Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Musafir Ke Rozay (13 Questions)


Showing 0- 13 questions from 13 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
251
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: I am defence person. My home is in Rawalpindi and now a days I am living in peshawar from last 3 years due to duties. One day I went to Rawalpindi (Home) for 3 days. After 3 days I came back in Peshawar, but after 2 days I again went to Rawalpindi (Home). Question is waht about my prayers, is it "QASAR" or "FULL" also what about my "FAST" (Roza). Thanks.

Answer: Wo shakhs jo kaseerus Safar ho yani ziada safar karta ho chahay is ka pesha safar say wabasta na ho jaisay wo shakhs jo haftay(week) main teen(3) din safar main guzaarta ho chahay is ka safar tafreeh ya sayahat kay liye ho aisay shakhs kay liye zaroori hay kay apni namazain poori parhay aur safar main rozay bhi rakhay.aur agar wo kaseerus safar na ho to hadd-e-tarakhus kay baad wo namazoo ko qasr anjaam day ga aur roza bhi nahi rakhay ga bashart ye kay namaz qasr honay ki baqi sharait bhi maujood hoon.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.209.

Print

Id:
15045
Mujtahid:
Date:

Question: safar mein roza farz hai ya nahi?

Answer: 1)Jis musafir k lie safar mai 4 rakati namaz k bajay 2 rakat parhna zaroori ho osay roza nahi rakhna chahaea lakin jo musafir puri namaz parhta ho maslan wo shakhs jis ka pasha hi safar ho ya jis ka safar kisi na-jaiz kaam k lie ho to zaroori hai k safar mai roza rakay.
2)Ramzan mai safar karnay mai koi haraj nahi hail akin rozay sai bachnay k lie safar karna makrooh hai.
3)koi shakhs jisay ye ilm na ho k musafir ka roza rakhna batil hai agar safar mai roza rakh lay aur din hi din mai osay masla maloom ho jay to is ka roza batil hail akin agar maghrib tak hokum maloom na ho to is ka roza sahi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1685,86,90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
16254
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Mah e ramazan mai raat k waqt aik shakhs ki niyat thi k wo doosray din zawal sai pehlay safar karay ga, subah k waqt is nai safar ka irada trk kar dia to kia is sai rozay ko zarr phounchay ga?

Answer: Roza shi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 124, pg # 63)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50217
Mujtahid:
ayat ullah sistani Date:

Question: salam safar mai rozy k kya ahkam hain? aur ktny fasly k safar par roza chora ja sakta hai?

Answer: Jis musafir k lie safar mai 4 rakat namaz 2 rakat ho jati hai osay roza nahi rakhna chaheay. Yani jab os ka safar 44 kilometer sai ziada ho aur 10 din ya os sai ziada rehnay ka irada na ho tab roza nahi rakhna chaheay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1685)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56752
Mujtahid:
Date:

Question: salam.sir safar ki halat mai roza rakha ja sakta hai k nai agr distance 60 70 km ho...

Answer: Wssalam o alykum, Ager itna fasla ho k namaaz qasar pharna zarori hojaye to ager musafir roza rakh le to wo batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1685 , 1690 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
65754
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: AOA main Malaysia main reh ta hun or Pakistan travel kar ta hun to ak din difference ata hai islami calender ky hisab se. Ager main Ramadan main safer kar ta hun to Malaysia mian 28 rozy hoty hain to Pakistan main 27 ho ty hain. Sawal ya hai ky ager main Doran-e-Safer roza chor dun to agly din to Pakistan main vohi roza ho ga jo main ny Malaysia main chora tha (28 roza) to kia mujy baad main kaza reh ny ki zaro rat hai ya nahi?

Answer: Safar main jo roza qaza hoa hay wo aap ko ramzan k baad rakhna hoga or agar kisi bhi sheher main mahine k pehli tareekh sabit ho jaey tu doosre shehro main bhi pehli tareekh sabit ho jaey gi is shart k sath k dono shehroon ki raat mushtark ho. Matlab agar aap Pakistan main bhi roza rakhain laikin agar shawaal ka chand iran, iraq ya landon, afriqa waghaera main nazar aa jaey tu aap ko eid kerni hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1744+1706). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95640
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-24

Question: Slamun Aleykum Mera clg mere ghr se 45 km ki doori per hai wha me roz jata hu to wha meri namaz or roza qasr nhi hota lekin final exam ka center kisi or clg me parhta hai jaha mujhe sirf 5 exam dene panch din jana hai or vo college mere ghr se 27 km hai to kya os din jis din mujhe exam dene jana hai mera roza ho paiga ya qasr hai?? mujhe iska javaw Ayatullah Syes ali hussaini az sistani sahab ke nazariyat se btain Shukriya...

Answer: Wsalam.Namaz mukammal hogi or roza bhi rakhna hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 pg 204 shart#1 & shart#7)
[Updated on 24-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96369
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-15

Question: Assalam walaikum.kya safar ke waqt roza nhi rakhna chahiye ya rakhna chahiye

Answer: wsalam. Agar safar ki ibtida zuhur se pehle ho tu phir ehtiyaat e wajib ki bina per safar main roza nahi rakh sakta or agar safar ki ibdida zuhur k baad kare tu ehtiyaat ki bina per roze ko poora kare. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#1692)
[Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96430
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-15

Question: Sallam Sain Mera Sawal ye h k 20 km tak agr rozedar safar kre zawal se phle waps ghr na aai tu us ka roza h ya nhi? Aur plz ye btaiee k kitne kilometer tak rozedar safar kr skhta h?

Answer: Agar aane jaane ka safar mila kar 44 km ho or zuhur se pehle safar kare tu ehtiyaat e wahib ki bina roza nahi rakha jaa sakta..(Ref:Tauzeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1259 and 1685)
[Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114786
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-11

Question: !اسلام علیکم روزے کی حالت میں اپنے گھر سے ڈھائی سو کلومیٹر کا فاصلہ طے کر لیا جائے اور وہاں تین دن تک قیام کا مقصد ہو تو واپس اپنے گھر کس وقت سفر کرنا مناسب ہوگا۔

Answer: W/salam. Jis musafir ke liye safar main 4 rakat namaz 2 rakat ho jati hai osay roza nahi rakhna chahiye. Yani jab os ka safar 44 kilometer sai ziada ho aur 10 din ya os sai ziada rehnay ka irada na ho tab roza nahin rakhna chahiye.
Agar safar ki ibtida zuhur se pehle ho tu phir ehtiyaat e wajib ki bina per safar main roza nahin rakh sakta or agar safar ki ibdida zuhur k baad kare tu ehtiyaat ki bina per roze ko poora kare.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1685,1692).
[Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122884
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-12

Question: Salam Aagha mera college mere ghar se 30 km dur h aane jane ka rasta 60 km hota hai or mujhe roz up down karna hota hai to aise me mujhe poora roza rakhna hoga

Answer: Aap ko poori namaz parhni hogi aur roza bhi rakhna hoga, Q ke Jo shahks mahine main kam az kam 10 din safar main rahe ya 10 din safar kare to aisa shaks kaseer-us-safar shumaar hoga. aur wo safar main bhi poori namaz parhe ga, isi tarah us ko roza bhi rakhna hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1296,1685).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122955
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-01

Question: Kya safar me roza rakh sakte hen

Answer: 1: Wo safar jis me jana aur aana 44 kilo meter aur wahan 10 din rehne ka irada bhi nah ho isi tarah wo apna watan bhi nah h to wahan namaz qasr (yani chaar rakati namaz ko do rakat) kar ke parna zaroori hai aur roza bhi nahin rakh saktien.
2: Agar safar ki ibtida zuhur ke baad ho to ehtiyaat ki bina par us din ke roze ko poora karen aur agar safar ki ibtida zuhur se pehle ho to phir ehtiyat e wajib ki bina par safar main us din ka roza bhi nahin rakh saktien.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1685,1692).
[Updated on 02-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122956
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-01

Question: Kya safar me roza rakh sakte hen

Answer: 1: Wo safar jis me jana aur aana 44 kilo meter aur wahan 10 din rehne ka irada bhi nah ho isi tarah wo apna watan bhi nah h to wahan namaz qasr (yani chaar rakati namaz ko do rakat) kar ke parna zaroori hai aur roza bhi nahin rakh saktien.
2: Agar safar ki ibtida zuhur ke baad ho to ehtiyaat ki bina par us din ke roze ko poora karen aur agar safar ki ibtida zuhur se pehle ho to phir ehtiyat e wajib ki bina par safar main us din ka roza bhi nahin rakh saktien.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1685,1692).
[Updated on 02-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print