Showing 0- 35 questions from 35 questions on this page.
Question: Agar koi kapra najis ho jaye to kya kissi gareeb ko us ki najasat ka bataey bagair de sakte hain? aur agar woh kapra aisa ho jo pak nahi ho sakta ho maslan aisa kapra jis se rang nikal ta ho?
Answer:
Salam un Alaikum,
Kapray kee najasat key baray mein batlana zaroori nahi hay. Wo kapra jis ka rang nikalta hay usay baarish (rain) key pani sey paak kiya ja saktaa hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail A.Khoei Probe No. 147 & 2366.
Question: Raat ko sotay wakt money kharij ho gai thi aur bistar ki chadar kay sath metres bhi najis ho gaya tha chadar to may nay pak kar li metres kay liye kiya hukum hay kiunkay metres ko dhoya to nahi ja sakta may nay metres ki site change kar di hay najis honay wala hissa neechay kar diya hay aur dusray hissay par chadar bicha raha hoon aur usi par sota hoon?
Answer: Agar usay kur ya jari pani main dhoya jaey to ain-e-najasat door honay kay baad wo paak ho jaey gee laikin agar usay qaleel pani main dhoya jaey to jis tarah bhi mumkin ho us ka nichorna zaroori hay,khwah is main paaon hi kion na chalanay parain takay is ka dhoowan alag ho jaey.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.36 Masala No.157.
Question: salam,plz mujhey is baat ka ans dain k jub sex key baad mani agar bedsheet per gir jai tu kia woh bedsheet haraam hojati hey??? agar hojati hey tu us ko paak karnay key liay us hissay ko dhoya jai ya poori bedsheet?? isi tarah agar jo kapray hum is key baad pehnay woh kia gusal key baad bhi pehen saktey hain ya woh najis hojatey hain? plz yeh bhi batai key ans kaha milay ga is web site per ya meray email address per aaiga???aur kitnay dino baad milay ga? khuda hafiz
Answer: Bed-Sheet par najasat girney say bed-sheet haram nahi hoti balkay najis hoti hay.aur is ko paak karnay kay liye sirf itna hissa dhoo lena kaafi hay kay jitney hissay par najasat lagee hay..aur jo kapray us waqt aap nay pehnay hoay hoon agar najasat us tak pohunch jaey to wo bhi najis ho jain gay.aur agar najasat in tak na pohunchay to wo paak hain aur ghusl kay baad inhee kaproo ko pehen saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.31,Masala No.122.
Question: As per the fatwa os ayaat-ul-allah seestani it is makrooh to offer namaz in black clothes. Kindly explain what is meant by black clothes like shirt, pants, coat . What is the criteria of black?
Answer: Kalay kapray pehan kar namaz perhnay ka makrooh hona sabit nahi he chahae ayyam e aza ho ya na hon. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 84, pg # 44) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jab hum matam mein apna khooon bhatey hain to kiya phir hus us waqt nimaz bajamat ya farden parh sakte hain. jaza k Allah
Answer: Agar namaz parhne walay k badan ya libaas par zakham ka khoon ho to wo us khoon k saath us waqat tak namaz perh sakatay hain jab tak zakhm theek nah ho (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 836).
Question: Assalam-0-ALyekum mai peshab karke jb nikalta ho to mjh phir peshab ki hajat ho rahi hoti hai bar bar peshab aata hai or drops bhi girte hai jis se namaz mai pareshani hoti hai
Answer:
1.Agar kisi shakhs ko ye merz ho k paishab k qatray girtay rehtay hoon, agar osay Yaqeen ho k Namaz k Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak itna waqfa mil jaey ga k wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay k waqfay k doraan namaz parh lain aur agar osay sirf itni muhlat milay jo namaz k wajibaat ada karnay k liay kaafi ho to is doraan sirf namaz k wajibaat anjaam day aur zaroori hay k Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2.Agar os ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz k dooran aik martaba ya chand martaba paishab k qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat k dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz k doraan Lazim nahi hay k paishab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.. 3.Agar os ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aik wuzu chand namazoon k liay bhi kafi hay siwaey ye k koe doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay k har Namaz k liay aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat k liay doosra wuzu zaroori nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#306-308 ).
Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: matam k khoon par NAMAZ ho sakti hai kya?
Answer:
1- Agar namazi k badan ya libaas par zakham ya jaraahat ya phorhay ka khoon hut u wo khoon k saath os waqt tak namaz perh sakta he jab tak zakham ya jarahat ya phorha theek nah ho jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 836)
2- Agar namazi k badan ya libaas par aisi kharaash ya rakham ho jo jaldi theek hojata ho or jiska dhoona asaan ho or jis ki miqdaar aik dirham k baraber ya os se zaid ho tu oski namaz batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 837). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia aisay libas mai namaz perhna makrooh hai jis par kisi bhi qism ki tasweer ho?
Answer: Is ko makroohat mai shumar kia gya hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 28, pg # 31) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aik shakhs jo khoon lagay huay libas k sath namaz parha karta tha. Ya to osay khoon ki najasat k baray mai ilm nhi tha ya wo ye nhi janta tha k aik dirham e bagli ki miqdar sai ziada khoon namaz ko batil kar deta hai. Kia is k lie apni namazoo ko dohrana wajib hai?
Answer: Jahil e qasir(wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi metabir risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai galati hui thi) honay ki surat mai zahir yehi hai k namaz batil nhi ho gi lakin agar jahil e moqassir(wo na waqif shakhs jis k lie masail ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masail maloom na kiay hon) ho aur abhi namaz ka waqt baqi ho to namaz ko takrar karnay ki ehtiyat trk na karay belk agar waqt khatam ho chuka ho to bhi is ki qaza baja lay. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 30, pg # 31) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: reference ur web site q&A question id# 2511 ur answer is Black libaas pehenna namaz k doraan ya is k alawa makhroh nahi hay.(ref: Aytullah Seestani(d.b),Tauzee hul masail,maslah # 853). & (Ayat ullah Seestani(D.B),mujtahid say pochay gaay sawalaat.sawal #84).jab k main ne tauzee masail main maslah # 853 parha ha jis k mutqbiq black dress main namaz pahnana makro ha. or www.sistani.org k mutabiq bhi makroh ha. kindly explain it
Answer: (Ref : Ayatullah sistani(d.b),Tauzeehul masail, maslah # 853). Is maslay mai aqa sistani ne apna fatwa bayan nahi kia hai bal k dosray (mujtahideen) foqah e karam ka qoul naqal kia hai yani namazi k libas mai kalay libas ka makrooh hona dosray (mujtahideeb) foqah e karam k fatway k mutabiq hai ayatyllah sistani d.b. k mutabiq nhi hai. aqa aaasistani ka fatwa wohe hai jo bayan ho chuka hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aslamo alikum sar mri age 25sal ha mr 2 sawal ha 1st ya k mjhe peshab bht zyda ata ha jab me peshab kar leta hn phr b lagta ha k peshab aya ha phr zor lgta hn to thora sa peshab ata ha phr lagta ha k peshab baki ha phr me zor lagta hn to qatara qatara pehshab ata ha usk bad b lagta ha k peshab baki ha phr peshab kr k khara hota hn usk bad hud peshab k qatrd ate ha maine sab test kraye thy shugar k or b sab normal ha plz mje btye kia problem ha or mra 2sra sawal ya h k mri shadi ko ak mahena hua ha or mra penis khara hota ha par ful tight nhi hota or me jaldi discharg ho jta hn or mjhe erecition b kam ati ha me bht paryshan ho plz help me
Answer:
1)Jis shaks ko qatra qatra peshab nikalta ho agr wo surah e zumar ki ayat#67 ko kaghaz par likh kar kamar par bandh ley tu ye bemari chali jaegi.aur agr zafran say likh ker pee lain tu bhi faida hoga.(ref:book nawaey saleheen pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2)Imam a.s. farmatay hein k jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) 3)Homoeopathic Medicine damiana pentarkan drops(Made in Germany Dr. willmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyan khatam ho jay gi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: aap ziyada paani peenay ki adat daalain is se bhi peshab durust tariqay se aay ga.
Question: mera q ye hai k agr namaz me qatre nikal jaye to kapre badlna lazim he ya ni
Answer: Agar doran e namaz peshab ka qatra nikal jay tu namaz batil ho jay gi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1113). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar beshab kay qatrey nikatey rahtey hain tou bar bar kaprey change karna mushkil hota hai tou unhi kapron may namaz parh saktey hain
Answer:
Jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali(plastic bag) istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311)
Note : Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asslam o alaikum mere masla ye ha k mujhe peshab ka kaqre boht are hain jis ki waja se mai napak rhta hn or namaz b nahe par pata or ehtelam b hota ha mai boht kamzor ho gaya hnn bilkul confidense nahe ha na parhai mai dil lagta ha or na he ki c or kaam mai main boht paresha hnn plz mujhe koi ilaj batayen
Answer: Jis shaks ko pishab qatray qatray girta ho wo surah-e-zumar(surah#39) ki ayt#67 ko paper par likh kr kamar par bandhay aur zafran sy likh kr pi-lay tou faida hoga. Sonay sy pehlay ba-wazoo halat mai surae ma-aarij(surah#70) ko aik martaba parhay aur surae nor likh kr takyye k nechay rakhay tou ehtlaam sy mehfooz rahayga. Surah taha(surah#20) ki ayt #25-28 ko rozana 3 martaba parhnay sy hafza taiz hojaeyga aur har cheez yaad rahaygi (Ref: naway-e-saleheen,pg#329,322,326) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Janab mera sawal ye hhai k kia perfume laga kar namaz parne se namaz ho jati hai hala k perfume mai alchohal bhi hoti bai ???
Answer: Alcohol pak hai layhaza perfume laga ker namaz perh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 109+786). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr kapru ko billi chu jaye to kiya ham un kapru me namaz ada kr sakty hy???
Answer: Billi per agar alag se koi nijasat na lgi hoi ho to wo khud pak hai lehaza us k chone se koe cheeze najis nahe hote. Haram gosht janwer maslan billi k moo ya naak ka pani ya koe dosere ratubat namaz perhne wAle k badan ya libaas per lagi ho, agar wo tar (gheeli) ho to namaz batil laikin agar khush ho aur is ka aain juz zaail ho ghaya ho to namaz sahe hai(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80,119,813)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mjy aksar qatry aty ha
Answer:
1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-311)
Mani ko pechan
Question: Kia picture waley logo ki t.shirt pehnany se namaz ho jati hy. As logo of crocodile or horse?
Answer: Aysa libaas ka pehanna – jis per kisi chehre ki tasweer ho –namaz k makrooh shumaar kiya gaya hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 853 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: mera sawal ye hai k muje pashab k katre ate rehte hain. wazo k baad b yehi hota hai .. batain k is halat me namaz kese parhu koi wazifa hi bata de
Answer: Ager namaaz ke awal waqt se aakhir tak kuch esa waqt ho jis main ap wazo kar ke paak halat main namaaz phar sakte hain to us main namaaz pharna wajib hai.Or ager awal se aakhir tak sirf itna waqt mile jis main sirf namaaz ke wajibaat ko ada kiya ja sake to sirf namaaz ke wajibaat ka ada karna zarori hai.Or ager halat ye ho ke pishaab her waqt nikalta rehta ho or sirf namaaz ka baaz hissa (masalan 3 rakaat) paak halat main phara ja sakta ho to us hisse ko paak halat main pharna wajib hai.Or ager pishaab pure waqt is terhan nikalta ho ke puri namaaz na-paki ki halat main hoti ho to namaaz sahi hai, or ager namaaz ke dermiyaan pishaab nikal bhi jaae to namaaz batil nahi hoti.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 305 to 313).Or pishaab ki bimari se nijaat ke liye ik koraak main 6 masha haldi pani ke sath phankain. Or chini se perhaiz karain. (Ref : apna dawa khana , topic # ilaaj ba-zaryaae haldi pishaab ki ziyaatti , pg # 22 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: sir mujhe peshab kae khatre bahot hote hae garmi ki wajaha sae isse pani nahana zaruri hae kya please answer me.....Please
Answer: Namaaz ke liye badan o lebaas ko paak karna zarori hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 787 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya puma ke tshirt mai namaz padh saktay hai jun ki usmai janwar ka logo laga hota hai?
Answer: Ager us per kisi chehre ki tasweer bani hoi hai to namaz to parh sakte hen albatta makrooh shumaar kiya gaya hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 853 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya alcohlic perfume lga kar namaz parhi ja skti h?
Answer: G han parh sakte hen. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 37 , pg # 58 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: mera sawal hai ke agar aapke kapde mein pisab lag jaye to use jagah ko pani se saaf karke namaj padh sakte hain ???
Answer: G han usko pani se paak kr k usi men namaz parh skate hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 122 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai).
Question: Mja bemari ha yani 24 ghanta mani niklta rahta ha or main har namaz k lia wazu karta hun lakin main na kapra bandha howa ha ta k kapra kharab na hnn kapra nijasat sa kafi bhar jata ha or mera lia har dafa kapra ko wash kar k sookha k dobara bandna bohat mushkil ha kam az kam 15 mint lag jata hain to main kya karo har nmaz k lia har dafa kapra dhoona lazmi ha mja bohat mushkil lagta ha ye kam kae dafa jamat b raah jati ha or raaste main agr nmaz ka waqt ho jay to kapra dhoona na mumkin ho jata ha
Answer:
Ager ye – 24 ghante nikalne wali ratobat – har baar lazzat ke sath (jis terhan mani ehtilaam wageera ki halat main nikalti hai) na nikalti ho (jesa ke is ka mani na hona ziyada sahi hai) to ye mani nahi hai, or is ke mani na hone ki sorat main (kun ke lazzat ke bageer nikli hai) ager ye pishaab na ho (jo ap ke sawaal se zahir hai ke ye peshaab nahi hai) to ye ratobat ya to mazi hai (wo ratobat jo shewat hone ki waja se mard ke Uzu e Tanasul se nikalti hai) ya wazi (wo ratobat jo mani ke baad kharij hoti hai) ya wadi (wo ratobat jo peshaab ke baad nikalti hai), Or mazi, wazi or wadi teno ratobatain paak hain, in ke zarye na libaas najis hota hai, or na hi gusal wajib hota hai, or na hi wazo tootta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 169 , eidition # 4th) , (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70).
Note : Han albatta is ratobat ke itni kasrat se nikalne ki waja Doctor ya hakeem se maloom karain.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Jannabat wale kaprey galti se pehen kar bajummat nemaz parho to kya namaz dobara parna ho ga ?
Answer: Agar koe shaks ye bhol jay keh oska badan ya libas najis hay or osay namaz k doran ya os k baad yaad aay chunachah agar os ne la perwahi or ehmiyat nah daine ki wajah se bhula diya ho tu ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k wo namaz ko dobara perhe or waqt guzar gaya ho tu oski qaza kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #791) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: black kaproon me namaz parhna kesa he
Answer: jaiz hai(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #853 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mujhe soso nekalne ke bemari hai keya is ke bawajood mai nemaz pahd saktha hoo?
Answer:
1) Agar kise ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311)
4)agar kise shak ko ye areza lahaq ho k riha(gas) rokene per qadir na ho to zarore hai k un loago k fareze k mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhne per qadir na ho . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #314 )
Pheshaab ki jumla amraas maslan pheshaab ka ruk ruk kar aana aur baar baar aana pheshaab me khoon aana aur jalan k sath aana ya bister per pheshaab nikaljaana k lie asmahe husna (owarehmaanureheemo owalmalikulquddosussalaamo owalkaalekulbaareo ) ko awal wa aakhir salawaat perh kar darmiyaan me surah zumar ki ayat 67 ko 3 martaba perh subha suraj nikalne se phele aur sham ko goroob aftaaf k fouran baad paani per perh kar pi liya jaay. (ref: nawahe sauleheen,pg: 329) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A.a.s ma jb namza prhna jata hn to sajda ma bht bar pashab ka katra mare salwar ma gir jata hain plzz iss ka koi hal batayein
Answer:
Wssalam o alykum, Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo na hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70).
Lehaza ager ap ko in qatro ke peshaab hone ka yaqeen na ho or ap ne peshaab karne ke baad istabra kiya ho to ye qatre paak hain or namaaz bhi sahi hai.
Or ager ap ko in ke peshaab hone ka yaqeen ho to ager namaaz ke pore waqt main se thora sa esa waqt milta ho jis main ye qatre na nikalte hon to namaaz ko us waqt main pharain garche ager namaaz ke tamaam mustahabbat ko choor kar is waqt main namaaz pharna phare to mustahabbat na pharain. Or ager paak halat main pori namaaz pharne ke liye thora sa waqt bhi na mile to jitna hisa paak halat main phar sakte hain utna pharain, or ager ye qatre har waqt nikalte rehtain hon to phir ni ki parwa na karain or ap ki namaaz sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 306 to 314).
Note ager in ke peshaab hone ka yaqeen ho to Doctor ko dikhaain. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sir kya toilet seats ka istemal jayez hai aur kya us ko use karne ke baad namaz ada ki ja sakti hai..plz....thanks
Answer: Agar aap ko os k najis hone ka yaqeen nah ho tu wo paak shumaar hogi or os ko istemaal kerne k baad namaz perhna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 115). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr underwear PR MANI lagy HO or kapry saaf hon to kya namaz hoskty hai
Answer: Agar mani kapre per nahe lage hai to srif paak kapro me ghusal karne k baad namaaz perhe jasakte hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #787 ) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kayee baar log kehte hain ki aurton ki namaz pital ki chudi (bangles) me namaz nahi jail hai. Plz is baare me bataaien.
Answer: Namaz batil nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #786). Update on dated 29-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir meray kapro pay kaway ya chudia ki nijasat ho namaz hoti hai usi kapro say
Answer:
Jee aap ki namaz ho sakti hay , Q k tamaam parindo peshab or fuzla paak hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #82). Update on dated 31-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya leather ke jacket me namaz jayaz hain
Answer: Zaroori hai k wo jacket khoon e jehanda(jin ka hoon uchal kar nikalta hai) rakhne wale murdaar k ajzaa sai na bani hoe ho aur zaroori hai k wo jacket darindo k ajzaa sai na bani hoe ho balkey ehtiyaat e wajib ki bina par wo jacket kisi aisay jaanwar k ajzaa sai nah bani hoe ho jis ka gosht khana haram hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#809, 812). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr mia k sath laity mia ka mani bv k kpro p lg jae to kia aurat nmaz hy qabil hy ya ni??
Answer: Agar hambistari nahi hoe ho to aurat kapro ko pak ker k namaz parh sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Napak Libas mai namaz kaisay ada karain
Answer:
Jee nahi agar libaas najis (napak) hai tu ikhteyaari halat main is libas men namaz nahi hogi Q k libaas ki sharaet main say aik shart ye hai k libaas ka paak hona zarori hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 39 maslah # 786)
[Updated on 10-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]