Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Gumshuda Shohar (6 Questions)


Showing 0- 6 questions from 6 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
631
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-06-03

Question: ek bivi ka shoher lapatta hogeya hai aur iski bivi kaee saaloon se iska intazzar ker rahi hai,jabkeh iske 4 aur 5 saal ke bache bhi hain aur gher ki zimmadaria bhi hain . kia woh aurat doosari shadi ker sakti hai ya nahain? sharaee toar se woh kitne saal tak intazzar ker sakti hai

Answer: Jis aurat ka shohar lapata ho jaye agr wo dosra shohar karna chahe to zarori hai k mujtahid aadil se ruju kre take wo (halat ka jaiza lekr) is ke masle ko hal kare.(Ref: Ayatullah Sistani d.b,Tauzeehul masael ,Mafhoom e maslah # 2504). Update on dated 04-08-2015. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
56477
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Shohar lapata ho jai tu biwi kab tak intazR made jab walidain shad I karAna change chain kiya kArain

Answer: Jis aurat ka shohar lapata ho jaye agr wo dosra shohar karna chahe to zarori hai k mujtahid aadil se ruju kre take wo (halat ka jaiza lekr) is ke masle ko hal kare.(Ref: Ayatullah Sistani d.b,Tauzeehul masael ,Mafhoom e maslah # 2504). Update on dated 04-08-2015. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
86191
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar kisi ka shohar gayab ho jaye to aurat kitna din tak iddat karegi

Answer: Shohar k gayab hone ki koi iddat nahi hai balkey us ko zinda tasavur kia jaye ga han lekin agar us ko us k shohar ki wafaat ka yaqeen hojata hai tu phir us ko iddat e wafat guzarni hogi us k baad doosri shaadi kar sakti hai.
or agar biwi is shohar k palatne sai mayoos hojaye or doosri shaadi karna chahti ho tou usey chahye k hakim e sharah ki taraf rujoo karey,hakim e sharah apne ikhtiyaraat ka istemaal kartey hoe talaaq k seeghe jaari kardey ga tu us aurat ko phir talaq ki iddat guzaarni hogi iddat khatam honey k baad wo doosri shaadi kar sakti hai. (Ref:Tauzeeh ul masail seestani edition#39, maslah#2427). Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
111810
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Kya sar m oil lgakae gusle janbat hosakta h?

Answer: Sirf chiknahat say koe faraq nahi parhay ga lekin baqaeda tour par itna oil laga huwa hay kay paani k puhanchnay men rukawat hai to usay hatana zarori hoga. (Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat part 04, pg # 26).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121426
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-09

Question: agr Pani bohat kam ho to ghusl e haiz kese Karen ?

Answer: 1: Agar pani kam ho to is se bhi ghusl kiya jaa sakta hai is tarah se ke lambe balon ko na dhoyen Q ke lambe baalon ka dhona zaroori nahin hai, isi tarah chullo me pani le kar bhi ghusl kiya jaa sakta hai, is liye ke ye mustahab bhi hai ke poora ghusl 3 ltr paani me kiya jaye.
2: Ghusl mein un chhote chhote baalon ko jo badan ka juz shumar hote hain dhona zaroori hai aur lambe baalon ka dhona wajib nahin hai balke agar pani ko (sar ki) jild tak is tarah puhnchayen keh lambe baal tar nah hon to ghusl sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #458,480).
[Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122710
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-03

Question: اگر ہم حالت جنابت میں ہو اور غسل سے پہلے ہمیں حیض ہو جائے تو کیا ایسی حالت میں قبرستان جا سکتے ہیں

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print