Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (515 Questions)


Showing 0- 50 questions from 515 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
797
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: salam ,how much kafara of qasam

Answer: Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karay ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
958
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam... agar beikhtyar khuda ki qassam kha lai aur qassam khanay k baad ikdam sai khayal aie kai yeh mai nai kya kah diya yeh tu mai nai khuda ki qassam kha... jaisa agar ab isa huwa na khuda ki qassam mai yeh karo ge tu ab kya karay.. kuon kai mou sai nikal gaya tha aur nikltay he mehsoos huwa yeh kya kah diya mai nai... ab kiya kia jiye ...

Answer: Agr apne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1513
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Mera sawla ye hay k agar koi insaan musalsal kasain khaey ,aima-e-tahireen as ki kasam,quran ki qasam khuda ki qasam rasool ki qasam apnay baap ki qasam etc etc... but usay apnay jazbaat par zara barabar bhi control na ho aur phir wohi gunah kar baithay kay jis kay na karnay ki usnay qasmain khaei theen to kiya ye tamam qasmain maani jain gee because usay apnay jazbaat par control nahi tha ,secondly agar ye tamam qasmain maani jaingee to is ka izaala kis tarah say kiya jaey aur in tamam qasmoo kay gunaahoo ko kis tarah say radd kiya jaey ?

Answer: Agr wo shakhs aysi qasamen khata hai jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil ho to (jese apne frmaya k Allah ki qasam khai) is surat men is qasam ki mukhalifat krne se insan gunahgar hojata hai, lehaza us per per wajib hai kaffara de, matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr khilaye ya phir unhen poshak (libas) pehnaye (ata kre). Lekin quran wegera ki qasam khana is qism ki qasmon ki koi sharae hesiat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
1786
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar husband aur wife ki larayi ho aur husband kahe ke mey Allah aur us ke Rasool ke kasam kha ker kehta hoon ke mey tumhey rakhna hi nahi chahta per rakhne per majboor hoon aur biwi es baat ko shiddat se apni insult feel kare aur jawaban gair iradi taur per kahe ke mey bhi quran ki kasam khati hoon mey 90% tumhare sath majboori se rah rahi hoon aur bad mey foran biwi ko ehsas ho us ne galat kia aur woh sari raat rote howe astaghfar parhe. pls batain ke dono ke liye islam ke kia ihkam hain

Answer: Agr ap dono ne jo kuc kaha k sach kaha hai to ap dono ka ye qasam khana makrroh tha lekin agr ap dono ne jo kuch kaha jhoot kaha tha to ye qasam khana haram hai, is ka istighafar or Allah se maafi talab krna hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1865
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya koi biwi apne shohar par kisi se baat karnay par pabandi lagati hai aor pabandi tornay par har rishta khatam hone ki baat b hoti hai aor shohar use manzoor karta hai to kia baad main shohar k pabandi tornay par rishta khatam h jaata hai is ki tafseel bataain please

Answer: Agr shohar biwi se wada krne k bad wada khilafi kre to ye haram hai or shohar gunahgar hoga, lekin is se koi rishta nahi toot`ta hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 333, Eidition 1417 hij). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1889
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Agr koi kisi ko Quran ki kasam dy kr kahay k wo ye kam na kray.Lakin wo us kam ko kr lay tu es baray mein kia hukam hai???? aur ab us ko kia krna chaia??? marlb us ny kasam tor di hai tu usay kia kaffara ada krna hoga???? PLz answer me as soon as possible.

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.or koi kaffar wgera bhi nahi ayega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1912
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam! Ma ne nanraz ho kar ghusay ma a kar kah dia ko khuda ki kasam aj ki baad tum logon se baat nahi karoon ga. kia meri ye kasam drust ha? agar drust ha to kia mujay is ka kafara b dena paray ga? kafar kia hoga. ab mujhy afsos hota ha mera wo acha dost ha.

Answer: Agr apne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Meray husband nay quarn hath main paker ker qasam khai k who aj k bad chatting ya lerkiyon say koee Relation nahin rakhay ga.mujhy say kbahi jhot nahin bolay ga.koee bat nahin chpaye ga.ye sari qasam unsay quaran hath main paker ker khain.lakin bad main unsay sari qasmain tort din.usnay chup ker chatting ki.email ki.aur mujhysay sab chupaya.yani sari quran ki qasmain tor din.isay pehlay unsay Allah aur Rasool ki qasam bhi khaee k who asa nahin keray ga.lakin usany qasamian tor din.aap plz batin us per Khuda ka qaher to nahin pery ga.iska kafara kia hai.main both thankful hoongi.jawab juldi day dain plzzzzzzzz

Answer: Agr ap k shohar ne aysi qasam khai hai jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil ho to(jese apne frmaya k Allah ki qasam khai) is surat men is ki mukhalifat krne se insan gunahgar hojata hai, lehaza ap k shohar per wajib hai kaffara de, matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr khilaye ya phir unhen poshak(libas) pehnaye(ata kre). Lekin quran egera uthakr qasam khana is qism ki qasmon ki koi sharae hesiat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
2452
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: agar koi biwi apne shohar ko quraan uthwa ker kasam dilwai or koi kaam kerne se mana kare tu os kasam ko wapis kaise le sakti hai take oska shohar os kasam se azad ho jaye.

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2486
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mere ek dost ne khuda ki kasam khali gussay me hamein ky akarna chahiye

Answer: Agr apne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3276
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main ne dekha hai kay kisi ko manat puri karni hoti hay to who hazrat fatima {R.Z ki kahani sunti hain our isay bibi ki kahani kahtay hain kya yea jaiez hay Quran ki rooh say bataien .

Answer: Jee nahi ye Mannat nahi hai (albatta apni duaon k qabool hone k liye Janab Hazrat Fatima sa k zikr se tawasul krne men koi harj nahi hai). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-4). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3571
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: infact may ne zindage may bohat si jhooti kasmain khain the. ab zindage may boht peshtawa ho raha hy. may ne boht say muamolat mat may Allah Tala, Quran Majeed, Or kalma shreef be parha lakin bad may kasmain torna parian. Kia har kasam ka alag alag kafara ho ga. or agar yaad na ho k kitni kasmain torain hain to is condition may kia karna ho ga. Plz mujay jawab jaldi dain ta k mara boj halka ho saky.

Answer: Ek qasam ye hai k Ap ainda kisi kam k krne ya na krne ki qasam khate hen, Is men agr apne zaban se bol kr Allah ka naam lekr qasam khai hai to phir us per amal krna wajib hojata hai, or amal na krne ki surat men insane gunahgar hojhata hai or kaffara wajib hojayega (kaffara ek ghulam ko azad krna ya 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilana ya unko libaas pehnana hai or agr ye kam na kr saken to phir 3 din musalsal roze rakhna hai). Or dusri qasam ye hai k ap kisi bat ko sabit krne k liye qasam khate hen k ye kam hua tha ya nahi hua tha, to is surat men agr ap sach bol kr qasam kha rahe hen(sachi qasam) to koi harj nahi hai albatta makrooh hai, lekin agr ap jhoot bol kr qasam kha rahe hen(jhooti qasam) to ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera hojata hai , albatta iska koi kaffara nahi hai siwaye toba o istighafar ke. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-38). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
3622
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Aslam o alaikum mujhe ye pochna tha k meine apni dua ki kaboliyat liye kuch manaten mangi haen kia manat mangna allowed hae islam mein?

Answer: Jee han Allowed hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-04). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3809
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kasam ki basic deffination kiya ha? aur iski kitni iqsam ha. plz tell me. thanku

Answer: Qasam ki 2 qismen hen. 1) Jab koi shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe gay a tambakoo istemal nahi karay ga, Is Qasam ki shariat : Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho 4: qasam k alfaz zaban per laye, Or us qasam per amal karna bhi mumkin ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-2634)
2) - Agr koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to ye qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3837
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: muje aik shaks ne kaha k mai quran pa hath rakh k kaho k mai shadi kro gi to bs us se kro gi.mai ne asa kia.bt us waqt b mare dil mai ya tha k mai ne es se shadi ni karni,us ki umer 45 year hai.mai abi 25 ki hu.es ka kia kufarra hai.

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3861
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: salam .mera swal hay k agar koi jazbat main sharae qasam kha lay, k phir ye gunah nhi karounga , aor ab pachta raha ho, aor nafs us ko us gunah karny per magboor kar raha ho,aor wo qasam thorny ka erada kar chuka ho, to us ka kaffara kia aik jaisa hoga , aor usy kia karna chahiey

Answer: Agr sharae qasam se murad wo qasam hai jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil hai to is surat men is ki mukhalifat krne se insane gunahgar hojata hai, lehaza us per wajib hai kaffara de, matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr khilaye ya phir unhen poshak(libas) pehnaye(ata kre). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
3894
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mere shoher ne muj se quran pak per hat rakh ker kasam khilwi k tm kis se phon per bat na kerti or mere mana ker ne k bawjood unho ne muje qasak khilwi or me ne khali k me kis se phon per bat nh krti per me kerti ho ab btaty me kia kro plz reply e mail

Answer: Agar koi shakhs qasam khay k me jo kah reha hoon wo sach keh reha hoon to agar wo jhoot bool reha he to haram he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3996
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I WANT TO ASK ABOUT MUJAZA OR KIA YA MANAT MANI JA SAKTI HA KY MERI DUA KABOOL HO TO MAN AIMA TAHREEN MA SE KISI IMAM KA MUJAZA PAROON GA OR NAYAZ DON GA

Answer: Jee han is men koi harj nahi hai.(mojza zikr masoomen hai or ye sawab hasil krne ka mojib hai)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-04). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4007
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar koi kisi ko zabardasti Quan e pak pakra k qasam khilaey k wo ye kaam nai kare ga or wo qasam utha b le to kyawo qasam ho jae gi or aga us ne wo kaam kerna ho to us k liye kya kerna hoga

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4355
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: As-salam-o-alaikum sawal ye he ki Mere Ghar Waalon Ne Mujhe Ek Din Bohot Daata Or Mene Shaam Tak Khana Nahi Khaya Tha Is Baat Per, Or Meri Ammi Mujhe khana De Rahi Thi Mujhse kayi Baar Khaane Ko Kaha Or mene gusse Me Aakar quran ki kasam khali or mene wo kasam tod di, Or Me ye Janna chahta hu ki Mujhe kya kaffara karna padega

Answer: Ye qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
4408
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Me ye jaanna chahta hu ki koi agar quran ki kasam kha leta hai,or baadme us kasam ko tod deta hai to use kya krna chahiye

Answer: Ye Qasam sharaee aytbar se sahi hi nahi hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4410
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mein nay ghaltee say quran e pak par eik bat ka half liya k mein nay yeh kam hotay daikha hay yeh bila irada hua tha aur ab mujay pachtawa ho raha hay kia iss k liye koi kafara hay ya yeh b qasam k he zamray mein aata hay

Answer: Jhooti Qasam ke khane ka koe kaffara nahi he albatta ye ek haram kam hai lehaza toba o istighfar kijyega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
4434
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar koi banda koi gunah karta hai aur woh yeh kahta hai k ya allah main kassam khata hoon mujhe maaf kar de aaj k baad dobara yeh gunah nahi ho ga iss kasam main woh kise ka naam nahi laita aur phir woh jis kam se kasam khai thi kar daita hai kiya iss ka kafara ho ga ya nahi .aur ya jo uss nain bina kise ka naam liye kasam khai tou yeh kasam hoi he nahi sirf uss nain namaz padh kar dua mangte huwe kaha tha k ya allah main kasam khata hon aaj k baad yeh kam nahi karon ga mujhe maaf kar de .

Answer: Agr jumla apne yehi kaha tha jo apne bayan kiya hai to ye qasam hi shumar nahi hogi, or na hi is ki mukhalifat ki surat men koi kaffar dena hoga, Q k qasam men khud Allah ka naam lekr uski qasam khana shart hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4749
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: maine kasim khai beti ke ager meine tv dekha to mere bewi ko pehli talaq hojae. apne qasim wapis lena chahta hoon, kia karon

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4757
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar kisi ne kaha ki main "Allah ki kasam ye kaam nahi karunga" aur agar 4 baar kaha aur agar kasam ke khilaf kaam kar raha hai kisi majboori ki wajah se jaise misal ke tour par usne kaha tha"Allah ki kasam main aaj se ye bike nahi chalaunga" aur phir use majboori ke tahat bike chalani pad rahi hai..to kya is kaffara hai aur agar usne kasam 4 baar kahi hai to kya 4 kaffare dene honge?

Answer: Agar insan bhool kar ya majboori ki wajah se qasam per amal na karay to us per kaffara wajib nahi he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2637). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4913
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawal hai k main ne apni girlfriend ki qasam khai thy k main apni anty k ghar ja rha hn akhri bar or phr kbi nai rhny jaon ga...or ye b kaha k 1 din k liye ja rha hn lykin is bt py kasam nai khai lykn ab main kisi emergncy ki vja sy 2 din sy yhin hn to kia mairi ksam toot gai hai or agr toot gai hai to kuffara kia ho ga???? or agr ksam nai tooti to is ksam ko khtam ko khatam krny ka kffara kia ho ga???? plz do ans...

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4953
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: asalamualikum.mera question hy k agr koi ap sy quran ki qasam uthwaye k tm ny ainda us insan sy baat nai krni aur wo qasam b na tory lakin us sy baat krny sy pehly wo qasam khatam krna chahy to kia aisa ho skta hy?aur jis ny ap sy qasam uthwai hy kia us ko pta hona zarori hy k ap is qasam sy azad hona chahty hain?aur is qasam ka kafara ada krny k bd gunah to nai hy?

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5025
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar koi quran ki kasm kalay or sath yeh kahay k agar maynay yeh kam keya tu moj allahkhana kaba nadekay.or husband marjay or per b wo gonah karay tu waki allah os ko wahe saza dayga?jaysa os nay select keya hay?

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5031
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar koi apni maa ki qasam hosh o hawaas me khae k ese nai karonga or phir wo wese karna chahe to kya us qasam ka kaffara banta he???PLZ JALDI REPLY KAR DEN.JAZAAK ALLAH

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5095
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam o alaikum mera sawal ye hai k agr koi jazbati ho k ya kisi b or waja se Quran pak ki jhooti kasam utha ly mgr baad main usy apni galti ka ehsas ho aisy mai usy aisa kya krna chahye k Allah taala usy muaf kr dain? Agr 5 waqt ki namaz parh k b dil ko sakoon na milta ho, is gunah ka bojh bht mehsoos hota to kya krna chahye? Kesy muad kren gy Allah taala?

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5439
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisine jante hue kuran e paak ki jooti kasam khayi aur baadme allha se mafi mangi. ye kasam use khani nai thi phir bhi khani padi majburan, mafi chahti hu allha tala se.

Answer: 1)Agar koi shakhs qasam khay k me jo kah reha hoon wo sach keh reha hoon to agar wo jhoot bool reha he to haram he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638).2) Toba karen Parwar digar ne quran me wadah kiya hai k wo toba karne walon ki toba ko qabool karte hai or aysa hirgiz nahi ho sakhta he k wo apne wade per amal na karen. Aur gunah se bachney k liye mazboot irada chahiye.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5601
Mujtahid:
Hanafi Sunni Date:

Question: Johti Qasam ka kufara bata dein

Answer: Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar jooth bool reha ho to haram hai.(iska kaffar istighfar hai)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5613
Mujtahid:
Date:

Question: ALLHA SY WADA KR K TOR DYNY KA KIA KAFARA HA

Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5714
Mujtahid:
Date:

Question: agar koi shakhs quran peh hath rakh k kicic kam ko chorny ka halaf uthae laken majbori ki waja sy uc sy woh kam ho jae to ic ka kuffara kia hai?kia ic ki saza maf ni hogi?ya tauba ka koi rasta hai?

Answer: Aap ki qasam hi sahi nahi he q k Qasam ki chand shartein hein. 1)jo shakhs qasam khaey zurari he ke wo balig aur aaqil ho naiz apne irade aur ikhtear se qasam khaey. Lihaza bache, divane , be hawas aur us shakhs ka qasam khana jise mujboor kia gia ho drust nahei he aur agar koi shakhs jazbat me aa kar bila irada ya be ikthear qasam khaey to us ke lie bhi yehi hakum he. 2: jis kam k anjam dane ki qasam khaye zurari he k wo haram ya makrooh na ho. 3: Allaha ka name le aisa k kisi aur k lie istemal na hota ho 4: qasam k alfaz zaban per laye. 5: qasam per amal karma mumkin ho (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2634). Was-salam

Print

Id:
6093
Mujtahid:
Date:

Question: AGER KOI ALLAH SE KISI KAAM K NAA KERNY KAA WADA KERY K ME YE KAAM NAHI KERONGAA EK MAHINY TEK YAA 2 MAHINY TEK PER KUCH DIN BAAD WO KAAM KAR LAY TO ISKAA KAFARA KIA HOGA (AGER BENDY NE KOI KASAM WAGAIRAA NAHI KHAI PER ALLAH SE WADA KIA HO K ME YE NAHI KERONGAA)

Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6158
Mujtahid:
Date:

Question: maine aapne bete ki kasam khai thi mai zewar ho hath nahi lagaogi pr laga liya uska koi kaffara

Answer: Ye Qasam sharaee aytbar se sahi hi nahi hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6192
Mujtahid:
Date:

Question: aslam o alaikum mera swal hai k agar koi quran py hath rakh kr kisi ko ye kahy k tmhari flaan cheez mery pas nai hai jb k wo jhoot bol rha ho to kya gunehgar ho ga ???? or is ka kufara kia hoo ga???

Answer: Jee han bilkul gunahgar hoga or is ka kaffara toba istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6267
Mujtahid:
Date:

Question: slam.. agar koi khud sy wada kr k tor dy tu eska kafara kia hoga?

Answer: Is wade or Ahad ki koi sharaee hesiat nahi hia. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2630). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6325
Mujtahid:
Date:

Question: Jhooti kasam ka kafara to 3 rooze hain. Lekin agar koi Allah Taala se Wada kare k ye kam nahi karu ga phir ho jae to is ka kia kafara hai ya is ki khali pakki aur sachi toba hai k YaAllah ainda nahi karu ga. Please reply me as soon as possible. Thanks and JazakAllah

Answer: Jhooti qasam ka koi kaffar nahi hai jhooti qasam khana haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Agr koe shakhs Allah se tamam sharton k saath Ahed kare aur pura na kare to wo ghunah gar he aur zarori he k kaffara day, Yani 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilay ya 2 mahinay musalsal rozay rakhhay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6327
Mujtahid:
Date:

Question: maine jazbat me aa kar ALLAH ki kasam khai thi k aj k bad bury kam nahin karonga.leken ab mujhy lgta hai k mai apny irady me kamzor hota ja raha hoin.mujhy dar hai k kahen mai kasam na tor bethon.agr aisa hou tu kafara kia hoga

Answer: Jo shakHs qasam khaye zarori hai wo baligh or aaqil ho or apne iraday or ikhtiyaar se qasam khaye. lehaza agar koe shakhs jazbat men aaker bila iradah ya bay ikhtiyaar qasam khaye to aysi qasam sahi nahi hogi. (Albatta Gunah ko tark karna har shakhs k upar lazmi he chahe is k liye koe qasam khai ho ya na khai ho) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6346
Mujtahid:
Date:

Question: main her bar quran majeed pr hath rakh kr apny wady aur qasmy tor deti hoon aur quran pr hi hath rakh ker dobara na torny kiqasam aur wady krti hoon lekin phir toor deti hoon aur phir isi tarah her bar routi hoon lekin phir qasam aur wada toor deti hoon mujhy sachy dil sy tauba krni hy main kia karon aap dua karin k Allah meri tauba qaboul farmaye aur neaki ki toufeaq dy.AMEAN

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6495
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal yeh hai k mere boyfreind ne mjhse phone pr kha k tm qasam uthao k tmhry phly kisi k sath taluqat ni thay,main qasam uthana ni thi chahti kyu k mere us se phly taluqat thay bt ub sb kuch chor chuki thi pr usay ni thi btana chahti.bt usne mjhy bht mjboor kia.us ne kha jesay main khta hn tm mere pechay wesay hi bolo us ne kha k kho mera tmse pehlay kisi se koi taluq ni tha r agr mai jhot bol rhi hn toh mjh pr QURAN ka azab nazil ho,maine aesa hi usk pechay bola samewords mn jbk main aesa bolna ni thi chahti majboor ho kr kha r 3 br kha jbk dil mn na hi keh rhi thi.r phr nxt day mjhy ehsas hoa k mjhy aesa ni tha khna chy maine nxt day us se kha k main apny alfaz wapis leti hn.toh kya yh Qasam abhi b baki hai?r kya yh QASAM thek thi?main tb se namaz b ada krti hn r rozay b rkhti hn.r agr yh QASAM agr abhi b baki hai toh mjhy iska kufara kesay ada krna chaheay?plzz reply me as soon as possibl,thnx

Answer: Jhooti Qasam ke khane ka koe kaffara nahi he albatta ye ek haram kam hai lehaza toba o istighfar kijyega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
6550
Mujtahid:
kasam of kuraan e paak Date:

Question: agar kuran ki kasam lete hai inshallaha bolkar to kya wo kasam jayaz hai.

Answer: Ye qasam sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6816
Mujtahid:
Date:

Question: Sir main kia apni Shadi k liye manat maang sakti hon. apni pasand ki shaid k liye mujy duain aur wazaif send karin pls Allah aap ko jaza e khair ata kary Ameen sum aameen

Answer: Jee haan ap mannat kr sakti hen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Surah e ahzaab ko hath se likh kar ek dabbay (box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga.(Ref : Naway e salaheen pg # 352)Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6850
Mujtahid:
Date:

Question: Sir hamare mere kuch family memberh ne kafi baar Quran pe hath rakh ke kuch kasmain khayi hain...un main se kuch jhoti hain aur kuch sachi... Ab hamare ghar me bohat se problems chal rahe hain..Hum ghar valoo me pehle bohat itfaaq tha lakin ab hamara ghar tootna shuru ho gaya hai...Aik ke baad ek problem khari ho jati hai....Jo ke mai semajhti hu Quran ki jhoti kasmoo ki saza hai...Please aap muje bata dain Ke Quran Pak Ki kasmoo ka kaffara kya hai.....Take me apne ghar ko bacha sakoo....me bohat pareshan hu...Aap se guzarish hai ke hamare ghar ke liye Dua kaian aur is massale ka hal bhi batai...Allah aap ka bhalla kare...Amin

Answer: Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
6958
Mujtahid:
Date:

Question: mra sawal ye ha k me ne mannatain mangie the lkn mra kam pura nae huwa r me phela he manat khatam krna chate hu mjhe kia kufara dena ho ga

Answer: Ap ka ye amal nazar us wqt kehlayega jab is men zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krti hun k koi anjam dungi,(Phir ap wo mannat khatm nahin kr sakti) is surat men agr apka wo kam hojaye to ap per wajib hai k wok am anjam den, or agr ap ye nahi kr sakte to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam b na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr apne zaban se ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
7453
Mujtahid:
Date:

Question: main ne kasam khai thi QURAN MAJEED k oper hath rahk kar k main ainda nasha nahi karounga lakin ab mujse control nahi hota main apni kasam ka kafara ada karna chahta hon plz muje bata kia karoun

Answer: Ye qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
7463
Mujtahid:
Date:

Question: kia kisi shaks se kia gya wada toda jaye to us ka kafara mumkin hai

Answer: Kisi momin se wada krne k bad us wade ki mukhalifat krna gunah kabeera men shumar kiya gaya hai.(Or iska kaffa istighfar hai)(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
7545
Mujtahid:
KASAM KAHNA KAISA HA Date:

Question: MUJFTI SAHAB MUJHY Y BATAIN G K AGR KOI SHAKS QURAN KI AUR MAA KI JHOTI KASAM KAAH LY TO KIYA IS KA GUNHA HA AUR IS KA KUFARA KAISY ADA HOGA PLZ REPLY ME FAST...

Answer: Jhooti Qasam ke khane ka koe kaffara nahi he albatta ye ek haram kam hai lehaza toba o istighfar kijyega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
7624
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Shadi Shuda aurat apne shohar (husband) ki marzi k bgher mannat maan sakti hai? Aur agar maan le tou uss mannat k pura karne k bare mein kia ehkamat hain?

Answer: Agr orat aysi kam ki nazar kar rahi hai jo shohar k hqooq k manafi ho, to ye nazar sahi nahi hia chahe shohar ki ijazat k bger nazar krli ho ya nazar krk bad men ijazat li ho dono suraton men ye nazar hi sahi nahi hai chahe wo nazar shadi se pehli hi mani ho, Isi tarah orat ka apne hi maal men shohar ki iajzat k bger nazar krna mahalle ishkal hai isi liye ehtiyat ki riaayat krna zaruri hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print