Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Aaq e waldain (4 Questions)


Showing 0- 4 questions from 4 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
46423
Mujtahid:
Sistani d.b. Date:

Question: Agar maa apnay betay sai kehay k tum apni biwi ko talaq dai do warna mai thumain aaq kar doon gi, to kia maa ka hokum manna wajib hai?

Answer: Is morid mai maa ki etaat karna wajib nahi hai aur maa ka ye kehna k mai thumain aaq kar don gi ye be-matlab hai magar maa sai bad kalami nahi kar sakta hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
51900
Mujtahid:
Date:

Question: Main ik larki say shadi karna chahta hoon, magar meray waldain meri shadi ik aor jaga karna chahtay hain. meray liay in hallat main sharia ehkamat kia hain

Answer: Waldain ki pasand se shadi karain balke ager waldian ka us larki se shadi karana apse mohabbat ki waja se ho or wahan shadi na karna un ko aziyat deta ho to haraam hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1387 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
103336
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Aaq karne k kya shart hai

Answer: Aaq e walidain(yani walidain ka nafarman) or ye in dono(walidain) se burae se paish aana hota hay, kisi bhi andaaz se keh jo in dono ki bache per safqat se inkaar shumaar kia jaey. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1439 ).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-11

Question: Mere walid meri walda ko galiyan dete hai, zalil karte haien mere say meri walda ki takleef nahi dekhi jati. Or aisi wagah say mei apnay walid say larta hoon. Mei bara majboor hokay yeh khadam autha hoon or bad mei toba bhi karta hoon lakin mere abu ka yeh roz ka mamala hai. Apni walda kay lie gali galooch bardast nahi hoti. Kia ais majboori mei apnay walid say badtimizi ki mafi hogaye gi kay nahi

Answer: Aulaad k liye zaroori farz banta hai k waldain se bahas wa mubaisa k dourain adab aur tehzeeb ka khayaal rakhe aur in ki taraf ghoor kar dhekhne se bhe ghuraz kare . apne awaz ko waldain ki awaz se ziyada buland na kare chijaike tanwa taaz alfaz istemal kare jo batareeq aula jaiz nahen.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 5, ques #347, pg #213).
Aulad per waldain ka sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna wajib hai . (Ref: sistani.org, urdu, waldain k huqooq, ques #1).
[Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print