Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (876 Questions)


Showing 300- 350 questions from 876 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
54681
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Hm dono meyan b.v ma jhgra howa mana kaha ma nahe rehna chate mujhy chor dn to enho na kaha khudh sakhta kay ma tmhen azad karta hn ma tmhen azad karta hn tesre bar azad karta hn keya talak wazah ho gae ma bohat parashsn hn

Answer: ye talaaq sahi nahi hai kun k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Print

Id:
56202
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa! aik masly k hal btaye. hmary czn na apni b.w ko talaq dy di ho r us ki biwi us jaga pa mojood b na ho ......to kiya talaq ho jati ha .....r agr ho jati ha to kiya wo apny dawar sa shadi kr k dobara talaq ly k dobara pahly wally shohar sa shadi kr skti ha??

Answer: Wssalam o alykum, ager bivi ki mojoodgi ke ilawa or baqi talaaq ki tamaam sharait mojood ho (shohar ka apne irade or ikhtiyar se, 2 aadil gawahon ki mojudgi men talaq di ho etc) to talaq ho jayae gi. Jab dewar ki di hoi talaaq ki iddat mukammal kar le to phir dubara apne shohar se shadi kar sakti hai.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , 2475 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
56455
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamoaliakum mujhy, pochna hy k, agr talaq hone,ke bad urat agr edat main nahi bethna chaye tu kiya yeh jaiz hy? Main akelli rehti hun meri bachi boht choti hy mery husband ne mujhy aj email main 3talaqin send ki hain wo baher regresa hin aur mera koi bhi nhi main usi k ghr min apni beti k sath rehti hun min boht pareshan hun ap mujey batin k main edat karon k nahin.

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
Agar sahe talaq de ho to phir aurat k lie iddat rakhna zarori hai. : Aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye hay jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56477
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Shohar lapata ho jai tu biwi kab tak intazR made jab walidain shad I karAna change chain kiya kArain

Answer: Jis aurat ka shohar lapata ho jaye agr wo dosra shohar karna chahe to zarori hai k mujtahid aadil se ruju kre take wo (halat ka jaiza lekr) is ke masle ko hal kare.(Ref: Ayatullah Sistani d.b,Tauzeehul masael ,Mafhoom e maslah # 2504). Update on dated 04-08-2015. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
56683
Mujtahid:
Date:

Question: Aslalamwalekum Court se talak hua hai aur wahi talak 3 bar bolne lagaye hai talak hoke 2 saal hua ab husband fir milna chahte to kya fir se nikha karna chahiye ya hum mil nahi sakte plz madat kariye

Answer: Wssalam o alykum, Ager talaaq ki tamaam sharait hone ki waja se talaaq sahi thi or ap dobara un ke sath zindagi guzaarna chahti hain to nikah ho sakta hai, lekin agr faqt court ki talaq hui thi to phir us wqt se abhi tak apka nikah baqi hai ap ko dubara nikah krne ki zarurt nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2486 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56706
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: shohar agar apni biwi ko bole ke aaj se tera naam mere naam se alag ho gaya uske baad 1 and half year na hi sex kare aur na baat biwi se toh kya unka rishta khatam ho gaya

Answer: G nahi jab tk sahi talaq na ho tb tk rishta khatam nahi hota.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56729
Mujtahid:
Date:

Question: Court se talak hua hai aur wahi 3 bar talak bolwayta hai to kya hamara talak hua hai ya nahi .kya hum fir se ek ho sakte aur kaiae plz bataiye mere email pe jawab dijiye .plz bahut try kari hu jawab jarur dena

Answer: Court k talaq ka shareeat men koi aytbaar or hesiat nahi hai, albatta agr court k sath sath islami talaq bhi apni tmam sharaait k sath hui hai to talaq sahi hogi, is surat men agr Ager iddat ki muddat guzar chuki hai to dubara nikah kar lain, or ager iddat ki muddat baqi hai to ap un ko apni bivi qabool kar ke bageer nikah ke ruju kr sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2486 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57318
Mujtahid:
Date:

Question: aik talaq k baad iddat ki mudat kya hai?? shohar kitny dino ander apni biwi sy ruju kar sakta hai???

Answer: Jis larki ki umar puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho (yani aisi aurat jis ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki umeed bhi nah ho), us ka sohar us se mujameat(hambistari) karey to agar wo usay talaq de to zarori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye he jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ).
Is surat mai dekhna paray ga k talaq kon si di hai talaq e bayen di hai ya talaq e rijei di hai. agar talaq e bayan di hai to mard apni aurat ki taraf roju karnay ka haq nahi rakhta yani ye k baghair nikah dubara osay apni biwi nahi bna sakta. Aur agar talaq e rijei di hai to aurat jab tak iddat mai hoti hai shohar is sai baghair nikah k roju kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2486) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57536
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam.o.alaikum..! Mera name Muhammad Noman Khan hai, or main lahore se taluq rakhta hon. Mera sawal ye hai k "agr husband kisi dosree mulk main ho or wo kxh problms ki waja se apni wife ko tallq dena cahe to wo kese dy ga..? Jub k husband ka apne mulk aana possible nai...? Plzzzzz sir mujhe is question ka answer bta dain. JazakAllah.

Answer: Wssalam o alykum, ager niche di gaae sharait ke sath talaaq di jaae to talaaq sahi hai, 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) na kia ho. 2.talaq zabani(Bol kr) di jaye, yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq(jab shohar de raha ho chahe w kahin bhi ho) do aadil log (jo zahiri tor per gunahgaar na hon, or wajib kamo per amal kertay hon or haram kamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k mard talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq dene par majboor kia jaye tu talaq batil hay.6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472).
Note Behter hai ke problem ko solve karne ki koshish karain or talaaq se guraiz karain Isi liye k riwayat men hai k ye wo jaiz kaam hai jo Allah ko pasand nahi hai.(Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57591
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o allaykun hajart ap se mera sawal ye he ke agar bivi 3 bar talak talak bolde to kya vo rista tut jata he? Ya fir gunah hota he???

Answer: Wssalam o alykum, is se talaaq nahi hoti.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57711
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: a o a sir mra swal ye hey k agr lrki ka nikah zbrdsti krvaya gya ho aur rukhsti b na hoi ho to khula kesy Liya Jay k khula raz rhy kyn k nikah b chnd logo ki mojodgi m hoa th

Answer: khula ki zarorat nahi, Q ke nikah ki shart ye hai k mard or orat nikah pr razi hon, lehaza agr larki nikah per razi nahi hai to ye nikah sahi nahi hai. .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
57763
Mujtahid:
Date:

Question: salam,,, mufti saheb zabardasti talaaq dany sy mutaliq kya ehkaam hain or agr ohrat hamal sy ho tu talaq ho jati ha,,,or ain sbka kya hal ha agr miyan bevi alag na hona chaen plese guide

Answer: Talaaq ki chand sharten hain jin ki pabandi na ki jaye to talaq nahi hoti. 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima (intercourse) na kiya ho. 2. Talaq zabani di jaye yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Print

Id:
57800
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: meri divorce ho chuki hai, mere husband southafrica main hain, or kch sanjeeda wajoohat ki bina per main apne bhai k ghar nhi reh skti, main akele rehna chahti hun, abhi main iddat main or apne bhai k ghar hun , mera sawal ye hai k kia iddat k doran main job kr skti hun or alag reh skti hun, 3 mahiney yahan nikalna mere liye ek azab hai.

Answer: Jaiz hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
57807
Mujtahid:
Date:

Question: Meray husband nay ek bar mj kaha mj cal kro tmhen talaq daydun ga menay cal ki to nh di mj talaq phr ek bar mj 5000 rupay mngwaye documents bnawanay k liya talaq k bt nh bnwaye hr bar yeh kaha mzak kiya h ab b kbh khtay hain men tmhen chor dun ga bt phr mzak men tal daitay hain mj yeh puchna h talaq hui ya nh

Answer: Ye talaaq sahi nahi hai wo ab bhi usi ki bv hai q k talaaq ki chand sharait hain jis me se kuxh ye hai 1) Mard talaaq kay waqt talaaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi 2) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawaho ki maujoodgi main di jaay (Ref: Ayat ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462) Dewer ne Jabran zina kiya ho aur bhabhi razi na hoto to dewar ko mehr-e-misli (in jaisi aurto ko jitna meher aam tor par hota hai) bhabhi ko dena hoga or allah se tauba bhi kerni hogi. (Ref: sistani.org) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
57808
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam o alaikum.Meray husband nay ek bar mj kaha mj cal kro tmhen talaq daydun ga menay cal ki to nh di mj talaq phr ek bar mj 5000 rupay mngwaye documents bnawanay k liya talaq k bt nh bnwaye hr bar yeh kaha mzak kiya h ab b kbh khtay hain men tmhen chor dun ga bt phr mzak men tal daitay hain mj yeh puchna h talaq hui ya nh

Answer: Wssalam o alykum,G nahi talaq nahi hui.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57838
Mujtahid:
Date:

Question: ager housband gussay may 3 talakay day day to ager vo 3 month kay ander ander hambistari kar lay to kia talaq nahi hogi

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
1- Shaded ghusse ki halat main talaq nahi hoti.
2) Agar aik sath 3 talaq di jain tu bhi aik talaq shumaar hogi. Or is talaq main ruju bhi kia jasakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#475,511 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
57873
Mujtahid:
Date:

Question: Assalmuailum. Sir mera saawal hai ke main apne sohar se 3saal tak dur rahi apne maa baap ke paas or mera talak huwa abhi us waqt main haiz ki halat main thi to mujhe ab kya karna chhiye plz jara jaldi batayea main ne aap ko 3 martaba question kiya magar koi jawab nahi mila.

Answer: Wssalam o alykum, ye talaaq sahi nahi hai, or abhi bhi ap un ki zojiyat main hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2633 to 2634 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
58919
Mujtahid:
Date:

Question: Salam. me ne apni bivi ko sirf aik talak di he.. ab me wapis rajoo krna chahta hon. uska tareeka kya he. tafseel se bataye k rajoo k lye mje kya karna hoga or meri wife ko ye rajoo k alfaz zaruri hen ya nah ???

Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
58924
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam alekum. Mera sawal ye hai ki agar kisi aurat me shohar me wafat hogaye hai aur uske baad us aurat ka kamai ka koi zariya nahi hair bachchon ko plane me liye to kiya us aurat pe iddat wazib hai kiya WO apne bachchon ke mustaqbil me liye bahar ja sakti hai

Answer: Iddat e wafaat main ye sab kaam jaiz hain balkeh ghar se bahar nikalna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
58974
Mujtahid:
Date:

Question: Biwi pe koi shart rakhi jae k misal k tor pe tum ne ye kerna ha agar na kia tu samjho talaq ho gai kia biwi wo ne kerti to talaq ho jae ge ya ne, main apni biwi ko guse main aisa keh gia hu please help me, Waiting your response

Answer: Talaq muallaq(conditional) nahi honi chahiay yani kise cheas per moukoof nah ho. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152) .
- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e ''&#1591;&#1575;&#1604;&#1602;'' k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
59401
Mujtahid:
Date:

Question: Salam, mere husband ne mujy ye msg kya Mein tujy Talaq deta hun Mein tujy Talaq deta hun Mein tujhy Talaq deta matlb tisri bar nae likha kuch area bad ek bar yun kha Aj se tm meri tref se azad ho kya in en se Talaq ho gai

Answer: G nahi islami nuqta e nazar se ye talaq sahi nahi hai.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
59466
Mujtahid:
Date:

Question: thariri talq nama par larka ka three sine han r larki ki sine nahe ha to talaq ho gai kia ya bataio ap mujha

Answer: Sign ke hone ya na-hone se talaaq nahi hoti balke talaq k liye uski islami sharaait ka khyal rakhna zaruri hai.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
59512
Mujtahid:
Date:

Question: agar biwi 4 mahine se jyada apne mayeke chali jaye wo bhi ladai karke kya nikah toot jata hai

Answer: Shohar apni jawan biwi sai 4 mahinay sai ziada muddat(time period) k lie hambistari(intercourse) tark nahi kar sakta magar ye k(except) hambistari os k lie nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski biwi khud 4 mahinay sai ziada muddat k liay hambistari tark karnay par razi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382).
jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. Magar ye k koi aham zurarat pesh aye.Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar,e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Biwi ki giza, libas, rehaish aur zandigi ki baqi zarooriat ka intezam sohar par wajib hai. lekin mard ko ye haq nhi k biwi ko gharelo khidmat par majboor kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376-78)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
59680
Mujtahid:
Date:

Question: I just want to ask that if a wife is given the right of divorce by her husband at the time of nikah (as mentioned in nikah nama)...what are the terms and conditions for her to divorce her husband if she needs to do so? can she divorce her husband by saying "talaq" three times?

Answer: Asal islaam men orat ko talaq ka koi haq nahi hai albatta shohar apni marzi se orat ko tafweez de (matlb orat ko apna wakeel bnaye k tum meri taraf se meri wakeel bnakr talaq k seeghe jari kr sakte ho) to ye jaiz hai, albatta orat ka nikah k wqt ye shart krna k talaq ka haq mjhe diya jaye to ye bat shareet k munafi hia is surat men shart batil hai lekin hojane wala nikha sahi hoga, lekin baz suraton men orat shohar se nikah k wqt haq-e-tafweez (is ka matlb upr byan hogaya) talab krti hai to wo baz suraton men(jese shohar safar taweel per chala haye or na lote, ya shohar aysa jurm kre k qaid men chala jaye, ya apni biwi ko ek mahine tak nan-o-nafaqa na de, etc) to jaiz hai harj nhi hai ye shart or nikah sono sahi honge.(Ref : Ayat_ul_Sistani db, Minhaj-ul-saliheen Part#3,Masla # 331-334)(Allah apki tofeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
59776
Mujtahid:
Date:

Question: Mari shadi ho choki ha love marg hoi ha mary susral ma koi razi nh tha mara sawal ye ha k mary susral walo ni mary shuhar sa zabardasti talak dilwai 6 br mo sa bola ha hum dono sat rahna chaty h ab ap batay k hamari talak ho gai k nh?

Answer: Talaaq ke waqt neche bayaan karda tamaam sharait ka hona zarori hai, pas ager talaaq ke waqt tamaam sharait thi to talaq sahi hai, or ager 1 shart bhi kam thi to ab tak ap un ki bivi hain, .1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k mard talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
59822
Mujtahid:
Date:

Question: Meri shaadi 2001 ma hoe thi mery shohar ne mjhe ek baar talaq di 2009 ma ek month k andar hi dubara raju kia phir us ne mjhe dubara ek baar talaaq di phir dubara hum ne raju kr lia dubara nikah nahi hoa 2 saal pehly hum ma alehdigi ho gae aur ma apny parents kay ghar reh rahi hoon 2 saal se ab ma ne us se court k through khula li ha to aisi surat ma mery liye iddat ka kia humak jabkay ma dsry shehar ma job kr rhi hoon apny ghar se door aur mera guzara isi job se hota ha kia idaat k doran ma job nahi kr sakti?

Answer: Ap abhi tak apne shohar ki zojiyat men hen or or dusre ruju k bad faqat alhedgi se talaq nahi hogi or nahi court se li gai talaq khula k zariye talaq hosakti hai, is lihaz se ap bhi tak uski biwi hen or ap k liye koi iddat nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition # 35,Mafhoom e Maslah # 2491). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60384
Mujtahid:
Date:

Question: Wife ko gusse men Mobil pe teen baar talak dediya usne padh liya kya yeh jayej talak hogaya

Answer: G nahi is se talaq nahi hoti q k talaq ki kuch sharten jab tk wo mukamil nah on to talaq nahi hoti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
60433
Mujtahid:
Date:

Question: aslam alikum,, ager sohar ne talaq ki niyat nai ki,na hi zaban se iqrar kiya,,,,,mager farig waqt mn sohor ke dimag mn seethani waswase aen,, tu is ke bare mn kiya hukam ha

Answer: Is ka koi asar nahi hai or ye talaaq nahi hai.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60604
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASSALAM O ALAYKUM IS THE FAMILY MEMBER OR PARENTS OF WIFE HAVE THE RIGHT TO FORBADE WIFE NOT TO TALK TO HER HUSBAND AND CAN WIFE TAKE DIVORCE WEATHER HUSBAND IS NOT WILLING TO GIVE ?

Answer: Wssalam o alykum, they do not have right, and without the permission of husband the divorce can not be given. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335 , 2341 , 2342 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
60672
Mujtahid:
Date:

Question: mai apni bibi ko battaji b badekhlaki ki bajah se mobile se sms kar diya k mai tumhe 3 talak deta hu kiya talak ho gaya

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60827
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: kya edat k duran aurat ka bahir jana jaiz hy or tasaveer banwana jaiz...or kis kis sy milna karna jiaz.plz foran ans dy

Answer: Iddat e wafaat main ye sab kaam jaiz hain balkeh ghar se bahar nikalna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60891
Mujtahid:
Date:

Question: Agar talak sing ki jaya ya gawha ka sing khud kiya jaya to kia talaq ho jati haaaa

Answer: Aise talaq durust nahi hay, balkeh talaq main niche di gaae sharaait ka hona zarori hai, 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k mard talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61436
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam alaikum main Dubai mein rehta hu main phone pe bat karte karte gusse mein. 3 Bar talaq boldiya. Kya mera talaq hogaya hai ya nahi.

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. . (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (ref:Ayat Ullah kohi Tauzee hul masail, maslah# 2508,2517,2507) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61455
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamoalaikum mjh ye pochna tha k mene khula li ha do din phle or aj se iddat shuru krni th asar maghrib k bad lkn mere ayam (haiz) shuru hogae hen to kya is halat me iddat shuru krskti hn? agr nh to kya phr is haiz k bad mjh 3 or haiz pore krne honge?

Answer: Agar talaq k k khuch diar baad haiz aay tu ye aik shumaar ho jata hay or is haiz k baad mazeed do haiz ka or intezaar kia jaey or jaise hi teesra haiz aay gat u aap ki iddat khatam ho jaey gi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1427 hij). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61508
Mujtahid:
Date:

Question: Meri biwi mujhe talaaq chati hai or mai nhi dena chats usne mujhe jhothe dahej mangne ke liye muqadme me phasa diya hai or WO court we talaaq maang rhi BT mai usko kisi bhi halaat me chodna nhi chats kya bina meri merzi ke WO mujhse talaaq me saktu hai

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. . (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (ref:Ayat Ullah kohi Tauzee hul masail, maslah# 2508,2517,2507) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61609
Mujtahid:
Date:

Question: mein ne apni bv ko 3 bar kaha k mein ba hosho hawaas tumhain tillaq deta hoon.mein ne lafz tillaq istemal kiya.lafz talaq istemal nahi kiya.aur mera irada apni wife ko darana tha.tho kiya hamari talaq ho gai hai?

Answer: G nahi ye talaq sahi nahi hai.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61611
Mujtahid:
Date:

Question: Assalawaleikum meri pareshaani hai ke meri biwi 6 mahine pahle mujhse jagdamba karke mayke chali gyi a bhi 1 month pahle mene apne bhai bhai fuffo ke samne bhai ke bhadkane par gusse me apni biwi ko talaq de diya meri talaak hui ya nahi

Answer: G nahi ye talaq nahi hui is liye k talaq k liye zaruri hai k insan apni biwi ko talaq dene ka qasad or irada rakhe, lehaza gusse or bger irade k ya phir kisi or k kehne k talaq waqe nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61687
Mujtahid:
Date:

Question: salam, ager kisi ka shohar 5 saal se qaid / Jail main ho or ane ka koi pata na ho to os bivi ko kia kerna chahye. plz jald jawab den. thanks

Answer: Wssalam o alykum, Mujtahid ke wakeel se mil kar apna masala bayaan karen.(Ref : Aqa Sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 413 , eidition # 5).
Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, her raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaati ul jinaan , topic # Fazilat e Sura e Yaseen , pg # 04 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
61783
Mujtahid:
Date:

Question: tanseekh e nikah ka kya matlab hai

Answer: Tanseekh e nikah ka luggwi matlab Nikah ko khatam kerna. Merd or aurat apne nikah ko chand aib ki sorat main nikah ko faskh ker sakte hain yani baghair talaq diay nikha ko batil ker sakte hain. (Ref: fairozul lughaat jaame new edition, pg#384 + Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2345-6) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61898
Mujtahid:
Date:

Question: assaamolaykum me ye janna chati hu ki me abhi iddat me hu kya me ghar per rah kar online kaam kar sakti hu ? or kaam ke silsile se agar bat karni pare to kya me kisi bhi candidate se phone se ya mail se bat kar sakti hu?

Answer: Iddat e wafaat main ye sab kaam jaiz hain balkeh ghar se bahar nikalna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62022
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam.o.alekum janab mere shohar ne mujy sms pr talaak di hai or ye baat maine apne ghar main kisi ko bata kr sirf immam ko batai thi jis ne hmara nikah kiya tha..unhone mujy kaha k apko talaak hogai hai.main bohut rone lagi.or sub ko maloom hogaya k mere shohar ne talaak dedi.mujy 12 month ho gay the main maike main thi.unhone or un k gharwalo ne mujy chor rakha tha maike main. Or meri talaak ka puri biradri ko maloom ho gaya.jub unhone mujy tallak di pher immam ne mujy bola k talaak ho chuki hai..pher wo log jama ho kr meri sasural gay or unhone pucha k tumne talaak di unhone kaha hai di hai apne hosh hawas main.pher jub unko ehsas hu toh bole k main sakina ko rakhna chata hu halaala kr k pher mere papa ne mana kr diya main mere soharko bohut chahti thi.meri umar 21 saal ki hai.main un k pass jana chati thi pr aysanhi ho saka main 3 month ki iddat ki pher iddat k baad mere pas unki call ati hai..or wo bolte hai k maine gusse main talaak di hai.mujy kuch bataye..k kya sahi hai kya galat.maine zindagi se kuch nhi chaha pr janab mere sath bohut bura hua hai..plz jwb jaldi dena..

Answer: Wssalam o alykum, ap ab abhi un ki Sharan bivi hain, Q k ager niche di gaae sharaait main se 1 shart bhi na ho to talaq nahi hoti yani is k sahi hone main tamaam sharto ka hona zarori hai, 1.talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima(intercourse) na kiya ho, 2.talaq zabani dijaay, yani likh ker talaq dena batil hai or talaq nahi nahi ho gi, 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz طالق ke saath phara jaay, 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon, or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay, 5.zarori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar us ko apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 6.Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq de tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
62027
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam Moulana sahab i got khulaa from court ex husband lives in canada he said take khula from court and i will not divorce you........ its has been five years he said this is not divorce you cant married again moula sahab i want a family life and kids but he can not provide it he is impotent,psycho aggressive .... will i remain suspended in this position through whole my life????

Answer: Wssalam o alykum, court se di gaae talaaq e khula ki Shari hasiyat nahi hai. (Ref : Aqa Sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 413 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Note: aap apne shohar ko razi ker k talaq dene per razi karin.

Print

Id:
62192
Mujtahid:
Date:

Question: Me and my wife had a fight.everytime we fight she keeps on aking for divorce in anger but not intentionaly. i myself is an individual with huge anger management issue. we had a fight and she ask me that she is not going to live with me ever and ask for divorce in anger. i replied u always keep on asking for divorce to ja ja k le le divoce me tjhe talak de do ga. i was in extreme state of anger as she put hands on me.c Kya humare divorce hoi ha?

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Note: oper biyaan kerda sharait k mutabiq aap ki talqa nahi hoe Q k sharait e talaq main se koe shart bhi maujood nahi, jab k aik bhi shart kam ho tu talaq nahi hoti.

Print

Id:
62595
Mujtahid:
Date:

Question: mere suhar ne apne bhai se eik baat boli aur phir wo kasam kha rahe hain keh 3 talaq hogai gi agar mein ne ye baat kahi hogi lekin unka bhai ye keh raha hai keh mughe ye baat kahi hai to kya talaq hogai? lekin mere suhar ki niyat mein nahi hai talaq dene ki??? plz reply talaq hogai ya nahi

Answer: Talaq ki sharait me se ha ke Mard(husband) talaaq kay waqt talaaq ki niyat rakhta ho(Ref: Ayat ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
62596
Mujtahid:
Date:

Question: mere suhar keh bhai ne unko ei baat boli ab wo keh rahe hai keh mein ne bhai ko koi baat nahi boli agar boli hogi to 3 talaq hogai ge ab bhai keh rahha hai keh mughe baat boli hai mere sohar ki talaq dene ki koi niyat nahi thi to kya talaq hogai???

Answer: Is terah se talaq nahi hoti.(Ref: Ayat ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
62915
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: salam mera sawal yeh hai k ek larka or larki ne quran pe hath rakh k ek dosre ko husband or wife mana or 3 bar qabool bi kaha or khuda or Rasool s.aw ko gawah bi man k iqrar kia to kia is soorat mai nikah ho gya hai ya nahi. plz ager ho sake to is ka jawab mujhe email kar dia jae or is ko page pe na show kia jae . salam

Answer: Jee nahi ye nikah sahi nahi hoga.(Ref : Ayat Ullah khumeni(R.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2367). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63195
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam mera nikah hokar 4 saal howa na ruksati howi hai na hambistari ur do saal howy hen mene us se talaq mahnga hai na wo talaq nahi deraha hai na kulah pr razi horah he kunky us ne muje dahmki di thi hai k meri zindagi barbad kare ga ur na hi talaq dega wo kehta hai k me dekta ho akhir tum talaq kulah kis tarah leti ho ur me us se sahdhi nahi kar sakti muje us pr barohsa nahi hai eik dafa logon k kene pr talaq pr razi howa tha pr wo dohkah dekar talaq diy bagehr sudia arab cahla gaya ab bi wo talaq na deene ka kehraha hai ap muje ye bataen k jo hakim e srah ki taraf se talaq diy jate haen kia hakim srah ki taraf se is ka koi hal hai?

Answer: Agar shohar ,biwi k izdiwaaje huqooq ki adaegi se inkaar kare aur talaaq dene per bhi amaada nah ho aur mujtahid ki taraf se in dono me se kisi aik ka paaband bananay k bawajood shohar is per amal na kare to biwi mujtahid se talaq ka mutaalba karsakte hai jo is ka segha talaq jaari kare. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #428, 429 , Pg #241,242 , Eidition# 5). Update on dated 22-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63196
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: MERI SHADI 2001 MAIN HOWI OR MERAY 4 BACHAY HAIN SHADI KAY KUCH SAAL TAK TU THEK CHALL RHA THA LAKIN KUCH SAAL BAAD MERI BEWI KALAY JADOO JESAY GALAT KAAM ME PAR GAI JIS KE WAJA SAY MAIN NAY US KO 2013 TALAQ DEY DI KIYON KAY WO KALAY JADOO KE WAJA SAY US NAY GHAR MAIN CHURI KARNA SHURO KAR DEYA THI. MERI BEWI OR US KAY GHAR WALOON NAY ABHI TAK US TALAQ KO NAI QABOOL KIYA HAI OR HAQ MEHAR OR APNA SAMAN BE NAI LIYA HAI. TAQREEBAN 1 SAAL BAAD MAIN NAY APNY BARAY BAHI KE SALI SAY SHADI KE JIS KE PHALAY SAY 2 TALAQ HO CHUKI THI MAIN NAY SHADI SAY PHALAY WADA LIYA THA KAY HUM 3 SAL TAK BACHAY KE PEDAISH NAIN KAREEN GAY KIYON KAY MERAY 4 BACHAY PHALAY SAY THAY OR MAIN NAY APNAY BACHAOON KE WAJA SAY HE SHADI KE THI DOSRI SHADI KAY 2 MONTH KEY BAAD MERI DOSRI BEWI NAY TUNG KARNA SHRU KAR DIYA KIYON KAY WO APNI OLAD CHATI THI OR MERI WALIDA SAY OR BACHOON SAY US KA RAWAIYA NA MUNASIB THA WO MERI WALIDA SAY BATNAMIZI KARTI THI OR MUJ SAY BE. SHADI KAY 2 MONTH BAAD HE US NAY LAR JAGAR KAY OR MUJ KO BATAY BAGIR APNI WALIDA KAY GHAR CHALI GAI OR TAQRIBEN 2 MONTH TAK WApas nai aye. PHER KUCH BAROON KAY BECH MAIN PARNAY KE WAJA SAY MAIN US KAY WALID KAY GHAR US KO LENA GAYA TU WO PHER BE WAPAS NAI AYE PHER TAQREEBAN 3 MONTH KAY BAAD AYE OR ZAYADA SAY ZAYADA 1 MONTH RAI OR PHER LAR JAGAR KAY WAPAS CHALI GAI WO BE MUJAY MATAY BAGER. ABB MAIN US KO TALAQ DENA CHATHA HOON KIYON KAY US NAY HUM KO BHOOT TUNG KIYA HAI. MERA SAWAL YA HAI KAY WO 2 BAR MUJ KO BATAY BAGIR GHAR SAY GAI HAI OR AGAR MAIN US KO TALAQ DOON TU MUJ PAR SHAHRIYAN KOI GUNA HAI KIYON KAY MERAY BARAY BAHI MUJAY MANA KAR RHAY HAI OR KHATAY HAIN KAY YA GUNA HAI KAY TUM DOSRI BEWI KO BE TALAQ DEY RHAY HO. LAKIN MUJAY ABB DAR HAI KAY WO MERAY BACHOON KO OR MERI WALIDA KO TUNG KARAY GI OR UN GI ZINDAGI BARBAD KAR DEY GI. DOSRA SAWAL HAI KAY MERI PHALAY BEWI NAY ABHI TAQ HAQ MEHAR NAI LIYA AGAR MAIN US SAY DEBARA SHADI KARNA CHARTA HOON TU MUJAY KIYA KARNA HOGA.

Answer: 1) Aap per wajib hay k aap apni pehli talaq yaafta bivi ko meher ki raqam or os ka samaan wapas dain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #309 , Eidition 1417 hij). Update on dated 22-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2) Dosri biwi ko talaq dena jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 22-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
3) Pehli biwi ki talaq ki iaddat khatam hone k baa dos se dobara nikah karna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2491). Update on dated 22-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63557
Mujtahid:
Date:

Question: assalam-waalaikum mere papa ne meri mammy ko gusse me qura'an sharif utha kar 3 bar talaaq kaha h,, kya wo talaaq hua hai ya nhi.. fir baad me unhe ehsaas hua k unhone galat kiya h,,, aap bataye talaaq hua hai ya nhi

Answer: Aisi Talaq sahi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63676
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam walaikuma janab mere sawal ye hai k shohar arab me ho aur 4 sal hone k bad bhi ane ka irada na kar rahe ho aur na biwi bache ka kharcha dekh rahe ho aur sirf gali galoj karne ke liye cal karna warna na karna aise kar rahe ho is halat me agar biwi bath hi na kare cal ane par bhi cal na uthaye khatae taluk karle to kya talaq hojayegi aur agar hogi to kitne din ki muddat me,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,...................................................

Answer: Wssalam o alykum, Is se talaq nahi ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print