Showing 0- 13 questions from 13 questions on this page.
Question: Kindlly quote quranic refrence for "Khums".with related surah and parah.
Answer: Surah Anfaal Ayat #41 (Para #10).
Question: Assala-mu-alaikum janab mufti sahab mera sawal yeh hai k mein ne aap k website mein parha k biwi kazi h0‹2ne per us k saath peechay se hambistery ker sakte haio aur aik dosrey k dick aur lady front hole ko suck ker sakte hain so please ap mind na karen torha aur explain karenge k ye quraan se sabit hai ya kisi kitab mein hai i am sure ap mujhe achi tarah samjaenge thanks.
Answer:
Muqallid(Tqleed krne wale) ke liye kisi hokum ki daleel ka jan`na zaruri nahi agarche hr hokum jis ko mujtahid bayan karta hai uski daleel us ke paas hoti hai. Or mujtahdeen sharee`at ko Quran or ahadees ki roshni men hi bayan krta hai.
Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Shohar or biwi aik dosray ki sharamgah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgah se nikalnay wali ratubat Halaq men na jaye.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: zohar or ashar ki namaz ma imma kirat unchi awaz ma kyu nahi karta hai
Answer: Allah Taala ki di hoi Shariat e Muqaddasa main ye hi hukum hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 979 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salam Sir Namaz e Sub, magreeb, aur isha ki namaz taiz aur zoher, asr ki namaz aahista kyon padi jati h
Answer: Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain. (Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Islam main Namaz,Roza, Hajj, zakat, Khums, Jihaad waghaira Q wajib hain?
Answer: Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sharab, charas kiun haram hy? quran pak mai ayat hy k haram hy mera sawal kiun haram hy?
Answer: Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Q-1 Machli ( Fish) Bina Zibha Kiay Kyun Halal Hai . Q-2 Jis Chori Se Hazrat Ibrahim (A.S) ne Bakary Zibha Kia Tha WO chori Kahan Gai
Answer: Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam u alykum khatna kyu ki jati hai
Answer: Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal ye hai k kya naik kam ko neki samjh k krna chahy koi harj to ni for exempl agr aik kam krny ko dil ni kr raha phr socha naik kam hai kr he leta ho to kya wo theek hoga
Answer: Ager naik kam ko mustahab sadaqa banana chahain to zarori hai ke Allah Taala ki kushnudi ke khatir anjaam dain.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 2 , Maslah # 1609 , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: asalam u alaikum sona gold mard pe kyu haram hai koi muzbat daleel paish kijiye shukariya
Answer: Hazrat imam jafar sadiq (a.s) se manqool hay: sona (gold) ehl e jannat ki zeenat hay . Allah ne duniya me sona ( gold) khawateen k lie zeenat qaraar diya hai aur mardo k lie sona (gold) pehanna aur us k sath namaaz perhna haraam qaraar diya hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed masael , Mafhoom e Pg #88 , part# 1). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslam-o-Alikum YA ALI a.s Madad Mera Sewal ye hai ki Roza Batil honi ki Baari mn QURAn Sahreef mn Likha howa h hmen kse Peta chale kia Roza Batil Ho gya hai QURAN mn To Sirf Roza Rkhnai ka Hukum hai
Answer: AHKAAM SHARHE SRIF QURAAN SE HASIL NAHE KIE JATE BALKE QURAAN AUR SUNNAT YANE HAZRAT RASOOL KHUDA AUR 12 IMAAMO K AQWAAL O SERAT SE BHI HASIL HOTE HAI. Update on dated 16-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Khal wali machli Kun nahi khani chahiya?
Answer: Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain. (Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). Update on dated 17-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Zohar ki namaz wajib hai to jummay k roz bhi zohar parahaya jaye jumma q parhaya jata hai? Or jummay ki ehmiyat bhi bata dayn plz
Answer:
Aksar ahkam e sharaei ke sabab or illatain(reasons) shariyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairawi(following) karain.(Ref: Lumah #6, kitaab e meraas, nashir maktab e naveed e islam, pg #472).
(Note: Namaz e jumma ki ehmiyat o fazilat ke liye is link per jain https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D8%AC%D9%85%D8%B9%DB%81#.D8.A7.DB.81.D9.85.DB.8C.D8.AA_.D9.88_.D9.85.D9.86.D8.B2.D9.84.D8.AA ).
[Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]