Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Sharab (Beer) (28 Questions)


Showing 0- 28 questions from 28 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
14074
Mujtahid:
Date:

Question: salam kia 0.0 beer pena gunah hai plz ans dena

Answer: Sharab (beer) aur har wo cheez jo mukammal ya juzvi tor par nasha awar ho, thoos(solid) ho ya liquid, ye sab haram hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 164 pg # 123) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32803
Mujtahid:
malomat Date:

Question: sharab kis ayat mean haram ha or kio haram ha

Answer: 1)Quran mai bohat sai maqamat par sharab k haram honnay k zikr moujood hai. 1)Surah e maida surah # 6, ayat # 90 aur 91 mai hai k “iman walo sharab, juwa, but, pansa ye sab ganday shaitani aamal hain lehaza in sai perhaiz karo ta k kamiabi hasil kar sako. Shaitan to bas ye chahta hai k sharab aur juway k baray mai tumharay darmian bugz aur adawat paida kar dai aur tumhain yad e khuda aur namaz sai rok dai, kia tum waqaen ruk jao gay.” Is k alawa surah baqra surah # 2 ayat # 219, surah Muhammad surah # 47 ki ayat # 15 aur is k alawa surah yousuf mai bhi sharab ka zikr aya hai.
2)Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
33324
Mujtahid:
Date:

Question: Sharab k haram ho jana pa sahaba na kya kaha or kya kia????? Ans me in surah maidha

Answer: Sharab ki hurmat ka hokum aanay k bad sahaba nai ye sawal uthaya k jo logh is sai pehlay pi kar mar gae hain un ka kia hashr ho ga? to jawab mila k agar inhonay taqwa sai kaam lia hai to koi haraj nahi hai aur ye taqwa teen marhaloo par zaroori tha 1: sharab ka hokum aanay sai pehlay baqi haram kamoo sai parhaiz kia ho. 2: sharab ka hokum aanay k bad sharab sai parhaiz kia ho. 3: sharab chornay k bad baqi gunahoo sai bhi parhaiz kia ho ta k naik amal karnay waloo mai shumar ho sakay. (Ref : Anwar ul Quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 278)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
37558
Mujtahid:
Date:

Question: 1 ) Saraab penay saa muslim 40 days tak dairay islam sa nekal jata haaa yanei kafar ho jata haaa ? 2 ) sarab penay walay kee 40 days tak nammaz kaboool nahei hoteii kaya ? 3 ) shadei ka badd husband ( shoohar ) apne bv (wife ) ka pooora jissam dahkh sakta haa ? 4 ) bv ( wife ) ka anus yanei back side sa sex karny saa nekka tooot jata ha kaya ? 5 ) bv (wife ) ka ( breast, lips ,chast , kamar , hip ) chooosny sa neka tooot jata ha ya haram ha ya kuch be gunaa hota ha kaya ? 6 ) bv (wife ) ka vegina ma fingring karny sa .un ka jazbat ko ubahrny saa guna hota haa ? 7 ) husband or wife ak dosry ka jissam pa masssaj kar sakty hann .or ak dosray ka jisam dahak sakty hann ? 8 ) wife ka sath sex karty hoy us ke vagina ko dahkna yanei dahk ka sex karny sa pada hony wala bacha ( baby ) nabeena pada hota ha ? 9 ) wife sa sex karty hoy bolnay sa bacha goonga bahara pada hota haa kaya ? 10 ) hath saa ( mushat zanei / muth / hand practice/ ) karna kitna bara guuna haaa or is ke saza kaya ha qyyamat waly din ) ((( IN sub sawallon ka jawaab maharbanei kar ka mujy send kar deya jaya ma ap ka shoookar guzzar hoon gaa ))

Answer: 1,2)Sharab pina haram hai aur baz hadees mai sharab ko gunah e kabeera bataya gya hai. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. nai farmaya sai riwayat hai k aap a.s. nai farmaya “Sharab buraio ki jr aur gunahoo ka mumba hai. jo shakhs sharab piay wo apni aql kho bethta hai, wo is waqt khuda ko nahi pechanta, koi bhi gunah karnay sai nahi chokta, . . . . .aur 40 din tk is ki namaz qabool nahi hoti hai.” (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)
3)Sohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k zahari aur batani hisso ko yaha tk k sharamgah ko bhi dekh saktay hain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236)
4)Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Laikin nikah batil nahi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)
5,6,7)Sohar aur biwi dono aik doosray k badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay sai mas kar saktay hain ya choo saktay hain chahaey lazzat se ho ya baghair lazzat k. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masail masla # 406 pg # 236) Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jae) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org)
8,9)Hadees e Rasool s.a.w.w. hai k jima kartay waqt koi shakhs batain na karay q k ajab nahi k wo bacha goonga paida ho aur aurat ki sharamgah na dekhay bal k is halat mai aankhain band rakhay q k is waqt sharamgah ki taraf dekhna aulad k andhay honay ka bais hai. (Ref : Islam aur jinsiat pg # 138)
10)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. Aur is ka kaffara toba karna hai.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 200,pg # 82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
39242
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera question ye ha ke sharab haram ha lekin main ne ek bar sharab sirf taste ki thi to kia mujhe is ki tooba karne par maafi mile gi ya nahi? or plzz is ka reference bhi dena.

Answer: 1)Sharab pina haram hai, hadees mai hai k jo shakhs sharab ka sirf aik ghont pita hai to khuda, farishtay, ambia, aur momineen os par lanat bejhtay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)
2)Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
42749
Mujtahid:
Date:

Question: mainy beer pi ha is ma 7 percent alkohal hoti kea maab namaz parh skta hn k40 din bd

Answer: Sharab pina haram hai aur baaz hadees mai osay gunah e kabeera bataya gya hai. Laikin namaz parhni wajib hai namaz ko nahi chor sakay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43555
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualykum Can u plz tell me the ayet and surah no where mention sharab is haram? Want to knw the ayet.

Answer: Quran mai sharab k lie haram k lafz to nahi aya hai magar ghunah likha hai surah # 2 surah e baqra ayat # 219 ki ayat mai hai is k alawa surah e maida surah # 5 ki ayat # 90 aur 91 mai bhi sharab ko shaitani amal qarar dia gya hai(Ref : Anwar e quran pg # 279, 101)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46089
Mujtahid:
sunni Date:

Question: kya sharab piye huwe aadmi ke chune se gusl karna chahiye ya bagair gusl ke bhi namaz parha ja sakta hai. please jaldi jawab den.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Sharab khud to najis hai laikin jis nai sharab pi ho wo najis nahi hota hai aur na hi os ko hath laganay sai koi najis ho ga aur bagair ghusl wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 108, 344-389)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47096
Mujtahid:
Haq Date:

Question: Kya BEER Peena haram hai.................

Answer: Sharab pina haram hai aur baaz hadees mai osay gunah e kabeera bataya gya hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47944
Mujtahid:
agha Ayatullah Sistani(d.b) Date:

Question: salam.qibla mera yeh sawal hy ky non-alcholic beer peena halal hy ya haram.

Answer: Sharab pina haram hai aur baaz hadees mai osay gunah e kabeera bataya gya hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48062
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawl yeh hai k mery husband ka paris mein restaurent hai,jahan wo her cheiz halal dety hein,but yahan k log khany k sath shirab zrur peety hein,pls mjy btain,hmary kamai hram hi ya halal,me is silsaly mein bht behus ker chuky hun;but jagry k elawa kuch hasil nhi hota,q k mey husband kehty hein,me koi shirab sy profit nhi ly rha,pls mry musly ka solution bata dain

Answer: Sharab ka lain dain haram aur batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2024)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48665
Mujtahid:
Date:

Question: Agr mry husband shirab sale kerna na chorein, to mjy kya kerna chahiay, quon k mer aur mery childs ka unk elawa koi nhi hai, kya me job ker lun, even k mery hysband ko mera job kerna b acha nhi lagta; but me apny childs ko halal khilana chahty hun, so pls tell me solution.

Answer: Sharab aur tamam liquid manshiat ka lain dain haram aur batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2024)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48960
Mujtahid:
justojo Date:

Question: sir HASH (charas) pena haram hai ya makro ur ramzan kay mahinay may peena kesa hai??

Answer: Sharab aur har wo cheeze jo mukammal ya juzwi tour per nasha aawar ho, solid ho ya liquid ye sab haram hai. (Ref : A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masail, maslah # 164, pg #123)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
103145
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-16

Question: Hi.mera sawal ha k agr aike Muslim beer drink pee le tu ,Kya wo namaz phar skta ha

Answer: Sharab peena haram or gunah e kabeera hay or is k prrne se 40 din tak namaz qubool nahi hoti, agarche wajib hay keh apni namaz ko perhe or os ki namaz sahi hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2596 ).
[Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103493
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-19

Question: Assalam ..Janab shraab agar harh se touch ho jay ya kapre par gir jay to kya touch hone par hath najis ho jayga or kapre par gir jane par kpra najis ho jayga

Answer: Sharaab najis he (Ref: Tauzeeh jami : Agha sistani : Masla # 108
Note: Agar hathon ya kapre per lag jae to najis karde gi.
[Updated on 19-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104035
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Sharab beshak haram hai aur peene se 40 din tak namaz qubool nahi per kya sharab peene se insan islam se kharij hai ya nahi?

Answer: Sharab peena haram or gunah e kabeera hay or is k prrne se 40 din tak namaz qubool nahi hoti, agarche wajib hay keh apni namaz ko perhe or os ki namaz sahi hay lekin islam se kharij nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah # 2596 )
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110529
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-06

Question: Sharab pee kr zikr azkar krna kesa hai

Answer: Sharab peena haram hay or baaz ahadees main isay gunah e kabira btaya gaya hay.Hazrat Imam jaffer Sadiq(a.s) se riwayat hay k aap(a.s) ne fermaya: “sharab bura,eyoo ki jerh or gunaho ka mamba hay. Jo shaks sharab piay wo apni aqal kho baithta hay.wo os waqt khuda ko nahi pehchaanta, koe gunah kerne se nahi chokta, kisi ka ehteraam nahi kerta, apne qareebi rishtedaaro k huqooq ka paas nahi kerta, khullam khulla bura,e kerne se nahi shermata. Agar sharab ka sirif aik ghoont peeta hay tu khuda, farishtay, ambiyaa or momineen os per laa,nat bhaijtay hain.or mukammal mad,hoshi tak piay tu emaan or khuda shanasi ki rooh os k badan se nikal jati hay or naaqis khabees rooh jo khuda ki rehmat se door hoti hay os k badan main reh jati hay or 40 din tak oski namaz qobool nahi hoti”.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2596)
[Updated on 06-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110928
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: hazrat mein Jahan per job karta hun wahan ke log apne Ghar per sharab peete Hain job per nahin peete to kya main unke sath khana khane se ghusal farz ho jaega ya FIR sirf wazu karke namaj padh ne se namaz ho jayegi meherbani karke Mera sawal ka j sahi jawab do main bahut pareshan hun

Answer: Jee nahin is se gusl wajib nahin hota, albatta Jis dastarkhuwan par sharab pee jaa rahi ho us par chani hoi koi cheez khana haram hai, aur isi tarh us dastarkhuwan par bethna jis par sharab pee jaa rahi ho ehtiyat e wajib ki bina par haram hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 344,2597).(Note: Yahan masla ye hai ke wo log sharab kisi aur jagh pee rahe hain aur khana kisi aur jagh khaa rahe hain to is soorat me un ke sath khana khana aur us jagh bethna haram nahin hai. lekin gusl kisi soorat bhi wajib nahin hoga aur aap sirf wuzu kar ke namaz parh sakte hain.)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111030
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Mere shohar Bht Sharab pite h to Kya Mujhe unke sath rehna chahiye

Answer: 1: Sharab pina haram hai aur baz hadees mai sharab ko gunah e kabeera bataya gaya hai. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. nai farmaya sai riwayat hai k aap a.s. nai farmaya “Sharab buraio ki jar aur gunahoo ka mumba hai. jo shakhs sharab piay wo apni aql kho bethta hai, wo us waqt khuda ko nahi pechanta, koi bhi gunah karnay sai nahi chokta, . . . .aur 40 din tk is ki namaz qabool nahi hoti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)
2: Tafseer e burhaan men janab rasool e khuda (s.a.w.w) se riwayat hay: sorah e mubaraka “hajj” likh ker agar sharabi per taweez bandh diya jay tu wo sharab se khud hi nafrat kerne lagay ga hatta keh sharab peena chorh day ga.(Ref: tajalliyaat e quran, pg#84, edition#2013).
3: Biwi ko apne shohar ke sath hi rehna hai, lekin Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur beghair kise shari jawaz k is per tashadud kare to biwi apna muaamla le kar hakim shara (yani mujtahid) ki taraf ruju kar sakte hai taake hakim shara ( mujtahid) is k shohar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida na ho to apne sawabdeed (yani hesiat ot asro rasookh k mutabiq) ise sarzanish kare aur agar is se bhi koi faida na ho to biwi talaq ka mutalba karsakte hai. agar shoar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor na kiya jaske to hakime shara (mujtahid) ( apne ikhteyaraat istemal karke is ka sigha talaq jari karsakta hai.(Ref : Ayatullah sistani, Jadeed faqhi masail, masla # 413, pg # 237, eidition 5th,)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Agar koi sharab pee ly aur apni wife ky sath hambistri kyr ly aur wife pragnent ho jay to es bary main kiya hukam hy?

Answer: Sharaab gunahan e kabeera mai sai aik hai aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahi hoti, Albatta namaz parhna wajib hai. aur khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain. (Ref: Tauzeeh ul masasil Ayatullah sistani, edition 41 maslah #2596)
(Note: Sharab peena haram hai, lekin biwi se hambistri karna jaiz hai. to is se nikah par koi farq nahin pare ga, aur isi tarh bache par bhi koi farq nahin pare ga. (Ref: Tauzeeh ul masasil Ayatullah sistani, edition 41 pg #357)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: kya sharab peene se zuban napak hota hai

Answer: Sharaab gunahan e kabeera mai sai aik hai aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahi hoti, Albatta namaz parhna wajib hai. aur khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain. (Ref: Tauzeeh ul masasil Ayatullah sistani, edition 41 maslah #2596)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115644
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-30

Question: Q2. Agar koi ladki sharab peene lag jaye to uski wazahat kijiye

Answer: Sharab peena haram hai or Baaz ahadees men ise gunah e kabeera bataya gaya hai. aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahin hoti, Albatta namaz parhna wajib hai. aur jo sharab ka aik ghont peeta hai khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2596).
[Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115645
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-27

Question: Q1. Rasule khuda aur ahele bait ki nazar m sharabi ki kya ahmiyat h

Answer: ahmiyat nahi muzammat ki gayi hai.
sharab najis hai or is ka peena haraam hai.
imam jaffer e sadiq a.s ne farmaya: sharab burayion ki jar (root) or gunahon ka mumbaa hai, jo shaks sharab piye wo apni aql kho bethta hai, wo us wakt khuda ko nahi pehchanta, koi bhi gunah karne sai nahi darta, kisi shaks ka ehtraam nahi karta, apne qareebi rishte daaron ka khayal nahi rakhta, khulam khula buraai karne sai nahi sharmaata, agar sharab ka sirf aik ghoont peeta hai tou khuda farishte ambiya or momineen us par laanat bhejte hain aur mukammal madhoshi tak piye tou eemaan or khuda shanasi ki rooh us k badan sai nikal jaati hai aur naqis khabees rooh jo khuda ki rehmat sai door hoti hai us k badan mai reh jaati hai aur 40 din tak us ki namaz qubool nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 44 maslah no 2595).

[Updated on 27-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116153
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-02

Question: Aasalam o Alikum. Me aaj ik bar club gaya tha lakin wahan kisi dost ne sharat ki or mujhe ik juice mangwa ke pilya or kaha ye sirf juices ha mene kafi mana keya lakin jab mene piya to mujhe wo theek nai laga mene 2 ghoot pee liye lakin bad me pta chala is me sharab mix the. Maherbani kar ke mujhe bate keya karo kuch samjh nai aa raha

Answer: Agar pehle yaqeen ho ke ye sharab hai tu is ka peena haram hai or ghunhagar bhi honge lekin agar pehle yaqeen na ho aur baad men pata chale ke ye sharab thi to is surat men aap ghunahgar nahin honge.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2596).
[Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120611
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-31

Question: Sharab kab haram hui?

Answer: Sharab ke qataei (yaqeeni) haram hone ke hukum ke bare me ikhtelaf hai, 4, 6, or 8 hijri teenon saalon ke bare me riwayat milti hain. Muhamad Hussain haikal ke bayan ke mutabiq ziyada tar seerat nigaron ne sulh e hudaibiya ke baad 6 hijri ko tarjeeh di hai, ibn e hajr asqilani ne 8 hijri ko durust maana hai, alama qastlani ne mawahib e ladaina me likha hai ke sharab ki hurmat 4 hijri me gazwa e ohd ke bad gazwa e bani nazeer ke ayaam me naazil huei is kitab me 4 hijri me hurmat e sharab ka hukum zikr kiya gaya hai.

(Ref: http://islamichistory02.blogspot.com/2015/08/blog-post_36.html ).
[Updated on 01-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122206
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-02

Question: Asslam o Alikum sir kaya bemari main sharb bee sakta hain..?

Answer: Agar aisi beemari hai ke jis ka ilaaj sharab ke istemaal ke alawa kisi aur cheez me nahin hai to is halat main sharab ka istemaal jaiz hai lekin utna istemaal jaiz hai ke jis se jaan bach jaye.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3 maslah #943).
[Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-23

Question: Ek hadiees hy.... Nabi pak SAW n frmaya hy k jo chz zada mikdar m lene s nasha paida krti hy wo thori mikdar m lena b haram hy... Is m kon kon c chez ko haram karar dea gya details m btye ga plz jazak Allah

Answer: Sharaab bazat khud haraam hai, aur har peenay wali cheezon mein se nasha aawar cheez ke jis ki ziyada miqdaar nasha aawar ho to is ki thori miqdaar bhi haraam hai aur is mein mukhtalif ashya shaamil hain: angoor, jao, khajoor, munaqqa, kishmish, shehed, gandum wagera se tayyar ki gayi sharaab ya alchohal waghera.... is ke alawa is formula me aur bhi cheezen is me shaamil hoa jayen gi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #108 to 112. + link; https://hadith.inoor.ir/fa/hadith/258628/translate?rownumber=10 ).
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125554
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Sharab pene k bd jo 40 din hoty hy kya is mai nikkah ho jata hy ?(agr sharab lrki ne pii hy)

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Sharaab peena haram hai or Baaz Ahadees men ise gunah e kabeera bataya gaya hai. aur riwayaat mai yahan tak moujood hai ke 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahin hoti, Albatta namaz parhna phir bhi wajib hai or Khuda, farishte, ambiyaa or momineen us par laanat bhejte hain. (aur use chahiye ke Allah se sache dil se tauba karay). lekin in 40 dino ke andar nikah kiya jaa sakta hai or nikah ho jata hai. (yani is ki wajah se nikah me koi faraq nahi parhta, nikah ho sakta hay).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2596,2335).
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print