Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Qata Rehmi (3 Questions)


Showing 0- 3 questions from 3 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
58943
Mujtahid:
Date:

Question: as salamuwalikum meri umar 48 years hai,mujhe yeh puchna hai ki me meri maa ko bhout pyaar karti hoon.par jab bhi mera jhagda meri badi bahen se ho jaye toh wo mujhe baat bhi nai karti or us jhagde me meri koi galti nai rahti mere bahen ki hi galti rahti yeh baat mere maa janti hai ya nai mujhe nai pata.mujhe kuch samajh nai ara me kya karu app bolo.aise toh meri maa bachpan se mujhe chod k gaye hai bahar.dedh saal ki bachi ko chod kar gaye the. mere nani ne mujhe pala posa or mere 3 bahne mere maa k pas hi the bus me alag the.mere maa un teeno bahno ko bht cahti par mujhe nai.magar me har waqt apne maa k liye tadapti hoon is k liye me kya karu.mere maa mere se do do saal baat nai karti agar hum bahno ka jhagda hau toh.par un ko kuch nai kahegi mujh se naraz hogi. jab k galtiyan karte wo log mere galti nai rahti me haq baat karti app bolo me abhi kya kar sakti.bus me yeh soochti k ya allah me ne kuch galati toh nai ki or bhout bar me ne galti na rahte hue bhi maafi mangi hoon par mujhe dhutkar dete dil se nai cahte.app bolo ab me kya karu. mujhe dar lagta k me allah ki gunehgar toh nai hun.wo log sab amir hain me garib hoon.

Answer: Qata e rehmi karna ( yaani qareebi rishtedaaro se taluqaat khatam kar dena ) haram hai. Agarchah wo reham (qareebi ristedar) tarik us salaat(namaz na parhta ho) aur sharab khor ho aur baaz deeni ekham ko ehmiyat na deta ho. Hamaray Nabi s.a.w.w. nay farmaya k fazail mai sab sai afzal ye hai k jo tum sai qate reham karay tum os say silah rehami karo. Jo thumay mehroom karay osay ata karo aur jo tum par zulm karay osay maaf karo. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 296 pg # 173) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
101116
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-19

Question: Agar parents bete ko uski wife chhodhne ko kahe to kya kare dahej ke liye?

Answer: Maa baap kay kehny per bivi ko talaq dena zarori nahi hay or husband or wife men judae kerney walay tareeqo men aik tareeka talaq hay ,or talaq na pasndida kamon men say hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41st edition, maslah #2475 ).
[Updated on 19-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
107138
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalam o Alaikum Ya Ali a.s Madad Sir mera sawal Sulah e Rehmi aor Qataa e Rehmi k mutaliq hy.. Sir main ne suna hy k agr kisi khoni Rishtadar se banda taaluq tor dy to uska bht ziada gunah hy. Itna ziada gunah k bandy ki koi ibadat b qabool ni hoti.. Sir pehla sawal ye hy k kya ye sch hy k itna ziada gunah hy Qataa e Rehmi ka?Sir Agr sch men itna gunah hy to sir agr mere maa bap mere chacha aor uski family se ni bolty un se taaluq tora hoaa hy kisi masly ki wajah se aor main itna majbor hon k apny chacha se main b taaluq ni rkh skta q k mere maa bap ki itni ziada narazgi hy chacha se k agr main ne chacha se taaluq rkha un se mila to mere maa bap mjh se naraz ho jain gy ya chacha mjh se taaluq ni rkhy ga to sir us soorat men main kya kron?kya sirf dil se chacha se narazgi khtm kr lon bazahir na milon to Allah Pak razi ho jay ga mjh se ya ni... Plz answer with details sir. JazakAllah

Answer: Qata e rehmi karna ( yaani qareebi rishtedaaro se taluqaat khatam kar dena ) haram hai. Agarchah wo reham (qareebi ristedar) tarik us salaat(namaz na parhta ho) aur sharab khor ho aur baaz deeni ekham ko ehmiyat na deta ho. Hamaray Nabi s.a.w.w. nay farmaya k fazaail mai sab sai afzal ye hai k jo tum sai qate reham karay tum os say silah rehami karo. Jo thumay mehroom karay osay ata karo aur jo tum par zulm karay osay maaf karo. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 296 pg # 173)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print