Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Khums Ke Ahkam (157 Questions)


Showing 100- 150 questions from 157 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
66108
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asa. Mai das saal say apni job k bad say baqaidhi khums deraha hon. Per ab meri new job lagi hai alag mulk main aur meri muayyan kerda khums ki tareekh say ek maha phelay. Meri pheli job ki saving khatam hogae meray khums ki adaegi say phelay aur new job ki salary muje apni purani muayyan krda date say 10 din phelay milay gi. Kia main new job ki salary pay khums nikaloga? Ya ek sal ki saving k bad?

Answer: Aap ya tu apni purani khums ki tareekh per khums dain ya khums ki tareekh se pehle bhi khums diya jasakta hay or phir aap ki tareekh tabdeel ho ker wohi ban jaey gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66485
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-18

Question: khums k masil

Answer: Khums ke bare me kya sawaal hay ???
[Updated on 18-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
67692
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Khums kab wajib hota hai? or iska nikalne ka kya procedure hai?

Answer: Aap khums ki tafseel jaane k liay is link per click karain.( http://www.sistani.org/urdu/book/61/3645/). Update on dated 12-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70203
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam. I have life insurance policies on which i pay premium annually. For that purpose i keep a side a specific amount every month. Would that payment allowed to be deducted from the savings for the calculation of khums?

Answer: If before premium due date , khums date reached, then khums will be paid on that amount. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkam e Khums o Fitra, Mutarajjim Syed Tabish Jawaid Rizvi, Mafhoom e Maslah #2298,2320). Update on dated 07.03.16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam I pay Khums every year on a fixed date. From the income of this year I am yet to pay Khums but during the year I have invested in a property. This is my only property to build a home and is not convertible to cash for some time. Do I need to pay Khums on installments paid for such a property every year.

Answer: Plz contact for this purpose from 9:00 am to 1:00 pm, ph# (0092-21) 32226948, 32237207. Update on dated 27-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73545
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam o Alaikum Syed ... Q 1: Aik bewa khatoon jo is waqt akeli hain aur Retired Life guzaar rahi hain ... un ki kamaayee ka koyee zarya nahee hai ..... Kya wo apny paisaon say Banks k Saving Certificates le sakti hain jo aik makhsoos muddat k baad aik muqarrara interest adaa kartay hain ??? Q 2: Kya Mujhay apni beti k Jahez k liye khareedi huyee cheezon (including jewellary) par khums dena wajib hoga ? Beti k Jahez ki niyyat se save ki huyee raqam (naqdi) par khums k kya ehkaam hain ??? Allah Barek Fi

Answer: Ans: 1: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.).
Ans:2: Agar kisis alaqay main is andaz se riwaaj ho k insaan apni baiti ka jahaiz kae saalo main thorha thorha ker k tayyaar kerta ho, or is andaz se jahaiz ka bandobast nah kerna os shkas ki shan k khilaf ho - chahay is hawalay se keh wo os k moqe per os ka bandobast nah ker sakta ho- or ye cheez oski izzat per aanch aanay ka sabab banti ho, tu agar saal k doran osi saal k munafe se zarorat k silsilay k jahaiz ki chuch miqdaar ko khareeday jo oski shan se ziyada nah ho or urf main aik saal main is miqdaar ka bando bast kerna os k muta,aa,rif salana akhrajaat ka hissa shumaar hota ho,tu zarori nahi hay k os jahaiz ka khums ada karay. Raqam or amadani jo jahaiz k bandobast ya aainda zindagi k lawaazmaat ya shadi ki rosomaat k akhrajaat k bandobast k liay, alag ker k rakhi jati hay or bachae jaati hay,haata keh agar oper waali shara,et rakhti hoon, tab bhi zarori hay keh khums k saal k ikhtetaam per, on k khums ka hisab kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkam e khums o fitra,Edition#1,Mafhoom e Maslah #2322,pg#42,43). Update on dated 17-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73596
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: السلام وعلیکم میرا سوال یہ ہے کہ میں نے پہلی بار 2013میں خمس نکالا تھا اور خمس کی رقم بھی ادا کی تھی ۔۔ لیکن دوسری بار 2014 میں جن چیزوں پر میرا خمس بنتا تھا میں نے اُن کا حساب کر کے خمس کی قیمت تو نکال لی تھی لیکن خمس کی رقم میں آیت اللہ سید علی حسینی سیتانی کے وکیل کو نہیں دے سکے ۔۔ اور نہ ہی 2015 اور 2016 میں خمس کی رقم میں آیت اللہ سید علی حسینی سیتانی کے وکیل تک پہنچا سکا۔۔ تو کیا اب مجھے نئے سرے سے جس طرح پہلی بار خمس نکالتے ہیں اُس طرح خمس نکالنا پڑے گا یا پھرصرف اِن مذکورہ 3 سالوں کے خمس کی رقم مجھے ادا کرنی پڑے گی۔۔۔ والسلام و علیکم

Answer: 3 salo k khums ki raqam ada kerna hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1435). Update on dated 20-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74600
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Khums kya hai ? or ye kon c umr per wajib hota hai or kyaa tariqa hai iska? mein fil haal job nahi karta bus abbu se pocket money milti hai.

Answer: Tajir , kamanay wala, karigar, mulazim , kisan,ustaad, mazdoor or digar paishay wale afraad ka, kamae ya kaam shuru kerne se aik saal guzarne k baad, khums ka saal aa pohanchta hay, zarori hay k jo khuch on k saal se ziyada ho os ka khums(1/5) dain, bay roozgaar afraad ko jo ittefaaqi amadani hasil hoti hay tu jab amadani hasil hone k waqt se aik mukammal saal guzar jaey tu os bachi hoe miqdaar ka khums ada kerna zarori hay, is terah beroozgaar afraad apni har amadani k liay aik alag saal muqarrar ker sakte hain. Nabaligh bachay k maal per bhi khums wajib hota hay.(Ref: kitab: Ahkam e khums o fitra,pg#29-31,142). Update on dated 17-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Mazeed malomaat k liay7 is link per click karain. http://www.sistani.org/urdu/qa/01797/.

Print

Id:
77889
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Jo raqam sohr apni bv ko btor tohfa dy ya jaib kharch k tor pr dy to kia us pr khums wajib he.

Answer: Jee haan, tohfe per khums wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkam e khums o fitra ,Mafhoom e Maslah #2306). Update on dated 06-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77893
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Jo raqam waldain ya bahi apni bate ki btor tohfa den to kia us pr kums wajib he.

Answer: Jee haan, tohfe per khums wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkam e khums o fitra ,Mafhoom e Maslah #2306). Update on dated 06-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77895
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ager kuch raqam kise ko btor qarz di gae he to us bary me khums ka kia hukam he.

Answer: Agar qarz per di hoe raqam wosool kerne k qaabil ho tu zarori hay k os raqam ka khums ada kare, chahay narmi k sabab ya kisi doosri wajah se os raqam ka mutaalba nah kare, laikin agar mutalba k sath bhi raqam abhi khums k saal k agaaz tak wusool nah ho, tu sabar kare or wosool hone k baad fauran saal ka intezaar kiay baghair khums ada kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkaam e khums o fitra, Mafhoom e Maslah #2366). Update on dated 06-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84842
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Agar koi shakhas Maqrooz (Qaraz daar) hai Bank ka ya kisi individual ka toa kiya wo shakhas khumus ada karnay ka paaband hai.agar YES to kis hisaab sy ada karayga(Please Explain)

Answer: Qarz ki asal raqam per khums wajib nahi hota Q k os raqam k aap malik hi nahi hotay. Agar ye bank private ho tu saal ki amadani (income) se jitni raqam bank ko wapas kerdi ho or qarze ki asal miqdaar aap k saal k akhrajaat main istemaal nah hoe ho tu otni miqdaar ka khums nikaalna wajib hoga. (Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat,part#1, sawaal#108). Update on dated 16-01-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85006
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o alaikom. Mai ek naukri pesha hoon. amdani aur kharcha barabar hi rehta hai .Rent pe rehta hoon Rs 6500/ pe. maine apni beti jo ke 13 saal ki hai is keliye 1 lac deposit aur 50000 rupees ka certificate rakha hai. wife ne 2 gold coins 10 10 gm ka rakha hai beti ke loye. yaho apni jama punji hai. Kia is pe khums wajib hai

Answer: Jo raqam aap ne beti ki shadi k liay mehfooz kar k rakhi hai tou khums k ikhtitaam par us ka khums ada karna wajib hoga,or wo gold is lie save kia hai k us ko sell kar k shadi k akhrajat poorey karain gay tu us par bhi khums daina hoga,lekin agar gold ya koi bhi cheez is lie rakhi hai k wo cheez ya sona beti ko jahez mai dain gay tu us par khums nahi hoga.(Ref:Book:Ahkaam e khums o fitra, Ayatullah syed Ali hussaini seestani, maslah # 2322 page# 43) . Update on dated 31-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85007
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Koa mai khums kiston pe ada kar sakta hoon. maslan mere paas 2 gold coins hai jis ki qeemat 110000 hai bank certificate 50000 ka hai aur 100000 lac deposit hai. ye sub beti ke jahez shadi biyah ke liye rakha hai. is per jo 20% khums bata hai wo kiston pe ada kar sakta hoon.Ijazat kistarah hasil karoon?

Answer: Khums ko qisto per ada kerne k liay mujtahid ya os k wakeel ki ijazat chahiay hoti hay, lehaza aap ko chahiay k aap mujtahid ya os k wakeel se ijazat talab karain.(Ahkame khums o fitra,mutarajjim syed tabish jawaid rizvi, Maslah#2370). Update on dated 07-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Aap subah 9:00 am se 1:00 pm tak Quran O Itrat Academy main call ker k ayatullah sistani k vakeel maulana Ali Raza Mehdavi se ijazat lay sakte hain.

Print

Id:
91617
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kuch cheezen mujhe tohfay me mili theen jo aik saal se ziada arsa istamal ke baad buch gaye hain. Kia in per khums dena ha 1. Perfume tohfay me mila tha. Aik saal se upar ho gaya ha aur kuch perfume buch gaya ha. Kia is bachay howay perfume per khums ha. 2. Rice(chawal) ka bag tohfay me mila tha. Saal baad kuch buch gaye hain. Kia in per khums ha. 3. Tohfay me jotay milay thay. Aik saal se ziada ho gaya ha inhe istamal ker rha hon. Saal baad kia jooton ki mojoda qeemat per khums ha. 4. isi tarah kuch kapray me saal se ziada ho gaya ha pehan rha hon.

Answer: Jo chazain saal se zaid istemaal k baad bach jain agar on ki koe qeemat frookht ho tu phir khums ada kerna hoga.
1-Agar is bachay hoay perfume ki koe qeemat frokht ho tu is per khums wajib hoga.
2- Agar is bachay hoay chawal ki koe qeemat frokht ho tu is per khums wajib hoga.
3- Jo chezain istemaal se kam nahi hoteen balkeh baaqi rehti hain on ko istemaal kerne k baad on per khums wajib nahi rehta. Lehaza aap k jotay jis ko aap istemaal ker rahe hain on per khums wajib nahi.
4- Jo chezain istemaal se kam nahi hoteen balkeh baaqi rehti hain on ko istemaal kerne k baad on per khums wajib nahi rehta. Lehaza aap k kaprhay jis ko aap istemaal ker rahe hain on per khums wajib nahi. (Ref: Ahkam e khums o fitra,ayatullah sistani, maslah#38-2320). Update on dated 16-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92902
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-03

Question: Asslam o Alekum, Me bank me job karta hoon or har mahinay apni salary me se kuch raqam save kar raha hoon. Apni sister ki shadi k liay. Or mujhe 4 saal hogaye hain savings kartay hoey. Kya is saving per khums wajib ha or agar hay to kis tarah ye 4 saal ki savings ka khums ada karon. Or kya flat per khums wajib ha jo k maray walid k name par hay. Shukrya.

Answer: 1) Jee haan, jo raqam aap nay save ki hay us par khums hoga.
2) or miras par ya jis ghar main insan rehta ho or wo us ki shan kay mutabiq ho to us par khums nahi hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #1724/1745/1747 )
[Updated on 03-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93086
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-14

Question: Salaam...England mai jo burhay logon ko kaam na karnay per wazifa milta hai kiya is pesay per khums nikalna wajib hai?agha sestani k fatwa k mutabiq jawab dijay

Answer: wsalam.jee agar wo saal bhar k ikhrajaat sai ziaada hai tu us par khums wajib hoga.(Ref:ahkaam e khums o fitraa maslah no 2306 page no 33)
[Updated on 14-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93252
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-23

Question: Salam. Kuch maulana ka khna h ki khums ki rakm kisi bhi zimmedar maulana ko diya ja sakta h..aur kya haqqe sadat jo syed ho aur khums ka haqdar bhi hi use bina kisi se puche diya ja sakta h?

Answer: khumus ky do (2) hissy hoty hen aik ko sehim e imam or aik ko sehim e sadat kehty hen or jo hissa sa’daat ka hai aur zaruri hai ke kisi faqeer sayyed ya yateem sayyed ya aise sayyed ko diya jaye jo safar mein laa chaar ho gaya ho aur dosra hissa Imaam(a. s. s) ka hai jo zaruri hai ke maujooda zamaane mein jaa’me shara’e mujtahid ko diya jaay ya aise kaamo jiski wo mujtahid ijaazat de kharch kiya jaay aur ehtayaat-e-laazim hai ke wo marja’e a’lam ho aur mas,alehato se aagaah ho.or Jis yateem sayyed ko khums diya jaay zaruri hai ke wo faqeer bhi ho laikin jo safar mein la chaar ho jaay wo khahh apne watan mein faqeer na ho tab bhi ose khums diya jaa sakta hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 1804/05/06)
[Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93519
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-10

Question: Salam Alekum: Main Berozgaar Hu Or Mere Bhai Ne Mujhe Kuch rupay Diye Hai Mere Kharcha Pani Ke Liye To kya Un Paiso Me Khums Niklega I am totally Jobless

Answer: Berozgaar k paas agar kuch raqam ho or wo us ko aik saal tak istemaal nah karay tu us par khums daina wajib hoga.(Ref:ahkaam e khums o fitraa aqai seestani maslah#2329)
[Updated on 10-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95859
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya apna ghar karidany k liy jama ki janay wali amount pay zakat farz hai

Answer: Jo raqam saal bhar istemaal nah ho os per zakat wajib nahi hoti laikin khums wajib hota hay or khums se murad ye hoti hay k maal ka 1/5 hissa dena hota hay. Mazeed tafseel k liay is link per click karain. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3645/.)

Print

Id:
102764
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Agr kisi cheez k bary ma shak ho k ye israf h ya nae or is pr khums h ya nae to ispy khums nikalna wajib h?

Answer: agr kisi israf ke bare me yaqeen hai keh israaf kia hai to khums wajib hoga warna nahi (mafhoom).
(Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail jamia , masla no 2317, Web Address : https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4490/ )
[Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102847
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-06

Question: AOA, Meri Income Kum Hai is liyay Meray Walid nay muj ko kush pasay diyay hain kharchay kay liyay jo meray aik sal istemal kay bad bhi hosakta hai bach jain. 1. Kiya In paison pay Khums Ada Karna hoga? 2. Agar Khums Dena hai to in paison pay fori (urgent) Khums dena hoga ya jab sal kay bad bach jay tab Khums dena hoga?

Answer: 1,2- Jee in paiso per saal k baad khus wajib hoga. (Ref: Ahkam e khums o fitra,ayatullah sistani, maslah#38-2320)
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102998
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-09

Question: Salam.. Mein 20 years ki hoon lekin mein khums nahi nikalti thi or ab mein 2020 se khums nikalna chahti hoon ab mein kis tarah se khums nikaloon ? R is waqt se pehle yani baligh hone k baad se le ker ab tak k liye kya hukm hai khums ka. Kya is ka koi kaffara bhi ada kerna hoga ?

Answer: Is maamlay mai mujtahid k kisi wakeel sai rujoo karein.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4503/)
[Updated on 10-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103043
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-13

Question: Aslam o alikum molana sahib mei pakistan se hun next month umrah karnay ja raha hun kya meray umrah k akhrajaat pe khumas ho ga aur agar ho ga tu kitna?

Answer: umra k akhrajaat saal k akhrajaat shumaar hote hain jo keh is saal kharach kiay gaey hoon. or agar oska safar saal k baad tak tolaani ho ajey tu jo kuch saal k baad guzzishta saal ki amdani se kharach kare tu zarori hay keh os ka khusm day.(Ref: kitab Ahkam e khums o fitra, pg#44)
Note: Saal se murad khums ki tareekh hay, kamane wae shaks ki aik makhsoos khums ki tareekh hoti hay or berooz-gaar ko milne wali har cheez per saal poora ho or istemaal nah ho tu khums hota hay.
[Updated on 13-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103078
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-18

Question: khums kin kin chzoon par wajb h

Answer: Khums 7 chezon par wajib hai,
1- Karobar (Ya Rozgar) ka Munafa.
2-Maadani kaneein.
3-Dafina (garha hua khazana).
4-Halal maal jo haram maal mein makhloot ho jaye.
5-Gotah khori se hasil hone wale samandari moti.
6-Jang me milne wala Maal e Ghaneemat.
7-Mashoor qaul ki bina par woh zameen jo zimmi kafi kisi musalman se khareeday.
(Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 1721).
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104462
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-29

Question: Me and my family live in someones house and i have given him Rs.300000 as (geervi) something like deposit. Now i want to pay Khums for the first time do that amount deposited for the house count. i live in Quetta, Pakistan. Any help be much appreciated Mujtahid: Aayat-ul-Allah Seestani.

Answer: Jee girvee ki raqam per bhi khums wajib hota hay. Agar aap ne abhi tak khums nahi nikala hai aur chahtay hain k aik date fix karain to aap Ayatullah Sistani(d.b) Karachi main moujood vakeel sai rabta karain, jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain. aur Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain. or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). address: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan
[Updated on 29-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107967
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-21

Question: Salam, Hum ek idare Ko khums dete hai use Marja e karaam se ijaza hasil hai. Lekin wo hame apne idare Ki raseed dete hai uspe Qalam se sehm e Imam likh dete hai kya ye sahi hai? Ya hame apne Marja ke daftar wali raseed Lena zaroori hai??

Answer: W/salam, khums dene wale k liye zaroori he k mukammal raqam ki raseed hasil kare aur yeh raseed us majre k daftar ki tarf se hona zaroori he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 2 page 58)
[Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108093
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-05

Question: What is the khums date of a government employee?:the day he joins the department or the day he receives his first salary in bank,or when he withdraws it from bank.

Answer: Sarkari ya mushtarak bank main jama shuda raqam ko jab tak hakim e shara ki ijazat se apne qabze or milkiyat main nah lay lay os main khums wajib nahi hoga Q keh hakim e shara ki ijazat se milkiyat main lene k baad hi wo os saal k munafey main shaamil hoga jise os ne hasil kia ho or os raqam main se jo os k salana akhrajaat se zaaid ho khums dena hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail jamay ayataullah seestani, pg#436 hashiya).
[Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108813
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-06

Question: Is it obligatory to pay Khums of jewellery which I purchased for my future wife? Jewellery price 45,000/- Weight 10 grams... Pls give answer at your earliest....

Answer: Khums ki date ppar is ka khums daina wajib hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1722,1723).
[Updated on 06-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108900
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-11

Question: Assalamualaikum!!!Eid-i-qurbaan meri khums ki tareekh ke baad aati hai aur me khums ki tareekh se pehle qurbani ka janwar khareedta hu,kya mujhe is janwar par khums nikalna hoga jo mein ne is saal ki aamdani se khareeda???

Answer: wsalam.
1)eid ul azha par qurbani karna mustahab e takeedi hai wajib nahi hai jub k khums dena wajibaat mai sai hai. Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
2)agar khums ki date par jaanwar moujood hai tou us par bhi khums aaye ga.Ref:Tauzeeh ul masail jamay ayatullah seestani maslah no 2298).
[Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109685
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-08-12

Question: Agha mujhy khums k mutalik maloomat chahye, khums kb wajib hota hy aur kin kin cheizon py hota hy aur khums ki tareekh kaisy muntakhib ki jati hy, aur khums ki ratio kaisy nikalty hain.

Answer: Tajir,dukaan daar,karigar,mulaazmat(job) karnay walay aur isi tarah dusray kamanay walay hazraat k liay zaruri hay k jab say unho nay kaam ya job shoru ki ho, aik saal guzar jaye to jo kuch in kay saal bhar kay akhrajaat say ziyada ho iska khums(5th hissa/20%) day. Mazeed malomaat k liay is limk se book download kar k perh lain.https://www.scribd.com/document/337300887/Ahkam-e-khums-o-fitra-%D8%A7%D8%AD%DA%A9%D8%A7%D9%85-%D8%AE%D9%85%D8%B3-%D9%88-%D9%81%D8%B7%D8%B1%DB%81. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
[Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110611
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-08

Question: Is there khums on kufan purchased for self use.

Answer: Yes .agar kafan ko aise paise se khareda hay jis khums wajib hota hay or khums na nikala ho tu purchased kie ghe kafan per khums ka saal guzarne ke baad khums hoga (Ref: Ahkam e khums o fitra,ayatullah sistani, maslah#38-2320).
[Updated on 09-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110735
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-24

Question: Agha sb main ny ik suit kapron ka liya tha aur abi tak silae ni krwaya aur sal sy zyada arsa h geya hai aur abi main silae krwana chahta hon tu kya us py Khums wajib hai ya nahi...kindly tell me thanka

Answer: Is ka Khums nikalna wajib hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 110 ,pg # 51,52)
[Updated on 24-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111024
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-18

Question: Agar aurat ko jahez me sona aur zameen mili ho tou kia uspy khums nikalna hota hai?

Answer: Is ka khums wajjib hay magar ye keh is miqdar ka is k paas nah hona jo istefadah nahi hoa os ki shan k khilaf ho ya yeh keh istemal karne ka qareebi imkan paya jaata ho jaisay mehmano ka saman agar zarorat k waqt farhaam karna asan nah ho.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01797/#25668).

[Updated on 18-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111088
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-06

Question: Kia jahaiz ki cheez on par khums hai?

Answer: Jo raqam baap ne beti ki shadi k liay mehfooz kar k rakhi hai tou khums k ikhtitaam par us ka khums ada karna wajib hoga, or wo gold is lie save kia hai k us ko sell kar k shadi k akhrajat poorey karain gay tu us par bhi khums daina hoga, lekin agar gold ya koi bhi cheez is lie rakhi hai k wo cheez ya sona beti ko jahez mai dain gay tu us par khums nahi hoga. (Ref:Book:Ahkaam e khums o fitra, Ayatullah syed Ali hussaini seestani, maslah # 2322 page# 43) .
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111420
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-12

Question: Assalam o alaikum. Agar khums ki tareeh aany sy kuch arsa pehly jewellery hareedi jaaye k khums kamm nikly par woh istemaal main b aa jaye saal guzarny sy pehly to keya usspy khums wajib hoga?

Answer: Agar khums ki tareekh aane se pehle zewar istemaal ho ajey tu khums wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1751).
[Updated on 12-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111844
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-13

Question: السلام عليكم آغا جان المرجع الديني الأعلى سماحة آية الله العظمى السيد علي الحسيني السيستاني دام ظله العالي کے فتوی کے مطابق سوال : میرا سوال خمس کے حوالے سے ہے جاب کے ذریعے ہونے والی انکم سے بچت کے اوپر خمس نکالنے کا طریقہ پہلے سال 100 روپے بچت پر خمس 100 ÷ 5 = 20 خمس 20 روپے مال مخمس 80 روپے دوسرے سال پھر 100 روپے بچت ہوئی 100 میں سے پہلے سال کا مال مخمس نکالا 100 - 80 = 20 20 روپے کے اوپر خمس 20 ÷ 5 = 4 خمس 4 روپے مال مخمس 16 روپے تیسرے سال 100 روپے بچت ہوئی پہلے اور دوسرے سال کا مال مخمس جمع کر کے تیسرے سال کی بچت سے نفی کر لیا 80 + 16 = 96 100 - 96 = 4 4 روپے پر خمس 4 ÷ 5 = 0.8 تیسرے سال کا خمس 0.8 روپے مال مخمس 3.2 روپے چوتھے سال میں جو بچت ہو گی اس میں سے پچھلے تین سالوں کا مال مخمس جمع کر کے نفی کر دیں گے پھر خمس نکالیں گے یعنی ہر سال کا مال مخمس جمع کرتے جائیں گے اور اس سے اگلے سال کی بچت سے نفی کر کے جو مال بچے گا اس میں سے خمس نکالیں گے اگر چار سالوں کا مال مخمس جمع کرنے کے بعد پانچویں سال کی بچت سے کم ہو گا تو پانچویں سال کوئی خمس نہیں ہو گا آیا یہ طریقہ صحیح ہے ؟ اگر یہ طریقہ غلط ہے تو براہ کرم صحیح طریقے کی طرف رہنمائی فرمائیں؟

Answer: w.salam. Khums ki bayan karda ye calculation kamane wale shaks se makhsoos hay, or ye bhi wazeh rahe keh khusm ki tareekh per agar maal e mukammas maujood ho tu os ko bhi hisab main shamil kar k ye calculation ki jaey gi. Haan agar mukammas maal saal k doran istemaal ho kar khatam ho jaey tu phir khums ki tareekh per mukammas maal ko nikal kar alag kia jaey ga, or baaqi maal per khums ada kia jaey ga.(Ref: Rafed fil ahkaam e khums)
[Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112364
Mujtahid:
syed ali kahmenai Date: 2021-11-27

Question: kums k pasiy se kisi ki madad krsakty hn

Answer: Zarori hay k khums 2 hisso main taqseem kia jay. Oska aik hissa sadaat ka haq hay or zarori hay k kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jay jo safar main nachar hogaya ho or dosra hissa Imam a.s ka hay, Zarori hay keh sehm e imam a.s maujoda zamane main jaamus shraet mujtahid ko diya jaey ya aise kamo main jis ki wo mujtahid ijazat day kharach kia jaey or ehtiyaat e lazim ye hay keh wo marja aalam ho or omomi maslihato se agaah ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1804).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114738
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Agr kisi ki pocket money fix na ho or hr maheeny na milti ho or saal k akhir mai kch bchta na ho to khums k bary mai kya hukum hy ?

Answer: Agar saal ke aakhir men kuch nahin bachta ho to khums nahin hoga. jo afrad kamate nahi hain on ki har os amadni per khums wajib hoga jis per aik saal ho jaey or wo istemal nah hoon. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1762).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115980
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-06

Question: Salam.. sawal yeh hai k mujh pr kuch qarza hai.. aur me kafi arsay se ussy utarny k liye pesy jor rha hon magar qarz utar nahi raha.. aik momin ne mujhy kuch KHUMS ki raqm di thi .. usme se achi khasi raqm me ne waqtan fawaqtan mustahiq logon me taqseem kar di.. kuch raqm ab bhi mery pass mojood hai.. me uss raqm se kuch kaam kerna chah rha hon taa k mujhy uss se kuch munafa ho aur me apna qarz adda kr sakon.. aur baad me khums ki raqm haqdaar ko de don.. kya me khums ki rakm kisi kaam me istemaal kr sakta hon..

Answer: wsalam.
is maamlay mai aap k liyeh or ju khuch aap ne maal khums me se aap ne istemaal kia hay is sab ki tafselaat ke lie laazim hai k mujtahid ya aytullah sistani shab ke wakeel sai raabta karein. or jaldi raabta kare
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1804).
[Updated on 07-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116131
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-03

Question: Ayatollah sistani k mutabiq Mai 16 saal ki hun aur bachpan se adat thi k coin jamma krti thi aur bary hone tak ye cheez kri kabhi eidi ke paise bachati kabhi gift me diye huwe paise bachati ab kya un jamma kiye huwe paison ka khums ada krna hoga? Agr khums wajib tha to wo paise kharch ho chuke hai bohot saalon rakhne k baad, kya alag paison se pechley paison ka khums ada hosakta hai aur kitne fisad?

Answer: 1: Jee han, us par Khums wajib hoga.
2: Aur aap ke pass wo paise kharch hone ki wajah mojood nahin hain to alag paison se ada karna hoga. or coins, eidi, gifts wagera ye jitni raqam jama hoi thi us ka panchhwan(1/5) hissa ada karna zaroori hai.
(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalat, Part #2, sawal #111,112, pg #52).
[Updated on 04-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120520
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-15

Question: AOA, Main aaik travel agency may job karta hon, meray company kay malik nay muj ko Ijazat di hai kay jo bhi sale meray through hogi us pay malik muj ko commission day ga. 1. Mera pehla sawal yeh hai kay meray through agar Iran or Iraq ki ziarat kay kush tickets issue howay hain kiya main us pay commission rakh sakta hon jaiz hai ya nahi. 2. Agar main rakh sakta hon commission to kiya muj ko us pay Khums dena hoga or kitna percent?

Answer: 1: Agar aap malik ko batayen or malik is par raazi bhi ho to commission rakhna jaiz hai.
2: Jo commission mile agar (wo aap ke khums ke saal ke aakhir) men us me se kuch bach bach jaaye to khums dena hoga aur agar na bache to khums nahin hoga.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part # 2, Mafhoom e Maslah #1302, Edition 1417 hij. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, Mafhoom e maslah #1722,1723).
[Updated on 15-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120706
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-15

Question: Janab assalam o alaikum Meri age 35 hai or maine abhi tak khums nhi nilala .ab nikalna chahta hu but inta sal ho gya h ki kuch samjh nhi aata ki kaise calculation karu. Please help

Answer: 1: Taajir, kamanay wala, karigar, mulazim, kisaan, ustaad, mazdoor or digar paishay wale afraad ka, kamayei ya kaam shuru karne se aik saal guzarne k baad, khums ka saal aa puhnchta hay, zaroori hay k jo khuch un k saal se ziyada ho us ka khums (yani 1/5) dain, be rozgaar afraad ko jo ittefaaqi amadani hasil hoti hay tu jab amadani hasil hone k waqt se aik mukammal saal guzar jaey tu us bachi huei miqdaar ka khums ada karna zaroori hay, isi tarah be rozgaar afraad apni har amadani k liay aik alag saal muqarrar kar sakte hain.
2: Jis din kaam shuru kiya tha wahi aap ke khums ki tareekh hai har saal us din jo kuch aap ke pass bacha hai us ka khums adaa karen chahe naqad paisa ho ya wo cheezen jo istemaal se khatam ho jaati hain jaise khaane, peene cheezen jo kuch bachi hon aur isi tarah libaas aur is tarah ki cheezen agar jis saal men khareedi hon us men istemaal in ko na kiya ho, aur guzishta saalon ke liye bhi jis men khums nahin diya hai. isi tarah hisaab karen aur agar us ki miqdaar maloom na to jitni miqdaar yaqeeni hai use adaa karen aur mashkook miqdaar ke liye apne mujtahid ya us ke wakeel se musaliha karen is tarah se ke agar 50% feesad ehtemaal ho ke us cheez ka khums diya hai to us ka aadha khums den, aur Ghar ya Ghar ka saman, gaari aur doosri cheezen agar saal ki aamdami se khaeedi aur istemaal ki hon to us par khums nahin hai. aur har saal khums de kar bachi huei miqdaar agar naye saal men kharch ki ho to naye saal ki aamdami se use kam kar sakte hain.
3: Apne poore maal se khums nikalne ke baad khums ke do (2) hissy kiye jayen gay aik ko sehm e imam(a.s) or aik ko sehm e sadat kehte hen. Jo hissa sadaat ka hai zaroori hai ke kisi faqeer sayed ya yateem sayed ya aise sayed ko diya jaye jo safar men laa chaar ho gaya ho. aur jo hissa Imaam(a.s) ka hai jo zaroori hai ke maujooda zamaane men jaame sharait mujtahid (ya us ke wakeel) ko diya jaaye ya aise kaamon par jiski wo mujtahid ijaazat de kharch kiya jaaye aur ehtayaat-e-laazim ye hai ke wo marjae alam ho aur maslehaton se aagaah ho. or Jis yateem sayed ko khums diya jaaye zaroori hai ke wo faqeer bhi ho lekin jo safar men la chaar ho jaay wo khuwah apne watan men faqeer na ho tab bhi use khums diya jaa sakta hai.

(Ref: Ahkam e khums o fitra, pg #29-31. + website link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25623/ . + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1804,180,18056).
note: aap khums adaaeghe ke silsele me aytullah sistani sahab ke kise vakeel se jo molana hote hay un se raabta karsakte hay ya chaae tu pakistan ke city karachi me moujood molana ali raza mehdave se raabta karsakte hay. 03452295922
[Updated on 16-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-26

Question: Zameen aor plot pr khumas ki detail bta dain

Answer: Har wo aamadni jo salana kharch se bach jaye aur zaroorat me istemaal na ho us par khums wajib hai. ( or is ke tafseele ahkaam sawaal ke tabdeel hone se tabdeel hosakte hay )
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/127257/ ).
[Updated on 26-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120827
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-09

Question: Kya khums k peso ko kisi or ki majlis m tabruk ya kam k lye istnal kiya jaskta

Answer: Jee nahin, balke Sehm e sadaat, sadaat ka huq hai or zaroori hai k kisi aise syed ko diya jaaye jis mai sharait moujood hon aur Sehm e imam zaroori hai ke mujtahid ya us k wakeel ko diya jaaye, Han sehm e imam, mujtahid ya us ke wakeel ki ijaazat se kharch kiya jaa sakta hai lekin zaroori hai pehle mujtahid ya us ke wakeel se ijazat li jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804).
[Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120977
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-03

Question: Agar kisi ko qarz dya hoa ho aur kisi se qarz lya ho toh us amount par khums hai?

Answer: 1: Wo qarz jo zarooriyat e zindagi ke liye liya ho us ko usi saal ki amadani se kam kiya jaa sakta hai aur phir jo bache us ka khums ada kiya jaye, lekin guzishta saalon ke qarz ko is saal amadani se kam nahin kar sakta.
2: Agar qarz par di huei raqam wosool karne ke qaabil ho to zaroori hai ke us raqam ka khums ada kare, chahay narmi ke sabab ya kisi doosri wajah se us raqam ka mutaalba nah kare, laikin agar mutaalbe ke sath bhi raqam abhi khums ke saal ke agaaz tak wusool nah ho, to sabar kare or wosool hone ke fauran baad (agle) saal ka intezaar kiye baghair khums ada kare.
(Ref: Ahkaam e khums o fitra, Ayatullah Seestani(d.b), Mafhoom e Maslah #2360,2366. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01797/#25628 ).
[Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121087
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-21

Question: Mere shauhar par bank se qarz h or emi chl rhi hai toh kya Mai khums de skti hu

Answer: Jee han, agar khums ki tareekh aa gayei hai or aap ke pass saal bhar ke akhrajat me se kuch bach gaya hai to aap ko us ka khums ada karna hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1722,1723).
[Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121187
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-09

Question: Salam Agha Sahib Khums Calculation... Recently, I've voluntarily separated from job and receive the following payments: a. Provided fund (10% contributed by me and 10% contributed by employer + accumulated interest) b. Gratuity (one month salary X years of service) c. In advance one year of salary since this was a voluntary separation. Please will you guide the Khums calculation on above three scenario. Respectfully, Mustafa

Answer: wa alaikum salam.
aap ko tamam raqam main se mukammal gratuity per khums daina hoga or provident fund main se aap ki os raqam per khums hoga jis per khums ki tarikhain guzar chuki hain or is tarah advance salary or provident fund main aap ki wo raqam jis per khums ki tareekh nahi guzari hay or provident main se wo raqam jo company ki janib se di gaey hay isi tarah interrest per foran khums nahi hoga, bakeh wosool karne k baad jab khums ki tareekh aaey gi wo in main jo raqam baqi rahi tu khums wajib hoga.
[Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122064
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-09

Question: Meri date 31 Dec hai khums ki. 24 ko mjhe salary mili hai kia 6 din baad Khums me mjhe us salary ko mila ke dena hoga ?

Answer: Taajir, dukan daar, kaariger, mulaazmat (job) karnay walay aur isi tarah dosray kamanay walay hazraat ke liye zaroori hai ke jab se unhon ne kaam ya job shuru ki ho, aik saal gurazar jaaye, to jo khuch raqam ya samaan istimaal se bach gaya ho, us ka khumus dain.
Is bina par agar mukammal salary kharch na hui ho to tamam salary ko bhi us me mila kar is ka khums dena zaroori hoga, isi tarah agar kharch to hui ho lekin kuch bach jaye to jo baaqi bache gi us me mila kar is ka bhi khums dena zaroori hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1722,1735).
[Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122164
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-24

Question: Assalamualaikum, mera sawal khums k hawaly se hai, Ma salaried person hu, or salary se monthy bacha hote hai, muje aik saal hone ko hai job start kye hwy or routine ma mery kharchy chal rhy hain jis ma mery apny kharchy or family ky b kharchy hain. Or mera irada hai k parents ko ziaraat e muqadasa pa bejne ka, or sath ma apni zarorat k lye gadi b lena hai, kindly guide krdain k kis amount pa khums lagy ga, kia ye kharchy krny k bd jo bachat hogi uspa khums dena hoga?

Answer: Jis tareekh ko aap ne job shuru ki thi agle saal wohi tareekh aane tak usi saal ke andar andar agar zaroorat ke tehat aap ne gaari lay li ho aur istemaal bhi ki ho, isi tarah waldain ko ziyarat e muqadasa pe bhi bhej diya ho to jo raqam is tarah ke kharch karne ke baad bache gi us ka khums dena zaroori hoga.
lekin agar agle saal wohi tareekh aane ke baad gaari khareedi ho, isi tarah waldain ko ziyarat e muqadasa pe bheja ho to jo raqam gaari khareedne me aur ziyaraat pe kharch huei hai us ka bhi khums ada karna hoga.

2: Jis din kaam shuru kiya tha wahi aap ke khums ki tareekh hai har saal us din jo kuch aap ke pass bacha hai us ka khums adaa karen chahe naqad paisa ho ya wo cheezen jo istemaal se khatam ho jaati hain jaise khaane, peene cheezen jo kuch bachi hon aur isi tarah libaas aur is tarah ki cheezen agar jis saal men khareedi hon us men istemaal in ko na kiya ho, aur guzishta saalon ke liye bhi jis men khums nahin diya hai. isi tarah hisaab karen aur agar us ki miqdaar maloom na to jitni miqdaar yaqeeni hai use adaa karen aur mashkook miqdaar ke liye apne mujtahid ya us ke wakeel se musaliha karen is tarah se ke agar 50% feesad ehtemaal ho ke us cheez ka khums diya hai to us ka aadha khums den, aur Ghar ya Ghar ka saman, gaari aur doosri cheezen agar saal ki aamdami se khareedi aur istemaal ki hon to us par khums nahin hai. aur har saal khums de kar bachi huei miqdaar agar naye saal men kharch ki ho to naye saal ki aamdami se use kam kar sakte hain.

3: Saal ke dauraan insaan jo kuch khoraak, libaas, ghar ke saaz o samaan, makaan ki kharidari, betay ki shaadi, beti ka jahez aur ziyaarat waghairah par kharch kare us par khums nahin hai, lekin shart ye hai ke aise akhrajat us ki haisiyat se zayada na hon.

(Ref: Ahkam e khums o fitra, pg #29-31. + website link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25623/ . + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1721,1730,1734,1744).
[Updated on 25-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print