Showing 0- 12 questions from 12 questions on this page.
Question: 1. Ghusl-e-juma karnay ke baad wajib ya sunat namaazon kay liye wuzu karna zaroori hai ? 2. Washing powder me inaami scheme main gold tha aur ye sunke mein ne washing powder kharida aur inaam me gold nikla hai is ke baare me kya hukam hai ?
Answer:
Gusl-e-Jumma key baad wajib ya sunnat namazoon key liye wuzoo zaroori nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi (Topic of Mustahib Gusl)
Aap us gold ko use kar saktey hein.
Question: what is the method of taking bath of the day JUMMA(FRIDAY)?
Answer:
Salam un alaikum,
A person should first make a niyyat for Ghusl. Thereafter one should first wash ones head and neck, and thereafter the remaining parts of ones body. It is better that one washes the right part of the body first and then the left part.
And if a person, while standing under the water, jerks each of these parts on ones body with an intention of performing Tartibi Ghusl, it will not be sufficient and the precaution is that one should not content oneself with it.
And if a person washes the body before washing the head, either intentionally, or on account of forgetfulness or because of not knowing the rule, Ghusl is void.
Ref: Tawzeeh ul Masail (English) Aqai Sistani Probe No. 367
Question: Is wudhu compulsory after any wajib ghusl or mustahab ghusl for namaz?
Answer: Jis shakhs nay ghusl e janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay balkay doosray wajib ghusloon kay baad bhi (siwaey ghusl e Istihaaza e Mutawassita) aur Mustahib ghusloon kay jin ka zikr Masala No.634 main kiya gaya hay baghair wuzu kay namaz parh sakta hay,Agarchay Aihtiyat e Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay.....Masala No.634 main In Mustahib ghusloon ka tazkira kiya gaya hay.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl..Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389,684.
Question: sir eid ul fitr ko ghusl karna sunnat hai aur is ghusl ki niyyat kiya hogi ?
Answer: bismehi taala, eid ul fitr aur eide qurban ka ghusal musthab he aur is ka waqt subh ki azan se suraj ghurub hone tak he aur behtar yeh he k eid ki namaz se pehle kar liya jaye (ref: tawzihul masail Aytullah Seesatani (d.b.) masaala no.651) niyyat qurbatan elalllah hogi.
Question: Taking bath on eideen is masnoon or mustahib?
Answer:
In Islam Ghusl on Eidul Fitr day and Eidul Azha day are Mustahab. (Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 634)
Note: There is no difference between masnoon and mustahab. (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: MY QUESTION IS MAN AND WOMEN DO GHUSUL BEFORE JUMA PRAY
Answer:
In Islam, several Ghusls are Mustahab. Ghusl-e-Jumuah is also a mustahab ghusl not wajib.
Ghusl-e-Jumuah: Its prescribed time is from Fajr to sunset, but it is better to perform it near Zuhr. If, however, a person does not perform it till noon, he can perform it till dusk without a Niyyat of either performing it on time or as Qadha. And if a person does not perform his Ghusl on Friday it is Mustahab that he should perform the Qadha of Ghusl on Saturday at any time between dawn and dusk. And if a person knows that it will not be possible for him to procure water for his Ghusl on Friday he can perform the Ghusl on Thursday with the Niyyat of Raja, that is, as a desirable act.( http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2192 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: juma ka ghosula ka tarika
Answer:
Tamaam wajib aur mustahab ghusl ka tariqa aik hi hai, niyat k baad pehlay pura sar(head) aur gardan(neck) dhona zarori hai aur baad mai baqi pura badan dhona zarori hai.
Aur is baat ka yaqeen hasil kernay k liay k donu hisso (yani sar o gardan aur badan)ko mukammal tour par dho lia hai,zarori hai k jiis hissay ko dhoey us k sath dusray hissay ki kuch miqdar dho lain. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #360,362). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia Jumma ke din ghusl karna Wajib hai yani kia Lazim hai ?
Answer: Jumay k din ka ghusl wajib nahi hai albetta mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 634) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: eid ul fitar k din gusal krna sunat ha ya mustahib.
Answer:
sunat o mustahib hai,Q k in dono ka ik hi matlab(meaning) hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # fiqha istilahaat , pg # 479 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Asslam o Alaikum!!! Jumme k din gusal krna wajib hai ya sunnat??? please urgent reply den....
Answer: Mustahab hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #634). Update on dated 12-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ager ap ke uper chapkali ghar jaye to keya gusal wajab ho jata ha
Answer: Jee nahi, is tarah ghusl wajib ya mustahab nahi hota. (Ref: Al-masael ul muntakhaba, pg#23). Update on dated 17-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Jume ke din ghusl Me Kiya pada jata hai
Answer:
kuch parhna zaroori nahi hai niyyat bhi zaban sai adaa karna zaroori nahi dil mai irada hai tou kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 360).
[Updated on 13-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]