Showing 0- 15 questions from 15 questions on this page.
Question: aurath khabrastan nahi ja sakti. phir bhi aurat khabrastan jati hai is koi guna nahi
Answer:
Aurat Qabrastan jasakti hai aur is yeh amal JAIZ hai
Ref:Mujtahid Se Pooche Gaye Sawalat Part 3 Question No 202
Question: Kya qabar se hadiyaan nikalna jayez hai parhai k lye
Answer: bismehi taala, musalman ki qabr ko kholna jaiz nahi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 648)
Question: kaya mayat ke dafan karne ke baad imam uske paoon ke taraf karlai ho kar surah baqara ke akhree 2 ayaat parhta hai. kaya ye 2 ayate parhna zaroori hai ya iske elawa koi be ayat phree ja sakte hai. plz answar quick
Answer:
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Mustahab hay k qabar k ziyarat k liay aanay walay qabar per haatha rakh ker qiblay ki janib rukh ker k 7 baar sorah e qadr ki tilawat karain, or ye bhi mustahab hay k Al-Hamd or sorah e falaq or sorah e naas or ayatul kursi ki 3, 3 baar tilawat ki jay(Ref: A.Sistani(d.b),urwatul wusqa, part#1, maslah#before 1008). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Qurbani k liy gae hareedna jaez hai ya nahi?
Answer: Jaiz hay balkeh Mustahab hai. (Ref: sistani.org, topic# azhiya, arabi)(Khuda aap ki tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: Salam Kya momineen ki qabron ko pakki banana jaez hai ? Agar nahi hai to kin halat me pakki qabr banai ja sakti hai tafseel Se wazahat farmaen ain karam hoga. Allah Aap sab ko Salamat Rakhey Wassalam
Answer: Momineen ki qabron ko pakki banana jaez hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 623) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia marny k bd humsy arabic mei sawal kiye jygy ?? plz answer
Answer:
Jee, marne k baad qabr main arabi zaban main sawal o jawab hongay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 618).
[Updated on 19-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qabar par agarbatti lagana kaisa hai
Answer:
Agar agarbati, loban, chirag waghaira ka istemaal maal ka israaf na samja jaraha ho to ye haram nahin hai. ( laikin is k istemaal ko deen ka hissa na samja jaay ) ( Ref: Deen Ke Ahkam, Ayatullah Sistani(d.b), #356).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya purana kabar ko dobra pakka Bana sakta hay
Answer:
Momineen ki qabron ko pakki banana jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #623).
[Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kon sy ghunahon sy fishaar e qabar hota hai r fishaar e qabar sy bachny k lye r asaan mout k lye yani rouh asani sy badan sy nikly r qabar ma azab na hon r fishar na ho is k lye kon sy amaal bja lany chahyen r malakal mout ko kon sy hadiye pesh kr skty hen ta k wo roh qabz krty waqt narmi sy pesh ay jazakAllah
Answer:
عذاب قبر ان سختیوں اور پریشانیوں کو کہا جاتا ہے جن سے انسان موت کے بعد اور عالم برزخ میں روبرو ہوتا ہے۔ احادیث کے مطابق چغل خوری، طہارت و نجاست میں بے دقتی، مرد کا اپنی بیوی سے بغیر کسی وجہ کے دور رہنا، گھر والوں کے ساتھ بداخلاقی سے پیش آنا اور نماز کو اہمیت نہ دینا عذاب قبر کے عوامل میں سے ہیں۔
دوسری طرف سے زیارت امام حسین، نجف میں دفن ہونا، اہل بیتؑ کے ساتھ محبت، جمعرات کی ظہر سے جمعہ کی ظہر کے درمیان فوت ہونا وغیرہ عذاب قبر کے ختم ہونے میں مؤثر جانا جاتا ہے
حدیثی کتابوں میں عذاب قبر سے رہائی یا اس میں کمی کے کچھ اسباب کا ذکر ہوئے ہیں جن میں سے بعض درج ذیل ہیں:
محبت اہل بیتؑ
مخصوص مستحب نمازوں کا پڑھنا: سید بن طاووس کی کتاب اقبال الاعمال میں معصومینؑ سے منقول احادیث میں رجب اور شعبان میں مخصوص نمازوں کا پڑھنا عذاب قبر کے برطرف ہونے کا سبب
ہے۔
نجف اشرف میں دفن ہونا
قرآن کی تلاوت
قبر میں میت کے ساتھ دو تر لکڑیوں کا رکھنا
Mazeed maloomat k liye is link ki tarah rujoo karein.
(Ref:https://ur.wikishia.net/view/%D8%B9%D8%B0%D8%A7%D8%A8_%D9%82%D8%A8%D8%B1)
[Updated on 05-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: KIA BANI HUI QABAR KO GIRA KR DOBARA QABAR BNAI JA SKTI HAI?
Answer:
Momineen ki qabron ko pakki banana jaiz hai. lekin kholna jaiz nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #623,631).
[Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AGHR DEATH K BD 1 MURD KI BODY KO ORAT KI 2 SAL PURANI QABAR MAIN DAFNA DIYA JAYE OR PATA LGNY PAR ORAT K LAWAHQEEN BODY KO NIKLWANY K LIYH BOL DAIN OR BODY SATH E QABAR BNA K DAFNA DI JAEY TU KEA YE ISLAM MAIN KESA HY SAHI YA GALT??? NIKAL K SHIFT KARMNA HO TU KESY KARNA CHAYE ISLAM MAIN KAR SAKTY HN YA NAI?
Answer:
Musalman ki qabar ko kholna agarche bacha ya deewana hi q na ho Haram hai lekin chand maqamat mein qabar ko kholna Haram nahin hai in me se aik maqam ye hai ke jab mayyit gasabi zameen mein dafan hui ho aur zameen ka maalik mayyit ke wahan rehne se raazi nah ho, Albata is shart ke sath ke mayyit ki qabar ko kholna aur mayyit ko bahir nikalna koi is se ziyada ahem mafsada jaisay is ke badan ka tukre tukre hona nah rakhta ho warna qabar kholna jaaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #851,853).
[Updated on 28-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AGHR DEATH K BD 1 MURD KI BODY KO ORAT KI 2 SAL PURANI QABAR MAIN DAFNA DIYA JAYE OR PATA LGNY PAR ORAT K LAWAHQEEN BODY KO NIKLWANY K LIYH BOL DAIN OR BODY SATH E QABAR BNA K DAFNA DI JAEY TU KEA YE ISLAM MAIN KESA HY SAHI YA GALT??? NIKAL K SHIFT KARMNA HO TU KESY KARNA CHAYE ISLAM MAIN KAR SAKTY HN YA NAI?
Answer:
Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya 9 maheenay k bachay ko qabristan le kar ja saktay hain?
Answer:
Jee lay jaa sakte hain koi haraj nahin. Aur jahan tak bachon ko janazay ke ijtimaat (fatiha khuwani) aur qabrustanon mein laane ka talluq hai to hum ne apne paas maujood riwayaat aur fiqa ki kitabon mein talaash kiya hai aur hamein aisi koi riwayat nahin mili jis se yeh maloom hota ho ke yeh kaam na-pasandeedah hai.
(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #3, sawal #202, pg #85. + link: https://www.islamquest.net/ar/archive/fa18790 ).
[Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia waleed ke qabar me beti ko dafna sakte he
Answer:
Agar Qabar walid ne apne lie kharidi hai to walid ki ijazat se uss qabr me kisi or ko dafnana jaiz hai. Agar ijazat k baghair dafnaya gya to vo zameen ghazbi shumar hogi..
(Ref: Ayatullah Sistani (d.b), Tauzeehul masail, edition#42, Mafhoom e Maslah # 855).
[Updated on 05-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qabr pe pani dalna sawab hai kya?
Answer:
قبر پر پانی چھڑکنا مستحب ہے، لیکن(یہ کام ) دفن کے بعد اس کے ساتھ مخصوص ہے، اور بعض فقہاء نے کہا ہے کہ چالیس دن تک(پانی چھڑکنا) مستحب ہے، (آقا سیستانی کے مطابق)رجاء( یعنی اس نیت کے ساتھ شاید اللہ تعالیٰ کو یہ کام مطلوب ہو) اس(کام کو انجام دینے ) میں کوئی حرج نہیں۔
(Ref: sistani.org,arabi,topic:dafane maiyat,sawaal no :49).
[Updated on 04-Oct-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]