Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: (104 Questions)


Showing 0- 50 questions from 104 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
89
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: Is namaz e jumma wajib in this period(during gaibat)????

Answer: It is Wajib-e-Takheeri (Optional).

Print

Id:
142
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-22

Question: asalamalykum My question is abt the day of NOROZ which is only celebrated by shia all over the world not by ahlusunnat.i wish to know 1.is there any link it with islamic shariat?If yes pls explain with some hadiths. 2.noroz day is celebrated in iran with great respect.Can you tell us it history does it link with lunar or solar calendar. 3.lastly i wish to know what kind of calendar used in iran. wasallam MAY GOD PROTECTED OUR GRAND MARAJAHS

Answer: W.Salam,we are extremely sorry for late reply because of some functional problems in our web site.We will reply u soon next time Insh-Allah
1) No reliable text (hadeeth) has been specifically transmitted about the day of Nowrooz as being an Islamic religious festival or one of the blessed days in Islamic law, however, there is no problem in celebrating it and visiting each other.
2) It is the first day of the solar year.
3) Officially, the Islamic solar calendar - which starts from the migration of the Holy Prophet of Islam (s.) from Mecca to Medina - is used. Lunar one is also used.
Ref: Isteftat Aqa-e-Khamenai.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
275
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-29

Question: Molana Sahab,Salamun Alaikum, my question is that how many daughter were of Our Prohit Muhammed Mustafa (A.S)(peace be on him) please also intimate the names of all the daughter, In recent TV Quiz Programme this answer of question weretold 4(four daughter )is correct please clarify the matter, waiting your reply tfhrough E.Mail Thanks

Answer: Rasool SAWW aur Janab-e-Khadeeja S.A ki sirf aik hi sulbi beti thi jin ka ism-e-mubarak Hazrat Fatima Zahra S.A tha.Is kay ilawa teen betiyan Janab-e-Khadeeja S.A ki behen Haala bint-e-Khawelad ki thein jo baad main Hazrat Khadeeja S.A ki zair-e-kifaalat aagaen.Ref:Choda Sitaray Syed Najmul Hasan Pg.No.91-92

Print

Id:
619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Ham Imam MEHDI ALAIHISSALAM ko dekh saktay hain ?

Answer: Salam un alaikum,
There are some aamals in the books, which are related to this topic for e.g Mulaqat e Imam e Zamana (a.s)

Print

Id:
10678
Mujtahid:
Date:

Question: nabi pak ne apni zindagi mai kitena haj kye/

Answer: Marvi Rwayat main hai ke poshida tor per 20, or bazahir 2 baar kiye. (Ref: Man la yaahzuro ho al-faqeeh , pg # 160 , baab # Nabyoon o Rasoloo ke hajj ke mutalliq ik nuqta , riwayat # 2291 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10726
Mujtahid:
Date:

Question: A.S.W.K JANAB MEE POUCH NA CHATA HU KE SHIA KUN HAI, ISS KOM KI SHURWAAT KHA SEE HU-E HAI, INKE MUSALLE PAR TO AAP MOHAMMED S.A.W NE BHE NAMAZ NAHI PADI HAI. PLZ DETALE MEE BATAE AUR THODI AASAN URDU MEE JAWAB DE

Answer: Wssalam o alykum, Mazhab e Shia dosre musalmano ki terhan Islaam ke mutaddad firqo main se ik firqa hai, lekin is ke or baqi musalmano ke dermiyaan jo farq hai wo ye hai ke jab baad Rasool Muhammad Mustafa (s.a.w) Khilafat(Janasheen Rasool) ka silsila chhera gaya to 2 qisam ke giroo manzar aam per aye, 1 – wo jo Hazrat Ali bin Abi-Talib ko khilafat ka haq-daar maante the, 2 – jinho ne Ali bin Abi-Talib ko khilafat ka haq-daar nahi mana, Tareek ne 1st gero ko Shia or 2nd ko Ahl e Sunnat ka naam diya. (Ref : Mazhab e Shia Imamiya , pg # 13).
Or is tareek ka kulasa Hazrat Muhammad (s.a.w) se Bayan shuda 2 Hadeeso main poshida hai, 1 – meri ummat 73 firqoo main taqseem ho jaae gi, in 73 firqoo main se 1 ke ilawa tamaam jehannami hain(Ref : Ahsan ul Aqaid , mutarajjim o musharreh # Allamah Fazil Miqdaad , pg # 10).
2 – Rasool Allah (s.a.w) se rewayat hai jis main Ap (s.a.w) ne farmaya ke qasam hai us zaat ki jis ke qabze main meri jaan hai, ye (Ali bin Abi-Talib) or is ke SHIA hi qayamat ke din kaamyaab hone wale hai.(Ref : Shia-at ka Muqaddima , pg # 54(Or isi kitab men bohat sare ahl-e-sunnat k hawale mojud hen) Pas dono hadeeson or tareek ke pesh e nazar natija nikalta hai ke ager Shia Hazraat apne mazhab ke Usool o Furoo per imaan rakhain or khalis niyat se amal karain to Qayamat ke din kaamyab hain. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
15430
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Hazrat Ali R.A.A. ne kis shahar ko apne dar-ul-khilafa qarar diya tha?

Answer: Ameerul Momineen Hazrat Ali (a.s) ne kofa sheher ko apna darul kahlifa banaya.(Ref:http://ur.wikipedia.org/wiki/عراق) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32883
Mujtahid:
nade ali Date:

Question: assalam u aalikum my question is (what is the real existance of nade ali according to shariyat ,when it was reavealed?)

Answer: kitab bihaar ul anwaar jild 20 page 73, nade ali moujood hai jo jang aohad ki din rasool ( s.w. a) ne perhe the. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
39399
Mujtahid:
nai maloom Date:

Question: Janb mera taluk aik sunni gharany se hai mgr main ab shia ho aur ghr walo ko mutmain krny k liay hr sawal ka mustanad jawb daina parhta hai plz mery 2 sawalo ka tafseel se jawb dain 1 shia hazrat 1,2,3 ko kiyo nai manty kui mustand waja bataian . 2 shia hazrat hath khol k nimaz kiyo parhty hain. YA ALI MADAD. ALLAH AAP KO ABAD RAKHY

Answer: jab ye sawaal Sultaan Rukn u Dola ne Mazhab e Tshayu ke paae ke Aalim Shaik Jaleel Al-Saddooq Abi Jaffer Muhammad bin Ali bin Husain se kiya to ham Un ke jawaab ko ap ke saamne peesh kar rahe hain.
Sultaan : Janab e Shaik! Kya Imamat e Ali ke aqede ke liye ye zarori hai ke insan dosre kulafa ka inkaar kare? Or kya dosre Kulafa ka inkaar kiye bageer insan Imamat e Ali per imaan nahi la sakta?
Ye sawaal sun kar Shaik e Saddoq ne farmaya,
Shaik : Muhtarm baadsha! Allah apni toheed ka iqraar us waqt tak qabool nahi karta jab tak Mabodaan e Batil se inkaar na kiya jaae, jesa ke Kalemaa e Toheed

Print

Id:
46083
Mujtahid:
Sastani Date:

Question: Please tell me the excat dates of birth and death of Prophet Muhammad SWA.

Answer: Ulma e Imamia k nazdeek mashoor ye hai k Hazrat Muhammad S.A.W.W. ki wiladat ba-seadat 17 Rabi ul awwal ko hui aur is par ijma hua hai. aksar ulma e ahl e sunnat k nazdeek app s.a.w.w. ki wiladat isi mahinay ki 12 tareekh ko hui. Shaikh kulani aur baaz fazil ulma e shia nai bhi ahl e sunnat wala qoul ikhtiar kia hai. ye bhi mashoor hai k isi tareekh ko barooz e humma subah sadiq k nazdeek aap s.a.w.w. ki wiladat hui jis saal ashab e feel hathi lai kar khana kaba ko tabah karnay k lie aye thay. (Ref : Sirat e masumeen a.s. pg # 21)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46669
Mujtahid:
no Date:

Question: woh kon si koum hai jis pr sy Allah ne apna azab htalia tha?

Answer: ALLAH TALA ne Mosa(a.s) ki duwa k sabab Fironiyoon ko aakri azaab se pehle mukhtalif azaab se dochaar kiya or phir Mosa(a.s) ki duwa k sabab in se azaab ka taal diya gaya.(Ref : tareek ul islaam , baab # 21 , chapter # aale firoon mutalif aazaaboo main).
Hazrat daniyaal nabi(a.s) k door main, in ki bad dua se ik qarye main qehet ka azaab aaya jis k natije main maan apne bacho ko khana shoro kar diya, or phir un hi ki dua k sabab is aazaab se un ko nijaat mili. (Ref : tareek ul islaam , baab # 32 , chapter #rooti ki naqadri, hazrat daaniyaal(a.s) ki bad duwa, shadeed qehat or bitiyoon ke khane ka waqiaa).
ALLAH TALA ne Hazrat Yonus ki duwa k sabab in ki qoom per azaab ko muqarrar farmaa diya, or phir in ki qoom ne in k ik momin (Robeel) ki hidayat wali batoo ko sun kar Hazrat Yonus(a.s) per imaan laai or azaab se bachne k liye ALLAH TALA se istigfaar ki jis k sabab ALLAH TALA ne in se azaab ko taal diya. (Ref : tareek ul islaam , baab # 34 , chapter # nozool e aazaab ki derkuaast , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
47346
Mujtahid:
Date:

Question: islam ka sab ca pahla dai kon tha

Answer: haris bin abi haala islaam ke pehle shaheed hain.(Ref : serat ul al-Nabi , shibli numaani , jild # 1 , pg # 121 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
47479
Mujtahid:
Date:

Question: NBI PAAK PAI AKHRI AYAT KAB, konsi, kis halat mai nazil hui?

Answer: Akri ayat : sura e Baraat ki aakri ayat Quraan e Majeed ki nazil hone wali aakri ayat hai, or ye sura kamil tor per nazil howa yani pora ik saath. jesa ke Hazrat Imaam Zain u al-Abedeen (a.s) se manqool hai ke jis ka mafhoom ye hai ke Ap (s.a.w) per aakri nazil hone wali sura sura e al-baraat hai. (Ref ; Tafseer Anwaar ul Najaaf ,{ jild # 1 , pg # 136} , { jild # 7 , pg # 143} ).
Musalmaan o kuffar ke dermiyaan muaahide (wade) howe the or kun ke in ki taraf se baar baar khilaaf warzi ki gaae to ye sorat nazil hoi. (Ref : tafseer ul Quraan , mufassir # al-haaj molana syed zafar Hassan sahib qibla amrohavi , jild # 2 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
48089
Mujtahid:
Date:

Question: Musalmano Ka Qibla KAABA SHARIF Se Pahle kya Tha?

Answer: Musalmanon ka qibla pehlay Baitul Muqadas tha phir hijrat k doosray saal musalmanon ka qibla Baitul Muqadas k bajae Khana Kaba ho gya. (Ref : Seerat e Masoomeen a.s. pg # 68)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49034
Mujtahid:
Ali Khamnai Date:

Question: Imam Muhammad taqi k kitne bete the.

Answer: Imam Muhammad Taqi a.s. k 2 betay hain, 1.Imam Ali Naqi a.s. 2.Abu Ahmed bin Musa. Ref: Seerat e Masomeen a.s. pg 224 jild # 2)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50477
Mujtahid:
Date:

Question: Kiya quran pak main kahen aaisa likha hai k hazor pak (p.b.u.h) ny farmaya hai k jis ka maula main mere baad ali us ka maula hai? ???

Answer: Ager ap ki muraad ye hai ke ye alfaaz Quraan main hain ya nahi? to jawaab hai ke ye alfaaz Quraan Majeed main mojood nahi hain.
Or ager ap ki muraad ye hai ke Quraan Majeed ne is ka hokum diya hai ke nahi? To jawaab ye hai ke Quraan e Majeed ne is ka kukum diya hai is terhan ke ye hadees ulama ke dermiyaan yaqeeni tor per Muhammad(s.a.w) ne farmaae hai, or Quraan e Majeed farmaata hai ke ager tum allah se muhabbat karte ho to mere(s.w.a) hokum ki takmeel karo to pas samaj aata hai ke ager tum ALLAH TAALA se muhabbat karte ho to ALI (a.s)mula tasleem karoo.(Ref : sura e aal e imraan , aayat # 3 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50566
Mujtahid:
no Date:

Question: khilafat lana musalmano pe farz hai k nahi , agr hai tu is baray me ayat ya hadees bayan karin ????????

Answer: Khilafat ka muayan karna na hi musalmaano ka farz hai or na hi in ko ya haq haasil hai, balke khalifa ka muayyan karna ALLAH TAALA or Rasool ALLAH or khalifa e sabiq per per lazim hai.(Ref : aaqaaid e imaaua maktab e tashayoo , Allama Muhammad Raza Muzaffar , baab # 14 , pg #96 to 97 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50743
Mujtahid:
Date:

Question: hazrat khadija (R.A) pehli wahi k baad hazoor pak (S.A.W) ko apne kis chacha zad bhai k paas lay gaein?

Answer: Nazool e wahi k silsilay mai hazrat jabriel a.s. ka pehli martaba aana, Hazoor s.a.w.w. par kap-kapi ka tari hona, surah e alaq ki ibtedai ayaat ko 3 bar israr k sath hazoor s.a.w.w. ko parhnay k lie kehna, aur hazoor s.a.w.w. ka itni hi bar “mai parhna parhna nahi janta” kehna, farishtay ka garift mai lai kar dabana, kaptey huay ghar ana, kapra aorhna, Hazrat khadija s.a. ka itminan dilana, apnay chacha zad bhai aur asmani kitab k aalim warqa bin nofal k pas lai jana, warqa ka aap s.a.w.w. ko nabuwat ka yaqeen dilana, aur nauzubillah ye bayan k aap s.a.w.w. apnay aap ko pahar ki choti sai ghira detna chehtay hain, jabriel a.s. k kehnay par ruk jatay hain, khabi nauzubillah nazool e wahi par bhi nabuwat ka yaqeen na ana aur jabriel a.s. ka bar bar yaqeen dilanay par bhi yaqeen na hona laikin warqa bin nofal k kehnay par mukammal aetibar karna, jaisay bayanat musalman k zahan mai uljhan paida kartay hain . aisa mehsoos hota hai k aisi riwayat bayan karnay walay shan e risalat s.a.w.w. hi nahi samajhtay aur is terah ki tareekh aur ahadees ka ikhtilaf aam logo mai hasi ka mauqa farahm karta hai. Laikin haqiqat is sai mukhtalif hai. (Ref : Kitab mohsinan e Islam pg # 38)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50792
Mujtahid:
ayatullha janab shestaini sabh Date:

Question: Assalam-ale-kum. Janab me yeh pouch na chahta ho ke Allha ke Noor se Janab-e-Rasool Khuda s.a.w.w ko khalk kiya hai mujhe isko Quran se sabit kriye.

Answer: wssalam o alykum, Quraan e Majeed sura e hasher ki aayat no 7 main farmaata hai ke Rasool tuhmain jis cheez ka hokum dain us ko mano or jis se mana karain us se ruk jaao, or mutawater hadees hadees e saqlain main AP (s.a.w) ne farmaya ke jis ka mafhoom ye hai ke main tumare dermiyaan do(2)essi cheezian choor raha hon ke ik dosere se juda nahi hon gi, or wo Quraan o Ehl e bait(a.s) hain, agr tum in dono (ik se nahi balke dono se) se mutamassik (un k aqeede pr or mazhab pr mazbuti se qaaim rehna) raho ge to gumraaha nahi ho gai, pas in se ye natija nikalta hai Quraan ko sahi samjne ka tareqa Masoom(a.s) ki mojoodgi main us se Is ka matlab pochna or Un ki gebat main ese ehl e ilm se (jo Quraan or Un hazraat ki hadeso ko mila kar samjne ki salahiyat rakhta ho) Quraan ke matlab ke bare main pochna.(Ref : Ali(a.s)khalefah ul Rasool , muallif # janaam faqar ul al-deen musvi , mutarajjim
3 Muhammad saleem alavi , fasal # 2 , pg # 138).
Jesa ke wazi ho gaya ke Quraan ko sahi samjna Masoom (a.s) ke qool ke samajne per moqoof hai or ager hum usool e kafi jild 1 main kitaab e al-aqal o al-jehal ki riwayat no 14 or baab no 100 ki riwayat no 4, or baab no 151 ki riwayat no 2 ko milate hai to pate hai ke ye natija deti hai ke ALLAH TAALA ne her cheez ke khal karne se pehle Ap(s.a.w) ko Apne nor e azmat se khal kiya.(Ref : usool e kafi , jild # 1 , kitaab e aqal o jehal , riwayat # 14 : kitaab e al-hujjah , baab # 100 , riwayat # 4 : baab #151 , riwayat # 02 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
51920
Mujtahid:
ied miladunnabi Date:

Question: aslamo alekum janab mera saval he ki eid miladun nabi s.a.w. Ko manana chahiye kya nhi ? Manate he to kis tarah manana chahiye? Kya ceack vagera kaat ke s.a.w ka janmdin manana chahiye kya nhi? Janab ans hadis se hi de......

Answer: Wssalam o alykum, manana chahiye, or manane ke tareqe ko samajhne ke liye 12 Rabee u al-aowal ke amaal ko duwaao ki kitaboo se pharye jese mafati u al-jinaan.(Ref : mafaati ul jinaan , , topic # Rabee u al-aowal ke mahine ka bayaan , pg # 283 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
52537
Mujtahid:
Hazrat Khadija (R.A) Date:

Question: Asalam o Alaikum.... Mje pochna tha Hazrat Khadija (R.A) ne Hamien kin kin Eham Nikaat par tawaja di hai?

Answer: wssalam o alykum, janab e kadija(a.s) ki serat se hm ko taleem milti hai ke ager dunya ki saholatoo ke aagee aakrat ki nematain aain to hm ko aakrat ko tarjeeh deni chaahiye.(Ref : 14 sitare , baab # 1 , pg # 51 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52870
Mujtahid:
Date:

Question: turat kis paghber per nazil hui

Answer: Hazrat e Mosa(a.s) pr. (Ref : Hyaat ul qoloob , jild # 1 , baab # 13 , chapter # Hazrat e Mosa o Haroon ke halaat , fasal # 6 pg # 448 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae)

Print

Id:
53229
Mujtahid:
aga sistanie Date:

Question: kay hamrae dua sa imam zamana a.s a jaya ga ?hadez sa sabit kara

Answer: Imaam Zamana(a.s) ke liye dua karna haqiqat main apne liye dua karna hai, jesa ke Ap (a.s) ne ik toqee k aakhir main farmaaya tajeel e faraj k liye dua karo, Q k tumari faraj o kushaaish is hi main hai or isi terah dua alamat hai k ham Imaam Zamana ka kuloos k sath intazaar kar rahe hain, or intizaar ke bare main Abo Abdullah Jaffer Ibn e Muhammad a.s farmate hain, k jo shaks tum main se mar jaae or is amar (imam zamana a.s ke zuhoor ka) ka muntazir ho to wo us shaks ki terhan hai jo Hazrat Al-Qaim a.s ke kheme main mojood hai.(Ref : aahsan ul maqaal , jild # 2 , baab # 14 , fasal # 6 , pg # 414 , 415).

Print

Id:
53254
Mujtahid:
nabi Date:

Question: Asslamu alaykum,mera sawal,Jnaza namaz ki ibtada kis nabi se suru hai?

Answer: Hazrat shees(a.s) ne hazrat aadam (a.s) ki namaaz e janaza aada farmaae thi.(Ref : tareek e islaam , baab # 6 , pg # 116 to 117 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53266
Mujtahid:
Date:

Question: Hazrat imam mehdi imamat kary gay or Hazrat isa a.s un k pichy namaz ada kary gy.. is ki koi hadees wgera jaha se main deikh sako

Answer: ALLAH IZZAT O BUZARGI WALA us (dajjaal) ko jume ke, din 3, ghari din chare, sham ke ander, uqba afeeq main Us (Imaam al-Qaim (a.s)) ke hathoo qatal kara de ga, jis ki iqtida main Hazrat Eisa Maseeh namaaz phare ge(behaar ul anwaar , baab # 25 , riwayat # 26)
Note bayaan karda tukra ik taweel riwayat ka tukra hai. ( ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53666
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera..ek sawal hai abu bakar ka naam kya tha

Answer: Ateeq naam tha.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53953
Mujtahid:
Date:

Question: Salam 110 Aap k jawab k mutabiq Hazrat Ismail_as wo nabi hen jin k baap, beta, bhai nabi the, plz is ki explaination kren, un k name btaen plz?

Answer: Hazrat ishaaq (a.s) wo nabi hai k in k walid hazrat Ibrahim (a.s) the ,in k bhai hazrat ismail(a.s) the aur in k baite hazrat yaqoob(a.s) thay.(ref:tareek islam, allama najamul hasan,pg:229,224,259) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
54070
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Q..Rasool e pak s.a.w.w k pas jb jibrail a.s pehli ayat(wahi ) lekr ayay.tho aunho ny kia kaha..aor kia waqi Hazoor s.a.w.w parhna lekhna nai jantay thay.aor hmara yani shiy0n ka kia aqeeda hai.suni0n ka aqeeda yai hai k ras0ol ko 40.sal mai nabowat mili.hamara kia aqeeDa hai plzzZ.ANSwer Me.quicklY.THANkx.

Answer: Muarrikheen ka bayaan hai k AaP(s.a.w) isi aalam e tanhai(ghaar e hira) main mashgool e ibaadat thay, k aap k kano main awaaz aae ya Muhammad aap ne idhar udhar dekha koi dikhaae nah diya, phir awaaz aae, phir aap ne idhar udhar dekha, na-gaaha aap ki nazar aik noraani makhlooq per parhi, wo janab e jibraeel a.s the, un ho ne kaha k iqraa (pharoo), HOZOOR ne irshaad farmaaya, maa aqraoo (kya paarho), unooh ne arz ki iqraa bisme rabika allazi khalaq phir aap ne sab kuch phar diya. Kisi ka aap(s.a.w.w)ko likhte howe or pharte howe na deekhna ye dalalat nahi karta k aap ko likhna o pharna nahi aata, balke ap aalim e haqiqi hain. Aap derjae naboowat per ibtidaae fitrat hi se faaiz the, or 27 rajb ko mabooz barasaalat howe. (Ref : 14 sitare , baab # 1 , pg # 52 ,53).

Print

Id:
54227
Mujtahid:
Date:

Question: hazart zebrail aly hes slam Aap ke pass ketne baar pegam lay

Answer: Pas ager ap ye janna chahte hain ke Jebreel (a.s) Ap (s.a.w.w) ki khidmat main kitni baar aae to is ki tadaad muayan karna mushkil hai kun ke Jebreel (a.s) ziyada ter aap (s.a.w) k sath hote the , jesa ke manqola Hadees Nabavi (s.a.w) se marvi hai ke eh abo zar! Jebreel ehl e bait main se hain, or hamare khadim hain. (Ref : Hyaat ul qoloob , jild # 2 , baab # 9 , chapter # Panjetan e Paak (a.s) tamaam farishtoo se afzal hai or Jebreel (a.s) in ke khadim hain , pg # 249).
Or ager ap ye janna chahte hain ke Jebreel (a.s) aap (s.a.w.w) ki khidmat main kitni baar peghaam k sath aae to jab Quraan e Majeed or Ghair Quraan e Majeed (masalan Hadees e Qudsi) dono peghaam shumaar kiye gaae hain to in ki sahi tadaad maloom na hone ki waja se Jebreel (a.s) ka Ap (s.a.w)ke paas peghaam ke sath aana bhi ghair maloom hai. (Ref : tafseer ul Quraan , mufassir # al-haaj molana syed zafar Hassan sahib qibla amrohavi , jild # 5 , sura # najam (sura no 53) , ayat # 03 , pg # 163 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54269
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Mera ak sawal hai k juma ki namaj pahle bar kab,kisne aur kaha shuru hoi the?

Answer: Wssalam o alykum, Besat e Nabi (s.a.w.w) k 14 saal, 16 rabiul aowwal Jumme k din Masjid e bani saalim main aap (s.a.w.w) ne musalmaan ko pehli namaaz e jumma ba jamaat pharaae. (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 14 , topic # sura e jumma ki ayat no 10 ki tafseer , pg # 18) , (Ref : 14 Sitaree , muallif # syed najam al-hasan , baab # 1 , topic # madine main dakhila , pg # 64 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54619
Mujtahid:
Date:

Question: aam ul hizan sy kia murad hy?

Answer: jab janab e abu talib ka intiqaal howa to is ke 3din baad janab e kadejah ul kubra ka intiqaal hoga to in dono sanihe ki waja se RASOO(s.a.w) shadeed ranj o ghum or sadma o aalam ke aalam main ho gaae or is saal ka naam aam ul hazan (yani ghum ka saal) qaraar diya.(Ref : 14 sitare , baab # 1 , chapter # hazrat abu talib or janab e kadejah ul kubra ki wafaat , pg # 59 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
56709
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Karbla ke bad imam e husain a.s ka sar kab dafan hua

Answer: Ulamaa e Imaamia ke dermiyaan mashhoor (jese Allama Majlisi, Syed Mutuza etc) or mutaaddid tareekh ki kitaboo se pata chalta hai ke Syed ul Shuhda Janaab Imaam Husain (a.s) ka Sar e Aqdas Karbala Mualla main ap ke Jism e Athar ke sath dafan kiya gaaya hai, jesa ke Shaik Tosi habeeb ke hawale se likha hai ke yazeed ne tamaam Sar-haae-Shuhodaa Janaab e Sajjaad ke hawale kar diye the, or Ap ne Karbala aa kar (rihai ke baad 40 safar ko) inhen dafan kiya tha. (Ref : Malee u Sibtain , jild # 2 , fasal # 15 , majlis # 1 , pg # 383 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56718
Mujtahid:
Date:

Question: hazrat muhammad pbuh per pehli wahi kis islami month main nazil huee

Answer: Maah e Rajab.(Ref : Hyaat ul qoloob , jild # 2 , baab # 23 , chapter # Ap (s.a.w) ka maboos e risalat hona or ummat ke jafakaaroo ke mazalim sehna or nozool e wahi ki kefiyat wagera , pg # 419 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56747
Mujtahid:
Date:

Question: hazrat marium ki ismat ki gawahi kisne di?

Answer: Ap(a.s) ke farzand Hazrat e Esa (a.s) ne.(Ref : Sura e Maryam (19) , ayat # 27 to 33 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57743
Mujtahid:
Date:

Question: mujhe gunahon se sakht nafrat hai leken ye duniya ye maashra main tang agya hon mere Imam ka zahor kab hoga main tu boht sharminda hon apnay imam k saamne na janay kaisay saamna hoga mera hoga b ya nahi pehlay mujhe yaqeen tha imam mujhe apna dost banayigay ab yaqeen nahi raha main dunia ka maqabla nahi karsakta meri madad ki jaiy... kia karon?

Answer: Aap rozana imam k jald zuhoor k liay rozana dua salaamti e imam e zamana a.s ki tilawat karain or fajr ki namaz k baad dua e ahad or har jume ki subah dua e nudba or ramzan main har raat dua e iftitah perhain or apne mujtahid k mutabiq tamaam wajibaat ko anjaam dain or haram kamo se bachain . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochay gay sawalaat,part#2, maslah #228) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
59718
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kaba kiski shabhi h?

Answer: Bait e mamoor ki shabih hai. (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 13 , topic # bait e mamoor , pg # 135 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
59807
Mujtahid:
Date:

Question: Allah ne zameen pr kitny paigamber pr kitny rasool bejy?????

Answer: Allah ke bheje howe bando (nabyoon) ki tadaad 1,24,000 or ye 4 qismoo ke the, 1 – jin ke dil main ilhaam kiya jata hai lekin na hi wo kisi qoom ki tarf bheje gaae or na hi wo farishte ko deekhte hain, in ko abb-d kaha gaya hai, 2 – jo sirf sote main farishte ko deekhte hain, na ke jaagte main, lekin in ki awaaz sunte hain, in ko nabi kaha jata hai, 3 – jo sote o jaagte dono main farishte ko deekhte hain or in ki awaaz bhi sunte hain or Allah Taala in ko kisi qoom ki taraf hidayat ki garz se bhejta hai lekin in ke uper bhi ik Imaam hota hai jis ki ye ittiba o itaat karte hain, in ko rasool kaha jata hai, 4 – wo jo sote o jaagte dono mian farishte ko deekhte hain or awaaz bhi sunte hain or kisi qoom ki taraf bhi bheje jate hain or in ke uper koi Imaam nahi hota balke ye kud Imaam hote hain, or in ko ulul azam kaha jata hai jese Muhammad Mustafa (s.a.w). (Ref : usool e kafi , jild # 1 , kitaab e hujja , baab # 59 , riwayat # 1 , 2) , (Ref : Al-Etiqadaat , muallif # abi jaffer Muhammad bin Ali bin Husain , topic # 35 , pg # 282 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60320
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: 10 zil Haj ko hujatul Wida k khutbay mai Nabi Akram s.a.w.w nay Hazrat Ali ko mola kyu nhi bana dia 18 zil Haj ko hi kyu, aur wo kaunsi Aayat hai jismai Allah nay Balligh ma..... ya Ghadeer k msge dainay k liay kaha tha, plz answer

Answer: 18 zilhajj ko surah maida No#5 ki ayat no:67 Nazil hui ( jis ka terjuma ye hai k aye Rasool ap wo hokum poucha den jo ap k rab ki taraf se ap per nazil hoa hai. or Rasool allah ne Hazrat Ali (a.s) ko tamam logon ka hakim or moula banaya tha.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 227,pg # 102) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60657
Mujtahid:
Date:

Question: Alhami ketabi ki theek tarteeb ... Kossi sub se pehly nazil hui Torat zabur injeel ya zbur torat injeel

Answer: Pehle Toraat phir Zaboor phir Injeez phir Quraan e Majeed.(Ref : Qasas ul Quraan , Muallif # Ayat ul Allah Nasir Makarim Sheraazi , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60673
Mujtahid:
Date:

Question: hazrat essa a.s dunia me ayengy???

Answer: G han,Rewayat men hai ke Ap (a.s) ne farmaya ke beshak esa qayamat se pehle dunya main aain ge, or us waqt koi yahodi wagera nahi bache ga mager ye ke apni moot se pehle in per emaan laye ga, or hazrat e esa Mehdi ke peche namaaz pharain ge.(Ref : Jamaal e Muntazar , fasal # 7 , baab # 8 , riwayat # 1 , pg # 739 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60734
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: a.o.a...zulfiqar kon c jang me nazil hui thi?

Answer: Zulfiqaar jang uhad me naazil hoi jo 3 hijri me hoi thi. (ref: chuda sitaare, alama najamul hasan qaraarvi, pg: 67) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60955
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: As Salam O Alaikum Mujay Yeh Pouchna Hy K Maine Suna K Imam E Mehdi Ajf Jab Sa Ghabat Sughra Sa Ghabat Kubra Main Ghay Han Aun Ka Koi Naib Nahe Or Ghabat E Kubra Main Koi Mojza Nahe Hoga Maslan Jaisa Alam Ke Mashq Sa Pani Tapakna , Ya Pathar Sa Awaz Ayana .....Meharbani Kar K Agar Ye Imam Ka Qoul Ha Hy K Imam E Mehdi Ajf Ghabat E Kubra Main Ja Koi Mojza Pash Ya Numaya Nahe Hoga Is Ka Refrences Btada Mustanad Kitab Sa ....Mola App Ko ajar Dain Ameen

Answer: Imaam e Zamana (a.s) se mutalliq mujizaat ki 2 qismain hain,
1 – wo mujizaat jo Ap or Dosre Masomeen (a.s) main mushtarak hain, to ye Gebat e Kubra main bhi zahir howe jesa ke ghebat e kubra main Ap (a.s) ki mominoo se mulaqaat or in ki mushkiloo ke hal karne ke mojizaat kasrat se mojood hain.
2 – Dosre wo mujizaat jo zuhoor ke baad Ap (a.s)ke saath khaas kiye gaae hain, jese momino ke sar per Ap (a.s) ke hath rakhne se un ki aqlo ka kamil ho jana, Nabi e Mosa (a.s) k mojizaat ka Ap (a.s) se sadir hona waghera waghera to ye wo mojizaat hai jo ghebat e kubra main zahir nahi ho sakte. (Ref : Bihaar u Al-Anwaar , jild # Imaam e Zamana (a.s) , Baab # 27 , Hadees # 47 , pg # 330) , (Ref : Jamaal e Muntazar , fasal # 2 , baab # 29 , riwayat # 3 , pg # 423).

Print

Id:
61534
Mujtahid:
Date:

Question: sab sy pehlay kis ny KHANA KABA ko gilaf charyaha?

Answer: Janaab Hajira, Zojaa e Ibraheem (a.s).(Ref : Tareek e Islaam , Topic # Hazrat Ibraheem ke tamer e kaba o zebh e farzand ka waqia , pg # 230 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
62323
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.A Janab me yeh pochna chahta hon k Hazoor pak s.a.w.w kitni betian thin? ahel e sunat hazrat ne poster chapva rakhy hen k hazoor pak s.a.w.w ki 4 betian hen aur unko na man'ny wala kafir hai, hmary aksr shia hazrat kehty hen k hazoor pak s.a.w.w ki ek he beti janab fatima s.a hen, haqiqat kia h? plz jawab zarur dain. thanks

Answer: Rasool e akram s.a.w.w ki faqat ek ki beti thin wo janab e Syeda Fatima s.a hain. (Ref: Ayatullah Hafiz Bashir Najafi d.b, Book: Mukhtasar ul ahkam, Pg # 155) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62921
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: ASLAM O ALIKUM MERA SAWAL YEH HAI K HUMARY NABI PAK (SAWW) NE KITNI JANGON (WARS) MAIN SHIRKAT KI AUR KITNI MAIN NAHI KI HAI

Answer: NABI PAAK (SAWW) ne taqreban 28 JANGON( Gazwaat) MAIN SHIRKAT farmai thi.
(Ref: magazine.mohaddis.com/shumara/.../2109-ghazwa-hind-tayun-fazeelat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
66270
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Imam Mehdi as n wiladat k bd konsi surah ki tilawat ki??

Answer: Imam mahdi a.s ne wiladat k moqe per sora e qasas(sorah#28) ki ayat#5 ki tilawat fermae.(Ref: http://www.tebyan.net/index.aspx?pid=72060 ). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66946
Mujtahid:
Date:

Question: Hazrat Muhammad(SAW) pr pehli wahi knsy Islamic year mai nazil hoi?

Answer: waqiya Amul feel guzar jane k 40 saal baad 27 rajab ko pehli wahi nazil hoe. (Ref: http://www.erfan.ir/urdu/20793.html ). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69543
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: salam un alikum mera sawal hai k imam Muhammad baqir ka laqab Baqir kb aur kyu parha ?

Answer: Imam Muhammad baqir a.s ko baqir ka laqab hamaray nabi s.a.w.w ne diya. Or hadees k alfaaz ye hain nabi s.a.w.w ne irshad fermaya k “imam Muhammad baqir uloom o maarif lo is terah shagaafya kar dain gay jis terah zaraat k liay zameen shagaafta ki jati hay.(Ref: 14 sitaray, maulana syed najamul hasan karaarwi. pg#312). Update on dated 27-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71819
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Banu umaiya ka aakhri badshah kon tha..?

Answer: Marwaan hemaar Banu umaiya ka aakhri zalim hakim tha. Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73595
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: wo konsi qoum hai jis ko boht ilm hasil hogaya tha or Allah ne usey khatam kardia tha?

Answer: wo nisnaas nami qoum thi jis ko boht ilm hasil hogaya tha or Allah ne usey khatam kardia tha.(Ref: Tareek e Islam,syed najamul hasan sahib karaarvi, pg#51) Update on dated 20-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print