Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Qaid Khane se nijat ka wazifa (4 Questions)


Showing 0- 4 questions from 4 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
10083
Mujtahid:
---None--- Date:

Question: Asalamoalikum, janab meri musibat hai ki mera mangetar abi jail me hai wo kisi crime ki wajah se nahi balki apne dosto k ladai jhagda me sath dete h jiski wajah se woh aj jail me hai unko saja nai mili unke nam se warant nikla hai to wo jail me hai wo peshi me nai gaye to aap koi aisa koi hal btaye ki unki jamanat ho jaye unki jamanat nahi ho pa rai h mai bht pareshan hu..shukriya

Answer: Wssalam o alykum, (apni hajat ko ALLAH TAALA ke saamne pesh karte howe) shab e jumma is duwa (laa ilaaha il-lallaho bi awonika wa qudratika, laa ilaaha il-lallaho bi haqqika wa hurmatika, laa ilaaha il-lallaho farajan farajanii min amree farajan wa makrajan rabbana yaa arhama al-rahemeena)ko 41 dane gandum lekar her ik per ik martaba phar kar makaan ki chat per daal de yahaan tak ke sab daane parindee khaa jaain to Inshallah Allah Taala ap ki muraad pori farmaae ga. (Ref : Naway e Salaheen pg # 401 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
47905
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: mera bahi jail may hai ikar appe mujhe koi be wazifa may insaallah kar loga bahi ka name imran hai agar aap ne meri maddat ki to allah aap ko iska ajar,may appe kay mail ka intazer karo ga, allah hafiz

Answer: surah toor surah # 52 ko musalsal parhnay wala qaid khanay sai rehai pata hai agarcheh mujrim ho. Aur zindan sai rehai k lie surah lail surah # 92 ka rozana parhna mujarab hai. (Ref : Payam E Shifa pg # 219)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
53830
Mujtahid:
Date:

Question: qaid sa rehe ka wazefa

Answer: Ager kisi ko na-haq qaid keya gaya ho tou surae yosuf(surah#12) ki ayat#99 aur ayat#100 ko likh kr usko dy ta k wo taweez k tour pay apnay bazoo par bandh lay aur is k baad in ayaat ko parhta bhi rahy tu insha Allah jald Qaid say reha hojaey ga. (ref:book naeem-ul-amaal,pg#335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
116543
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-22

Question: aslam o alikum mera masla ye ha k mere husband jail ma hain abi remand ma hain un py sangeen ilzam hain un se bht galti hoi ha plz unki zamanat k lye or jail se rehai ky lye koi wazifa batay plzzz unka kisi se jhagra hua tha inho ny usy bht mara ab police remand ma ha abi saza ni hui plz hal batay Allah apko ajar dy iska ameen

Answer: surah toor surah # 52 ko musalsal parhnay wala qaid khanay sai rehai pata hai agar cheh mujrim ho. Aur zindan sai rehai k lie surah lail surah # 92 ka rozana parhna mujarab hai. (Ref : Payam E Shifa pg # 219)
[Updated on 22-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print