itminaan ho k mani kharij nahi ho gi aur kharij ho jey to is surat me is ka roza sahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza , ques # 28, pg # 27, 28)
2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
3)ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4573
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya roza rakhe huve thuk ko andar liya ja sakta hai aur sehri me 2 min ki deri ho jaye to roja tut jata hai

Answer: 1)Mooh(mouth) ka pani (thook) nigalne se roza batil nahei hota. 2)Jab roze dar khana(food) kha reha ho agar usa maloom ho jaay ke subah ho gae hay to zarori hay k jo luqma mooh (mouth) mein ho usay ugal day. Aur agar jaan boojh kar wo luqma nigal lay to us ka roza baatil hojaay ga aur kaffarah bhi daina hoga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1560 , 1555)

Print

Id:
5170
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: 9 aur 10 zilhaj ka roza rakhna chaheay,10zilhaj ko kaysay rakhain roza,coz eid k din roza nae rakhtay...thanx

Answer: 1)zil hajj ki pehli(1st ) tareekh se nou(9th ) tareekh tak roza rakhna mustahab he lakin arag insane roza ki wajah se paidah honay wali kamzoori ki bina per yoom arfa ki dua’ain na parh sakhay to is din ka roza rakhna makrooh he.
2)eid ul fitr aur eid e qurban k din roza rakhna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1718 , 1709)

Print

Id:
5208
Mujtahid:
Date:

Question: pury saal me kis kis din k rozy nhe rakh sakty

Answer: 1)Eid ul fitr aur eid e qurban k din k rozay rakhna haram hain.
2)Aur jis din k baray me insane ko ye ilm na ho k shahban ki aakhri tarikh he ya ramzan ki pehli to agar wo is din pehli ramzan ki niyat se roza rakhay to haram he.
3)agar aurat k mustahab rozay rakhne se sohar ki haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he.
4) agar aulad ka mustahab roza maa baap k lie aziyat ka sabab ho to aulad k lie mustahab roza rakhna haram he.Is k ilawa aur bhi haram rozay hein . (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1709 , 1710 , 1711)

Print

Id:
5884
Mujtahid:
sunni Date:

Question: roze ka fidya kin kin logon ko dia ja sakta he?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hein.

Rozay ka fidya faqeer ko dia jay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1665-1684)

Print

Id:
6536
Mujtahid:
Date:

Question: Me aik shaks se bohot zayada payr karti hoon, itna zayada ke me un ke aur hamari shadi ke liye tahajud ki nimaz shuroo kar rahi hoon, me ye janna chahti hoon ki kya roze rakhne se mere dua ke barkat aur bar jai gi? Aur kya me apni pori zindagi roze rakh sakti hoon? Mujhe un rozo ka bhi batai jo haram hai aur kya aik muslim ko un haran rozo kie din ki ilawa wale roze rakhne ki ijazat hai? Alaah ap ko dher sari khuhsya de please ap mere madad kare.

Answer: 1)Quran majeed k sorah baqra ki ayat # 45 main hay k “sabr or namaz k zerye madad mango” or riwayaat main sabr se muraad roza hay or ye tay shuda baat hay k namaz or rozay se ziyada taqat kisi asleh main nahi hay or khuda se madad maangne ka is se behter zerya bhi nahi hay . Aal e muhammed(s.a.w.w) ne is qadar namazain perheen or rozay rakhay keh wo khud bhi iste, aa,nat(madad) ka behtareen wasila qaraar paa gay. Isi liay riwayaat main sabr ko nifs(aadha) emaan bataya gaya hay or ali(a.s) ko kul(mukammal) emaan.(Ref: Terjuma e quran Allama Zeeshan Haider Jawwadi, pg#47).
2)Eid ul fitr aur eid e qurban k din k roza rakhna haram hay. or jis din k baray me insan ko ye ilm na ho k shahban ki aakhri tareekh he ya ramzan ki pehli to agar wo is din pehli ramzan ki niyat se roza rakhay to haram he.or agar aurat k mustahab rozay rakhne se sohar k haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he. 4) agar aulad ka mustahab roza maa baap k lie aziyat ka sabab ho to aulad k lie mustahab roza rakhna haram he.Is k alawa aur bhi haram rozay hein or is k alawa bhi khuch rozay haram hain jo tafseeli kitabo main zikr kiay gay hain.
Ashoor k din roza rakhna makhrooh hay or os din ka roza bhi makhroh hay jis k baaray main shak ho k arfah ka din hay ya eid e quban ka din.Haram aur makrooh rozay k alawa saal k tamam dino k rozay mustahab hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1709-1718)

Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q ke ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7688
Mujtahid:
sunni Date:

Question: main hammla hoen aur rozay rakhna mushkil hai keya karoen

Answer: Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Jis aurat k waze hamal ka waqt (delivery time peroid) qareeb ho,os ka roza rakhna khud os k liay ya os k honay waly bachay k liay nuqsaandah ho tu os per roza rakhna wajib nahi hay or zarori hay k her din k badlay aik mud khana(750gm) faqeer ko day or zarori hay k dono soorto main jo rozay nah rakay hoon on ki qaza baja laay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1699). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7735
Mujtahid:
Date:

Question: Aslamakum kitne kilometer safar tay kar lene par roje me jhoot mil sakte hai

Answer: 1)Jis musafir k liay safir me 4 rakati namaz k bajaye 2 rakat parhna zaroori ho ose roza nahi rakhna chahiay. Aur is ka safar aana or jaanna mila ker taqriban 44 kilometers se kam na ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1685).
2)Ramazan main safar kernay main koe haraj nahi laikin rozay se bachnay k liay safar kerna makhroh hay.yehi hokum her safar ka hay siwaay os safar k jo haj, Umrah ya kisi zarori kaam k liay ho. )Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 1686) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7756
Mujtahid:
Date:

Question: Shaban men roza rakhnay ki neeyat kiya h?

Answer: Insane k lie rozay ki niyat dil se guzarna ya maslan ye kehna k “me kal roza rakhoo ga” zaroori nahi he. balke is ka irada karna kafi he k wo bargah e ilahi me apni zillat k izhar k lie azan e subah se magrib tak koi aisa kaam nahi karay ga jis se roza batil ho aur ye yaqeen hasil karnay k lie is tamaam waqt me wo rozay se reha he zaroori he k kuch dair azan e subah se pehlay aur kuch dair magrib k baad bhi aisay kaam karnay se perhaiz karay jin se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1531) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7955
Mujtahid:
Date:

Question: asalam-o-alaiykum janab rozae aftar ki doa aftar se phele pahri jati hai ya bad main mustanad hadees k sat bataye plz merr azaiz kehte hain k phele pari jati hai.

Answer: Iftar ki dua ye he. اللہم لک صمت و علی رزقک افطرت و علیک توکلت (ref : kitab mafatihul jinnan pg # 319 mutarijim allama zeeshan haider jawwadi.)

Print

Id:
7998
Mujtahid:
Date:

Question: a.o.a.sir mene roza racha or mujhe namaz k baad soo gaya raeeb 11 baje k time mujhe ilham hoo gaya kiya mera rora raha mujhe reply karen plzz....

Answer: Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8015
Mujtahid:
Date:

Question: sir pls send me rozay ki Niyat

Answer: Insane k lie rozay ki niyat dil se guzarna ya maslan ye kehna k “me kal roza rakhoo ga” zaroori nahi he. balke is ka irada karna kafi he k wo bargah e ilahi me apni zillat k izhar k lie azan e subah se magrib tak koi aisa kaam nahi karay ga jis se roza batil ho aur ye yaqeen hasil karnay k lie is tamaam waqt me wo rozay se reha he zaroori he k kuch dair azan e subah se pehlay aur kuch dair magrib k baad bhi aisay kaam karnay se perhaiz karay jin se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1531) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8019
Mujtahid:
Date:

Question: BIMARI KI WAJAH SE ROJA NA RAKH SAKE TO ISKA KUFFARA KYA ADA KARNA HOGA.

Answer: 1)Agar koi shakhs yaqeen ya ghuman rakhta ho k roza is k lie muzr (nuqsan day) he to agar chahe doctor kahay k muzr nahi he to zaroori he k wo roza na rakhay.
2)Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1713, 1674) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8022
Mujtahid:
Date:

Question: sir kya main apny biwi ka saath ramdan main raat ko sex kar sakta ho ya nahi

Answer: Ramzan ki pehli raat ko hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
Aur ramzan me din k waqt hambistri karnay se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565-68) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8026
Mujtahid:
Date:

Question: namaz k begair roza qabol hota hai kia..?

Answer: 1)Agar koi shakhs azan e subah se pehlay rozay ki niyat karay aur soo jay aur magrib k baad bedar ho to is ka roza sahi he.
2) Namaz deni aamal me se aik behtreen amal he. Agar ye bargah e allahi me qabool ho gye to dosri abadat bhi qabool ho jayen gi aur agar ye qabool na hui to dosray ammal bhi kabool na hoon ge. Rasool akram(p.b u h ) ne farmaya he ke “ jo shaks namaz ko ah’miat na de aur use mamuli cheez samja vo aakhirat me azaab ka mustahiq he” (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b Masla # 1541 pg no 121) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8027
Mujtahid:
no Date:

Question: i am pergnent.4 month complete ho gy hain.mai ramzan k rozy rakh sktee hon. koe problm tho nai ho ge.

Answer: Jis aurat ka waze hamal qareeb ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya ya is k honay walay bachay k lie muzr(nuqsan ) ho os per roza wajib nahi he. aur zaroori he k har din k badlay me 750 gram khana faqeer ko day aur zaroori he k jo rozay na rakhay hoon un ki qaza baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1699) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8030
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu,Alikum Mere name ussam hai,mera app se yeh sawal hai ke meri mother sugar ki mareez hain woh roza nahi rakh sakti.App batain kay kitna fidya dena hoga plz hamari maddad karen allah app ku kush rakhe (Ameen).

Answer: 1)Agar koi shakhs yaqeen ya ghuman rakhta ho k roza is k lie muzr (nuqsan day) he to agar chahe doctor kahay k muzr nahi he to zaroori he k wo roza na rakhay.
2)Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1713, 1674)
3)sugar k mareezon k lie dua : sugar k mareezon ko chahaea k surah e bani israil ki ayat # 80 ko bila nagah taqreeban dhai mahinay tak 3 martaba subah aur 3 martaba sham parh kar pani per dam kar k pitay rehain inshallah sugar normal ho jay ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8033
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAMU ALAIKUM. mera question yeh hai k beemar admi pr roza frz hai ya nahi?

Answer: 1)Agar koi shakhs yaqeen ya ghuman rakhta ho k roza is k lie muzr (nuqsan day) he to agar chahe doctor kahay k muzr nahi he to zaroori he k wo roza na rakhay.
2)Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1713, 1674) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8072
Mujtahid:
SYED ALI HUSAIN SEESTANI Date:

Question: Slam, Kia mian bivi jb k bivi ka roza hi na ho or mard baghair mani k ikhraj apni bivi sy bos or kiar or chair char kr skta hy jb k usy yakeen ho k mani kharij nahi hogi?

Answer: 1)mani nikalnay k iraday k bagair missal k toor per apni biwi se chair ahar ya hansi mazaq karay aur ose itminan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albetta agar ose etminan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
2)mani nikalnay k qasad k bagair insane apni biwi ka bosa lay ya koi shawat angaiz kaam karay to ye makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576, 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8089
Mujtahid:
due band Date:

Question: roze ki halat me agar ahtlam ajaye to kia roza toot jayega? aur roze me ghusal ka tareeqa bataden?

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1)Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2)Ghusl e janabat kartay waqt ki mustahib dua.
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين
واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
3)Ghusl ka tareeqa :
Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).

Print

Id:
8247
Mujtahid:
Muslim Date:

Question: Aslam o alaikum!p Mera aap ye sawal hai k rozay me tooth paste kr sakte hain ya nahi?

Answer: Agar paste jan boojh kar halaq me na pounchay to koi haraj nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza, ques # 170, pg # 83) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8248
Mujtahid:
Date:

Question: agar roza ki halat mein sote hue itlam ho jae to kiya roza toot jata hai

Answer: Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8282
Mujtahid:
Date:

Question: kiya roze ki halat main paste burush kar sakte hain ??

Answer: Agar paste jan boojh kar halaq me na pounchay to koi haraj nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza, ques # 170, pg # 83) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8285
Mujtahid:
Roza Date:

Question: Assalamalikum mera sawal ye hai ki kay roze me dadhi karte wakt blade se kat jaye aur khoon nikal aaye to kay roza tut jata hai?

Answer: 1) Jee nahi khoon nikalnay se roza batil nahi hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553).

2) i) Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi naiz ethiat e wajib k toor per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255)
ii) DARHI is had tak hona tu wajib hay ke urf(awaam) mein issay dari kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8292
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi ko flue ho aur woh resha nigal le tou kia us ka roza toot jata hey plzzz rplyyy me

Answer: Sar aur seenay ka balgham jab tak moo(mouth) k ander walay hissay tak na pounchay ose nighalnay me koe haraj nahi laikin agar wo moo k andar aa jay to ethiyat e mustahab he k ose na nighla jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1561) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8293
Mujtahid:
usmane ghani Date:

Question: roze me khushbu soogh sakte hai ki nahi samjhaiye

Answer: Rozay main khushboo soongh sakhtay he magar khushboo dar jari’botian soonghna makroooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza, ques # 172, pg # 83). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8346
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salam Wlaikum.. Sir mein Glasgow mein rehta hun yahan sehri abot 02:45 per hoti hay & aftari 21:45 per agar mein raat mein 12 bajay neet ker kay so jauu kya yeh sahee hay ya sehri kerna farz hay.

Answer: Insan ramzan ki har raat ko is se aglay din k rozay ki niyat kar sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1532) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8354
Mujtahid:
Date:

Question: dahri mundwane ya katwany say roza totta hay ya nahi

Answer: 1)Darhi katwanay se roza batil nahi hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)
2)Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi naiz ethiat e wajib k toor per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255)
3)DARHI is had tak hona tu wajib hay ke urf(awaam) mein issay dari kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8364
Mujtahid:
Date:

Question: roza ki halat main agr ikhtalam ho jae to kai roza toot jata hai..

Answer: Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9098
Mujtahid:
ramzan Date:

Question: ramzan ke roze rakhna kis umar se farz hai.

Answer: 1. Larki 9 qamari (chand waly) saal pyray karnay k baad baligh hoti hai.
Larkay kay baligh honay ki 3 alamatain hain :
1) Naaf k nichay aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana 2) Mani ka kharij hona 3) Mashoor ki bina per 15 chand wale saal ka poora hona 4) chahray aur hoto per sakht baalo ka aana (jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray shari ahkaam wajib ho jatay hain (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail 31st Edition,Maslah #2215,2216)
2. Jab larka ya larki baligh ho jaay to un per roza rakhna wajib hai lekin agar baligh na ho to mustahib roza rakhnay ka irada kar liya ho to is surat me ehtiat-e-mustahib ye hai kay is rozay ko pura karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail 31st Edition,Maslah #1543 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9278
Mujtahid:
Date:

Question: QAZA ROZAY KI NIYAT KYA HAI? SHUKRIYA.

Answer: Zaroori hai ke ap ye jaante hon ke jo ap roza rakh rahain wo qaza roza hai or baarga e ELAHI main apne zillat ka izhar karne ke liye aazaan e fajar se magrib tak mubtilaat e roza se perhaiz kare ge. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1531 , 1536) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
11906
Mujtahid:
Date:

Question: Khubsurati pane r gora rang pane,naukri r inteligency ke liye roza rakhna jayaz hai kya

Answer: Rozay main dosri ibadato ki terah qasd e qurbat zarori hay.yani khuda ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay roza rakha jaay.Pas jo logo k dikhanay ya isi terah k kisi or maqsad {jaisa k aap ne biyaan kiay hain} k liay roza rakha jaay tu roza batil hoga. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#930,934,1531 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14737
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Sir, My Mrs is pregnant and she is under her 2months pregnancy period. Her doctor recommended her to take meal and drink after every few hours. So she still has to observe fast? Or she has option to leave her fast for now and do kazah later? Please reply to this on your earliest possible time. Jazakallah Khair.

Answer: Fasting is not obligatory on a woman in advanced stage of pregnancy, for whom fasting is harmful or for the child she carries. For every day, however, she should give one mudd of food to poor. In both the cases, she has to give qadha for the fasts which are left out. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14742
Mujtahid:
Date:

Question: Meri walida bemaar hain aur roza nahi rakh sakti. Please mujhay bataain keh roza tarak karanay ka fidya kia hay?

Answer: Agar aap ki walda waqti tour par beemar hain to unhain chahae k aglay saal say pehlay(aainda ramzan) is rozay ki qaza kar lain aur fidya wajib nhi hota hai lakin beemari door honay k bawajood jan booj kar rozay na rakhain to phir fidya wajib hota hai lakin agar beemari ki wajah say ramzan k rozay na rakhay aur beemari aainda ramzan tak lambi ho jae to jo rozay unhonay na rakhain ho un ki qaza wajib nahi ho gai lakin zaroori hai k har din k badlay (jitney rozay na rakhain ho ) aik mudd toam(gandum, roti wagira) faqeer ko dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1674-78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14787
Mujtahid:
Date:

Question: Salam.mera sawal yeh hai ki kya muh(mouth) ka thukh nigalne se roza batil hota hai

Answer: Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hato hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print