Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Roza (481 Questions)


Showing 300- 350 questions from 481 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
71876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Meri halat bohat kharab hogayi aise laga k ulti ajaye gi tou me ne jaan k thooken pehnki phir ulti agai tou roza. T

Answer: Aap ka roza durust hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, ,Mafhoom e Maslah #1655). Update on dated13-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72242
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: agar gusal karte time brife karte samay galti se pani naak me janese kya roza Toot jata he ?

Answer: Agar galti se pani chala jaay to roza batil nahe hota. (Ref: Ayatullah khoe ,Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1584 ). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
72273
Mujtahid:
Date:

Question: Rozy ke doran brus kia ja sakta he

Answer: Roze ki halat me tooth burush karna jaiz hai haan agar rozedaar toot burush mou se nikaale aur dobara mou me le jaay aur is ki tari nigal le to roza batil hai sewaey is surat k is ki tari luaab dehan me gol mil kar is tara khatam ho jaay k ise behroni tari na kaha jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553,1554). Update on dated 16-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72274
Mujtahid:
Date:

Question: Asslamualaikum mera dawal ye hai roze me ganda sochne se roza toot jata hai ya nahi

Answer: Is se roza nahe toota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam.....aaj subo roza rakh k namaz k baad ma soya tha. Mjy peeshab tez aaya tha par ma otha nai and ma apnay aaza ko bistar par ragarta rha par mera irada ye nai tha k ma muth maron. Achanak mani nikal ai. Kia roza batil hy?

Answer: Agar koi shaks mani kharij karne k irade se mush zani kare aur mani kharij ho jaay to is ka roza batil hoga aur is k zimme roze ki qaza aur kaffara jo k 2 mahene musalsal roze rakhna hai ya 60 masakeen ko khana khelana hai wajib hoga aur agar inzaal (mani kharij hone ) ki niyat se ye amal anjaam de magar mani kharij na ho to ise chaie k qurbat mutlaqa ki niyat se is din k roze ko mukammal kare aur baad me qaza bhi baja laae aur agar koi shaks ye amal anjaam de laikin is ka irada inzaal (mani kharij karna) na ho aur na is ki ye aadat thi k fouran mani kharij ho laikin srif inzaal (mani kharij hone ka) ahtemaal deta tha aur inzaal (mani kharij ho jaay) to is shaks per is din k roze ki qaza wajib hoghe kaffara wajib nahe hoga aur agar ise mukammal wusooq (itmenaan ) tha k mani kharij nahe hoghe laikin itefaqan mani kharij ho jaay to is surat me roze ki qaza bhi wajib nahe . (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 110 , pg # 90, eidition 5). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72289
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-0-Alaykum, mira sawal ye hay k may subah k time outa 50% neend may ta our achanka mira hath miri pians tak ponch k miri mani nikal gaye jisi niklay to may bohot khafa howa k ye kya ho geya mujih say..our may out k ghusal keya 2 rakat sowaltot toba keya ... kya miri roza tot geya? Our ik our baat k may ous time bilkul nahi samja our ye kam ho geya mujih say? Agar roza tota hay to assan sa kapara bataye plassss i feel too much hurting.

Answer: Agar rozedaar ko neend me ahtelaam (mani kharij ho jaay) ya beikteyaar mani kharij ho jaay to is ka roza batil nahe hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571, 1570). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72290
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: kya pani nahatey hoey galty sey haluq sey neechy ik dum uter jayey to kya roza toot gya??? mery

Answer: Agar galty se pani halaq tak pouch jaay to is se roza batil hai. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1584). Update on dated 14-07-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72336
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Roza ki halat ma intercourse

Answer: Roze ko batil kardeta hai. (Ref: Ayatullah Khumeni,Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1569 ) Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72364
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa mujha aj sa pehla nahe pta tha k roza mai handpractice krne sa roza tut jata to kya meray rozy tuty ho gy ya nahe or in ka kafara kya ho ga?

Answer: Agar aap ko pukhta yaqeen ho k handpractice se roza batil nahe ho ga to aap per kaffara wajib nahe hai laikin qaza karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1630, 1631) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72365
Mujtahid:
Date:

Question: Kya shoe polish sungny sy roza tut skta hy?

Answer: Nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81789
Mujtahid:
Date:

Question: Maine Ramadan ka qaza roza rakha or wazu karte waqat galti se pani mere halaq main chala gaya to roza tooth gaya

Answer: Nahi , aapka roza sahi hy. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1556). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82327
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o Alaikum. Piles ki wajah se khoon nikaljane se roza makru ya tuth jaata hai kya

Answer: is say roza batil nahi hota or makhrooh bhi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzi hul masael, Mafhoom e Maslah #1553, 1629). Update on dated 24-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87093
Mujtahid:
Date:

Question: Mera roza tha lakin mje majboori ke waja se handi mein namak check krna phar gaya lakin halak se neachy nhi janaye diya kya mera roza toot gaya

Answer: Aap ka roza sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1563 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90157
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar pak hony bad ek qatra bh khoon ka ajye tu kya roza tot jta hai?

Answer: Agar roze k doran khoon e haiz aajaey tu roza batil hojata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1612). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90160
Mujtahid:
Date:

Question: Roza ki halat ma mushth zani sa roza par kya asar partha ha

Answer: Agar rozadaar Istimna ya mushtzani kare tu os ka roza batil ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1669). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90163
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: naswar rozay mai rakhna sy kia hota hai

Answer: Niswaar faqat monh main rakhne se roza batil nahi hota balkeh roza sirif os waqt toatay ga jab niswar ya os ka arq(rus) halaq se nechay chala jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1554). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90164
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AOA SIr Mera Question Yeah Hai kay Rozay mein Agar naswar rakhi jaye to kaya roza tot jata hai ya nahe..

Answer: Niswaar se roza os waqt toatay ga jab wo ya os ka arq(rus) halaq se nechay chala jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1554). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90165
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar ak shaks roza rakh ka so jaya aor atlam ho jays to roza tot jata ha

Answer: Agar rozadaar roza rakh ker so jaey or din main ehtilam ho jaey tu os ka roza batil nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1571). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90327
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam aleikum. mera sawal yeh hai ki ramzan me fajr ki namaz parh ke sota hun sote mei mani nikal jaae to roza mana jaaega aur zusl kab jaawib hoga.

Answer: Roze ki halat main ehtilam hone se roza batil nahi hota, or namaz perhne k liay ghusl e janabat wajib hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #356,1571). Update on dated 24-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90436
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr roza ki halat main biwi se humbistri kar le to roza to toot jata hai lekin kia is ka kufara dono mian bowi ko apna apna ada karna hoga ya sirf husband ko?

Answer: Agar rozedaar ramzan main apni rozedaar bivi se jima kare tu agar os ne bivi ko majboor kia ho tu apne roze ka kaffara or ehtiyaat ki bina per zarori hay k apni bivi k roze ka bhi kaffara day or agar bivi jima per razi ho tu har aik per aik aik kaffara wajib ho jata hay. (Ref: Update on dated 27-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90548
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum Mera swal ye hai k rozy ki halat mein kisi na mehram k sath romance krna or Mani ka kharij ho jany sy roza rhy ga k nhi kindly tell me

Answer: Agar rozedaar mani nikalne k irade k baghair kisi aurat se cheerh chaar or hansi mazaq kare or osay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey ,tu os ka roza sahi hay, albattah agar osay itminaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1576). Update on dated 30-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Namehram se muhabbat ka izhaar kerna jaiz nahi hay.

Print

Id:
90598
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam Aagha.. Mera sawal yh hai k shohar or biwi phone py bat kr rhy hain rozy ki halat mai..or jima krny ki bat krny sy manni kharij ho jay or yh yakeen na hu k roza batil ho jay ga aisa krny sy tu uss k liye kya hukam hai Aagha.. Kya roza thek hai? Agar nahi tu kya hukam hai uss k liye??

Answer: Agar rozedaar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni bivi se chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey, os ka roza sahi hay, albattah agar osay itminaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1576). Update on dated 31-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90599
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Kya roze ki halat Mai naak Sy khoon anaa (Nakseer) Sy roza batil ho Jata hai ya Nahi?? Or Aksar Nakseer k baad balgam Mai khoon ataa hai Iss k bary Mai Kya hukum ho ga ??

Answer: Roze main naak se khoone aanay se roza batil nahi hota. Roze ki halat main balghan nigalna tu jaiz hay laikin agar os per khoon bhi laga ho tu phir nigalna jaiz nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1553,1561,1555). Update on dated 31-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90662
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam mere do sawal hain 1) kia roze ki halat mein cigarette pena jaiz h? 2) aj kal jo perfumes atey hyn ya body sprays un mein Alcohol hti h to kia wo lga kr namz parhna jaiz h?

Answer: 1-Ehtiyaat e wajib ki bina per roze daar sigrait or tambako ka dhuaan halaq tak nah pohchaey. 2- Sanati or tibbi alcohol ki tamaam aqsaam paak hain. Is laiy alcohol wala perfume laga ker namaz perh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1587,109). Update on dated 02-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90665
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr Roxy ke halut me phone py bv se rumance krty huy bht shewat Ajay or mushtzani ho jay (hlaky mushtzani is irada blkul be na ho)tokiaa roza tooty ga or Kia ispy kafara or qaza hoga????

Answer: Roze ki halat main mushtzani kerne se roza batil ho jata hay,or rozay ki qaza or kaffara wajib ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1569,1630). Update on dated 02-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90760
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia rozy ki halat mai thok py skty hai

Answer: Rozedaar k liay roze main thook peena jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1560). Update on dated 05-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
94820
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-23

Question: Kiya khoon nikalne se wazu toot jata ha

Answer: Jee nahi khoon ka nikalna mubtilaat e roza mai sai nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322).
[Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95313
Mujtahid:
Date: 2019-04-12

Question: Aoa. Test k lie blood sample dene se roza jaaiz hai k batil? Blood donate krne se roza baki rehta hai? Jazak Allah Al Khair

Answer: Khoon denay say roza batil nahi hota hai albattah agar kamzoori ka bais ho to rozay dar k lie makrooh hai, aam tau per sample k liay khoon daine se kamzoori nahi hoti Q k sample k khoon ki miqdaar bohot hi kam hoti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition# 41, maslah #1629)
[Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95350
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-12

Question: salam , mainy 3 shaban ki shab ko mustahib roza rakhny ki niat ki pr subah uth kr nashta kr lia galti sy ,phir kuch dayr main yad aya k mera mustahib roza tha ,ab mujhy kia krna chaheye?

Answer: Galti sai agar khaa liya tou roza baatila nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#1556).
[Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95520
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-20

Question: roza ki halat main maan bachy ko doodh pila sakti hay ya nai

Answer: Jee pila sakti hain, is sai roza baatil nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#1553)
[Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95584
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-23

Question: Kia insulin sy Roza toot Kaye ga

Answer: Jee nahi insulin sai roza baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#1557).
[Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95603
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-23

Question: Soye howe talam ho jaye rozay ke halat mae kya roza es say toot jata hay ya nhi

Answer: Jee nahi ehtilam se roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton#41, maslah#1570,1571).
[Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96012
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera sawaal ye hai mera Dost hai wo Roza rakhta hai likin woh naswar rakhta hai Toh naswar rakhne se ouska roza tootjata hai? Aur Roza toot jane par kiya karna chahiya?

Answer: Moonh main niswaar rakhne se roza batil nahi hota, roza os sorat main batil hoga jab niswaar k zarraat ya nisawaar ka pani halaq se nechay jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1554). Update on dated 08-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
96067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamoalaikum Mera sawal ye h rozey ki Halat balgam nigalney se roza toot jata h kia?

Answer: Sar or seene ka balgham jab tak monh k andar wale hisse tak nah pohnche osay nigalne main koe haraj nahi llaikin agar wo monh main aajaey tu ehtiyaat e mustahab ye hay keh osay nah nigle. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1561). Update on dated 09-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
96192
Mujtahid:
Date:

Question: Sir age roza rk or bar bar mon main thok ay to wo negal ly to kea roza toot jta hy.

Answer: Thookh peene se roza batil nahi hota. Aap k liay thook phaikna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1560). Update on dated 11-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
96243
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-12

Question: Galti se muth nikal jae tu roza tota ha

Answer: Bay iktihyar mani nikal jaey tu us say roza baatil nahi hota lekin agar ikhtiyaar sai mani kharij ki hai tu qaza k saath kaffara bhi laazim hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1569,1570)
[Updated on 12-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96266
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Roza rehkar sex karste Hai Kya

Answer: Roze ki halat main jima or istimna karne se roza batil ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1554). Update on dated 12-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
96361
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-15

Question: Agr rozy ki halat mai pkhny yani poti se khoon ay to kya roza toot jay ga????

Answer: Nahi, is se roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553)
[Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96368
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-15

Question: Agar roza ma bwi ka sath bestri ho Jaye to Kia hum toba Kar Kay ghusl Kar lay Kia roza rahay ga.. Anjany m ho gaya"

Answer: Agar koe shaks bhool jaey keh roze se hay or jima kare tu os ka roza batil nahi hoga..(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#1568)
[Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96421
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-16

Question: Agar insan per ghusal faraz ho jae to kya wo roza rakhny ke neyat kar sakta ha?

Answer: Ramzan main azaan subah tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai zarori hai k azan subh se phely ghusl karey or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa fiz zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41th edition, maslah#1591, 1630).
[Updated on 16-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-15

Question: A.O.A mera sawal ya ha mery ankh kholi tu sehari bnd hony kay bd 10 mint uper jo chky thy mein ny pani pee lya aur niyat bhe kr lye kya mera roza ho ga

Answer: Aap ka roza baatil hai or q k aap ney jaan bhoojh kar paani piyaa hai is liye qaza k sath kaffara bhi daina hoga.(Ref:Tauzehh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1630).
[Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96432
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-15

Question: Assalam o Alaikum Kiya roza ki halat main hair colour use kar skte hain

Answer: jaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1553,1629). Update on dated 15-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96488
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-16

Question: Assalamualaikum, rozy ki halat men biwi se lipat kar sony k bary mn kea hukm h? Jazakallah

Answer: Agar rozedaar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni bivi se chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey os ka roza sahi hay albattah agar osay itminaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41th edition maslah 1576).
[Updated on 16-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-16

Question: Assalam walaikum roza ka halat ma apna aap thora thora mani nikal jata h kya aasa hona sa roza tut jata h ya fir nii ? Age tut jata h toh iska hukum kya h kya krna chahiya

Answer: wsalam.Be ikhtiyar mani kahrij hone sai roza baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41, maslah#1570)
[Updated on 16-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96585
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-18

Question: Sir jub bhi Mai apni wife ke sath leyta ho tu Pani sa nikal ta hai Kiya ius se gusal farza ho ta hai

Answer: 1 agar aap ko yaqeen hojaey keh wo mani hay to ghusl wajib hojaey ga lekin ik tandrust insan k badan se jab koi ratoobat kharij ho or wo ye na jaanta ho keh pishab hai keh mani ya koi or ratoobat to wo ratoobat 3 sharton k sath mani ka hukm rakhti hai 3 sharait hon ye hen 1 shehwat k sath nikli ho 2 uchal kar nikli ho 3 nikalne k bad badan sust ho gaya ho lekin ager in 3 alamaton men se sari ki sari ya kuch mojood nah hon to wo mani ka hukm nahi rakti yani use mani nahi kahenge (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41, edition maslah 345). wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat sex ubharne pr mard k aalaa e tanasul se kharij hoti hai use mazzi kehte hen or wo paak hai or wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k kharij hone k bad niklti hai use wazzi kehte hen ya phir wo ratoobat jo baz oqat peshab k bad nakalti hai use wadi kehte hen agr in bad wali 2 ratoobaton se peshab mila hua na ho to pak hai (Ref: ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41 edition maslah 70 s no 6499).
[Updated on 18-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-18

Question: Kya mani se roza toot jata hai

Answer: Agar be ikhtiyaar nikle tou roza baatil nahi hota lekin agar ikhtiyaar sai khaarij ki jaaye tou roza baatil hoga baad mai qaza bhi karni hogi or kaffara bhi adaa karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1569,1570)
[Updated on 18-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96648
Mujtahid:
Date: 2019-06-02

Question: Assalam wale kum Mera sawal ye h ki roze k halat me mai sex kiya lekin mai upar upar se hi karna chah raha tha but pura hogaya aur mani nikal gaye aur dusra ye ki kya roze k halat me sex karsakte h ya nai?

Answer: Agar rozedaar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni bivi se chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey os ka roza sahi hay albattah agar osay itminaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref: ayatullah sistani d b tauzeehul masail 39th edition maslah 1576 update on dated 31 05 18
[Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96649
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-02

Question: Agar mani bina kapdon ku lage kharij hojaye aur aadmi bas istenja karke usi halat mai roza rakhle aur namaz Bhi padhle toh kya qusul wajib hone ke baad bhi namaz aur roza hojata hai? Jabke use pata ho ke mani khariz hogayi hai?

Answer: Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai zarori hai k azan subh se phely ghusl karey or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa fiz zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41th edition maslah#1591,1630).
[Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96650
Mujtahid:
Date: 2019-06-02

Question: Assalam u alaikum sir kiya roza ki halat me fahas, gandi movie dekhny se roza toot jata hai ya nahi.

Answer: 1) Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka beghair shewat k dekhna bhi haram hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82).
2) aik taweel riwayat is silsile main aae hay jis ka khulasa ye hay k roze main insan k tamaam azaa parts of body ka roza hona chahiay or ye roza behtareen or qabil e qobool roza hay. (Ref: Ayat ullah Sistani d.b, Minhaajus saliheen part 1 mafhoom e maslah 1013).
[Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96726
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-30

Question: Roza rakh kar kya agar koi ashtama ka petient ho toh kya woh jo ashtama ka pump hota h woh dawa jo sans leke tani jati h kya woh karne se roza tut jata h plz answer me

Answer: Damay ki bimari me istemal hone wala spray inhaler agar dawa ko sirf phephoro lungs tak pounchae yani dawa ko sirf saans ki nali tak pounchae nah k khane ki nali tak to is se roza batil nahi hota hai (Ref: tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b, maslah#1557)
[Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print