Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Rozay Ka Kaffara (61 Questions)


Showing 0- 50 questions from 61 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-21

Question: 1)mairi walda kai 10 sal kai rozay qaza hain,wo rakh nahi saktien us ka kafara kiya hai or miqdar us ki kitni banti hai?

Answer: Agar aurat jaanti ho k Roza us par Wajib hay aur is ki qaza bhi wajib hoti hay aur baghair uzr k Roza na rakhayto us par qaza k saath kaffara bhi wajib hoga aur sirf pehlay saal qaza na karnay ka Fidya bhi dena hoga.Aur Kaffaray k liye 60 Miskeenoo ko 750gm Gandum denaa kaafi hoga Aur Fidya k liye 750gm Gandum kisi Faqeer ko dena kaafi hoga.Aitiyaat-e-Wajib ki bina par Kaffara ka yehi hukum hoga agar wo Jahil-e-Muqassira hoaur Rozoon k mutalliq taraddud main ho.Haan Agar woh Roza wajib honay k baray main na jaanti ho aur Jaahil-e-Muqassira bhi na ho to us par sirf Qaza karna wajib hay.Aur agar us k liye Rozay rakhna mumkin na ho to usay chahiye k wo aisay shakhs ko wasiyat kar jaey Jis par bharoosa ho k Us ki Wafat k baad wo is k roozoon ki Qaza Karwaey ga.

Print

Id:
184
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: salaam, mujh per kuch rozoon ke kaffare wajib hain aur me chahti hoon ke woh sath(60) faqiroon wala aada karoon laikin mere liye bohot mushkil balke taqreban na mumkeen hai ke ye sath(60) faqiroon ko dhundh ker khana khila sakoon to kya me aisa kar sakti hoon ke kissi aik family ke afraad ke mutabik mahine(month) ke rashan ke jitne paise bante hain pake huwe khane ke badle dedon ya shariat me koi aur tarika agar ho to please mujhe batain jis family ko me daina chahti hoon woh sadaat hain aur un ki income un ke kharch se bohot kam hai aur is me shoher biwi aik pandra(15) saal ki larki aur 3 chote bache hain to in ka kis tarha se hisaab hoga. Aur mujhe sare rozoon ke kafaare inhi ko daine hain to puri rakam aik sath de sakti hoon ? aur kya in ko batana wajib hai ke kaffare ke paise hain ya aise hi madad ke hisaab se desakte hain ?

Answer: Salam-un-alaikum

Aap key liye jayez nahi hay keh kisee aik shaks ko aik rozay ka kaffara 750 grams (3 paao) sey ziyada dein. Haan, aap aik faqeer ko har rozay key kaffaray mein 750 grams dey saktay hein. Kaffaray mein khana hee daina zaroori hay rakam kee ijazat nahi hay. Unhein yeh batana zaroori nahi hay keh yeh kaffara hay. Agar aap ko 60 faqeer talash karney mein probelem ho rahi hay to aap QURAN-O-ITRAT ACADEMY sey rujoo kar sakti hein.

Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Probe No. 1695

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
217
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-27

Question: Salaam, jo roze bohat pehle ke kaza hain jin main fidya bhi dena hota hai kya zaroori hai ke jis din roza rakha ho fidya usi din den agar kuch roze rakh liye hon aur fidya abhi nahi diya ho to kya phir kisi din de sakti hun aur fidya jis ko den kya us ka isna ashri hona zaroori haiaur kya kayi fidye aik waqt me kisi aik fard ko de sakti hun.

Answer: Salam un alaikum,

Fidya baad mein bhi dey saktay hein, usee din daina zaroori nahi hay. Jisay fidya diya jaye us ka isna ashri hona zaroori hay.

Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalat (Roza) Ques. No. 98

Print

Id:
1807
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.i hope you are busy in karezainbi.i ask 2question. plz rply soon,1)i receved ZAKAT IN RS form .i want a permiton to use or spend in MADRASA,to give knowledge and spend in hostel life on tullab(students)2)its must KAFAR-E-ROZA used in food of begger(faqeer)??or we used in MADRASA???WE WANT USED IN MADRASA,S,NEEDS???plz. guide us .soon.we in trouble.w/salam.iltemasedua

Answer: w.s. bismehi taala, Aytullah Seestani ki tawzihul masail k masaala no.1889 me mazkoor maqamat par hi zakat ko kharch kiya ja sakata he, 2) karffare me qeemat ka ada karna kafi nahi he balke zaroori he k 60 sharee faqeero ko khana dain, ya khana gandum, anta, roti, khajoor ya eenhi jaysi gizao ki soorat me ho sakta he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part : roza Aytullah Seestani)

Print

Id:
2448
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam. haram cheez se aftaar krne pe kaffara hota he k nai?

Answer: w.s. agar roze k darmiyan haram cheez istemal kar ke roze ko toda gaya he to zaroori he k ek ghulam azad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaye he do mahine roze rakhe ya 60 faqiro ko pet bhar k khana khilaye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1632 & 1637)

Print

Id:
2460
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-07

Question: if some one look or think about some one and his money drop come out from his panies, is his fast broken or he need for bath

Answer: bismehi taala, jo shakhs mani nikalne k irade se ched-chad aur dil-lagi kare to khawah mani na nikale ehtiyate lazim ki bina par zaroori he k roze ko tamam kare aur us ki qaza bhi baja laye, agar rozedar mani nikalne k irade k bagair misal k tor par apni biwi se ched-chad aur hansi mazaq kare aur use itminan ho k mani kharij nahin hogi to agar-che ettefaqn mani kharij ho jaye us ka roza sahih he. albatta agar use itminan na ho tu us soorat me jab mani kharij hogi to us ka roza batil ho jayega. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1603 & 1604)

Print

Id:
4349
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Agar jan bojh kar roza toda gia to os ka kaffara kia hota hai. Many thanks.

Answer: Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day.
2) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4548
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar roza kisi waja se batil ho jaye to os ka kaya kufara ha aur kitna kam se kam kufara aada kerna ho ga

Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day.
2) Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630 , 1632).

Print

Id:
4773
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Kia main 60 Miskeeno ko Khana kay bajai is kay badlay paisay Sailab Zadgan ki madad kay liay dai sakta hon.

Answer: zurari he ke khana (food) hi dia jaay aur qeemat ka ada karna kafi nahi ho ga. Haan, kisi aisa ko qeemet ada kerna jaiz he jo qaabil e aytimaad ho aur usay vakeel banaya jaay k wo khana khareed kar faqeer ko day de. .(ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part roza , ques # 113 , pg # 59 Aytullah Seestani )

Print

Id:
9840
Mujtahid:
bhai Date:

Question: mia biwi kai apsi taluq sai agar roza toot jai tu us ka kya kufara hoo gah ? main ap kai jawab ki mutazir hoon sukriya

Answer: 2 mahinoo ke musalsal roze rakhen ya 60 faqeroo ko pait bhar kar khana khilaae ya taqriban 750 gm khana 60 faqiroo main se her ik ko de. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1632 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
15015
Mujtahid:
Date:

Question: rozy ki halat main biwi kay sath humbister hona kya yeh gunah hai ager hai to ec ka kafarah kya hai plz mujay proper betainy ?

Answer: 1) Mubasharat (intercourse)roze ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1553)
2)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima karnay ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15153
Mujtahid:
Date:

Question: kya ramadan me apne bewi ke saath intercourse karna jaiz hai . Or agar koi karta hai to kitna gunah hai .

Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker biwi sai intercourse ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15294
Mujtahid:
Date:

Question: agar manine janbhojh kar kisi ke sath roze ki halat main sex kiya to uska kaffara ya phir uska qaza kya hain

Answer: Agar koe shaks ramzan k rozay ko jaanboojh ker or ikhtiyaar k saath jima(intercourse)k zerye se batil karay tu os ko os rozay ki qaza bi karni hogi or is k sath kaffara bi dena hoga or kaffara main ye chezein deni hoti hain 1 ghulam azad kary ya 2 mahiny rozy rakhy ya 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khely ya har faqeer ko ¾ kilo ghandum ya jow ya roti wagaira day . (Ref : Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani d.b. masla #1632,1630 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32587
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-alikum aik kam mein ap ki madad chaiyai, ye bataein k agar kisi nein waday ka kaffara ada karna hai es tarhan se k wo (60 faqiroon) ko ya (120 Faqiroon) ko khana khilana chahay toa kia ap ki liye ye mumkin hai k agar apko paisey bhej diay jaein jitney bantay hein aur ap ye kam pura kar dein,(kaffara ada karney waley ki taraf se) ALLAH ap ko es ki jaza de ga ameen. agar mumkin hai toa bata dein aur sath ye bhee k 60 faqiroon ko khana khilaney k liye kitnay paisey chaiyai? aur ese tarhan 120 faqiroon k liye bhee bata dein . buhat meharbani ho ge. jawab ka entezar rahay ga. shukria es ka jawab sirf email per he dein.

Answer: Madrasa quran o Itrat Academy me raabta karsakte hai contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41196
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: can i pay my kafarah through any organisation, person who feeds poor people ?

Answer: Is sorat main jaiz hoga jab is baat ka bharosa ho k wo kaffara mustahaqeen(yani ghareeb momin jo k ehtiyaat e lazim ki bina per bay-namazi, sharabi or khul ker zahir bazahir gunah kernay wala nah ho) tak pohncha dain gay.(Ref: A.Sistani d.b, Mujtahid se pochay gay sawalaat,pg#60). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49311
Mujtahid:
Date:

Question: kia 60 logo ki aftari karwa dainay say kafara ho skta hy ya maskeen logo ko he khana khilana hay aftari ka karwana zarori nahi ????

Answer: Ghareeb logo ko hi ko khelana zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1632 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49355
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Roza torny ka khufara Kia hoga

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Agar koe shaks jaan bouch kar ramzan k rozay ko khanay, peenay, jima, istiman ya janabat per baqi rehnay ki wajah se batil karay os per rozay ki qaza ka alawa kaffaray k taur per aik mahena aik din musalsal roze rakhna ya 60 sherhefaqeero ko pait bar kar khana khelana ya har faer ko 750 gram gandum , roti waghaira daina wajib hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49549
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Salam mufti sb, Roze main jama karny ka kaffara mian biwi per alag alag hoga ya sirf mian per. aur is ka kaffara kia hai.

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Agar shoar roze ki halat me apni apni rozedar biwi se jima kare to agar is ne biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kafara aur ehteyat ki bina per zarori hai k apni biwi k roze ka bhi kafara day aur agar biwi jima per razi ho to har aik per aik aik kafara wajib ho jata hai.
Agar koe aurat apne roze daar shoar ko jima karne per majboor kare to is per shoar k roze ka kafara wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1649,1650 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50531
Mujtahid:
Date:

Question: AOA.jo banda roza na rakh sakta ho bemari ki waja say to kiya kerna chaheay.main es mislay ke waja say boht upset houn.

Answer: Jis shaks k lye roza rakhna sadeed takleef ka bais ho is per roza rakhna wajib nahe hai laikin zarori hai khar roze k badle 750 gram gandom ya roti waghera faqeer

Agar koi bemari ki waja se ramzaan k roze na rakhe aur us ki bemari aainda ramzaan tak lambi ho jaay to jo roze us ne na rakhe hoon un ki qaza wajib nahi hai aur zarori hai k har roze k leye 750 gram gandom ya roti waghera faqeer de.
Agar insaan ka maraz chand saal lamba ho jaay to zarori hai k tandorus ho jane k baad aakhari ramzaan k chutey hoe rozo ki qaza baja lahe aur is se phele saloo k mahino k har din k leye750 gram gandom ya roti waghera faqeer de . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1696, 1674,1678 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50746
Mujtahid:
muslim Date:

Question: sir mera swal he k agar rozy dar jan bujh k mani kharij kry to os ka roza toot jata he kia??? or agar ha to kfara kia he g.

Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker istemna ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
51638
Mujtahid:
Aqae Sistani Date:

Question: Kiya Aap Log Rozay Ka Kaffara Lete Hai?? Hum apko paisay dede to aap unhe 60 12 imami faqeer ko dedenge??

Answer: Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52254
Mujtahid:
Imam SESTANI Date:

Question: Salam: jinab meara masla ye hay k 2013 may ramzan may, may kidney problm ki waja se 21 rooze nhi rakh paya tha jo ke abhi tak bilkul thik nhi hopai hay, or abhi kitna time or lagega pata nhi, maloom ye kerna hay k may ne sunah ay k qaza roze agaly saal k ramzan se pehle rakhna hote hain, ager may 2014 ke ramzan tak roze na rakh paya to phr mere liye kia hukam hay....

Answer: Agr koi shakhs beemari ki waja se ramzan k roze na rakhe or uski beemari agle saal k ramzan tak lambi hojaye to jo roze us ne na rakhe hon unki qaza us pr wajib nahi hai lekin zaruri hai k har din k badle ek mudd (750 gram) fidya matlb gandum ya jao ya roti wgera faqeer ko de. Lekin agr saal k darmiyan men thik hojaen to rozon ki qaza krni paregi lekin agr thik hone k bad bhi na rakhe hatta k agla ramzan ajaye to is surat men rozon ki qaza or fidya dono wajib hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #1674-1676)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56228
Mujtahid:
Date:

Question: agar roza jaan boojh ke tora jaae toh uska sadqaa kese kia jaye??

Answer: Sadqa nahi Kuffara wajib hai, or wo is terhan ke ya to musalsal do mahine roze rakhain is tarah k ek maah or ek din k rozr ek sath musalsal rakhna wajib hen baqi roze k drmiyan agr musalsal nab hi rakhe to koi harj nahi hai ya phir 60 miskenoo ko pait bhar kar khana khilaain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # 1007 , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56233
Mujtahid:
Date:

Question: roza todny py kea kaffara ada krna jaez h?

Answer: 60 miskinoo ko pait bhar kar khana khelaae ya 2 mahine ke musalsal roze rakhna (jin men se kam se kam ek mahina or ek din mila kr rakhna zaruri hen).(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 1007 , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56280
Mujtahid:
Date:

Question: roze me mustrbation karne par agar kaffara dena chahe agar 60 gharibo ko khana khilana mumkin na ho to sadke ke taur par kya ada kar sakte hai?

Answer: To 2 mahino ke roze rakhen ap k liye zaruri hai k ek pura mahina or us se agle mahine k ek din tak musalsal roze rakhe or baqi roze musalsal na bhi rakhe to koi harj nahi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part #1st , Maslah # 1007 , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa frmaane wala hai).

Print

Id:
58832
Mujtahid:
Date:

Question: Salam. kya mah e ramzan k qaza rozay ka kaffaray ki jaga mujtahid k wakeel ko paisay da saktay hain ghareebon ko khana khilanay k liyay? rehbar mauzzam k mutabiq aik rozay aik ghareeb ya miskeen ko khana khilanay ka kya kharcha ha? Jazakallah

Answer: Roze k kaffaare me khana he dena zarori hai maslan ghehon, aata, kazoor waghaira aur qimat ka ada karna kaafi nahe hai . ha kise aise shaks ( ya idaare ) ko qimat ada karna jaiz hai jo qaable ahtemaad ho aur ise wakeel banaya jaye k wo khana khareed kar faqeer ko de de.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal #112, 113 pg #59) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
63792
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam o Aleikum, aik shakhs rozay ki halat main apni zoja k kareeb jata hai amdan ya sehwan (maslay ka pata ho ya na ho) wo jima kiye baghair uski money kharij hojati hai, 1) aisay shakhs k rozay ka kiya hukum hai , 2) Agar kafara dana hai aur wo kafaray ki 2 surton (60 din k lagatar rozay rakhna or ghulam ka azaad karwana) in se qasir hai aur 60 miskeenon ko khana khilana chahta hai ya kisy trust ya idaray ko day sakta hai ya nahin ?

Answer: 1)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ya maslah nah maloom hone ki wajah se jima se batil karey to is per rozay ki qaza wajib ho gi.0(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1525).
2)Jis shaks ko yaqeen ho k jima karne se roza batil nahi hota us per kaffara wajib nahi hota laikin us ko us roze ki qaza karna zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1631,1625).
3)Jis idare per aap ko yaqeen hai k wo aap ka kaafara share faqeer tak poucha de ga to aap us idarare ko apna kafara de sakte hain takeh wo aap ki taraf se kaffara share faqeer ko de de . (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal#113, Mafhoom e pg#59 ). Update on dated 25-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65613
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam Agha mera sawal ye hai k mai ne 2 sal se roze nai rakhen pait dard ki waja se es sal meri bemari thori betr hai chon k meri haddiun mai pani nai ban raha jis waja se mai full parhez pe hn to mere leye kya hukam hai plzzz reply me me w8ing

Answer: Agr koi shakhs beemari ki waja se ramzan k roze na rakhe or uski beemari agle saal k ramzan tak lambi hojaye to jo roze us ne na rakhe hon unki qaza us pr wajib nahi hai lekin zaruri hai k har din k badle ek mudd (750 gram) fidya matlb gandum ya jao ya roti wgera faqeer ko de. Lekin agr saal k darmiyan men thik hojaen to rozon ki qaza krni paregi lekin agr thik hone k bad bhi na rakhe hatta k agla ramzan ajaye to is surat men rozon ki qaza or fidya dono wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1674-1676). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Meray dost ahmed nai jaan poch kia roza tod dia hai tu wo ab boht afsoos kar raha hai tu is ka koi tod hai janab apkay paas

Answer: Maah e Ramzan k roze toorhne k kaffay k taur per insan ko chahiay k aik ghulam azaad kare ya 2 mahine k roze rakhe ya 60 faqiroon ko pait bhar ker khana khilaey ya har faqeer ko aik mud(taqiban 14 chitank) khana khilaey. Or roze ki qaza bhi anjaam de. (Ref:Ayat Ullah khoe (r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #1669). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65851
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: As'salam O Alaikum, Meri waalda jo k Ziabteez(sugar) ki mareeza hain, unho ne Roza rakha mager Shadeed germi ki wajah se halat buhat Ziada Biger gaye aur wo roza toor nahi rahi thi Gunnah k der k maaray lekin hatal itni biger rahi thy k Hospital lejana perta main ne un ko zaberdasti rooza torwa dia, to ayaa kia mujh Per koi Gunnah aaid hota hai ? Aur meri waldah ko kia Koi Kuffara Ada kerna ho ga ? aur kitne Rozay Qaza kerne hongay ? aur ab jo wo roozy nahi rakh rahi Tabiat ki wajah se to us ka kia Kuffara hai.. Plz meray Tamman sawaloo ka alag alag jawab deye ga.. aap ke buhat jald jawab ka muntazir ho. Shukria Jazaak Allah.

Answer: 1)Aap per koe gunah nahi. 2) Aap ki walida ko bhi koe kaffara nahi daina hoga. 3) Jitney roze chote hain utne hi rozo ki ramzan k baad qaza daini hogi. 4) Agar tabiyat shaded karab hay jis ki wajah se wo baqi roze bhi nahi rakh paen gi tu on rozo ka koe kaffara nahi daina faqat ramzan k baad qaza roze rakhne hongay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1564+1659). Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66075
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mei aj Ghar mei akaiLa tha Iss liye Sehri per nahi uth paya. aur Sehri k 2 ghnte baad meri aankh khuli hai. Uthte he mei ne 1 Glass Pani Pee Lia hai. aur Roza ki niyyat tu Raat se hi thi. Tu kia ab mera Roza Drust hai. ya muje iss ka kafara ya qaza karna ho gi. muj se 8 pehar ka roza bardasht nahi ho pata q k mei dhop mei kam karta hun subh 6 se sham 4 bjy tk. aur aisa pehli dafa howa hai mei aj bohat pareshan hon.

Answer: Aap ko roze ki qaza kerni hogi or 60 mukhtalif share faqeero main se har aik ko 750gm khana daina hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1632).
Note: Aap ko baghair sehri ka roza rakhna chahiay tha or jab din main piyaas ki shiddat naqabil berdasht ho jati tu thorha sa pani pee ker ehtiyaat e wajib ki bina pora din mubtilaat e ropza se perhaiz kerte or phir ramzan k baad sirif roze ki qaza kerni perhti or kaffara nahi daina perhta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #1960). Update on dated 30-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66140
Mujtahid:
Date:

Question: mere dost ke waleed sahib zaiyada kamzoor our budha hai our rozy nahi rakh sakta app se swal hai agarr wo rozy nahi raky to uss ka kya kaffara adaa karna hoga

Answer: Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shaded takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66219
Mujtahid:
Date:

Question: overage aur suger ka patient hona ki waja sa ager koi roza nhe rakh skta to wo fiya greeb syed ko da skta ha

Answer: Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shaded takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66222
Mujtahid:
Date:

Question: agr koi overage aur suger ka patient hona ki waja sa roza nhe rkh skta to us ka fidya greeb syed ko da skta ha

Answer: Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shaded takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66292
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: overage aur suger ka patient hona ki waja sa ager koi roza nhe rakh skta to wo fiya greeb syed ko da skta ha

Answer: Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shaded takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69704
Mujtahid:
Date:

Question: Agha sb mera question yeh hai k Allah sy wadda torny ka kaffara 60 faqeeron ko pait bhar k khana khilana faqeer wo jo rasty mai mangty hain yah kisi friend wgera ya koi realtive ko b bhook lagi ho to us ko b pait bhar k khana khila sakty hain aur aik dost ko b 60 martba pait bhar k khana khila skty hai ya koi qeemat b adda kr skty hain ya nahi aur ager qeemat adda kr skty hain to kitni aur 1 aur sawal mai ny kisi ki b taqleed nahi ki kia taqleed k liye sirf neiyat karni parti hai

Answer: 1-Faqeer wo shaks hota hay jo zakaat ka mustahiq ho, jis k paas saal k akhrajaat nah hoon, is faqeer main Islam ki shart hay balkeh ehtiyaat ki bina momin hone ki shart hay.ehtiyaat ye hay k bay namazi or sharab peenay wale or khullam khulla gunah kerne wale ko kaffara nah diya jaey. 60 alag faqeero ko khana khilana wajib hay, aik hi faqeer ko 60 baar khilana kafi nahi hoga, qimat daina kafi nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3, Mafhoom e Maslah #773,774).
2-kisi aalam mujtahid maslan ayatullah Sistani d.b ki taleed ka irada ker k in k masael per amal kerne ka naam taqleed hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed fiqhi masael, Mafhoom e Maslah#22). Update on dated 01-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81717
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam kia 60 miskeno ko ek time per kahana khilana chayae ya adha 30 ko khilya or 30 ko baad main

Answer: 60 meeskino ko aik sath khilana zarori nahi hay aap k liay jaiz hay k alg alg time pay khilaen lekin ehtiyaat ki bina pr 60 alg alg log hoon yani aik miskeen ko 2 martaba khilana kafi nahi hay. (Ref: Minhajus saliheen, part#1, maslah#1017). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81735
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam . Kaffaray kay rozay rakhnay ka koi khaas tareeka hai.

Answer: . Agar aap ki murad ramzan k kaffary walay roze hain to un men pehla maheena or agly maheenay k aik din tak musalsal rozay rakhen , or baaki maheena bhi ihtiyaat ki bina per, pe dar pa baja laen or agar koi uzur aajey jesy haiz to uzur k door honay k baad baki rozy poray karain . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1633 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
97313
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-24

Question: Roza torey ka kaffara kia gai

Answer: Roze ki qaza bi karni hogi or is k sath kaffara bhi dena hoga or kaffara main ye chezein deni hoti hain 1 ghulam azad kary ya 2 mahiny rozy rakhy ya 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khely ya har faqeer ko kilo ghandum ya jow ya roti wagaira day. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 31st edition maslah 1632 1630).
[Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98364
Mujtahid:
Date: 2019-07-11

Question: Aslamualaikum sir. Sir Apni B.V ky sath 2 dafa galti say rozy ky sath sex kia h..irada tha bus control nahe ho pea aur ho gia..touba bhe kia h

Answer: Ramzan k Rozay ko jaan bhooj kar Jima karnay ki wajah se Roza batil ho jata hai our is ki kaza kay ilawa kaffara bhi wajib hai.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail, Maslah #1630)
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110625
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-30

Question: Agr Ramzan ky rozy bad main rakhain jain to us ki niyat kaisy krain gn???

Answer: bus irada hona kaafi hai k ramzan k rozay ki qaza kar raha hoon or koon se saal ki karraha ho .agar kise shaks per chand saalo ke razmzaan ke rozo ki qaza wajib ho or wo roze ki niyat karte waqt moaiyan na kare ke kon se ramzaan ke roze ki qaza karraha hay tu is ka shumaar aakhere ramzan kiqaza me nahe hoga or natejatan taakheer ka kaffara is per se khatam nahe hoga (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1531,1670).
[Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113996
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Kya roze ke kaffare ka sara amount ek hi gareeb ko de sakte h ?

Answer: Rozay ke kaffaray men khana hi dena zaroori hai maslan ghehon, aata, khazoor waghaira aur qimat ka ada karna kaafi nahin hai. Han kisi aise shaks (ya idaare) ko qimat ada karna jaiz hai jo qaable ahtemaad ho aur ise wakeel banaya jaye ke wo khana khareed kar faqeer ko de de.(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal #112,113, pg #59).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114660
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-12

Question: Ek roz ka kaffara 60 roza hota hai agar 10 roza lagataar rakhe or baqi roze k badle 50 faqeer ko khana kilaye to kya kaffara sahi hai??

Answer: Jee, nahi ye amal durust nahi hay.
1) Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko khanay, peenay, jima, Istamna ya azan e fajr tak janabat par baqi rehnay ki waja say batil karay to is par qaza(repeat) k ilawa kaffara bhi wajib hoga.
2). Aur jo koi kisi iskay ilawa kisi aur mubtilat-e-roza say batil karay to ehtiat-e-mustahab hai kay qaza kay ilawa kaffara de.
Kaffara ye he ke in 2 men se koi ek kam anjam de:
ya tou 2 Maheenay Rozay rakhay ya phir 60 sharae faqeero ko pait bar kar khana khelae ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera de.
(Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1553,1630-1633)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
[Updated on 12-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-23

Question: Maine apne school days me roze nhi rkkhe aur mujhe kaffare ke baare me bhi ilm nahi tha. To mujhe kya karna hoga?

Answer: 1) maah e ramzan k roze torhna ya roze nah rakhna gunah hay or is ki taubah wajib hay. Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko khanay, peenay, jima, Istamna ya azan e fajr tak janabat par baqi rehnay ki waja say batil karay to is par qaza(repeat) k ilawa kaffara bhi wajib hoga.
2). Aur jo koi kisi iskay ilawa kisi aur mubtilat-e-roza say batil karay to ehtiat-e-mustahab hai kay qaza kay ilawa kaffara de.
Kaffara ye he ke in 2 men se koi ek kam anjam de:
ya tou 2 Maheenay Rozay rakhay ya phir 60 sharae faqeero ko pait bar kar khana khelae ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera de.
(Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1553,1630-1633)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
[Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115783
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-05

Question: Alamo Alaikum. Ma roza rakhna chah rha tha or ma uth nahi paya suba azaan sy pahly or phr nashta kr k niyat kr li rozy ki k ma Allah ki raza k liye din ma kuch nahi khao ga . kya aisy meri niyat Qubool ho ge Allah pak pass.

Answer: Agar aap azan fajr (yani namaz e fajr) ke baad nashta na karte or roze ki niyat kar lete to aap ka roza sahi ho jata lekin chunke aap ne nashta kar liya hai or nashta karna roze ko baatil karne wali cheezon men se aik hai to aap ka ye roza sahi shumar nahin hai. or aap per is roze ki qaza wajib hay or 60 shia gharibo ko kaffare k taur per khana khilana wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1534,1546).
[Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116518
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-23

Question: Assalamo Alaikum. Mara sawal ye hain ke mara kch 5 saalo se har ramazan ma 10 roza toorhe hain mana kch wajoohat ki bina per. To mjhe kafarra wohi 60 persons ko khana khilana hoga aur iske sath aur iske elawah kya lazim ha mjh per please guide me upon this.

Answer: 1:Jaan bojh kar roza toorhna ya nah rrakhna haram hay or is per taubah karna wajib hay. Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko khanay, peenay, jima, Istamna ya azan e fajr tak janabat par baqi rehnay ki waja say batil karay to is par qaza(repeat) k ilawa kaffara bhi wajib hoga. Aur jo koi kisi iskay ilawa kisi aur mubtilat-e-roza say batil karay to ehtiat-e-mustahab hai kay qaza kay ilawa kaffara de.
2: Kaffara ye he ke in 2 kamo men se koi ek kam anjam de: ya tou 2 Maheenay Rozay rakhay ya phir 60 sharae faqeeron ko pait bar kar khana khelae ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera de.
3: Agar koi shakhs ramazan ke rozon ki qaza karne men kayei saal takheer karde to zaroori hai keh qaza kare or pehle saal men takheer karne ki bina par har roze ke liye aik mud taam sharaei faqeer ko de lekin baaqi kayei saal ki takheer k liay us par kuch bhi wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1630,1633,1680).
[Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122826
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Roza na rkhne ka kaffara maa apni ghareeb shadi shuda beti ko desakti hai

Answer: Nahin day sakti Q ke beti wajib e nafaqa me aati hai aur wajib e nafaqa afraad (jese baap, maan, aulad) ko kaffara nahin diya jaa sakta.

(Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1148).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122880
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Rozy ka fadia wk e insan ko dia jaey ya mujhtaluf logo ko???

Answer: Jis shakhs ke liye har rozay ke badlay aik mud taam (kaffaray e takheer ya fidiye ke taur par) faqeer ko dena zaroori ho to wo chand din ka kaffaray e takheer ya fidiya aik faqeer ko de sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #207).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122916
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-21

Question: Aslam o Alaikum, mera sawal rozay k kafaray kay baray mein hy. Main ne kuch rozay italy mein qaza kiay jin ka kafara quran o itrat academy k zariay se dena chahta hn. Jesa k italy mein atay ki qimat thori ziada hy, to kia mujhe ziada raqam deni ho gi ya Pakistan k hisab so jo raqam aap ne mukhtas ki hy wo de dena kafi ho gi? Jazak Allah

Answer: Idare ne jo raqam mukhtas ki hai wo day dena kaafi hai.
(Ref: link; http://www.qoitrat.org/payments.php ).
[Updated on 22-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122925
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-22

Question: Rozy ka fidya kesy dita jy jo mother feed krati hain wo rozoo ka fidia kesy dy

Answer: Fidya aise shakhs ko diya jaye jis men darj zel sharaait maujood hon:

1: Faqeer ho. aur faqeer woh hai ke jis ke paas khud apne aur apne ehal-o-eyal ke salana akhraajaat apni shaan ke mutabiq nah hon aur us ka bandobast karne mein kamzor aur natwaan ho aur Miskeen woh shakhs hai jo apni zindagi faqeer se ziyada sakht guzarta ho aur us ki zindagi guzaarne ke andaaz ki haalat na munasib tar ho jaise ye ke woh apne rozana ki zaroorat ke silsilay ka nafqa bhi nah rakhta ho.
2: Ehtiyat e wajib ki bina par bara imami shia ho.
3: Fidya kisi aisay shakhs ko nahin diya jaa sakta jis ka nafaqa khud Fidya dainay walay par wajib ho (maslan walidain, aulaad), lekin dosray mustahiq rishta daaron ko dena jaaiz hai. balkay afzal hai.
4: Fidya ki raqam ko haraam kaam mein kharch nah karta ho aur ehtiyat e wajib ki bina par us ko Fidya dena ghunah mein madad aur bure kaamon me shauq dilana shumaar nah ho.
5: Ehtiyat e wajib ki bina par sharaabi aur be-namazi aur khulam khula ghunah karne wala nah ho.

(Note: bachay ko doodh pilane waali aurat ke liye sharaei maslah).
Woh aurat jo bachay ko doodh pilate hai aur is ka doodh kam ho agar roza is ke ya is ke bachay ke liye zarrar rakhta ho to is par roza wajib nahin hai, aur har din ke liye aik mud taam (ghehon, aatta, ya chawal) faqeer ko day aur baad mein is rozay ki qaza baja laaye, lekin ehtiyat e wajib ki bina par yeh hukum is maurid mein hai ke bacha ko doodh pilana sirf isi tareeqay par munhasir ho, lekin agar koi dosra tareeqa mumkin ho. maslan dabbay ke doodh se istifada karen, to ehtiyat e wajib ki bina par roza rakhna lazim hai.
lekin agar maloom ho ke toolani muddat tak bachay ko dabbay ka doodh pilana is ke liye zarar ka baais hai maslan woh bacha jis ke doodh peenay ke ibtidayei ayyaam hon aur dabbay ka doodh pilana baais bane ke bacha mah Ramazan ke baad maan ka doodh nahin piye ga aur yeh is ke liye zarar rakhta ho to is soorat mein bhi guzashta soorat ki tarah roza wajib nahin hai balkay har din ke liye aik mud taam (gheehon, aatta, ya chawal) faqeer ko day aur baad mein is rozay ki qaza baja laaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #807,1147,1148,1150,1151. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1700).
[Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print