Showing 0- 35 questions from 35 questions on this page.
Question: bachy ki delivery ke bad aurat se kitne arsay bad hambistri jaiz hai? quran o sunnat ki roshni me jawab dein apki bari meharbani hogi
Answer: 1)Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain. Aur jo aurat nifaas ki halat may ho os say jima karna haram hay lakin os par koi kaffara nahi hay. Yani bacha paida honay k baad 10 din tk intercourse nhi krna chahea. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 504) note : Behtr hay k is baray mai doctor sai roju karain k bacha paida honay k 10 din k baad kab sai intercourse kar saktay hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal hae k mera 5month ka hamal tha;or 4 month se bleeding start ho ge or 5 month k end pe marey baby ke death ho ge or delivery b hoe or dnc b hoe.delivery k bad wali bleeding kb tk hoti hae.plzz reply
Answer: Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. ye zaroori nahi hai k bachay ki khilqat mukammil ho bal k agar is ki khilqat na mukammal ho laikin ( ﻋﻠﻗﻪ ) yani khoon ka lothra ya ( ﻤﺿﻐﻪ ) yani ghosht ka tukra honay ki halat sai ghuzr chuka ho aur phir gir jae to bhi 10 din tak jo khoon aye os ko nifas kehtay hain. Laikin 10 dino k bad aanay walay khoon ko nifas nahi kehtay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498-501)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya agar ham nifas se 3 din mai paak ho jate hain kabhi kabhi 4 din ho jate hain to kya 3 din baad gusal karna zaroori hai agar hame dout rahe ki ham 4th day bhi ho sakte hain
Answer: orat ko 3 tarhan ke koon aate hai 1
Question: asalam mera sawal yai hai kai mai pregnant thi 4 months tak ...jab mai nai ultrasound kia tou bacha mara huwa tha phir doctor na kaha kai d&e kar lai yani bachay ko nikal dai ....aab mai yai janna chahti hu kai ma kitnay din tak nimaz nahi parh sakti ...plz mujhai bata dai...
Answer: Jab aurat nifas ki halat mai ho os par namaz parhna haram hai aur Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. ye zaroori nahi hai k bachay ki khilqat mukammil ho bal k agar is ki khilqat na mukammal ho laikin ( ﻋﻠﻗﻪ ) yani khoon ka lothra ya ( ﻤﺿﻐﻪ ) yani ghosht ka tukra honay ki halat sai ghuzr chuka ho aur phir gir jae to bhi 10 din tak jo khoon aye os ko nifas kehtay hain. Laikin 10 dino k bad aanay walay khoon ko nifas nahi kehtay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498-501)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Fiqa jafreya k mutabiq Bacha peda honay k kitnay arse bad intercourse kr saktay hain. 2nd yeh jo 40 days ka kaha jata hai yeh tmam din Nafas k hain ya 10 nafas k aor baqi 40 days tak ehteyat hai ya estehaza?
Answer:
Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain. Aur jo aurat nifaas ki halat may ho os say jima karna haram hay lakin os par kaffara zaroori nahi hay. Yani bacha paida honay k baad 10 din tk intercourse nhi krna chahea. (Ref: Ayatullah Hafiz Bashir Hussain Najfi,Tauzeehul masail, maslah # 505-11)
Note : Behtr hay k is baray mai doctor sai roju karain k bacha paida honay k 10 din k baad kab sai intercourse kar saktay hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asslam waliakum. Mera do mahino ki pregnancy k baad miscarage ho gaya.13 nov.iskliye mujhe kitnay din ka ghusul wajib hai.isko haiz mai shumar kiya jata hai yaa nifas mai .
Answer:
Jo khoon aurat ko bache ka phela juz bahar aane se phele aye wo nifaas nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 499)Ye zarori nahi hai k bache ki khilqat mukamal ho balke agar us ki khilqat na-mukamal ho lekin khoon ka louthara ya ghoosh k tukra hone ki halat se ghuzar chuka ho aur phir ghir jaye to bhi jo khoon 10 din tak aye wo khoon nifaas hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #500) Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain, Ye ho sakta hai k khoon nifaas aik leheza se ziyada na aay laikin 10 din k baad aane wale khoon ko nifaas nahe khete.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #498, 504,501)
Jo aurat ( haaz k hawale se ) adad ki aadat na rakhte ho agar ise 10 din se ziyada khoon na aay to saara ka saara nifaas hai agar wo aurat 10 din se phele pak ho jaay to zarori hai k ghusal nifaas kare aur apne ibaadaat maslan ( namaz waghaira ) anjaam de aur ghusal nifaas k anjaam se k baad us ka shoar us se jima ( humbistri) kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #505, 457 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Ghusal nifas k liye dua..kya parhna hota ghusal k doran
Answer: Ghus el nifaas me dua perhna wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #379). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wiladat ke baad aurat kitne din baad paak hoti Hai.?
Answer: Khoon e nifaas kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din aa sakta hay or is duran jab bhi khoon band ho jaey tu aurat paak ho jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #501). Update on dated 21-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Baby delivery ke baad 10th day ko ghusal e nafaas karney ke baad mene namaz Pari Lakin pir baad me check keya tu khoon ah raha tha. Mera sawal hai ke namaz ke leye mujy wudhu kesy karna chaye Ager khon pir b ah raha ho aur Kia har namaz ke leye mujy ghusal karna hoga?. Shukeriya
Answer:
Agar aurat ko nifaas ka khoon 10 din se ziyadahh aa’e aur wo Ha’ez mein a‘dad ki a‘adat rakhtee ho to a‘adat k barabar dino ki muddat nifaas aur baaqee istehazah hai. Agar a‘adat nah rakhtee ho to das din tak nifaas aur baaqee istehaazah hay. Ehteyaat mustahab yeh hai keh jo aurat a‘adat rakhtee ho wo ;aadat ke ba’d k din se aur jo aurat a‘adat nah rakhtee ho wo 10th din ke ba’d se bachche ki paidaaish ke 18th din tak istehaazah ke af’aal bajaa laay aur wo kaam jo nufsaa’ par haraam hain onhein tark kare.
(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #508 ) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia 2 month ka baby zaya hone se sawa mahina aurat ka krna lazmi hai
Answer:
Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlata hay is shart k sath keh osay zijgi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte.Update on dated 16-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 16-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy k pedaish k bad aourat kitny dino tak na pak rehti hy?
Answer:
Khoon e nifaas kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din aa sakta hay or is duran jab bhi khoon band ho jaey tu aurat paak ho jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #501). Update on dated 03-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Misscarge k bad Condom use kr k kitni days bad sex kiya ja skta hy??
Answer:
Niafas ka khoon khatam ho jane k baad hambistari karna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #504).
Note: oper bayaan karda masllah halaal o haram k hawale se bayaan kia gaya hay, miscarriage k kitne arse baad Hambistari karnay se shehat per bura asr nahi perhta, is hawale se doctor se raabta kia jaey.
[Updated on 20-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mujy ye pochna he k ourat bacha hone k bad sawa maheena pora hone k bad ghussal kese karti he tareeqa bata dijiye
Answer:
1) Bache ki pedaaish ke baad aurat 1 mahine ya sawa mahine ke liye napak nahin rehti, balke Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlatay hain is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah # 498,501,504).
2) Tamam guslon ke karnay k 3 tareeqay hain. 1) Tertibi (sequence) 2) Irtimasi tadrijee (gradual immersion bath). 3)Irtimasi dafaee (Immediat immersion bath). Ghusl e tertibi ka tariqah ye hai:- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar (Head) or gardan (Neck) ko mukammal dhoya jaay, or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay. or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main badan ka ulta hissa dhoya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70).
[Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qibla 7 had to k bad miscarriage hojae raza e Elahi se tu sawa mahina hoga hay tu q wazahat ka talab gar
Answer:
Bache ki pedaaish ke baad aurat 1 mahine ya sawa mahine ke liye napak nahin rehti, balke Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlatay hain is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah # 498,501,504).
(Note: Nifas wali aurat 10 ya is kam dino tak nifas me rehti hai. is se ziyada dino tak {yani 1 mahina ya sawa mahina nifas ki halat me nahin rehti} aur khoon ke ruk jane ke baad gusl karna hoga.)
[Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qibla 7 week k bad agar miscarriage hojae tu sawa mahina lazim hay? Or yeh kiun hota hay wazahat ka talabgaar
Answer:
Bache ki pedaaish ke baad aurat 1 mahine ya sawa mahine ke liye napak nahin rehti, balke Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlatay hain is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah # 498,501,504).
(Note: Nifas wali aurat 10 ya is kam dino tak nifas me rehti hai. is se ziyada dino tak {yani 1 mahina ya sawa mahina nifas ki halat me nahin rehti} aur khoon ke ruk jane ke baad gusl karna hoga.)
[Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia gusal nifas sawa maheena py hota ?
Answer:
Bache ki pedaaish ke baad aurat 1 mahine ya sawa mahine ke liye napak nahin rehti, balke Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlatay hain is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah # 498,501,504).
(Note: Nifas wali aurat km se km aik lehze ya ziyada se ziyada 10 dino tak nifas me rehti hai. is se ziyada dino tak {yani 1 mahina ya sawa mahina nifas ki halat me nahin rehti} aur khoon ke ruk jane ke baad namaz ke liye gusl karna zaroori hai.)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: C section k bad 4 week me C section k bad 4 week me blood ki jagah discharge ay to kya ye bh nifas kehlaya jayga ? Or is duraan koi porn video dekhny ki wjah sy discharge ho jy to knsa ghusal krna hoga ,ghusal e janabat ya ghusal e nifas, or Kya ek hi br me dono ghusal ki niyat krskty hein? ki jagah discharge ay to kya ye bh midas kehlaya jayga ? Or is duraan koi porn video dekhny ki wjah sy discharge ho jy to knsa ghusal krna hoga ,ghusal e janabat ya ghusal e nidas, or Kya ek hi br me dono ghusal ki niyat krskty hein?
Answer:
Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai. 2: Porn video ko dekhnay sai ghusl wajib nahi hota hai. han agar mani kharij ho jaye to ghusal janabat wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition 41st, Mafhoom e Maslah #498,501,504,344).
[Updated on 25-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mera sawal h k c section k bad 4 week me yellowish/ pinkish white discharge ay to kya yeh bh halat e nifas kehlaya ga, or after 40 days ghusal e nifas kry phr bh discharge ho to kya Pak hungy namaz prh skty hei?or halat e nifas me porn dekhein or discharge hjy to kya ghusal e janabat bh krna wajib hoga ghusal e nifas k sath ,or Kya dono ghusal ki ek hi br kr skty h dono k niyat sy ?
Answer:
Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai. 2: Porn video ko dekhnay sai ghusl wajib nahi hota hai. han agar mani kharij ho jaye to ghusal janabat wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition 41st, Mafhoom e Maslah #498,501,504,344).
[Updated on 25-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nifas ka gusl jumerat k din kr skte h
Answer:
Khoon e nifaas kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din aa sakta hay or is duran jab bhi khoon band ho jaey tu aurat paak ho jati hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e maslah #501).
(Note: Je han, kar sakte hain. Is men dino ki koi qaid nahin jab bhi khoon band ho jaye to namaz aur is jesi Ibadaton ke liye ghusl wajib ho jata hai).
[Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya baby delivery k 40 days k andar hmbistri Kar sakte
Answer:
Halat e nifaas main shohar or biwi dono k liay biwi ki aaghe ki shramgha me jima kerna or biwi ke lie karwana haram hay.Bache ki waladat se 10 din tak jo khoon(blood) aurat ko Aye wo khoon nifas he. ye ho sakta hay k khon e nifaas aik lehza say ziyada nah aay laikin 10 din k baad aanay walay khoon ko nifaas nahi kehtay(Ref :Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448,498,501,503-4,)
[Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can i colour my hair after 40 days of completion of my delivery after performing all my ghusls related to my delivery even if i notice little spotting?? Is it permissible
Answer:
Yes, It is lawful for you to dye your hair.(Ref: Urwatul wusqa, jild#1, Maslah#819)
[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa.. mera 4 months ka hamal zaya ho gaya, aur mujy bleeding bus 2 din hoi aur us k bad bus spotting hoi ab wo b ni hoti tu kya mai gusal kar k nmaz ada kar sakti ho, ya 40 din wait karo jab k islam me iska koi concept ni. Aur hmbistri b kar sakty
Answer:
Hamal agar zaya bhi ho jaye tab bhi us waqt se lekar 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai is shart k sath keh osay zichgi ka khoon kehna sadiq aata ho, or Khoon e nifaas kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din aa sakta hay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahin kehte, or is duran jab bhi khoon band ho jaey tu aurat paak ho jati hai or namaz aur is jesi Ibadaton ke liye ghusl wajib ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e maslah #500,501).
Note: Nifas ke khoon ka dauraniya 40 din nahin hota balke is ka dauraniya kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din hota hai is se ziyada nahin hota.
[Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri delivery k 2 month ho gay lekin bleeding nai ruk rahi waqfy se hoti ha to kya is me humbistri kar sakty hein
Answer:
Khoon e nifasa kam se kam aik lehza or ziayada se ziyada 10 din aata hay. 10 din k baad ane wale khoon ko istihaza ka khoon shumaar kia jaey gaor istihaza ki halat me hambitri kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,509,510).
[Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nifas wali orat k pas apne 2 mahene k bache ko le k ja sakte han
Answer:
Jee han, lay jaa sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,503).
[Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujhe ye pochna hai delivery k bad 40 din se ziada blood a raha hai to us doran bv se taluq qaim kar skte hain?
Answer:
Agar wo haiz ka khoon nahin hai to biwi se jinsi taluqaat qaim kiye jaa sakte hain. or bache ki paidaish k baad jo khoon aat hay wo nifas ka khoon hota hay jo kam az kam 1 lamha or ziyada se ziyada 10 din aata hay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448).
[Updated on 18-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Periods ke 7th day par gusul lene k baad mujhe blood dikhayi deta hai kiya mai namaz aada karsakti hu yah phir next day phir se gusal le kar namaz ke pabandi phir se shuru karne chahiye? Wo red hi hota hai blood na hi dusra rang
Answer:
1: Agar kisi aurat ka khoon 10 din se pehle ruk jaye aur use yaqeen ho ke us ke baatin mein khoon-e-Haiz nahin hai to use chahiye ( zarori hay)ke apni ibadaat ke liye ghusl kare (aur ibadaat baja laye) agarcheh gumaan rakhti ho ke 10 din poore hone se pehle dobara khoon aa jaye ga. Laikin agar use yaqeen ho ke 10 din poore hone se pehle use dobara khoon aa jaye ga to jaise bayaan ho chuka hai use chahiye ke ahtiyaatan ghusl kare aur apni ibadaat baja laaye aur jo chezein haaiz par Haram hain unhein tark kare.
2: Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us k baatin mein khoon-e-Haiz hai to zaroori hai ke ya ahtiyaat karte houe ibadaatun ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royei rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa ke baaz auraton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Pas agar wo Haiz ki muayin aadat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi us ki aadat ke din tamam nah hue hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar daswen din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya daswen din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakhti.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #495,496).
[Updated on 22-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nifas mai badan ki safai kar sakte hai
Answer:
Agar aap ki muraad is se nahana ya badan ke baal saaf karna hai to jee han ye dono kaam nifaas ki halat me kiye jaa sakte hain. (Yani koi mana nahin).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,503).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: بچہ کی پیدائش کے بعد نماز کب پڑھنی چائیے
Answer:
1: Bache ka pehla juz maan ke pait se baahir aane ke waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye woh khoon e nifaas hai aur nifaas ki haalat mein aurat ko nufaasa kehte hain.
2: Khoon e nifaas ki muddat kam az kam aik lehza aur ziyada se ziyada 10 din hoti hai aur is muddat ke dauran aurat ke liye namaz parhna jaiz nahin hai yani Haram hai lekin jaise hi khoon e nifaas se paak ho jaye to nifaas ka ghusl kar ke apni ibadaat ko anjaam dena wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,503).
[Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Baby delivery k bad mujy 15 din tak blood aya or ab ni a rha kya main gusal kr k namaz parh sakti hun???
Answer:
Khoon e nifaas ki muddat kam az kam aik lahza(لحظہ) aur ziyada se ziyada 10 din hoti hai aur is muddat ke dauran aurat ke liye namaz parhna jaiz nahin hai yani Haram hai lekin jaise hi khoon e nifaas se paak ho jaye to nifaas ka ghusl kar ke apni ibadaat ko anjaam dena wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,501,503).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nifas k 10 din mukaml hony k bad 11 din py istahaza k doran agar cotton par khoon Ka lothra nazr ay to is par kya hukam ha?Kya yeh normal ha r istahaza he shumar hoga?
Answer:
Agar aurat ko nifaas ka khoon 10 din se ziyadahh aaye aur wo haiz mein adad ki aadat rakhti ho to aadat ke barabar dino ki muddat nifaas aur baaqi istehazah hai.
Agar aadat nah rakhti ho to 10 din tak nifaas aur baaqi istehaazah hai. Ehteyaat e mustahab ye hai ke jo aurat aadat rakhti ho wo; aadat ke baad ke din se aur jo aurat aadat nah rakhti ho wo 10th din ke baad se bache ki paidaaish ke 18th din tak istehaza ke afaal bajaa laye aur wo kaam jo nufasa par Haram hain unhein tark kare.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #508).
[Updated on 27-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I gave birth to a child on 4 feb my 40 days are completed on 16 march but sill i have brownish cooor bleeding so am i supposed to fast tokorrow on 1st ramadan ?
Answer:
Bache ka pehla juz maan ke pait se baaher aane ke waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai lekin shart ye hai ke use zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho. Khoon e nifaas ki muddat kam az kam aik lahza(لحظہ) hoti aur ziyada se ziyada 10 din hoti hai lekin 10 dino ke baad aane wale khoon ko nifaas nahin kehte.
lihaza is muddat ke dauran aurat ke liye namaz aur roza anjam dena jaiz nahin hai yani Haram hai lekin jaise hi khoon e nifaas se paak ho jaye maslan 10 din guzar jayen to ghusl kar ke apni ibadaat (namaz, roza wagera) ko anjaam dena wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,498,501,503).
[Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 40 din poory hony k bad b agr yellow discharge ho Halka sa tu kya ghusal kr skty hn ?
Answer:
Fiqhe jaferia ke mutabiq
1: Bache ka pehla juz maan ke pait se baahir aane ke waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai is shart ke sath keh usay zachaghi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay ke nifaas ka khoon aik lahze se ziyada nah aaye lekin 10 dino ke baad aane wale khoon ko nifas nahin kehte, Nifas ka khoon ruk janay ke baad ghusl karna hota hai.
2: Leukorrhea (white, yellow color ki ratubat) mani, haiz ya nifaas nahin hai. Ye paak hai aur is ke aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. Aur is halat men aurat pak hogi, isi tarah namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #498,501,504,344. + Ayatullah Sistani(d.b), email rcvd). + link; sistani.org/urdu/qa/01791/#17660 ).
[Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nifas mai makeup kar sakte hai ya nhi
Answer:
Jee han, Nifaas ki halat me makeup kar sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,348,503).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alikum Mera sawal ya hy k mera 4weeks is abbortion hugya hy or mery 40 days 15may ko khtam hu gy or mujhy ab bleeding kbhi hoti hy or kbhi nh but mery husband Jo k haroz sex krty thy mean week mei 3 4 bar ab in sy sabar nh hu rha hy tou kia wo condom use kr k sex kr sky hy ya nahi Kindly reply fast
Answer:
Jee kar sakte hain Q ke Bache ki pedaaish ke baad aurat 1 mahine ya sawa mahine ke liye aurat napak nahin rehti, balke Bache ka pehla juz maan ke pait se bahar aane ke waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai is shart ke sath ke use zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, aur ye ho sakta hai ke nifaas ka khoon aik lahze se ziyada nah aaye lekin 10 dino ke baad aane wala khoon ko nifas nahin kehte, Nifas ka khoon ruk janay ke baad ghusl karna hota hai.
(Note: Nifas wali aurat 10 ya is kam dino tak nifas me rehti hai. is se ziyada dino tak {yani 1 mahina ya sawa mahina nifas ki halat me nahin rehti} aur khoon ke ruk jane ke baad gusl karna hoga).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,498,501,503).
[Updated on 12-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Miscarriage k baad nifaas k 10 din k baad aaney wala khoon ya spotting istihaza kehlaai jaey gi??? Ar kia istihaza qaleela Mey shohar sy janabat jasiz hai
Answer:
Haiz ya nifaas ki halat me jima karna mard aur aurat dono ke liye haram hai lekin is ke alawa koi khoon hai jaise ke istehaza ka khoon to is halat me jima karna jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,503).
[Updated on 29-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]