Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz e qasr (17 Questions)


Showing 0- 17 questions from 17 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
10105
Mujtahid:
http:// Date:

Question: AoA.me ye janna chata hon k agar me rawalpindi se lahore safar karta hon or me wahan 10 din kisi hotal me taharta hon to mujay konsi namaz parhni paray ki safar ki ya puri namaz or safar me fajar ki namaz ki 2 sunat adda karna lazmi ha ya nai or agar me safar me bajamat namaz kisi masjid me mukami imam k pechay parhta ho to us ka kiya tareeqa ho ga plz in sub sawaloon ka jawab mujay bohat jaldi deena Allah ap ko jaza de ..Ameen

Answer: Wssalam o alykum, Ager Lahore main 10 din rukne ka irada hai to namaaz pori phrye, or fajar ki sunnat ko pharna mustahab hai, or Qasar namazo main ese Imaam ki iqtida karna – jis ka fareza qasar nahi hai – makro hai, or ager is ke bawajood iqtida kare to apni 2 rakato ko us hi terhan anjaam de jis terhan halat e geer e safar main anjaam deta hai sirf apni 2 rakat main salaam phar le chahe wo Imaam ki aakri rakat ho ya na ho.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 755 , after 1279 , 1471 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
13986
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamulakum. M is waqt apney ghar aya howa hon. m Taleem ki wajah sey Doosrey shehar m 4 saal sey rhe rha hun. is waqt m 3 din k lie apney ghar aya hon. to kya m safari namaz parhun ya puri . merey ghar or dosrey shaher k darmyan fasla 250KM ka hai. JAZAK ALLAH

Answer: Jo musafir safar k doraan apnay watan se guzar raha ho agar wahan tawaqquf(stay) karay tu zarori hay k pori namaz perhay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1313 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Note: aap Q k apnay ghar 3 din qiyaam karain gay laihaza aap per pori namaz perhn wajib hay.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
14209
Mujtahid:
y Date:

Question: i have my home with my wife in one place my brothers & parent are living separate from me so How can i pray in safar

Answer: 1) Jis jagah ko insane nay apni mustaqil sakonat or bood o baash k liay muntakhab kia ho, wo oska watan hay chahay wo wahaan paida hoa ho or woo s ka abaa,e watan ho ya os nay khud os jagah ko zindagi basar kerne k liay ikhtiyaar kia ho.(Ref: .( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1315 ).
2) Agar aik shaks kisi aisay maqam per pohnchay jo kisi zamanay main oska watan raha ho or baad main os nay osay terk ker dia ho tu chahay os nay koe naya watan apnay liay muntakhab nah bhi kia ho tu zarori hay k wahan pori namaz nah perhay.(.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1320 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45174
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: qaser namaz kb lago ho g? kitny K.M safar krna zarori hai iss k liye

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Safar agar kam az kam taqreeban 44 k.m (anay janay ka rasta mila ker) ho tu namaz qasar ho jati hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #after1258). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
46651
Mujtahid:
Agha Siastani Date:

Question: Assalam oAlaikum, 1=namaz e qasr kaha se shuru hoti hy yani muqami she+hr se kitney fasley se? 2=aik fard Sharjah mey rehta ho Aur kam k liey roz dubai jata ho ya ajman to uski namaz ka kya hukum hey? 3=aik fard dubai mey kam krta hey aur kuch arsey k liey arzi tor pr sharjah mey rat basar kr raha hy to uski namaz ka kya hukum hey? wsalam

Answer: 1-Insaan ki namaz qasr us waqt hoti jb uska anay aur janay ka total safar 8 shrait farsakh ho(yani taqreeban 44 km) ho.
Safar ka hisab us jaga say kerna zarori hai jahan say guzar janay k baad admi musafir shumaar hota hai aur omoman wo jagah shehr ka aakhri hissa yani ending hoti hai laikin baaz barhay cities mai mumkin hai k wo city ka akhri muhalla ho jo ending shumaar hota ho.
2-3-Musafir kisi jaga agr 10 din ya os say ziada rehnay ka irada rakhta ho tu namaz puri parhay or agar 10 din se kam rehna ho tu namaz qasr perhni wajib hogi. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1267,1279) .

Print

Id:
51601
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Q.safar shru karte waqt zuhr ka time hogia Magar namaz parhi 40 meel k baad .kia quasar hogi. Q.wapsi pe taste me is a ka time hogia Magar namaz that pohanch. K ada parhi tu quasar hog I?

Answer: Agar koe musafir apne rehash gha se 44 kilometer ya is se ziyada safar kare to is ki namaz zahor , asar aur aisha qasar (2 rakat ) perhe jaay ghi . musaferat ka aghaz aksar aokaat shear(city) k aakhiri gharo se kiya jaay gha. ( albata bare (big) shero ka hokum is se muktalif hai jaha aik mahalle se dosere mahalle ki taraf muntakil hona safar shumaar hota hai. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 71 , pg # 70, eidition 5)
Jis musafir ne abhi namaz na perhe ho agar wo namaz ka waqt khatam hone phele apne watan pouch jaay ya aise jagha pouche jaha 10 din rehna chata ho to zarori hai k puri namaz perhe aur jo shaks musafir na ho agar is ne namaz k awal waqt me namaz na perhe ho aur safar ikhtiyar kare to zarori hai k safar me namaz qasar kar k perhe . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1353 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52419
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: Aoa..plz mujhe bata dijiye k Doran e safar namaz e shab path sakte hen??

Answer: Wssalam o alykum, jee han ikul tmam mustahab namazen parh sakte hen. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 ,maslah # 755 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53869
Mujtahid:
Date:

Question: Bhai mera sawal ye hai ki maine fajar ki namaz waqt khatam hone ke baad aada ki hai maine namaz jaan boojh kar nahi balke galati se adaa ki hai mujhe nai pata tha ke waqt khatam ho chuka hai mai janna chahta hu ke kya mujhse gunah ho chuka hai kyun ki mai janta hu ke fajar ki namaz der se adaa karne se shirk jaisa gunah hota hai

Answer: Ap ki namaz sahi lekion ada nahi bani balke apk usi fajr ki qaza ban gai. Is pr koi gunah to nahi mgr is mana men k ap ne itni takheer ki awal wqt namaz nikal gaya.(Ref: Ayatullah_Sistani(d.b) Minhaj_ul_Saliheen, Part#1, Masla#572,Pg#183).(khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
66135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o Alaykum, mujay doosray city ma jana hota ha ramazan ma headoffice meeting k liay ya kissi or kaam se travel almost 150 km ha, agar ma zawal se pehlay wapis nahi aata to kya mera roza ho ga ya nahi?? please jaldi reply kijiay ga . Regards, Syed Imran Hussain

Answer: Agar koe shaks 1 saal main se 6 mahine is tarah safar kare k har mahine 10 rooz ya os se zida safar ho ya safer main rahe ya chand saalo main se har saal 3 mahine is tarah safar kare k har mahine 10 rooz ya os se zida safar ho ya safer main rahe tu wo shaks kaseerus safar kehlata hay or os ko safar main mukammal namaaz perhna hoti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #1583). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82378
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: I am travelling to Europe for 14 days, 7 days in Italy and 7 days in France?.. will my namaz be qasar?

Answer: If Europe and France are not your homeland and traveling will be 44 km then your prayer will ben qasar. (Ref: Al-masaelul muntakhaba, pg#140). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85100
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Umra pe jane waley namaz poori padhainge ya qasar

Answer: Agar safar 10 din se kam ka ho tu Makkay or madeenay k pory sheher men aap ko ikhtiyaar hay k namaz ko qasar parhen ya ppoori parhen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1342). Update on dated 03-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92117
Mujtahid:
Date:

Question: My name is imran Raza mera sawal hai namaz ka kia hukum hai hajj Kay doran mtlb qasr ada krni hai ya pori ada krni hai??? Or jamat k sath ada krni hai?? Or namaz e juma ahl e tashi hajjk dino mai kia hukum hai.??

Answer: Makkay k poory sheher main musafir ko ikhtiyaar h keh poori namaz parhy ya qasar ksr k parhsy. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 1342 ) Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-16

Question: A.o.A Agr Koi Insan Namzae Qasr mian 2 ki bijaye 4 farz pory ada kr lay to phr??

Answer: Agar galti say qasr ki jaga mukamal namaz per lay our waqt b mojud ho to zarori hay k dubara namaz per hay or waqt nikal chuka ho to ahtiyat ki bina per qaza karna zarori hay..(ref: Tuzio ul masail Aga Sistani edi #2019 masla # 1344)
[Updated on 16-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120811
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-10

Question: میرا سوال ہے کے میرا ہر مہینے میں نوکری کے سلسلے میں تقریبن14 دن باھر آنا جانا ہوتا ہے جس میں کچھ دن ٤ یا ٥ دن کہیں پے قیام بھی ہوتا ہے یہ میرا پروگرام تے شدہ ہوتا ہے تو کیا میں پوری نماز پڑھوں گا یا قصر

Answer: Aap ko poori namaz parhni hogi Q ke Jis shakhs ko safar men qasar namaz parhna zaroori hai us ke liye shart ye hai ke wo “kasheer-ul-safar” na ho.
lehaza wo shakhs jis ka peshaa safar se hi waabasta hai jaise driver, malaah, galah baan aur daakia wagera ya wo shakhs jo ziyada safar karta ho chaahe us ka peshaa safar se waabasta na ho jaise wo shakhs jo hafte mein teen din safar mein guzaarta ho, chaahe us ka safar tafreeh ya syaahat ke liye ho, aise afraad ke liye zaruri hai ke apni namaazein poori parhein.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #1294).
[Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120895
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-07

Question: I am currently studying in Islamabad. So whenever I come back to my home on weekends in Okara, do I have to pray safari nmaz for 2 days of weekend?

Answer: Aap ko poori namaz parhni hogi. Q ke Jis jagah ko insan nay apni mustaqil sakonat or bood o baash k liay muntakhab kia ho, wo oska watan hay chahay wo wahaan paida hoa ho or wo os ka aabae watan ho ya os nay khud os jagah ko zindagi basar kerne k liay ikhtiyaar kia ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #1315).
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121139
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-30

Question: Kya Karbala ka zair Karbala main namaz puri parhega ya qasr?

Answer: Hazrat Imam Hussain(a.s) ke haram(حرم) men qabar-e-mutahar ke atraaf men taqriban saarhe giyara (11.5) metter ke andar namaz poori ya qasr parh jaa sakti hai. yani is me namazi ko ikhtiyar hai ke chahe to namaz poori parhe chahe to qasr parhe, aur is ko ye bhi ikhtiyar ke maslan zuhr ki namaz poori aur asar ki namaz qasr parhe. Lekin Imam Hussain(a.s) ke haram(حرم) ke dosre hisson men aur shehar e karbala men Ahtiyat e wajib hai ke namaz qasr parhay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1813,1814).
[Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-14

Question: Assalamun alikom mera do gahr hai 2 alag molko mai ak gahr wo hai jaha mai hamesha moqim rehti ho or ak gahr wo jaha sal mai 2 ak bar aka rehti ho ab sawal yeha ke agar mai kisi or molk mosaferat ke doran apne dosre gahr mai 2 3 dino ka liya moqim raho or phir safar age continue karo to os 2 3 din ke arse mai meri namaz 2sre gahr mai qasr hogi ya pori? Or jo mai namaze par choki ho bilfarz mojeh malom nahi tah or maine qasar pari hai ya bar aks to kiya wo namaz sahi hai ya phir se mojeh ada karni hongi?

Answer: 1: Faqat kisi insaan ka kisi doosri jagah apna zaati ghar hona ye is baat ka sabab nahin bane ga ke wo wahan poori namaz parhe, balke us jagah ko apna watan banane aur mukammal namaz parhne ke liye zaroori hai ke wahan kam az kam derh (1.5) saal ke arse tak zindagi guzaare. lihaaza agar aap ne zindagi me kabhi bhi us ghar me kam az kam derh (1.5) saal zindagi basar ki ho to wo jagah aap ka watan shumar hogi aur wahan namaz mukammal parhni hogi, lekin agar itna asra wahan muqeem na rahi hon to wo jagah aap ka watan shumar nahin hogi aur wahan aap ko agar 2, 3 din rehna ho to namaz qasr parhni hogi.

2: Agar aap ki zimmedari qasr namaz parhna thi aur aap ne qasr namaz hi parhi thi phir to koi maslah hi nahin hai, Q ke aap ne apni zimmedari poori kar li, lekin agar aap ki zimmedari qasr namaz parhna thi aur laa ilmi ki bina aap ne poori namaz parh li thi to agar waqt guzar gaya hai to qaza karna zaroori nahin hai lekin agar waqt baqi hai to use dobara apni zimmedari ke mutabiq anjaam den.
3: Agar aap ki zimmedari poori namaz parhna thi aur aap ne bhi poori hi namaz parh li thi phir to koi maslah hi nahin, Q ke aap ne apni zimmedari poori kar li. Lekin agar aap ki zimmedari poori namaz parhna thi aur laa ilmi ki bina par aap ne qasr namaz parhi li thi to agar waqt guzar gaya hai to qaza karna zaroori nahin hai Lekin agar waqt baqi hai to use dobara apni zimmedari ke mutabiq anjaam den.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #1767,1819).
[Updated on 14-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print