Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Muta (273 Questions)


Showing 100- 150 questions from 273 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
52829
Mujtahid:
agha sastani Date:

Question: salam agha mera sawl hy k kya ye haram hoga kisi na meram sy call pr baat krna ek dosre k body k bare me sawl krna jb k wo ek dosre sy shadi krna chahty hn? or dosra sawl hy k agr bap na ho or larki unmried boy sy mota krna chahti ho sirf es niyat sy k jb wo ed dosre ko sky pe cam pr dekhy to wo galat na ho to kya bahi ki ijazt leni pare gi jb k wo chota ho ya mama ki ijazat ka hona zariri hy or agr en dono sy h ijazat na li jaye tu kya mota ho sakta hy plz help me

Answer: Jee haan na-mehram se phone per is tarah ki guftugu kerna haram hai Q k is surat men gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai, chahe ap apas men shadi ka irada hi Q nah rakhte hon, (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Bk # Nigah or Libaas, Ed # 01,Mafhoom e Sawal # 84, Pg # 60) Agr larki ka wali (baap ya dada) in dono men se koi bhi zinda nah ho to is surat men larki ko nikah kerne k liay kisi se bhi ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 06-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
53057
Mujtahid:
Date:

Question: agha siastani to whom I follow assalam u alaikum.is it permissible to do mutta with prostitute.if yes then plz tell what are the conditions like is it necessary to take permission from her father or is it necessary that she should repent and leave prostitution.

Answer: Marrying a woman who is known publicly as an adulterer is not permissible as a measure of precaution except after repentance (tawbah). (Ref: AYatullah sistani d.b, Mafhoom e http://www.alulbayt.com/rulings/11.htm ). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
53496
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alekum ,kia jis sai mutaa kia ho tou kia us sai nikah ho sakta hai ya nahi

Answer: Jee Haan osi orat se permanent nikah ho sakta hai lekin ye zaruri hai k muta ki muddat jo un k darmiya tay hui thi wo khatam ho chuki ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2396). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53509
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal yeh hai kai kiya main apni shadi shuda dost ki biwi kai sath MUTAH kar sakta ho. aur mjhe kiya karna ho ga plz plz mjhe batatiq

Answer: Jee nahi, aap shadi shuda aurat jab k wo kisi k nikah main ho os se Muta e nikah nahi kr sakte Q k Shadi shuda aurat se shadi karna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53564
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Kia Waqee Shia Mutta Kartay Hain .Main Khudd Bhi Shia Hoon Meri Umer37 Saal Hi Main Nay Aj Tk Mutta Hotay Huay Nahi Sunna Kia Yeh Chhup Kr Kia Jata Hi ....

Answer: Jee haan bilkul shia hazraat main muta kerna jaiz hay is liay k ye deen men mojud hai or balkeh khud Rasool-e-Akram or Moula Ali a.s k zamamne men muta kiya jata tha or ise chhup ker anjam nahi balke sare aam nikah ki tarah hi anjam diya jata tha magar Ahl-e-sunnat k nazdeek ye jaiz nahi hai is liye muashre men mashoor nahi hay or bohot kam shia is ko sab k saamne zahir kiay baghair anjam dete hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53733
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Can I make "Muta" with sister in law or Sali (she is divorced) and I am living with my wife and daughter.

Answer: Jee nahi aap apni Sali se Mutta nahi kar sakte is liay k jab tak aap ki bivi aap k nikah men mojood hen tab tak aap apni saali se muta nahi ker sakte.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2355). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
54020
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamoalikum. kaya islam mian mutta jaiz hy..? Mutta "kuch arsay k liye nikha karna" And plz ans me with raf.. ws

Answer: Jee haan muta jaiz. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
54505
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam.Sir mera ya sawal hai maina muta kiya hai or humna sigha urdu main parha tha tou kya hamra muta jais hai ya galat??

Answer: Agar baqi sari sharten mukamal hain tu ager lerka lerki arbi main sahi segha nah perh sakte hoon tu arabi k alawa kisi or zabaan main sigha parh sakte hain laikin zarori hay k dono ese alfaaz istemaal karain jo k arabi k alfaz (zawwajto or qabilto) ka mafhoom ada kar dain ya ager larki kanwari ho to us k wali yani baap ya dada ki ijazat shart hai to muta sahi hai, or Agar koi ek shart bhi kam ho to muta batil hojaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
54650
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam o. Alaikum Sir mene ek larki se muttah Ki hai jo kuwari virgin hai or khud mukhtar bhi Dada foat hochuka hai or walid yaha nahe hai or yaha se jatey Howe larki ko kaha tha ke Jo teeg lagey wo Karo mere taraf se ijazad hai lekin ab kisi waja se ijazad Lena mumkin nahe tho Kia hamara muttah howa hai ya nahe?

Answer: Ye muta sahi hai Agr nikah ki or baqi sharten mojood theen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2342-2335). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
57592
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, There is a Sunni virgin girl who has converted to shia but she has not disclosed to her family that she has converted. I want to ask can she and I do mutah? Her father is alive but she doesn't depend upon her father instead her mother has the authority to make decisions in her home. Your prompt response will be highly appreciated.

Answer: Wssalam o alykum, According to ehtiyaat e wajib, it is not allowed without the permission of her father and without the condition of nikah e muta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335 , 2341 , 2342). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60447
Mujtahid:
Date:

Question: kisi bhe larki say muta kia ja sakta hay? kwah wo bhan ho ya beti? is ki kia shtait hain?

Answer: Muta nikah hi ki aik qism hai bas jis tarah behn,beti se nikah kerna haram hai isi tarah behan,beti se muta kerna bhi haram hai balkeh tamaam mehram, orto se nikah kerna haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62232
Mujtahid:
Date:

Question: sawal ye hy k ak ourat apnain hasbend sy divorce chahti hy ho wo shaks ussy chornain ko tayyar ni inka fisical relation b ni raha wo nafrat karnain lagi hy ussy par wo talaq ni de raha inteqaman kia wo orat nikkah mn rehty hwe mutta kar sakti hy?

Answer: Shadi shuda aurat jo kisi k nikah main ho nikah e muta nahi ker sakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62425
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A muslim man already have muslim wife. Men also to do Mutah with girl Ahlulkitab as before married he was with same girl Ahlulkitab. What is terms & conditions?

Answer: For a Muslim man to marry a woman from Ahlul Kitab permanently is against the compulsory precaution in any circumstance. And his temporary marriage to a Jewish or a Christian woman is allowed, only if he is not already married to a Muslim wife. If he has a Muslim wife, temporary marriage with an Ahlul Kitab woman is not permissible without her consent; nay, even with her consent, it is not permissible, based on compulsory precaution. (Ref: http://www.sistani.com/english/qa/01245/ ). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66235
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar esi aurat se mutah kiya jae jou 2 mahene phele kisi k sath hambistiri kar chuki ho tou yeh amal zina khelaega yah jaez ?

Answer: Zina kerne wali aurat k sath muta jaiz hay, laikin jab wo zina main mash,hoor ho tu ehtiyaat e lazim ye hay k os se oski tauba k se pehle muta nah kia jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #261 , Eidition 1427 hij). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66257
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya muta ghar muslim k sath kiya ja sakta hai ? main ek lady (jo bewa hai) us se muta karna cahta hun.... kya ye ghar muslim se jayaz hai ? or agar hai to us k liye kya ahkam h kya rolls follow karne paden ge or jo us k doran surah padha jata hai vo janna cahta hun plz puli details mere Emal me send kar den bohat meherbani hogi ... shukriya

Answer: 1)Musalman merd Ehl e kitab(Esae or yahodi) aurat se muta ker sakta hay. Agar musalman merd ki biwi ho musalman mard ehle kitab aurat se muta nahi ker sakta Hatta k agar musalman biwi ijazat bhi dede tab bhi ehtiyat e wajib ki bina per ehl e kitab aurat se muta nahi ker sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362).
2) Muta ki mazeed malomaat k liay is link per click karain.http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/.
Update on dated 08-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66994
Mujtahid:
Date:

Question: AOA me 19 year ki larki hon or china me rehti hon study k ly mere waha mazeed 3 saal study k baqi ha me ap se pochna chahti hon kia me waha mutah kar sakti hon jis ko me pasand krti hon wo b pakistan se he hai or me apne ghar p kisi ko bta b ni sakti apne walid ko na walida ko. me gunah se bachne k ly ye sab soch rhe hon ap meri madat kare

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
67247
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Meray husband 28/28 rotation pay russia may kam kertay hain.russia mai bohat khobsoorat women hain.meray husband wahan mutah kerna chahtey hain.kiya aik healthy biwi ki presence may Meray husband sirf is liya mutah kr saktey hai kay russian women bohat beautiful hain.pl mujhey reply karain.main bohat pareshan hoon.pl Ya bih clear karain mard ko kin conditions may mutah allow kiya giya hay.jub kay aap ki family aur bachey bih hoon.kiya Un ko meri pemission ki zaroorat nahi hay.please please reply me In detail

Answer: 1-Musalman Merd kafir auraton sai mutah ya daimi nikah nahi ker sakta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362).
2-Agar wo aurat musalman ho tu phir os se mutah kerne k liay biwi ki ijazat ki zarorat nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah #201, eidition # 1st ). Update on dated 23-09-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68234
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa, sawal hai k main europe gya hu wahan py mujhy contract marriage krni pari jab k main pakistan main pehly say shadi shuda hu ab jo europe wali larki hai woh sex k liye majboor krti hai aur main kafi bar us k sath sub kuch kr chuka hu...to kiya yeh zina hai kyun k woh non-muslium hai.

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par musalman biwi k hotay huway ehle kitab(esai aur yahodi) say mutah\nikah nahi keya jaskta.(ref:jadid fiqhi masail,ayatollah Sistani d.b.,masla#401). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68242
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam u alikum, mai poochna chahta hoon jaisy kay mai nay kuch karachi ke imam bargaho kay pumphlits waghera deakhy hain jis mai baakira(kunwari) larkiyo ko dawat di jati hai ijtemai mutta ke or unka kunwara pan khtn karwaya jata hai? mai ahl e tashi nahe hoon par mai ek ahl e tashi sai shadi kar raha hoon uske taraf sai bhe mujhy koe khaas acha jwb nhe mila, kia aap log waqai esa karty hain? agar karty hain to q? ham sab muslman hain yeh to zina hai? mery kuch dost bhe or mai nay bhe jo research ke hai usky mutabiq yeh sab taqiya kar k chupaya jata hai? mai boht pareshan hoon mere madad karain..Ham sab muslim hain , kia sab shia girls yeh ghadeer or ashoora mai karti hain?

Answer: 1)Sab se pehli baat tu ye hay k jis nabi(s.a.w.w) k fermaan k mutabiq hum nikah e daimi ko halal maante hain, osi nabi(s.a.w.w) ne muta(ghair daimi nikah) ko halal kia hay. Jab daimi nikah ko zina nahi kaha jasakta tu phir muta ko zina kese keh sakte hain? Kia nabi(s.a.w.w) ko maloom nahi tha k muta, zina hay? Sahaba(r.a) ne bhi muta kia tha,yaah tak k nabi(s.a.w.w) ki wafaat k baad bhi doosri khilafat main bhi muta kerte rahe. Kia aap sahaba se zida jaante hain.Muta nabi(s.a.w.w) ne halal kia tha is per kisi musalman ko ikhtelaaf nahi sunni shia sab maante hain.Laikin Hazrat umar ne apni khilafat k chand saalo k baad is muta ko haram qaraar day dia, kia kisi shaks ko nabi(s.a.w.w) k halal ko haram kerne ka haq hay, chahay wo koe bhi ho?hum shia hazraat ka ye aqida hay k nabi(s.a.w.w) ki halal kerda cheez qiyamat tak halal rahe gi or nabi(s.a.w.w) ki haram kerda cheez qiyamat tak haram rahe gi.
2)Ye sarasar shia hazraat per bohtaan hay k wo muharram jaise soog k mahine main nikah ya muta kerte hain. Hamare ilm main koe aisa shia nahi jo muharram k mahine main nikah(daimi ya ghair daimi) kerta ho. Or ye azeem tohmat hay k muharram main imam baargaaho main kanwari lerkio ko muta ki ijtimae dawat di jati hay? Haan Imam hussain a.s k gham manane k liay pori dunya main majalis hoti hain. khawateen ki bhi majalis hoti hain.Ye faqat shia hazraat se door rakhne k liay fasadi mullaoon ki koe sazish hay. Aap khud jaa ker tehqeeq o tasdeeq ker saktay hain. Aap ka ye sawaal bhi ajeb hay k kia sab shia lerkiyaan muta kerti hain? Tu is ka jawaab ye hay k nahi, aisa nahi hay, Q k muta bhi nikah ki aik qism hay, is main bhi nikah ki sharait zarori hain. Nikah ki sharait main se aik ye bhi hay agar lerki kanwari ho tu wo apne baap ya dada ki ijazat k baghair nikah nahi ker sakti. Is liay aksar lerkiyaan muta nahi ker sakteen, jis tarah wo daimi nikah bhi nahi ker sakteen. Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68273
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam u alikum, muhtaram mai nay mutta sai related sawal pucha tha aap nay mujhy jawab diya MA SHA ALLAH ap apny aqeeday kay lihaz sai durust hain , Huzoor ek pal ko sochain ek larki nay 100 mardo sai muta kiya ho phr woh kisi ke peramnent bv bany to kia insani zameer ijazat day ga? Mutta ka concept ghazwat mai tha jo 6 maheeny sai bhe ziada chalty thy gali muhally kay tarsy hoye larki larko kay liye nahe, second ap nay ashoora ka jawab diya kay ashoora mai imam bargaho mai esa nhe hota mai agree karta hoon q kay woh IMAM HUSSAIN (R.A) ke shahadat hai islam ke tareekh ka siyah baab hai, par karachi kay he ek zaakir ka dawat nama tha mery paas ijtemai muttah kay liye dawat di ja rahe the woh bhe ek he jagah par or woh bhe kunwari larkiyo ko, Ashora mai esa krna to dusrust hai bhe nahe ap mujhy sath sath yeh bhe btayen kay ghadeer mai raat ko hota hai phr esa agar ahsora mai nhe hota to? ghadeer to jashan hota hai na? to hamary area ke girls ghadeer ke raat ko imam bargah jaty hoye q kehti hain khushi sai aaj to woh raat hai Etc. Muhtaram mai koe firqa waariyat nahe khail raha par mera zameer mujhy malamat karta hai or mai boht pareshan hoon q kay mere shadi us sai honi hai jo ek asna e ashri shia girl hai or har haal mai us sai honi hai. Shukria jawab ka intezar karun ga

Answer: 1)Aap apne is ayteraaz ko muta per hi Q daal rahe hain, kia jis aurat ne talaq k baad nikah e daimi kia ho or is terah wo khuch baar dulhan ban chuki ho tu os per bhi yehi ayteraaz kia jasakta hay ya nahi?
2)Aap ne jo muta k kerne ki wajah bayan ki hay hazrat umar ne bhi yehi soch ker nabi(s.a.w.w) k halal ko haram ker diya tha, or aap ehle sunnat ki tareekh ki kitab “tibri” main perh sakte hain k on per jab ye ilzam lagaya k aap ne nabi(s.a.w.w) k halal ko haram kia tu jawab ye diya k “ is ki zarorat ghazwaat main perhti thi ab is ki koe zarorat nahi, agar kisi ko 3 din k muta ki khahish ho tu wo nikah kare or teen din baad talaq de de. Ye yaad rahe k ye qayaas hay or sab se pehl;e qayaas shaitan ne kia tha k main aadam ko sajdah nahi karoon ga Q k main aag se bana hoon or ye aadam matti se, is liay main afzal hoon. Or main pehle bhi keh chuka hoon k aap nabi(s.a.w.w) or sahaba(r.a) se ziyada samjhdaar hain, jabbir bin abdulah ansari ka bayaan hay k ham aik muthi gandum day ker khateen se muta kia kerte thay yaah tak k hazrat umar ka door aya tu onho ne apni marzi se is se mana ker diya or kaha k jo muta kare ga main os ko korhe maroon ga. Or hazrat ali (a.s) ka fermaan hay k “ agar umar muta se logo ko mana nah kerta tu qiyamat tak siwaay badbakht insan k koe bhi zina nah kerta”. Saaf baat ye hay k jo nabi(s.a.w.w) ki hadees k khilaaf fatwa ya raey(view) day tu os ki baat or paishab baraber hain.
3)Muta aik jaiz amal hay, agar ghadeer jaise khushi k din main bhi koe aurat muta kare tu ye koe ayteraaz ki baat nahi. Laikin ham phir aap ko wazeeh ker dain pore karachi main is terah se dawat e muta di ja rahi ho, ye baat ghalat hay. Aap khud ja ker wahan tasdeeq ker sakte hain. Aap ko koe bohot sakht ghalat fehmi hoe hay. Aap kisi bhi shia shaks se is k bare main poch sakte hain.Update on dated 22-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70202
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aik mard ne aik larki se mutah kya aur muddat 2 saal rakhi likin kuch wujuhaat ki wajah se 1 month me mard ko muddat bakshni pari, ab is me larki k lie iddat k kya masail hai? aur kya ye ye mard aur larki dubara mutah kar skhte hai? rujuh k kya masail laagu hunge is situation per

Answer: 1)Agar muta ki muddat hambistari ker k baad bakhsh di jaey tu aurat ko mukammal 2 haiz iddat rakhni hogi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah #259, eidition # 1st ).

2) Merd ye ker sakta hay k jis aurat k sath os ne pehle muta kia ho or abhi oski iddat khatam nah hoe ho ho, os se daimi nikah ker lay ya dobara muta ker lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396). Update on dated 07.0316. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70791
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mene ik larki se mutah kya. Kuch waqt baad kuch wujuhaat ko wajah se mene use hosh O hawas me 3 martaba kaha "me tumhe muddat bakhshta hun" us din 20 March 2016 taqreeban 5 bje the. Hm ne Hum bistri nhi ki or Hm ne shart rakhi thi k Hm koi physical relation nhi rakhenge or aesa ho kya. Ab Hm chahte ha k Hm phr se mutah Karlen. To kya Hm dubara mutah kr sakhte ha? Larki ko 2 baar haiz nhi hua ha.

Answer: Jis lerki se muta kia ho agar os k sath hambistari nah ki ho tu os aurat per iddat nahi hay,or os se dobara muta kerna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396,2479). Update on dated 27.04.16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72774
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr Larki Parents ki Ijazat k baghair mutah kr chuki ho tou yeh Gunnah hai? Jaise k mene mndrja zail jawabat mein parha k agr larki khud mukhtar ho.. Khud mukhtar honay se kya muraad hai? Aur agr mutah Walid ki ijazat k baghair krliya jaye tou? Agr Walid aese hon k woh bacho ko support nahi karte.. Bachpn se ley kr aj tk un ho ne koi Walid waala farz na nibhaya ho.. Aese walid ki ijazat k baghair mutah kara jaye tou jaiz hai.. Aur agr krliya ho tou na jaiz hai? Please thora explain kr kr k bta deyn

Answer: Jo ladki sin bulugh ko pohanch chuuki ho aur rashida ho ya’ni apna bura bhala samajh sakti ho agar wo shaadi karna chaahe aur konwaari ho aur apni zindagi ke umoor khud mukhtaari se anjaam na deti ho to ose chahiay keh apne baap se ijaazat le. Balkeh ehtayaat-e- waajib ki bina par yahi hukum os ke liay bhi hai jo khud mukhtaari se apni zindagi ke kaamon ko anjaam deti ho.
Haan baap os mard ke sathh ose shaadi karne ke liay ijaazat na dete hoon jo urfan wa shar’an os ka hampalla ho ya baap beti ke shaadi ke m’amle mein kisi tarah shareek hone ke liay raazi na ho to on tamaam suuraton mein on se ijaazat lgaeea laazim nahin hai. jis jagha aurat k lie baab se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat lie beghair nikah kare to us ka nikah batil hai laikin agar baap baad me ijazat de de to nikah sahe ho jaay gha. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)(ref: sistani.org,arbi,oliya ade nikah ,que:4 ). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73029
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ma nay kuch saal pehlay muttah keya tha aik baiwa say, in salo may kahi bar mujh say mutah may wo ghalateya ho gai jo nhi honi cheya the or us ghalateyo ki wajha say mutah toota or phir kr leya. mujhay nhi pata is may zinah hua yah nhi. pr agar is may koi bhe zina k ansar ha to ma us zina k against us ki talafi is dunyah may krna chahta ho. mujhay muafi k ilawa is ki saza bataya. ma ghair shadi shuda ho.

Answer: aap ka sawaal wazeh nahi. muta main kia ghalti hoe or muta kis terah toota, ye wazeh karain.

Print

Id:
73053
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aik larkay ne aik larki se mutah kya aur kuch waqt baad inho ne aik dusre ko muddat khatam hune se pehle baksh di. kuch waqt baad inhen pata chala k jo mutah inho ne kya tha wo ghalat hai q k inho ne larki k walid se ijazat nhe li thi. to is mutah k baray me kya kaha jayega. kya wo mutah huwa tha? kya larki ko iddat puri karni hugi? kya larka larki shaadi kar skhte hai? shart rakhi gye thi k hm bistari nhe karege, hm ne mutah is lie kya tha k batein kare to gunah na mile.

Answer: 1)Jo baligh lerki kanwari ho or apni zindagi k umoor khudmukhtari se anjaam nah daiti ho tu agar wo shadi kerna chahay tu apany baap ya dada se ijazat lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341). Update on dated 24-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2) ye muta durust nahi tha, or is k baad iddat ki zarorat nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #259 , Eidition 1427 hij). Update on dated 24-08-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73070
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: kya shadi shuda aurat sy mutah jaiz ha?

Answer: jaiz nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael,
Mafhoom e Maslah #2411). Update on dated 25-08-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73081
Mujtahid:
Date:

Question: 1.mutah ka zayada sy zayada period kitna ha mai ny 5- years parha ha net pay? 2. and mutah mai childrens paida karna lazmi ha ya childrens na be paida karain to theak ha? 3. mutah agar divorced larki sy keya jai to phr us larki ho kis ki ejazat ke zarorat hoti ha?

Answer: 1)Muta ki muddat aurat or mard ki ya dono main se aik ki umar se ziyada nahi honi chahiay.
2)Muta main bachay paida kerna lazim nahi hay.
3)Jo lerki kanwari nah ho os ko nikah(muta ya daimi) k liay ki wali(baap ya dada) ki ijazat ki zarorat nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #b/f2328,2389,2342). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74565
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, ager kisi larki sey mutah kiya jaye or mutah ki muddat khatam hojaye or ushi larki sey dobara mutah karna ho tou jaoz hai ya nahi?

Answer: Merd ye ker sakta hay k jis aurat k sath os ne pehle muta kia ho or abhi oski iddat khatam nah hoe ho ho, os se daimi nikah ker lay ya dobara muta ker lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74881
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam. Mera sawal tha k kia christians sy mutta kia ja skta hai?

Answer: 1)Muslman mardoo ka ahl e kitab(yahoodi aur christian) auratoo sai mutah krnay mai koi haraj nhi hai lekin agr us masalman mard ki koe musalman biwi mojud ho to phir muslman bivi ki ijazat se bhi ehtiyaat e wajib ki bina per ehl e kitab se muta jaiz nahi hay. 2) wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362, 2341. 2328-2335). Update on dated 29-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75714
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam. Maine jis aurat se mutah kia tha uski muddat khatam hone se pehle kch halaat ki wajah se mene uspe baqi muddat baksh di thee. Ab hum dobara rujo krna chah rhe hain. Iska kya tareeqa hai ? Kya aurat ko pehle seeghe ki iddat poori krni hogi?

Answer: Merd ye ker sakta hay k jis aurat k sath os ne pehle muta kia ho or abhi oski iddat khatam nah hoe ho ho, os se daimi nikah ker lay ya dobara muta ker lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396). Update on dated 20-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77178
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Muttah kerne k baad Mars or aurat nikkah ker sakhte haen? Ager WO dono ak dusre ko pasand kerne lagain?qoitrat

Answer: Nikah e muta ki muddat khatam hone per ya phir bakhsh dainay k baad osi aurat se daimi nikah kia jasakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2473). Update on dated 16-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77685
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mai ek Hindu ladki hun meri age 28 hai,or ek shia ladke se nikah karna chahti hun, ham mutha par k 3 saal se uske sath reh rahi hun, or puri tarah Islam ko maan chuki or 5 waqt ki namaz parti hun, lekin us ladke k ghar waalo ne jabardasti 3 mahine pahle shadi karva di ,uski mammy ki tbyt kharab ho gai thi,isly mere saamne uski shadi ho gai,or usne mana kiya shadi k liye tb bhi koi nahi mana,jis ladki se uski shadi hui hai usko bhi usne bta diya tha ki usko shadi nahi karna h use, ladke ne kisi ko dhoka nahi diya hai, or ham hamare ghar waalo ko bta nahi skte hai, ager bta dete to WO log hame alag kar dete, jis ladki se shadi hui hai ladke ki WO uske sath nahi rhna chahta hai na usko marzi hai na dil hai,WO shadi k baad bhi mere sath he reh raha hai, or mai mutha par chuki hun or abhi pregnant hun, or nikah karna chahti hun, lekin mere maa baap tyar nahi honge , kya mai nikah kar skti hun. or ladka us ladki se alag hona chahta hai, wah kis tarah ho skta hai ? ab mai bhi dil se syed shia ho chuki hun. mai Allah ko maanti hun, ab mai kya karu, maa baap ka dil dukha nahi skte ham, isle ladke ne shadi kar li.iska koi rasta bataiye plz..

Answer: Agar aap muta k waqt musalman theen tu aap ka muta durust shumaar hoga, or Lerka aap ko muta ki baaqi muddat maaf ker k aap se osi waqt nikah e daaimi(permanent marriage) ker sakta hay, yani iddat guzaarne ki bhi zarorat nahi hogi. Doosri bivi ko talaq daina bhi lazim nahi hay. Update on dated 31-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82293
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar aik aurat kisi shakhs k muta mai ho or wohi sakhsh us aurat se daimi nikah krle lekin nikah k bad pata chalay k muddat bakhshna zaruri tha to kia nikah batil hojayga or seghe dobara parhne hongay ya ilm honay k bad b mudat bakhshi jaskti hai jb k niyyat to yhi thi k ab mustaqil mian bv ban.nay jarhay hain? Jawab jaldi araaal farmayega jazakAllah

Answer: Jab ilm ho jaey tu muddat bakhshay or dobara nikah kare. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, maslah#249). Update on dated 27-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84694
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kiya shadi shuda orat jo k apny shohar se mutmaen na ho or zina se bachny k liye or apni pakdamni barkrar rakhny k liye muta parh sakti hai...??

Answer: jab tak aurat kisi k nikah men hay kisi or say nikah ya mutah nahi kr sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2365 ). Update on dated 30-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86687
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia marid orat mutha kar sakti ha ajar us ka husband 4 sal saa barone mulk ha

Answer: Jee nahi, jo aurat kisi k nikah main ho tu us k liay jaiz nahi hai k wo kisi or mard se nikah kare. Or shohar k k liay jaiz nahi hay ap. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88983
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mai pochna chati hon k nikah murrah k bhd lrki ki zrooriat zndgi pura krna us lrky ki zmadari ma ata ha ya ni

Answer: Nikah e muta main shohar k zimme bivi ki zaroriyaat zindagi pora kerna zimmedari men nhi aata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2388). Update on dated 30-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Muta kis se Jaiz hai?

Answer: Jis say nikah e daimi jaiz hay us say muta bhi jaiz hay or ehl e kitab say nikah e daimi jaiz nahi hay lekin muta jaiz hay or jis mard k nikah men muslim aurat ho wo apni biwi ki ijazat k baghair ehl e kitab khawateen say muta nahi ker sakta hay or agar biwi ki ijazat ho to bina bar ehtiyaat jaiz nahi hay. Ref:(https://www.sistani.org/urdu/qa/18551/). Update on dated 30-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92127
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Muttah ki muddat bakhshne ke liye kya karna hoga? Kya padhna hoga?

Answer: Bas yeh kehna kaafi hay k main baqi muddat bakhshta hoon. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, part# 03,Mafhoom e Maslah #575 ). Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93004
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-14

Question: Salam o Alaikum , I send money to a girl who I know for some time for to get married, when she received the money ... I asked her by typing in Chat that 'In the name of Allah , do you accept me as a husband ' and she replied 'Yes she accept'..., we spent some a year together ... was that counted as a correct Mutta ,.

Answer: Nahi, Message par nikah durust nahi hai q k seegho ko talaffuz karna zaroori hai or ehtiyaat e wajib ki binaa par wo seeghay arbi zubaan mai talaffuz kiye jaaye han phone call par seeghay parhay jaa saktey hai. or Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341)(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah no 2335).
[Updated on 14-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93019
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-10

Question: Ya ALI A.S MADDAD Mra Ye Pochna Ayat ullah Seestani Kehte Hain, Agr Larki Kunwari Ho Ya Kunwari Na Ho, R Shadi Krna Bhi Zarori Ho, R Usko Pta Ho Ghar Wale Ijazat Nh Dein Gye, Ya Nh Manein Gye, Tu Us Soorat Mn Us Larki Ko Ijazat Lene Ki Zarort Nahi, Ye Shirt Sirf Shadi Pr Apply Hoti Hai, Ya Mutah Ke Liye Bhi Yehi Shirt Hai

Answer: Agar baap ya dada usay kisi say bhi shadi karnay k liay ijazat nahi detay tu phir ijazat ki zarorat nahi or muta or nikah dono main ijazat zarori hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2342)
[Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93020
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-10

Question: Muzaffar Garh Main Aik Agha Thy Unhon Ne Madrasse Ki Student Se Mutah Kiya Tha, R Us Larki Jis Se Mutah Kiya Unhon Ne Wo 18 Saal Se Kam Thi, Mgr Larki Ne Ijazat Nh Li Thi Ghar Walon Se, R Wo Us Se Hum Bistri Bh Krte Thy, Is Bare Main Tafseel Se Jawab Dijiye, Har Trah Ka Hawala Dijiye, Baroz E Qayamat, Ap HaQ Daar Hun Gye, Agr Mujhy Ap Ne Tafseel Na Batayi Mre Sawaal Ki, Kiyon Ke Ap Ka Kaam Hai Ummat Ko In Maasail Ka Batana, Jo Boht Zarori Hain Talib E Dua Mashhood Hussain

Answer: Larhki say mutah krny ky liay us ka 18 saal hona zarori nahi hy or Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly lekin aghr baap ya dada na ho to kisi sy ijazat lena zarori nahi hy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341)
[Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93021
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-10

Question: Muzaffar Garh Main Aik Agha Thy Unhon Ne Madrasse Ki Student Se Mutah Kiya Tha, R Us Larki Jis Se Mutah Kiya Unhon Ne Wo 18 Saal Se Kam Thi, Mgr Larki Ne Ijazat Nh Li Thi Ghar Walon Se, R Wo Us Se Hum Bistri Bh Krte Thy, Is Bare Main Tafseel Se Jawab Dijiye, Har Trah Ka Hawala Dijiye, Baroz E Qayamat, Ap HaQ Daar Hun Gye, Agr Mujhy Ap Ne Tafseel Na Batayi Mre Sawaal Ki, Kiyon Ke Ap Ka Kaam Hai Ummat Ko In Maasail Ka Batana, Jo Boht Zarori Hain Talib E Dua Mashhood Hussain

Answer: Larki say nikah e mutah ya nikah daimi karnay k liay us ka 18 saal hona zarori nahi hay or Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak larki ka Baap ya Dada larki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtaar ho ehtiyaat ki bina par yehi hukum hay k apnay walid ya dada say ijazat lay lekin agar baap ya dada nah hoon to kisi say ijazat lena zarori nahi hy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341)
[Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93254
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-23

Question: agar muttah kiya ho aur larki ki passand na ho tou jahiz hai? agar muttah khtm karna ho tou koi ayat parhni hoti hai?

Answer: Agar mutta kartay waqt larki raazi thi to mutta sahi hai or mutta men talaq nahi hoti balkeh muddat poori honay say khatam ho jata hay ya larka baqi muddat maaf karta hay, muta ki mauddat bakshne k liay ye kaafi hay k larka ye kahe keh main aap ko muta ki muddat bakhsta hoon tu is tarah kehne se muta khatam ho jaey ga or larki ko qobool karne ki zarorat nahi hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #575 ).
[Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93255
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-23

Question: muta kaise toota hai? larki ya larka kn torta hai? agar ek raazi nhi ho torne ke liye tou kaise tora gaye?

Answer: Mutta men talaq nahi hoti balkeh muta muddat poori honay say khatam ho jata hay ya larka baqi muddat maaf karta hay lekin larki khatam nahi kar sakti.muta ki muddat bakshne main larki ka raazi hona zarori nahi hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #575 ).
[Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93286
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-24

Question: Kya mutah k liye molvie, ya ksi wakeel ka hona zrori h, ya lrka lrki khud b parh skty hen?

Answer: khud bhi parha jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2334).
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93396
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-06

Question: I am engaged to a virgin girl. Is it permissible to do mutah with her without permission of her father if I don't have sexual intercourse with her at all. Just to talk to her and express love

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341)
[Updated on 06-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95624
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam o alaikum mera sawal hae mein ek musalman hu mere 4 bache or ek biwi hae mein bht achi zindagi guzar raha hu. Meri adat hae mein logo ki madad karta hu, Mene ek Eesai Ehle Kitab orat ke bete ka ilaj karwaya jo ke muje pasand bi thi, phir hum dono ko apas me mohabbat ho gai or muje uske kam ana acha lagne laga or wo bi mujpar pura bharosa karne lagi, is doran agar me us se shadi karna chahu to muje bataein kia tarika ha, wese usne muje kaha hae wo muje apna shohar tasleem karti ha jese mein uske or bache ke kam ata hu. wo or mein koi gunah nahi chahte kiuke wo bi pakiza khaslat or mein bi. Hum dono ek tara nikah karna chahte hn take Allah ke age gunahgar na hon, hamari madad farmaein. Quran mein Surat 5 ayat 5 mein hae ke ap meher de kar ehle kitab ko nikah ki hifazat mein le aa sakte ho ..... Kia mein meher de kar or ijab o kubul kar ke us se nikah ya mutta kar sakta hu. Barahe karam javab dein?

Answer: Yahodi or essa e aurtoon se muta karne main koe haraj nahi or ehtiyaat e lazim ki bina per on se aqd e daaimi nah kia jaey. Wo mard jis ki bivi musalman ho woo s ki ijazat k baghair yahodi ya essa e se nikah (muaqqat yani muta) nahi kar sakta balkeh ehtiyaat e wajib ki bina per os(bivi) ki ijazat say bhi in se nikah(muaqqat yani muta) jaiz nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2362). Update on dated 23-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
97501
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-11

Question: سلام میری اور میری کزن کی منگنی ہو چکی ہے۔ اور اسکے والد نے مجھ سے وعدہ کر رکھا ہے کہ وہ اپنی بیٹی کی شادی میرے ہی ساتھ کرینگے۔ لیکن جب بھی ان سے نکاح کی بات کرتا ہوں تو یہ کہ کر ٹال دیتے ہیں کہ ہوجائے گا نکاح بھی اتنی کیا جلدی ہے۔ لیکن مجھے بہت ڈر ہے کہ ہم دونوں یقینا گناہ میں پڑھ جائینگے۔ اسلئے ہم نے متعہ کرنے کا ارادہ کیا ہے اس شرط کے ساتھ کے ہم لوگ ہمبستری نہیں کرینگے۔ کیا ہم لڑکی کے والد کی مرضی کے بغیر متعہ کرسکتے ہیں؟

Answer: agar larki kunwari ho or mustaqil nah ho tu larki k baap ya dada ki ijaazat hona zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341).
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99176
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-06

Question: Kia esi aurat k jispe ghusl e janabat pehle se wajib ho oska mutah karna jaiz hai?

Answer: Jee agar deegar sharait moujood ho tou nikah/mutah kia jaa sakta hai. (nijasat ki haalat mai na hona) nikah ki sharait mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2335).
[Updated on 06-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100774
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-05

Question: Agar kisi ne 2 saal k liye mutta kia ho mard or aurat ne. Lekin abhi aik saal ki muddat baki rehti ho.. Lekin larki ki shadi kisi or mard k sath 2 mahiny k baad ho, or iss waja sy larka or larki muddat k khatam hony sy pehly mutta khtam karna chahty hon to kya karna chahiye? Halankay abhi aik saal ki muddat baki rehti hai lekin larki ki shadi kisi or k sath do mahiny k bad ho. To muddat k khatam hony sy pehly mutta kaisy khatam kia ja sakta hai? Plzz reply. Zaroor reply kren. Meri dost ka mamla hai.

Answer: is mai larkay ko chahye k wo larki sai kahay k mai ne tumhay baqaaya muddat baksh di. or agar muta k doran hambistari bhi ki ho tu muta k khatam hone k baad 2 mukammal haiz iddat rakhna zarori hogi, os k baad kisis or mard se nikah hoga. or agar hambistari nahi hoe thi tu phir iddat ki zarorat nahi(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2396).
[Updated on 05-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print