Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ziyarat e maqam e muqaddasa k liay wazifa (2 Questions)


Showing 0- 2 questions from 2 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
54660
Mujtahid:
Date:

Question: assalam u alikum koi aisa wazeefa btain k mn roza e rasool(s a w w) or khana kaaba ja skoon mge bht bht shok hai lakin mn ja ni skti ap koi wazeefa btain js se ghaib se madad ho or mn wahan chli jaoon

Answer: Hazrat imam jafer o sadiq (a.s) irshaad farmaate hain ke jo shaks her rooz baqaaed se sura e nabaa ki tlaawat kare to inshallah ik saal ke ander ander use khaanea kaba ki ziyarat naseeb hogi. Ref : dunya o aakrat ki 100 pareshaniyoon ka hal , pg # 07 , masala # 5).
Allama bahaao ul deen aalami ne likha hai ke ager koi kese hi haajat rakhta ho to shab e jumma neche di gaae duwa ko 41 daane gandum le kar her ikper ik martaba phar kar makaan ki chat per daal de yahan tak ke sab daane parinde kha jaain. Ager haajat pori na ho to beshak mujhe bura bhala kehna, la ilaaha illallaho bi aonika wa qudratika, la ilaaha illallaho bihaqqika wa hurmatika, la ilaaha illallaho farajan farajani min amrii farajan wa makrajan rabbana ya arhama al rahemeen. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 173 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
116569
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-26

Question: Salam alaikum agha..... Please aap mujhey ye bata dijiye ki kya hum ZIYARAT E ARBAEEN ko rozana parh saktey hain.

Answer: Isi tarah ka sawal Imam Jafar Sadiq(a.s) se poocha gaya to Imam Jafar Sadiq(a.s) ne is ke jawab men farmaya ke Allah Imam Hussain(a.s) par Rahamat nazil farmaye, Imam Hussain(a.s) ki ziyarat har waqt ki jaye, koi waqt makhsoos nahin hai. Ziyarat wo amal hai ke is amal se behtar koi doosra amal nahin hai jo kasrat ke sath ye amal kare ga wo khair e kaseer paye ga aur jo is men kami kare ga to wo khair kam paye ga. (Ref: Asrar e Ziyarat e Arbaeen, pg #50).
[Updated on 27-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi