Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Maal-e-Zakaat (38 Questions)


Showing 0- 38 questions from 38 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
850
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: why is there no zakat on rupees notes

Answer: Kionkay Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti.1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay.7:Oont.8:Gaey.9:Bhair bakri.10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par..Rupees in cheezoon main say nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-29.

Print

Id:
1161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a molana kia gold jo zewer hotha hai women k pass aus per be zakat hothi hai? ager hai tho kitnay grams per kitni zakat wajib hai .may nay ak book may read kia hai k zewar per zakat nahi hothi.plz reply me soon thx Allah hafiz

Answer: Wo Sikkay Daar Sona aur Chaandi jo aurtain batoor e zaiwer pehenti hain jab tak wo raaij hoon yani sonay aur chaandi kay sikkon kay taur par un kay zariye lain dain hota ho to aihtiyat ki bina par Zakat dena wajib hay.Agar un kay zariye lain dain ka riwaaj baqi na ho to Zakat wajib nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1865

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a molana shahib kia gold jo zewer ke shap may ho aus per zakat hoti hai? plz reply me allah hafiz

Answer: Wo Sikkay Daar Sona aur Chaandi jo aurtain batoor e zaiwer pehenti hain jab tak wo raaij hoon yani sonay aur chaandi kay sikkon kay taur par un kay zariye lain dain hota ho to aihtiyat ki bina par Zakat dena wajib hay.Agar un kay zariye lain dain ka riwaaj baqi na ho to Zakat wajib nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1865

Print

Id:
1864
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Asslamalaikum.mujhe gold par jakat ke bare me malum karna hai.kya sone par jakat ramjan ke mahine se phle ada kar sakte hai.

Answer: w.s. agr insan bara mahine gaye, bhed, bakari, unt, sone or chandi ka malik rahe to un ki zakat ada kare, albatta barhwe mahine ki ibteda me koi aysa tasarruf mal me nahin kar sakta k jis ki wajh se mal khatam ho jaye. sone ke do nisab he (1) bis miskale sharee (2) char miskale sharee (ref: tawzihul masail Imam Khumeni (r.a.) masaala no.1853 & 1893)

Print

Id:
2067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam, Dear Sir, I hv a confusion in zakat and khums issues. If possible advs me the specific books which can easily explain me the both. Pls advs as follows. Zakat: - Tell me process and what are the sources of income on which we hv to pay zakat. KHUMS. Tell me process and what are the sources of income on which we hv to pay zakat. Need to know the details about khum. Also advs shall I use khums money on my sister to support her family. Pls advs. Awaiting your immediate responses. Thanks & Rgds hassan

Answer: w.s. Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti.1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay.7:Oont.8:Gaey.9:Bhair bakri.10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par..Rupees in cheezoon main say nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-29. (2) Jab Insaan Tijarat, Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day. Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay, warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222. (3) zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey, is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay. jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko (ya uske wakeel ko) diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804.

Print

Id:
2286
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mulana sahab zakat kaisay wajib hoti ha kahtay ha k 7:30 tolay say zayada sonay p zakat wajib hoti ha or agar 8:30 tolay gold ho to 1 tolay p kitni zakat wajib ho gi plz bataa dain.

Answer: bismehi taala, Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti. 1:Gandum. 2:Jao. 3:Khajoor. 4:Kishmish. 5:Sonay kay sikkay. 6:Chandi kay sikkay. 7:Oont. 8:Gaey. 9:Bhair bakri. 10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par. Ref:Istiftaat A.Sistani I-29

Print

Id:
3877
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AOA, mera question yeh hai k , ager koi burha couple ho or us k batay bhi hoon mager wo apney waldain ki zeroorat poori na kertay hon , as example, kaprey na bana k detey hon, to kia zakat k paisoon se hum unhain kaprey day sektay hain ? plz jawab zeroor dian.

Answer: Jeen haan,agar aulaad apnay waaldain k akrajaat ada nah karain tu doosray loog is is k walidain ki zakaat say imdaad kersaktay hain.laikin zakaat jis cheez ki nikaali gae ho,ya tu wo zakaat main dana hogi ya is ki qimat k baraber raqam daini hogi.zakaat ki raqam say kaprhay kareed ker daina ehtiyaat lazim ki bina par jaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen Part#1,masla#1127).

Print

Id:
3905
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: zakat kin chizo par deni hogi tafsil se bataain

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay.

1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay. 7:Oont.8:Gaey.9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay.

Gandum, Jao, Khajoor or Kishmish per zakaat os waqt wajib hoti hay jab wo apnay nisaab ki had tak pohanch jain or in ka nisaab taqreeban 847 kilogram hay.
Sonay or Chandi per zakat os sorat main wajib hoti hay jab wo sikko ki sorat main hoon or on k zarye lain dain ka rawaj ho(yani raa’ijul waqt hoon).
Oont k 12 nisaab ahin jin pehla nisaab 5 oont hain.(yani agar 5 say kam oont hoon tu zakat wajib nahi).
Gaey k 2 nisaab hain jin main pehla nisaab 30 gaey hain. .(yani agar 30 say kam gaey hoon tu zakat wajib nahi).in per zakat wajib honay ki aik shart ye bhi hay or wo ye keh ye jaanwar sara saal sirif jangli gaas khaatay rahay hoon.layhaza ager sara saal ya is ka khuch hissa maalik ki gaas khaay tu is jaanwar per zakaat daini wajib nahi hogi.
Bhairh Bakri k 5 nisaab hain jin main pehla nisaab 40 Bhairh bakri hain. .(yani agar 40 Bhairh bakri say kam hoon tu zakat wajib nahi).
(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1820,1829,1864,1872,1874,1876,1877).

Print

Id:
4422
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: as salaam alaikum agar koi sahibe nisab ho zakat nikal ne ke baad us ke pass kuch bhi maal baqee naho to kya use zakat desakte

Answer: 1)Jis hunar mand ya sahib e jaidad ya tajir ki amdani is k saal bar k akhrajat say kam ho wo apnay Akhrajat ki kami puri karnay k liay zakat lay sakta hay aur lazim nahi hay k wo apnay kam k auzaar ya jaidad ya sarmaya apnay akhrajat k masraf may lay aye.
2)Malik jis shakhs ko zakat day zaroori hay k wo shia isna ashri ho.
3)jis shakhs ka faqeer hona sabit ho os ko zakat di ja sakti hay.
4)jo shakhs sharab pita ho ya namaz na parhta ho isi terha jo shakhs khulam khulla ghunah karta ho to ethiat e wajib ye hay k os ko zakat na di jay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1892-1909 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4440
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam Mufti Sahib, Zakat kin kin chizo per wajib hain our unka miqdar kia hain?

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaijul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4456
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya ek syed zaada ya syed zaadi jo AALE RASOOL S.A.W. hain woh zakaat dena chahiye ki nahin?

Answer: Zakat apni tamaam sharait k saath wajib hay chahae syed ho ya ghair syed laikin syed , ghair syed se halat e majboor k alawa zakat e wajib(zakaat ya fitra) nahi le sakhta aur ethiat e wajib ki bina per zarori he k aisi majboori ho k khums aur dosray zariay se aamdani k akhrajaat k lie kafi na hoon. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1918) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4614
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: I have a open plot and how i have to pay zakat on it.

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay.( (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820)
Laihaza aap k plot per zakaat wajib nahi hogi.

Print

Id:
4748
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kiya zakat dena farz hy.ager apki incam achi nahi tu,humke pas shadi ka gold hy,mager ab itni achi incam nahi,tu pir bhi hum ko zakat lage ghi.hum ki shadi ko 3 saal ho gaye hain,

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaijul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865,1735).

Print

Id:
6306
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: If we have 30 gms of gold and 40gms of silver .....how we will pay zakat.khuda hafiz

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sakoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka rivaj ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7488
Mujtahid:
Ayotullah Sistani Date:

Question: Paper money is against gold reseves of the country.Then why not Zakat on it.

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raa’Ie’jul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865,1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15160
Mujtahid:
Date:

Question: agar humare pas 15 tole sona hai toh uspe kitni zakat nikalti hai.

Answer: Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sakoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka rivaj ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15927
Mujtahid:
aaqa khumeni Date:

Question: SALAAM WO LOG JIN K APNAY JEWELLERS HAIN AUR BANAY HUAY ZAIWRAAT KI KHAREED-O-FIROKHT KERTAY HAIN....UN K LIAY ZAKAAT KA KIA HUKAM HAY????????

Answer: Sonay par zakaat os surat mai wajib ho gi jab sona moamlay k lie raij sikka hona jo badshah ya is ki terh kisi markaz ki taraf sai mohar shuda ho agar chah wo kisi khas zamanay ya jigah si hi taluq q na rakhta ho. Islam ka sikka ho ya kufr ka, is par kuch likha hua ho ya na ho agar chah baad mai os ki likhai kisi wajha sai mit jae to bhi koi faraq nhi parta hai. Lakin agar pehlay sai mohar shuda aur likha hua na ho to os par zakaat wajib nhi ho gi magar ye k wo raij ho to ehtiyat ye hai k is par zakat wajib ho gi aur agar mohar shuda sonay ko zinat k lie zewar k tour par istemal kia jae to phir is par zakat wajib nhi ho gi. chahae is tareeqay sai is ki qimat ziada ho jae ya kam ho jae chahae is surat mai is ka lain dain mumkin ho ya na ho. (Ref : Ayat Ullah Imam Khomeni(r.h), Tehreer ul Waseela Part # 2, Maslah # sonay ki zakat ki shrt, Chapter : Zakat). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32704
Mujtahid:
Aya tullah Sistani Date:

Question: AOA...kia zakat k paise kisi imam bargha ki tameer k liye diye ja sakte hen??

Answer: Zakat ka malik Zakat ko ehtiyat e lazim ki bina par imam ya naib e imam(mujtahid) ki ijazat k bagair fi sabil allah yani wo kaam jin ka faida tamam muslmano ko hota ho maslan masjid ya imam bargah tamer karana wagira mai istemal nahi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1889)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48667
Mujtahid:
Date:

Question: Mry friend k pas 70 toly sona h, us pe kitny zakat wajib hai

Answer: Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sakoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka riwaj ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49218
Mujtahid:
Yes Date:

Question: 1lakh rs. Pe zakat ho gi ya nhi plz reply

Answer: Paiso par zakat wajib nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1820)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49220
Mujtahid:
Yes Date:

Question: Mera sawal ye hai k zakat ki kya ahmiyat hai ?

Answer: Zakat deen e islam ka aik ahm rukn hai aur namaz aur rozay ki terah musalmanoo par farz hai. Farq sirf itna hai k namaz aur roza jismani ibadat hai aur zakat mali ibadat hai. Is ki ahmiat ka andaza is baat sai lagaya ja sakta hai k quran majeed mai is ki adaigi ki takeed taqreeban 82 maqamat par ki hai aur 32 jigha to is ka zikr namaz jaisi afzal tareen ibadat k sath kia hai. (Ref: Ayatullah Khoi(r.h),Tauzeehul masail, pg # 279) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50530
Mujtahid:
Date:

Question: AOA.SIR ager banday per 12/13 lack qarz ho.aur us k pass 12/13 tolay gold be ho.to aya us per zakat farz hai ya nahi.

Answer: Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sikkoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka rivaj ho. Laikin agar lain dain ka rewaaj khatam ho chukka ho to zakaat ada karna wajib nahe hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Agar khums aur zakaat kise k zime wajib ho aur wo maqrooz bhi ho aur in sab ki adaigi nah kar sakta ho to agar wo maal jis per khums ya zakaat wajib ho chuki ho khatam naho ghaya ho to zarori hai k khums aur zakaat de aur agar wo maal khatam hogaya ho to zakaat , khums aur qarza ada kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1949 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50814
Mujtahid:
yes Date:

Question: kishmish ki zakaat hoti hay ? ya kishmish ka fittra nikala jata hay ?

Answer: Kishmish par zakat wajib hai laikin os waqt wajib hoti hai jab wo takreeban 847 kilo ho. Albetta is k mazeed ahkam hain. Is k alawa fitra bhi zakat ki aik qism hai jo eid ul fitr ki rat ko niklta hai jis mai 3 kilo un ghiza mai sai jo alaqay mai istemal hoti hon maslan ghundum, kishmish , chawal wagira mustahiq shakhs ko dia jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1829, 1952)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50835
Mujtahid:
zakat Date:

Question: zakat kin kin cheezo per adda krni lazim hai? Aur ager wo proper jo istemal mei naa ho un per zakat adda kerna lazmi hai ya nahi ager hai to kitni adda krni ho gi? Shukriya

Answer: Zakat 10 cheezon per wajib hai. 1) Gehoon 2) Jao 3) Khajoor 4) Kishmish 5) sona 6) Chandi 7) Onth 8) Gaaye 9) Bherr or Bakri 10) Ehtiayat-e-lazim ki bina per Maal-e-Tijarat.
Zakat in 10 chizon per us waqt wajib hoti hai jab ye cheezon kisi khas miqdaar tak puhnch jaen (us khas miqdaar ko nisaab kehte hen) or in 10 hi cheezon k nisaab mukhtalif hen. Or us waqt wajib hoti hai jab wo maal insaan ki apni mikiyat ho or wo insan khud kisi ka ghulam na ho blke azad ho or wo cheezen 11 month tak us k paas parhi hui hon bagher istamal k.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33st edition, maslah #1820-1821)

Print

Id:
51676
Mujtahid:
Date:

Question: AAO Mera eik pota meray first cousin say hei. wo sirf ekaila hey baqi tamam es dunya say ja chukay hein. Abao ajdad kay puranay ghar may rehta hei. Halia baroshun mein us ka gar gir gia hey. wo koi kam be khas naihin karta. malooom karna chahata hoon key kia hum Zakat (fee sabeel lilla ) say us makan ko tameer kar saktay hein. Thanks

Answer: zakat fi sabeelillaha yani wo kaam jin ka faida tamaam musalmano ko pouchta hai maslan masjid banana ,aisa madarsa tamer karna jaha dine taleem de jati ho ,shahar (city) ki safai karna ,sarkho ko pukhta banana aur inhe chora karna aur inhe jise dosere kaam karna, laikin in jaghaho me zakat kharach karne se phele ehteyate lazim ki bina per mujtahid se ijazt lena zarori hai.
Laikin zakat k maal faqeer ko de skte hai. faqeer wo shaks hai jis k paas apne aur apne ahal o ayaal k leye saal bahar k akhrajaat na ho . laikin jis k paas kohe hunar ya jaidaad ya sarmaya ho jis se wo apne saal bahar k akhrajaat pure kar sakta ho wo faqeer nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1889 )
Jis faqeer ko zakaat de jaay wo 12 imami hia hona chaiay , ehteyat wajib ki bina per wo sharabi naho , benamaze na ho aur khullam kulla ghuna karne wala na ho . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1906,1909 )
Jin louqo ka karcha kise per wajib ho wo insaan in louqo( maslan mah baab, aulaad, daimi biwi, ehteyat wajib ki nina per dada , dadi , nana nani,chay ye silsila kitna he upper kyu na chale jaay , aulaad ki aulaad chay ye silsila kitna he niche kyu na chalay jaaymaslan pota pote, nawasa nawasi )k karcha zakaat se ada nahe karsakta . (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 1607, edition1145) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52062
Mujtahid:
Date:

Question: Assalmao alaikum Please mujhe bataye ki one Lac me Zakat dena Wajib h Agar Wajib h to Zakat ka paisa kise de Jarurat mandon ko ya masjid wagerah me

Answer: 10 cheezo par zakat wajib hai(jb wo apnay nisaab ya muqara quantity tak pohansh jaein)
1-wheat
2-jow
3-kishmish
4-khajoor
5-gold
6-silver
7-camel
8-cow
9-sheep\goat
10-ehtiyate wajib ki bina par maal-e-tijarat. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1820)
Note: fiqhe jafferiyah(shia mazhab) main raqam(Currency) per zakat wajib nahi hoti.

Print

Id:
52558
Mujtahid:
aitullah sistani Date:

Question: mera sawal hy k zakaat kin cheezoo per wajib hy

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay.
1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay ke mojoda raij sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
56602
Mujtahid:
Date:

Question: agar hum apni family me kisi ko zakat de dein,tou ussay batana zaroori hai k this is zakat....coz agar ussay bura lagay tou aisay acha nahi lagta.aur wo needy b hai,orphan hai wo n no source of income she has.she is unmarried living wd her mother?

Answer: Wo Shaks jis k paas apnay aur apnay ehl-o-ayaal k liay saal bhar k akhrajaat nah hoon wo faqeer hai aur faqeer ko zakaat di ja sakti hai aur Agar faqeer zakaat lenay me khiffat(Sharam) mehsoos karta ho to mustahab hai kay isay maal to zakaat ki niyyat say diya jaye magar uska zakaat hona is par zahir na kiya jaye. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1889,1899)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
57335
Mujtahid:
Date:

Question: KIA ZAKAT KA PAISA JO EK SARKARI MULAZIM KO 60 SALL K BAD MILTA HA USPE ZAKAT BANTI HA?

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay.
1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaIejul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay
Wo sikke daar sona aur chaandi jinhe aurate batur zewar pehenti ho jab tak wo raij hoon yani sone aur chandi k sikko k tour per in k zariye lain dain hota ho ehteyaat e lazim ki bina per in per zakaat wajib hai laikin agar in k zariye lain dain ka rewaj baqi na ho to in per zakat wajib nahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1820,1865 ,1865 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
58268
Mujtahid:
Date:

Question: AoA.....mera sawal ye hai k larki ko jo zevar shadi pe milta hai us ki zakat larki pe farz hai ya husband pe larki k ps agr itne paise na ho tu husband zakat den skty hain ya biwi pe hi farz hai ?? Plzzz rpl me fast thank u

Answer: Zewer par zakaat nahi hoti zakaat kuch cheezo par wajib hai 1) Sona(gold) 2) chandi 3) khajoor 4) Ont(camel) 5) kishmish 6) Gaye(cow) 7) Bhair bakri 8) Jou 9) Ehtiat-e-Lazim ki bina par Maal-e-Tijarat. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masail#1820)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61971
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamo alaikum sir Mery 2 swal hai 1. Me shadi shuda hun or job krti hun. Meri ami and behn bhaio ka koi zarria mash nah hai so main unhain mali tor per pori tarhha madad krti hn. Mera swal hai k kia main unhain zakat de skti hn? 2. Mjy shadi pr jo gold lerky walo ki taraf se mila hai kia us pr zakat mjy deni hai?

Answer: 1-Behen bhaeyo ko zakaat di jasakti hay agar on main zakat k mustahaq ki tamaam sharait(maslan 12 imami shia ho,bay-namazi nah ho,khullam khulla gunah nah kerta ho,zakaat k maal ko haram main kharch nahi kare ga. Waghaira ) maujood hoon.2-Sonay k zewaraat per zakat wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1864-5,1911). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65634
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: gaari par zakar hoti hai kya ?

Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1820). Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65721
Mujtahid:
Date:

Question: Aslamu Alaikum . Agr hmare pas aek sal se kuch pese hn to un pe to zakat farz ho gi lekin agr hm un peson me or pese jama krien ge to un pe bi zakat frz ho gi ... jb k bad me jo pese jama kie hien un ko abi aek sal nai hwa. Mehrbani frma k mujhe is ka jawab dien. Jazak Allah

Answer: Paiso per zakat wajib nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1820). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66041
Mujtahid:
Date:

Question: A/w,,mera sawal h ki mere acount mei 6 lac h or ghar mei 1 lac kya inpe zakaat dena wajib h our kitna,,,mera professional event hai ye jo pese h usi ka hissa h or kuch meri kameti ka kya ye pese haram toh nahi,,our kya mei zakaat apne friend ko de sakti hu woh 3 mahine se berojgaar h eid ka bhi kharcha ni kar sakta, plz rply

Answer: Raqam per zakat nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1820). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69570
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam sir mera suwal ye hy k kitne tole sikedar sona ho to zakat wajib hy? or kia hm sone k badle uski price de sakte hai?

Answer: Sone or chandi per zakaat os waqt wajib hoti hay jab wo dhalay hoay sikko ki sorat main hoon or on k zerye lain dain ka riwaaj ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #1864). Update on dated 22-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76146
Mujtahid:
Date:

Question: is there any zakat on plot

Answer: No. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1820). Update on dated 30-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88537
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya hm zakat kisi madarsa bnany k lye dyskty h

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bin ape aisa kerna jaiz nahi hay. Ref: (Ahkam e khums o fitra, pg#184, ayatollah sistani d.b). Update on dated 04-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95861
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya pardess mai rehny walon means dosry country sy aaye workers ko zakat lena jaiz hai ya nai

Answer: Agra zakat k mustahiqeen ki sharaet maujood hoon tu zakat lay sakte hain. Zakat k mustahiq ki sharaet ye hain :1) 12 imami shia ho, 2) Ghareeb ho, 3) Sharabi nah ho, 4) Bay namazi nahh ho, 5) ehtiyaat e wajib ki bina per jo khullam khulla gunah e kabira ka murtakib ho os ko zakaat nah di jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1906-9). Update on dated 04-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print