Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Muta (273 Questions)


Showing 0- 50 questions from 273 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
143
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-22

Question: what is mutta ?

Answer: Muta Quran or hadees ki roshni men nikah ki ek qism hai, Or is k zariye mard or orat ek dusre per halal hojate hen, Muta ek aysa nikah hai jis men izdiwaj (shadi) ki muddat moayyan ho, misaal k taur per orat k sath ek ghante ya ek din ya ek mahine ya ek saal ya is se ziyada wqt k liye nikah kiya jaey.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # Brfore the masla # 2328, First paragraph or Nikah k Ahkam). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: salam aga sahab please mujhay MUTTA kay baray main sharait batadain , lerkay or lerki donon kay father ki ijazat zurori hay wagaira wagaira

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
272
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-29

Question: kya muta kisi non-muslim sai jaiz hai shohar apni biwi kai kon kon sai jism kai hisson ko bosa de sakta hai kya shohar biwi kai saath peeche sai jama kar sakta hai is sai nikah to nahi tootta agar koi apni sharamgah ko mani na nikalne ki niat sai harkat de aur sirf lazzat kai liye to kia use gunah mile ga

Answer: A.Sistani kay nazdeek ,Yahoodi aur eesai aurtoon say muta karnay main koi haraj nahi laikin aihtiyat-e-lazim ki bina par un say daaimi aqd na kiya jaey aur majoosi aurat say aihtiyat-e-wajib ki bina par nikah hatta kay muta bhi nahi karna chahiye aur baaz firqay masalan naasibi jo apnay aap ko musalmaan samajhtay hain kuffaar kay hukum main hain aur musalmaan mard aur aurtain un kay saath daaimi ya ghair daaimi nikah nahi kar saktay aur yehi hukum murtad ka hay...Aurat ki marzi kay baghair peechay say jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki marzi kay saath bhi shadeed makrooh hay laikin is say nikah batil nahi hota(toot-ta).mard aurat say mutaaraf jinsi lazzaat hasil kar sakta hay (masalan bosa dena) laikin ghair mutaaraf lazzaat (masalan peechay say jima karna) kay liye aurat ka raazi hona zaroori hay...Agar uzu-e-tanasul ko harkat dena mani nikalnay ka sabab na banay to aihtiyat-e-lazim ki bina par aisa karna jaiz nahi hay aur agar mani nikalnay ka sabab banay to haram hay.Ref:I-44,I-38,I-39,Tauzeehul Masail Masala No.2357. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: kya kisi non-muslim kai saath muta jaiez hai agar koi shaks apni wife kai saath peeche sai jaama kare to nikah toot jaata hai agar koi apni shramgah ko sirf lazzzat kai liyeh harkat de aur maani nikalne ki niyyat naho aur maani nikle hi nahi to gunah mile ga? wsalam

Answer: A.Sistani kay nazdeek ,Yahoodi aur eesai aurtoon say muta karnay main koi haraj nahi laikin aihtiyat-e-lazim ki bina par un say daaimi aqd na kiya jaey aur majoosi aurat say aihtiyat-e-wajib ki bina par nikah hatta kay muta bhi nahi karna chahiye aur baaz firqay masalan naasibi jo apnay aap ko musalmaan samajhtay hain kuffaar kay hukum main hain aur musalmaan mard aur aurtain un kay saath daaimi ya ghair daaimi nikah nahi kar saktay aur yehi hukum murtad ka hay...Aurat ki marzi kay baghair peechay say jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki marzi kay saath bhi shadeed makrooh hay laikin is say nikah batil nahi hota(toot-ta).mard aurat say mutaaraf jinsi lazzaat hasil kar sakta hay (masalan bosa dena) laikin ghair mutaaraf lazzaat (masalan peechay say jima karna) kay liye aurat ka raazi hona zaroori hay...Agar uzu-e-tanasul ko harkat dena mani nikalnay ka sabab na banay to aihtiyat-e-lazim ki bina par aisa karna jaiz nahi hay aur agar mani nikalnay ka sabab banay to haram hay.Ref:I-44,I-38,I-39,Tauzeehul Masail Masala No.2357. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
633
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: mujhe muta k baray may aap say tafseel say kuch baatine poochni hien, jo mien chahti hun k personal rahien, website per post na hon, kia yeh mumkin hai k aap mujhe apna email add day dien jiss per mien aap say un maslo ka hal pooch sakon? buhat shukria!!!!!!

Answer: Salam un alaikum,
Agar aap apna personal sawal bhaijna chahti hein to isi website par post kar sakti hein. Ham aap ko us ka jawab private mail key through daingay. Sawal mein personal question aur apna email address mention kijye ga.

Print

Id:
634
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-03

Question: assalam aliekum, mien agah e sistani ki muqallid hun aur un k fatwaon ki roshni may kuch sawaalat hien jin ka jawaab jaana chahti hun, i wil appreciate your help in this regard, i study in a university where i have made a friend, his name is "A" he is a shia too and he insists k hamara iss tarha saath rehna uthna baithna canteen jaana etc sahi nai sharai lihaaz say,iss liay woh chahta hai k hum muta kar lien, mien iss situation k hawalay say aap say poochna chahti hun k : 1)muta k process kia hoga? kia kissi waqeel ki zaroorat hai? i mean k agah sistani k waqeel say riju karna parayga ya sirf woh jo siga hai tawzeeh ul masaail may ussay parhna kaafi hai? kia kissi gawah ki zaroorat bhi hoti hai? koi written document bhi banana parta hai?please kindly tell me the whole procedure cont...

Answer: 1)Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335)
2)Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2379). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
955
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya syed larki ghair syed larkay se shadi karsakti hai ??????

Answer: Jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
995
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia syed virgin girl muta ker sakthi hai ak non syed boy say plz reply me on my mailing address i will be very thankful to u Allah hafiz

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1000
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam, my question is "Is it allowed to do a muttah with such a female who is already married & still in nikah of her husband.. what are the types of females with whom muttah is haram?" Thanks

Answer: It is not allowed to do a muttah with such a female who is married and still in nikah of her husband. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1060
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: kia shadi ki raat photo session ker ne lia aik din ka muta kia ja sakta hai nikah honay se pehlay?

Answer: 1)Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335)
2) Nikah e daimi se pehle agar muta ki muddat baqi ho tu shohar muta ki muddat baksh ker hi nikah daimi ker sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1069
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a janab kia ak girl jis kay father aur grand father zinda na hoo apni merzi say mutha ker sakthi hai? thanks allah hafiz

Answer: Jaiz hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2374). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1083
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a janab mera sawal hai kay kia syed shia lerki(virgin) ak non syed boy say mutha ker sakthi hai?ager aus ko zina ka der ho tho

Answer: 1-Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335)
2- Syeda shia aurat ka nikah daimi (ya nikah e muta) ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
1094
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: my question is related about mutah.. mahar ke minimum amount kitne hay ya nikah parhtay waqt mutah k lia mahar rakhna zaroore hay? or Ager kise aesee larke say mutah kia jaraha hay k jo shia nahi per muslim hay Jaisay memon or sunni wagaera So is k saath mutah kernay k lia us k father ya grandfather ke permission layna hoge??

Answer: 1)Nikah e Muta se pehle Meher or muddat ka taey kerna zaruri hai, Meher ki koi moayyan miqdaar nahi hai, Albatta ye zaruri hai k itna kam nah ho k us ki koi maaliyat hi nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 287 , Eidition 1427 hij).
2) Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1131
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AoA muje muta kerna hai is ki kya condition hai aur muta k lyah kis say contact keray

Answer: Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2379). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1245
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam u alaikum, i m 39 yr old married and have female friend of 40 yr she is divorced and she become my friend can i do muta with her

Answer: yes, you can.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1760
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: A.O.A. Maulana sahab, mera aap se sawal yeh hai k, taqreeban 6 mahinay pehle, mene is larki seh muttah kia tha(kunwari), humnay tauzeeh parhi thi and us meh Father ya grand father ki ijazat ko nai paya tha and usi k bagair humnay muttah ker lia tha. Baad me, abhi mujhe pata chala hay k Father ya Grand Father ki ijazat zaruri hay Muttah k liyeh. Ab Muttah ka duration bhi khatam hogaya hay. Kia hamara Muttah Sahi tha(Q k hamain nai maloom tha)? Agar nahin tha, to abhi humein kia kerna chahyeh? and iski istigfaar kia hogi?

Answer: Agar aap ne tehqeeq kerli or aap ko pata nahi chala k larki k walid ki ijazat zaruri hoti hai to is surat men imkaan hai k ap gunahgar na hon, albtta jese hi apko ilm hojaye to aap k liay zaruri hai k us orat se juda hojaen, or orat k liay zaruri hai k 3 haiz tak intazar kare us k baad kisi se bhi nikah ker sakti hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 567, Eidition 1417 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1830
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Mian aik larki say muta karna chahta ho. Wo balig hai aur sumjhdar bhi. Lakin kunwari hai. Us kay father ya koi bhi is baat k liye razi nahi. Aur ye khatra bhi hai k agar muta na howa to gunnah ho sakta hai. to is halat main father ki permission k bagair muta kia ja sakta hai?

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1855
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam o alykum, Agha sistani kay mutabiq agar larki khud mukhtar ho tab bhi ayetiyat e wajib ki bina par uss kay baap ya dada say ijazat layna zaroori hay. meray sawal yeh hay kay doosray mujtahid is kay baray mein ki hukum daytay hein, and can u please give website address of other mujtahid. Thanks

Answer: Ayat ul Allah Waheed Khurasani ka nazriya ye hay k nikah k liay kunwari rashida lerki ko ehtiyaat ki bina per wali ki ijazat zarori hay, Balke Ayatullah Ishaq e Fayaz ka tu fatwa hay k kanwari lerki k liay os k wali ki ijazat zarori hay. , yani chahe larki khud mukhtar ho ay na ho, har surat men apne wali ki iajazat zarorat hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341)(Ref:Ayat Ullah Waheed Khurasani (d.b), Tauzee hul masael, Edition# 1425,Mafhoom e Maslah # 2440)(Ref:Ayat Ullah Ishaq Fayaz(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 1st,Mafhoom e Maslah # before 2519). Update on dated 25-05-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1884
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AOA, I want to do MUTTA with my colleague office girl who is shia. We both are agree on this. I just want to ask that is there any restriction in our shria to do this actShall we do this again. Please reply. Wasalam.

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1888
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kiya aik hi larki se bar bar muta kia ja sakta hai.

Answer: Jee haan , jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2396). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1895
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: What is the difference between Mutta and Zina, how one can discriminate between the two?

Answer: Muta Quran or hadees ki roshni men nikah ki qism hai, Or is k zariye mard or aurat ek dusre per halal hojate hen, Or Zina aik haram kaam hay or gunah e kabira hay. Jo faraq nikah or zina main hay wohi faraq muta or zina main hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # Brfore the masla # 2328, First paragraph or Nikah k Ahkam). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1902
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Hi Mujhey Yeh Janna Hai Ka Muttha Kissi Aiseyy Shaadi Shudda Aurat Se Hoo Sakkta Hai Jis Ka Husband Us Ka Jismani Haq Ada Na Kerta Hoo Aur Woh Apney Bachoo Ki Khatir Us Ko Chorna Na Chahti Hoo.Baqi Us Ka Dil Mai Apney Husband Ka Liye Koi Jagha Nahe. Aur Aurat Age Se Bari Hoo Aur mujh Se Payar Bhi Kerti Hoo Aur Mai Bhi Us Se Sachey Dil Se Payar Kerta Hoo. Reply Me Jaldi.

Answer: Shohardaar aurat se nikah (Muta ya daimi aqd) karna Haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1971
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam, jab fixed time marraige yaane muttah khatam hota hai tab iddah period kitna hota hai?aur kya mutah khatam hone ke baad yeh iddah dono admi aur arat dono ko rakhna chahiye ya sirf aurat ko?plzz jald se jald jawab dijeaga..muta me iddah period kitna hai..khuda hafiz

Answer: Muta ki iddat 2 haiz mukammal ho jana hay, or iddat faqat aurat k k liay hoti hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 574, Eidition 1417 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar larki divorcee ho,uska aik beta hai par rehti hai apne maa baap ke ghar par..usske maa baap usska n usske bete ka kharcha chala rahe hai..toh kya woh bigair ijazat mutaa kar sakti hai?

Answer: Jee haan is aurat ko Muta kerne k liay kisi se ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2009
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam, kia husband biwi ki ijazat ke baghair ghair mulk me ahle kitab orat se mutah kar sakta he?biwi ki ijazat zarori nahi?

Answer: Jee nahi Musalman biwi k hote hue mard ehle kitab aurat se muta nahi ker sakta Hatta k agar musalman biwi ijazat bhi dede tab bhi ehtiyat e wajib ki bina per ehl e kitab aurat se muta nahi kiya ja sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2014
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I am 21 year old and want to do mutah with a girl. She wants to do it too but shes afraid of asking her father because she thinks that our future of getting married permenantly would be in danger and her father will not allow it cause the idea of mutah is pretty much alien here. Shes a virgin right now. Theres a great of possibilty of us falling into sin if we dont do mutah. But shes afraid to ask her father. Can we do it without the permission of his father because i dont have any other option. Please help!

Answer: If a girl has reached the age of bulugh and is virgin and mature (i.e. she can decide what is in her own interest) wishes to marry, she should, obtain permission from her father or paternal grandfather, and if she may be looking after her own affairs it is obligatory precaution for her also to get permission from them . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341). Update on dated 27-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2030
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam kia aurat mutaa main ye shart rakh sakti hai k mard us se sirf baat cheet ki hud tak rahe ga us ko haath bhi nahe lagae ga or koi lazat bhi hasil nahe ker sakta sirf baat cheet ho gi kia aurat ye is tarha ki shart rakh sakti hai? plz jald se jald batian plz ager mail na bhi ho sake tub bhi aap apni website pe answer likh dain main check ker lon ga per jald jawab dain emergency hai thanks..

Answer: Jaiz hay or jis k stah shart ki gae hay os per is ki pabandi kerna wajib hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #250 , Eidition 1427 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2093
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Non virgin larki kya father ki permission k bagair muta kar sakti hai?

Answer: Jee nahi Jaiz nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2102
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Can we do muttah for 1 hour?

Answer: Yes, You Can do mutta for 1 hour. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah # after masla # 2372 in the paragraph of Nikah k Ahkam). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2143
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: plz tell me what is the basic meaning of mutta?

Answer: Is lafz ki asal matlab “Faaida uthana”.(Rasool Akram(s.a.w.w) k zamane men ye lafz Us nikah k liye Bola jata tha jo kuch Muddat k liay kiya jata tha).( Ref : Lughat-e-Arab, Book : Almunjid, Pg # 945). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2156
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir can any shia girl perform mutha with sunni boy

Answer: Jab tak Sunni larka ya larki Nikah e Muta k Sharee hone ka aqeeda na rakhen tab tak kisi sunni larke ya larki k liye Nikah e muta waqe nahi hoga.(yani sahi nahi hoga).(Ref:Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2166
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam-o-Alaikum... Meri Engagement 2 saal pehley ho chuki hai... per abhi b dono side kuch financial problums ki bina per 1 saal oor shahid mumkin nahi... kiu k dono side ki family chahti hai k dhoom sey hi shadi hooo. but mera sawal ye hai k mujy gunah ka dar hai to kia mey apni mangitar sey mutta kr skta hun? but condition ye hain k karki k parents permission nahi deingey... per larki khud raazi hai.... plz tell me

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2187
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam mera sawal ye hai k faqat Sexual Desire k liye Mutah kia jasakta hai???

Answer: Jee haan.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2327
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam kia hum kisi ghar shia larki k sath muta-a kar k mubashrat kar saktay hain agr wo razi ho tu.plz ans early

Answer: Jab tak Sunni larka ya larki Nikah e Mutta k Sharee hone ka aqeeda na rakhen tab tak kisi sunni larke ya larki k liay Nikah e mutta waqe nahi hoga.(yani sahi nahi hoga).(Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11) Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
2449
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: tell me about muttah either we can read it in urdu?if we want to do muttah

Answer: Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-5). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2484
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: salamo alaukum mera sawal hai ki mai jis larki se sadi karna chahta hu use sadi hone me hum dono ki famliy ne 1year ka time rakha hai aur hum dono ko aisa lagraha hai ki hum dono se koe gunah n hojae ish liy mai Mutah karna chahta hu iske liye uske father raji hai to ap batae ki mutah kiase ho ga ish ke liy kiya karna hoga

Answer: Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke.
1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha.
2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai,
3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335)
4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey.
5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2379). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2498
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a molana kia muta ke be edat hothi hai?ager hai tho kitni?

Answer: Muta ki iddat do haiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 574, Eidition 1417 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2555
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: what is the process of nikkh e muttah and what are the rules of nikkah e muttah

Answer: Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke.
1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha.
2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai,
3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335)
4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey.
5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-5). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2568
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AOA, hazrat aaj kal k dor main mera kheyal hai k koe bhi maa bap apni aulad ko agar larki virgin hai khabi bhe mutha ke ijazat nahien dain ge or na hi larke ko Or na hi oulad shram ke wjha se ye bat apne waldain se kar saktey hain is masle ka koe hal batain mere khyal main istherh zada log gunha ke teraf nahien chale jain ge.

Answer: Mahol har jaga ka ek jesa Nahi hota Mukhtalif ilaqon men mukhtalif qism ka mahol paya jata hai lehaza ye zaruri nahi hai k mahol ki waja se share`at ka hukm badal jaey,lehaza ye walden se ijazat lene ka hukm bhi sirf us larki k liay hai jo kunwari bhi ho or uska wali (bap or dada) bhi mojud ho, albatta aisi larki jo kunwari na ho jesa koi bewah ho ya wo orat jo talaq yaafta ho or os k shohar ne osse hambistari bhi ki ho, isi tarah wo kunwari larki jiska wali mojood nah ho, inko nikah-e- daimi ya muta kerne k liye kisi se ijazart lena zaruri nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2342). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2594
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Iam a married woman, can i do a Muta with my husband permission?? He cannot perform sex fully therefore he allow me to do muta with a sunne man. Can i do ?

Answer: Jee Nahi, Ye jaiz nahi hai, chahe shohar aap ko iski ijazat hi Q nah dede.(Ref: Ayat-ul-Allah Khoie (db),Tauzeeh-ul-masaail, pg#355,360). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2863
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam nikah e mutah ki full detail mujhey send karain kia is ka saboot quran main hay

Answer: Quran Men Suran e Nisa ki Ayat# 24 men iska shara`ee or jaiz hona sabit hay. Or iska tareeka ye hai k.
1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha.
2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne liye perh raha ho to baligh bhi hona zurari hai,
3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad kr rahe hen)
4. Nikah Mutta parhne se pehle Muttah ki muddat or Mehar taye ker liya jaey.
5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-5). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3127
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam. My questions is that Can I do Mutah with Suni Virgin Girl without getting permission from her Father or Grand Father, if we both decided to do only oral (by hands) and not doing humbistari. Thanks.

Answer: If a girl has reached the age of bulugh and is virgin and mature (i.e. she can decide what is in her own interest) wishes to marry, she should, obtain permission from her father or paternal grandfather, although she may be looking after her own affairs. It is not, however, necessary for her to obtain permission from her mother or brother.
In the following situations, it will not be necessary for a woman to seek the permission of her father or paternal grandfather, before getting married:
1. If she is not a virgin.
2. If she is a virgin, but her father or paternal grandfather refuse to grant permission to her for marrying a man who is compatible to her in the eyes of Shariah, as well as custom.
3. If the father and the grandfather are not in any way willing to participate in the marriage.
4. If they are not in a capacity to give their consent, like in the case of mental illness etc.
5. If it is not possible to obtain their permission because of their absence, or such other reasons, and the woman is eager to get married urgently. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2341-42). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3741
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mutaa kintay age mai aur kisi bhe girl friend se ki jaati hai? agar dono razi hai..

Answer: 1-Muta e nikah men umar ki koi pabandi nahi hay, Na baligh ka nikah bhi ho sakhta he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2340).
2-Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335)
3-Na-baligh larki se nikah os k wali(baap ya dada) ki ijazat se sahi hoga laikin jab tak larki ki umar qamri 9 saal nah ho jaey tab tak us k saath jima (hambistari ) karna haram he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2374). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4759
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: mere sath meri girl friend hai aaj raat ka liye aur muj se gunah hone ka khatra hai ..to kya me khud uss k sath ek raat ke liya mutaa pad sakta hoon??

Answer: wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4807
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: hum ne muttha kya hai, and condition thi ke ause kids nai chahiye aur mei ne bi kisi se nai kaha hai ke mei muttha se hoon ab hamaal thaair gaya hai kya mei ais hamaal ko khataam karne ka haq rakhti hoon aur meri shadi aagle six months ke baad hai hamaal ke doraan kitne period mei bache mei rooh jaan aati hai please define me urgently.

Answer: 1-Qarar e nutfa ( mani k rehem main thehernay ) k bad isqaat e hamal jaiz nahi he, magar ye khoof ho k keh hamal ka baqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsandah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho to isqaat jaiz hai, lekin hamal main jaan perhne k bad bachche ka zaya kerna jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35, Jadeed Masaail, Mafhoom e Maslah # 73).
2-Taqriban 4 maah main janeen main rooh phoonk di jati hay.(Ref: Risalah # amaliya, syed mujtaba husseini, Q#462, pg#253). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kya professional (prostitute) se muttha jaiiz hai agar wo iddaat ke leye razi ho?

Answer: Chahe wo iddat k liay razi ho ya na ho, Professional (prostitute (matlb jo zina-kar mashoor ho) se mutta kerna ehtiyat e wajib ki bina per jaiz nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 261, Eidition 1417 hij). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4824
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam o alykum kia muttah jaiz hai aur yah kis halat main jaiz kiya gaya hai aur quran_o_hedas say iss ka jawad chahiya?

Answer: Jee haan islami main Muta jaiz hai or sharee haisiyat rakhta hai, or Rasool Akram (s.a.w.w) k zamane men raaij tha or Quraan majeed men Bhi Surah Nisa Ki Ayat#24 men zikr mojood hai.(Ref: Tafseer e Namoona Vol # 03, Pg # 241-242-243). Update on dated 22-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4898
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: can i have mutha with same lady again and again without her completion of iddah, if i have comit this in past was it halal. can i have mutah without permission of my wife

Answer: Yes , you can. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2396+Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 202 , Eidition 1417 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4950
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.. mera sawal ye hay k kia mutta bgher intercourse k b ho sakta hay ? means hm intercorse nae krna chahtay tau kia mutta jaiz hay ? or bgher intercourse k mutta mai b baap ya dada ki ijazat chahye ?? plz reply zrur kr dain e mail adress pay..

Answer: Jee haan, Baghair intercourse or lazzat hasil kerne k bhi muta ho sakta hay, Ab Chahe muta Intercourse kerne k liay kiya jaey ya ayse hi jis men intercourse ki niyat nah ho, dono suraton men agar wo larki aisi Kunwari ho jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5167
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir meri shadi ko 3 saal ho gy hain mery husbnd uk hoty hain kuch majburiyon ki waja sy abi wo pakistan ni aa skty.hm dono mutah nikah krna chahty hain.main ny suna hai k shadi shuda larki mutah ni kr skti.bt mian krna chahti hn.is k liye mujy kya krna pary ga?plz tel me as soon as posible.mery husbnd ka b boht dil hai k main kr lon.

Answer: Wo aurat jo kisi k nikah men ho uske liye shadi (nikah e daimi ya nikah e mutaa) kerna haram hai. Jab k aap k shohar k liay muta karna jaiz he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print