Showing 0- 36 questions from 36 questions on this page.
Question: salam ager kisi larki ki dead body mily tu kesy pata chaly ga k woh muslim hai ya non muslim uss dead body ka koi ata pata nahi hai plz answer me
Answer: Har wo mayyat(deead body) jo musalman mulk se milay tu wo zahiran musalman hay or isi terah agar os mayyat ko musalman k ghar se uthaya gaya ho, balkeh ehtiyaat e lazim ki bina agar kafir k ghar k liay yehi hokum(yani os ko musalmaan samajhna) hay jab os mayyat k musalman hone ka ehtemaal ho. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah# befor 303 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Working in Saudi Arabia. Need following:1-procedure of Gusl e mase mayyat. 2- Procedure for giving ghusl to mayyat. 3- procedure for namaz e maayyat. 4-about waseeyat. pl. pl. pl. send article on my mail address in URDU/ENGLISH.
Answer:
1)Ghusl e mas e mayyat karnay ka tareeqa :
Ghusl e mus e mayyat ghusl e janabat ki tarah he aur is k bad wuzu ki zarorat bhi nahi rehti. Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah# 519 , 360-365). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/62.htm)
2) Ghusl mayyat ka tariqa :
1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha he
2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein.
1. Aisay pani se jis me baari k pattay milay hua hoon.
2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho.
3. Khalis pani se.
3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qarbat ki niyat rakhta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 539-558).
Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/66.htm)
3) Namaz e mayyat ka tareeqa :
Namaz e mayyat me 5 takbeerain hein.Aur agar namaz parhnay wala shakhs nechay di gae tarteeb k saath 5 takbeerain kahay to kafi he. Niyat kernay aur 1st takbeer k bad kahay.( اشھد ان لا الہ الا اللہ و اشھد ان محمدا رسول اللہ ) (ASH,HADO AL LAA ILAA,HA IL,LALLAAHO WA ASH, HADO ANNA MUHAM,MA,DAN RASOO,LUL LAH)
2nd takbeer k bad dOrood parhay. (اللھم صل علی محمد وآل محمد)
3rd takbeer k bad kahay ( اللھم اغفرللمومنین و المومنات )(ALLAA HUM,MA IGH,FIR LIL,MOOMINEENA WAL MOO,MI,NAAT)
4th takbeer k bad agar mayyat mard ho to kahay (اللھم اغفرلھذا المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZAL MAYYAT)
Aur agar miyit aurat ki ho to kahay (اللھم اغفرلھذہ المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZIHIL MAYYAT)
Aus is k baad 5th takbeer kahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 598).
Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm)
4) Wasiyat :
Wasiyat ye he k insan ta,qeed karay k os k marnay k bad os k lie falaan kam kiay jain ya ye kahay k is k maal me se falan cheez os k marnay k bad falaan shakhs ki milkiyat ho gi, ya khayraat ki jay , ya apni aulad k lie.
Jo shakhs wasiyat karay wo zurari he k baligh aur aaqil ho aur apnay ikhthiyar se wasiyat karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2687-2690)
Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/65.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mernay ke baad merd biwi ko,aur biwi mian ko gusal de saktee hai.
Answer: shohar apni bivi ka or bivi apne shohar ka us ki maut ke baad chehra deekh saktain hai, or dono ik dosre ko ghusl bhi de sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 548 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya aik na maheram mard(Male)kise na maheram orat(Female)k janaze(Dead Body)ko kandha de sakta ha..
Answer: Agar miyyat aurat ki ho to aik na mehram os ki qabar ko khanda dai sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 618-627)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia marad apni biwi ki mayat ko ghusal dey sakta hai,,,amre majboori like koi ghusal dene wala aur koi na ho
Answer:
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Biwi apnay sohar ko aur sohar apni biwi ko ghusl e miyyat de sakhtay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 548) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: How to give bath & burial process in Islam as per Fiqqah?
Answer:
1. The method of ghusl of miyyit:
It is obligatory to give three Ghusls to a dead body. The first bathing should be with water mixed with Sidr (Beri) leaves. The second bathing should be with water mixed with camphor and the third should be with unmixed water.
Ghusl for a dead body is similar to Ghusl of Janabat. And the obligatory precaution is that a corpse should not be given Ghusl by Irtimasi, that is, immersion, as long as it is possible to give Ghusl by way of Tartibi. And even in the case of Tartibi Ghusl it is necessary that the body should be washed on the right side first, and then the left side.
And the recommended precaution is that, if possible, none of the three parts of the body be immersed in the water. Instead water should be poured on the dead body.
Please see this link for more detail.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2183 ).
2. Rules regarding Kafan:
The body of a dead Muslim should be given Kafan with three pieces of cloth: a loincloth, a shirt or tunic, and a full cover.
As a precaution, the loincloth should be long enough to cover the body from the navel up to the knees, better still if it covers the body from the chest up to the feet. As a precaution, the shirt should be long enough to cover the entire body from the top of the shoulders up to the middle of the calf, and better still if it reaches the feet. As a precaution, the sheet cover should be long enough to conceal the whole body, so that both its ends could be tied.breadth of it should be enough to allow one side to overlap the other.
Please see this link for more detail. ( http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2184 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: murdey key gusal ka taraika aur ghusl denay waly key liye ahkamat ?
Answer: Ghusl mayyat ka tariqa : 1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha hai. 2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein. 1. Aisay pani se jis me beri k pattay milay hua hoon. 2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho. 3. Khalis pani se. 3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qurbat ki niyat rakhta ho. 4)Agar mayyat aur ghusl denay wala donoo mard hon ya donoo aurat hon to jaiz hai k sharamgah k alawa mayyat ka baqi badan berhana ho laikin behtr hai k libas k nichay sai ghusl dia jae. 5)Jo shakhs mayyat ko ghusl day zaroori hai k wo aql mand aur muslman ho aur ehtiyat ki bina par zaroori hai k wo isna ashri ho. Aur zaroori hai k wo ghusl k masail sai bhi waqif ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 539-558). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: murda ko dafan karna k bad azan d jate ha k nahe
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Mayat ko dafan karne k baad azan nahi de jate hai. balke mustahab hai k dafan k baad mayat k pasmanda ko pursa diya jay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #622 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam...mujhe aap se pochna tha k jis insaan ny khud kashi ki ho us k liye hum us ki Barsi pe us k liye Siparah ya Quran parh sakty hain?
Answer: Jis shakhs nai khud kushi ki ho os ki namaz wajib hai, aur Mustahab hai k miyyat k lie quran khwani ki jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), urwatul wusqa pg # 322, Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 623)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam-o-Alaikum, Mayyat ko ghusl dena ka kya tareeqa hay? Tafseel say jawab enayat Farmain?
Answer: Ghusl mayyat ka tariqa : 1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha hai. 2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein. 1. Aisay pani se jis me beri k pattay milay hua hoon. 2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho. 3. Khalis pani se. 3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qurbat ki niyat rakhta ho. 4)Agar mayyat aur ghusl denay wala donoo mard hon ya donoo aurat hon to jaiz hai k sharamgah k alawa mayyat ka baqi badan berhana ho laikin behtr hai k libas k nichay sai ghusl dia jae. 5)Jo shakhs mayyat ko ghusl day zaroori hai k wo aql mand aur muslman isna ashri ho. Aur zaroori hai k wo ghusl k masail sai bhi waqif ho aur ehtiyat wajib ki bina per wo baligh bhi ho . (Ref : Tauzeeh e ul masayl, imam khumani Masla # 565, 550,556,562-558). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam mujhy ye sawal krna hai k kiya islam main ye hai k agar koi aurat nikah main ho aur marjae to kia us ka shohar us k liye na meharam hojata hai aur marny k baad us k ,, us ka shohar us k janazy ko dekh bhi nae skta us ki surat bhi ni dekh skta ? main sunni hun plz mujhy jawab digigiyega .....
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Biwi ya shohar mai sai kisi aik marnay sai ye dono na mehram nahi hotay hain aur in ka rista baqi rehta hai aur ye dona aik dosraye ko ghusal miyat bhi dai sakte hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #548 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar koi aurat haiz ki halat mai fout ho jae to os ko ghusl e miyyat dena sai pehlay ghusl e haiz dena dena ho ga?
Answer: Jo aurat haiz ki halat mai fout ho jae to osay ghusl e haiz dena zaroori nahi hai bal k sirf ghusl e miyyat is k lie kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 555)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ager koi shaks kai mayyatto ko mass karla to wo aik qusal kara ga ya kai
Answer: G han tmam mayitton ko mass krne ki waja se faqt ek gusl kaafi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 387, Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: jis murday ka tanmambadan thanda na hwa ho isay maas krnay sai gusal kiya hota hai?
Answer: Jis murday ka tamaam badan thanda nah ho osay mask erne se ghusl wajib nahi hota chahay os k badan ka jo hissa mas kia ho wo thanda ho chukka ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #512 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: bivi key faot hone k baad kiya shohar uss ka chehra dekh sakta hy ?
Answer:
Shohar apni bivi ka or bivi apne shohar ka us ki maut k baad chehra deekh saktain hai, or dono aik dosre ko ghusl bhi de sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 548 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam mera sawal hai k agar koi halate janabat me mar jaye tu kia hoga???
Answer: Wssalam o alykum, uski mayat ko fqt ek gusal e mayat dena wajib or kaafi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 531 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kia biwi kay mar jany k baad sohar uska chera dekh sakta hai?? aur agr han to refrence aur agr nahi tb bhi refrence?
Answer: Shohar apni bivi ka or bivi apne shohar ka us ki maut ke baad chehra deekh saktain hai, or dono aik dosre ko ghusl bhi de sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 548 , ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalam o Alykum - Please advise - 6 months k bachay ki delvery sai phelay he death ho jati hai - iss surat mai kya uss ko Khnoot daina hoga ghusal k baad aur kya uss ki Talqeen hogi - kis umer k bachi sai yeh ahkamat karnay hotay hain
Answer: Saaqit shuda bacha(jo k musalman ya musalman k hokum main hay) agar 4 qamri mahine ya is se zaaid ho,tu zarori hay k mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey, balkeh agar 4 mahine ka bhi nah ho laikin os k badan ki banawat mukammal ho chuki ho,tu ehtiyaat e wajib ki bina per,zarori hay k os ko mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Mafhoom e Maslah #679). Update on dated 29-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: KIYA MARNE K BAAD INSAN NA PAK HU JATA HY,R USAY HATH LGANE WALA HR INSAN NA PAK HU JATA HY.JB TK MURDE KU GHUSAL DE KER PAK NH KIYA JATA.
Answer: Jee haan, agar murda thanda ho jaey our us ko ghusl nah diya gaya hu to us ko hath lagany se gusal wajib ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #511). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mayyat ko gusal daine wale ka pak hona zaroori h
Answer: Ghusl daine wale k paak honay ki shart nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 544 and 545) Update on dated 04-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar sam ko mayyt ho jaye to gussal kb kre
Answer: Mayyit k ghusl k liay koe khas waqt muayyan nahi hai. (Ref: Email received from aqai seestani) Update on dated 30-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-O-Alaikum, main aik janazay main gaya tha or us marnay walay k azizo akarab say milla tha mujhay purra yaqeen tha k inhoon nay mayyat ko tach kiya howa hy lakin main nay mayyat ko tach nahi kiya tha lakin ye loog mujh say millay thay us k bad main wapis ghar aa gaya bohat thakka howa tha neend aa gai lakin sotay howay mera Ehtalam ho gaya ab meharbani farma ker mujhay ye batain k main in dono ghusloon ko aik sath kaisay ker sakta hn main nay fil wakat ghusl e janabat ker liya hy
Answer: Aap per faqat ghusl e mas e mayyit wajib nahi hay. Q k aap ne mayyit ko nahi choatha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #511). Update on dated 26-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mayat ko hath lagana sa hath napak hojata hai?
Answer:
Agar mayyit ko 3 ghusl dene se pehle gilahat k sath choa jaey tu hath najis ho jaey ga or ghusl e mas e mayyit bhi wajib ho jaey ga. Laikin agar 3 ghusl dene k baad choa jaey tu hath najis nahi hoga or ghusl e mas e mayyit bhi wajib nahi hoga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1565). Update on dated 23-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Dead body k kitny gusal wajib hain?
Answer:
Mayyat ko Tarteeb se teen ghusl dena wajib hain, pehla aisay pani se jis mein bairy k pattay milay huay hoon, dosra aisay pani se jis mein kafoor mila hua ho aur teesra khalis pani se.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 539 ).
[Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar shak ho Kay muyyat Kay gusal Ka Pani kaproon ko lag Gaya hay to dho Kar wapis kapray phan Lana Chahiye kiya
Answer:
Shak ki surat may kaprhoon ko paak karnay ki zarorat nahi hay or is kapray kay sath digar ibadat bhi sahi hain.(Ref: Toziulmasahil Ayatullah e Sistani db edi 2019 masla number # 115)
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar shak ho Kay muyyat Kay gusal Ka Pani kaproon ko lag Gaya hay to dho Kar wapis kapray phan Lana Chahiye kiya
Answer:
Jab shak ho to kaprhay paak rahtay hain...(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 2019,Mafhoom e Maslah #115).
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene apni saas ko ghusal dene walo k sath help ki thi jaise naal khol k dena aur deegar help.. muje apne hath pay napaki ka shaq tha me waise ho bohat shaq karti ho Mene bazahir ghusal anjaam nhi diya but muje shaq hai k me ne koi najasat ki waja to nhi bani
Answer:
Agar aap ne mayyit ko mas (touch) kiya tha to aap gusl e masay mayyit wajib hoga. aur agar aap ne mas (touch) kiya to wajib nahin hoga. Shaq ki wajah se khud ko najjis nahi samjha jaeey ga. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35th, Mafhoom e Maslah #511).
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia kisi ny mayt ko ms kia ho or njis ho gaiya ha kia us insan k sath ms hony sy bhi ghusl wajib ho jata ha jis pr ghusl e ms e mayt wajib ho ?
Answer:
aise surat me us shaks per jis ne direct maiyat ko mas na kia ho or wo kise aise zinda insaan ke sath mas hoa hay jis ne khud ,direct
maiyat ko mas kia hay, ghusal masse maiyat wajib nahe hota.
.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no511, 512,513.)
[Updated on 19-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr mayat ko guzal dainy k baad mayat k bait sy motion liquid form mai baihr nikal jye or kafan ko lg jye tu kya kafan napak ho gya hai ?
Answer:
Jeen han, kafan ko najis shumar kiya jaye ga. Agar mayyit ka kafan us ki apni nijasat ya kisi dosri nijasat se najis ho jaye aur agar aisa karne se kafan zaaie na hota ho to jitna hissa najis ho use dhona ya katna zaroori hai chahe mayyit ko qabar men hi kiyon na utara jachuka ho. Aur agar is ka dhona ya katna mumkin na ho lekin badal dena mumkin ho to zaroori hai ke badal den. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #571).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera 8th month tha mera bacha paida hune se pehly fot gya tha sub kehty the k wo Muslim nai tha osko qabarstan k bahir dafnna chahy tha
Answer:
Saaqit shuda bacha(jo k musalman ya musalman k hokum main hay) agar 4 qamri mahine ya is se zaaid ho,tu zarori hay k mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey, balkeh agar 4 mahine ka bhi nah ho laikin os k badan ki banawat mukammal ho chuki ho,tu ehtiyaat e wajib ki bina per,zarori hay k os ko mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Mafhoom e Maslah #679).
[Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hej ki halat me mayyat ko gusl diya ja skta hai ya nahi ?
Answer:
Jee han, Mayyit ko ghusl diya ja sakta hai Albatta murda insan ko mas(touch) karne se gusl e mase mayyit bhi wajib hota hai aur wo bhi aisa murda insan ke jis ka badan thanda ho chuka ho aur jese gusl mayyit bhi na diya gaya ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448,511).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ghusal e mayyat kay baad koi napak aurat Jo haiz say ho, mayyat ka matha choom saktee hai? Aik napak ahaks ka aik Pak mayyat ko choomnay say kia mayyat Pak rahay gi?
Answer:
Jee han, mayyit ka maatha choom sakti hai aur mayyit bhi pak hi rahe gi. Q ke haiz ki halat me aurat ka poora jism najis nahin hota balke wo maqam najis hota hai jahan haiz ka khoon laga ho lekin us maqam ke alawa aurat ka baaqi jism pak rehta hai aur jab pak hisse se kisi ko choowa jaye to wo najis nahin hoti.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is ghusal mase mayat obligatory if you touch a cadaver for the sake of medical study and if you get periods while in so you can do ghusal at the end of periods or no?
Answer:
1: Murda insan ko mas(touch) karne se gusl e mase mayyit wajib hota hai aur wo bhi aisa murda insan ke jis ka badan thanda ho chuka ho aur jise ghusl mayyit nah diya gaya ho.
2: Aap chahen to abhi masse mayyit ka ghusal kar len ya phir aap haiz ke ghusl ke sath bhi kar sakti hain Q ke Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387,511).
[Updated on 04-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya namaz e janaza parna zarori hy ye mohalley main koi bhi par ley tu sub ki taraf sey ho jata hy
Answer:
Mayyit ke hawale se ghusl, kafan, dafan aur namaz e janaza ye sab wajib kifaayei hain aur is se muraad ye hai ke in kamon ko agar kuch log anjam de den to baaqi logon se saaqit ho jate hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #494. + link; https://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D8%A7%D8%AC%D8%A8_%DA%A9%D9%81%D8%A7%D8%A6%DB%8C ).
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia maa apna bete ko ghusal de sakte hain
Answer:
Ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke mard apni mehram aurat ko sirf usi soorat me ghusl day jab ghusl denay ke liye koi aurat na mil sake. Yahi hukum aurat ke liye mehram mard ko ghusl denay ke baare me hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #550)
[Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mayat ko gusal deney key bad hath laga saktey hain? Or aisa karney sey kia gusal wajib hota hai?
Answer:
Agar mayyit ko ( sharhe ahtebaar se sahe )3 mukammal ghusl de diye gaye hon, to use hath laga sakte hain aur ghusl wajib nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #511).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]