Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Music & Song (56 Questions)


Showing 0- 50 questions from 56 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-22

Question: is it adviseable to put a 3 -4 yr child in such kindergarten/nursrey schools where they make them learn rymes and poem with some music and tune (simple poems) will this put some negative effect in upbringing of a child in future regard to her faith.(no instrument is use perhaps they put a cassatte on tape fr the same)

Answer: Haram Music may put negative effect on child-s behaviour.

Print

Id:
268
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-29

Question: kia ayatullah khamnaie music ki ijazat dete hai kia ya kisi bhi tarah ki sur? agar dete hai tu us ki limitation kia hai?

Answer: Har tarah kay raag jo lahw aur suroor aawar hoon aur aish o noosh ki mehfiloon say munasibat rakhtay hoon haram hay.Ref:Jadeed Masail Part-1,Pg.55.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: ASSLAM-O-ALIKUM, may nay pahlay bhi ek question kiya tha jis ka jawab abhi tek nahi mala ek question aur hai wo yaa KAY AGHA SEESTANI TARANAY KAY BARAY MAIN KIYA FARMATAY HAIN KAY SONA JAIZ HAI YAA NAHI KAB KAY AGHA KHAMNAI KI NAZAR MAIN JAIZ HAI.plz zara jaldi reply kariya ga kun kay may nay phlay tu question kiya tha uss ko 1 onth honay wala hai plz jaldi reply kariya ga aur yaa jo books ahi hain tu in kay priz pata chal saktay hain. ALLAH HAFIZ JAZA KALLAH

Answer: In taranoo ko sunnay main koi haraj nahi hay agar ye lahwo laib ki mehfiloo say munasibat na rakhtay hoon.aur agar lahwo laib ki
mehfil say munasibat rakhtay hoon to aihtiyat-e-wajib ki bina par inhain kaan laga kar sunna jaiz nahi hay.Ref:I-43

Print

Id:
673
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I have to ask is their any type of music allowed if yes then what tpye.

Answer: Salam un alaikum,
Background music of dramas and music which is not related with music shows and concerts are permissible. Those kinds of musics which are related to the fisq o lahab are not allowed.
Ref: Mujtahid Sey Pochey Gaye Sawalat Part 2 Ques. No. 217, 218

Print

Id:
2075
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: kya songs sunna haram hain ?

Answer: bismehi taala, gena insan ki us awaz ko kahete hain jis me utar chadhau aur tarb ho, niz lahw w laab aur ghunah ki nashisto se munasebat rakhti ho, in sefat k sath gana gana aur sunna haram he.

Print

Id:
2349
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam O Allaikum, Kya Naat aur Hamd jis me Music ho sunna jaiz hai ?

Answer: w.s. agar music aysa ho k jo music show aur music concert se talluk na rakhta ho to sunna jaiz he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part 2 Aytullah Seestani (d.b.) page no.87 pub. by quran-o-itrat academy)

Print

Id:
3684
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kya ye jaiz hai kay shaadi kay mokay par gana bajana kya jay khas tuor par mehndi maeyoon par jo kay amm tuor par hota hai kay sab rishtaydar mil kar yani mehram oar na mehram gana bajana kar tay hain

Answer: Ehtiyaat e wajib k taur per shab e zifaaf(shadi ki pehli raat) ko bhi gana terk kerna chahiay tu dosi rato(maslan mehndi, maeyoo) main kis terah jaiz ho sakta hay. .(Jaded fiqhi masail, maslah #560). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3767
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salaam Are we allow to recite or listen to nauhas, marsia, manqabat and salam that are toned on music or song? What if we do not know the song means we dont hear songs? And what if we know it and we have heard it before???

Answer: Wo qasiday jo kisi khoob surat awaz me parhein jay lakin in me gina(song) ki kafiyat na ho to is me koe haraj nahi he . jo mosiqi mahafil e lahw o la’ib(bayhoda mahaafil) se munasibat na rakhti ho wo halal he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 557 pg # 281) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3902
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya ganay sunna haram hai?

Answer: Gaana(song) gaana or sunna haram hay or gaanay say muraad wo bayhodah kalaam hay jo ehlay lahv o la’ib k maroof lah’n(melody/note) main gaaya jay.(Jaded fiqhi masail, maslah #550).

Print

Id:
5009
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: can we listen qwalli and gazal

Answer: Agar ye wo qalam ho jise aisi lae ya sur k saath gaya jaay jo lahu wa la’eb ki mehfil se makhsoos ho haram he aur us ka sunna bhi haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2043).

Print

Id:
6009
Mujtahid:
sistani Date:

Question: salam, main ne aur cusion ne ek dosre se ighlaam kya tha jab k hum dono hi na baligh the aur dakhool bhi aein mumkin hy k nahi hoa tha aur pani ka ikhraaj bhi nae hoa tha to ab main kya us ki sister se shaadi kar sakta hu, kiun k main us larki ko aur wo mje pasand karti hy? Is gunah ki mafi bhi maang chuka hu aur kuffara bhi ada karna chathata hu. tafseel se rehnumae kare

Answer: Ighlaam krwaane wale larke ki maa, behn or beti ighlaam krne wale pr- jab k ighlam krne wala baligh ho- haram hojate hen, agrchhe supari(uzwa-w-tanasul ka agla hissa) se kam hi dakhil hua ho, agar ighlaam krwane wala mard ho ya ighlaam krne wala na-bailgh ho tab bhi ihtiyat-e-lazim ki bin pr yehi hukm hai, lekin use guman ho k dukhool, hua tha ya shak kre k dukhool hua tha ya nahi to phir wo haram nahi honge, or isis tarah ighlaam krne wale ki maa behn or sbeti ighlaam krwane wale pr hram nahi hen.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2369)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6697
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Salamun Alaikum, Ayatullah Seestani k fataw k mutabiq Sufi Shairi Sunna kaisi hai. Kiya ye shairi sun kr koi gunnah ka kaam anjaam detay hain. Khususan Barr e Sagheer k Sufi Buzurg Shura ki Shairi, aur kia in ki shairi jaiz music k saath sunna jaiz hai, Plz jawab zarur dain...

Answer: Wo qasiday jo kisi khoob surat awaz me parhein jay lakin in me gina(song) ki kafiyat na ho to is me koe haraj nahi he . jo mosiqi mehafil e lahw o la’ib(bayhoda mahaafil) se munasibat na rakhti ho wo halal he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 557 pg # 281) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6758
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: Is listening to qawali jaiz??

Answer: Agar ye ghina shumar ho to haram he. aur ghina se muraad wo batil kalam he jisay aisi lay k saath gaya jay jo lahwo wo laib ki mehfilo se makhsoos ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2043 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10543
Mujtahid:
ayatollah sistani Date:

Question: If I listen to a song which is not associatd wit love n romance but instead motivates me to work hard n get determind for some purpose(not haram purpososes) then is it permisible to listen to that particular music??

Answer: Ager ye ese behoda kalaam per mushtamil ho jis ko ehl e laho o lab ki maroof dundh (jese gana ect) per pesh kiya jaraha ho to is ka sunna or gana haraam hai, or ager ye dono shartain na ho to jaiz hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 550 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
11169
Mujtahid:
Date:

Question: AOA sir my question is that i am a rapper aj kal k log music k through cheeezen seekhtey hen mere zehan men ek baad kafi time se he k ager music islam men haram he to kia men light music k through ALLAH or unke nabi s.a.w.s ki taleemat logo tak pauhncha sakta hun meri nazar men ye sab se asan tareeeka he jis ke through muslims or non muslims ko islam ki taraf le ke aon kia ye kerna jaiz he ya haram hey ALSO GIVE REASONS thanks

Answer: Music that is permissible is the music that does not entail entertainment in gatherings held for that purpose. Forbidden music is the music that is suitable for entertainment and amusement gatherings.
The expression “the music or the song that is suitable for entertainment and amusement gatherings” does not mean that the music or the song’s tune amuses the heart or changes the mental state because there is nothing wrong in it. The expression actually means that the person listening to the music or the song’s tune —especially if he is an expert in these matters— can distinguish that this tune is used in the entertainment and amusement gatherings or that it is similar to the tunes used therein. (See the question-answer section below.)
Singing (al-ghina) is haram: doing it, listening to it, or living of it. By “singing — al-ghina,” I mean an amusing statement expressed in the tunes that are suitable for those who provide entertainment and amusement.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=251364&id=46&pid=2071 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12363
Mujtahid:
khoi Date:

Question: salam, mera sawal yeh hai k schools me jo poem music k sath parhai jati hai kya wo jaiz hai, music piano sy bjaya jata hai aur kya sports song jaiz hai.

Answer: Ghina haram hay or ghina se muraad aisi awazain hain jaisa lahw o la,ib or khail kood ki mehfiloon main nikaalne ka dastoor{riwaaj} hay tu wo haram hay.(Ref:A.Khoe(r.a),Tauzee hul masa,il, maslah#930).
Haram mausiqi(music) wo hay jo bayhoda or tarb(yani aish o ishrat) ki mehfilo k saath munasibat rakhta ho. Agarchah kisi makhsoos sunnay walay k liay mutrib(yani aish o ishrat wali) nah ho.(Ref:A.Khoe(r.h),Al-masailul shariyah part#2, maslah#46). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13163
Mujtahid:
Date:

Question: Kya Ham apni bivi k liye gana ga sakte hain ya nai.ya bivi apne shohar k liye

Answer: Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550) Aurat apne shohar ko khosh kerne or os k jazbaat ko ubhaarne ki gharz se os k saamne raqs(dance) ker sakti hay.Laikin doosray merdo k saamne raqs nahi ker sakti or ehtiyaat e wajib k taur par aurto k saamne bhi raqs nahi kerna chahiay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13167
Mujtahid:
Date:

Question: Kya bivi apne shohar k liye gana ga sakti hai ya nai ya phir shohar bivi k liye ga sakta hai ya nai?

Answer: Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550)
Aurat apne shohar ko khosh kerne or os k jazbaat ko ubhaarne ki gharz se os k saamne raqs(dance) ker sakti hay.Laikin doosray merdo k saamne raqs nahi ker sakti or ehtiyaat e wajib k taur par aurto k saamne bhi raqs nahi kerna chahiay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13655
Mujtahid:
s Date:

Question: Sir kiya Islam main daaf baja kar naatin parhna jaz hay ya nai plz hadees kay reference kay saath reply dijiya ga?

Answer: Rasool e khuda(s.a.w.w) ne aik hadees main fermaya hay k “Ganay walay ko apni qabar se andha, gonga or behrah uthaya jaay ga, zinakaar ko bhi aisay hi uthaya jaay ga, baansri bajanay walay ko bhi isi halat main uthaya jaay ga or daf bajanay walay ko bhi isi terah uthaya jaay ga”.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 552).
Hadees rasool (s.a.w.w) main daf ko haram qaraar diya gaya hay laikin ye har waqt haram nahi hay balkeh is ki bhi khuch sharait hain jis ki wazahat ye hay k:
Music 2 aqsaam ka hay halal music or haram music. Halal music wo hay jo lahw o la,ib ki mehfiloon(khail kood or bayhoda afraad ki mehfiloon) se munasibat or ham aahangi nah rakhta ho or Haram music wo hay jo lahw o la,ib ki mehfiloon se munasibat rakhta ho.or music ka lahw o la,ib ki mehfiloon se munasibat rakhne ka matlab ye nahi hay k music ya ghina(song) ka lehen nafs ko rahat or sokoon pohnchay or oski kaifiyat ko tabdeel keray.is liay k ye cheezain tu durust hain, balkeh iska matlab ye hay k music ki awaaz or ghina(song) k lehen ko sunnay wala, khusoosan agar wo shaks jo in cheezon ki khosoosiyat se bakhaber hoon, is baat ki tashkhees karain keh ye lehen lahw o la,ib main istemaal hota hay ya is lehen se shahabat rakhta hay jo lahw o la,ib main istemaal hota hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 546)

Print

Id:
13852
Mujtahid:
ds Date:

Question: Sir, Jo qawaliyan Hazrat Muhammad PBUH ke shan maiin parhee ya gai gain hon music kay saath to kia woh sunna aur parhna jaiz hay plz hadees ke roshni say batain?

Answer: Ginna haram hai is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. Isi terha aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13941
Mujtahid:
Date:

Question: please guide me how to avoid bad thoughts and music

Answer: 1-Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550)
2-Agar music aisa ho k jo music show aur music concert se talluk na rakhta ho to sunna jaiz he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part 2 Aytullah Seestani (d.b.) page no.87 pub. by quran-o-itrat academy)

Print

Id:
14292
Mujtahid:
Date:

Question: kya gane sunna haram hai? agar nahin? to hum aise gane sun sakte hain jis se koi galat baat nahi nikalti ho jisse hum bhatak te nahi ho?

Answer: 1-Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550)
2-Agar music aisa ho k jo music show aur music concert se talluk na rakhta ho to sunna jaiz he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part 2 Aytullah Seestani (d.b.) page no.87 pub. by quran-o-itrat academy). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15898
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia classical mosiqi (song) sunna jaiz hai?

Answer: Agar lhw wa leab sai munasibat rakhnay wali mosiqi hai to jaiz nhi, is k alawa jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 161, pg # 82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16931
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: asslam-o-alaikum!myny apsy ye qstn krna tha k kya hm songz sun sakte hyn with refrence gv me ansr thanks!

Answer: Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
19839
Mujtahid:
Koi b zimadar Date:

Question: Assalam o Alaikum.. Mera sawal ye hai k kya qawali sun,na halal hai? Main just un qawali ki bat kar rha hn jo Noha, ya Naat or Manqabat hoti hain, lekin sath mai music b hota hai.. Main bht mushkil mai hun.. Plz help me. Or plz mujhe email adress par b jawab send kar dain.. Talib e Dua

Answer: Ginna haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. Isi terha aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
24762
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Asalam o Alaikum, Agah sahab mai pehle b sawal kar chuka hun per mjhe jawab nahi mila.. Mera sawaal ye hai k mera aik dost hai jo songs sunta hai maine usay kaha k songs sunna haram hai magar us ne kaha k mai just Lyrics sunta hun Music aur beats ki taraf dehan nae deta .. please mjhe is baray mai detail mai fatwa batay Allah apko ajar ata farmaye.. Thank you

Answer: Ginna(song) haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. Ginnah ka sunna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
25163
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Asalam o Alaikum..Maine songs k baray mai pehle sawaal kia tha jis k jawab mai ye likha tha (lohv o laeb ki mehfiloo) Mjhe ye samajh nahi ayaa k Lohv o laeb ki mehfilo se kia muraad hai?? PLease is baray mai detail mai btaye..main apka shukar guzar rahun ga.

Answer: Music ka lahw o la’ib ki mehfilo sai munasibat rakhne ka matlab ye nahi hay k music ya ghina(song) ka lehen nafs ko rahat or sukoon pohnchay or oski kaifiyat ko tabdeel karay. is liay k ye cheezain tu durust hain, balkeh iska matlab ye hay k music ki awaaz or ghina(song) k lehen ko sunnay wala, khusoosan agar wo shaks jo in cheezon ki khosoosiyat se bakhaber hoon, is baat ki tashkhees karain keh ye lehen lahw o la’ib main istemal hota hay ya is lehen se shabahat rakhta hay jo lahw o la’ib main istemal hota hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 546) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32938
Mujtahid:
sistani Date:

Question: education system k hawaly sy aik sawal pochana hai k aj kl schools me music compulsory ho gya hai aur jin schools me music nahi hai wahn ka education standard low hai . ab education pr compromise karien ya music pr.

Answer: Music ki ijazat nahi hai aur Karachi mai aisay bohat sai school hain jin ka standard bohat acha hai aur os mai music bhi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41210
Mujtahid:
aytullah sistani Date:

Question: salamunalaikum, main ek aysi shop pe job karta hu jaha har wakt gaane bajte rahte hy kya mera waha kaam karna jayz hy? mujhe gaano se sakht nafrat hy aur mujhe lagta hy k gaano (laho laab) se meri manwiyat pe asar na pade... aur agar mere mana karne pe wo gaane bajana band na kare to kya main waha job na karu? plzzz just reply

Answer: Wssalam o alykum, ager us job se ap ke deen o imaan ko katra hai to dosri job talaash kar leni chahiye, or ager katra nahi hai to ap wahan job kar sakte hai bashartiya kea p un gano ko jaan booj kar na sune chahe un ki awaaz ap ke kano main aae lekin ap in ko sune ka irada na rakhte hon. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 548 , pg # 278 , eidition # 5) , (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 179 , pg # 88 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
43053
Mujtahid:
aya seestani Date:

Question: is liistening of sad music allowed in islam?

Answer: Ager is music ko ehl e fujoor or lehaw o laeb ki tarz o dhun main ada kiya jaae to jaiz nahi.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 216 , pg # 86 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
47527
Mujtahid:
Date:

Question: sir me singar ban raha hun or film indastry me jana chahta hun mujhe pata he ki ye islam me jayaj nahi he lekin me midia me islam ke liye hi jana chahta hun midia islam dharam ke badnam karne par tula he is liye me midia me jakar islam ke liye bahut kuch karna chahta hun aap bataiye me sahi hun kya

Answer: Ginna haram hai, aur isi terah aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Is ki ujrat lena bhi haram hai aur ye ujrat is ki milkiat nahi ban sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
51787
Mujtahid:
Date:

Question: Assalaam o Alaikum, kindly shed some light over on following matters. .... If music is Haram or not permissible in Islaam so what about Naat, qawali ,noha & manqabat ????. i would request you to please first understand my question than answer me spacifically.......... do not refer me any link in replying to my question..... as i have already gone through all the links available on internet..... but i didnt find any asnwer regarding the same.........and secondly , please donot use any jargons like "(ghina) " or "(lohv o laeb ki mehfiloo)" & etc..... please answer me like any layman whos weak in urdu can easily understand you answer ............ thats why i am asking here so that my & my brothers /sisters out there those are connected to music fileds or like wise reciting naat, qawali noha & manqabat, once & for all their confusion can be cleared ..... answer me or help me as soon as possible i will be very thankful to you forever. Sir, let me tell you one more thing here that i am a musician & i play all kind of musical instruments. if you see, 99% naat, hamd, manqabat & nohay are tuned & has melody you can play their tunes on any musical instruments and people easily recognized that what is being played over on keyboards or on guitar etc..... OK! for your better understanding I make it more spacify/elaborate for you... 1. Bhar dou jholi mere ya Mohammad lot kar main na jaunga khali ( Qawali, sung by many qawal ).... 2. Ali kay saath hai Zahra ke Shadi (Manqabat , recited by many nohan khaun like nadeem sarver etc).... 3. Zakhm e dil dikhain ge jab imaam aainge ( Noha, recited by nadeem sarvar & sibt e jafer) ..... 4. Na Ro Zainab na ro mere jigar k tukre na ro ( noha)...... 5. Mohammad ka roza qareeb aa raha hai ( Naat, by Junaid Jamshed).... Sir mentioned above all Nohay, manqabat, naat & qawali are 110% melodious, tuned & if the person who has little music knowledge can easily undertand that these are on musical scale and any listener can easly recognized what is beeing play ....... when i play piano or guitar .......without saying any single word to my wife , to my kids & to my friends they can easily recognized what is beeing played over on guitar..... 2 , 3 day i was playing noha ( GHABRA E ZAINAB ) & (MUJH PAY KIYON BAND KARTE Ho PAANI )

Answer: Wssalam o alykum, The music (mosiqi o gina) is classified in halaal music and haraam music, (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 544 , pg # 277 , eidition # 5).
If the music depends on false conversation and words (which conversation and words are not permissible in Islam like tell a lay ect) or way (tune) of speaking this conversation and words is played in speaking way of those who are the jocular persons and fornicator persons so this music is haraam, except it all is halaal. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 216 , pg # 86).
And to talk about the Nooha, Naat ect so if these depend on right conversation and words and tune of these are not the tune of those who are the jocular and fornicator person so it is halaal what ever it is being played by the same instrument, Right if you know that it depend on false conversation and words or the tune of it is tune of jucular and fornicator so you can not listen or play it. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 218 , pg # 87) , (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 551 , pg # 278 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
52715
Mujtahid:
Date:

Question: Salam mera aap se aik bohat he important question hai.woh ye hai k mera dost bohat pareshan hai.mein ne us se wajah poochi to us ne mujhay privately tor pe batai jis ki tafseel kuch yoon hai:us ne mujhay bataya hai k us k ghar maasi kaam karne wali taqreeban 20-25 saal se us k ghar pe kaam kar rahi aur mere dost ki age 20 years hai.woh jab maasi ko kaam karte hue dekhta hai to us ka dil thoda sa taiz dharakta hai aur jab us ki nazar maasi k boobs pe parti hai to us ka lun khada hojata hai aur dil ki raftar tez ho jati hai.to us ne aur bataya hai k jab woh bathroom jata hai to us k lun mein se chipka hua peshab lais numa nikalta hai to yeh kia wajah hai?.plz jawab zarur dain.

Answer: Halal music wo hai jo lahw o laaib(ghunah garo ) ki mehfil se munasbat nah rakhte ho aur haram music wo hai jo lahw o laaib(ghunah garo ) ki mehfil se munasbat rakhte ho. (ref.jadeed fiqhe masail, aqa sistani,pg:277,masla:545). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52742
Mujtahid:
sistani sb. Date:

Question: as Slam un alekum jnb main india se hu yha hindu ki tadat h pr muslim bhi h to kya hindu k yha ki koi cheez hm kha skte hai... or dosre ye kya music or song gana ya sunna hram hai .. or ku hai.. shukriya

Answer: wssalam o alykum, musalmaan per wajib nahi hai, ke wo khana banana wale se us ke imaan or kufur ke bare main deryaft kare, or ye ke us ne khane ko tar haath lagaya hai ya nahi, pas musalmaan ko haq pohanchta hai ke wo goosht, charbi or in se bani hoi chezoo ke ilawa baqi tamaam chezain kha lain.
Han ager is ko ya pata ho ke khane ko banana wala kafir geer ehl e kitaab main se hai or itminaan ho ke is ne is khane ko tar haath lagaya hai to phir ye khana najis hai or is ko nahi khaya jasakta. Or is hi terhan ye hi hokum hai ke jab is ko itminaan ho ke khane main koi haraam cheez mili hoi hai jese sharaab.
Han or jahan tak goosht or charbi or in se bani hoi cheezoo ki baat hai to ager geer muslim in ko peash kare to is ka khana haraam hai siwaae is ke ke musalmaan ko yaqeen ho ke ya goosht kis halaal jaanwer ka goosht hai or is ko shari tareqe ke mutabiq zibah kiya gaya hai.
Or jahan tak machli ki baat hai to is ki tamaam qismoo ka khana jaiz hai ager is main 2 shartain mojood hon,
I

Print

Id:
53527
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia music sunna IslAm main jaez hai ya nahn or

Answer: Ginna haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhsoos ho. Isi terha aisi laye k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53698
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assailant o ALaikum my question 2 u is dat what is difference between haram music and halal music plz explain in easy words? Thank u

Answer: Ghina haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfilon sai makhoos ho. Isi terha aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043)
Halal music wo hai jo lawo lab(ghuna gharo ) ki mehfir se munasbat na rakhte ho aur haram music wo hai jo lawo lab(ghuna gharo ) ki mehfil se munasbat rakhte ho. (ref.jadeed fiqhe masail, aqa sistani,pg:277,masla:545) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54201
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: sir kia qawali haraam hai?

Answer: Ager ye batil kalaam (Jis Shariat e Muqaddasa ne ijazat nah di ho) kalaam per mushtamil ho ya fajir logo ki tarz se is ko ada kiya jaae to is ka sunna haraam hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 216 , 219 , pg # 86 to 87 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Note: Qawali k kalam ka masalah bayan kia gaya hay laikin music ka masalah alag hay.

Print

Id:
54484
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam O Alaikum Kya Shaadi Waghera mai sirf khawateen ka dholki or gana bajana jaiz hai?

Answer: Gana gana sunna haram hen, or gina(gana) se murad behuda kalam hai jo ahl-e-lahv-o-la

Print

Id:
57525
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam-un-alaikum g ye bataiye ki kitni music halal hoti hai aur kaun si music halal hoti hai.

Answer: Wssalam o alykum, Ager mosiqa (music) ese batil kalaam (wo kalam jis ki Shariat e Muqaddasa ne ijazat nahi di jese jooth ect) per mushtamil ho jis ko guhnaah gaar logo ki dhun (jese filmoo mian gaano ki tune) per ada kiya jaae to is qisim ki mosiqa ko sunna o gana jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 216 , 218 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61801
Mujtahid:
Date:

Question: me ek Muslim ho ahl.e.hadees se na hoon na shia etc hoon mera sawal he k Bollywood song bajana islam me kesa hai wo filme aur ganay jis se naps ki jaagne ke imkaan na ho kesa hai plz quran aur ahadees se sabit kary

Answer: Ghina(song) wo batil kalam hay jo sahibaan-e-lahw-o-fujoor ki tarz se ada kiya jay. Ahtiyat-e-wajib hay k aisi tarz se ada kiay janay walay har kalam se perhaiz kiya jay batil kalam nah bhi ho. Haan agar kisi mourid k bare me shak ho k ghina hay aya nahi tu is awaaz ka sunna jaiz ha agarcha yaha bhi ahtiyat kerna behtar ha.(Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat,part# 2,ques# 86). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
62547
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam aaj kal tv per jo song araha hai k jo army public school k bacho per picturise huwa hai kia us ko sunna jaiz hai. aam logo k liyai or depressed persons which r effected by this terrorism(sir kindly email the answer)

Answer: Ager ye ese kalaam per mushtamil ho jis ko ehl e lahw o laeb (music concerts etc) ki maroof dundh or lehen main pesh kiya jaraha ho to is ka sunna or gana haraam hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 550 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
63230
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alikum may ye pochna chahti hun k kia exercise karty wqt songs sun skti hun ya exercise ki niyat say apny kamry may akily dance kiya ja skta hay gunah k murtakib hun gay plzzzzz mjhy jaldi jawab dejye ga shukriya..

Answer: 1)Ginna (haram music) sunna jaiz nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2)Ehtiyaat e wajib ki bina per tanhae me ya kisi bhi insaan k saamne dance (naachna) jaiz nahi hai. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.org/persian/qa/0914/ ) Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72941
Mujtahid:
Date:

Question: Sir my question is asa gana sunna jo aap ki samaj me nahi a raha jese arabic ya english song jis me ham sirf music sunte hen or kuch alfaz hi samaj skte hen jaiz he.. Agr ise sekhne ki niyat se suna jay jese english zaban k lea english gana suna jay jaiz he...

Answer: Ghina(song) haram hai, Is sai murad wo batil kalam (alfaaz) hain jisay aisi lai (taraz) k sath gaya jay jo lohv o laeb(faajir o fasiqo) ki mehfiloo sai maqsoos ho. aur gina ka sunna bhi haraam hai .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) ,(ref: alfiqh lilmugterebeen ,aqa sistani,pg:62). Update on dated 23-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77187
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salamun Alekum Gana bajana ya music kon sa jaeez hai aur kon sa haram hai iss par bohat sawal hote hai kyuki aek larki nahid hai aur vo indian channel ke aek programe mai gana ga rahi hai aur uss par kisi hamare ahle sunnal bhai ne fatwa de diya hai, to hamari indian media par kafi bat utah rahi hai ke islam me gana haram hai, pls tafseer se jawab de.

Answer: Ghina(song) haram hai, Is sai murad wo batil kalam (alfaaz) hain jisay aisi lai (taraz) k sath gaya jay jo lohv o laeb(faajir o fasiqo) ki mehfiloo sai maqsoos ho. aur gina ka sunna bhi haraam hai .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) ,(ref: alfiqh lilmugterebeen ,aqa sistani,pg:62).
Halal music wo hai jo lawo lab(ghuna gharo ) ki mehfir se munasbat na rakhte ho aur haram music wo hai jo lawo lab(ghuna gharo ) ki mehfil se munasbat rakhte ho. Mazeed malomaat k liay is link http://www.sistani.org/english/qa/01246/ per click karain. (ref.jadeed fiqhe masail, aqa sistani,pg:277,mafhoom e masla:545) . Update on dated 16-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78646
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Slam اگر فعل حرام میں پڑنے کا خوف نہ ہو اور کوئی نقصان کا بھی خوف نہ ہو تو گانا سنا جا سکتا ہے؟ Qoitrat

Answer: Ghina(song) haram hai, Is sai murad wo batil kalam (alfaaz) hain jisay aisi lai (taraz) k sath gaya jay jo lohv o laeb(faajir o fasiqo) ki mehfiloo sai maqsoos ho. aur gina ka sunna bhi haraam hai .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) ,(ref: alfiqh lilmugterebeen ,aqa sistani,pg:62). Update on dated 28-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86338
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera dusra sawal ye h k Moseeqi konsi jaiz he konsi nh. QAWALI , tarane, Guitar k sath Khuda ki hamd aur sad music sunna haram he ya nh? Uska kia gunah h?

Answer: wo moseeqi jo aisi ley(Tune) k saath gae jaey jo lahv o laheb ki mehfilon sai makhsoos ho us ko gaana,sunna,seekhna ,sikhaana jaiz nahi hai.chahey agar quraan dua wagera bhi aisi tune k saath parhi jaey, jo lahvo lahab ki mehfilon sai makhsoos hai tu jaiz nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2043). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
101689
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia gana gana jaiz hay

Answer: haram hay

Print

Id:
102722
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-30

Question: Kea kaalam ya hamad ma music use kr skty hain ya nhi

Answer: Quran ki tilawat mai hamd mai aisi tune istemaal karna jo lahw o la,ib ki mehfil main use hoti ho haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2043).
[Updated on 30-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104298
Mujtahid:
Shirk Date: 2023-08-05

Question: Agar gaana gaane mein shirk Ka Kuch baat aa jaaye aur agar gaana gaa lein toh kya Woh shirk kardiya

Answer: Ginna (songs) sunna ya gaana haraam hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla #553,550)
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104581
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-29

Question: Kia Ashiqana sahiri karna maqru hai? Aur agar hai to agar husband apni wife kay liya sahiri karta hai to wo bhi maqru hai?

Answer: Shiar kehna makhrooh hay chahay haq hi q nah ho.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/search/3186960/page/3/)
[Updated on 30-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print