Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 2 (864 Questions)


Showing 400- 450 questions from 864 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
68247
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Mera swal yae hae key wife and husband and wife ko kitny din bad humbastri ker leni chiay according to islam

Answer: 4 mahine se ziyadah bivi ki ijazat k baghair os k sath hambistari tark kerna jaiz nahi hay.(Ref:Ayatullah Khumeni r.h, Tehreerul wasila, part#3,pg#431, maslah#13) Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69164
Mujtahid:
Date:

Question: kia bivi k sath anal sex jazz he

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
69165
Mujtahid:
Date:

Question: kia bivi k sath back hole c sex kia jaskta he

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 26-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69357
Mujtahid:
Date:

Question: Sir Mera Sawal Ye hai ke agar meri ijazat ho to mera husband mujhe pechey se touch kar sakta hai...

Answer: Biwi k (back )k maqam main hambistari me agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) Update on dated 19-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69361
Mujtahid:
Date:

Question: Sir hamla b.v se kitne maheene tk hum bistri karna jaiz hai???

Answer: Biwi k haamla hone ki surat me jima (intercourse) se phele khaas tour se wuzu karna mustahab hai (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ). Update on dated 19-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69380
Mujtahid:
Date:

Question: Shadi se pahale honewali wife se Shadi ki pahle raat k bare mai baat kr skte hai ky?

Answer: 1) Biwi k alawa kisi doosray sai fehesh batain kerna haram hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34).
2) Jab tak nikah na ho jaay aurat aur mard namehram rehte hain aur na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k under koi shehwat angaiz baat nah ho tu koi haraj nahi hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur nah hi haraam me pernay ka khoof ho. Warna haram hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) . Update on dated 20-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69550
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya larki k breast suck karna haram hai ?

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Update on dated 25-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69577
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: sir mera ye sawal hy ye q maqroo hy or hum aysa karain to humain gunah to nhi hy na sir me apni biwi se peechy se piyar karta aaya hu mujhe had se b ziyada acha lagta hy mujhe peechy se piyar karna bot ziyada pasand hy or meri biwi b razi hy use b bot pasand hy wo b khush hy use atraz nhi hy sir koi gunah to nhi hy na or humar nikah to nhi toota hy na or meri shadi to nhi tooti na es kam se sir me bot pareshan hu sir ap koi tareka batain k me apni wife ko peeche se piyar b karu mujhe gunah b na ho sir ap koi islami book me se batain or book ka nam b sir plz plz plz me wt kar raha hu plzzzzzzzzzzzzzzzz

Answer: Biwi k peechay(back) ke maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay).or is se nikah nahi tootta.(Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 21-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69685
Mujtahid:
Date:

Question: Message: shohar apni vife ki peshab wali jaga chose sakta he wo aadat par gae he chor nae sakta use ahista ahista chorna chahye ya foran chorna chahye

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 09-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Hambistri chand ki kon si tareekh ma mana hy? Kisi shahadat ki tareekh ma bhi hambistari mana hy?

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah khumeni(r.a) minha jus saliheen Part #2,maslah #1231) .Update on dated 11-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70279
Mujtahid:
Date:

Question: kya miyan biwi humbistari krty hway ek dosry ka jism roshni me dekh skty hain.

Answer: jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #5, Eidition 1427 hij). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70440
Mujtahid:
Date:

Question: Jab shohar bv ke raza mande ky bagar apne marze kary bv sy dore rahy to bv ko kia karna chahey

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). Update on dated 15-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70794
Mujtahid:
Date:

Question: A/S .. mera sawal yeh h k kya biwi k piche (asshole) p kiss kr skte h?

Answer: Jaiz hay, Q k mian Biwi aik doosray kay Badan ko dekh saktay hain aur isi tarah Lazzat aur Baghair Lazzat kay aik doosray k Badan ko choo saktay hain.(Ref:Minhaaj us Saliheen A.Sistani Part-3 Masala No.11) .Update on dated 27-04-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71360
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam.u.alaikum Mera nikah ho gia hy but rukhsti nai howi kia main us se mubashrat kr sakta hn

Answer: Sigah nikah k zarie mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai) laikin nikah k baad aur rukhsati se phele agar larki apne baap k ghar me ho to us larki k shohar k lie us larki k baap k ghar me aane jane aur larki se raabte k lie zarori hai k larki k baap se ijazat le . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) ,(ref: nigha o libaas ,dafter aqa sistani). Update on dated 27-05-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71361
Mujtahid:
Date:

Question: Shadi shuda foji jawan ko 5 or 6 months chuti ni milti wo kia kry

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). Update on dated 02-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72360
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera yeh question hai....mary dost ki new shadi hui hai ap yeh bta sakty hain k bivi ki pichli marna jaiz hai ya nahi aur apna penis us k moun main dalna plzzz Sir tell me soon i waiting of your answer

Answer: Biwi k peechay (back )k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335) .
Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72745
Mujtahid:
Date:

Question: asslam o alakium..... kya agr koi kisi k nikah main ho aur ruksati b ho chuki ho ... husbend k pass majood hoty huwy b husbend 8 mah tk hm bistri na kry tw kya nikah makrooh ho jata ha ya toot jata ha.....

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382, 2335). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72747
Mujtahid:
Date:

Question: AoA mera sawal ye hai k shadi k bad hambistri k kia ahkam hay husband wife apni mrzi sy jis tarh chahy kr skty hay ya koi islamic tarika hai or agr apni mrzi sy kry to kia gunah hoga or kia puray kapry utar k hambistri kr skty hay ya uski b koi limit hai or agr pury kapry utar k kry to kia gunah hoga plzz jldi jawab dy dy

Answer: Husband or wife har qisim ka sex ker sakte hain jis per wo dono razi hoon. Ye amal wase bhi haram nahi hay. (Ref: E-mail rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hainNafrat paida honay ka mouqa is waqt aa jata hai jab mard jima k fan ko fan e phlwani sai tabeer krta hai aur apni aurat par puray zor o shor sai toot kar pay dar pay mubashrat k zarie aurat par apni mardangi ka roeb jamanay ki koshish krta hai jab k ye bulkul galat hai. (Ref: Islam aur jinsiaat pg # 157) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72755
Mujtahid:
Date:

Question: Kia rukhsati se pehly sex jaez hai or nikah k bad

Answer: Nikah k baad aur rukhsati se phele agar larki apne baap k ghar me ho to us ghar me aane jaane aur biwi se raabte k lie zarori hai k larki k baap se ijazat le le.(ref:resala amliya,author:syed mujtaba hasani,fatwa aqa sistani,pg:184). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72760
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: jis say pyr krty hu kya us say sexi chaat krna zina hai

Answer: Biwi k alawa kisi doosray sai fahash batain krna haram hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34)
Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k (yani mard ne apna aala tanasul aurat ki sharamgha me dakil na kiya ho to )zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70) or eska kaffara nahi hota aap sachey dil se toba kar lijye. (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3 , masla # 16)

Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72762
Mujtahid:
Date:

Question: meri shadi hogai he or mein ne abhi tak humbisteri nahi ki, kia ye koi gunnah to nahi or humbisteri zaroori he or agar he to shadi ke baad kab tak krleni chaye?

Answer: Shadi ki pehli raat hambistari kerna wajib nahi hay. (Ref : E-mail rcvd from sistani(d.b),dated:26. 05-2010).
Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
73019
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Nikkah k bd shohar apni bivi ko hath lga skta hai ya nhi jb k bivi abi apny ghr ho rukhsati na hui ho

Answer: Nikah k baad shohar ka bivi ko hath lagana jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #b/f2372). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73061
Mujtahid:
Date:

Question: Mra swal ye h k kya shohr or biwi ik dussre k private organs dkhe to gunah hta h? Or uske bd jo olad peda hti wo bemar hti? Kya ye darust h?

Answer: Shohar or bivi ka aik doosray ki sharamgaah ko daikhna jaiz hay.Laikin jima k doran bivi ki sharam gaah ko daikhna makhrooh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #5 , Eidition 1427 hij). Update on dated 24-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Humbistri k bary main detail btain plz in muharaam

Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 03-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73273
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: humbistri detail in muharum

Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 03-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73315
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Muharam mien bivi. Se mubashirat jaiz hai ya nahin

Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 05-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76595
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kay bowie no shramgah no jousna jazz ha

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382, 2335). Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76789
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera Nikah Ho chuka he Lekin meri biwl ki rukhsati nahi hui to Kya ab uski puri zimmedari uska Sara kharch ab Muje uthana chaye muje plz jald se jald ans dijye

Answer: Nikah k baad or rukhsati se pehay k demiyaan naan o nafaqqah daina wajib hay, siwaay is sorat k keh koe aisi alamat ho jis se taay ho jay keh naan o nafaqqah daina zarori nahi chahay isi aytebaar se keh riwaaj hi aisa ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochaay gay sawalaat, part#4, maslah #142). Update on dated 25-02-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76890
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Shadi k bad agar galti sy aurat k piche wali jaga m dakhool ho jaye to kia hukam hy. Lekin ratoobat andar dakhil na ho qoitrat

Answer: Biwi k peechay (back )k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is say nikah batil nahi hota hay.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e Mutakhaba, Mafhoom e Maslah maslah # 67). Update on dated 06-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
77190
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum bhai mera aik swal hai laikin pls aap Allah k wastay tafseel k sath jwab de. bhai mera nikah hu chuka hai laikin shaadi nahi. per ma apne mangaitar k sath phone per batai karta hu laikin jab hum raat ko batai kartay ha to bat kartay kartya hum aik dosray ki jism ki kisi bhi jagay ka parda nahi rakhtay.balkay bato bato mai hum mukamal sex kartay hai .to kia ye aisa karna guna hai ya nahi.. kia aisa karna jaiz hoga ya nahi. laikin aik dosray se amnay samnay nahi miltay.

Answer: Nikah hone k baad wo aap ki bivi hain or bivi se jinsi batain kerna jaiz hain laikin is baat ka khiyaal rakha jaey k is ye batain is had tak nah hoon k aap khud per per qabo nah rakh ker istimna(masturbation) kerne lag jain, Q k istimna gunah e kabira hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1,Edition#2009,Mafhoom e Maslah #30+ Minhajus Saliheen,Part#2,Edition#2006,Mafhoom e Maslah #34) . Update on dated 16-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77192
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alaikum.. sir mera ye sawal hai k mera nikah hu chuka hai aur hum dono mian biwi phone per aik dosray k sharamgah k baray ma bhi batain kartay hai.to kia ye guna hai ya iski koi gunah nahi.. pls iska jwab zarur dijye

Answer: Shohar or bivi k dermiyaan aisi batain kerna jaiz hain or ye gunah nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#2,Edition#2006,Mafhoom e Maslah #34). Update on dated 16-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77261
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslamo alikum sir mujy btainy k shadi k bad husband apni wife ki shramagh dkh skta kea???

Answer: Shohar or bivi ka aik doosray ki sharamgaah ko daikhna jaiz hay.Laikin jima k doran bivi ki sharam gaah ko daikhna makhrooh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #5 , Eidition 1427 hij).Update on dated 18-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77262
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kea husband apny wife ki breast ko suck kr skta hy kea??

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Update on dated 18-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77417
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalamualikum warahmathullah main ek Muslim aurat hu meri shaadi ek converted into islam k admi se hui jis se mujhey do bachey bhi hain mera shohar islaam per bilkul b nahi chalta imaan mazboot nahi hai is admi ka aisi soorat main mujhe kya karna hoga plz mujhey answer bataye kya main iskey saath rishta rakh sakti hu ya nahi ya fir mujhey talaaq lena hoga???

Answer: Agar wo kalmia e shahadat ka izhar kerta ho or islam k ehkamaat ka inkaar nah kerta ho, tu wo musalman k hokum main hay, faqat os k namaz nah perhne se wo kafir nahi ban jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #205) Update on dated 23-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77651
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kaya mard or orat shadi ke bad ik dosre ki sharamgha ko dekh sakte hain

Answer: Shohar or bivi ka aik doosray ki sharamgaah ko daikhna jaiz hay.Laikin jima k doran bivi ki sharam gaah ko daikhna makhrooh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #5 , Eidition 1427 hij). Update on dated 30-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77694
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Nashe ki halat me shohr bv se zbrdsti hmbstri kr skta he?

Answer: Bivi k liay ye zaruri hai k jab shohar jinsi lazaten hasil kerna chahe to uski khwahish puri kare or share wajah k bagher shohar ko hum-bistari se nah roke. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 38,Mafhoom e Maslah #2376). Update on dated 31-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kiya or at ki sahram gah ma much dalna jayze ha

Answer: Sohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein. laikin jism k hissay k alawa koi aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi kr saktay. aur shohar biwi ki sharamgaah main ungli daal sakta hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236). Update on dated 03-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77936
Mujtahid:
Date:

Question: sir kia islam main din ko hmbistari krna jaiz hy ya ni

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #5). Update on dated 07-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78758
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum biwi pregnant hai aur usi halat me talakshuda b hai aur phir usi husband se phr se nikha karne ka kya fatwa hai Agar nikha jayaz hai tho kab karsakte hai

Answer: Talaq e rije main iddat k doran ruju ker k bivi banaya jasakta hay or agar oski iddat khatam hone k baad ruju kia jaey tu os se nikah ker k os ko bivi banaya ja sakta hay. ker.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 04-05-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
79755
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Pregnant ki haalit main biwi se pic mang sakty hai pait ki k nhi

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #12). Update on dated 30-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81752
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam walaikum mera sawal apse yeh hai k k agar humbistari karte hoye galti se periods hojaye tu kiya is par b gunnah hoga

Answer: Agar periods aany k bad fauran alaidahgi ikhtiyaar ki ho to koe ghunah nahi hoga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #448). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81754
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum.. Meri Shaadi ko 1 saal se zyada hogaya hai, meri biwi hamesha apne Ghar jaati Hai wapas aane k waqt par ladai jhagde hote Hai.. ab meri beti Hai 4 months ki Aur ab fir se wahi harkath, bahut saare ilzaam mujh par Aur mere maa baap Ghar par lagaye ja rahe Hai.. rishta todna ki baat kar rahe hai.. my talaq k liye Tayar Lekin beti Mujhe chahiye Lekin meri biwi beti ko dene se mana kar rahi hai. shariat k mutabiq kab my apni beti ko apne paas lekar aa sakta hu? Iska jawab Mujhe dedijiye.. jazakallah

Answer: Baiti 2 saal ki ho jaey to phir aap lay sakhtay hain. (Ref: Minhajus saliheen, part#3, maslah#401). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81787
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir kia bv ko ungli daal ker release kia ja skta ha?

Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein. laikin jism k hissay k alawa koi aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi kr saktay.or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal sakta hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236).Update on dated 14-08-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82143
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum warehmatullahi wabarakatuhu? Mera sawal yeh hai ki meri biwi uske ammi bagair nahi rehsakri woh hamesha apne ammi ke paas Jakar aati bolkar zid karte rehti halaki har mahine 5 din rehke aati kabi akbar nahi thode din ke baad ke leke jata ruko boleto hargis nahi sunti zid karti bohat meri biwi ki age 21 years hai aur meri age 27 hai kisi ki b maa to maa h hoti na bolkar yeh sochke mai uske ammi ke paas karti boleto mai koi jhagda nahi karta tha magar hadd hogai thi uski ammi usko wapas bhejri h nahi 7 din bolkar ek mahina rakhli yeh pehli bar nahi tha dusri martaba tha to mai gusse me a kar use talakh dedeta bolkar Dhamki diya tha gusse me aur chalegaya tha wapas apne ghar phir age din a kar chal jainge boleto 2 din din bolkar 15 din kardi thi to mai ab bahar agaya job karne usko bokra h aaya tha jara bahar bolke magar hamari baat nahi hori ab aur woh mere bache ki maa banne wali woh 7 months pregnant hai magar log bolre ki 4 mahine hambistar nahi kareto shohar biwi to rishta Haram hojata aur biwi se baat baat cheet b nahi hori to Hamara rishta ab Haram hogaya bolre kya yeh sahi hai please ap mere is sawal jawab de woh abibi uske ammi ke ghar par h hai bas mujhse jane anjane me koi galti na hojaye mujhe allah ka khauf hai mai kuch b gunah nahi karna chahra meri biwi mujhe satari bolkar mere rishtedar b choddo bolre magar mai nahi aisa gunah nahi karna chahra please apke jawab chahiye kya hamara rishta khatam hojata kya aisa dur rehme se bina baat kiye apke jawab ka intezar rahega.assalamualaikum.

Answer: Wo ab bhi aap ki biwi hay, door rehnay say nikah khatam nhi hota hay lekin 4 mahine say ziyada jawan biwi say hambistari ko tark karna jaiz nahi hay , magar biwi ijazat day to koe haraj nahi hay . Aap kisi tarah un say baat karen or unko raazi ker lain. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, masla#9). Update on dated 10-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82203
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A-o-A...sir agr bv razi ho tu kya anal keya ja skta hai?

Answer: Agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makhroh hay. (Ref: Al masael ul muntakhaba masalah# 70). Update on dated 14-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82300
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar bivi sex nahi krne day to kia hukum ha?

Answer: Biwi ky liay jaiz nahi k shohar ko mana karay lekin agar mana karay or uzr e share bhi nah ho to wo nafaqqay ki haqdaar nahi hoti hay. (Ref: Al masail ul muntakhaba, maslah#1014). Update on dated 24-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82307
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar bewi na gair mard sa zina Karte rahe ha or Ab wo apna shohar sa mafi mang ka toba kar rahe ha or shohar ko btaea bhe bewi na khud ha gis ka dhohar ko bahot ranj ha ab shohar kia kara maf kara ya talaq da da

Answer: Shohar ko ikhteyaar hay k maaf kerday ya phir talaq day day. Laikin wazeh rahe k talaq dena zarori nahi hay or bivi apne shohar per halal hi rahe gi. (Ref: Minhajus saliheen, jild# 3, maslah# 179). Update on dated 19-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82356
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam mjhe ye puchna h k shaadi se pehle ma kisi se muhabbat karti thi meri nikah mere ghr walo ne kisi or se kardi lekin mera us se koi rishta nhi tha mera shauhr mjhse se zabardasti humbistri karta tha ma usk sath khush nhi thi wo larka jo mjhse pyaar karta tha mjgse milne ata tha shaadi k baad hum bistri ma mjhe bacha reh gaya is k baad b ata raha mere shuhr ne hume pakr lia or meri divorce hogae ab ye k meri iddat puri hogae lekin ma un pe haraam hn baqaul apk jawab k ab ma kisi or se shaadi b nhi kar sakti q k mere bache kon accept karega ap plz aisa koi amal batai jis se hum ek dusre pe halal hojaen plz req mere ghr wale agree h usk lie plz ap jo hal kahenge hu. karne k lie tayaar h

Answer: Aap os zaani per Ihtiyat ki bina perhamesha k liay haram hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2364 ). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82484
Mujtahid:
Date:

Question: biwi k sath pechy se jima kal lia hai to is ka kufara kya hai

Answer: Biwi k peechay (back )k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335). Update on dated 20-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)..

Print

Id:
83871
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mai aur ek ladki dono ek dusre s bht pyar krte the pr wo ghr p bat nhi kr saki aur mje bina btaye usne kisi aur s apnr ghrwalo ki mrzi s shadi kr li hai ab kya uski talaq ho kr mjse shadi ho skti hai mje behtar rai dijiye

Answer: Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se muta,alliq azdawazi zimmedariyaan pori nah karay takeh is terah shohor ose talaq daine per majbor hojaay or wo khud os aurat k saath shadi ker sakay tu talqa or nikah sahi hay.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne).(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2502). jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). Update on dated 11-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print