Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (515 Questions)


Showing 50- 100 questions from 515 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
7679
Mujtahid:
Date:

Question: mene majburi mein nabi(saw) ki kasam li..aur majburi mein todi...mein ab kya karun?

Answer: Ye Qasam sharaee aytbar se sahi hi nahi hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
7689
Mujtahid:
Qasam Date:

Question: Apni biwi ka khana par koi kasam kata hai ka woh kisi ladki se baat nahi kara ga, aur woh bas apni biwi ki jaan bacha na ka liya kharaha hai toh uska kya kuffara hai? pls reply as soon as possible? waiting?

Answer: Ye Qasam sharaee aytbar se sahi hi nahi hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
7708
Mujtahid:
Date:

Question: salam mai ne kisi sy bt ki the lakin us ne waha bta dia k mari or us ki bat hoi the jb mamu ne muj sy mri mama,papa ki qasam ly k pocha to m ne na kr dia q k us tym rum m sab the or mri famly waly kbi b ye brdasht nai kr skty k m kisi sy bat kro.ab m ne kasam ly li is ka kafara kia ho ga

Answer: Agr koe shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hon to agr wo sach keh reha ho to is ka qasam khana makrooh he aur agar wo jooth bol reha ho to haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
7999
Mujtahid:
.................................... Date:

Question: janab agar kuda sa waada kar ka osa pura na kiya jae to iss ka kaya anjaam ha

Answer: Agr apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9111
Mujtahid:
Date:

Question: aoa.mai pochna chahti hon kae maine majbooran aik kasam kha li magar is kasam ko pura krne ka mera koi irada nai tha kasam khate wakt mai janiti thi mai pura nai kr paongi bs majbori mai khani pari dil sae apni mrzi or iraday sae nai khai to aexe haal mai kia hukum hai. kafara dena hoga?

Answer: Ye qasam shumar nahi hogi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9121
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai k main ne apni dost se sach puchna tha jis ki waja se main ne kuch jhut kaha us ne kaha k meri kasam khaoo mai ne zuban se ya dil se kasm nai srf kaha k han ye bat jo main keh rahi hun sach hai too is mamley main kia kasam tor di main ne uski?aur is ka koi fidya hai jawab jaldi dijye ga...

Answer: Jhooti Qasam ke khane ka koe kaffara nahi he albatta ye ek haram kam hai lehaza toba o istighfar kijyega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
9167
Mujtahid:
Date:

Question: Main ne Apni wife ki pregnency ke doran oral sex kya phir intercourse kya toh unko kuch problem ho gai tab main ne wife aur hone wale baby ko kuch na ho toh khaufzada ho ker Allah se toba ki aur dua ki ke unhen kuch na ho aur ye ke main ainda is tarhan sex nahin karunga magar baby ki pedaish ke aik derh saal baad jazbat main aaker bila iradi tor per wesa hi sex kya baad main bohat ghabraya ke kyun kya !magar nafil namaz toba ke liye perh ker Allah se mafi mangi.kya ye Allah se kye gae ahad main aae ga aur isko poora na kerne ka kya kaffara hai ?iske alawa pehle mujhe aisi movies dekh ker fun aata tha aur her baar main sochta tha ke nahin dekhun ga aur Allah se toba kerta aur dua kerta tha ke mujhe un ko dekhne ki adat se nijat dila de.magar kafi kafi time ke baad kabhi kabhi merital life main kuch interest peda kerne ke liye unhen dekha kerta tha ab bohat saal guzer gae Allah ke hi karam se main unmain interest lene se ruk gaya hun magar pehle jo dekha kerta tha aur her baar na kerne ka ahad kerke kamzor per jata tha toh uska kya kaffara hai?pls mujhe jald reply karen bohat shuker guzar rahun ga

Answer: Jee nahi ye dono Allah se kiye gaye Ahad men nahi keh laenge. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2630-31). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9386
Mujtahid:
Date:

Question: Aslamolaikum, mera sawal ye hai ke maine ek bar Quran pe hath rakhke kisi kaam ko choor dene ki qasam khai thi, lakin main is qasam ko pura nahi kar saki or main is kaam ko phir bi kiya or 1 bar nahi bohat bar kiya, maine suna tha ke humain hadiya/kafaya ada karna parta hai matlab 70 gareebon ko khana khilana lakin phir mujhe ye bi sune ko mila ke hadiya/kafaya ishi surat me jaiz agar app ghalti se ya bhool chuk me qasam toor do or yad ane pe hadiya/kafaya ada kar do lakin main bholi nahi thi maine sab jante we qasam tori app plz meri help karain or mujhe batain ke main aisa karon ke main apni is ghalti ki talafi kar sakon

Answer: Ye qasam sahi shumar nahi hogi lehaza is ki mukhalifat krne se koi kaffar nahi dena hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9429
Mujtahid:
Quran ki Kasam ka Kufara kya hai Date:

Question: Assalamualaikum Mera Naam Rehaan hai mein India Bangalore se hoon Mujhe jana hai Agar koi gusse me aakar Quran ki kasam kha le phir baad me ehsaas ho ke woh galti ki hai kasam kha kar aur apni galti ko pachtaye. koshish tu kar rahe hain k us kasam ko nibhaye par namumkim ho rahe ho tu us kasam ko todh sakte hai kya. uska Kufara kya hoga plz plz plz Mujhe is sawal ka jawad dijiye.

Answer: Agr apne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi lehaza is ki mukhalifat krne se koi kaffra wgera nahi ayega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9475
Mujtahid:
Date:

Question: asalamwalaikum,mera sawal ye hai ke maine allah ki kasam khaiye thi,aur mere ghar walo ki bhi kasam khaiye thi,ke mai behayai ki taswir,aur porn videos nai dekhuga,par mai dekliya,dekte waqt kasam yad nai thi,aur ab much par kya kafara hai,plz bolye,aur kya mere gunnah ki maafi hai.tu kya hai.jazakallah khair

Answer: Ap per kaffara wajib nahi h q k ab ko us wqt yad nahi tha, albatta apki qasam abhi tuti nahi hia ye jari rahehi, Or chahe ap qasam na bhi khaen ye amal (pics & movies dekhna) haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2637). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9834
Mujtahid:
Date:

Question: agar koi shaks kisi kaam ko na karne ki kasam khaye aur kasam ye ho k agar mene ainda falaan kaam kiya to meri biwi mujh pe talaaq 3 aur phir wo kaam kar bethe to kya talaaq waqia ho jae gi ?

Answer: Jee nahi is se talaq nahi hogi or ye qasam sahi nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 498, Eidition 1417 hij). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10666
Mujtahid:
Date:

Question: assalam_O_alikum...main ek larki say bht pyar karta tha us waqt mare umar takreeban 16...17 yeras ho ge us tym main nai quran par haath rhk kar kasam kahe thi k main is say he shadi karo ga par us shadi na ho saki...ab mare shadi hai aur us main kafi rukawaty a rhy hai halat ek dum kharab ho gae hai..agar koi kaffar hai to plz mujhe baataye jaldiii

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10670
Mujtahid:
tabliq Date:

Question: maine gusse mai kasam kha li irada nahi tha aur mai kasam nahi khati us waqt gusse ka galba itna tha ki kuch samajh nahi aaya nahi tha aur mai woh puri nahi ker paungi aur woh maien meri ammi ki kasam kha li mujhe kiya kuffara ada kerna padega please mujhe bataye mujhe taklif ho rahi hai ki maine yeh kese ker diya jo mai nahi kerti

Answer: Ye Qasam shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10721
Mujtahid:
Date:

Question: agar aik shaks dosray shaks sa quran ka halaf lay ko wo ya bura kam dubara nei karay ga, or wo shaks quran ka halaf la b lay.........magar wo phir burai sa ruk na sakay or jis shaks ka samnay osa halaf dia tha quran ka osa kahay wapis la lo mein pura nei kar sakta ..... magar wo shaks halaf na wapis la is surat mein agar wo halaf kis tara toar sakta ha ya kis tara khatam kar sakta ha???

Answer: Is Qism ki halaf or qasam ki koi sharee hesiyat nahi hia. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10749
Mujtahid:
Date:

Question: Halaf torny pa insan k sath kia ho skta ha us ko kin kin halat sy guzarna perta ha

Answer: Agr wo us sharee qasam k khilaf amal kre to wo gunahgar hai or zaruri hai k kaffar de, or kaffare men 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaye ya phir unko libaas pehnaye or agr in kamon ko anjam na de sakta ho to zaruri hai k 3 din musalsal roze rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10878
Mujtahid:
quran pak ki ksm Date:

Question: meri kzn h hm aik dusry sy muhabet krty hain us k ami aur bhai ko pta lg gya in ka mbile py rabta h lakin us ny kha nai h wo dono khty hain quran py hath rkh k kho us ny ye kh kr k allah tu janta h mere dil main kya h jhuthi ksm utha li. tak lrai na ho dono famlies main. muje plz is msla k bary main btain kya us , ny glt kiya aur is ka kafara kya h toba kya h ya is ki sazza mily gi kisi ki surt main

Answer: Jee han bilkul ye qasam shumar hogi, lehaza agr apne sachi bat ki qasam khai hai to ye jaiz hai albatta makrooh(napasandeedah) hai, lekin agr apne jhooti bat ki qasam khai hai to ye haram hai or ap gunahgar hen albatta is per koi kaffar nahi hia siwaye ye k ap istighfaar kren. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 691, Eidition 1417 hij). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
11168
Mujtahid:
Date:

Question: men bht zyada parshan hun apne gunaho ki mafffi mangna chahta hun mene bedehani men ALLAH SUBHANAHUTALLAH KI KASAM KHALI OR WO PURI NAE HUI HE MJHE KHUDA KA BHT KHOF ARAHA HE OR APNE UPAR SHARAM B ARAHI HE PLZ MJHE ISKA HAAAAL BATAEEEN MEN KIA KARUN YA ALLAH MJHE MUAFFFF FARAMAAAAAAAAAAA AMEEEN SUMAMEEEEEEEN

Answer: Agr qasam sharae sharton pr mushtamil thi to is ki mukhalifat ki surat mn kaffara wajib hoga, kaffare men bhi pehle 10 faqeeron ko pet bhar khar khana khilana ya phir unhen poshak (libas) pehnana hoga, han agr ye kaam na kar saken to phir 3 din musalsal roze rakhne honge.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
11498
Mujtahid:
Date:

Question: kasam aur us k types pata de...!! quran or sunnah se relaye kr k.

Answer: Qasam ki 2 qismen hen.
1) kisi kaam ko anjaam dainay ya terk kerne ki qasam.maslan Jab koi shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe gay a tambakoo istemal nahi karay ga, Is (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-2634)
2) – sach ya jhoot ki tasdeeq ki qasam.Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to ye qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
11528
Mujtahid:
Qasim on Quran Date:

Question: Salam meri wife ne muj se Quran pak pe kasam li hai ke me dosri larkio se na bat karon namilon lekna me ye kasam pori na kar saka pleas muje barbani kar ke kafara ka tareka batan ar is kasam se me kis tara azad ho sakta hon

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
11682
Mujtahid:
none Date:

Question: kya mannat mangan gunah hai ya nahi?

Answer: Jee nahi ye gunah nahi hai ye bilkul jaiz hai, lekin Nazar sahi ho or nazar or mannat manne wala shakhs jan bhooj kr bad men usko pura na kre to ye gunah hai, lehaza use chahiye k wo kaffara de, or kaffar ye hai k 60 faqeeron ko pet bhar kr khana khilye ya phir 2 mahine musalsal roze rakhe.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2632). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
12135
Mujtahid:
manat Date:

Question: sir mai nai is dafa 10 muharum ko imam barghah sai ring ki manat uthae hai k jahan mai chati hun meri shadi wahan ho jahai or ALLAH ki raza or khushnudi sai ho jahai ...kia ye manat theek hai or kia ye manat puri hogi ...plz reply..

Answer: Jee nahi ye Mannat thik nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-4). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
12383
Mujtahid:
Quran pak Date:

Question: Sir maney ak mushkil ma akey quran pak ki kasam khai ha is gunha ki kasey mafi ho ge pls reply me

Answer: Ye qasam sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
12429
Mujtahid:
Date:

Question: mene mannat mange the k mre dua qabool hue to me kisi mohtaj ko hajj karao ge mre dua qabool nae hue abhe tk r me mannat khatam krna chate hu kia kr saqte hu?

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr meri dau qabool hogai to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k kisi ko hajj per bhejunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to ap per wajib hai k hajj krwaen, or agr ap ye nahi kr sakte to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam b na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr apne zaban se ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13079
Mujtahid:
Date:

Question: Salaam sir mera question Allah ki ksam se related hai meine eik dost se kaha k agar meri shadi meri pasand ki larki T se na hoi to khuda ki ksam mein kbi shadi nei krn ga lekin ghar wale man nei rahe aur mjhe ye pochna hai k iska kaffara kia ho ga

Answer: Ye qasam hi sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
13132
Mujtahid:
related to love marrage Date:

Question: Asalam alikum mein 4 saal se kisi se mohabbat karti hoon,us dauran main nay chahtey hoye sab janty hoye k zana gunnah kabeera hai apny bf k sath zana kia...meine kasam khai thi ke mein zana nahi karungi par phir se vahi galti dobara hui,mere Bf ne rishta bheja tha mere ghar par,ab vo shadi ke liye inkar kar rahe hai kyunki mein unki mummy ko pasand nahi,main itna pachta rahi hun haar waqat dil main ALLAH se tuba kerna chati hun ke is gunnah ki tuba hai..aur ab mein kya karu! ki wo mujh se shadi karle kyunki mein ab kisi aur se shadi nahi kar paongi

Answer: Agr qasam sharae sharton pr mushtamil thi to is ki mukhalifat ki surat mn kaffara wajib hoga, kaffaremen bhi pehle 10 faqeeron ko pet bhar khar khana khilana ya phir unhen poshak (libas) pehnana hoga, han agr ye kaam na kar saken to phir 3 din musalsal roze rakhne honge.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633)Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat (pashemani) hay.or isi liay kaha gaya hay k “nidamat hi tuba hay”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah ke na krne k mazboot iraday or dobara is ki taraf na palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunaho ka izala or tadaruk kerta hay.agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay, taubah faqat astaghfirullaah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk lazim hai, Albattah agar tauba k baad gunah karay tu bhi remat e Khuda se mayoos na ho balkeh zarori hai k dobarah tauba Karen, Q ke Khuda kareem or meherban hai, or bakshnay wala hay.or tauba kernay walon ko doost rakhta hay.hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah r fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay.or isi liay hadees main ayay hay: “tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se per haiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay.( Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011) . Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13144
Mujtahid:
Date:

Question: mere sas aur sasor ka viza mat nikalo ghoosei mei mere betei ki kasam hai tumko boli mei ghoosei mei dei kasam merko samaj mei nahi aya ab mei yei kasam todtiyo is ka kaffara kya hai boleyei

Answer: Koi kaffara nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
13594
Mujtahid:
Date:

Question: ma ne kasam khai k aik kam ni krn gi.but majbori kah ln ya pressure mn aa kar ma wo kam phr se kar bethi..ub ma iss qabil hn k rozy rakh skti hn..tu kya mjy rozy rakhna chahi?

Answer: Agr qasam sharae sharton pr mushtamil thi to is ki mukhalifat ki surat mn kaffara wajib hoga, kaffaremen bhi pehle 10 faqeeron ko pet bhar khar khana khilana ya phir unhen poshak (libas) pehnana hoga, han agr ye kaam na kar saken to phir 3 din musalsal roze rakhne honge.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13630
Mujtahid:
Date:

Question: ahad torna se kya hota hai

Answer: Agr logon se kiya gaya Ehed tora jaye to ye ek gunah e kabera hai, Or agr Allah se kiya huwa Ehed tora jaye to gunahgar hone k sath sath zarori hai k kaffara bhi diya jaye matlb 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilaya jaye ya 2 mahine musalsal rozay rakhe.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13631
Mujtahid:
Date:

Question: mein ne aik ahad kya tha hand prctice nahi karon ga lakin woh toot gaya abb is masla ka hal batien plzzzzzzzz

Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13657
Mujtahid:
muslim Date:

Question: jhuti qsam khany wala baqi koi kufara ada nai kr skya swae ky wo musalsal 3 rozy rakhy mera sawal ye ha ky zrori ha ky wo khud rakhy koi aur us bandy ki jga rozy akh skta ha.....? plz judi ans dijye..........

Answer: Jee han 3 din musalsal khud roze rakhna honge. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13721
Mujtahid:
qasam Date:

Question: insan ki sir ki qasam kha kar tornay ka kafara 3rozey ek sath rakhny hongy ya ek din chor kar rakh saktey hain?

Answer: Na ye qasam sahin hai or na hi iska koi kaffar hota hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
13839
Mujtahid:
Date:

Question: agar majhbori main hath main quran liye qasam otai jai to kia ye teakh hai ya galat

Answer: Jee nahi ye qasam sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13846
Mujtahid:
Kassaam Date:

Question: sir main ye janna chahta ho ke main ne 1 larki ko tang kiya aur hamara afair bhi tha aur main usy khta tha ke ghar bata dete hain but wo na mani jb wo kisi tarha sy pakri gai us ke ghar walo ne pakar liya us ko to us ne mera nam le diya ke mera is ke sath chakar hy aur phir sb ikathy huye aur kha ke batao koi hy ya nai chakar aap ka main aur un logo ne quran ka kaha ke isy utha ka rkaho ke tumhara koi taluq nai ya bat nai ki ya kuch nai kiya jb quran uthaya to mere walid ne kaha main tumhare is kam main shareek nahi ho tum soch lo bohat gunah ho ga but main ne utha kar kh dya ke main ne kuch nai kiya main ne Quran utha kar ye alfaz kahe ke aap log apni tasali karwao jaisy ho aur main ne kuch nai kiya un logo ne kaha ke tum jhot bol rahy ho us wqt mere hath main quran mojood tha phir main ne rakh diya. is ke bad main tenshion main ho ke kiya karo toba astaghfar ya kiya karo aur kaisy karo mjy ahsas hy ke main ne shyd galat kam kya hy Allah Mujhe Hamesha Hamesha Muaf kare Aameen aur ainda nai karo ga main aisa kaam inshaa Allah ye main ne pata nai kio kiya smj nai aayi mjy plz help me plese.

Answer: Agr apne quran utha kr sach kaha hai to to phir jaiz hai Albatta qasam khana makrooh hai, lekin agr apne jhoot bla hai to ye jhoot bhi shuma rhoga or jhuti qasam khana haram bhi hai, or kabhi kabhi gunah e kabeera ban jata hai, or is men quran ki be-huramati ka pehlu bhi hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13891
Mujtahid:
Date:

Question: agar hme kisi ki bat per aitbar nahi ha.bat is had tak barh gai ha k qatal tak ki nobat aa gai ha ,to kya asy halat me us shaks se quran pak per hath rakhwa kar asal hakikat pochna ya wada lena jaiz ha...........plz jaldi jwab de jiye ga

Answer: Jee haan jaiz hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14000
Mujtahid:
Date:

Question: kisi ko kasam dyna kia hota hai k maslan hm kisi ho apni kasam dyn k ye kam na karna warna mera mara moun dheko gy

Answer: Is qasam ki sharaee koi hesiat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14014
Mujtahid:
Date:

Question: quran per hath rakh ker jhot bolna

Answer: Agr apne jhoot bola hai to ye jhoot bhi shumar hoga or jhuti qasam khana haram bhi hai, or kabhi kabhi gunah e kabeera ban jata hai, or is men quran ki be-huramati ka pehlu bhi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14098
Mujtahid:
Due Bandi Date:

Question: Main ne apni kasam khai kay main aik month tak cigratte nahi piyon ga lakin main ne pee lee tu ab is ka koi kofara hai tu mujhe batein please jawab zaroor dijye ga

Answer: Koi kaffara nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14111
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai k quran per hath rakh ker jhot bolny ka kaffra kiya ada kerna hota hai main ne 12 saal ki umar main ye kaam kiya tha..plz ans me ,salam

Answer: Iski maafi ka tareeqa toba krna hai, Toba karen Parwar digar ne quran me wadah kiya hai k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Ref: Naeem ul aamaal pg# 316)(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14302
Mujtahid:
oo Date:

Question: men ne cigratte chorne k lia quran ki kasam khae thi ab men peena chahta ho kia karo. pls rply.

Answer: Agr ap ab cigratte piyen to to koi harj nahi hai q k apki qasam sahi nahi thi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14331
Mujtahid:
Date:

Question: mere shohar ne mujh se kuch baaton pe quran ki kasam khilayi k mai na karon un mai se ek maine kia ab mai kia karon wo kaam maine is liye kia k agar mai woh na karti to us mai kisi insan k sat ziyadati hoti sirf is soch se k us mai us shaqs ka kia qasoor aur Allah bi kehta hai k huququl ibad pehle hain to ab mai kia karon?

Answer: Ap per koi gunah or koi kaffara nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
14421
Mujtahid:
Date:

Question: allah ki jhooti qasam khanay ki maafi ka tareeqa kia hay

Answer: Iski maafi ka tareeqa toba krna hai, Toba karen Parwar digar ne quran me wadah kiya hai k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Ref: Naeem ul aamaal pg# 316)(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15044
Mujtahid:
Date:

Question: kisi nay mujh say kaha keh Quran ki kasam khana apkay ya apkay ghar walon per bhari hota hai.. chay kasam kisi ki gahal fehmi ko door kernay kay lye sachi hi khai ho.

Answer: Qasam khana ek na-pasandeedah amal hai, or agr ye jhuti bat ko sach sabit krne k liye khai jaye to haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15251
Mujtahid:
dd Date:

Question: mene quran ki kasam khai he aur 3 logonke jaan ki kasam khai he aur wo zuthi kasam khai he k mene aisa koi galat kam nahi kiya he to jann ki aur quran ki zuthi kasamkhane par mere sath kya hoga

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15539
Mujtahid:
Date:

Question: ager past main quran pak py hath rakh kar kisi kam ko chorne ki qasam khai jye laiken kuch arsa bad wo kam phr ho jye to us qasam ka kafara kia hoga.kiun k wo kam phr sy ho gaya ho.

Answer: Qasam sahi na hone kim waja se na koi gunah hai or na hi oi kaffar hai. . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15596
Mujtahid:
Date:

Question: salam main nay apny bf say kasam khai allah ki k main kisi or sa bath nahi karti or is k ilawa bhi buht chezon ma main na allah ki jhoti kasam khai halanky wo kam ma na kiya howa tha but ma sach nahi bata saki dar lag raha tha ab buht dar lag raha ha k meryu sath kuch bura na hojaye main na allah ki jhoti kasam jo kha li halanky wokam kar chuki the ab ma kya karun??

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or Khuda ki zaat ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15897
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Qasam tornay ka kia kaffara hai?

Answer: Ek ghulam azad krna, 10 Faqeeron ko khana khalana ya in ko libaas pehnana or agr ye kam na ho sake to phir 3 din musalsal roza rakhna. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16111
Mujtahid:
Date:

Question: kisi ke dabao main aaker kuran ki kasam khana aur dusra raasta shai na ho.

Answer: Ye Qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16179
Mujtahid:
Date:

Question: mera swal hai k meny aj sy takreeban 2 sal pahly smoking chor di thi par ab mera dil karta h phir sy smoking karny ka .. tb mery gar walo ny mujsy zabardasti quran uthwaya or kaha k ab tume qasam hai k ab cigret nai pio gy. par meny quran par hath rakh kar sirf (ACHA) kaha..na meny Allah ka name lia qasam khaty huwe..to kya ye meri qasam hogai h? plz reply me..

Answer: Is qasam ki kukhalifat ki surat men na ap gunahgar hen or na hi koi kaffara hoga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
16198
Mujtahid:
qasam info Date:

Question: sir meny takreeban 2 sal phly smoking chor di thi mujy gar walo ny quran uthwaya or kaha k tume qasam ha ab ni pio gy cigret par me ny acha kaha to kya ye meri qasam hogai?

Answer: Is qasam ki kukhalifat ki surat men na ap gunahgar hen or na hi koi kaffara hoga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
16267
Mujtahid:
Date:

Question: mene apne lover se aik jhooti qasam khai he me bht mjboor hn me agr use sch btati hn to wo khud ko maar dega me a sa ni chahti k usey kuch bhi ho please bataen me kia krun me us se truly love karti hun

Answer: Agr sachi qasam khani jaye to ye jaiz to hai albatta makrooh(na-pasandeedah) hai , or jhooti qasam khana haram hai or baz oqat to gunah e kabeera ban jati hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print