Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (515 Questions)


Showing 250- 300 questions from 515 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
70212
Mujtahid:
Date:

Question: AoA mae nay apni ami kay kheny pay a kay jazbat mae Quran pak yani (pansurah) py ko utha kay kah dia kay may koi galt harket nahi karo gi .lykin insan galti ka putla hai . mujhy yah samjh nahi a rahi kis terhan ki galt herkat or may yah qasam wapis lena chahti hun tu kesy loh apki bhuy mehrbani hu gi ager ap jald hi bat dein .

Answer: Haram kaam kerna gunah hay laikin ye qasam sahi nahi hay, lehaza is per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib bhi wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 35 th edition, maslah # 2634 ). Update on dated 07-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: aoa plz answer the que mai ni quran pak pay hath rakh k jhooti qasam khai per sirf apni izat bachany k liye per vo b mujh kaha gya ke uthao quran ab kasam khao ... per ab jo qasam khai thy jhooti us ka pta chal gya hai ke jhooti qasam thy jis k samny khai thy kia ab mujh pay kuch bnta haai ? kia azab tu ni ai ga ab mujh pay ? Allah naraz tu ni mujh say ? mujhy her waqt yehi dar rehta hai k allah ni maaf kia ya ni . plz answer. mai ni 3 rozy b rakhy thy kufaray ke jhooti qasam k . kia abi b koi kufara bnta hai ? jub k sub ko such pta chal chuka hai .

Answer: Jo shaks qasam khaey, agar oski baat sachi ho tu os k liay makhrooh hay or agar jhoti ho tu haram or gunahaan e kabira main se hay. Or is terah ki qasam agar jhooti ho tu tauba kerna wajib hay laikin kaffara wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2671). Update on dated 08-03-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
70311
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam u alaikum maine aaj 1 jhooti kasam kai hai woo bhi apni maa k sar kii or mai janta ta k mai yii kasam jhoti karaha hun laikn na chahte howe be mje kani parhe mj she kisi me kaha k tm apni maa ki kasm kao too Is. wja se khani parhe is k lyi an mai kia kroon mai bht shrminda hn

Answer: Qasam sahe nahe lehaza is per amal karna wajib nahe hai aur kaffara bhi wajib bhi wajib nahe hai.Agar koi shakhs qasam khaye aur agar jooth bool raha ho to haram he. Lakin is k kaffara nahi hota he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2634, 2638) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70418
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Assalamualaikum qasam aur waada tor dene ka kia kaffaara(penalty) hota hai? Kindly answer with reference

Answer: 1-Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karay ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya 10 faqiroon ko poshak pehnaye, Agar in aamaal ko anjam na h day sakta ho to zaroori hay k teen (3) din musalsal rozay rakhe.(Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2679). Update on dated 25-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2-agar koe shak apnay ehed per amal nah kare tu os chahiay k kaffara day yani 60 faqiroon ko khana khilaey ya do mahine muslsal roze rakhe ya aik ghulam azaad kare.(Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2678). Update on dated 25-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70587
Mujtahid:
Date:

Question: Salam... Mene Quran pak ki nahi balky surato ko kitab pr hath rkh k ksam khai thi plz bta den ye qasam sahi h ya nhi... Shukriya

Answer: Aisi qasam durust nahi or os ko pora kerna lazim nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2604). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70600
Mujtahid:
Date:

Question: Sawal ye hy k agar me apnay walid ya walda k sir pe hath rkh k qasam khaun k me koi kaam nae kerunga or agar me wo kam kerun to iska kya result hoga? Ya agar nere walid walda muje apni qasam den k tum ye kam nae kero or me kerun to uska bhi kya result hoga muje detail me explain keryN.

Answer: Aisi qasam khana durust nahi or mukhalfat per koe kaffara nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 29-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73276
Mujtahid:
Date:

Question: aslam u alikum mene quran per hath rakh kar vaada kia tha k me ye kam nhi karonga ab me control ni krsakta tou me ab kya karoon ?

Answer: Agar wo kaam kerna jaiz hay tu phir os ko anjam diya jasakta hay, is qurani ehd ki pabandi lazim nahi, laikin agar ye kaam kerna jaiz nahi hay tu phir is ko anjam nah diya jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #692 , Eidition 1427 hij). Update on dated 03-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77956
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: AOA I need to ask k mne jazbat mn a k Allah ke qasam khai the k mn smoking nai krn ga but after so many years I need it to smoke what\'s the solution plz explain Thanks in advance

Answer: Agar koe shaks jazbaat main aa ker bila irada ya bay ikhteyaar qasam khaey tu oski qasam durust nahi hay. Update on dated 08-04-17. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2667).(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81727
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya cigarette na pene par Quran pe hath rake kar wada kia ho or wada na poora ho sake to Gunnah hai?

Answer: Gunahgaar nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2631 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81730
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamalekum Mene ek ladhke na bolne ki mazar ki kasam khai thi par ab me usse bat karna chahta hun kia karun me sahi se bataye

Answer: Aap ki nazar o qasam sahi nahi hay aap us say bat Karen aap per koi kaffara nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2611,2634 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam. Meine Quran shareef pe hath rakh k jhoothi qasam kha li ha k flaah baat ka mujge ilm nae. Sharminda hun lekin zaruri tha. Ab kya karu? Dusra sawaal ha k agr koi aisi kasam de k agr tmne fla kaam kia to mera mara mu dekhogey....to kya aisa kuch hota ha???

Answer: 1-Jhooti qasam khana jaiz nahi hay.
2-Aisi qasam ki koe ahmiyat nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2638). Update on dated 16-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82171
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera sawal yh ha k m ny kisi sybat na krny ki kasam uthai th r wo b quran ki laikin m ny quran p hath rakh k nhi bola tha just msg snd kia tha k m ab bt nhi karu g to ab m un sy bt krna chahti hu kindly mujy btaey k m is ka kia hall nikalu jis sy m un sy bt kr saku shukriya

Answer: Aap ki qasam sahi nahi thi q k qasam allah k naam say hi hoti hay aap un say bat ker sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2334 ). Update on dated 17-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82302
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: As salam valekum... Maine ek kasam musibat ke time aazan ke time khae allah se ..!! kaha thaa ki is musibat se bahr aagya to mai kasam se galat kaam n krungaa.. To kya ye kasam maani jaegi.. Aur agr ye kasam tood di ya tooot jae to kya ispe kaffara wajib hai..??

Answer: Agar qasam Allah k naam say khaee thi or alfaaz zuban say ada kiay thay to qasam maani jaey gi or torhnay per kaffara bhi wajib hoga warna nahi. (Ref: Al masael ul muntakhaba, masala#1264). Update on dated 24-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82328
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Slam agar koi gusa me ye kahe k mene yeh kam nahi Kia mein kalma ki kasam khati ho agar mene ye kam Kia ho to mujhay kalma ki mar paray to Kia ye kasam ho gai but but ussi waqat wo pashtaey k ho sakta he muj see aesa kam ho gia ho shayad kasam joti he aur wo pareshan ho to work Kia karey

Answer: Jhoot boolna gunah hay, laikin is tarah ki qasam durust nahi hay. Ref: ( Minhajus Saliheen jild#3 masala#688). Update on dated 27-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82375
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mene ek ladki se gandi baate ki phone pr hi .......phir jhooti quran ki qasam bhi kha li or uske baad mujhe allah ka khof hua toh allah se maafi maag li mujhe kya krna chaiye

Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82377
Mujtahid:
Date:

Question: asssalam alekum mufti sahab mene ek ladki se bahut galat baate ki sex se mutalik.... or jab mere behen ko pata chala toh mene quraan sharif ki jhooti kasam ki li par baad mein mene allah se maafi maagi kyuki yeh meri zindagi ki pehli or inshallah aakhiri galti thi.. aap bataye mujhe kya krna chaiye

Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84417
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam maine gussay mai a kar quran ki kasam khai or dost ko kaha agar tum aesa nae karo ge tu zindagi mai shakal nae dekho gai ab kya ho sakta hai? kya kaffara ada karne se kasam wapis hogi? mai baat karna chahta hu

Answer: Agar aap ne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 26-12-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84681
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agr koi zbrdasti quran ki kalmy k bcho ki qasam uthway or hr choti or am bat py qasam uthwa k safai mangy ir dar ay sometim jhuti qasam utha ly to is pr kia kafara ha plz bta daen

Answer: Jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2638 ). Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84690
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya mannati roza rkh skte h?

Answer: Jee haan, roze ki mannat maangi jaa sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2615 ). Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86966
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya quran pr hath rakh kr kasm uthana jaiz hai ya aesa krna gunah hai q k kuch log khty hai k quran pr hath rakh k kasam uthani hi ni chahiye.

Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Masael e muntakhaba, maslah #1265 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86995
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir meri khala ka khawand un ko mjse bat na krne k lye quraan ki qasam. Kalma pak ki qasam. Aziz rishta daron ki qasam deta hay k agr tm ali se bat kro to allah tmhre bhaio aur maa bap ko mar de. Aur tmhre bhaio k bchay mer jayn. Khala mjse bete ki trah pyar krti hn kiun k un ka koi beta ni. Agr wo apne khawand k kehne pr qasam ni khati to wo talaak ki dhamki deta hy aur us ne aik talaak de b di thi.please hmen seedha rasta k hmko kya krna chahye. Wazya kr rha hn k us admi ko taklif yh hy k us ki bivi us ki bat ni manti. Pas e pusht bat itni c hy k wo meri ma ki behn hy aur mje olad ki trah pala hy.

Answer: Ye qasam durust nahi hay. Is per amal kerna lazim nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 13-02-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w)

Print

Id:
87007
Mujtahid:
Date:

Question: Mai ny Allah sey wada kia tha mai aab cigarette nai pio ga ais k bawjoob pia hai abb kia hu ga ??

Answer: Agar Allah se kiya huwa Ehed tora jaye to gunahgar hone k sath sath zarori hai k kaffara bhi diya jaey matlab 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilaya jaey ya 2 mahine musalsal rozay rakhe. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 13-02-2018.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87016
Mujtahid:
Date:

Question: Me ne quraan p hath rakh kr qsm khai bhai or baap k samnay k mery pas mobile ni h..or ye b kaha k agr ho to Allah mujhe gharq kry.jb k mob mery pas h

Answer: ye qasam durust nahi q k qasam ki kuch sharait hai. Jhooti qasam khana jaiz nahi hai lekin mukhalfat per koe kaffara nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 29-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88418
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa Mere abu ne mjse qasam khane ko kaha or agr me sch bol deti or kasam na khati wo meri maa ko talak dedete. Mene isi lie jhuti kasam khali QURAN ki. Ab iski kia mafi he?

Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88504
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mn ami se Allah r quran ki kasm khao thi k mn chars nai piyun ga lekin mn ne pee lekin ajj mujhy ehssas huwa h r mn sharminda b hun r onda nai piyun ga ab mn kiya krun jo kasm. Thori h uska kesy kafra krun

Answer: Agar aap ne qasam ki saari islami shartoon ka khayaal rakhte hue khae thi to, to baad men jaan boojh ker us qasam k khilaf amal kiya to gunahgaar hon ge, or kaffar bhi dena zaruri hoga, or qasam ko torhne ka kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pet bhar ker khana khilaen ya phir unko libaas pehnaen or agar ye kaam nah ker saken to 3 din musalsal roza rakhen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88609
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Maine josh me aake apnay husband k sar par haath rakh k kasam khai thi k tumhari kasam mai ye kaam karungi but den mujhse nahi ho paya tou is ka kya kafaara dena zaruri hai plz answer m very tensed..

Answer: Wo qasam jo jazbaat mai aa kar khai jaey wo durust nahi hoti or is qasam main or bhi sharaet maujood nahi hain, is liay ye qasam batil hay, or is ko poora kerna zarori nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2634).khuda aap ko uloom e aal e muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaaye.

Print

Id:
88674
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mujay imam E zamana As ka qasam mila hai k cigarette aj k bd ni piyo gy agr mai ny piya tu kiya ye qasam sahi hai is ka kofara hoga?

Answer: Ye qasam durust nahi hai q k is mai qasam ki sharait moujood nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2633,2634). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88689
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Assalamalekum , aghar koi kese majboure se Qasam kale (ya kese sai dar kar) to os ko tor na jayez ha ya nahi

Answer: Aisi qasam durust nahi hai q k qasam ki sharaet main sai hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah khoie maslah no 2680). Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92827
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-29

Question: Agar koi mjsy zabardasti kasam khilwaey olad ki tou kya wo pori krna zaruri h ya uska kaffara?

Answer: Jee nahi aisi qasam durust nahi hai balakeh qasam ki sharaet mai sai aik shart ye hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2634 point 1).
[Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92883
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-02

Question: Sir maine jazbat mai akar quran ke kassam khae matlb gussah mai akar lakin mujhe pata ha mai yeh kassam qaem.nahi rakh sakta yeh toot jaye ge toh eska hal

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza os qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2634 )
[Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93010
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-09

Question: sawal ye hai k choti umar main bghyr smj k kisi k kehny pe quran pe hath rkh k khayi kasam ko pura na kr skny ka kaffara?

Answer: Is tarah ki qasam durust nahi hai qasam soch samajh kar pore hoosh o hawaas main apne ikhteyaar sai khaai jaati hai albatta jhoot kaha hai tu us ka gunah milay ga lekin qasam durust nahi lehaaza is ka kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2633).
[Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93015
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-10

Question: Sir m ne quran pr hath rakh k sb family k samne jhoti qasam khai k m Mobile pr bat nahi kr rahi thi jb k m kr rahi thi m bht dar gai thi aur apne parents ki izat b qaim rakhna vhahti thi kya kaffara ho ga ic gunah ka??

Answer: aghrchah aap nay yeh haram kaam kia hay lekin is say kaffara wajib nahi hota.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2628)
[Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93092
Mujtahid:
Date: 2018-11-14

Question: Ye mainy apny frnd se bola. Mainy quran pe halka sa hath rakha k mainy koi bat nahi chupai. Thi tou mai waqai sincere aur aisi waisi koi bat nahi chupai. Lekin ghar mai hazar baten hoti insan zaroori nahi k har bat kisi ko btaye.. Tou mainy hath rakh dia aur bola mainy koi bat nahi chupai aur sincere hn.. Plz mujy btayen kuch ghalt tou nahi kia mainy?

Answer: Jhoot aik gunah e kabeera hai or is jhoot sai bachnay ka hal ye hai k aap tauria kar len or agar aap ne qasam khaai hai tou aisi qasam durust nahi hai q k qasam ki sharaet mai sai aik ye hai k wo jazbaat main na khaayi jaey balke apne ikhtiyaar sai khaayi jaaye lekin agar aap ne jhoot bola hai tu us ka gunah apni jagah milay ga.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2633)
[Updated on 14-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93299
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-26

Question: Gussa may aa k agr Allah ki ya Quran ki kasam kha k kaha jaye k may yei kam kro gi aur phr ab jb bd may ehsas ho k may yei ni kr skti ya mjy ni krna chahye tu ab kya krna chahye

Answer: Yeh qasam sahi nahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2634 )
[Updated on 26-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93496
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-03

Question: Salaam ,Mufti Sab agar insaan ye kahy ke main aaj ke baad machli ni pakroon ga laken Allah sy iss baat ka Waada khayal main kahy zuban sy adaa na kry aur Uss waqt wo gussy aur josh main ho aur uss ko ye bhi doubt ho ke waada ka tassawar Kia bhi ha ya nahi...for example agar Allah sy Waada ka tassawar kia bhi ha to an kya dobara machli pakar sakta ha?

Answer: w.salam
Agar apki murad wada kاrne se Allah se ehad karna hay or apne Allah se wada karte waqt is tarah ka jumla kaha tha k men Allah se ehad karta hun to is ahad per amal na karne ki surat men aap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shariat ki janib se koi hukm nahi (Ref ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition 35 mafhoom e maslah#2631 2632).
[Updated on 03-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93661
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-26

Question: Mai na ek bandy k bary ma baat ki jo usy pata chal gae to mai na apni beti ki qasam kah li k ma na ya baat is tarh ni ki jab k bad ma ma na Allah sy maafi b mangi ..kia mujy apni is jhoti qasam ka kafara daina hoga ..kun k maira zameer mutmain ni horha

Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay, laikin is jhooti qasam khane ki wajah se kafara wajib nahi hoga. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264).
[Updated on 26-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93887
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-04

Question: main ne kisi ikhtelaaf pr apne baitay ki jhoothi kisam khaye k aisa bilkl nhi hai... kya ye kasam ki islam main ijazat hai. kya espr koi kafara banta... please update me... thanks

Answer: Nahi ye qasam durust nahi or koi kaffara nahi hoga q k is mai qasam ki sharait moujood nahi hai lekin jo aap ne jhoot bola hai us ka gunah aap ko mile ga or is liye aap par lazim hai k khuda sai tauba karain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 mslah no 2633,2634).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94290
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-05

Question: Maine kasam khai foat hoe bnde ki uska kia kafara hai Or usay us bnde ko koi fark par skta hai ya nai?

Answer: is tareeqe ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k qasam mai ye lafz bola jaaye k "allah k liye" ...................
is ka koi kaffara nahi hai lekin jo jhoot bola hai uska gunah hoga uske liye laazim hai k aap tauba karein. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2634).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94296
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: meri aik freind ne mjhse zabardasti kasam quran ki khilwai k main apna ghar chordon and apni ammi se kabhi baat nhi karon warns woh suicude krlegi, iss baat se ghabra k Maine kasam khali, 2 din se ghar nhi gya hon but yeh kasam mushkil lag rahi hai, kiya yeh kasam jaiz hai aur kiya iss pe laazmi amal krna chahye aur kiya sharai tor pe ammi se baat chorna jaiz hai

Answer: Is tarah ki qasam ki koe ehmiyat nahi hay, aisi qasam batil hay. (Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani d.b, edition#41, maslah#2634)

Print

Id:
94498
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-05

Question: sir mera sawal ye hai k mene jazbat m aake quran ki qsm khali prrr mjh pta h k m wo kam again kbh na kbh ghlti se krnga pr mene aj toba bh krli h k ab kbh aesi koi qsm nh khaunga to abh jo khai h uska kia krn ,,,,..

Answer: Jazbaat mai khaail hoi qasam durust nahi hoti.koe kaffara nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2633).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94604
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-09

Question: Meine kisi se jazbaath me aakar na milne ki allah ki kasam khayi thi...ab mujhe milne parr majboor hona padhraha haii...meri kasam ka kya hoga...mujhe saza milegi..kaffara dena hoga?

Answer: is tareeqe ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k jazbaat mai na khaai jaaye or qasam kisi haram kaam ki nah ho. lehaza ye qasam durust nahi or is ka koe kaffara nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2633).
[Updated on 09-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94984
Mujtahid:
Date: 2019-03-26

Question: A/sw Meri Ammi ne muje peressure me dal kr kuran_e Pak ki kasam de di thi ki Jo juwa type ka photo khelne Wala hota hai hero sab Wala wo touch nhi krna hai aur Maine aj Uss photo ko galti se touch kr liye hai to Kya aap bta de ki mere par Kaffra lajim hoga ya nhi

Answer: jee nahi is tareeqay ki qasam durust nahi hai or aap per koe gunah nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah no 2633,2634).
juwa(Gambling) khelna jaiz nahi hai.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 488, pg # 259)
[Updated on 26-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95206
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-05

Question: Assalamualaikum maine gusse m aakar Allah ki Kasam kha li k ghar m kisi k liye khana nhi banaungi Lekin ek month Baad khana banai Kasam todne ka kya kuffa ada karna please mughe bataye

Answer: wsalam. Jo qasam ghussay ki haalat ya jazbaat mai aakar khayi jaaye aisi qasam durust nahi hai lehaza is ka kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2634).
[Updated on 05-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95304
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-10

Question: Asslam o Alaikum, Mjhy yeh puchna hy "Qasam" k bare me kya hukam hy, agr situation yeh ho k social media py jese whatsapp ya kisi b application me aik banda dosry ko qasam de kr kahe k " tmhy qasam hy meri mjhy block kr do" aise qasam ho jati hy kya?

Answer: Jee nahi aisi qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition, 41#maslah#2633,2634).
[Updated on 10-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95731
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-29

Question: Assalamo alikum Mera swal ye ha Agr quran per hath rkh k kaha jay k man flan sy bat nhi kron ga Aur phir us sy bt ki jay Tu kia kafara ha Islam man is ki kia haqeeqat ha

Answer: wsalam.is tareeqay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye (allah k liye...........ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga),is k ilawa jazbaat mai qasam na khai ho wagaira wagaira.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatulah seestani edition 41 maslah no 2633,2634).
[Updated on 29-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97478
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-23

Question: Main nay masjid main baith kar qasam khaai thi or Allah Taala say ehad kia tha k aynda jhoot nai bolun gaa..... Lekin main nay phir jhoot bola hai..... Ab mjy kia karna chahiye.....?? Please tell me....

Answer: Agar aap ne qasam ki saari islami sharto ka khayal rakhte huay khai thi to baad men jaan boojh kar us qasam k khilaf amal kiya to gunahgaar hoonge or kaffara bhi dena zaruri hoga or qasam ko torne ka kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khana khilaen ya phir unko libaas pehnaen or agar ye kaam nah kar saken to 3 din musalsal roze rakhen (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition# 41, mafhoom e maslah 2633 34).
[Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97630
Mujtahid:
Date: 2019-06-15

Question: Kisi ne quran pay hath rakh k mere liye qasam khai k tm se jhoot nai bolon gi pr wo abi b bol rahi hai, mein kisi tarhan is qasam ko khatam krna chahta hun ta kay uska nuqsan na ho. Matlab k wo agar ab jhoot bolay b to qasam lagu na ho us pay.

Answer: Qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye allah k liye ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga is k ilawa jazbaat mai qasam na khai ho wagaira wagaira ref tauzeeh ul masail ayatulah seestani edition 41 maslah no 2633 2634
[Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98409
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-11

Question: mere ek friend ko uski ammi ne apne sar pe haath rakhwa ke kasam di hai ke wo mujhse na mile...par wo milna chahta hai...kya wo qasam tod sakta hai??

Answer: is tareeqe ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634)
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98420
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-11

Question: Mera shohar mujhse bat bat pe quran uth wata hy . Usne mujhse bola k tum quran uthao . Mene quran utha k jhot boly . Tu me iska kaffara kese ada kru. Pls help me

Answer: Qasam wo hoti hai jo apne ikhtiyaar sai khaai jaye or us mai deegar sharait bhi hon tou qasam kehlaati hai warna qasam durust nahi hai or is ai kaffara bhi lazim nahi hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai ye gunah e kabeera hai lehaza is k liye taubaa laazmi hai.Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633-2634)
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99175
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-06

Question: Mere dost ko unki mummy ne kasam de ki.. Wo kasam khaye ki wo kisi se baat na krre ph pr aur unhe mummy ki baat maan kr kasam leni padi pr mere dost ne ph pe nhi msg me baat ki.. Kya ye kasam Valid hai kya iss Kasam ka Kaffara nikalega.

Answer: jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634)
[Updated on 06-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print