Showing 0- 18 questions from 18 questions on this page.
Question: asalam walekum 1) meri d.o.b 18 aug HAI aur mein 5 days baad 15 years ka hojaonga ab sawal yeh hai kai kya mein 18aug ko baligh hojaonga yaa phir islamic months kai mutabiq honga aur mujhe namaz mein "wajib-ten-qurbatanillah" kab seh kehna hoga thank u
Answer:
Salam un Alaikum,
Aksar mujtahideen key nazdeek baligh honay kee 3 alamaat hein:
1) Naaf key neechay aur sharamgah key uper sakht baloon ka ugna.
ya
2) Mani kharij hona
ya
3) Qamri (chand key hisab sey) 15 saal poray hona.
Ref: Tawzeeh ul Masail of different mujtahideen Prob No. 2260
Question: maine ek 7 saal k ladka ko gandi niyyat se bosse lye thhe lekin meri umr oos waqqt 15 saalthhi aur mai oos waqt poori tarah se baaligh nahi hua tha kya aaqirat me meri magfirat ho paayingi ?
Answer:
1)lerkay k baligh honay ki alamaat 3 cheezo main se aik hoti hay:
i) naaf k neechay or sharamgaah se oper sakht balo ka ugna. ii) mani ka kharij hona. iii) bina bar mas’hoor umar k 15 qamri(yani chand k hisab se) saal poray kerna. Cheray per or hoonto k oper sakht balo ka ugna ba’eed nahi(yani fatwa ki bina per) keh blughat ki alamat ho.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2215-16)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Slam. Mera que ye hai k ek baligh lrke ko kia kia info hone chae? Plz jawab lazmi dejeyga. Tafseel s.
Answer:
1) Her mukallaf (baligh o aaqil) musalmaan k liay usool e deen ko baseerat k saath (daleel k saath) jaanna zarori hay.laikin agar wo Islam k sahi aqaid per yaqeen rakta ho or is ka izhaar kerta ho agarchah ye izhaar daleel k bagair ho tab bhi wo musalman or momin hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa،il, Maslah# 1).
2) Deeni ehkamaat main musallamah or qat,e umoor ko chorh ker baqi ehkamaat main zarori hay k ya tu mujtahid hoon(yani ehkaam ko daleel k zerye hasil karain) ya kisi mujtahid ki taqleed karain ya phir ehtiyaat per amal karain(maslan agar chand mujtahid kisi amal ko haram qaraar dain or chand haram nah kahain tu os amal se perhaiz karain or agar baaz mujtahid kisi amal ko wajib or baaz mustahab qaraar dain tu os ko zaroor bja laa,ain).
3) Mukallaf(baligh o aaqil) k liay wo tamaam masail seekhna lazim hain jin k baray main ehtemaal hay k nah seekhne ki wajah se khuda ki masiyat(nafermani) main mubtila ho sakta he, yani kisi wajib ko terk kerne ya kisi haraam ko anjaam saine ka murtakib ho sakta hay.
Note:deeni ehkamaat per amal kerne k laiy sab se asaan tariqa taqleed hi hay.mujtahiod banna(mufti) or or ehtiyaat per amal kerne k liay kaseer ilm ko waqt ki zarorat hoti hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namaz kitne saal mai wajib hy
Answer:
Larki 9 qamari (chand waly) saal pyray karnay k baad balig hoti hai.
Larkay k baliq hone ki 3 elamatain hain.
1) Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana
2) Mani ka kharij hona
3) Mashoor ki bina per 15 chand wale saal ka poora hona . chahray aur hathoo per sakht baalo ka aana
(jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain)
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam, mera sawal qaza namaz aur rozay ke baray mein hai. baligh hone se phle mjhe bulughat ki 3 nishaniyan pta nhi theen. srf ye pta tha k 15 saal ki umar mein larka baligh ho jata hai. ab baligh honay k bad mjhe 3 nishaniyon ka ilm hua to pta chala k mein 12 saal ki umar mein h baligh ho gya tha. in 3 saalon mein jo namaz aur rozay maine nhi rakhay, unki qaza deni paray gi ya masla na maloom hone ki waja se koi riayat hai? esa nhi hai k maine in 3 saalon mein koi namaz nhi prhi aur na h koi roza rakha. balke maine ye saray amaal 10 saal ki umar se h start kr dye thay lakin ek to wajib ki niyyat se nhi kye aur dosra agr koi namaz ya roza miss ho jata to uski qaza bhi nhi ki. dosri bat ye k mjhe in 3 saalon mein na h janabat ke baray mein ilm tha aur na ghusl krne ka kch pta tha. islye maine khud ko pak samajhtay huay anjane mein janabat ki halat mein h namazain aur rozay rakhay hain. kya ye namzain aur rozay batil hain jabke mjhe iska masla maloom nhi tha, aur in sab ki qaza deni hogi ya srf unki jo mjhse in 3 saalon mein miss huay hain? Shukriya.
Answer: Wssalam o alykum, wo namazain o roze
Question: LARKI PER ROZA WAJIB 9YEARS PER HOTA HAI YA AFTER BALOGAT PLEASE CLEAR ME.
Answer:
Larki main baligh honay ki alamat ye hay k wo 9 saal chand k hisaab se mukammal poray ker lay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Note: jab insaan baligh aur aaqil ho jaay to is per namaz, roza aur dosray sherie ahkaam lago ho jatay hain.
Question: Namazain kitni umar say wajib hen? aur kaya hum apni zindagi main kisi ko hadiya dy kr apni qaza umri namazen parhwa saktay hen? kaya aisa krna jaez hai?
Answer:
Larkay k balig hone ki 3 alamatain hain.
1)Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana
2)Mani ka kharij hona
3)15 chand wale saal ka poora hona . chahray aur hathoo per sakht baalo ka aana(jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain)
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216,)
Jab tak insaan zinda hai chay wo apni qaza namazo perhne se qasir he kyu na ho kohi dosera shaks is ki qaza namaze nahe perh sakta . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1368)
Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356)
kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslammoalaikum mera sawal ye hy keh insan pe namaz kb farz hoti hai aur pancho namazon ki sari sunnat farz aur nafl ke bare mein btaen
Answer:
Larkay k baliq hone ki 3 elamatain hain, Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana,Mani ka kharij hona, 15 chand wale saal ka poora hona, chahray aur huthoo per sakht baalon ka aana,
Larki 9 qamari (chand waly) saal pyray karnay k baad balig hoti hai(jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216,)
1) Rozana ki 5 namaze wajib hai.zohar,aur asar har aik ki 4 rakhat hai,maqrib ki 3 rakhat , esha ki 4 rakhat aur fajar ki 2 rakhat hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #717 ),
Rozana ki mustahab (nafla ,sunat )namaze jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakhat zohar ki,8 rakhate asar ki , 4 rakate maqrib ki ,2 rakhate esha ki, 11rakhate namaz shab ki , aur 2 rakhate namaz subha ki . laikin Juma k din zohar aur asr ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai behtr ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 752)
Namaz Zohar , asar ki nafla (mustahab namaze) agar namaz zohar , asar k bad perhe jaay to qaza ki niyate se perhe jaay ghi. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part #2 ques # 57 pg # 36) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: my daughter is 11 year old and she didn't hit puberty is it roza wajib for her kindly answer me
Answer: A girl becomes puberty (baligha) upon completion of her nine lunar years. So fating is obligatory for her. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2215). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam Mera sawal hai k ek larki pr namaz, roxa kb sy wajib hota hai? Agar wo baligh 15 saal ki umar mai hui hai tou kia tb bhei 9 saal ki umer s wajib hongy? Aur jo rozy us s qaza huay hain unka kufara deny ki haisiat na ho tou kia krein?aur kia tauba k baad bhei wo rozy aur namaz prhna farz hain?
Answer: Lerki 9 saal main chand k hisab se baligh ho jati hay. or namaz or roza bhi 9 saal ki umar se wajib ho jate hain.agar kaffara daina mumkin nah ho tu ehtiyaat ki bina per os chahiay k baqadr e imkan sadqa day or istighfaar kare or ehtiyaat e wajib ye hay k jis waqt bhi qudrat rakhta ho kaffara bhi day. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1669). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AOA. Mera yeh sawaal hai k jab larka baligh ho jata hai tou usko waldain us ko ahkamaat detay hain. wo ahkamaat kya hain tafseelan bata den. meray walden nay mujhay deen k wo khaas ahkamaat nhi bataye jo baligh honay pr larkon ko bataye jatay hain jazakallah
Answer: Baligh hone k baad kisi aalam mujtahid(maslan ayatollah sistani) ki taqleed karain or on fatway k mutabiq amal karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #01). Update on dated 05-05-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Larkiyon per parda(hijaab) kab wajib hota hay?or namaz or roza kab farz hota hay
Answer: Larkiyon per parda(hijaab) , namaz or roza chand k mahine k 9 saal mukammal hone k baad wajib hotay hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #1). Update on dated 02-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Balig ki nishany
Answer:
Larki main baaligh hony ki alamat yeh hai kay wo (9 qamari saal) pory kerlay aur larkay kay baaligh hony ki alamat teen (3) chezon main say aik hoti hai :
1)Naaf kay neechy aur sharam gaah se oopar sakhat baalon ka ugna.
2)Mani ka kharij hona.
3)15 qamari saal pory kerna.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2215). Update on dated 28-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A.O.A meri umar 18 saal hai, mere naaf k niche baal 3 saal phle agay lekin mje ehtalam ka pata nahi chal raha k hova k nahi. mje kese pata chale ga?? or meri darhi bhe nahi ai abhe. is bare ma, ma kia karoo?? please ans. it
Answer:
Larkay k baligh honay ki alamaat 3 cheezo main se aik hoti hay: i) Naaf k neechay or sharamgaah se oper sakht balo ka ugna. ii) Mani ka kharij hona. iii) Bina bar mashhoor umar k 15 qamri(yani chand k hisab se) saal poray kerna. Cheray per or hoonto k oper sakht balo ka ugna ba’eed nahi(yani fatwa ki bina per) keh blughat ki alamat ho.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2215-16)
[Updated on 12-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslaao o Alaikum, Beti ki umer 14 sy 15 saal k drmiyan hai or abi usy 2 bar ehtlam huwa hai kea ye baloghat ki nishani hai?? or kb kb ho jata hai aesa??
Answer:
Larkay k baliq hone ki 3 elamatain hain, Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana, Mani ka kharij hona, 15 chand wale saal ka poora hona, chahray aur huthoo per sakht baalon ka aana, Aur Larki 9 qamari (chand waly) saal puray karnay k baad balig hoti hai (jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216,)
[Updated on 13-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera sawal ye h k aaj kal biloghat par kafi sawal uth rahy hain k akhir biloghat ki kiya nishaniyan hain mera sawal ye h k kiya larky k azu ki harkat o saknat bhi biloghat m shamil hail lekin azu ki harkat o saknat tou pedaish k sath hi shuru ho jati hain jawab jald dain shukriya
Answer:
Jee nahin, Jo aap ne bataei hai wo buloghat ki alamat men se nahin hai.
Larkay k baliq hone ki 3 alamatain hain.
1) Naaf k niche aur sharamgah k upper sakht baalon ka aana.
2) Mani ka kharij hona.
3) 15 qamari (chand waly) saal ka poora hona, aur chahray aur honton ke upper sakht baalon ka aana balig hone ki alamat hay.
Larki 9 qamari (chand waly) saal poray karnay k baad balig hoti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2215,2216)
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam larke ki age agr 13 Saal ho to kitni alamatoun ka poora Hona yeh saabit karega k larka baligh hochuka hai ya nhi?? Agr balaghat ki koi ek alamat poori hui ho to kia larka baligh hojaega?? Q k hijaab wajib hone k hawale se pareshani ka saamna Karna parraha hai k aese larke se hijab wajib hai k nh
Answer:
1: Larki 9 saal qamari (taqreeban muadil 8 saal 8 mahine 20 din eeswi) ke mukammal hone se hi baaligh ho jati hai.
lekin larka chaar alamaton mein se kisi aik ke paye jane se baaligh ho jata hai.
1. pandrah (15) saal qamari (taqreeban muadil 14 saal 7 mahine 15 din eeswi ke) mukammal ho jayen.
2. mani ka kharij hona.
3. zair naaf sakht balon ka ugna.
4. chehre aur honton ke neechay sakht balon ka ugna, lekin seenay ya zair baghal baal ka ugna ya aawaz ka bhaari hona baaligh honay ki alamat nahi hai.
2: Aurat ke liye zaroori hai ke wo (chehra aur kalahiyon tak hatho ke alawa) sar ke baal aur apna badan (baalig) na mehram mard se chupaye or ehtiyat lazim ye hai ke apne badan aur sar ke baal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na ho lekin itna samjhdar ho ke ache or bure ko samjhta ho aur ihtemal ho ke aurat ke badan par uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedaar ho jaye gi, lekin aurat (baalig) na-mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men ke haram men mubtela hone ka khauf ho ya kisi mard ko (hath or chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men inko chupana wajib hai.
(Note: Aurat par baalig na mehram mard se parda karna to wajib hai hi hai lekin ehtiyat lazim ye hai ke us larke se bhi parda kare jo abhi baligh na hua ho lekin itna samjhdar ho ke ache or bure ko samjhta ho aur ihtemal ho ke aurat ke badan par uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedaar ho jaye gi).
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2215,2399).
[Updated on 27-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: larkai pr namaz kb farz hoti hai? kis umar mai bachai pr namaz farz hoti hai?
Answer:
1: Larki 9 qamari (chand wale) saal puray karnay ke baad balig hoti hai.
2: Larkay k baligh hone ki 3 alamatain hain:
1) Naaf ke neeche aur sharamghah ke uper sakht baalo ka aana.
2) Mani ka kharij hona.
3) 15 chand wale saal ka poora hona.
4) Chahray aur hoonton par sakht baalon ka aana.
(Note: Jab insaan (larka, larki) baliqh aur aaqil ho jain to is par namaz aur dosray sharaei ahkaam wajib ho jatay hain).
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216).
[Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]