Showing 0- 5 questions from 5 questions on this page.
Question: Imam Hussain a.s. k rozay mai kitnay hissay mai namaz puri parhi ja sakti hai?
Answer: Jahan musafir ko namaz qasar aur mukammal donoo terah sai perhnay ka ekhtiar hota hai, is k hadood zareeh Mubarak k atraf mai 11.5 meter ka raqba hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Haiz wali aurat IMAM RAZA a.s. k haram sai kis qadar nazdeek ho sakti hai?
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par zareeh walay hissay sai door rehna chaheay. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Zyarat e Aashura kb kon sy imam pak as ki ha??
Answer:
Ziyarat e Aashura imam muhammad baqir (a.s) se naql hoi hai. mazeed tafseelat ke liye is link ko visit karen. https://ur.wikishia.net/view/%D8%B2%DB%8C%D8%A7%D8%B1%D8%AA_%D8%B9%D8%A7%D8%B4%D9%88%D8%B1%D8%A7
[Updated on 27-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ہم زیارت امام زمانہ(علیہ السلام ) قبلہ رخ ہو کر کیوں پڑھتے ہیں جب کہ زمانہ غیبت میں ہیں ؟
Answer:
Imam zamana ajtf ka zuhoor khana e kaba k sehen main hoga, is liay khana e kaba ki janib hi ziarat perhi jati hay, mazeed ye keh ziyarat perhte waqt ye yaqeen nahi hota keh is waqt imam e zamana ajtf kis samt(direction) main hoon gaey.
[Updated on 23-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam walaikum mera sawal yeh hai k bache ki delivery k baad 40 days mukammal bone se pehle ziarat (iran iraQ ) wagaira jaa saakte hai ? yh 40 din puray hone k baad e jana munasib hai ?
Answer:
G blkl zyarat k lie jaskte hai or Yh bais e sawab hoga..
Agr aurat halat e najasat me ho to Ehtiyat e wajib ki bina pr uss k lie haram hai k Aimma a.s k haram (Zarih wale kamre, Sehan e Haram shamil nh) mai thehre..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 47th Edition, Masala No.354 )
[Updated on 24-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]