Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Aitikaaf (78 Questions)


Showing 0- 50 questions from 78 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1002
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Aitikaaf karnay kay liye kiya lazim hay aur ramzan mein kab kerna sahi hai? aur is kay masail kay barey main maloomat faraham karain?

Answer: Aitikaaf kay liye laazmi sharait ye hain.Musalmaan aur Aaqil ho is kay saath 1.Niyyat (Qurbatan Ilallah) 2.Roza 3.kam say kam 3 din ka ho 4.Masjid e Haram ,Masjid e Nabavi,Masjid e Basara,ya Shaeher ki Jama Masjid main kiya jaey..Aitikaaf Mustahib hay Magar Aitikaaf us waqt karna sahi hay jab Roza rakhna sahih ho Afzal ye hay kay Maah e Ramzaan main kiya jaey aur khas tor par Aakhir kay 10 days main Afzal hay.Aitikaaf 2 din guzarnay kay baad teesray din wajib ho jata hay magar ye kay us nay Niyyat kartay hoay Shart rakhi ho kay wo zaroorat kay waqt palat jaey ga.Minhaaj us Saliheen (A.Sistani) Page No.342-44

Print

Id:
1656
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: salam, kia ulema aur maulana imam-ezamana a.s aur allah taala ko jawab deh nahin hein jo is tarah ayyashi k sath khums ka maal khate hein aur 2 2 gaarian land cruser, PREMIO, VITZ mein thaat k sath ghumte hein, agr ho sake to un sab molvion ko mera pegam de dejiye k unhain allah ko jawab dena hai kabhi pak suzuki ya mehran bhi le lia karein...agr koi sacha aur khara molana aap ki nazar me ho to bataiye...???

Answer: w alykums salaam,
ulema ho ya awam sab ko Allah taala ko jawab dena he, or Allah ne jis shariyat ka hame paband kya he is ki pabandi bhi ham sab par wajib he, is liye agar koi kam koi shakhs chahe wo alim ho ya aam shakhs shariyat ki hudud me rahkar kre to koi harj nahi he, hame ye bhi khayal rakhna chahiye ke ilazam lagana gunahe kabira he, agar ham kisi aalim se mutmaeen na ho to hame us aalim ki taraf ruju karna chahiye jis se ham mutmaeen ho, magar heme kisi bhi momeen ki gibat karne ya ilzam lagane ki hargeez ijazat nahi he.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
9035
Mujtahid:
Date:

Question: itikaf kin halat mein chor saktay hain

Answer: Agr etkaaf krne wala un asbab k siwa jin men etakaaf men nikalne ki ijazt hai masjid se nikle to uska atakaaf batil hojata hai, is men msla janne or na janne wale k drmiyan koi farq nahi hai balke bhule se bhi masjid se nikle to atkaaf batil hojayega magr ye k wo majburi men nikle ya usko zbrdati nikala jaye ya uska nikalna kisi zaruri hajat misal k tor pr peshab ya pakhane ya ghusle jinabt ya ghusle istihaza ya ghusl mas-e-mayyit k liye ho agrche uska sabab us k ikhtiyar se hi ho, namaz-e-juma men hazir hone k liye , janaze men sharik hone k liye , namaz-e-janaza , mayyit k ghusl or kafan, dafan k liye or bimar ki ayadat krne k liye masjid se bahir nikalana jaiz hai albatta dusre tmama wok am jo shar``ee rujhan rakhta hen ehtiyat wajib ye hai k unk liye bhi masjid se bahir na nikla jaye mgr ye zarurt aysi ho k jis se chhorqa na jasakta ho, usi tarah ehtiyat-e-lazim ye hai k masjid se nikle to qrib treen rasta ikhtiyar kre or zarurt se ziyada rukna jaiz nahi hai or ayse kamon men mashghool hona jis se atkaaf ki sirat baqi na rahe atkaaf ko batil kr deta hai agrche is ka masjid se bahir nikalna zbrdasti nikalne ki waja se ya majburi ki waja se hi q ho or jab wo masjid se nikla hua ho to tb bahir saye men bethna jaiz nahi balke Ehtiyat-e-lazim ye hai k kam pura hojane k bad mutlaqan bahir na bethe mgr ye k majburi ho.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # )

Print

Id:
15071
Mujtahid:
yes Date:

Question: pls agar aitakaf ki halat ma ehtalam hojay toh us ka process btay pls

Answer: 1)Ghusal janabat karne k lye masjid se bahar jaya ja sakta hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # before 1073)
2)jis isaan per ghusal janabat wajib ho is k musjid me therna haram hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #354) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15455
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal yeh hy k kiya aitekaf k liye hum 7 din ya 5 din k liye beht sakhty hy ?

Answer: Aitekaaf 3 din se kam sahi nahi hai or 3 din se ziyada sahi hai.7 ndin aitekaaf main baithna sahi hay laikn agar koe 5 din aitekaaf main baithna chahaiy tu os ko chahiay k wo aik din or aitekaaf ki niyat se batithay (yani 6 din aitekaaf main baithay). ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg# 477-8, Jadeed masail). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49452
Mujtahid:
Date:

Question: kya ehtelam ka honay se itikaf toot jata hai?

Answer: Nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg no: 481,maslah #11 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50249
Mujtahid:
Date:

Question: salam sir...sir mujhe itekaf ki niyat bta dein??

Answer: Niyat dil k iraday ka nam hai k Allah ki qurbat k lie itikaf karta hon qurbatan illaha. jis terah doosri ibadato mai niyat hoti hai isi terah itikaf mai bhi niyat ki jati hai aur start sai aakhir tk niyat par baqi rehna wajib hai yani agar aap sai koi pouchay k kia kar rahay ho to aap bta sakain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1 itikaf)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50520
Mujtahid:
Yes Date:

Question: Aitekaaf ka sahe wakt konsa hai

Answer: Ahtikaaf k sahe waqt us waqt hai jab roza rakhna sahe ho yani roza rakhna haram na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 477) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50563
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu Alaykum Jab ham Etekaf me bethte he to kisise b baat karsakte he Or etekaf me kinkin chijo ka khayal rakhna chahiye

Answer: Aitekaaf me batain kar sakte hai.Wo cheez jo aitekaaf karne wale ko chorhna zarori hain :1) jima ,2) ehteyat e lazim ki bina per istimna (mani kharij karna) 3) har qism ki khushbo soongna 4) khareedo forokht karna 5) dosero per fouqiyat jatane k liye deen ya dunyawi kaam me jagharhna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg: # 481) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50699
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Aitikaf ke duran gusal (Bath) ke bare main kya hukm hai? Koi pabandi hai ya jab dil chahe gusal ker sakta hai?

Answer: Aitikaf ki shart ye hai k musalsal isi masjid mai rehna chaheay jis masjid mai aitikaf start kia tha. Lehaza agar koi shakhs masjid sai nahanay k lie bahir nikal jae to aitikaf batil ho jae ga laikin ghusl e janabat k lie agar masjid mai ghusl ka intezam nahi hai to ghusl e janabat k lie masjid sai nikl sakta hai aur ehtiyat e lazim ye hai k masjid sai niklay to qareeb taren rasta ikhtiar karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 5 aitikaf)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50965
Mujtahid:
Date:

Question: ASLAM Oo alikum mjhy ye pochna hai ke ek larki aitkaf beithi or agly din hi uski date aa gai..ab us larki ko kya jrna chahiye abhi rozy khtm nhi hoye kya krna chahiye plzzzzzz bari meharbani jaldi batiye ga

Answer: Aap ka aitekaaf batil hay.Namaz or is jesi dusri ebadaten jinhen wazu, ghusl ya tyamum k sath ada krna zaruri hai agr ap is niyat se anjam den k sahi amal anjam de rahi hen, jaiz nhi hai , lekin wo ibaden jin k liye wazu, ghusl ya tyamum krna zaruri nhi hai un k anjam dene men koi harj nhi hai.Albatta jb ap pak hojaen to in rozon ki qaza wajib hai lekin namaz jo qaza hogai in dinon men unki qza wajib nhi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #448-459). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56223
Mujtahid:
Date:

Question: iddat me ramdan ka aitqaif ho sakta haa

Answer: G han hosakta hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2475 , 2482 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56472
Mujtahid:
Date:

Question: sir me ne ramzan ke kuch roze chord diye the ab me itqaf krna chata ho kia kr sakta ho.....abi plz reply krna aj sham ko bathna hy

Answer: 1)Agar kise ne kise share waja se ramzan k chand roze nah rakhe hoon to saal katam hone se pehle agar us ki wajah katam ho jaay to un rozo ki qaza karna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1668 )
2)Aitekaaf ki share sharaait k sath etekaaf karna jaiz hai. Etekaaf k sahi waqt us waqt hai jab roza rakhna sahi ho yani roza rakhna haram nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 477) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56649
Mujtahid:
Date:

Question: assalamu alaikum. Agar itakaf me baitha ho bimar ho jaye to kya karna chahiye

Answer: Aap ko chahye k aap Doctor ko Masjid me bula lain. Aitekaaf say sirf us surat me nikal saktay hai jub iska nikalna kisi zarori hajat se ho maslan pishaab ya pakhana ya wajib ghusl ho jis ka sabab uskay ikhtiyaar say hi ho. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla#05/Aitekaaf)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56736
Mujtahid:
Date:

Question: last 3 days itakaf kn sy rzy mai bethy hai

Answer: afzal hai ke Ramadaan ke aakri ashre main se koi se bhi 3 din etikaaf kiya jaae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # before 1068 , , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
66437
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: mard ki awaz sunne se kiya etekaf tot jata hai

Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Pg #262-265). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72248
Mujtahid:
Date:

Question: Agr peshab ke bad qatre ate hon to ase surat me itikaf ho skta ha?

Answer: Is se ahtekaaf per koi faraq nahe perta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail ,hissaa jadeed ,pg: 479,31st edition, maslah # 13,14) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
80291
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya auraten ghr m aitqaf p beth sakti hain

Answer: Merdo ki tarah Khawateen ka bhi ghar main aitekaaf durust nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,pg#478,Mafhoom e Maslah #10). Update on dated 05-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88430
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aghar aurat masjid e nabvi main itikaf bahtay to haiz shuru honey par Kya karey gi

Answer: Aytikaaf batil ho jaey ga or us ko foran masjid say nikalna hoga q k haa,iz(jo aurat halat e haiz main ho)us k liay masjid e nabawi main dakhil hona bhi haram hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 448). Update on dated 07-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia marhoom ki taraf se aitekaf ker sakty hai?

Answer: Jee haan ker saktay hen (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1069). Update on dated 17-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90927
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Jism meim Jo paseno ki smell hojati hai doran e itikaf Kia iski wajah se Masjid k andar he magar hadood e itikaf bahr jakar nahana sahi hai ?

Answer: Nahanay k liay masjid ki hodood e aytekaaf se bahar janay main iskaal hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition,jaded msael, maslah #29). Update on dated 10-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
97170
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-01

Question: Itikaf mai nahaya ja sakta hai? Ager gusal khana masjid mai ho to?

Answer: Nahanay k liay masjid ki hodood e aytekaaf se bahar janay main iskaal hay (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael#41th, edition jaded msael, maslah#29).
[Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114166
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: 15 saal ki umar me aitekaf kar sakte he ya nhi

Answer: Jee han, Aitekaf kar sakte hain. Aitekaf men baalig hona shart nahin hai aur mumayyiz(samajhdar) bachay ka aitekaf bhi saheeh hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Page #482, Maslah #42).
Larka jab Qamari(chand ke hisab sai) 15 saal puray karay to balig ho jata hai is k alawa jab bhi mani kharij ho jae gi larka balig ho jata hai aur naaf k nichay sakht baal ug jain to bhi larka balig ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2215).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114377
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-21

Question: Kya ittekaf me online classes le jasakte hain aik ghnte k liye?

Answer: Sharaei aitekaf ye hai ke Insan masjid men qurbat ke irade se thehre(tawquf-o-qayam kare). Ehtiyat e mustahab(behtar) ye hai ke theherna ibadati aamal jese namaz ya dua ki anjam dehi ke erade se ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1, pg #477).
(Note: Aitekaf men Online classes lena jaiz hai ).
[Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114795
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: 6 din ka etefaak kis rozy ko bethty han

Answer: 1: Atekaf ke liye moayan waqt nahin hai aur poore saal jin dino men roza rakhna sahi hota hai un dino men atekaaf karna bhi sahi hota hai aur atekaaf ka behtreen waqt maahe ramazan hai aur maahe ramazan ke aakhri 10 din (atekaaf ke liye) Afzal hain.
2: Atekaaf ke Agaz ka waqt pehle din (yani 21 ramazan) ki Azan e subah se shuru hota hai aur Ehtiyat e wajib ki bina par is ki intiha chhate din (yani 26 ramazan) ki magrib tak hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2,4, pg #477).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122400
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-16

Question: Asslam o alikum aitkaaf ma bathy hon or kisi apny ki death ho jy to hmy uthna pary to ky bad ma hm ya aitkaaf pura kr skty han kya ap plzz bta dy k hm kasy pura kr skty han 1din hi phly uthy hon hm to wo bad ma hm kasy pura kry plz jldi bta dy hmy

Answer: Wo maqamat jin mein aitekaf ki jagah se baahir jana jaiz hai in mein se aik hai ke insaan tashea janaza aur tajheez mayyit ke liye jaise ghusl, kafan aur dafan ke liye jaa sakte hain aur tashea janaza aur tajheez mayyit ke umoor anjaam day kar wapis aa kar usi aitekaf ko jaari rakha jaa sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, topic aitekaf, maslah #29).
[Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122764
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-14

Question: Kia ma Aitikaaf ki surat ma masjid sy nikal kar bhar paper deny ja sakta ho?

Answer: Kuch maqamat aise hain ke jin mein aitekaf ki jagah se baahir jana jaiz hai in mein se aik hai ke Har wo kaam jo urfi taur par zaroori shumaar kiya jaye to is surat me baahir jaa sakte hain.
Jaise madrasay aur college ke imtehanaat mein shirkat karna zaroorat urfi ho to aitekaf karne wala baqiya sharaait jo kharij honay se marboot hain un ki riayat karte hue aitekaf ki jagah se baahir jaa sakta hai, lekin is ke baahir jane ki muddat itni toolani nah ho ke aitekaf ki shakal hi khatam ho jaye misaal ke taur par agar aitekaf ke dinon mein se aik din taqreeban 2 ghantay ke liye imthehaan dainay ki khatir kharij ho to haraj nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #278).
[Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122818
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-28

Question: Kia ma Aitikaaf ki surat ma masjid sy nikal kar bhar paper deny ja sakta ho?

Answer: Kuch maqamat aise hain ke jin mein aitekaf ki jagah se baahir jana jaiz hai in mein se aik hai ke Har wo kaam jo urfi taur par zaroori shumaar kiya jaye to is surat me baahir jaa sakte hain.
Jaise madrasay aur college ke imtehanaat mein shirkat karna zaroorat e urfi ho to aitekaf karne wala baqiya sharaait jo kharij honay se marboot hain un ki riayat karte hue aitekaf ki jagah se baahir jaa sakta hai, lekin is ke baahir jane ki muddat itni toolani nah ho ke aitekaf ki shakal hi khatam ho jaye misaal ke taur par agar aitekaf ke dinon mein se aik din taqreeban 2 ghantay ke liye imthehaan dainay ki khatir kharij ho to haraj nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #278).
[Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122989
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-29

Question: assalamu alaikum , sir mera sawal hai ke agr ramzan maim mahwari ki waja se kch ruzy chor diye jyn to kya Itikaf mai bath skte hain? or itikaf ke duran mahwari aa jye to kya itikaf toot jata hai?

Answer: 1: Zaroori hai aitekaaf karne wala (mard ya aurat) rozay se ho lihaza Rozay ki halat ke bager aitekaaf sahi nahin hota. Isi tarah haiz aur nifaas wali aurat ka bhi aitekaaf sahi nahin hai. Aur aitekaaf ke dauran agar haiz aa jaye to aitekaaf baatil ho jaye ga. aur wajib hai ke masjid se foran baaher nikal jaye.
2: Jo aurat ne aitekaf me ho agar aitekaf ke dosre din mukammal honay ke baad haiz aajay to wajib hai ke masjid se foran baaher nikal jaye aur ehtiyaat-e-wajib ki bina par aitekaf ki qaza karna us par lazim hai siwaye ye ke aitekaf ki ibtida mein ruju (aitekaf ko us ke darmiyan mein chorne ki shart) ki gayei ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, jadeed masail, maslah #8,9,45).
[Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123185
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-01

Question: Aurton ko aitikaaf mein kisse kisse parda krna zaruri hota hai kyaaa walid aur bhai se bhi parda zaruri hota hai???

Answer: Aurat chahe aitikaaf ki halat me ho ya na ho dono soorton Na-mehram se Parda karna waajib hai, jabke Mehram afraad (walid, bhai, chacha, mamoo wagera) se parda karna waajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399).
[Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123214
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-03

Question: Kya itekaf me baar baar waju tot jaata hai to kya baar baar waju karna chahiye.

Answer: Aitekaaf ki halat me hamesha baa-wuzu rehna zaroori nahin hai, balke namaz aur is jaisi ibadat baja laane aur Quran ki tehreer ko choone ke liye wuzu karna zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315).
[Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-16

Question: Kya itakaf mei faishte Nazar ate hai

Answer: Aap ke is sawaal ka talluq fiqhe masle se nahe hay ,ahtekaaf ke hawale koi fiqhe masla hay tu aap sawaal karsakte hain .
[Updated on 17-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-16

Question: Eid k bad exam hy bachi k to apni parhai ko time dy sakti ha class 7 ma ha aitikaf main

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai.

2: Aitekaaf ke dauran school, college ya university ke imtihaan (exam) ki tayari kar sakti hai ya is ke alawa koi aur kaam bhi kiya jaa sakta hai. Albatta ehteyat e mustahab (yani behtar) ye hai ke theherna (Aitekaaf) ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ki anjam dahi ke iraday se ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, jadeed masail, maslah #1,10, pg #477).

[Updated on 16-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123287
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-15

Question: Ahtikaf me konsa roza se bytyna chaie or kiya ahtikaf k liye zruri ha k pure rozy rakhy gay hon or quran khtm kiye gay hon

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai.
2: Aitekaaf ke liye koi din muayyen nahin hai, balke poore saal jin dino me roza rakhna sahi hota hai un dino me aitekaaf karna bhi sahi hota hai aur aitekaaf ka behtreen waqt maah e ramazaan hai aur maah e ramazaan ke aakhri das din aitekaaf ke liye afzal hain. lehaza jis din roza rakhna sahi ho us din aitekaaf me beth sakti hain.
3: Aitekaaf ke liye poore rozay rakhna zaroori nahin hai. Albatta jab aitekaaf me betha jaye to us waqt rozay se hona shart hai. Aur aitekaaf ke alawa bhi jaan bhooj roza na rakhna ye jaiz nahin hai aur is ki qaza karni parhti hai aur is ke alawa kaffara alag se ada karna hota hai.
Isi tarah aitekaaf ke liye quran khatam karna zaroori nahin hai. Albatta sharaei aitekaaf ye hai ke insaan masjid me qurbat ke irade se thehre (qiyaam kare). aur behtar ye hai ke thehna, ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ke iraday se ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1625,1630. + Jadeed masail, maslah #1,2,5,8,10,11).
[Updated on 16-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123291
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-17

Question: Kia aitkaf jis din bethna ho us din roza Hona zaruri h? Jaisy females ko periods hoty Hain aur wo apny last day day ko ghusal kr k aitkaf kr skti hain?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Jab aitekaaf me betha jaye to us waqt rozay se hona shart hai yani rozay ke baghair aitekaaf sahi nahin hai, Ab agar aurat azaan e subh ke baad din me kisi waqt haiz se paak ho rahi hai to us ka aitekaaf sahi nahin hai.
Doosri baat ye ke Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai.

2: Aitekaaf ke liye koi din muayyen nahin hai, balke poore saal jin dino me roza rakhna sahi hota hai un dino me aitekaaf karna bhi sahi hota hai aur aitekaaf ka behtreen waqt maah e ramazaan hai aur maah e ramazaan ke aakhri das din aitekaaf ke liye afzal hain. lehaza jis din roza rakhna sahi ho us din aitekaaf me beth sakti hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #2,5,8,10,11, pg #477,478).
[Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123294
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-17

Question: Kia etikaf wala azan aur imamat dy sakta hn

Answer: Agar masjid ki hudood ke andar azaan o iqaamat di jaa rahi ho to day sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #278).
[Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123305
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-19

Question: Kya aurtain ghr par iteqaaf ki jaga tabdeel kr skti Hain Matlab k agr jidr Bethi Hain us kamry mein ya jaga py koi msla wagera hai to Kya jaga tabdeel ki ja skti hai iteqaaf k duraan???

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa aitekaaf hi sahi nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11, pg #478).
[Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123314
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-22

Question: Itiqaaf me kitny ghnty sony ki ijazat h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa aitekaaf hi sahi nahin hota.
2: Aitekaaf ke dauraan sone ya bedaar rehne ke liye waqt muayyen nahin hai yani insaan ke liye sone ya bedaar ikhtiyar hai chahe jitne waqt soye. Albatta sharaei aitekaaf ye hai ke insaan masjid me qurbat ke irade se thehre (qiyaam kare). aur behtar ye hai ke theherna, ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ke iraday se ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,5,10,11, pg #477,478).
[Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123316
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-22

Question: Aslam o alikum maine 21 Ramzan ko aitikaaf main bethna tha pr beth nhi saki ab 6 din k liye bethna ha tou kis rozy ko betha behter ha.... 6 din k liye Ramzan k akhri rozo main sy kis rozey ko bethna ha... Plzz reply zror krein zrori ha..

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa aitekaaf hi sahi nahin hota.

2: Aitekaaf ke liye koi din muayyen nahin hai, balke poore saal jin dino me roza rakhna sahi hota hai un dino me aitekaaf karna bhi sahi hota hai aur aitekaaf ka behtreen waqt maah e ramazaan hai aur maah e ramazaan ke aakhri das din aitekaaf ke liye afzal hain. lehaza jis din roza rakhna sahi ho us din aitekaaf me beth sakti hain.

3: Aitekaaf ka waqt kam az kam teen din, un do darmiyani raaton ke sath ho jo un teen dinon ke darmiyan hoti hain. is se kam aitekaaf karna durust nahin, lekin ziyada din aitekaaf ki koi had nahin hai aur pehli ya chauthi raat ko aitekaaf ki niyat mein shaamil karne mein koi rukawat nahin hai. is bana par teen roz se ziyada aitekaf karna jaaiz hai aur agar koi shakhs (mard o aurat) mukammal paanch din aitekaf kare to zaroori hai ke chhatay din bhi aitekaaf kare.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #2,3,7,10,11, pg #477,478).
[Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123320
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-21

Question: Kya kmray mn jhan ourat aitkaf mn baithi h whan ksi ka aana nhn parday lgay huay hn phr bhi aitkaf ki jga p kpra lga k kmray ko separate krna zrori h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11, pg #478).
[Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123321
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-21

Question: Assalam walekum,kya main 3din etikaaf par beth sakti hoon,Ramzaan ke 20ve roze par ,manat ke liye, please abhi bataye

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.
2: Aitekaaf ki muddat kam az kam 3 din hai aur is se kam aitekaaf sahi nahin hai aur 3 din se ziyada ke liye koi had muayyen nahin hai, lekin agar koi 5 din aitekaaf me bethna chahe to us ke liye zaroori hai ke wo aik din aur aitekaaf ki niyat se bethay [yani 6 din aitekaaf me baithay].

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #3,10,11, pg #477,478).
[Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-21

Question: Agar itkaf la doran kamry ma koi asi chz ajay jo napak ha usko niklny ki sourat ma kia hum dsry lmry ma ja skty ha taky usko nikala ja sky too is sy kia itkaf toot jata hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11, pg #478).
[Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123327
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-21

Question: Kya itekaaf Mai baate kar sakte hai agar haa to kaise kis waqt aur kab kis halat me? aur iske kuch masaail bata dijiye

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan baatein karne me koi haraj nahin hai aur baatein karne ka waqt bhi muayyen nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,10,11).
[Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123334
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-01

Question: Assalamualaikum.....Agr hm masjid m 10 din ka Aitikaaf krne k liye bethe ho to ky roza rkhna farz h or agr roza chord skte h to vo kis surat m chord skte h ..........or ky masjid m bethe Aitikaf m hm apni ammi se mil skte h ...or agr puri basti se koi bhi shksh 10 din k Aitikaaf m na bethe to ky hukum h

Answer: 1-Aitekaaf ke liye bhi rozay se hona shart hai warna aitekaaf sahi nahin hoga. lehaza aitekaaf ke dauraan roza nahin chorh sakte warna aitekaaf sahi nahin hoga.
2: Aitekaaf ke dauraan walida se mil sakte hain lekin masjid ki hudood se baahir nahin nikal sakte.
3: Aitekaaf aik mustahab ibadaat me se hai aur ise jaan bhoojh kar tark kiya jaa sakta hai lehaza agar us basti ke afraad me se koi aik bhi Aitekaaf na kare to kisi pay koi ghunah nahin hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,2,7,8,9,10,11,29).
[Updated on 01-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123342
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-01

Question: Kiy Sunnat Etikaaf toot jaye to qaza lazim hai

Answer: Agar koe mustahab (sunnat) aitekaaf mein ho aur dosra din khatam honay ke baad aitekaaf ko baatil kare to ehteyat-e-wajib ki bina par aitekaaf ki qaza kare aur agar dosra din khatam honay se pehlay mustahab (sunnat) aitekaaf ko baatil kare to is ke zimmay kuch nahin hai aur qaza bhi nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #291).
[Updated on 01-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: کیا اعتقاف میں موبائل استعمال کر سکتے ہیں

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Aitekaaf ke dauraan mobile istemaal kiya jaa sakta hai, is me koi haraj nahin. Albatta sharaei aitekaaf ye hai ke insaan masjid me qurbat ke irade se thehre (qiyaam kare). aur behtar ye hai ke theherna, ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ke iraday se ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,5,10,11, pg #477,478).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123346
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Agr date itqaf sy phly ai ho or aurat pak ho kr itqaf baith jay or itqaf k drmyan phir date a jay us surat me kia krna chahy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11, pg #478).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123348
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-18

Question: Asslam o alikum! Itakf mn lebaas(dress) washroom mn change karen ya itakf he ke jaga tabdeel kr skty??

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan zaroori kamon ke liye masjid se bahir nikal sakte hain lekin zaroori hai ke ziyada der tak masjid se bahir na raha jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,25,38).
[Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123351
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: AGR itteqaf me billi KO daikh liya jye ya hath lgaya jye tu itteqaf toot jata h Kya ? Plxxx btayen.... !

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf me billi ko dekhne ya hath lagane se aitekaaf baatil nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #9 to 24).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123354
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: salam mera sawal ye hai k main 20 ramzan ko aitakaf bethi hn or 22 ramzan ko mujhe haiz ka masla hogya kia aitakaf tut gya or agar tut gya hai to kia main aitakaf k room main hi reh sakti hon main bhar nahi ja sakti mere abu or bhai malum kare gye unko jawab nahi de sakti main plz jawab jaldi dena or mere saat meri choti bhen bi bheti hain Iatakaf main

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

2: Aitekaaf ke dauraan agar haiz aa jaye to roza aur aitekaaf dono baatil ho jate hain aur is sath sath masjid se bahir nikalna bhi zaroori ho jata hai Q ke haiz ki halat me masjid me theherna bhi haram hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #9,10,11, pg #478. + Tauzeeh ul masail, maslah #354,348, pg #64).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print