Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Rozay Ke Ahkam (310 Questions)


Showing 150- 200 questions from 310 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
49487
Mujtahid:
roza Date:

Question: Assalam o alekum mujhe ye puchna tha ki ramzan ka roza (aftar ke bad) kholne ke bad raat me biwi ke sath sex kar sakte hai ki nhi

Answer: Raat me sex kar sakte hai laikin waqt fajar se phele ghusl janabat kar lena zarori hai. (ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49891
Mujtahid:
N/A Date:

Question: Aoa, contact lens pehanny sy roza par kya asrat hain.....

Answer: Lens pehannay sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
50271
Mujtahid:
Date:

Question: Agar hum roze ki halat mein bhoole se pani pi len tu kia yeh roza qabool ho ga ?

Answer: Agar rozaydar galti sai koi cheez kha lai ya pi lai to is sai roza batil nahi hota hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1556)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50601
Mujtahid:
Date:

Question: assalam..... mera sawal ye hai k ...kya halat e roze me ser k baal kaat skty hai.? rply jaldi dijei plzzzz

Answer: Gee haan kaat sakte hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50653
Mujtahid:
Dont Know about it Sorry Date:

Question: Asalammualim. mera aapse sawal hai ki agar iftar honey kay baad mard mani nikale to kya uska roza rehta hai ya toot jata hai.agar toot ta hai to nafsiyaat par kaise kaabo payi..please answer me really needed.....

Answer: Agr iftaar ka waqt honay k baad mani nikali jai tu is say roza batil nahi hota. Laikin istimna kerna gunah e azeem hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #befr1531+ ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #30). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50674
Mujtahid:
Date:

Question: assala ailikum,janab mera masla Yeh hay k mera roza mein stomach mein gasses ka bohut shadeed derd utha aur mere zaban aur halq bilkul khusk ho gaie.aur poora jism dhanda per geya.vomiting bhe ho gaie .2 gante bardasht keya laikin Jub na qable bardasht ho geya to roza 11 baje say phele toor deya aur pani pee leya laikin poore din kuch khaya nahe.mein suger patient bhe hoon8.ab masla Yeh hay k KIA mujhe is roza ka qaza rukhne ho ga ya kaffara bhe ADA kurna ho ga.aur woh KIA ho ga .

Answer: Agar rozedaar ko itne payaas lage k ise payaas se marjane ka khof ho ya ise nuqsaan ka andesha ho ya itne sakte uthani pare jo is k lye naqable bardash ho to itna pane pisakta hai k in umoor ka khof katam ho jaay balke agar mout aur is jise chease ka khof ho to pani pina wajib hai .laikin is ka roza batil ho jaay gha aur agar ramzaan ho to ehteyate lazim ki bina per zarore hai k is se ziyada pani na piye aur din k baqi hissa me wo kaam karne se parhaaz kare jis se roza batil ho jata hai. (Laikin ramdan k baad aghle ramzaan se phele is roze ki qaza zarore hai)(Ref: Ayatullah Sistani (d.b), Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1562,1675)

Jis shaks k lye roza rakhna shadeed takleef ka baais ho is per roza rakhna wajib nahe hai laikin zarori hai khar roze k badle 750 gram gandom ya roti waghera faqeer

Agar kohi bemari ki waja se ramzaan k roze na rakhe aur us ki bemari aainza ramzaan tak lambi ho jaay to jo roze us ne na rakhe ho un ki qaza wajib nahe hai aur zarori hai k har roze k leye 750 gram gandom ya roti waghera faqeer de.
Agar insaan ka maraz chand saal lamba ho jaay to zarori hai k tandorus ho jane k baad aakhari ramzaan k chutey hohe rozo ki qaza baja lahe aur is se phele saloo k mahino k har din k leye750 gram gandom ya roti waghera faqeer de . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1696, 1674,1678 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50709
Mujtahid:
Date:

Question: kya subh ki azan k sath roza band krna jaiz ha ya azan se phly krna zrori h

Answer: Jise he insaan ko itmenaan ho jay k (waqt namaz) fajar ho chuki hai use waqt insan per roza band kardena wajib hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, hissa ,roza, sawaal # 7, pg # 19)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50776
Mujtahid:
Ayatullah Sistani (r.a) Date:

Question: Assalam-o-Alekum, Sir men Ramzan shuroo honay say din 3 pehlay yahan aya tha, abhi logon say jan pehchaan bhi nhi hui thi k Ramzaan shuroo hua. Men nay Shabaan k akhri din Ramzaan k rozay ki niyat say Sehri kr li Dopehr ko maloom hua k aaj to shabaan ka akhri din hay, men nay roza khol liya or aglay din say Ramzaan k rozay rakhna shuroo kr diye. Plz btaen k mujhy is rozay ka koi kaffara ada karna paray ga ? Or ek din mery sehri 2 minute late close hui. is k bary men bhi bata den. Shukar Guzaar hon ga.

Answer: Wssalam o alykum,ager ap ne shabaan ki aakri din ramdaan ke roze ki niyat se is waja se roza rakha ke ap ko ramdaan shuroo hone ka itminaan tha or dopehar main maloom howa ke ramdaan kal se shoroo hain to ap per kuch wajib nahi hai, or ap ka ye roza batil hai.

Print

Id:
50864
Mujtahid:
Date:

Question: agar roza ki sehere karna bhool chuke tho marad ya aurat ko kya karna hy?

Answer: Agr aap ne raat ko roze ki niyyat nhi ki thi or ap zuhr se pehle pehle uth gaye the, or uth`te wqt roze ki niyyat krlen to apka roza sahi hai, or agr namaz-e-zuhr k bad uthen hen zaroori hai k ihtiyat krte hue qurbate mutlqa ki niyat se baqi din apne apko roze men rakhe or us din k roze ki qaza bhi kre, lekin agr ap ki niyat thi roza rakhne ki or agr ap subah sehri k liye nhi uth paye to koi msla nhi q k sehri krna wajib nhi ap din k kisi bhi hisse men bedar ho nap ka roza sahi hai lekin agr apne sehri pr na uthne ki waja se roza khtm krdiya , to phir is soorat men faqat is roze ki qaza wajib hai ap pr koi kffara nhi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msal#1535_1625). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50865
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi ankh dair se khuly k rozy ka waqt nikal gaya o...or att paira roza rakhny ki istat na ho to kafara kia e????

Answer: Agar raat ko roze ki niyat nahi ki thi or aap zuhr se pehle pehle uth gaye thay, or uth`te waqt roze ki niyat karlen to apka roza sahi hai, or agar namaz-e-zuhr k baad uthen hen zaroori hai k ehtiyaat kerte hue qurbat e mutlaq ki niyat se baqi din apne aap ko roze men rakhe or us din k roze ki qaza bhi kare, lekin agar aap ki niyat thi roza rakhne ki or agr aap subah sehri k liye nahi uth paye to koi masla nahi q k sehri kerna wajib nahi ap din k kisi bhi hisse men bedar ho nap ka roza sahi hai lekin agr apne sehri pr na uthne ki waja se roza khtm krdiya or waqai men ap k andr ist`taa`t nhi thi k roze ko jari rakh saken or ap k liye mushkil or zarar ka ba`ais bhi tha to phir is soorat men faqat is roze ki qaza wajib hai ap pr koi kffara nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msal#1535_1659) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50969
Mujtahid:
I dnt understand it sory Date:

Question: assalamulaiqum ,sir mera sawal yeh hai k rozy ki halat ma agr koi kisi ko gali dy de tou kia roza tot jata hai ya makro hojata hai ,??

Answer: Gee nahi, roza batil nahi hota or laikin ahdees main gali dainay ko mana kia gaya khaas taur per halat e roza main. Albatta chonkeh roza sirf is cheez ka naam nahi hia k insan subah se leker sham tak bookha or piyasa rahay, balkeh quran men hai k roza is liye wajib kai gaya takeh muttaqi ban jaen, or mutaqi afraad ki alamt hi yahi hai k wo khuda se darte hue wajibaat ko anjaam dete or gunahon se bachte hen, is hawale se roza nah sirf pet ka hai balkeh insan k jism k her hisse(aankh,kaan,zehn,zaban) ka bhi roza hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553-1629+ ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen1,part#, maslah #1013) .(Quran Majeed, Surah Baqrah, Ayat#83). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50985
Mujtahid:
Date:

Question: Ramzan ke mahine me kab intercorce kar sakte he aur kab nahi......

Answer: Ramzan men halat-e-roza k elawa mean maghrib k baad se le ker fajar ki azaan se pehle pehle tak agr intercrorse kerna chahay to koe harj nahi hai jiaz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaj-ul-saliheen, maslah #5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50993
Mujtahid:
roza Date:

Question: agar sehri time jag late ay yani roza bend honay k 15 mint bad or kush bhi khay piay bagar neat ker li jay to kia roza ho jay ga.

Answer: Jo shakhs ramzan k rozon or isi tarah wajib rozon men jin k din moyan hen roze ki niyat k bagher sojaye or sehri men na uth paye lekin zuhur ki azaan se pehle pehle uth jaye or roze ki niyat kerle to uska roza sahi hai albtta agar azaane-zuhr k bad uthe to zaruri hia k ehtiyaat kerte hue qurbat mutlaqa ki niyat se baqi din khud ko roza batil kerne wali chizon se bachaye or us din k roze ki qaza bhi baja laye, lekin agr wo raat ko niyat kerte hue sajaye is irade se k subah roza rakhega or phir sehri per n uth paye to phir wo din ko kisi nahi waqt uthe uska roza sahi hia. Lehaza ap ka roza sahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1535). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
51701
Mujtahid:
Ayat Ullah Ali Sistani Date:

Question: agar ham kisi aisi aftaar party main invite hain jahan sab log ahle sunnat hain or wo10-12 minute pahalay roza aftaar kar laitay hain or sirf 1 shaks Jafri hai tu kia wo un kay sath zroza aftaar kar sakta hai ya 12 min intizaar karay or shia timing ko follow karay.

Answer: Shia timmings ko follow krna zarori hai.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition,maslah #1531). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
53831
Mujtahid:
Date:

Question: Agar hm shary Me nhi uth sake but fazer ki namaz se phele uthe hai to kya hmara roza mana jyega

Answer: 1) Insan ramzan ki har raat ko os se agle din k rozay ki niyat ker sakta hay. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#1532).
2) Jo shaks ramzan k rozo or isi terah wajib rozo main jin k din moayyan hain roze ki niyat kiay baghair azan e subah se pehle sojaay agar wo zuhur se pehle baydaar ho jay or roze ki niyat kare tu oska roza sahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1535) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53946
Mujtahid:
Date:

Question: assalam u alikum , boy par roza kab farz hota ha

Answer: Jab larka baligh hojaye to us pr tmam ahkamat islami lagu hojate hen jese namaz, roza or isi tarh ki dusri tmam ibadat, or agr ramzan men larka baligh hojaye azan subah se pehle to zaruri hai k roza rakhe or agr azan subah k bad baligh hojaye to us din ka roza us pr wajib nahi lekin agr mustahab roza rakhne k irada krliya ho to is surat men ehtiyate mustahab ye hai k us roze ko pura kre.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah #1543).Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye

Print

Id:
54048
Mujtahid:
Date:

Question: agar roze ki halat main koi gulucoz ya khoon chadhwale to uska roza toot jaata hai hey ya nahi?

Answer: Is se roza nahi tootta. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1557 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
56194
Mujtahid:
Date:

Question: sar ko oil laghna mana hai roza ke halat ma ya ni

Answer: G han oil lagana roze men jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1554 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56196
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, During fasting can we allowed to do brush using toothpaste

Answer: Wssalam o alykum, it is allowed but you can not eat toothpaste. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1554 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA sir mujh ko Boht likoriya Hy Kya as se Roza rehta Hy or me napak tu nai rehti

Answer: Wssalam o alykum, likoriya se roza nahi tootta or paak bhi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553).

Print

Id:
56215
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: mera sawal y h k roze ki halat me nakhun kat sakteh kya aur mujhe aapke option Mujtahid-e-Taqleed ka means samjh nhi aaya isliye me mene first option select kr diya iska mtlb bhi samjhaye Shukriya

Answer: G han kat sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553).

Print

Id:
56227
Mujtahid:
Date:

Question: Roze ki halat main ghusal karne ka akhiri waqt kya hai.

Answer: Zarori hai ke Azaan e Subha se pehle gusal kar lain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # before 985 , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o alikum Mufti Saab ,, please muje jana hai ke Roza rakha ho or apni hone wali bivi k sath sexy batain karey to mani k katrey aye to kya us se Roza toot jata hai pleae ans me , Shukriya

Answer: Wssalam o alykum, ager hone wali bivi se ab tak nikah na howa ho to is terhan ki baatain karna jaiz nahi hai, Or ager mani ke na-nikalne ka itminaan o yaqeen na tha to roza batil hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1576 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salamun aleykum mera sawal ye hai ke aaj mera roza haoi subh tk me paak thi haiz se farig ho gue thi pr kreeb do bjey thoda sa blood aa gya btaye meta roza hai ya nhi shojr khteu hai roza pura kro maa khte hai roza batil ho ggya plz jald jwab dejye

Answer: Wssalam o alykum, ager 2 baje aane wala koon koon e haiz hai to roza batil hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1612 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56279
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam u alaikum, mera ye problem hai k roze ki haalat me mujhe lower abdomen me jalan hota hai aur barik barik money k khatre nikalte hai . kya is ki wajeh se roza toot ta hai

Answer: Wssalam o alykum,G nahi is se roza nahi toot`ta. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #1570 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56284
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera sawal ye ha ke mje pta to ha ke mani ke nikalne se roza tootjata ha.........lakin roze ke doran kisi lerki ko kiss kerne se mani ka aik katra nikal aya,,mje ye maloom nai tha ke mani nikal ae gi lerki ko kiss kerne se..per aik katra nikal aya..to is se roza toot geya yan na

Answer: Ager kiss karne se pehle ap ko is ke na-nikalne ka yaqeen o itminaan na ho to roza batil hai, or qaza o kaffara wajib hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # after 998 , eidition # 1st). Ager wo larki apki zoja nahi hai to ye kaam haram o guhnaah e kabeera hai. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56584
Mujtahid:
Date:

Question: roze me kuch log saher karke sote aur magrib me uthte kya ye roza hoga

Answer: Jee haan, Agar roze ki niyat ker k so jain or maghrib per uthain tu bhi Roza sahi hai. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani, Masla#1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56601
Mujtahid:
Date:

Question: Asslamwalikum Ramzan ke Month me Night Apne Bv se Sex Karna Jaiz hi ya nahi?

Answer: Ramzan ki Raato mai jima karna jaiz hai lekin Ramazan ki pehli Raat(Chaand raat) me biwi sai jima karna mustahab hai. (Ref: Minhaajus Saaleheen Ayatullah sistani (d.b) part #03 Masla #05)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56611
Mujtahid:
Date:

Question: Kia begair sehri kiye roza rkha ja skta????sehri k Lea ankh no khuli n uska time guzar gya

Answer: Jee haan Sehri k baghair roza rakha ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1531)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56613
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: kya ramzan mai biwi k sath sex krna chahye ??

Answer: Ramzan ki Ratoo mai jima karna jaiz hai lekin Ramazan ki pehli Raat(Chaand raat) me biwi sai jima karna mustahab hai. Ramzan k Rozay ko jaan bhooj kar Jima aur Janabat par baqi rehnay ki wajah se Roza batil ho jata hai. (Ref: Minhaajus Saaleheen Ayatullah sistani (d.b) part #03 Masla #05)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail, Maslah #1630)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56664
Mujtahid:
Date:

Question: Roozay may thook peena Makroh hay ya , Batil hay Ya Roza toot jata hay???By Ayat-ul-allah Khamnai

Answer: Thook nigalne se roza batil nahi hota. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1560 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56685
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Me napak hu or me ghar 12 baje tak jaunga toh kya me roza rakh sakta hu

Answer: Ager Azaan e Subha se pehle gusal e janabat nahi kar sakte (yani wazu krna mumkin na ho) to tayammum karain, or ager ye bhi na karian to roza batil hai, qaza o kaffara dono wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1594 , 1596 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56715
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Salam , Ager Roze me kisi se mustribtion hojae to kya us se iska roza toot gaya is ko kya karna parega Kindly reply .

Answer: Wssalam o alykum, ager jaan booj ke kiya hai to roza batil hai, or qaza o kaffara wajib hai, or ager mani sote main ya kud ba kud nikal jaae to roza sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1569 , 1570 , 1630 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56733
Mujtahid:
Date:

Question: Meray mo may zakhm hay... rozay ki halat may agar may zakham par marham lagalo to is say roza batil ho jata hay?

Answer: Ager lagaya howa marham nigal lain to roza batil hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1554 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
58738
Mujtahid:
Date:

Question: manat maney hoy rozey ke doraan agar shoher janabat k lia bulae aur phir janabat ho jae ,to us roze k bare me kia hokem h

Answer: Roze ki haalate me jima (humbistri ) karne se roza batil ho jaata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) Agar aurat shohar se ijazat lie beghair in kaamo me nazar ( mannat ) mane jo shohar k hoqooq ( maslan jima ) k manafi ho to nazar ( mannat) sahe nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2607 ) agr aurat k mustahab roza rakhne se shohar k haq lazat( jima) ki haq talafi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hai.ye he hokum wajib ghair moaiyan maslan ghair moaiyan nazar( mannat ) k roze ka hai aur is surat me ehteyaate wajib ki bina per roza batil hogha aur nazar( mannat) bhi puri nahe mane jaay ghi . ye he hokum ehteyaate wajib ki pina per is waqt hai jab shohar , aurat ko mustahab ya ghair moaiyan nazar( mannat) ka roza rakhne se mana karde , chahay is se shohar ki haq talfi na bhi hote ho (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1710)

Print

Id:
59559
Mujtahid:
Date:

Question: nafli rozy main bhol kar koi cheez kha li jaye to roza toot jata hai?

Answer: Agar roze dar galte se kohe chease khale ya pi le to is ka raza batil nahe hota . (ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1556 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61853
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Namaz e Fajar parhne k baghir Nafli Roza rakha ja skhta hai?

Answer: Roze se muraad yeh hai ke khuda kay farman ki takmeel kertay hoy azaan-e-subh se maghrib tak 9 mubtilat-e-roza se perhaiz kia jay(Ref: Tauzeehul masail ,Ayatullah Khoi, Maslah#1559)
Namaz perhe baghair bhi roza durust hay. (Ref: Tauzeehul masail ,Ayatullah Khoi, Maslah#1569) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Note: Wazeh rahay ke wajib namaz tark kerne ka gunah mile ga or roze ka kaseer sawaab bhi nahi mile ga.

Print

Id:
65673
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: I want to ask if anyone is drunk before the Holly month of Ramzan, to kya wo 40 din sy pehly rozy rakh sakay ga. Plz answer me.. Thank you

Answer: Is per bhi ramzan k roze rakhna wajib hain. (Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1026 se qabl , pg#421). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65677
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya roze ki halat men main apni 9 month ki beti ko feed karwa sakti hon

Answer: Jee haan, jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1700). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65679
Mujtahid:
Date:

Question: Roja ki din fajar ki ajaan suna tak kuch kha sakte hi kya

Answer: Jee haan azan e subah tak insan k liay khana peena jaiz hay laikin is baat ka yaqeen zarori hay k azan waqt per ho rahi hay. or ye yaqeen kerne k liay k k is tamaam waqt main insan roze se raha zarori hay k kuch dair azan e subah se pehle or khuch dair maghrib k baad bhi aise kaam kerne se perhez kare jin se roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1531). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65684
Mujtahid:
Date:

Question: agar mujhe piles hai tho mein roza rakh sakta hu ki nhi? or agar rakh liya hai tho or latering ke sath blood aa rha hai tho mera roza tut jaiga ki rhega. or namaz ada kar sakta hu ki nhi?

Answer: Piles main bhi roza rakha jasakta hay or pakhanay main khoon aane se roza nahi tut,ta or namaz bhi perhi jasakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 20-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65759
Mujtahid:
Date:

Question: A o a. main ak non musliam fimaly se taluk rakhta hun.main pakistan ka rekhne wala mujy islam mazahb buhat pasnd hai.inshALLAH main jhald daira e islam main hona chahta hun.mujy ye janna hai k main roze rakhta hun namaz sikh raha hu apne dost se. Main abi islam qabool ne kiya,kya mare rakhe howe roze fazol jarahy hain .kya ak n

Answer: Roza sahi hone k liay islam ka hona zarori hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 1026 , Eidition 1430 hij). Update on dated 22-06-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam kya roza magrib nd isha prhny k bad iftaar krna sahi hy ya roza makrooh hojaega

Answer: Rozedaar k liay mustahab hay k roza iftaar kerne se pehle maghrib or isha ki namaz perhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1720). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65783
Mujtahid:
Date:

Question: Kiya subah ke azan ke waqt paani pee sakte hai

Answer: Jee haan azan e subah tak insan k liay khana peena jaiz hay laikin is baat ka yaqeen zarori hay k azan waqt per ho rahi hay. or ye yaqeen kerne k liay k k is tamaam waqt main insan roze se raha zarori hay k kuch dair azan e subah se pehle or khuch dair maghrib k baad bhi aise kaam kerne se perhez kare jin se roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1531). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65991
Mujtahid:
Date:

Question: roza kitne saal se farz hai

Answer: Jab lerhka or lerhki baligh ho jaen tu roza rakhna wajib hojata hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1036 , Eidition 1430 hij). Update on dated 27-06-2015.Update on dated. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66115
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Can we Aftar with Ehle Sunat on some occusion i,e in offices or friends etc

Answer: No, you must do iftaar at your Iftaar timing. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1531). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66460
Mujtahid:
Date:

Question: agar koi insaan roza rakhnay kay liye sehri tab kare jab azaan ho rahi ho to roza wajib ho ga??????

Answer: Farj se leker maghrib tak mubtilaat e roza se perhaiz kerna zarori hay (Ref: Mafhoom e http://www.bahjat.org/index.php/ahkam-2/jame/597-2011-09-07-13-29-41.html ). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71790
Mujtahid:
Date:

Question: Agr roza ki halt mein ehtilam ho jaye roza toote ga ya ni Aur han ghussul kr k namaz parh sakte hein

Answer: Agar rozedaar ko need me ahtelaam (mani kharij ho jaay) to is ka roza batil nahe hota. Agar kise rozedaar ko din me ahtelaam ho jaey to os ka roza batil nahi hoga, or os per fouran ghusl karna wajib nahi hai balkeh namaaz se phele bhi ghusl kiya jasakta hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1571 ,1605 ). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71792
Mujtahid:
Date:

Question: Mere husband ramzan k rozay nahee rakhtay.kehtay hein sar me dard hota hay jab k mere mutabik unko yeh dard bardasht kar k roza rakhna chahiye.na hi wo ehtram e ramzan kartay hein k chup k khaen bal k rozay dar k agay khatay peetay hein.me ne unko mana kiya hay k mujh se khana mangein. Kya yeh ghalat hay. Un ko kese ehsas ho k roza rakhna ehem hay. Unka poora kgadaan rozay ka ehtaram ni karta or bahano se rozay chorta hay.

Answer: Agar kise insaan k naik baat qabool karne ka ehtemal (chance ) ho to amar bil maroof ( naiki ka hokum dena ) wajib hai aur ghunah se rookna wajib hai .aur agar baat qabool karne ka ehtemaal nah ho to wajib nahi hai laikin ehteyat wajib ye hai k karahat aur naraazghi ka izhaar ghunaghaar k is fail nashaista per kare chahay jaanta ho k wo is ka asar nahi lay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2009 )

Agar kisi ka shohar ramzaan me roze nahi rakhta aur us k paas koi share wajah bhi moujood nah ho aur us ka shohar usay majboor karta hai k biwi us k lie khana tay,yaar kare aur agar biwi aisa nahi kare to us ka shohar biwi ko barha sakht maarta hai aur aurat apne baccho ki waja se talaaq lena nahi chahti to is surat me biwi apne shohar k lie khana tayyaar kar sakti hai laikin us waqt tak khana shohar k saamne paish na kare jab tak nuqsaan ya haraj ka khouf nah ho. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat roza, ques # 165, pg # 82). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72381
Mujtahid:
Date:

Question: Mujhe ap se yeh puchna hai k jais k ap ko pata hai k ramdhan hai to kull main nain gusal e heez krna hai to kya main roza rakh kr baad main gusal kr sakti hoon k nahin plz reply must

Answer: Agar aurat ramzaan me fajar ki azaan se phele haiz ya nifaas se paak ho jaay to waqt namaaz fajar se phele ghusal haiz ya nifaas kar lena zarori hai aur agar wo ghusal karne me laparwaai kare waqt namaaz fajar tak ghusal na kare aur waqt short hone ki surat me tayammum bhi na kare to zarori hai is din ka roza pura kare aur qaza bhi kare . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1614 ) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print