Showing 150- 200 questions from 224 questions on this page.
Question: Assalam-o-Alaikum Please advise, as per "Fiqah Jaffarya" code what will be the share as per Shariat law of mine, my one son and my two daughters, on sale of double storey house of my wife who leaving this expired? Similarly please also advise the share in her other properties like gold, silver, ornaments, furniture, crockery, bank accounts, savings certificates, paper currency etc.. Thank you
Answer:
Meeras (jo sharaei taur par taqseem howa karti hai) Insaan ki zindagi men taqseem nahin hoti. Han agar koi kisi cheez ka malik kisi ko bana deta hai to wo tuhfa(gift) kehlata hai aur tuhfay men Insaan ki marzi hai ke wo jise chahe jitna hissa day.(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition 1417 hij, mafhoom e maslah #1320).
[Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: والد نے اپنی حیات میں گھر اپنے بڑے بیٹے کے نام کر دیا۔بیٹے نے وہ گھر بیچ کر نیا گھر اپنے نام سے لیا۔1.کیا بیٹا پ فرض ہے کہ وہ اپنے بھائی اور بہنوں کو حصہ دےجبکہ والد کی حیات میں کسی نے بھی کوئی مدد نہیں کی اور اس لڑکے ہی نے والد کا قرض اور چھوٹی بہن کی شادی کرائی۔2.اگر حصہ دے بھی تو کس رقم سے دے وہ جو والد کے گھر سیل کرنے پر ملی تھی یا اپنے گھر کی مجودہ قیمت۔برائے مہربانی جواب دے۔
Answer:
Jis maal ka insaan apni zindaghi me kise dosere ko tufa de kar malik bana daita hay or jis ko wo maal dia gaya hai us ne qabza bhi karlia ho tu wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shaks ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo maal walid ne apne baite ko zindagi men de dediya hai wo baite ka maal hoga.Baap k inteqaal k baad jo maal Baap ki milkiyat main tha or sab baito baitiyo or biwi main meeras ki makhsoos taqseem k mutabiq taqseem hoga.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1439 hij).
[Updated on 25-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere walid ki death hu chuki hai 11000000 chorr k gaye hain 3 sisters or 2 brothers hain or walida hain sabko kitna kitna milay ga plz guide kar dain walid pe walid k koi wajibaat baki nahi hain
Answer:
Aap k sawal k mutaabiq aap ke walid sahab ka inteqaal hogaya hai un ki aik zoja hai ( yani aap ki walida) or un ki 3 betian hain (yani aap ki sisters ) or un ke 2 betay hain or aap ke walid sahab ke uppe un ke koi wajebaat nahe hai or meraas 11000000 hai tou is ki taqseem kuch is tarah sai hogi.
aap ke walid sahab ki zoja:(aap ki walida) ka hissa 1/8 hoga yani 11000000/8= 1375000
or baaki meraas jo bach gaye hai us mai baiton(sons) ka hissa baition ( daughters) ki nisbat dugna hoga.
11000000-1375000=9625000
1st daughter=1375000
2nd daughter=1375000
3rd daughter=1375000
1st son=2750000
2nd son=2750000
is tarah total meraas =11000000 taqseem hojaaeghe
[Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar baap apne jaydad zameen me ladkon (boy) ko hissa ek brabar nahi do to kya baap ko gunaah mile gi ? Janab sistan sahab
Answer:
baap apni zindagi may jis ko chahay utna day sakta hay or Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya wo tohfa (gift) shumaar hota hai or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meras k ahkaam nahi ate. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1320 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar baap apne jaydad zameen me ladkon (boy) ko hissa ek brabar nahi do to kya baap ko gunaah mile gi ? Janab sistan sahab
Answer:
Baap apne zindagi may jis ko jitna tofa chahay apnay maal may say hissa day sakta hay , q kay batay ka apnay baap kay mal per un ki zindagi may koi haq nahi faqad Baap k inteqaal k baad jo maal Baap ki milkiyat main tha or sab baito baitiyo or biwi main meeras ki makhsoos taqseem k mutabiq taqseem hoga.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1439 hij).
[Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Abu K Karobar K khtm Hone K bad . Mane Alg se apne paise se Karobar kia Property Banaye Or Pury gr ka Khercha B Khud Uthaya Mare Bhiayun K kherchy Smait. Ab Taqseem ma Jo Propery Sirf Mare abu ki Hai usmain Taqsem Hogi Ya Jo Property Mane Khud apne paise banaye hai usmain B Mare Bhaiyun Ka hisa Hoga.
Answer:
Agar aap ka sawal meeras ki taqseem ke hawale hai to is me ye hoga ke aap ke walid sahb ki property taqseem hogi, aap ki apni property me se aap ke bhaiyon ko kuch nahin mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e maslah #2690,2693,2694. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01872/ ).
[Updated on 04-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum maa ke inteqal ke baad maa ka zevar beti ka hoga ya bahu ka?
Answer:
Bahu ko is me se kuch nahin mile ga albatta beti ko mile ga lekin sharaei taur par Maan meeras taqseem karte hue.
Meeras ki taqseem k liye marhooma k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhooma ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhooma ke Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hote hen. 3rd Group: Marhooma ke chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak aik tabqe k afrad mojood hon chahe aik fard hi Q nah ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahin di jaey gi.
(Ref: Tauzeehul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2691,2694).
[Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum Mera sawal ye hai k, agar kisi shakhs ki olaad na ho, ar uski bv bhi wafat paa gayi ho, ar us shakhs ny sab logon(apny bhaio ar reshtedaro) ko kaha ho k meri ye jaedad mery baad mery bhai k byty k nam hai, lakin ye tehrer na ki ho, ar achanak uski mot waqy ho jaye, to islaam is silsily my, jaedad py haq usky behen bhaio ko dyga, ya phr usky bhai k us byty ko jisky nam jaedad usny zabani sab ko bola hai pr likha hua nhi hai?
Answer:
1: "Wasiyat" ye hai ke insaan takeed kare ke us ke marne ke baad us ke liye falan falan kaam kiye jayen ya ye kahe ke us ke marne ke baad us ke maal me se koi cheez falan shakhs ki malkiyat hogi ya us ke maal me se koi cheez kisi shakhs ki malkiyat me de di jaaye ya khairaat ki jaaye ya umoor khairiya par kharch ki jaaye ya apni aulaad ke liye aur jo log us ki kifalat me hon un ke liye kisi ko nigraan aur sarparast muqarrar kare aur jis shakhs ko wasiyat ki jaaye use “wasi” kehte hain.
2: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqay (Groups) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mauujud hon chahe aik hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe ke afrad ko nahin milti.
1st Group: Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ke Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hote hen. 3rd Group: Marhoom ke chaha, phophi, mamu, khala hote hen.
Aur jab tak aik tabqe ke afrad maujud hon chahe aik hi fard ho us waqt tak meeras us ke baad wale tabqe ko nahin di jaeygi.
3: Upar bayan kiye gaye tabqon (Groups) ke mutabiq agar marhoom ke wariseen is baat se raazi hon ke tamam jaidaad us bhai ke ub betay ko di jaye jis ke baare me marhoom ne wasiyat ki hai to is surat me marhoom ki tamam ki tamam jaidaad usi betay (bhatijay) ko di jaye gi. lekin agar wariseen is baat se raazi na hon to is surat me marhoom ki tamam jaidaad me se teesra hissa (1/3) us betay (bhatijay) ko diya jaye ga, Aur baaqi 2 hissay marhoom ke warseen me tarteeb-war (number wise) taqseem hon gay.
(Note: Tehreer ka hona zaroori nahin bas agar jis ko ye kaha ho ke meri jaidaad mere marne ke baad falan ko di jaye to us pe amal karna zaroori hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2657,2691. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01872/ ).
[Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera question ye hey merey walid ki death ko 13 sal hogaey hen abhi 2 sal pehley walida ki bhi death hogae hum 2 bhai aur 7 behnen hen abu key nam per eak ghar hey men chati hon virasat ki taqseem hijaey to app mughey bataen key kesey division hogi aur hamari nani abhi zinda hen baqi dada dadi nahi hen
Answer:
Sab se pehle us ghar aur ghar ki zameen ki qeemat lagayei jaye gi is ke baad tamam raqam ke giyara (11) hisse kiye jayen ge aur taqseem ke waqt har Bhai ko do (2) hisse milen ge aur har Behen aik (1) hissa mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2694).
[Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri maa ki saari jaidad h mere teen bhai do behen h kul hum 5 hain lekin do bete badqaar h jo meri maa pr zulm krte h aur aulaad ka haq ni nibhate kya aise bacho ka bhi hissa dena waajib jo maa r zulm karte ho aur maa ko maa ni maante?
Answer:
Jee han, is surat mein bhi meeras mein un ko apna hissa (jitna banta hai) mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, edition #1443, Mafhoom e Maslah #1294).
[Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Marhoom k intiqal k kitny rooz baad wirasat ki taqseem ki jai
Answer:
Sharaei taur par jaise hi kisi insan ka intiqal hota to meeras ke taqseem karne ke ahkam jari ho jate hai lihaza zaroori hai ke jaise hi marhoom ka intiqal ho meeras taqseem karni chahiye siwaye ye ke wariseen raazi hon to phir takheer ki ja sakti hai.agar marne waale per kise dosere ka qarz hay tu phele marne waale ke asal maal se qarza ada kia jaae gha phir meraas taqseem ke jaae ghe .( or agar marne wale ki zindaghe me us per haaj wajib ho or us ne nahe kia tha tu us ke marne ke baad us marne wale ke asal maal phele us ki taraf se hajj karaaya jaay gha)
(Ref: Link: https://www.sistani.org/persian/book/26578/7759/,sistani.org,urdu,topic:meraas,sawaal no:26 ).
[Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alekum sir Mera sawal ye hai k mery Walid marhom ny apni Zindagi main apna sab Kuch apni bv Yani k Meri walida k name kar diya ab os main Mera koi hisa banta hai ya nhi main Mari walida ka Saka beta hon
Answer:
Meeras (jo sharaei taur par taqseem howa karti hai) Insaan ki zindagi men taqseem nahin hoti. Han agar koi kisi cheez ka malik kisi ko bana deta hai to wo tuhfa (gift) kehlata hai aur tuhfay men Insaan ki marzi hai ke wo jise chahe jitna hissa day. Agar aap ke walid sahab apni zindagi me hi apni biwi (aap ki walida) ko sab kuch batour e milkiyat de chuke thay (or biwi (aap ki walida) ne us per qabza bhi kar lia ho) to ab ye tamam cheezen un ki biwi (aap ki walida) ki milkiyat kehlayen gi or yeh meeras ke tor par taqseem nahin hon gi.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1439 hij, mafhoom e maslah #1320).
[Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bhai ki kamai daulat mei behen ka hissa?
Answer:
Aurat ka apne baap, bhai or shohar ki zindagi me un ki kamai me koi hissa nahin hota siwaye naan o nafaqa aur digar zarooriyat ke wo bhi bhai par wajib nahin hotein, aur shadi se pehle baap ke ghar me baap par naan o nafaqa aur digar zarooriyat wajib hoti hain agar wo gareeb ho or baap us ka naano nafaqavdesakte ho, aur shadi ke baad us aurat ke shohar us ka naanonafaqa par wajib hota hain. lekin agar baap, bhai ya shohar tuhfe (gifts) ke taur par koi raqam ya koi cheez den to is me un ki marzi hai ke chahen to den ya na den, ya chahen to kam den ya ziyada den, lekin un ki zindagi me auart ka hissa nahin hota.
Han intiqaal ke bad sharaait ke sath or meeras ke tabqon ke riaayat ke sath use kisi na kisi tarah meeras me kuch na kuch milta hai. aur meeras ke ahkam alag hain.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1439 hij, mafhoom e maslah #1320. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ + https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/ ).
[Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASALAM O ALEAKOMM MERY BHAI KA OR BHABHI KA INTAQAL HO GAYA HY OR ONKI KOI OLAD NAHI HY 1 BETI GUD LI HY BHAI KI JAIDAD MAIN 1 GHAR HY ISKI TAQSEEM KIS TARHA HO GI BARY MEHRBANI REHNUMAI FARMAIN JAZAK ALLAH
Answer:
1: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ya marhooma ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or ye tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti.
1st Group: Marhoom ya Marhooma ke Maan, Baap or aulad hote hen.
2nd Group: Marhoom ya Marhooma ke Dada, dadi, nana, nani, bhai or behen hote hen.
3rd Group: Marhoom ya Marhooma ke chaha, phophi, mamu, or khala hote hen. Aur jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras doosre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi. isi tarah jab tak doosre tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras teesre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi.
2: Aap ke marhoom bhai ke Ghar ya (is ke alawa kisi jaidaad) ke hawale se, chounke marhoom ki aulad nahin, is liye agar pehle tabqe me faqat maan ya faqat baap marhoom ka waris ho to poora ghar use mile ga.
3: Lekin agar maan or baap dono maujood hon to ghar (ya ghar ki raqam) ke teen (3rd) hisse kiye jayen ge in me se do hisse baap ko or aik hissa maan ko mile ga.
4: Aur agar pehle tabqe me koi bhi (maan, baap, aulad) maujood na ho to jaidaad ko dosre tabqe me taqseem kiya jaye ga. Is tarah se ke agar marhoom ka waris faqat aik bhai ya faqat aik behen ho to poora Ghar use mile ga, aur agar chand sage bhai ya chand sagi behnen hon to Ghar ko sab bhaiyon me ya sab behnon me barabar barabar taqseem kiya jaye ga. Lekin agar sage bhai bhi hon aur sagi behnen bhi hon to ghar ko is tarah se taqseem kiya jaye ga ke har bhai ko har behen se dugna (double) hissa mile ga. Maslan agar marhoom ke do sage bhai aur aik sagi behen ho to ghar (yani Ghar ki raqam) ke paanchh (five) hisse kiye jayen ge jin me se har bhai ko do hisse milen ge aur behen ko aik hissa mile ga. Isi tarah aap ki bhabi ki agar koi jaidaad ho to us ka hukum bhi yahi hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694,2695,2704).
[Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASALAM O ALEAKOMM MERY BHAI KA OR BHABHI KA INTAQAL HO GAYA HY OR ONKI KOI OLAD NAHI HY 1 BETI GUD LI HY BHAI KI JAIDAD MAIN 1 GHAR HY ISKI TAQSEEM KIS TARHA HO GI BARY MEHRBANI REHNUMAI FARMAIN JAZAK ALLAH
Answer:
Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASALAM O ALEAKOMM MERY BHAI KA OR BHABHI KA INTAQAL HO GAYA HY OR ONKI KOI OLAD NAHI HY 1 BETI GUD LI HY BHAI KI JAIDAD MAIN 1 GHAR HY ISKI TAQSEEM KIS TARHA HO GI BARY MEHRBANI REHNUMAI FARMAIN JAZAK ALLAH
Answer:
Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: wirasat ki jo propert hy is men behnain karaya ki haqdaar hen yanahi. ya phir jab property sale ho gi tab hi behnon ko hissa dia jaye ga. please guide me thunx.
Answer:
Agar property taqseem nahin ki gayei to is property se jo munafa hoga wo munafa bhi sab me taqseem hoga. or behnen bhi haqdar hongi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694,2695).
[Updated on 15-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ma meri bivi our 3 baitay ha .ma apnay 3 bhaio k sath akatay rehtha ho our ab jayaidad ki taqseem horahi hai ha meray pass meri bivi ki property hai kiya ic property ma yani meri bivi ko baap k gar say mili hoyi property ma meray bhaio k b haq bantha hai ya nhi?
Answer:
Aap biwi ko jo meeras apne baap se mili hai us me aap ka ya aap ke bhaiyon ka koi hissa nahin banta. lihaaza aap ko ya aap ke bhaiyon is me se kuch nahin mile ga.
(Ref: Tauzeehul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2691).
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: waldin ke koi wasiyat na ho to behn bahio ko k sy hisa lena ho ga
Answer:
1: Kisi mard ya aurat ka agar intiqaal ho jata hai to sharaei taur par us ki jaaidad ko un ki aulaad me Meeras ke taur taqseem kiya jata hai.
2: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ya marhooma ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. 1st Group: Marhoom ya Marhooma ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ya Marhooma ke Dada, dadi, nana, nani, bhai or behen hote hen. 3rd Group: Marhoom ya Marhooma ke chaha, phophi, mamu, or khala hote hen. Aur jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras doosre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi. isi tarah jab tak doosre tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras teesre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi.
2: Agar pehle tabqe mein marhoom ya marhooma bete aur betiyan dono waris hon to jaaidad (maal) ko un ke darmiyan youn taqseem kiya jayega ke har beta, beti se dugna(duoble) hissa paye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694).
[Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir mere walid sahab ki do shadian hain phli biwi wafat pa gain thin to dosri shadi ki phli bewi sy 2 bety or 2 betian hain dosri bewi hyat hain un sy ham teen behnain or aik bhai hain walid sahab ki wafat ho gai hai un k tarky mn do makan hain aik 4.5 marly ka dosra 5.5 marly ka kesy takseem ho g?
Answer:
Marhoom ki zauja (yani aap ki waalida) ko dono makanon ki zameen men say koi hissa nahin milega or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milega hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahin banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milega or jo cash ya gold ho ya jo jaidaad ho to sab men biwi (yani aap ki waalida) ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay wo marhoom ki biwi (aap ki waalida) ko diya jaye ga. Aur baqi jaidaad ya raqam ke 11 hisse kiye jayen ge, jo ke aap sab behnon or bhaiyon men youn taqseem honge ke har bhai ko behen se dugna (double) hissa mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2728,2694).
[Updated on 25-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar aik banday ki 3 daughters ha. Us k koi b sister ya brother nae even k mother r father b nae hai . Uski jaidad kis tara divide hoo gi 3 daughters ma
Answer:
Agar marhoon ki sirf chand (maslan teen) baitiyaan waaris hon to jaaidad ko baitiyon me barabar barabar taqseem kiya jaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2697,2701).
[Updated on 16-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Chacha ke naam property ha us ka kon kon waris ha islam ki rooh se
Answer:
1: Agar kisi ka intiqaal ho jata hai to sharaei taur par us ki jaaidad (property) ko un ki aulaad ya deegar wariseen me Meeras ke taur par taqseem kiya jata hai.
2: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. 1st Group: Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ke Dada, dadi, nana, nani, bhai or behen hote hen. 3rd Group: Marhoom ke chaha, phophi, mamu, or khala hote hen. Aur jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras doosre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi. isi tarah jab tak doosre tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras teesre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi.
3: Masalan agar pehle tabqe mein marhoom bete aur betiyan dono waris hon to jaaidad (maal) ko un ke darmiyan youn taqseem kiya jayega ke har beta, beti se dugna(duoble) hissa paye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694).
[Updated on 19-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalm o Alekum, Wirasat mai, Father, 3 Sons aur 2 Daughter in ka Hissa kis tarah se hoga. Shukriya
Answer:
Agar aap ka sawal is tarah ka hai ke aik aurat ka intiqaal hua hai, us ka shohar hai aur us ke 3 betay aur 2 betiyan hain. To is ka jawab ye hai ke Biwi ki poori jaaidad men se shohar ko chothayei (1/4) hissa mile ga or baaqi maandah hissa 3 betay aur 2 betiyon me is tarah taqseem hoga ke Har betay ko betiyon se dugna hissa mile ga.
Misaal ke taur par agar biwi ki jaaidad 1 lac hai to is me se shohar ko chothayei (25,000) , aur baaqi 75,000 me se 9,375 dono betiyon me se har beti ko, aur teenon beton me se har betay ko 18,750 milen gay.
Isi tarah agar dosri jaaidad jese ke ghar, zameen wagera... bhi hai to wo bhi isi tarah taqseem hogi.ye meras ki taqseem us surat me hay ke jab Marne wale per kise ka male qarza na ho or Marne wale ki zindaghi me Marne wale per Hajj wajib na hogaya ho,or agar Marne wale per kise ka male qarza ho ya Hajj wajib ho tu phele qarza or Hajj anjaam dia jaay ga us ke baad meras ki taqseem ki JAAE GHE. Meras per tu khums wajib nahe hay or agar Marne wala khums nahe Deta to wareseen per Marne wale ki taraf se khums dena wajib nahe hay or agar wo khums Deta tha tu jis maal ka usne khums ada nahe kia us maal ka khums nikaalna wajib hay or agar khums us ke zimme hay tu bhe tu bhe Jo khums us ke zimme hay uthna khums nikaalna hay or Agra Marne wale ko Saal ke darmyaan koi manafa hasil ho or wo Saal ke Duran mar jaae tu us ki maut Tak ke akhrajaat nikaal kar furan us munafe ka khums ada kia jaay OR AGAR AAP KA SAWAAL KHUCH OR HAY TU AAP APNE SAWAAL KI DOBARA WAZAHAT KARKE SAWAAL KARSAKTE .
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2494,2727,1723,1724,1736,sistani.org,topic : meras).
[Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere shohar ne mjhe jo zewar shadi pe dia tha apni kamai se kia wo bhi shoahr k intiqal k bad wirasat may taqseem hoga Jb k wo zewar mjhe dedia tha ?
Answer:
Agar koi shakhs apni zindagi me kisi ko kisi cheez ka malik bana day to wo cheez pehle wale shakhs ki milkiyat se nikal kar dosre ki milkiyat me chali jati hai, Is bina agar wo zewarat aap ke shohar ne aap ko tuhfe ke taur par diye the aur aap ki mikiyat me qaraar diye the yani aap ko un zewraat ka malik banaya tha to ye shohar ki meeras ke aitebar se taqseem nahin honge.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1320,1335).
[Updated on 12-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mera sawal ye hai ke agar maa baap hayat ho jinke 3 bete ho jisme se ek ka inteqal ho chuka ho jiski 2 betiya ho to kya marhoom bhai ki betiyo ko hissa miley ga .(agar bhabhi ne dusri s hadi kar ke betiyo ko apne sath le gai ho )
Answer:
Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. in me se pehla tabqa (1st group): Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai jahan tak yeh silsila niche chala jaaye. in mein se jo koi marhoom ke zayada qareeb ho woh meeras paata hai aur jab tak is giroh mein se aik shakhs bhi maujood ho, dasra giroh meeras nahin paata. lihaza marhoom bhai ki aulad (chahe bete hon ya betiyan) ko hissa nahin mile q Q ke pehle tabqe me maan, baap aur 2 bhai abhi maujood hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694).
[Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dosri maa sy aulad nahi hy to kia dosri maa kay tarqy sy us ky bhai ko hisa mily gha
Answer:
1: Meeras ki taqseem ke liye marhooma ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti.
Pehle tabqe (1st group) me marhooma ke Maan, Baap or aulad hote hen aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai.
Dosre tabqe (2nd group) me marhooma ke Dada, dadi, nana, nani, bhai or behen hote hen.
Teesre tabqe (3rd group) me marhooma ke chaha, phophi, mamu, or khala hote hen.
Aur jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho tarka doosre tabqe ke afraad ko nahin mile ga. aur agar pehle tabqe ke afraad maujood nah hon to tarka doorse tabqe ke afraad ko mile ga aur jab tak doosre tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho, tarka teesre tabqe ke afraad ko nahin mile ga. lihaza agar pehle tabqe mein marhooma ke maan, baap aur aulaad dono maujood nahin hai to marhooma ki jaaidad doosre tabqe ke afraad ko mile gi.
2: Agar marhooma ka shohar maujood hai to to us ke saare maal ka nisf (aadha) hissa shohar ko bhi mila ga phir baaqi mandah doosre tabqe ke afraad ko mile ga. aur agar shohar maujood nahin hai to poori jaidad doosre tabqe ke afraad ko mile gi. ab doosre tabqe me jo afraad maujood hain un ke darmiyan meeras kese taqseem hogi is ke liye aap qareeb kisi maulana se rabta karen.
Ya darj zel numbers par contact karen.
Tel: (0092-21) 32226948
Tel: (0092-21) 32237207
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694,2727).
[Updated on 17-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dosri maa sy aulad nahi hy to kia dosri maa kay tarqy sy us ky bhai ko hisa mily gha
Answer:
Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 17-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere chacha ki olad nahi hai fout ho gaya hai jaidad ki taqseem kaise hogi ham 3 bhai aur 5 counselling hai cha cha ki bivi aur 2 sister hai
Answer:
Ye kis tarah ka sawal hai ? Samajh me hi nahin aa raha ?
[Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dadi ki property main pote ya poti ka kya hissa rahenga agar maa ki hayati main baap ka inteqal ho jaaye by islam
Answer:
Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. in me se pehla tabqa (1st group): Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai jahan tak yeh silsila niche chala jaaye. in mein se jo koi marhoom ke zayada qareeb ho woh meeras paata hai aur jab tak is giroh mein se aik shakhs bhi maujood ho, dasra giroh meeras nahin paata. lihaza marhoom ki aulad ki aulad (yani marhoom ke pote, potiyon) ko hissa nahin mile, lekin agar marhoom ke maan, baap aur aulad hayat na hon to marhoom ki aulad ki aulad (yani marhoom ke pote, potiyon) ko hissa mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694).
[Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Agha!agar koi shaks mar gya hai or uskay na maa baap hain na hi aulaad hai ,2 sagey bhai 1 sota ilaj bhai 1 sagi behen hai,to sabka kitna hissa hoga,sotailay bhai ka kitna hissa hoga,baap ek hi hai .dusri maa ka beta hai sotaila bhai .sotailay bhai ko kitna hissa milay ga
Answer:
1: Jo log rishtedaari ki bina par meeraas paate hain un ka dasra giroh marhoom ka dada, dadi, nana, nani, bhai aur behen hain aur agar us ke bhai behen na hon to un ki aulaad meeras paati hai.
2: Agar marhoom ke waaris sage bhai bhi hon aur behen bhi ho to har bhai ko behen se dugna hissa milta hai. Maslan agar marhoom ke do sage bhai aur aik sagi behen ho to maal ke paanch hisse kiye jayen ge jin mein se har bhai ko do hisse milen ge aur behen ko aik hissa mile ga.
3: Agar marhoom ke sage bhai, behen maujood hon to pidari (yani sirf baap ki taraf se) bhai aur bahen jin ki maan marhoom ki sauteli maan ho wo meeraas paate.
(Note: in teen masail ko madde nazar rakhte hue marhoom ki jaidaad taqseem hogi, is tarah se ke sautele bhai ko marhoom ki jaidaad me se kuch nahin milega jabke do sage bhai aur aik sagi behen me marhoom ki jaidaa taqseem hogi is tarah se ke maal ke paanch hisse kiye jayen ge jin mein se har bhai ko do hisse milen ge aur behen ko aik hissa mile ga).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b.) edition #42, maslah #2703).
[Updated on 25-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya bap ki property beato my equal divid ho gi agr kisi ko kmm ya zayda di to gunah ho ga jab k bap ki death k bad beato ny property khud divide ki hy
Answer:
Agar marhoon ke sirf chand bete waaris hon to jaaidad ko beton me barabar barabar taqseem kiya jaye ga, agar kam ya ziyada di ho aur jise kam mili ho wo raazi nah ho to gunahgar honge.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2697,2701).
[Updated on 23-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar 2 bhai aur 3 behen ho to wirasat ka hissa kaise taqseem kare
Answer:
Agar marhoom ke waris faqat 2 bhai aur 3 behnen hon to meeras ke 7 hisse kiye jayen ge, jin me se har bhai ko dugna(double) hissa mile ga aur har behen ko aik(single) hissa mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2395,2473).
[Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar 2 bhai aur 3 behen ho to wirasat ka hissa kaise taqseem kare
Answer:
Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar 2 bhai aur 3 behen ho to wirasat ka hissa kaise taqseem kare
Answer:
Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, Mujhay Surah E Nissah ki roshni may Meraas k Ahkaam jaaney hay. Please batey ga
Answer:
Surah nissah Quran ka chautha surah hai aur is mein wirasat se mutaliq mukhtalif qawaneen aur ahkaam mazkoor hain. wirasat ke qawaneen, islami fiqh ka aik ahem hissa hain aur quran o sunnat mein in ka tafseel se zikar kiya gaya hai.
Aap in ki tafseel zel me diye link ko open kar ke maslah #2686, pg #305 me dekh sakte hain.
(Ref: link: file:///C:/Users/pc/Desktop/Downloads/Tauzeeh%20Transliteration.pdf ).
[Updated on 07-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamoalikum janab mere walid ka inteqaal hogya hy. Unki property eik under-construction plaza(milkiyat 10 caror), eik propty rent pr (milkiyat 6 caror), eik garments shop(milkiyat 4 caror) hy. Marhoom ki 2 shadiyan Hain. Pheli biwi ka inteqaal hogya in sy 7 bachy hain (5 bhai or 2 bhen). Dusri wife bewa Hain unki koi olaad nhi. Marhoom ny garments wali jaga apny Bhai ko dyny ki wasiyat ki hy. Or dusri biwi sy Liye gye zivraat wapis krny ki wasiyat. or qarz hy Thora. Hamein batein wiraast mein Kis kis Ka Haq hy. Or kese taqseem hoga. Bewa ka kia hissa bnyga.
Answer:
Meeras ki taqseem se pehle chand marhalay hain us pe tawajjuh karain
Pehla marhala: Qarzon aur maali waajibaat ki adaegi
Dusra marhala: (1/3) wasiyat ka nifaaz
Teesra marhala: bare bete ka makhsoos hissa
Chautha marhala: wursa me meeras ko taqseem karna
Wazaahat
Pehla marhala: Qarzon aur maali waajibaat ki adaegi
Wursa me meeras ko taqseem karne se pehle marne wale ke qarze aur maali wajibaat ada kiye jayen
Qarzon ki aqssam:
(1) Aam qarze aur maali zimmay dariyan: maslan kisi se udhaar liya tha ya marhoom ki biwi ke zewraat jo liye aur wapis karne se pehle inteqaal ho gaya to liya hua udhaar aur biwi ke zewraat wapis karne hon gay.
(2) Deeni qarze aur maali zimmay dariyan: maslan khums, zakat wajib hajj.
Note 1:
Wajib kafan ka kharcha, ghusl ka paani, ghusl khane ka kiraya, qabr ka kharcha, taaboot ka kharcha, qabristaan tak mayyit ko le jane ka kharcha.
in me sarif waajib kharch mayyit ki meeras se nikale jaa sakte hain.
Han agar saadat mand aulaad yaa koi aur agar unhain ada kar de to meeras se nahin nikala jaye ga.
Note 2:
Fatiha, quran khuwani, khatm e quran, majlis, nazar o niyaz.
yeh sab ahem kaam sawaab ka baais hain, lekin wursa is ka ehtemaam karna chahen to khud karen, meeras se in ko nahin nikala jaa sakta.
Qarzon ki adaaigi me tarjeeh
Mayyit ke tarke me se qarzah is tarteeb se ada kiya jaye ga:
(1) Sab se pehle woh qarzay ada kiye jayen gay jin ka taalluq isi tarke se hai maslan woh khums yaa zakat jo issi tarke me se waajib ul ada hai.
(2) Tajheez e mayyit (maslan kafan, dafan, beri, kafoor, qabr ki zameen ka kharcha wagera).
(3) Ab waajib ul ada qarza, puraana khums, zakat, diyat, hajj ka kharcha nikala jaye in me koi tarteeb nahin, sab ki haisiyat baraabar hai.
Dusra marhala: (1/3) wasiyat ka nifaaz
Marne se pehle aik had me rehte hue maal ki taqseem baare me wasiyat ki jaa sakti hai. lekin is se ziyada ke baare me wasiyat nahin ki jaa sakti aur agar koi shakhs is se ziyada ke baare me wasiyat kare to is pe amal nahin kiya jaa sakta.
Sawal: woh had kya ?
Jawab: Property me se (1/3) hissa hai keh woh shakhs jise chahe wasiyat key zariye de sakta hai. lekin is hisse se ziyada nahin de sakta. lihaza marhoom ne garments wali jagah jo apne Bhai ko dene ki wasiyat ki hai agar poori property me se (1/3) hissa ke barabar hai to is wasiyat pe amal karna hoga lekin agar is se ziyada hai to is had ke andar andar to amal karna hoga lekin is ziyada me anal nahin kar sakte.
Teesra marhala: Bare bete ka makhsoos hissa
Baap ke inteqaal kar jane par bara beta baap ki in cheezon ka tanha waaris hoga.
(1) Quran (2) Anguthi (3) Talwaar
Note: Aik se ziyada Quran, Anguthiyan yaa Talwaren hone ki surat me bara beta deegar waarison se musaalehat kare.
Talwaar ke alawa dusra koi aslaha maslan bandooq waghera hone ki surat me bara beta deegar waarison se musaalehat kare.
Waarison ke raazi na hone ki surat me kisi mujtahid se rujo kiya jaye ga.
(4) is ke saare libas, Belts, joote aur juraben (Socks)
Note:
Marte waqt jo bara beta hai woh yeh makhsoos hissa paaye ga.
Chautha marhala: Baaqi meeras ki taqseem
Qarz ada ho chuka, (1/3) wasiyat par amal ho gaya aur bare bete ko us ka makhsuus hissa bhi de diya gaya.
In tamam kamon ke baad ab baaqi meeras jo bache gi us ko taqseem karna hai.
Is tarah se ke sab se pehle marhoom ki jo dusri biwi hai us ko meeras ka aathwan hissa diya jaye ga is tarah se ke marhoom ki biwi ko makanon ki zameen me se koi hissa nahin milega or nah hi us ki qeemat karwane ki surat me koi hissa milega lekin ghar ki imaarat me bhi wese to us ka hissa nahin banta magar us ki qeemat karwayei jaye to us imaarat ki jo qeemat hogi us men hissa milega aur jo cash ya gold ho ya jo property ho to sab me mrhoom ki biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta ha wo marhoom ki biwi ko diya jaye ga.
Is ke baad baaqi property ya cash ke 12 hisse kiye jayen ge, jo ke marhoom ki aulad me is tarah taqseem karne hain ke har bete ko beti se dugna (double) hissa mile ga. yani har bete ko do hisse milen gay aur har beti ko aik hissa mile ga.
(Ref: Meeras aur wasiyat, murattab Muhammad Raza Dawoodani, page #7 se 13. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2693,2728).
[Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: KIYA BAAP KE PROPERTY USKE AKLOTY OLAD BETI KO MILE GY YA DOSRE B HAQDAR HO GY?
Answer:
Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hain, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hain, yani jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti.
In me se pehla tabqa (1st group):
Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hain aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai jahan tak yeh silsila niche chala jaaye.
Dusra tabqa (2nd Group): Marhoom ke Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hote hain.
Teesra tabqa (3rd Group): Marhoom ke chaha, phophi, mamu, khala hote hain.
In mein se jo koi marhoom ke zayada qareeb ho woh meeras paata hai aur jab tak is tabqe mein se aik shakhs bhi maujood ho, baad wala tabqa meeras nahin paata.is Bina per share meraas aik he aulaad ko mile ghe
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694).
[Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Baap ky intiqal ky bad agar akloty bete ka b intiqal hu jay aur bhai ki shaadi b niii hvi tu sisters ko hissa mily ga
Answer:
Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hain, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hain, yani jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho, meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti.
Pehla tabqa (1st group): Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hain aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai jahan tak yeh silsila niche chala jaaye.
Dusra tabqa (2nd Group): Marhoom ke Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hote hain.
Teesra tabqa (3rd Group): Marhoom ke chaha, phophi, mamu, khala hote hain.
In mein se jo koi marhoom ke zayada qareeb ho chahe pehla taqba ho ya dusra tabqa ho ya teesra tabqa ho, woh meeras paata hai aur jab tak us tabqe mein se aik shakhs bhi maujood ho, baad wala tabqa meeras nahin paata.
Is bina par agar pehle tabqe me sirf betiyan marhoom ki waris hon to tamam jaidaad unhi betiyon ko barabar barabar (equal) mile gi.
(Ref: Tauzeehul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694).
[Updated on 29-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Baap ky intiqal ky bad agar akloty bete ka b intiqal hu jay aur bhai ki shaadi b niii hvi tu sisters ko hissa mily ga
Answer:
Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 29-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir meray chachu faut hue hain unki biwi zinda hai. Aur aik tayya abbu pehle faut hua tha toh unki jaida kisse milegi mere abbu ko marhoom ki biwi ko ya jo tayya abbu ki aulad hai unko agar marhoom ki koi aulaad na ho toh
Answer:
1: Zikr shuda surat me marhoom ki jaidaad me se chauthayei (1/4) hissa us ki biwi milay ga aur is ke baad baaqi saari ki saari jaidaad aap ke walid ko milay gi.
2: Wazahat; Marhoom ki biwi ko ghar ki zameen, bagh, khait, aur dusri zameenon men se koi hissa nahin milta or nah hi us ki qeemat karwane ki surat men koi hissa milta hai. isi tarah ghar ki faza men qaaim cheezon masalan emarat aur darakhton se bhi hissa nahin milta lekin un ki qeemat karwayei jaye to us emarat wagera ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaidaad ho to sab men marhoom ki biwi ka chauthayei (1/4) hissa banta hai, wo marhoom ki biwi ko diya jaye ga. Aur is ke baad baaqi saari ki saari jaidaad aap ke walid ko milay gi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2704,2728).
[Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar orat apna wirasat ka hissa apni merzi sy apnay bhai ko dy dy? to kia is ki ijazat hai?
Answer:
Jee han, aurat marhoom ya marhooma ki meeras me apne hisse ki malik ban jati to phir us ki marzi hai ke wo apna hissa jise chahe tuhafay ke taur par day day.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1310,1335).
[Updated on 12-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi k inteqal k baad uske ornaments sirf h to shauhar aur 2 bete aur 2 betiyon ko kitna hissa milega
Answer:
Marhooma ke zewraat (ornaments) me se chauthayei (1/4) hissa us ke shohar ko milay ga aur is ke baad baaqi jo bache ga wo marhooma ke 2 beton aur 2 beteiyon me tarah taqseem hoga ke jo bache ga us ke 6 hisse kiye jayen gay, har bete ko 2 hisse milen gay aur har beti ko 1 hissa mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2694,2727).
[Updated on 30-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Mera swaal dada ki wirasat k hawaley se hai . un ka 1 hi baita tha jo k 30 saal se laapata hai nahi maloom zinda hai ya wafaat pa gya hai, un ki agay se 2 hi baitian hain jo k married hain. Yani k dada ki wirasat ki kaisi taqseem honi hai, kiya wirasat dono potion ko equal taqseem ho gi jab k aik poti ki sirf aik baiti hai aur doosri poti k 4 bachey hain. Kiya dada ki wirasat potion k sab bachon mai equal taqseem ho gi ya 2 potion mai equal taqseem ho gi. Mehrbaani farma ker merey swaal ka jewab zaroor dain. Thank you
Answer:
1: Meeras marhoom ki tamam aulaad (yani 1 beta aur 2 baition) me tasqeem hogi is tarah se ke poore maal ke 4 hisse kiye jayen gay jin me se 2 hisse betay ke liye rakh jayen gay aur baaqi 2 hisson me se har aik baiti ko aik aik hissa milay ga.
2: Laapata shakhs ke jis ke zinda hone ya wafaat paane ki koi khabar na ho to us ke gaaib hone se leekar 10 saal guzarne ke baad us ko marhoom samjha jaye ga aur marhoom samajhne ke baad agar wo maqrooz tha ya us ne koi wasiyat wagera ki thi to us ke hisse ko us ke qarze ya wasiyat wagera par amal karne me istemaal kiya jaye ga aur is ke baad us hisse me se jo kuch bache ga us ko us ke marhoom samajhne ke waqt us ke jo wariseen shumaar kiye jayen gay un me taseem kiya jaye ga.
Ab agar meeras taqseem hone ke baad wo laapata shakhs kisi bhi tarah zaahir ho jaye (yani waapis aa jaye) ya maloom ho ke jab use marhoom samjha tha us waqt to wo zinda tha to meeras ke taqseem hone ka hukum baatil shumaar kiya jaye ga aur jin afraad ne us ke maal me tasarruf kiya tha wo zaamin hon gay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2691,2694. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Part #4, Maslah #1316,1317).
[Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek maa baap ki 4 larky hy ar larki koi nahi Mere maa ar baap dono ka inteqal hogya hy.. maa ka abhi 1 saal phele hoa hy.. maa k naam 1 ghar js mai hm sab 4 bhai rhety hy.. ab wo ghar bechna hy tou us se milne wale amount sab bhai mai ks thara taqseem hogi ar us amount mai marhoom maa ka kya hissa hoga??
Answer:
4 Bhaiyon me barabar barabar taqseem hogi aur us me marhoom maan koi
nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2694).
[Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam u alaikum Mera sawal ye hai ke mera walid sahb ki death 3 sal pehle hui thi to inho ne zameen plot bangla chora he hamri jo bhi property he sab chacha ke paas he wo kabza karke betha he mere walid sahb ne 2 shadya ki thi ab pehli bivi mese 3 betia he aur 2 bivi mese 4 bete he aur 2 betya he hamare abu ke wafat ke waqt sirf dadi zinda thi to wo ab ek sal pehle death hogai he unki ab hamare abu ke hise me se chcha hamse dadi ka hisa mang raha he kia usko hisa banta he kia me bohat zyada pareshan hu hame chcha ne bohat black mail karah he mujhe aur age warasat ka pata he sirf ap ye batae kia dadi ka hisa hoga ya nhi jo chcha mangra he hamse
Answer:
Jee han, marhoom (walid sahb) ki tamaam property ke 6 hisse kiye jayen gay jin me se aik hissa aap ki dadi ko milay ga aur baaqi 5 hisson ko aap or aap ke bhai, behnon men youn taqseem kiya jaye ga ke har bhai ko behen se dugna (double) mile ga.
Note: Ab dadi ka jo hissa hai us ko dadi ke warison taqseem kiya jaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2694,2699).
[Updated on 06-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Please guide me--- father ki death hwi hai we are 2 brothers and 4 sisters and one stepmother(in ki koi aulad nahi hai)
Answer:
Insan ki mout ke baad us ki biwi (chahe mother ho stepmother) ko ghar ki zameen men se koi hissa nahin milta or nah hi us ki qeemat karwane ki surat men koi hissa milta hai lekin ghar ki emarat men wese to us ka hissa nahin banta magar us ki qeemat karwayei jaye to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hai or jo cash ya gold ho ya jo jaidad ho to sab main se shohar ki aulaad hone ki sorat main biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hai, aur baqi jaidaad aulad (2 brothers and 4 sisters) men taqseem ho gi, is tarah se ke har behen ko aik aur har bhai ko dogna(double) hissa milta hai.
Mazeed tafsilaat ke liye darj zel numbers pe contact karen,
Office Timing: 2:00 PM - 9:00 PM
Tel: (0092-21) 32226948
Tel: (0092-21) 32237207
Email: info@qoitrat.org
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2694,2728).
[Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o Allaikum mera sawal hai k bap intaqal kar gaye hun aur maa jaidad ka ziada hisa apni beti k nam karna chah rahi hai aur un k do bete b hain tu islam m iska kiya hukam hai kiya maa apni marzi se chahe jis ko jitna de ? Ya is ka islam m barabari ka hukam hai, rahunumai farmaiye
Answer:
Insaan apni zaati mikiyat aur jaidaad to apni marzi ke mutabiq jise chahe day sakta hai lekin kisi marhoom ki mikiyat aur jaidaad me us marzi nahin chale gi. aur marhoom ki jaidaad us ke warseen me se sharaei taur jis ka jitna hissa banta hai us ko wohi milay ga nah is se ziyada aur nah is se kam.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2691,2694. + Minhaj us Saliheen, part #2, edition #1443 hij, mafhoom e maslah #1320).
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya bahn or bhai me braber wirasat taqseem ho sakty hy
Answer:
Bhai, behen apni marzi aur ikhtiyar se chahen to barabar taqseem kar sakte hain, Albatta sharaei maslah ye hai ke wirtasat me bhai ka hissa behen se dugna (double) hota hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2694).
[Updated on 19-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Marne wale ki aik biwi or 3 betiyaan hn koi beta nhi . Tu property kasy distribute ho gi
Answer:
Agar ke maan, baap nah hon aur sirf 3 betiyaan aur aik biwi ho to is surat me marhoom ki property me se aathwan (1/8) hissa us ki biwi ko milay ga aur baaqi property marhoom ki 3 betiyon me barabar barabar(equal) taqseem hogi.
Wazahat: Marhoom ki biwi ko ghar ki zameen, bagh, khait, aur dusri zameenon men se koi hissa nahin milta or nah hi us ki qeemat karwane ki surat men koi hissa milta hai. isi tarah ghar ki faza men qaaim cheezon masalan emarat aur darakhton se bhi hissa nahin milta lekin un ki qeemat karwayei jaye to us emarat wagera ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaidaad (property) ho to sab men marhoom ki biwi ka aathwan (1/8) hissa banta hai, wo marhoom ki biwi ko diya jaye ga. Aur is ke baad baaqi property marhoom ki 3 betiyon me barabar barabar(equal) taqseem hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2694,2701,2728)
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir mery walid sahan ny hum 3 bhaion k naam zameen hiba kr di aur 4 saal baad walid sahab ny shadi kr li kya us aurat ka hamari hiba ki gai zameen main wo hisa ly sakti ha ya hiba baap k sth mil k turwa skti ha
Answer:
Agar baap apni zindagi me apne irade, marzi aur ikhtiyar se kisi ko koi cheez hiba(gift) kar day to wo cheez pehle baap ki milkiyat se nikal kar dusre ki milkiyat me chali jati hai.
Ab agar ye hiba kisi rehmi reshtedaar (jaise ke aulad) ko kiya tha to kisi bhi surat wapis lene ka haq nahin rakhta.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition 1443 hij, maslah #1320).
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]