Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: (114 Questions)


Showing 50- 100 questions from 114 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
33072
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: hamari kia zemadari hai imam zamana kai dour mein

Answer: Ham sab Imam e zamana a.s k zahoor k muntazir hain aur is waqt hamari zimadari ye hai k mujtahideen ki taraf sai bayan karda ahkam e shariat par amal karain aur zahoor k bad hamari zimadari khud imam batain gay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 228,pg # 89-90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
38963
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Aoa. mera question thorha complicated hai. point 1: Nabuwat Afzal ya Imamat Point 2: Answer is Nabuwat. Point 3: if Nabuwat is afzal than Hazrat Moosa A.S is afzal than Hazrat Ali A.S because mostly ahle tashee interpret that Aima A.S are created with the noor so they are supperior than other ambias?

Answer: Wssalam o alykum, Nabowat o Imamat ik uhde ke do naam hain (jesa ke Usool e Kafi main Shaik Kuleni ne in dono ko ik hi baab main bayaan kiya hai), or Allah Taala ne baaz ko baaz per fazilat ata farmaai hai (jesa ke Allah Taala kud Quraan e Majeed main fermata hai or mutaaddad manqola Ahadees o Riwayaat main mojood hai), or Quraan e Majeed se samjha gaya ke hamara (yani ap ka or hamara) in main se baaz ki fazilat o baaz ki mafzoliyat ke bare main behas karna sahi nahi hai.(Ref : Quraan e Majeed , sura # Al-Baqrah , ayat # 253 , 136) , (Ref : usool e kafi , kitaab # Al-Hujjah).

Note is ka natija ye hai ke ap ka is bare main jaanne ka

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
39774
Mujtahid:
Date:

Question: kia kafir ki mafi qabool hoti ha ya nahi jabkay Allah ne us ko kashaf de dia ha kay karachi main aisa azab kabhi nahi ayae or na aiga please answer o us ko 18 month say neend nahi aye ha Allah rozana azab kay khawab dekhatay ha

Answer: Hazrat Imaam Jaffer o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, Ager kafir apni kufrana zindagi ko choor kar islaam laae or Allah Taala se us ke liye isterhan toba kare ke use us zindagi ki waja se pashemani o nadamat ho or wo is pashemani o nadamat ki waja se phir kabhi Allah Gafoor o Raheem ki nafarmaani na kare to Allah Qadir o Tawana bhi is ko muaaf kar deta hai. (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
41171
Mujtahid:
Sayyad Ali Sistani d.b Date:

Question: Salam, Q. Quran k gilaf wala kapra agra ziyada ho tu uska kia karna chahye, purana kapra kahan karna chahye. Alam pak ki berak wala purana kapra kahan karna hoga? Kia hum Quran k gilaf k liye dia huwa new kapra jo 3 meters ho ya ziyada ho kisi gareeb ko de sakte hain pehnne k liye?

Answer: je gareeb ko Allah Taala ki kushnudi ke khatir pehanne ko de sakte hain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 2 , Maslah # 1603 , 1607, eidition # 4th ).
Or purane kapre ko jari nehar main thanda kar dain. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 181 , pg # 89 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
41177
Mujtahid:
Date:

Question: Q#1: Allah g keyamt k roz kin kin logo ko apny saay (shadow) k nichy jga dyn gy..??

Answer: Mutaqi Hazraat Allah Paak ke Say e Rehmat main jaan guzeen hon ge.(Ref ; Sura e Al-Hujraat (sura no 49) , ayat # 13 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
41354
Mujtahid:
Aqai Sistani d.b Date:

Question: Mera sawaal ye ha ke riwayat or hadees me kia farq ha or me riwayat likh kr imam ka aqwaal frward kr skta ho or 2nd question ye ke mere madarse me sir sub se sawaalat pochte ha us ke hmen paise mlte ha to me us ka jwb ksi or se poch kr sir ko bta do ta ke paise mle ya mera dost muje khud bta de me us se nai pocho to phr wo paise jo mje mle ge wo haram honge ya halal or mera dost muje khud btae to us ko gunah mle ga

Answer: Riwayat or hadees men koi farq nahi hiaAger riwayat ke bare men Imam (a.s) ka qool hone ka yaqeen na ho to ye forward karna jaiz nahi. .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009) , ager peso ka milna sawaloo ke imaandari se jawabaat dene per moqoof hai to us ka lena jaiz nahi hai lekin agr emandari ki shart nahi to phir ksi se poochne pr jo pese apko milte hen ap k liye hen.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 207 , pg # 86 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
41678
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: please tell us about Naad-e-Ali dua? is this dua is authentic? References required.

Answer: Dua o Ziaraat ke authentic o mutabar hone ka meyaar in mazameen (subject) ki bulandi hai or is etibaar se Naad e Ali authentic o mutabar hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 215, pg # 96 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
46482
Mujtahid:
seestani Date:

Question: sir plz tell me k mukhtlif ulma, ya buzrgon k mazar pay jakay mannat magna jaiz hay?

Answer: In mazaroo main ja kar in ko apni hajaat ki qabooli k liye wasila banana ALLAH TAALA k nazdeek is main koi harj nahi hai.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , masala # 201 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
46661
Mujtahid:
Date:

Question: Kiya mukhannas/hijda ke liye jannat haraaaaam hai?

Answer: kon jannat main dakhil ho ga or kon jehanam main ye ALLAH TAALA ka muaamla hai or is ka haqiqi ilm ALLAH TAALA hi ko hai. Logo main to bohat batain mashhoor hoti hain jin ki koi haqiqat nahi hoti.(Ref : mutahid se poche gaae sawalaat , masala # 202 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
47316
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Assalamualaikum Janab mai chahata hu k muze sirf or sirf allah se muhabbat ho jaye..rarika bataye

Answer: Wssalam o alykum, Allah Taala Quraan e Majeed main farmaata hai ke ager tum Allah se muhabbat karte ho to meri (yani hamare Nabi e Paak s.a.w) ittibaa karo (ager meri ittiba karo ge to) Allah tum se muhabbat kare ga or tuhmare guhnaao ko muaaf kar de ga. (sura e Aal e Imraan , ayat no # 31)
Or Hadees e Saqlain main Ap (s.a.w) ne farmaaya (ye hadees musalmanoo ke nazdeek un ahadees main se hai jo yaqeni tor per Ap (s.a.w) se sadir hoi hain) ke main tuhmare dermiyaan do giraan qader cheezain (Quraan e Majeed or Ehl e Bait yani Ali ibn e Abo talib or in ke do farzand Hasan o Husain or Husain ki nasal main se 9 afraad) chore jar aha hon, jab tak in se mutamassik raho ga (yani apna deen in se hasil karte raho ge) to hargiz mare baad gumraah nahi ho ge. (Ref : Ali(a.s) khalifah e Rasool (s.w.a) , topic # hadees e saqlain , pg # 138).

Pas jo insan Allah Taala se haqiqi mohabbat karna chahta hai or ye bhi cahta hai ke Allah Taala us se muhabbat kare to us ko apna deen Ehl e Bait a.s se lena chahiye, or is natije ke sahi hone per Hazrat umar ka mashhoor qool dalalat karta hai ke ap ne farmaya ke ager ali na hote to umar halaaq hojata or khabi farmaya ke eh Allah! Muje ese mushkil masale ke liye zinda na rakh jis ke hal karne ke liye Ali mojood na hon khabi farmaya ke ham main sab se bara qazi Ali hai.(Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 1 , topic # Ali ke mutaalliq sahaba ke etiraaf , pg #82 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
47422
Mujtahid:
Date:

Question: ham sheia maslaq qu ikhtiar karin

Answer: Doctor tejani samawi jo sunni mazhab sai shia mazhab mai convert huay hain wo ye kehtay hain k jis baat sai mujhay aur bhi yaqeen ho gya k shia hi nijat panay walay wala firqa hai, wo ye hai k shia aqaid farakh dilana, aasan aur har hoosh mand aur ba-zauq shakhs k lie qabil e qabool hain shio k yaha har maslay aur har aqeeday ki munasibat aur itminan bakhs wazahat moujood hai jo ahl e bait a.s mai sai kisi na kisi sai mansoob hai jab k mumkin hai k aisi kafi o shafi wazahat ahl e sunnat aur doosray firqon k yaha na mil sakay. (Ref : Book hokum e azan pg 31)note : mazeed wazahat k lie is kitab ko parhain jo kisi bhi shia Islamic book store ya libray par aasani sai available hai. aur ye kitab English mai bhi tarjuma ho chuki hai. ya aap is link ko copy kar k address bar par paste karain. http://www.ziyaraat.net/books/HukmeAzaan.pdf (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47428
Mujtahid:
sistani Date:

Question: salam janab......mera sawal hai k kuch shiyo ko main ne daikha jo ye aqeeda rakhty hain k ager kisi ka bukhar naa sai hota ho tou wo kisi murday ki rooh ki taraf se hota hai aur aath main chamcha lekar uss par 1 murday ka naam laity hain phr sab fruits ka aur khany ki cheezon ka wo chamcha jiss naam pe shake huwa tou kehty hai yai chees khareed k lo aur uss murday ko eesal kardo bukhar sai hojaega.......plz btaen iss ki koi daleel hai kitabo main ya ye 1 jahelana rasam hai.....shukriya

Answer: Wssalam o alykum, kuch shiyo ke marasim Mazhab e shia ki akkasi nahi kar sakte, or ye baat sirf Mazhab e Shia se mukhtas nahi balke tamaam Mazaahib ke aam loog baaz chezoo per imaan o aqeda rakhte hain jab ke un ke Mazhab main in marasim ki koi qadr o qimat nahi hoti.
Ager ap shio ke haqiqi Etiqaadaat ko janna chahte hain to ya to in ke Ulamaa se deryaaft karain ya in ki mutabar kitaboo ka mutaalia karain jese kitaab sulaim ibn e qees halali kun ke farmaan e Saqid Aal e Muhammad hai ke hamare jis shia o doost ke paas sulaim ibn e qees halali ki kitaab mojood nahi(yani jis ne mutalia na kiya ho) wo hamare amar o asbaab ke mutaalliq kuch nahi jaanta (yani mazhab e shia ke bare main kuch nahi jaanta) ye kitaab shia mazhab ki abjad (bunyaad) hai, is main Aal e Muhammad ke raaz chupe howe hain.(Ref : sulaim ibn e qees halali , sumaar # 2 , pg # 10 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
47519
Mujtahid:
Date:

Question: kya kaza namaz padh lene ke baad bhi aadmi par gunah hota he ya nahi?

Answer: Hazrat Imaam Muhammad Baqir (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq gunaah ka iqraar aadmi per se gunaah ke booj ko hata deta hai.
Imaam Jafar o Sadiq (a.s) ne farmaaya, jis ka mafhoom ye hai ke ager banda apne gunah ka is terhan iqraar kar le ke is ne apne Khaliq Allah Taala ke diye gaae hokum ki nafarmaani ki hai, or is nafarmani ki waja se is ko esei pashemani ho jis ki waja se wo dubara gunah na kar sake to ALLAH TAALA bhi is ko muaaf kar ke is ki toba qabool kar leta hai.(Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 2 , 4 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae)

Print

Id:
51616
Mujtahid:
Date:

Question: aoa sir ap ny mjy tajaliyat e quran k pg#132 ke sourat likh kr bandny ko kha tha laken mjy wo sourat ni mil rahi plz ap mjy wo sourat mail kr dain ap ke bht mehrbani ho gi or yeh b btain k wo sourat likh kr khan bandni ha bazoo par ya peat par sir ap ke bht mehrbani ho gi plz reply me.thank you very much

Answer: Nabi , imam ya kise aur ko khaab me dekhna chay aur kohe moim darpaish ho chata ho k is k mutaliq tadbeer maloom ho jaay ( to wazu kar k) apne right haath per alhamd, surah qafiroon , surah falaq, surah naas , surah taheed , surah ina anzalna aur ayat al kursi 5 baar likhe aur per kahe .(ref: tajaliyat e quran k pg#132 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
51771
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal hai woh konsi k jamat hai jo haq par hai please woh jamat ka naam bataen

Answer: Aaj k zamane me siraate mustaqeem ( seedha rasta ) ahlebait (a,s) k tariqa hai jise aik aadil aur aalam mujtahid ki pairvi ( follow) k zaria hasil kiya ghaya ho. .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 4 pg #24) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52718
Mujtahid:
bashart Ali Date:

Question: Hazrat janabe Fatima s.a ko kin logo ne shaheed kiya

Answer: AaP (a.s) ki shahadat ka sabab abu bakar o umar hain.(Ref : behaar ul anwaar , jild # 3 , baab # 7 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52726
Mujtahid:
mehak Date:

Question: Aslamualikum...sir ma puchna tha k mai apni 2 doston sy boht zada pyr or mohbt rhkti hu..unki bht respect b krti hu..un ma sy mri ik dost k sath jnseei talukat b hn..lkn jb sy mjy ye malum hua k ye bht bra gunah h tb sy kafi hd tk us sy taluk km kr diya hua h...lkn un dono doston (lrkiyon) k begair reh ni skti...aur jo mri dusri dost ha jb kbi mri us sy bat hoti ha ye wo samny ati ha to mjy kch hny lgta ha....kya us ki shrmgah k ilawa khi b bosa ya kiss etc krna jaiz ha????or sir kya mri un sy ye mohbt etc rhkna ya un k lye khas feeeingz ana gunnah ha??or ak or bat k gunnah lazat ma or or jo pyr mai apni doston k 7 rhkti hu un mai kya frk hai?????sir jwb lazim di jiye ga

Answer: Hazrat Muhammad saw ki namaz janaza hoi thi. (ref.noqoosh ismat, allama zeeeshan haider jawadi, pg:45) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52737
Mujtahid:
Date:

Question: Mohammed salelahu alaihu salam ki kul kitni auladein thi?aur me ye jana chahti ho ke quran sharif ki sabse pehle nazil hone wali ayat kaunsi hai aur kis pare m hai.?shukriya

Answer: Aksar muarrakheen ne RASOOL (s.a.w.w) ki mutaaddid ulaad mutaaddid betiyoon ke sath ke qool ko tarjee di hai, lehaza ye hi qool aam musalmaano main mashhoor hai, agerche ke ulamaa ki teqeeq is qool k khilaaf hai or wo ye hai ke AaP (s.a.w.w)k 3 bete or 1 beti hain. 1- hazrat qasim tayab 2

Print

Id:
52932
Mujtahid:
a Date:

Question: nabi kis se kehte hai?

Answer: Nabi ka lafz naba se nikla hai jis k mana hai khabar yani wo shakhs jis k pass wahin ya kise or zariye se gheb ki khabar aati hai. jb k rasool wo hota hai jise in khabaro k batane k liye apne qume ki taraf bheja jata hai. har rasool, nabi bhi hota hai jab k ye zarori nahe k har nabi ,rasool bhi ho.(Ref : Mujtahid se pooche gaye sawalaat, part #4, sawaal # 226)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53299
Mujtahid:
aga sistanie Date:

Question: kay hamaray dua karny sey IMAM ZAMANA (AJTF) k zahoor mai jaldi ho sakti hai ?Hadees sey sabit karin . plzzzz mare id per sand kar da plzzZ

Answer: Riwayat aur hadees me hai k zahoor ki dua ki jaay jis tarah hamain ye hadees milti hai k tajeel-e-zahoor ki dua bakasrat kiya karo Q k yehi dua tumharay liay faraj (zahoor me aasani) hai. (Ref: Aqwaal-e-14th Masoomeen,pg#247,hadees#18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53749
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Assalamoalykum Kya gusse main bad khayali ana jaise apni kismat ko kosna, gunaah hai aur agar hai to eska kaffara kya.

Answer: Qismat ko kosna munasib nahi magar bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say mayosi hojaey tu ye gunah hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen, part#1, maslah #30) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
54214
Mujtahid:
Date:

Question: Q: Kya Islam Men Chand Girhan/Sooraj Girhn Ke Mutaliq Koi Baat Ai Hai Ya Ahdees Ya Riwayton Men Hai Ke Chand Girhn Ya Sooraj Girhn Ke Asar Insano Par Hote Hain Or Us Din Men Hamila Ort Ko Koi Kaam Nai Karna Chahye Jesa Ke Aaj Kal Jantri Men Ye Likha Hota Hai Leken Koi Masoom Ka Qol Mubarak Nai Dete Ye aap BAtae Kiya Deen Men Waqie Ye Hai Ahadees Men Aya Hai Asar Hota Hai?

Answer: Chand girhan or soraj girhan ka hamilah aurat par koe asr nahi hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54218
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: shia mazhab ma chand girhan ki haqeqat.MOLA ka farman

Answer: Hazrat Imaam Ali ibn e Hussain (a.s) se marvi riwayat ka mafhoom hai ke chand, soraj or sitare falak per mojood hain, jo (falak) samandar main hai, jis (falak) main un (chand, soraj, sitare) ke teherne k raaste muayyan hain, falak per Allah Taala ne aik ese farishte ko muwakkil kiya hai jis k tehet 70,000 malaika hain, or ye in ko in ke muqarar karda raaste per chalate hain, pas jab bando ke gunah ziyada ho jate hain or Allah Taala chahta hai k in ko tanbeeh kare to in farishto ko in ki maqarar harkat se tabdili ka hokum sadir karta hai jis k natije main chand (chand gerhan main) or suraj (suraj gerhan main) samandar main chala jata hai or in ki roshni maand phar jati hai or suraj o chand gerhan waaqe hota hai. (Ref: Man la yaahzuro ho al-faqeeh , jild # 1 , baab # kusoof o zalzala o siyaah aandhi ki namaaz or is ka sabab , riwayat # 1506 , pg # 342 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54518
Mujtahid:
Date:

Question: kya jannat man utnay darjay han jitni quran ki ayyat han ?????????

Answer: janna ke 8 daraje hain, 1

Print

Id:
54640
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Salam! kismat attal hai ya nahi? if not then hum apni kismet ko kaisy change karskty hain?

Answer: wssalam o alykum, qismat ke bare main Ali (a.s) farmaate hain, jis ka mafhoom ye hai, k is ki haqiqat ki marifat hasil karne ki koshish nah karo .(Ref : nehjul balaga , kalimaat # 287 , pg # 735 , allama zeshaan haider jawadi).
Or insan ko wohi cheez milti hai jis ko wo hasil karne ki koshish karta hai jesa ke Quraan e Majeed main mojood hai.(Ref , sura # al najam , aayat # 39).

Print

Id:
57572
Mujtahid:
Date:

Question: assalam u alaikum pehly tu me apsy mazrat ki darkhuast karta hun . koi bat jany anjany me buri lagy tu me mafi chahta hun . me abi parh raha tha shia larki aur sunni larky ki shadi k bary me . mjhy 1 bat bht ajeeb lagi ap ny kar sawal me yeh lazmi mention kia hy k agar gumrahi ka dar ho tu haram hy ! right kia humary payary nabi pak salallaho alehe wasalam k door me kia koi firqa tha ? sirf 1 bat per amal hota tha k musalman musalman sy shadi kare . ya tu sunni musalman nai ya shia musalman nai . jis ki bina per ap ka yeh kehna hy ! kindly Respected sir or madam we are muslim . hume musalman rehny ki taleem den apas me rang , nasal , qoom , firqo sy ijtanab krny ka dars den . mery pas ilm nai hy koi bt buri lagi ho tu plz meri islah karen .

Answer: Hazrat Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees hai, ke meri ummat 73 firqoo main taqseem ho jaae gi, in 73 firqoo main se 1 ke ilawa tamaam jehannami hain. Or dosri marvi Hadees main hai ke main tuhmaare dermiyaan do giraan qader chezain chore jaraha hon, ager tum in dono se mutamassik raho ge to mere baad gumrah nahi ho ge, (in main se ik) allah ki kitaab or (dosre) meri itrat jo ke mere ehl e bait hai, or ik or jaga Ap(s.a.w) se Hadees marvi hai ke ali haq ke sath or haq ali ke sath hai.(Ref : Ali(a.s) khalifa e Rasool(s.a.w) , fasal # 2 , Topic # Hadees e Haq , pg # 109) , (Ref : Noor e Imaan , Topic # Hadees e Saqlain , Pg # 175) , (Ref : Ahsan ul Aqaid , mutarajjim o musharreh # Allamah Fazil Miqdaad , pg # 10).
Mazkora mrviyaah Ahadees se ye natija nikalta hai ke, Ap ne sahi kaha ke us waqt koi firqa nahi tha to ik musalmaan mard ik musalmaan orat se shadi karta tha, lekin aaj ke door mian firqe hain (jo pehli Hadees ka mafhoom hai) or in main se sirf 1 wohi firqa sahi hai (jesa ke Hadees e Marviyaah ka bayaan hai) jo Us door main Rasool Allah (s.a.w) ke nazdeek maqbool tha, or wo firqa Ali bin Abi-Talib (a.s) ko baad Rasool (s.a.w) Imaam maanne wala hai yani Shia Isna Ashari (ye 2nd o 3rd Hadees se makhooz hai), Pas Ager shia ka geer e Shia se shadi karna Shia ke deen o imaan main tabdeli ka sabab bane to ye shadi karna jaiz nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1 , sawaal # 134 , pg # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Note: Ilm na hone ki surat men insaan k zehn men is qism k sawalat ubharte hen lehaza is qadar ilm hasil krna insane per wajib hai k wo apne aqaid ko behtar tarike se jaane or apne ki haqeeqi malumat rakhe.

Print

Id:
57742
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: kia koi naik shakhs acha admi kai saalon taak naik raha aur kia shaitan usko hara sakta hai aur agar wo shaks gunahgar hojai aur naikiyon se dor hojai to matlab naiki karna ya achay kaam karna sirf aik din tak tha aisi naiki karne ka kia faida jo zaya hojai kai faida itni mehnat karne ka jo 10 saal ki mehnat aik second main zaya hojai,

Answer: G han shetan insane ko hara sakta hai, q k Quraan k mutabiq wo insan ka khulda dushman hai (Ref : Sura e Al-Baqrah (sura no 2) , ayat # 257). Or un 10 saal kiye gaae naik amaal ka faaeda hai bikul jesa ke uloom e Aqliya or aqaaid men sabit hai.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57813
Mujtahid:
Date:

Question: kitne Janwar Jannat me jayege aur yeh janwar kiske hey

Answer: Hazrat Imaam Jaffer o Sadiq (a.s) se marvi hai ke jannat main balamm baoor ke ghade, naqaa e saaleh, hazrat yusuf ke bheriye or ashaab e kehaf ke kutte ke siwa or chaar-paae na hon ge. (Ref : haq u al-yaqeen , jild # 2 , baab # 5 , fasal # 8 , pg # 105 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60209
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: asalam walekum mera sawal hai k marfat toofiky khuda se milti hai ?

Answer: Wssalam o alykum, jee, lekin Allah Taala ki tofiqaat hasil hone ki shartain hain, or wo ye hain ke insan apni sooch o kaam main haq kare or haq bole or haq ka sath de, or Shariat e Muqaddasa per khalis niyat se pore tor per amal kare, or aklaaq ki kitaboo ke pharne ke baad un per pori terhan amal kare. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 220) , (Ref : Marifat ul Allah , jild # 1 , fasal # 2 , pg # 177 , 182 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
68220
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: QIBLA SAAB please mujhay ya janna hay k ALLAH say kisi ka wasta day k magna hilal hay ya haram hay misal k tor pay a ALLAH mujhay pay rasool k wastay acha rozgar ata farma mujhay iski daleel thos chaiya or mumkin ho to sahi muslim ya bukhari say daleel mil jaey

Answer: Quran main sorah e maeda, ayat#35 main hay k “aay emaan walo Allah ka taqwa ikhteyaar karo or os ki janib wasila talash karo.” Is ayat main wazeh hay k Allah khud wasile ki ehmiyat bayaan ker raha hay. Quran main or bhi ayaat hain jin se wasila ikhteyaar kerne ki ehmiyat papa chalti hay. Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74559
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Masumeen nazil hote hain ya paida hote haib

Answer: Masoomeen a.s paida hote hain. In k waaldain hote hain. Ye bachpan guzaar ker jawaan or buzrug hote hain. Hamari ahadees or tareekh e islam ki kitabo main ye batain maujood hain. Maslan osool e kaafi ki jild awwal k baab abwaabut Tareekh main baab e maulood(Birth Chapter) k naam se 14 masoomeen ki paidaish ka zikr maujood hay. Zuhoor ka aqidah ghaali firqay ka hay.(Ref: Osool e kaafi, part#1, Abwaabut Tareekh). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81801
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aliya Allah ko manna jaiz ha ya ni

Answer: Ali a.s ko Allah manna shirk hay. Ali a.s pehlay imam or rasool s.a.w.w k khalifa hain.(Ref: qawaninush shariya fi fiqh e jafariyah, pg#21). Update on dated 29-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agr alim hazrat aik bat par agree ho jy quran aur sunnat ki roshni mein to kia us ko hadees ka darja dy dia jata ha?

Answer: Ulama k ittefaq se kisi baat ko hadees k dajay nahi dia jasakta, Q keh deeni istilah main hadees wo hoti hay k jis ka itlaaq rasool s.a.w.w or masoomeen a.s sai manqoola farameen ya un ki rawish,seerat,sulook ya amal or un k taeed karda amaal par hota hai.(Ref: http://ur.mobile.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%AF%DB%8C%D8%AB). Update on dated 11-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87971
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: 14 sadi ke baad allah ke rasool ne aalimon ke bare mekya farmaya .hadees me?

Answer: Riwayaat main aakhri zamaanay k ulama ki tareef or muzammat dono aai hain. Jese k rasool ki hadees hai k meri ummat k ulama bani israeel k ambiya k jaisay hain.
or aik or riwayat hai jis mai hai k aakhri zamanay k ulama apnay libaas sai pehchanay jain gay or aakhri zamanay k ulama fitna parwar hongay waghera waghjera.(Ref:Bihaar ul anwaar, topic ulamaa k haalaat, kitab 14 sitaray, topic zahoor ki nishaniyan).
Note:Ya nahi kia jaa sakta k aap aik riwayaat ka itlaaq us k tamaam afraad par kar dain yani ye nahi kia jaa sakta k aap aik riwayat jo ulama ki tareef mai aayi hai us ka itlaaq tamam ulama par kar day k tamam ulama achay hain ya wo riwayaat jo mazammat mai aayi hain on ka itlaaq tamam ulama par kar dain k jitne bhi ulama hain wo tamam buray hai. (khuda aap ko uloom e aale muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaye). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88717
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamu Alaikum.. meri pareshani ye hai ke muje koi b ek do bar bat karle mera dost banjata.. Aur mere cousin usse bhoat jalty hen.. Aj kal deen se doori fuzul kaamo me gunahun me tym guzar tha hai.. jo b kam Start karo Adhurah reh jaata hy Aur bhoat Susti hai muje har kam.. Susti Jaane ke liye kuch batai??

Answer: Jo shaks sorah e dahar(sorah #76) ki baqaidgi se tilawat akare ga os ka zareef nafs qawi ho jaey ga.(Ref: Dunya o aakhirat ki 100 pareshaniyo ka hal,pg#9). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93379
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-07

Question: سلام کیا اوصیاء کا معصوم ہونا لازم ہے اگر لازم ہے تو کونسی عصمت(عام. خاص)ہوگی

Answer: wsalam. Jee ausiyaa ka masoom hona laazim hai or un k liay ismat e khaasaa hoti hay.(Ref:http://www.aqaed.net/faq/1176/)
[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101638
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-11-08

Question: Salam un alaikum mera sawal ye hai ke taqleed usul e din ke ilawa kin cheezon per jaiz nahi hai.

Answer: Musallama or qatae umoor yaani aise umoor jin par islam k 73 firqay mutaffiq hai or sub tasleem karte hai un mai taqleed jaaiz nahi hai jese maghrib ki 3 rakaat hona.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1).
[Updated on 08-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102414
Mujtahid:
Mohammad ali Date:

Question: Ek imam ka namaze janaza dusre imam ke alawa ghare ke koy bi insan padha sakta hai

Answer: Jee mazhab jafferiya k musallama aqaed main se aik ye bhi hay k imam a.s ka janaza imam a.s hi perhata hay. (Ref: rijaal kasha, arabi, pg#9, nafasul mahmoom,arabi, pg#206). Update on dated 10-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102452
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-16

Question: Fiqah jafria ko fiqah jafria ku kaha jata hai??

Answer: Imam jaffer sadiq a.s ki imamat k doran choonkeh bani umaiyyah apne zawaal k ayyam se guzar rahi thi is liay aap(imam jaffer sadiq a.s) ko doosre aimma ki ba-nisbat ziyada ilmi omoor ki anjam dahi ka moqa mila. Aap k shagirdo or raviyo ki tadaad 4000 tak batae gae hay. Ahl e bait a.s se mansoob ahadees main se aksar ahadees main se aksar ahadees imam sadiq a.s se naqal hoe hain isi bina per shia mazhab ko mazhab e jafferiya k naam se bhi yaad kia jaata hay. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D8%AC%D8%B9%D9%81%D8%B1_%D8%B5%D8%A7%D8%AF%D9%82_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85)
[Updated on 16-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102698
Mujtahid:
suni Date: 2023-08-28

Question: shia kafir hy k musalman?

Answer: Jo insaan islam ke sahe aqaaid per yaqeen rakhta ho or is ka izhaar karta ho wo musalmaan hay or momin hay .islam ke sahe aqaaid masalan allah tala ki wahdaaniyat or hazrat Muhammad mustafa ki nubuwat ki gawaahe dena .or shia hazraat deen islam ke tamaam sahe aqaaid per yaqeen rakhte hain lehaza shia hazraat musalmaan bhi hain or monin bhe hain .
(Ref: tauzeeh ul masail,aqa sistani,pg.no:15,42, masla no:15,205)
[Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103165
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa i have asked this question already but didnt get reply almost month passed my question is that i visit at Thaata ther is Qadum Ga Mansoob with Mola Ali A.S is that trues these Foot marks are Mola?other there is Shrine of Shah Murad and others please let me no know these Saints belong to Masommen A.S ?as there is any information was not availale on site.

Answer: Ye yaqeen karna keh kisi jagah maula ali as ka haqeeqi qadam shareef hay, Namumkin nahi tu kam az kam bohot hi mushkil hay. Kaisay is baat per yaqeen kia jaey keh koe shaks makkah, madina ya kofayse maula ali as k qadam k nishan hi ko laey kar aaya hoga or os ko kaise yaqeen hasil hoa hoga keh ye Hazrat Ali (a.s) ka hi qadam shareef hay. Isi tarah aap ne jo ye pocha keh Baba shah murad ka shia hona sabit nahi hay or zaiyada imkan yehi hay keh ye ehl e sunat k peer thay or sunni maslak se talluq rakhte thay. (Ref: Islahur rosoomuz zahirah bikalmil itratit tahirah, pg#162,163+ https://www.facebook.com/RoomiProduction/videos/%D8%AA%DB%8C%D9%86-%D8%B1%D9%88%D8%B2%DB%81-%D8%B3%D8%A7%D9%84%D8%A7%D9%86%DB%81-%D8%B9%D8%B1%D8%B3-%D9%85%D8%A8%D8%A7%D8%B1%DA%A9-%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA-%D9%BE%DB%8C%D8%B1-%D9%85%D8%B1%D8%A7%D8%AF-%D8%B4%D8%A7%DB%81-%D8%A8%D8%A7%D8%A8%D8%A7-%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81-%D8%A7%D9%84%D8%B1%D8%AD%D9%85%DB%81/777466242766956/+https://www.facebook.com/events/%D8%A2%D8%B3%D8%AA%D8%A7%D9%86%DB%81-%D8%B9%D8%A7%D9%84%DB%8C%DB%81-%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA-%D8%A8%D8%A7%D8%A8%D8%A7-%D8%B4%D8%A7%DB%81-%D9%85%D8%B1%D8%A7%D8%AF-%D8%B1%D8%AD-%D8%AA%DA%A9%DB%8C%DB%81-%D8%B4%D8%A7%DB%81-%D9%85%D8%B1%D8%A7%D8%AF-%DA%86%DA%A9%D9%88%D8%A7%D9%84/%D8%B9%D8%B1%D8%B3-%D9%85%D8%A8%D8%A7%D8%B1%DA%A9-%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA-%D8%A8%D8%A7%D8%A8%D8%A7-%D8%B4%D8%A7%DB%81-%D9%85%D8%B1%D8%A7%D8%AF-%D8%B1%D8%AD-%D9%85%D9%88%D8%B1%D8%AE%DB%81-789-%D8%B0%D9%88%D8%A7%D9%84%D8%AD%D8%AC-1439%DA%BE/1885430188428260/). Update on dated 16-01-2020. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
103293
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-25

Question: salam alikum kya islam me in chizo ki koi haqeekat hai maslan billi ka rasta kaat jana billi ka rona manhoos hai raat ko nakhoon na kato mangal or sanichar ka nakhoon na kato nakhon katne ke baad unko kapde me lapet kar aisi jagah phenko jaha pair na lage mangal or sanichar ko baal bhi na katao kya ye sab islam me hai please in sab baato ke bare me bataye kya hukm hai

Answer: Billi ka rasta kaat jana ya billi ka rona musibat ya manhosiyat ki alamaat nahi hain, ye sab batain bad shogooni hain. Or riwayat main hay keh bad shogooni ka kaffara Allah par tawakkul hay.(Ref: Islahur rosoom, pg#65)
Raat ko nakhoon kaatna, mangal or hafte k din nakhoon kaatna riwayaat main mana nahi aaya balkeh jumeraat or jume k din nakhoon kaatnee ko behter kaha gaya hay. Nakhon katne ke baad unko zameen main dafnana riwayaat main behter shumaar kia gaya hay. Mangal or hafte ko baal kaatna riwayaat main mana nahi aaya. (Ref: Thezibul Islam, Allama majlisi, pg#185-188).
[Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104323
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-08

Question: dua say taqdeer badal sakti hay?

Answer: Jee han dua se or apne kirdar se yaqeenan taqdeer tabdeel hojati hai,(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 79).
[Updated on 09-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104533
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-24

Question: Sir apka mazab kia hy

Answer: Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
[Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107849
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Salam o alikom ham jab kehtay hain ya ali madad to es se murad yah hota hai k osi waqt mola hamari maded kartay hain ya allah ki hozor sifaresh kartay hai es baray main shia aqida kai hai?

Answer: W/salam, ya ali madad khena Jaiz hay.( Ref:Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hai, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hai or in ki itaat khuda ki itaat hain
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109695
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-12

Question: akida Khatme nabuwat k kis Surah ki kaun si aayat Mein Byan Kiya gaya hai

Answer: Surah ahzaab ayat no 40 mai rasool allah ko khatam un nabiyeen kaha gaya hai. (Ref:https://quran.com/33).
[Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111057
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Karbala ki jang ma saab sy phely or akhari shaheed ka kia name h?

Answer: Karbala k maidan main yazeedi fouj ki janib se pehla hamla teero ki barish ki sorat main hoa, jis k natije main 50 k qareeb ashab e hussaini shaheed ho gae, tu is liay ye nahi kaha jaa sakta k sab se pehle koon shaheed hoa. lekin sub se aakhir me shaheed honay walay hazrat imam Hussain (a.s) the.(Ref: Sa,aadatud daarain fi maqtal e hussain,muallif Allama sheih Muhammad hussain najafi, pg#335-6).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Huzoor ne meraj ke kitne saal bad hizrat ki

Answer: Is men ikhtilaf hai, lekin qareeb aik (1) saal bad nabi (s.a.w.w) ne madinay ki tarf hijrat ki.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%B9%D8%B1%D8%A7%D8%AC#.D8.B2.D9.85.D8.A7.D9.86)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111205
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-10-28

Question: Maut , Qabr , Qayamat wa Aakhirat ka Zyada khauf Bohat zyada badh jaane Ke nateeje mein mayoosi Aur na ummeedi ?

Answer: Parwardigar se mayoos nahin hona chahiye Q keh Bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say maayosi hojaey tu ye gunah hai. aur Quraan ki roshni men Khuda ki rehmat se mayoos hona Kufr hai. lehaza har wqt Allah se umeed honi chaiye or mayoos nahi hona chahiye. (Suraah Yousuf , Ayat#87) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen, part#1, maslah #30)
Agar ye khaof kisi gunah ki wajah ho, misal ke taor agar kisi ne koi gunah kiya ho to us ke liye tauba ka darwaza khula howa hai. aur Haqeeqi tauba ye hai ke gunah ki anjaam dahi per nidamat (pashemani) honi chahiye. or isi liay kaha gaya hay k nidamat hi tuba hay. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah ke na karne k mazboot iraday or dobara is ki taraf na palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor ba zaroor apnay pichlay gunaho ka azaala or tadaruk kerta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay, taubah faqat astaghfirullaah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk lazim hai, Albattah agar tauba k baad gunah karay tu bhi remat e Khuda se mayoos na ho balkeh zarori hai k dobarah tauba Karen, Q ke Khuda kareem or meherban hai, or bakshnay wala hay. or tauba kernay walon ko dost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: Aik lamha e fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay. or isi liay hadees main aaya hay: tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay.( Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011) 2) Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, her raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaatih ul jinaan, topic # Fazilat e Sura e Yaseen, pg # 04)
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111206
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-28

Question: Maut , qabr, qayamat wa aakhirat Ka Bohat zyada khauf badh jaane Ki wajah se na ummeedi Aur mayoosi ?

Answer: Parwardigar se mayoos nahin hona chahiye Q keh Bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say maayosi hojaey tu ye gunah hai. aur Quraan ki roshni men Khuda ki rehmat se mayoos hona Kufr hai. lehaza har wqt Allah se umeed honi chaiye or mayoos nahi hona chahiye. (Suraah Yousuf , Ayat#87) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen, part#1, maslah #30)
Agar ye khaof kisi gunah ki wajah ho, misal ke taor agar kisi ne koi gunah kiya ho to us ke liye tauba ka darwaza khula howa hai. aur Haqeeqi tauba ye hai ke gunah ki anjaam dahi per nidamat (pashemani) honi chahiye. or isi liay kaha gaya hay k nidamat hi tuba hay. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah ke na karne k mazboot iraday or dobara is ki taraf na palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor ba zaroor apnay pichlay gunaho ka azaala or tadaruk kerta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay, taubah faqat astaghfirullaah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk lazim hai, Albattah agar tauba k baad gunah karay tu bhi remat e Khuda se mayoos na ho balkeh zarori hai k dobarah tauba Karen, Q ke Khuda kareem or meherban hai, or bakshnay wala hay. or tauba kernay walon ko dost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: Aik lamha e fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay. or isi liay hadees main aaya hay: tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay.( Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011) 2) Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, her raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaatih ul jinaan, topic # Fazilat e Sura e Yaseen, pg # 04)
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print