Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Aulaad k ehkaam (101 Questions)


Showing 0- 50 questions from 101 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
175
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: can we keep our child name as samad raza

Answer: Salam-un-alaikum
Sharee tor par is mai koi haraj nahi hai.

Print

Id:
644
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-03

Question: Does the father/mother will use his/her NABALIG child,s gift (cash/thing). If (No) then it is compulsory to save this amount for so many years or is there any other way of usage

Answer: Baap kay liye ye Jaiz hay kay wo apnay na-baligh bachay kay maal ko uski zarooriyaat main kharch karay.isi tarah baap kay ilawa kisi aur ko bhi ye ikhtiyaar haasil hay magar baap ki ijazat say.Ref:Istiftaat I-37

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: new born bache ka nam rakhne ki kiya sharait hai islam mai

Answer: Bachay ka achcha naam bachay ka haq hay apne walid par. Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3605
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Kya adoption jayez hai?kya me apne jethji ki beti ko adopt krsakti hu?uski ma nahi

Answer: Jee adoption(Gaud lene) men koi harj nahi albatta agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jay k bachay k shajra e nasab or is ki family say is ka ta’al’luq mehfooz rahe. (Ref :Mafhoom e E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010).Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5978
Mujtahid:
none Date:

Question: mera sawaal hai meri wife mujse khula chati hai mera 3 saal ka bacha hai agar mein khula dedu to mera bachhe par haaq hoga ya nahi khula ke bad bachhe se milsakta hoon plz si maslai mein meri maddat kare

Answer: Jee haan aap apne bachay se bilkul mulaqaat ker sakte hain. wo aap ki aulad hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 574,pg # 287, Eidition# 5). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9529
Mujtahid:
Date: 2018-05-30

Question: Salaam, Mein UK Post Graduation karne ja rahi hu aur meri mother mujhe nahi dena chahti. mera visa aa gaya hai. vo mujhe rokne ki puri koshish kar rahi hai. yahan tak ki vo badua bhi de sakti hai jis ki vajah se mujhe aage ja ke bahut problems ho sakti hai. vo har maulana ke pas jati hai aur mujhe rokne ki puri koshish kar rahi hai.kuch aisa wazaif bataye jis se mujhe mom ki badua na lage aur mujhe UK jake koi pareshani na ho.

Answer: 1)jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat se inhen aziat hoti ho to aulad k liye un ki mukhalifat karna haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1387 eidition 31)
2)baite per waldain k 2 farz aaid hote hain:
1) waldain se naiki kare yane agar wo zarorat mand ho to in k lye infaaq(karcha) kare aur in ki zindaghi ki zaroriaat ko pura kare aur insane fitrat aur mizaaj k taqazo k mutabiq in ki zindaghe se mutaliq mamool ki farmaish ko bhi pura kare. Aise farmaishaat jin ko thukrana in k ahsaanaat k muqable me napasaddida samja jata hai. albata ye farmaishaat waldain ki qowat wa zooaf k mutabiq muktalif ho sakte hain.
2)waldain k sath husne solook hai. yani in se apne qool wa faile k zarie bura salooq na kare .agarche wo is per zulme kar rahe ho.
3)agar (upper biaan kiye hoa)mana me waldain se ahsaan is amar ka mutaqazi ho k baita baab(ya mah) k qareeb rahe ya shafqat ki bina per baite k bahroni mulke safar se baab(ya mah) ko aziyat ho to ise chaiay k wo lazami tore per safar tarak kare bashat ye k is se baite ka nuqsaan na hota ho warna safar tarak karna wajib nahe . (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 345,350 , pg # 211,214, eidition 5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11636
Mujtahid:
sistani Date:

Question: agr beta paida ker k 2 saal bad goud dey dia.ab kia betay ke salary sey is paida karnay wali maa ka kuch haq banta hai??

Answer: Je haan Bete per Peda kerne wale Man Baap ka haq to banta hai is liay k Jis ne aulad ko paida kia ho wohi haqiqi waldain shumaar hote hain or agar wo ghareeb hoon tu on k akhrajaat aulad per wajib hain. Paalne se wo good lene wale waaldain haqiqi waaldain nahi bante yahan tak k lerke k liay uski paalne wali maan tak na-mehram hoti hai.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #584 , Pg #289 , Eidition# 5). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
12315
Mujtahid:
Date:

Question: Son got not circumcised proprly and foreskin a little back here Dr advised for again circumcision is that good.fore skin cover his half head even errection,pl advise

Answer: As long as the glans hole "urethral opening" and a part of the glans is exposed then that is sufficient (Email rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 17.01.2012). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14060
Mujtahid:
Date:

Question: Kya islam may baccha goud lena jayez hai kya.

Answer: Jaiz hay. (Ref: Mafhoom e E-mail Rcvd From Ayatullah sistani(d.b), dated:24-12-2010). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14278
Mujtahid:
Aqa e Sistani Date:

Question: Can you please give details of Aqeeqah of the New Born. Also if you can let me know as to you can eat Aqeeqah Meet and Who not? Also kindly let me know if the bones of Aqeeqah Animal can be broken while cutting meat or not? Brain from head and Feet of the animal can be given to someone or buried as without as it is? Jazak Allah.

Answer: Mustahab hay k aulad ka aqiqa kia jaay, chahe larka ho ya larki or ye bhi mustahab hay k wiladat k saathwayn (7th) rooz ko ho, agar kisi wajah say ya baghair kisi wajah k 7th rooz say takheer hojaay tab bhi aqeeqay ka mustahab hona baqi rahay ga, aqeeqe main zarori hay k bherh, bakra , bakri , gaye ya bail ya ount ya uontni ho {i.e: she-goat,he-goat,sheep,cow,bull,she-camel,he-camel}.or mustahab hay k aqeeqay ka jaanwar mota(fat) ho. Aqiqe me makrooh he k us ka gosht bap ya bap k ayaal (maslan aulad) me se koi ek khaey khas taur se maan. Munasib hay k aqiqay ka gosht haddio ko baghair torhay kata jay. Jaanwer ka chautha hissa(1/4th ) daya ko daina mustahab hay or wo hissa taang or raan hona mustahab hay.aqaiqay ka gosht pakaya jaay or afzal hay k 10 ya os se ziyada momineen ko is k khane ki dawat di jay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394-5 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16832
Mujtahid:
Date:

Question: meri ek beti5 saal ki ha mujhe yeh puchna ha k tallaq k bad mera sabiq shohar kis surat me muj se beti le sakta ha

Answer: Aap k sabiqa shohar k liay aap se aulaad juda ker k apne paas rakna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #24). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16859
Mujtahid:
naam Date:

Question: kya hum baccho ka naam ruhul amin rakha sakte hai ya nahi. aur agar rakha sakte hai to is naam ka matlab bhi bataye. aur baccho ka naam taha aur yasin rakha sakte hai ki nahi kuran aur hadis ki roshni mai is ka jawab de.

Answer: Je haan Bache k ye naam rakhna jaiz hain . (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32775
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Apny Bachay Ka Naam Muhammad Rakh Saktay hain, Muhammad Bin Saeed , Ya Sirf Muhammad

Answer: Je haan Bache k ye naam rakhna jaiz hain balkeh Muhammad rakhna mustahab bhi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
33517
Mujtahid:
Date:

Question: assalamo alaikum sir mera sawal yeh hy k kya jub pehla baby peda hota hy uske sir k bal utar kr kya krna chahye ?? kuch logon ka kehna hy k bal rakh lena chahye or kuch ka kehna hy k phank dena chahye ,, kya ap meharban kr k quran ki roshni mein bta saktey hein k kya tareeka hy ,,bal rakhney chahye ya phank dena chahye ??? assalamo alaikum ..thanks ..ALLAH HAFIZ

Answer: Mustahab hai k bachay ki wiladat k satway din os k sar k baal katay jain yani ganja karwaya jae aur os k baal k wazan k barabar sona ya chandi sadqa karain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
40470
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Mera aik chota beta hai kia meray upper wajib hai k mai osay shr’iat k ahkam ki taleem doun?

Answer: Aulad ki achi or islami tarbiyat walden per aulad k huqooq main se hai .Albatta ap per wajib hai k jin cheezo ki osay fil-haal zarorat hai, un chizon ki taleem den.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 201,pg # 91). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
42549
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Islam mai aurat apne bache ka naam rakh sakhti hai?

Answer: Gee haan bilkul rakh sakti hai koi harj nahi hai, Albatta islami nuqta e nazar se aulaad per naam rakhne ka haq walid ka hota hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
42642
Mujtahid:
Date:

Question: agar maa baap apne haqooq ada na krein tu bachon ko kya krna chaye

Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 298 pg # 176, Eidition# 5). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
44061
Mujtahid:
Date:

Question: mere waldein meri baat nahi maan rahein hain plz reply me fast

Answer: Jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat sai inhain aziyat hoti ho to aulad k liay un ki mukhalifat karna haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1387). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45752
Mujtahid:
Date:

Question: ASALAMWALEKUM. MERI SHADI 25.05.2012 ME HUYI HAI. MERE HUSBAND KA NAAM SHAIK HUSSAINSAHEB. MERA NAAM ZAREENA HAI. MY AB 8 MAHINEKI PREGNANT HU. MERE KU BACHA OR BACHI HO THO MY KYA NAAM RAKHNA TIK LAGTHA HAI KI PLEASE AAP JAWAB DIJIYE. MY AAP KE JAWAB KA INTIZAR KARUNGI THANKING YOU,

Answer: Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46069
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salaams. Is it advisable to keep the name of Janab Zainab to the Shia girls. I was told that Janaab Zainab (AS) adivsed not to keep her name.

Answer: Mustahab hai k bachay ka acha nam rakha jae Q k ye bachay ka baap par haq hai. Aur zainab bhi un achay namoo mai sai aik naam hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46620
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Kisi IMAM a.s. k wiladat k jashan mai taliyan bajanay ka kia hokum hai?

Answer: Haram nahi hay, laikin ye chezain salawaat ki jagah nahi lay sakteen. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part#1, Mafhoom e maslah#188 ). Update on dated 05-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46715
Mujtahid:
Date:

Question: muhammad naam rakhna sahi hai ya nahi

Answer: Jee haan Bache ka naam Muhammad rakh saktay hain balkeh ye mustahab bhi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47920
Mujtahid:
agha e sistani Date:

Question: salam,meri sab se bada masla meri walida hai bohot bad akhlaq hai kisi ke sath sahi rawayye se paish nhi aati tho aisi walida ke sath kesa bartaw hona chahiye?

Answer: Imam Jafar e Sadiq a.s. nai farmaya hai k : “ jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghazab sai ghooray jab wo waaldain is par zulm kar rahay hon to khuda is shaks ki namaz qabool nahi karta.” Is k alawa waaldain sai naiki karna un tamam aamal sai afzal hai jin k zarie Allah ka qurb hasil kia ja sakta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #298-9 pg # 175-6 Eidition# 5). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48342
Mujtahid:
ayatollah sistani Date:

Question: Ma na apni bhanji jis ka walid ki death jab meri behan 7 mah ki hamla thi Or meri behan bachi ki pedaish ka 3 ghantay bad bachi ko meray hawalay kar ka intaqal kar gai ma na bachi ko apna feed karwaya ab woh bachi 16 year ki ho gai ha usa pata ha ka hum us ka waldain nahi hai. Jab birth certificate bana to us na apni marzi sa apna razai baap ka nam likhwaya. pochna yeh ha NIKAH kay waqt kis baap ka nam sa NIKAH ho ga, mehrbani farma kar is ka jawab anayt farma dain shukriya

Answer: 1-Adopted(Goad liay hoa) bachay main is baat ka khiyaal rakha jay k shajra e nasab tabdeel nah kia jaay. 2- Nikah k seghay perhne main lerki k baap ka naam lena zarori nahi. (Ref: Mafhoom E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010+Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, Mafhoom e maslah #2333-2335) . Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48450
Mujtahid:
seestani Date:

Question: As salam o alaikum Kia adopted bacha mehram hota hay ?? us k samnay parday ka kia hukum hay ?

Answer: Adopted (Goud liya hoa) bacha jab baligh ho jaay ga tu na-mehram hoga or paalne wali aurat k liay bhi is se perda kerna hoga.). ( Ref: Mafhoom E-mail Recieve from A.Sistani(d.b), 24-12-2010). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48543
Mujtahid:
Date:

Question: beti ko kitna arsa maa ka doodh pilana jaiz hai ?

Answer: Mustahab hai k aurat bachay ko (chahay lerka ho ya lerki) puray 21 mahinay doodh pilay or 2 saal sai ziyada doodh pilana munasib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
51704
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: salam.... tarbiyat e aolad k liey kn kn c cheaz zarori hay aur tarbiyat e aolad quen zarori hay

Answer: Aulaad ki terbiayt 2 saal tak maan or baap dono ki zimme hay or 2 saal k baad terbiyat ki zimme daari baap k zimme hay.is terbiyat main islami masael or har wo cheez jis se bacahe ki zindagi ka ta’al’luq hay shamil hay. Islam ne aulad ki terbiyat ki zimme daari waaldain per lagae hay or isi terah tamam momineen o mominaat per ye zimme dari lagae hay k wo cahnd sharto k sath aik doosre ko ache kaamo ka hokum dain or buray kaamo se rokain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), http://www.sistani.org/arabic/qa/0380/+ (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2008-9). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
57311
Mujtahid:
Date:

Question: assalm o alikum mujhe apny beta ka naam rakhna hy data of birth 18/8/2014 timing of birth 08:05 AADAM beyazit Aydan in main sy koi ek nam bata dijiye

Answer: Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
58239
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Hazrat, aise koi hadees ya ayat hai jis me aulad ko maa ya baap se judaa na karne k baray me farmaya gya hai,? tasheeh farmaye

Answer: Imam jaffer sadiq a.s se riwayat hay k jab tak bacha doodh ki muddat (yani 2 saal) main ho, is main maan baap baraber k hissedaar hote hain,or jab os ka dhood choot jaay tu phir maan ki nisbat baap ziyada haqdaaar hota hay.or jab baap mar jay tu doosre rishtedaaro k nisbat maan ziyada huqdaar hoti hay.(Ref: wasaelush shia, baab e nikah,hadees#1, chapter#81.). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
59455
Mujtahid:
Date:

Question: mohammad harfan ya mohammad romaan ye naam rkh sakte h bachhe ka..ubaya ibn umayya ibn harfan ye sahabi ka naam hai.or agar ha to inke matlb bhi bata dijiye plz.

Answer: Ye 2 naam rakhna jaiz hain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
59600
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum plzz mje guide krden..kya behan apny bhai ko nehla skti hai jb k uska bhai 10 sal ka hai or kya bhai apni behan ko nehla sakta hai. Aesi maa ki tarbiyat par uska beta kya kary jab k uski maa usko uski behno or czns k samny nehla dti ho ya kapry badal dti ho.plz guide kren qk aj kal hr maa apny betay ko sab k samny kapny change krdti hai lekin apni beti.k sath aesa nhe karti..plz jawab zror den

Answer: Agar behen baligh ho tu phir os ka apne achay buray ki samjh rakne wale na-baligh bhai ki sharamgaah per nazar kerna jaiz nahi hay. Or sharamgaah k alawa pore badan per nazar kerna jaiz hay or os ki sharamgaah ko chona haram hay. (Ref :E-mail rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated: 04-05-15 + Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #56 , Eidition 1430 hij). Update on dated 04-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61495
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu alaykum Me apne bete ka nam mohammad ali rakh na chahta hu kya ye sahi he

Answer: Je haan rakh sakte hen balkeh mustahab hai (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62403
Mujtahid:
Date:

Question: Kya main bachay ka name Muhammad musa rakh sakti hun?

Answer: Je haan rakh sakti hain balkeh ye mustahab bhi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66229
Mujtahid:
Date:

Question: Bachey ke bal katwana islam me ku lazmi hI

Answer: Bachay ki paidaish k sathwain din sar mundwana mustahab hay. Lazim nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1427 hij). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: meri biwi ke pehle khawand se 2 bete hein jo mere ghar un ke sath rehte hein, ab mere 2 bache hein meri biwi un bachon ko un ke baap ko nahi dena chahti or nahi us se milnwana chahti hy. to kiya wo theek kar rahi hy? mera zehen ye kehta hy ke wo 2 bache us ke baap ki amanat hein jo or amanat mein khayanat nahi honi chahiye. bara beta 13 saal ka ho chuka hy or wo apne baap se milna bhi chahta hy.

Answer: Jab tak lerka ya lerki 2 saal k nah hojaen unka baap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liay k bachon ki negehdaasht maan or baap dono k zimme hai or ahwat or aola(behter) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki maan se juda nahi kiay jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2422-2462). Update on dated 14-04-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Maan, bacho k baap ko bacho se milne se rookne ka huq nahi rakhti.

Print

Id:
82347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Hamal agar gir jaye to us Hamal ka kya Krna hoga

Answer: Agar 4 month mukkamal ho chukay hoon to usay ghusl diya jaey, hunoot kia jaey or kafan dia jaey laikin namaz nah perhi jaey laikin agar is se kam umar ka ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par is ko aik kaprhay main lapait ker dafan kia jaey,laikin agar is ki khilqat mukammal ho tu is sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per is per 4 month wale ahkaam jaari hoon gay. (Ref: Minhajus sliheen, jld#1, maslah#:330). Update on dated 29-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82348
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o Alaikum kiya mai aapnay maa baap ki ijazat k baghair aapnay paisoo sai ziyarat pai jasakta hoon.(aagar maa naaraz hoti ho)

Answer: Agar walidain ko aulad se jo muhabbat hoti hay oski wajah se aulad ki ziyarat per jaane se unko aziyat ho, to phir jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1387). Update on dated 29-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88690
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salmam my question is when child iS born and the money gifted to child parents is allowed to use that money or its only.used by child

Answer: Wali paise apne paas rakh sakta hai lekin us k liye zaroori hai k un paison ko faqat bache par kharch kia jaaye.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0445/) . Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88713
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASSALAMOALaIKUM my question is agr galti se maa baap se badtamizi se baat kr di jaye to maafi kaise maange unse ya allah se kia trah se ...?

Answer: Dono se,Maa baap sai maafi mangne k baad Aap sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89133
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar koi biwi apne husband ko bacho ko leke pareshan (blackmail) kare or uske aami se dur rakhe family se dur kare to husband ko ky karna chaye or agar husband dusri shadi karna chata h to ky sahi h ki galt h

Answer: Mard k liay dosri shadi karna jaiz hay. Or 2 saal ki umar tak bachay per maan baap ka baraber ka huq hay laikin 2 saal k baad baap ka huq makhsoos ho jaata hay. Ref: ( minhaj us saliheen jld 3 masala no 200+ (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2422). Update on dated 26-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89200
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslamualikum mufti saheb mera sawal ye hai k meri shadi ko 10 days howy hain. Hamari shadi love marriage hai lekin shadi sb ki marzi se hoi mery ghr walon ne rishta bejha larki k ghr walon ne accept kia phr baat pakki ho gai. Ab shadi se kuch month pehly larki ka baap aur maa shadi ni krna chahty thy unhon ne larki se b kaha hm kahi aur shadi krna chahty hain larki ne rishta torny se inkar kr dia aur ye kaha k main rishta tor kr kahi aur ni krna chahti. Phr larki k ghr walon ne mery ghr aur mery darmian larai jhagry bnany ki koshish ki aur larki k darmian b lekin phr b hm ne sabr ka imtehan pas kia. Larki k ghr walon ne larki se narazgi ka b izhar Kia bil akahar islamic tareeky se hamari shadi ho gi rukhsti k waqt larki k ghr walon ne na apni beti se mily na muj se. Shadi k baad larki k walid larki ko baduain dena start ho gy k agy tujy pata chaly ga jb in teri zindagi barbaad karain gy ye log in k aesi koi baat ni hamary darmian hm dono shadi se bht khush hain. Larki ka baap larki se bat ni krta larki phone kry ya message baap reply ni krta. Larki sara din roti hai k baap ne mujy chor dia. Kia is soorat main lrki gunahgar khlati hai ya waldein ki nafarmani. Is bary main apni raay bayan kr dain.

Answer: Jab bhi waalidain ki taraf se koe hukum ya rook took muhabbat ki wajah se ho aur os ki mukhalafat se onhain aziyat hoti ho to aulad k liay on ki mukhalafat karna haraam hay. (Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1387). Update on dated 09-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93371
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-08

Question: Islam me talaq hone k bd beti kis k pas rahe gi is ka kya kanoon ha?

Answer: Jab tak lerka ya lerki 2 saal k nah hojaen unka baap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liay k bachon ki negehdaasht maan or baap dono k zimme hai or ahwat or aola(behter) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki maan se juda nahi kiay jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah # 2422-2462).
[Updated on 08-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93461
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-16

Question: As salam o alikum mera sawal ye he..Bachy ki pedaish per relatives ki taraf se de jane wali amount ko Kia parents us kr sakty he ? or relatives jo be bachy ko gift deaty he Kia wo dosry bachy ki pedaish per use kr sakty he ?

Answer: Wali paise apne paas rakh sakta hai lekin us k liye zaroori hai k un paison ko faqat usi bache par kharch kia jaey or wo bhi on maqamaat per jahan wali k liay kharcha karna waji nah ho, Q k wajib akhrajaat tu wali per wajib hain.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0445/) .
[Updated on 16-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95040
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2019-03-28

Question: Mera sawal hy k.meri nand ny talak ly li hy.us ka ak beta hy.ub wo mhamary sath reti hy.or baap ki kami bety ko na ho tu.mamo ko us ka baap kheti hy.k ye tumhara baap hy.baba hy.or mamo ka naam baap ky nam ki jaga likhwa ri.kia ya sae hy.plz refrence k sath answer dain.

Answer: Kisi shaks ka sharja tabdeel karna jaiz nahi hay. (Ref: istifta from ayatullah sistani d.b).
[Updated on 28-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95490
Mujtahid:
Date: 2019-04-19

Question: Kia bachay ka naam sirf uska baap rak skta hay ... ya ma ka bi koi haq hota hay .... ??? Sir maa apnay bachay ka naam adan rakna chahti hay or baap usman... ab ham kia Karay ???

Answer: Bachay ka achcha naam bachay ka haq hay apne walid par. bacahe ka naam rakhne ka huq baap ka hay. Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1439 hij).
[Updated on 19-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99619
Mujtahid:
Date: 2019-08-23

Question: aslam o mera sawal h k mai apne bete ka naam syed muhammad mustafa ali shah rakhna chata ho yeh nam sahi he ya nhi mujhe mashwra den or dosra naam agar rakon is k ilawa or syed muhammad haider ali shah rakhna ho to donon ma se konsa sahi hoga

Answer: Dono naam rakh saktey hain.Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1439 hij).
[Updated on 23-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-05

Question: Assalam o Alaikum.. Mera sawal ye hai k mera baap apni ulad ka haq yani hmara haq kisi or ko dete hain yani behan bhai k bacho ko.. un pr ziyada kharch krty hm pr kam..behan bhai k bacho pr ziyada paisa lga kr Europe bej rhy or hmy Arab mn jaha value ni..aulad ka haq mara jaa rhy hy.? Apni ulad pr kharch krna sabsy afzal hai.. lkin aisa q krty hn .. is k baray mn kya hukam hai jo mera baap kr rhy...

Answer: Baap k liay faqat aap ka naan o nafaqqah wajib hay ab mazeed ye ayteraz nahi kia jasakt akeh wo kis or ko kia day rahe hain or aap ko kia day rahe hain. Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 298 pg # 176, Eidition# 5).
[Updated on 05-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101076
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar larka jahaiz na laina chahe q k islam ma is ka koe concept nhi habut us k parents majboor karain is situation ma un ki Attat lazim ha ??

Answer: Is tarah k umoor main waldain ki ita,at karna zarori nahi hay, laikin on se bad tamizi nah ki jaey. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30). Update on dated 15-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
101682
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: ASsalm mualikum Aik banday nay do shadian ki uski do biviyan hain or dono biviyon me say 2 2 bachay hain kia wo bachay saggay hogain apas me ya sotele

Answer: Ye bache apas main mehram hain. Sotele nahi kehlaingay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#90) Update on dated 09-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102372
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-14

Question: Agr baap ghalti pr hony k bawjood ghr mai sb py ghusa kry apni Bivi r aulad ko gandi ghaliya b dy r ghr mai fasaad b kary tu aesi surat mai kia hukam h baki ghr walu k lye?

Answer: Imam Jafar e Sadiq a.s. nai farmaya hai k : jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghazab sai ghooray jab wo waaldain is par zulm kar rahay hon to khuda is shaks ki namaz qabool nahi karta. Is k alawa waaldain sai naiki karna un tamam aamal sai afzal hai jin k zarie Allah ka qurb hasil kia ja sakta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #298-9 pg # 175-6 Eidition# 5).
[Updated on 14-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print