Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nikah (1043 Questions)


Showing 50- 100 questions from 1043 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3687
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Apni cousions yani Khala zaad,phoophi zaad,chaha zaad behnon k saath musahfa (shakehand)kerne ka kya hukm hai?

Answer: Phophi zaad,khala zaad,chacha zaad behnain na-mehram hain.or na-mehram
aurton k badan or baaloo ko baghair lazzat or haram main mutila honay k khoof k baghair chona bhi haram hay.(Ref: A.sistani(d.b), Minhaajus saliheen, part#3, maslah#16, 90 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3711
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam..mujhy ik sawal krna hai plz mujhy mail py jawab dejiay.main ik lrki sy pyar krta hon wo b krti hai hamara shadi karny ka irada tha aur isliey ik bar ham dono ny sex b krlia laikin sex k bad mainy lrki k kehny pr yeh words kahy mainy kalima tauheed parha aur kaha k ALLAH k hukm sy tum mujh py halal hogai ho aur lrki ny b aisa hi kaha.to kia wo meri bv ban gai hai.kia us k liay kahin aur shadi krna jaiz hai..plz jawab zrur dain

Answer: Ye amal Nikah nahi he kehlata. Nikah karnay ki chand shartain hein jis main say chand ye hain:
1). ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay.
2. sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he .
3. ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335).

1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2335 , 2341 , 2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3713
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam imam, i want to ask you dat my nikah iz done and my rukhsati is in few months.my husband is stayin away from me since we got engaged 2 years back.we met once in these two years and the time we met he requested me to have sex with him and i agreed.we had sex but nou fully.it did not fully go in but i had heared dat the boy haz to read 2 rakath namaz before havin sex but he dint doz he have to pray when my rukhsati is done and we have sex properly? iz it cumpulsary? what if he doz not pray do we have to give any kafara,what can i do to have a peacefull n successful life with him? i m very religious but he is nor.plz do not xpoze my name and email id.it is a request.

Answer: It is only recommended (mustahab) prayer for both wife and husband before intercourse.it is not obligatory(wajib) prayer. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #4). Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3846
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I am engaged to a girl, with all the consent of her and my parents. After Engagement, we would meet each other, I want to ask can we both do Muta now, and is it required to ask he father again, when we are engaged with their consent?

Answer: In case a girl, who has reached the age of puberty, is virgin and mature (i.e. she can distinguish between what is good or bad for her) wishes to marry, she should obtain permission in this behalf from her father or paternal grandfather, likewise on the basis of precaution (Ehtiyaat e wajib), though she may be passing her life independently. It is not, however, necessary for her to obtain such permission from her mother or brother. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341).

Print

Id:
3917
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Kiya larkay k nikkah k waqt larkay k asal baap ka naam laina zarori hai ya jis nay pala hai us ka naam kafi hai. KIya jis ny pala hai us ka naam baap ki jaga lainay sai nikkah ho jata hai.

Answer: Nikah main baap ka naam laina laazim nahi hay, is k baghair bhi nikah sahi hay.on tamaam maqamaat per jahan baap ka naam lina ho wahaan sagay baap ka naam lia jaay or on tamaam maqamaat per jahan baap ki ijzat laazmi ho, wahan sagay baap ki ijazat li jaay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333 & e-mail Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b).

Print

Id:
3959
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Alakum, Is there any possibility to proceed Nikah without ‘Gawah’(witnesses) shukariya

Answer: Nikah main gawah(witness) ki zarorat nahi hoti,is liay baghair gawah k bhi nikah sahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, chapter jaded masail, maslah #) masa’il maslah#46).

Print

Id:
3994
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: nikah kay waqt larka mojod nahi tha, jes larke say nikah hona raha tha wo ose say rza mend tha kya ose ka nikah hwa hay or nahe

Answer: Aurat aur mard ka raza mand hona zurari he hazir hona zurari nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2328-2344 & 2394) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mene buhat sarey sawal poochey hain regarding muta and nikah, kindly mere email id per unk jawab arsal kijiye ga, ussey publish na kijiye ga site per, ager mumkin ho to. thanks

Answer: Aap in links main maujood sawaal o jawab perh saktay hain:
Mutaa link = http://qoitrat.org/qa/searchtopic.asp?Main=76&MainTopc=84 ,
Nikah link = http://qoitrat.org/qa/searchtopic.asp?Main=76&MainTopc=79
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4404
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Kia nikah nama lazmi ha nikah k liye ya bina nikahnamay k b nikah ho jata ha

Answer: Nikah chahay daimi ho ya ghair daaim(muta) is main sheegha(nikah k bool) perhna zarori hay.or ehtiyaat e wajib ki bina per sirif nikah naamay ka likhna kafi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2328).

Note: wazeh rahay k nikah main asal cheez nikah k seeghay ka zabaan se ada kerna hay or agar zaban se ada bhi kia jay or nikah se pehlay ya baad main agar nikah naama likha bhi jay tu koe haraj nahi hay.laikin nikah naama likhna wajib bhi nahi hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4406
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kia gawahon ka hona lazim ha nikah main,,, kia KHUDA AUR RASOOL S.A.W.W Ko Ya QURAN PAK ko gawah tasawur kiya ja sakta h,,,,, kia bina KHUTBA k nikah ho jata ha,,,,,

Answer: 1)Jee nahi, Nikah k seghay perhtay waqt gawahoon ki zarorat nahi hay.laikin Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379)

2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.

3)Sigah e nikah se pahle kuthba perhna mustahab he. Aur mukammal tareen khutba wo hay k jo khuda ki hamd or nabee(s.a.w.w)or masoom imamo(a.s) per salawaat or taqway ki wasiyat or doolha or dolhan k huq main dua per mustamil ho. Or khutbay main (Al hamdo lil,lahi was salaatu ala muhammadin wa aalih.) tu kafi hay. (Ref : (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4419
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam wa alikum maulana saheb ji mera sawal ye hai ki mai ek hindu ladki se mohabbat karta hun aur wo bhi karti thi aur hmlog 8 saal se saath thein lekin use isi darmiyan mei koi aur ladka pasand aa gaya aur wo ladki uske saath kiss bhi karli jo mere jindagi ko chinta me dal di hai aur wo apni galti bhi ikrar ki lekin ab wo apne baap maa ki batein manna chahti hai aur mjhe bahut ignore karti hai aur mai us ladki se shadi karna chahta hun,kuch aisa tarquib bataiye jisse hm dono k bich mohabbat ho aur uske dil me phir se mere liye pyar ho plz help me plz plz....

Answer: 1)Musalman mard bhi ahl e kitab k alawa kafir auratoon se nikah nahi kar sakhta. Laikin yahoodi aur essai auratoon se mutaa karney me koi haraj nahi he aur ethiat ki bina per un se daimi aqad na kia jey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362)
2) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4455
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: husband wife didnt intercourse sexually for the last 15 years,is nikah still valid

Answer: It is not permissible for the husband to abandon sexual intercourse with his youthful, permanent wife for more than 4 months, except when sexual intercourse is harmful to him, or involves unusually more effort, or when the wife herself agrees to avoid it, or if a prior stipulation to that effect was made at the time of Nikah by the husband. And in this rule, there is no difference between the situations when the husband is present, or on a journey, or whether she is a wife by permanent or temporary marriage. But nikah is valid. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2382) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
4620
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aslamo alaikum, maulan sahib mera sawal yeh hai k kya nikah partay hue puray 6 kalmay parnay chahiye, braye karam ap mjy ye bta dain k islam k mutabik ek molvi ko nikah kaisay parhana chahiye.

Answer: Jee nahi, nikah perhatay hoay puray 6 kalmay perhna wajib nahi hai.Nikah perhanay ki chand shara’it hain.jin ka nikah perhanay walay ko khiyaal rakhna wahib hay:
1) ehtiyaat e wajib ki bina per nikah ka sighah(jumla) arbi zaban main perha jaay.
2) Nikah perhanay wala qasd e insha rakhta ho.(yani nikah perhanay ki niyat say sighah kahay).
3) Nikah perhanay wala zarori hay k aaqil ho(yani pagal nah ho.) or ehtiyaat e wajib ki bina per na-baligh bhi nah ho..
4) Nikah perhanay wala nikah k waqt merd or aurat ko moayyan(nominate) ker lain.maslan onka naam lain ya onki taraf ishara karain.
5) Merd or aurat k nikah per razi honay ka ilm ho.
6) Kanwari or rasheeda lerki k baap ya dada k is nikah per razi honay ka ilm ho.balkeh agar lerki apni zindagi k kamo ko khud mukhtari k saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hay k baap ya dada ki ijazat li jaay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333-2342)

Print

Id:
4723
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam mufti sahib.mera aap se yeh sawal hai k islam mein aisa rivaaj hai k nikah k baad bi larka larki aik dusrey se nahi mil saktey ?

Answer: Nikah k baad sohar aur biwi danoo aik dosray k liay halaal hain or aik dosray say tamaam lazzaat hasil kersaktay hain or dono aik dosray k badan k kisi bhi hissay ko badan k kisi bhi hissa se mas kar sakhte hain chahae lazat se ho ya baghair lazzat k. laikin agar shohar rukhsati say pehlay jima kerna chahay tu biwi k raazi honay ki sorat main jaiz hoga. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236 & Email Rcvd from sistani(d.b),dated:30-0910).

Print

Id:
4746
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: nikah ka tariqa bata den pls aap ki meharbani ho gi?

Answer: 1)Agar aurat aur mard khud daimi nekah ka seega parhain to maher moyyan karne ke baad pahelay orat khay : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2377) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)
2) Aqade nikah ki sharayet me hain ke:- 1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha padhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha padhne wala ethiat ki bina per balig aur aaqil ho . 4)mard aurat mu’aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379)

Print

Id:
4785
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya syed larki nan syed se shadi kar sakti hai plz jaldi jawab do sukria

Answer: Shia Syed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4800
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslam alekum.. mera sawaal yeh hai k agar ek nonmuslim larka aur muslim larki ek dosray ko chahtay tay.larka is bhat par razi ta k agar un k larki k parents razi hoon tou woh muslman ho jahay ga,, aur unun ne apnay parents ko be razi karnay ki koshish ki, lekin un k parents raazi na hoay,, aur woh baag gahay aur 3 din bhaad wapas apnay town ah gaye,, logon ne kaha k dono ko qatal kya jahay,, aur hamary town k ek scholar se is maslay k baray mai pocha tou os ne kaha k in ko qatal kar dain.. is k bhat ik aur scholar se pocha gaya us ne kaha k ek non muslim ik muslim larki ki waja se muslman ho raha hai in ki shadi kar di jahay..ab aap is k baray mai quraan aur hadees ki roshni mai jawab dain..

Answer: Agar larka muslim ho jaay to bhi Nikah ki shara’it me se aik ye he k : kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).

Print

Id:
4987
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asslam-U-Alaikum mera sawal yeh hei k kya internet pr nikah krna jaiz hei Islam mein plz mjy is ka jawab bta dy jaldi sy.

Answer: Agar internet per likh kar nikah kia jey to wo sahi nahi he. Mujtshid se pouchey gye sawalat part # 3, ques # 108 , pg # 54)

Print

Id:
5111
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Agr zina karnay ka boht dil machalta ho to kia khud larki sai nakkah larka kr skta hai aur phr hambistri kr skta hai?

Answer: 1) Aqd (nikah) k saath aurat merd per halal hojati hay or is ki 2 qismein hein. 1: aqd Daimi 2: aqd ghair e daimi (muqarrah waqt k lie nikah). aqad e daim wo hay jis mein nikah ki muddat moi’yan nahi hoti hay.or jis aurat ka is qisim ka aqd hoa ho daimi’ah kahte hein. aqd ghair daa’im wo he jis mein azdawaaj ki muddat moi’yan hoti hay maslan aurat k saath 1 ghante, ya 1 din ya ka ya 1 maheena ya is se ziyada muddat k lie nikah kia jay or jis aurat say is qisim ka aqd hoa ho osay muta or sigah ka naam daitay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha khumeni (d.b.) maslah# 2360 ki ki heading ).

2) jo lerki had e bloogh{yani chand k hisab say 9 saal mukammal ker chuki ho} ko pohanch gae hay or rasheedah bhi hay yaani apni maslaihat ki tashkees ker sakti ho, agar wo shadi kerna cahhay ab agar wo bakirah(kawari) ho tu ehtiyaat e wajib ye hay keh wo apnay baap ya dada say ijazat hasil karay. (Ref:Ayat Ullah khumeni(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2373).

Print

Id:
5175
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kiya dono eid k darmiyan nikah jaiz hai

Answer: Jab chand bruj aqrab ya mehaaq me ho is waqt nikah karna makrooh he. Aur aulma ka kehna he k budh (Wednesday) k rooz aur har maheena (month) ki 3, 5, 13, 16, 21, 24, 25 ko nikah karna makrooh he. Jaisa k aulma ne ye bhi kaha he k raat ko nikah karna mustahab he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3 , ques # 109 , pg # 54).

Print

Id:
5220
Mujtahid:
Date:

Question: phone py nikah k motalik kia ahekamat hy nikh k wakat 4 gawah (2 lakri k or larky k ) agar larky k pass ho to koi masla to nahi ho ga thanks

Answer: 1)Phone k zarie agar baqia tamam shariat majood hoon to nikah karna sahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 108, pg # 54)
2)Nikah karney me gawahoon ki zurarat nahi he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335)

Print

Id:
5240
Mujtahid:
Sunni-Hanfi Date:

Question: Can the Nikah be performed on phone in absence of the bridegroom in unavoidable circumstances

Answer: Yes,Nikah can be perform on phone with all marriage conditions although bridegroom as well as bride are not present at that time.
Phone k zarie agar baqia tamaam shariat majood hoon to nikah karna sahi he dolha or dolhan ki maujoodgi zarori nahi hay. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 108, pg # 54 , Mihaajus Saliheen part#3, maslah#48).

Print

Id:
5242
Mujtahid:
autiullallah sastani Date:

Question: agar kisi larky ne kisi larki se pehly zana kiya ho or bad m shadi bi usi larki se kar le jis se zana kiya ho to is k bary m kya hukam h islam m?

Answer: Is sawal k kahein pahlau hein 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364)
2)Agar koi shakhs aik aisi aurat se zina karey jo raj’ee talaq ki iddat ghuzar rahi ho to ethiat e wajib ki bina per wo aurat us per haram ho jati he.
3)Agar kisi aisi aurat se zina karey jo mutaa ya talaq e bayen ya wafat ya wati e shabh ki iddat ghuzar rahi ho to bad me is k saath nikah kar sakhta he.
(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2363 , 2364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5268
Mujtahid:
Any Date:

Question: kia aik shia mard majbore ke sourat ma aik sunni larke se suni tareeq pa nikah kar sakta ha?

Answer: Nikah perhanay ki chand shara’it hain.jin ka nikah perhanay walay ko khiyaal rakhna wahib hay:
1) ehtiyaat e wajib ki bina per nikah ka sighah(jumla) arbi zaban main perha jaay. 2) Nikah perahnay wala qasd e insha rakhta ho.(yani nikah perhanay ki niyat say sighah kahay). 3) Nikah perhanay wala zarori hay k aaqil ho(yani pagal nah ho.) or ehtiyaat e wajib ki bina per na-baligh bhi nah ho. 4) Nikah perhanay wala nikah k waqt merd or aurat ko moayyan(nominate) keray. maslan onka naam lay ya onki taraf ishara karay. 5) Merd or aurat k nikah per razi honay ka ilm ho. 6) Kanwari or rasheeda lerki k baap ya dada ka is nikah per razi honay ka ilm ho.balkeh agar lerki apni zindagi k kamo ko khud mukhtari k saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hay k baap ya dada ki ijazat li jaay. Agar in sharait ka khiyaal nah rakha jay tu nikah sahi nahi hoga (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333-2342)

Print

Id:
5365
Mujtahid:
none Date:

Question: mai 1 larke ko pasand karti hun uska nam waqas hai hum ne apne rishte ko jaiz karne k liye nikha kar liya hai nikha ko 1 saal ho gaya hai par es k bary mai hum 2 k ghar walo ko nhe pata ab hum ghar walo ki marzi se shadi karna chahte hai lakin mari ami tu maan gae hayn par un ki ami nhe maan rhe wo khti hayn k wo qayamat tak nhe maane gi plz hum bohat pareshaan hai har tarha se koshish kar k dekh li hay par uski ami nhe maan rhe or meri ami khti hayn k us ki ami rishta le k aye gi tu he shadi ho ge warna nhe plz ap muje koi achaa sa wazifa batayn k un ki ami maan jayn plz Allah apka bhala kary or apko ajre azeem ata kary Ameen plz help us plz

Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).
2) kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg # 314).
3) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.)
4) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41)

Print

Id:
5578
Mujtahid:
Date:

Question: kia shia or sunni k darmiyan nika jaiz hy.shia larka ho tou?

Answer: Agar gumhrahi ka khof na ho to sahih he. Al’betta ye nikah tabae tor per in’hein lagoon me se ho sakhta he jo AHL E BAIT a.s. se dushmani rakhne wale na hoon. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, pg # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5732
Mujtahid:
Date:

Question: Kya zana k bad nekah jaiz ha k ni ? or ager zina koi larka jis ki shadi nhe hoi or larki b shadi shuda na ho ? kindly give me feed back according to Quran References

Answer: Is sawal k kahein pahlau hein 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. 2)Agar koe shakhs aik aisi aurat se zina karay jo talaq raj’e ki iddat ghuzaar rahi ho to ethiat e wajib ki bina per wo aurat us per haram ho jati he. 3)Agar kisi aisi aurat se zina karey jo muta ya talaq e baa’in ya wafaat ki iddat ya wati e shubah ki iddat ghuzaar rahi ho to baad me is k saath nikah kar sakhta hain. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2363 , 2364). Was-salam

Print

Id:
5829
Mujtahid:
Date:

Question: aslam o alikom,mara sawaal hai k sunni tariqa ka nikkah or shia tariqa nikkah mai kya farq hai

Answer: Sunni nikah to parha ja sakta hai magar shia tareeqay sai parha gya nikah hi sahi ho ga. yani sunni nikah krnay k baad larki halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5841
Mujtahid:
Ayatulaha Sistani Date:

Question: Asslamualekum, I am A syed Shia Married to sunni girl my Nikkah was been done by the Moulana Of Sunni sect, My question is my Nikah with this is girl is okay in islam Plz advise. Regards,

Answer: Sunni nikah to parha ja sakta hai magar shia tareeqay sai parha gya nikah hi sahi ho ga. yani sunni nikah krnay k baad larki halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5852
Mujtahid:
sayd mulana sistani sahib Date:

Question: YA ALI MADAD,MULANA SISTANI SAHIB is it permited in islam that a sayad shia girl marry with a non syad shia boy give me reply with any example is there any immam who marry their daughter with non syed kindly reply me i will wait for your humble reply God bless u

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5853
Mujtahid:
sayd mulana sistani sahib Date:

Question: YA ALI MADAD,MULANA SISTANI SAHIB is it permited in islam that a sayad shia girl marry with a non syad shia boy give me reply God bless u

Answer: Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-32).

Print

Id:
5882
Mujtahid:
nikah Date:

Question: assalam alaikum, janab main ye poochna chahta hun ki nikah ke waqt ladka ya ladki ke kisi ristedar ka hona jaroori hai .rishtedar ki gawahi na hone se nikah nahi hota hai kya.

Answer: Nikah k liay ghawahoon ki koe zurart nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335)

Laikin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.

Print

Id:
5913
Mujtahid:
Date:

Question: assalam-o-alaikum!main ek baaligh larki hun meri umer 17 saal hai mere parents ki marzi se meri engagemnt hoi or 2 saal bad shadi tay hui pr mere ghrwalon ko larke k ghrwale samajh nahi aye to unhone engagement torne ka irada kia and phir maine or mere fiancy ne nikah karlia phir 2 mahine bad ghr main bataya mere ghrwale meri talaaq karwana chahte hain main ye hr giz nahi chahti or ek taraf mere maa bap hain jo kisi surat raazi nahi hain or jab main unhen manane ki koshish karti hun to tension se unki tabyat kaharab hone lagti hai main bht ziada parishan hun or khamosh bhi q k main kuch bol b nahi sakti ab main kia karon?maa bap ko b nahi choor sakti na apne shauhar ko ...sharyat k hisab se mujhe kia karna chahye??

Answer: Aap ka nikah hi sahi nahi he q k kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).

Wazifa :
Hazrat moosa (a.s.) ne apnai shadi k lie surah qasas ki ayat # 24 (rab’bi in’ni . . . . . . faqeerun)ki tilawat ki thi k in ki shadi ho gye lihaza mard apnay lie aur aurat apnay lie parh sakhte he. (ref : kitab naway salaheen pg # 406)

Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5918
Mujtahid:
Date:

Question: kya ek pathan ladke se syed ki ladki shadi ho sakti hai?

Answer: Shia Sayed merd ka nikah ghiar syed shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5924
Mujtahid:
Imam Abu Hanif (Sunnii) Date:

Question: As-salam alaikum wa rahamatullahi wa barkatuhu! I am Sunni and my beloved is also Sunni. We deeply love eachother and want to get married. But she belongs to Syed family whereas i am from Ansari family.And, she is from Pakistan and me from Nepal.We can not stay happy without eachothers. The problem lies with her family as they will not accept me because i belong to an Ansari family. So, please do me suggest how can we convince her parents to get married? We are in touch via e-mail since last 3 years. Please do us reply with priority as both of us are very tense on the matter.

Answer: Note : Is website per faqa e jaffaria ka jawabat diay jatay hein.

Sayed merd ka nikah ghair syed aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221).

Print

Id:
5959
Mujtahid:
nikah Date:

Question: AOA janab me ek ladki se pyar karta hu lekin vo hidu hain uska divorce ho chuka hain or uski ek 5 saal ki ladki hain ukke vo islaam apnane ko bhi tayiyaar namaz or quran sikne ko bhi tayiyaar hain or uski ladki shaadi ke baad apne nana nani ke pass hi raheg to kya ye nikkah jaiej hoga quran ke mutabik pls jaldi answer dijiyega

Answer: 1)Musalman mard kafir e ghair kitabi(maslan Hindo) orat se shadi nahi kar sakhta laikin agar wo aurat musalman ho jaye to shadi karna jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362)

2) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5984
Mujtahid:
Date:

Question: main ek larki ko pasand karta hon aur main us se nikah karna chahta hon larki aur us ka baap raazi hai lekin larki ki maa razi nahi ho rahi hai us k liye main kiya karon plz help me

Answer: Larki ki maa ki ijazat zaruri nahi hai, ahr larki ka walid razi hai to nikah hojayega. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2342).Update on dated 02-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
6005
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salam Walidain ki marzi se mera mere 1st cousin se 3 saal pehlay rishta tay kar dia gaya tha. Guzishta saal hamara nikkah Pakistan mein hona tha magar kareebi rishtedar ki mautt ki waja say nahi ho saka to mein family k sath wapis agai. Abb shadi 2012 k akhir mein tay pai hai. To kia aik doosray ko samajhnay ki liay sirf baat cheet ki hadd tak hum muttah kar saktay hein? Hamara permanent nikkah Pakistan mein ho hoga jo k aik saal baad tay hai. Kia is soorat mein jub k sub kuch walidain ki apni marzi se tay hua hai aur shadi ki tareekh bhi tay hai mein baghair apnay walid se poochay mutah kar sakti hoon? Yaad rahay k kisi bhi physical relation k baghair sirf baat cheet ki had tak hi karna chahtay hein hum aur is ki hadd permanent nikkah tak rakhna chahtay hein hum. Mein 24 saal ki bashaoor larki hoon aur mere fiance 28 saal k basahoor insan. Hum dono ko islami values ka bohat khayal hai isi liay apni baat cheet ko bhi halal karna chahtay hein. Society ki waja say mein apnay father ya mother say shadi ki baat nahi kar sakti. Kindly batayye k is silsilay mein kia hukum hai. Walaikum Salam

Answer: Wssalam o alykum, kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah(chahe daaemi ho ya mutaah) nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari na ho to us k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hai.(kawari na hone ka matlb ye hai k aisi larki jo talaaq yafta ho ya bewah ho or us ke shohar ne os kay sath hambistari/jima(intercourse)kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho, agar zinaa ya aisay hi kisi kaam se oska kawaraypan khatam hua ho tu ye kawari hi kehlaay gi.).
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeeh_ul_masail, Edition#31th, masla#2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6025
Mujtahid:
kisi ki nai ki abi tak Date:

Question: Kya Aik SYED SHia Lerka Aik GhairSyed Shia Lerki say Nikkah ker sekta hay ... Aayma(ASWS) k fermaan ki Roshnai mein Dallel dain ? Bohat Shukriya

Answer: G han jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 23-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
6060
Mujtahid:
ayatullah seestani Date:

Question: 1..doosri shadi k liye pehli beevi ki ijazat zaroori hy ya nahi.. 2..waledain ka kharch zaroori hy ya beevi ka jabkeh mere pas kharch dena sirf ek komomkin hy or beevi nafarmaan bhi hy.. 3..faalnama nikala hy k talaaq doon ya na doon quraan k zreye wahan par yes aya hy to kia fareeza hy..

Answer: 1)-Dusri shadi k liay pehli biwi sai ijazat lena zaroori nahi hai.(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part# 3, sawaal# 105,pg# 53) 2) Biwi ki rihaish,giza,libaas aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai chahe wo na_farman bhi ho lekin agar orat mard ko hmbistry ya jinsi lazzaton ky silsile men nafarman ho or uski khwahish puri na karti ho to akhrajat shohar per wajib nahi hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2376) 3) Is hawale faalnama lena durust nahi hai.(Book: Istikharah Quraan, Edition # 01) Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
6107
Mujtahid:
Date:

Question: asak maulana main ek ladki se nikah karliya..hum dono apne ghr walo ko nahi bataya nikeh ke bare me..kya main kuch din baad fir se apne validen ke samne usi ladki se nikah karsakta hu??kya ye jaaez hai nikah par nikah karna???jaldi se responce dijiye ap plz

Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).
2) Agar aap ka pehla nikah tamaam shra,it k saath hoa tha tu dosray nikah ki koe ehmiyat nahi hay or sirif logo ko dikhanay k liay aisa kerna jaiz hoga. (Ref: email rcvd from A.Sistani(d.b), Dated:Oct 6, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6135
Mujtahid:
khufia nikah Date:

Question: may aik bayva aurat thi... aur mayray mian ki pheli biwi bhi hai abhi.. par wo hum dono say he buhat piyar bhi karta hai aur respect bhi..mayra sawal hai k may aur mayra mian phelay miltay rahay hain aik dosaray say .. nikah k baghair... magar ab hum dono nay Allah k dar say toba ki hai aur khufia nikah kar liya hai .. baghair ghavahun k .. tu kia Allah Talah hamara nikah qabool kar layen gay k nhi??

Answer: Agar aap nay nikah islam k tariqay say parha hai to sahi hai yani nikah k seeghay or dosri sharait ka khiyaal rakha tha tu nikah sahi hay. Nikah main gawaho ka hona or nikah ka aylaan kerna wajib nahi hay balkeh mustahab hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6178
Mujtahid:
Date:

Question: assalam alaikum,sir mujhe janna hai ki main jis ladki se pyar karta hun uske saath main bauhat baar sex kiya aur main uske baad usse shaadi karli,main jaanta hun shaadi se pehle zina haraam hai,per maine usse shaadi karli hai,to kya tarika hai ki maine jo shaadi se pehle sex kiya uski maafi maangne ka,plz mujhe jaldi reply karen ? allah hafiz

Answer: Agar koi shakhs kisi aisi aurat se zina karay jo be sohar ho to ethiat e wajib ki bina per toba karnay se pehlay os se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2364)
2)Toba karein Parwar digaar ne quran me waadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiay. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6179
Mujtahid:
Date:

Question: assalam alaikum,jee main janna chahta hun ki maine apne ghar mein bina bataye apni girlfriend se shaadi karli hai aur woh muslim hai aur main bhi,us waqt mere ghar waale rishte se inkaar kar rahe the to hum dono ne nikah kar liya,per ab mere ghar waale hum dono ki shaadi ke liye maan gaye hain,to meri usi ladki se 6 month baad shaadi hai,to kya main usse dobara nikah kar sakta hun ? plz mujhe jaldi reply karen.....allah hafiz.

Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.
2)Q k pehlay nikah sahi nahi he is lie dubara karna ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 , 2328-44 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6260
Mujtahid:
Hanifi |Sunny Date:

Question: Mara Dost ka masla yah Hai us ko Apni Bahan Ki Bati ki Bati say payar ho gaya hay wo us shadi karna chahta hay kia yeh Shadi zaiz hay ya Nahi please jawab forn daigay please

Answer: Note : Is website per fiqah e jaffari k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Behen ki baiti mehram hoti hay aur mehram aruto se nikah nahi hosakta. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 90). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6373
Mujtahid:
Ayat ullah Sistani Date:

Question: Salam, kiya koi shakhs aik waqt me 2 behno ko apne nikah me rakh sakta ha?

Answer: Agar koe shakhs kisi aurat se shadi karay to to chahae wo daimi nikah karay ya muta karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behen se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6387
Mujtahid:
Date:

Question: kiya shiya aur deobund ki shadi jaiz hai ager han to hawala dain.

Answer: Agar gumrahi ka khof na ho to jaiz he. Albatta ye faqat wohi loog ho saktay hain jo Ahl e Bait a.s. se dushmani rakhnay walay na ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, pg # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6397
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum, mufti sahib ek na mahram larki mujh se bahut love krti hy, mgr islam es ki ijazat nai deta, btaen main kia krun? Os ka dil toor dun? Aur wo larki mujh se shadi b krna chahti hy, mgr wo rich family se aur main ghareeb family se, sb se bari bat main married hun, mre 3 bache b hain, larki ki family nai mane gi shadi k leye, btaen main kia krun?

Answer: 1)Aik se zaid shadi karna riwayaat ki roshni me mustahab he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53).

2) agar wo kawari nahi hay tu aap ko ijazat hay k os k wali(baap ya dada) ki ijzat k baghair bhi os se shadi ker saktay hain.laikin agar wo lerki kawari ho tu yaad rahay k kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6490
Mujtahid:
Sistani Sahab Date:

Question: Aga sahab, Mairi wife say mairay taaluqat kuch achay nahi hai or woh apnay ghar ja baithi hai or na to mai us say contact karna chahta ho, in halaat mai mujhay dar hai k mai kisi gunah mai mubtila na ho jao, keya mai Mutah kar sakta ho? agar kar sakta ho to mujhay koi aisa idar bata dejiye jo muta k leye aurat or mard k seghay parhtay hain Shukriya

Answer: 1)Aik se zaid nikah(daimi/mutaa) karna riwayat ki roshni me mustahab he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53)
2) Nikah k seeghay khud bhi perhay jasaktay hain or is k liay kisi dosray ko wakeel bhi banaya jaskta hay.laikin ehtiyaat e wajib ye hay k nikah ka seegha arbi zaban main perha jay or agar merd or aurat sheegha arbi main nah perh saktay hoon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain. .(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2335).
3) Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6504
Mujtahid:
Date:

Question: Agr 2 logu ki mojudgi mein nikah parhaya jae to nikah sakit ho jata ha chahe registration na b ho?

Answer: Nikah karney me gawahoon aur registration ki zurarat nahi he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print