Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz k mustahab o makhroh (19 Questions)


Showing 0- 19 questions from 19 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
215
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: salam kya rozy ki halat main nono alcolic perfume yah atta kaproon pay laga sakty han namz ho sakty hay

Answer: Salam un alaikum,

Is mein koi haraj nahi hay.

Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Swalaat (Roza) Ques. NO. 172

Print

Id:
13089
Mujtahid:
Date:

Question: g slam main ye puchhna chahti hoon ki namaz parhte huye achank kuchh kheyal ate hai or main apna deyan namaz me lagana chahti hoon to kaise kheyal ane ki siqayet ko door karoon?

Answer: Aap pabandi or takeed k saath halat e qiyaam main apni nazar sajdagaah par or, halat e ruku main dono qadamo k demiyaan or jab baithay ki halat main apne daman par nigaah rakain tu ye cheezain namaz main tawajjah paida karain gi.(Ref:A.Sistani(d.b),Mujtahid se pochay day sawalaat,part#3, sawaal#76 )
Mustahab hay k Al-hamd or sorah perhtay waqt ayaat k matlab(meaning) ki taraf tawajjah rakhain. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1004).
Namazi ko khiyaal rakna cahhiay k namaz ko jaldi jaldi nah perhay or namaz ki halat main khuda ki yaad main rahay, or khushu or khuzu or waqaar or yaksoo,e se namaz perhay or ye khiyaal rakay k kis hasti se kalaam ker raha hay or apnay aap ko khuda ki azmat or buzurgi k muqaablay main haqeer or na cheez samjhay.agar insaan namaz k doran pori terah in baato ki taraf tawajjah rahay tu wo apne aap se bay khaber ho jata hay. Jaisa k namaz ki halat main hazrat imeeril momineen Imam ali (a.s) k paon se teer khainch liya gaya or aap ko khaber tak nah hoe.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# after 716). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
14048
Mujtahid:
Date:

Question: Namaj mein Raful yadian karna chaiye. Sahih hadith ki roshni me batayein.

Answer: Mustahab hai ke namaz ki phely takbeer aur namaz ki darmiyaani takbeer kehte waqt haatho ko kaano k brabar tak le jaain.(Ref . Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 942).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14070
Mujtahid:
Agha Sistani Sahib Date:

Question: A O A.janab kia takbeera tul ehram mein dono hathon ko kano(ears)tak uthana wajib hai ya jahan tak marzi ho hathon ko utha le.

Answer: Mustahabb hay k namaz ki pehli takbeer(takbeera tul ehram) aur namaz ki darmiani takbeerain kehtay waqt hathoon ko kanoo(ears) k brabar tk lay jay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 942 ) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
84626
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya peshaab ki halat mai namaz ho jati hai or agr nhe hoti to uski wjaa kya hai..

Answer: Peshaab ya pakhana rook kar namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1144). Update on dated 28-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88984
Mujtahid:
Date:

Question: Agar kamry mai koi photo lgi ho per wo samny na ho namaz prhny wali jaga k is jaga se chup jaye or teddy bear pry hn per samny na pry hn namaz ho jati hai

Answer: Namaz sahi hay,lekin makrooh hay agar us ko dhanp dia jaey to makrooh nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #885). Update on dated 30-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89122
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o Alikum! Kia us dewar k samny namaz prh sktay hain jis py Allah or Rasool S.A.W k names wali tasweer lghi ho

Answer: Jee, koe haraj nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #885). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103393
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-27

Question: Aurat namaz main sajady main jaty hoy zameen per hath phly rahky ya gutny

Answer: Aurat k ley mustahab hay keh sajdey main jaty hoay pehlay guthney zamin per rakhay.(Ref: Ayatullah e Sistani db Tuzi ul masahail masla #1078)
[Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104173
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: mere shirt ya t shirt par kuchh likha hai sirf likha hai aur tasveer nahi hai to kya namaz ho sakti hai

Answer: Fuqahaa e karaam is ko makrooh maante hai k namazi k libas per jandaar ki tasveer ho. lekin agar tasveer nahin hai to makroh nahin hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah # 852)
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107133
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Jis kamrai mai tasveer ho kia us kamrai mai namaz nhi parh saktai ya sirf tasveer ka agaye hona jaha namaz parhinjae galat hai bhalai room mai kisi aur deewar par ho.

Answer: Jis jagah jaandaar ki tasweer ho chahay namaz perhne walay k saamnay nah ho tu os jagah namaz perhna makhroh hay.laikin namaz batil nahi hoti. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#885 ).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111214
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-28

Question: Aoa,sir mera question yeh he ke kia peshap yeh pakhana ki hajat hute huway namz parna sahi he ,iska jawab mene buhat donda lkn nahi mila plz rehnumae farmaye

Answer: Peshaab ya pakhana rok kar namaz parhna jaiz hai. Albatta makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1145)
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-19

Question: Assalamu o Alaikum, meri t shirt per horse Ka logo ho yah kesi aur janawar Ka logo ho Kiya usay namaz hojati hai

Answer: Jee han, Namaz saheeh hai. Albatta Fuqha e karaam is ko makrooh maante hain ke namazi ke libas par jandaar ke chehre ki tasveer ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #852).
[Updated on 19-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Mera sawal hei k namaz k liye roshni hona zarori hai matlb k taiz light k bajaye madham roshni mei b namaz ho skti heina?

Answer: Andharay(dark) mai namaz parhna jaiz hai laikin agar is sai namaz ka khushu aur khuzu khatam ho raha ho to makrooh hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1144).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116458
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Imam jab surh fatiha sharif parhta h to hr ayat pe rukna hota h maslan aik sans men aik ayat ye sunnat tarika h mujhy is hadees ki sanad or ye hadees kahn pe h batain

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Is silsile men kitab masail-us-shariya tarjum wasail-us-shia, part #4, baab #46, pg #169,170. ki tarah ruju kiya ja sakta hai.
[Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121076
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-19

Question: Kya Jis room mein tasavir hn us room mein namaz perhna Haram hai.

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Us room me namaz parh sakte hain Q ke jis jagah tasweer ho wahan namaz parhna makrooh hai lekin Haram nahin hai.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885).
[Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121124
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-27

Question: Tasweer ke tarf kamer kr k nimaz ada krskty hain

Answer: Jee han, namaz ada kar sakte hain, lekin jis jagah tasweer ho chahe wo samne na bhi ho wahan namaz parhna makrooh hai lekin Haram nahin hai.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885).
[Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122950
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-26

Question: Kia har namaz k bad tasbeeh e fatima or dua farz hy sunnat hy ya nafli ibadat hy?

Answer: 1: Mustahab o sunnat hai aur Mustahab ya sunnat yani pasandidah. Jo kaam Allah ko pasand ho lekin us kaam ko wajib qarar na day. Har wo hukum jis ko karnay me sawab lekin tark karnay me ghunah na ho, use Mustahab ya sunnat kehte hain.

2: Mustahab hai ke insaan namaz ke baad kuch dair ke liye taqeebat yani zikr, dua aur quran majeed parhe, Behtar ye hai ke namaz ke insaan apni jagh chorne aur wuzu, ghusl ya Tayemmum batil ho jane se pehle ru ba-qiblah ho kar taqibaat parhey. yeh zaroori nahin ke taqibaat arabi zaban main hon laikin behtar hai ke insaan wo duayen parhe jo duaon ki kitbon main batayei gayei hain aur tasbeeh Fatima Zahra (s.a) in taqibaat main se hai jin ki bahut ziyada takeed aayei hai. yeh tasbeeh is tarteeb se parhni chahiye: 34 dafa Allahhu Akbar, 33 dafa Alhamdu lillahi aur 33 dafa Subhanallahi. Aur Subhanallahi, Alhamdu lillahi se pehle bhi parha jaa sakta hai. laikin behtar hai ke Alhamdu lillahi ke baad parhe. 3: Insan ke liye mustahb hai ke namaz ke baad sajdah-e-shukr baja laye aur itna kafi hai ke shukr ki niyyat se paishani zameen par rakhe laikin behtar hai ke 100 dafa ya 3 dafa ya 1 dafa shukran lillahi ya afwan kahe aur ye bhi mustahb hai ke jab bhi insaan ko koi nemat mile ya koi musibat tal jaye, sajdah-e-shukr baja laye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1109,1110. + Fiqhi Istelahaat, pg #479).
[Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124036
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-28

Question: Salamunalaikum- Agar kapre me kisi insaan ya animal ki tasweer bani ho to us kapre me namaz parhne ka kya hukm hai

Answer: Jee, aise libaas me namaz parhna jaiz aur sahi hai. Albatta Fuqha e karaam is ko makrooh maante hain ke namazi ke libas par kisi jandaar ke chehre ki tasweer ho.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #852).
[Updated on 29-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124849
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-09-06

Question: Asalam o alaikum, Mere drawing room mai jahan hum namaz parhte hyn wahan karbala ki manzar kashi ki pictures lagi hui hyn jis mai zuljanah wagera bhi hy kia wahan namaz parhna sahi hy?

Answer: Jee, namaz ada kar sakte hain, lekin jis jagah tasweer ho chahe wo samne na bhi ho wahan namaz parhna makrooh hai.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885).
[Updated on 07-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print