Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Niyat (29 Questions)


Showing 0- 29 questions from 29 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
105
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: Salamunalaykum There are lot of terms use in the fiqa regarding the niyyat of any act. I need the explaination of "what is the meaning of niyyat of Qurbat". Was-salam Iltimas-e-duaa

Answer: Marzeea parwardigaar say qareeb honay ka irada.

Print

Id:
226
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-27

Question: salam, 1,pls tell me the jamaat namaz rules in detail tht wht we hav to read with paish imam in zohrain and magribain. 2,during the break in magrib and isha can i offer my fajar namaz(qaz-e-umri) wuring the period. 3,wazo ki niyat kia hona zarori hian namaz le lie 4,agar koi shaks jamaat ke saath namaz parhna chahta hian to woh jamaat ke saath kaise start kare i mean woh namaz ke lie kia niyat kare jab ke jamaat akhri rakat main ho to. pls send me its answer as soon as possilbe iltamas-e-dua

Answer: Salam un alaikum, 1) You have to read every thing with paish-e-imam except Sor-e-Fatiha and second sora in 1st and 2nd rakaat. 2) Yes, you can offer the qaza of fajr. 3) Agar yeh niyyat kee jaye keh "Mein wuzu karta hoon qurbatan-ilal-allah". 4) Wo niyyat yeh karay ga keh "Mein namaz-e-jamaat parhta hoon qubatan-ilal-allah". Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 288, 1470

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1751
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalam ale kum! janab main ye janna chahta hoon ki namaze juma ke baad ya pehle ki sunnat namaz ki niyat kaise karoon?jitni jaldi ho sake mujhe jawab dijiye.khuda haafiz

Answer: w.s., zaroori he k insan namaz qurbat ki niyyat se yaani khuda wande aalam ki bargah me pasti aur khuzu k izhar ke liye padhe aur yeh zaroori nahi k niyyat ko dil se guzar ya maslan zaban se kahe k char rakaat namaze zohar padhta hoo qurbatan elalllah. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.930)

Print

Id:
2158
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: jab koi farz namaz partey hain to niyat mein yeh kehna zaroori hota hai ke 'AAJ KI FALAH NAMAZ' ya phir itna keh lena kafi hota keh, main niyat karta hoon 4 rakat farz namaz-e-zuhar parni khaal allah tallah waste mou mera khana kaba sharif ki taraf ?

Answer: bismehi taala, zaroori he k insan namaz qurbat ki niyyat se yaani khuda wande aalam ki bargah me pasti aur khuzu k izhar ke liye padhe aur yeh zaroori nahi k niyyat ko dil se guzar ya maslan zaban se kahe k char rakaat namaze zohar padhta hoo qurbatan elalllah. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.930)

Print

Id:
3864
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: waldain shadi ke liye razi nahi hain ? larka is qabil hai ke main usse shadi karu . lekin walid kehtey hain main qatal kardunga . main 21 saal ki hoon . kia yeh jaiz hai ke main apni pasand se waldain ki ijazat ke baghair us larkey se nikkah karlu ? aur koi hal batadiye pls

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minha jus saliheen,part #3,maslah #70).

Print

Id:
3995
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam, Nikah kay 5 sal bad rukhsaty hue, dubar nikah parn cahye or nahi.

Answer: Nikah k baad jab bhi kabhi bhi rukhsati ho, dobara nikah ki zarorat nahi hoti.yaani is kaam ki wajah say(late rukhsati) nikah nahi toot ta.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2349-2508).

Print

Id:
5981
Mujtahid:
Date:

Question: Kza namaz ki niyat kya krty hn.....plz agr bta den to..

Answer: Ye zarori nahi ke niyat apnay dil say guzaray ya zabaan se kahay bus soch lena kafi hai ke me qaza namaaz parh raha ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #930) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)

Print

Id:
6458
Mujtahid:
ahle sunat Date:

Question: mulana sahib main ap se aik sawal krna chata hoon plz mujhe bara dain kya namaz main nayat krna zaroori hai yah dil ke nayat se namaz ho jate hai

Answer: Zarori he k insan namaz qurbat ki niyat se yani khuda ki baargah me pasti aur khoshoh k izhaar k liay parhay aur ye zarori nahi k niyat ko apnay dil se ghuzaray ya maslan zaban se kahay k 4 rakaat namaz e zuhar parhta hoon qarbatan ilallah. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 930)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7639
Mujtahid:
Date:

Question: what is the niyat of performing 2 rakat namaaz for sunnah??

Answer: Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah.(Ref: seestani d.b, tauzeehul masa’il maslah # 930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13131
Mujtahid:
Date:

Question: kaza namaz ni neyat kaise kare.jaise hm namaz parhte hai vaise he?

Answer: Qaza namaz main qaza ka qasd kerna lazim hay or ye qasd sabit hojata agar ye is iraday se namaz perhi jay k ye os namaz k badlay hay jo mujh se qaza ho gae thi. mukhtasar qasd o irada bhi kaafi hay.{ or yani zarori nahi hay k ye qasd tafseeli ho,maslan main jo namaz perh raha hoon wo namaz zuhar ki faalan tareekh k falaan saal ki qaza hay. }(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#1, maslah#572). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13969
Mujtahid:
Date:

Question: kiya niyat k bagair namaz ho jati hy mukammal??

Answer: 1) Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah.
2)zaroori hai k insane shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahay. Agar wo namaz mai is terha gafil ho jae k agar koi pouchay k wo kia kar reha hai to os ki samajh mai na aye k kia jawab dai to is ki namaz batil hai. .(Ref: seestani d.b, tauzeehul masail maslah # 930,932) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15556
Mujtahid:
Date:

Question: aoa mera question hai k kya namaz me khare hoty wakt niyat krna zroori hai zaban se kehna zroori hai?

Answer: Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 4 rakat namaz e zuhar perhta hon qurbatan illal laah.(Ref:.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #930 )

Print

Id:
15922
Mujtahid:
Date:

Question: salaam. . I want to ask u. K agar hum extra nafal parta ha matlb jo kaha gae ha unsa b alaida to un k neyat ma kia kaha ga? Bqe namazo ma to hum kahta ha 4 farz isha. To es ma?or gusal ka tariqa bta da plz jwb da da plz

Answer: 1)Mustahab namazain bohat si hain jinhein nafal namazain bhi kahtein hein. Ye namazain roz e jumma k alawa 34 rakaat hein jin me se 8 rakaat zohar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat magrib ki, 2 rakaat isha ki, 11 rakaat namaz shab ki aur 2 rakaat subah ki hoti hein. Lakin jumma k din zohar aur asar ki 16 rakaat nafal per 4 rakaat ka izafa hota he.
2)Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah.
3)Zaroori hai k insan shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahay. Agar wo namaz mai is terha gafil ho jae k agar koi pouchay k wo kia kar reha hai to os ki samajh mai na aye k kia jawab dai to is ki namaz batil hai. .(Ref: seestani d.b, tauzeehul masail maslah # 752, 930,932)
4)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Ghusl e Tartibi(sequence) ii) Ghusl e Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii) Ghusl e Irtimasi daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka right(seedah) hissa or baad main left (ulta) hissa.Ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohchana wajib hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360,389) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32662
Mujtahid:
dnt knw Date:

Question: namaz ki niyat kaisa ki jati h?

Answer: 1)Zarori hay k insan namaz qurbat ki niyat sai yani Allah ki bargah main pasti or khuzu k izhar k lie perhay or ye zaroori nahi k niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah.
2)Zaroori hai k insan namaz k start sai end tk apni niyat par qaim rahay. Agar wo namaz mai is terha gafil ho jae k agar koi pouchay k wo kia kar raha hai to os ki samajh mai na aye k kia jawab dai to is ki namaz batil hai.(Ref: seestani d.b, tauzeehul masail maslah # 930,932) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41629
Mujtahid:
KHAMENAE,SISTANI Date:

Question: QAZA NANMAZ ki nuiyat kia hogi ? yani main qaza namaz parhti hoon wajib qurbnatan ilalah ,kia ya neyat ka tareeqa sahi hai?

Answer: ager ap jaanti hon ke ap Allah Taala ki itaat ke khatir masalan fajar ki qaza namaaz phar rahi hain to niyat sahi hai is ka zabaan per jari karna zarori nahi hai s irada kaafi hota.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 930).
Note ye sirf Ayat u Allah sistani ka fatwa hai.(ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
42370
Mujtahid:
ayyatullah khaminaee/sistani Date:

Question: salam plz tell me ,qaza namaz ki niyat kia hogi? main qaza namaz parti hoon wajib qurbatan illalah ? kia ya sahi tareeqa hai niyyat ka?

Answer: Je han sahi hai albetta zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44051
Mujtahid:
Ayat ullah sistani sb Date:

Question: 1. Wajib namzon ki theek theek niyat kesay honi chaiye.? 2. Nafli namzon ki niyat kese honi chaiye.? Niyat k alfaz kya honay chaiye??

Answer: Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi k niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46668
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: what will be the niyat of Namaz-a-Zohrain?

Answer: A person should offer prayers with the intention of Qurbat that is complying with the orders of the Almighty Allah. It is not however necessary that he should make the niyyat pass through his mind, or should, for example, utter: "I am offering four Rakats of Zuhr prayers Qurbatan ila-llah.". Translation in urdu : Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi k niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 4 rakat namaz, Zohar ki wajib perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49106
Mujtahid:
Date:

Question: ek imaam ki farz namaz ki niyat kya hai ,plz give me answer in hindi or urdu

Answer: Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki wajib perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
51699
Mujtahid:
Ayat Ullah Ali Sistani Date:

Question: Kia koi amal karnay say pahaly e.g roza,gusal, wazu,sadqa karnay say pahalay pori neyat parna zaroori hai e.g gusal karta hon qurbat an ilallah. ya dil main irada kar laina kafi hai

Answer: zarori hai k namaz, roza, wazu, ghusal qurbat ki niyat se perhe aur niyat ko dil se ghuzaarna ya zabaan se khena zarori nahe. balke namaz aur roza k irada karna kafi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930,1531,319,357 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60550
Mujtahid:
Date:

Question: dear mufti sb main ye pounchana chatha hn ky jumma ky din jummy ki tamam namaz ki neyat jumy ki namaz kahe gy takbeer main yaha zohar ki

Answer: Niyat main itna kafi hai ke ap jaante hon ke Allah Taala ke liye phari jaane wali namaaz kon si hai or niyat sahi hone main jumme ke din ka koi dakhal nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 930 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
93802
Mujtahid:
Date: 2019-02-04

Question: Salam, har kaam say pehlay neeyat ka hona zaroori ha, kaya neeyat ka ada hona insan ki zaban sa zaroori ha, or dill main b ki ja sakti ha?

Answer: Niyat zabaan sai nahi ki jaati nah hi niyaat ka dil sai guzaarna zaroori hai bus faqat kaaam ka iraada kaafi hai isi ka naaam niyyat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah #930)
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94201
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-21

Question: Kya namaz ki niyat bol kar karny ki koi hadees hay

Answer: Niyat ko zaban sai adaa karna zaroori nahi hai balkeh irada kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 930).
[Updated on 21-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98977
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-01

Question: Niyat sy kia murad h iski ahmiyat biyan Karen??

Answer: Niyat say murad aap ka irada hay or dil say niyat ko gozaarna zarori nahi hay. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 2019,Mafhoom e Maslah #1531).
[Updated on 01-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100920
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-09

Question: Ehtilam gusul ki niyat

Answer: Niyat zabaan sai ada karni zaroori nahi hoti faqat iraada hona chaye keh janabat ka ghusl kar raha hoon yehi kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aayatullah seestani edition 41 maslah no 1531)
[Updated on 09-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101213
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-21

Question: Salam . Kia hr namaz maslan fajar ki namaz parhney k liye namaz k shuru me hi poori namaz ki niyat krna theek hai ya Sunat r farz rakato ki niyat alag alag krna theek h.

Answer: har namaz se pehle os ki niyat ki jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 930)
[Updated on 21-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104023
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Majboori mai niyat ka tootna kaisa hai

Answer: Niyat zabaan sai nahi ki jaati nah hi niyaat ka dil sai guzaarna zaroori hai bus faqat kaaam ka iraada kaafi hai isi ka naaam niyyat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah #930)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104526
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-24

Question: Ghusal e janabat ki niyat karna bhool gaya OR ghusal krlia kia yeh ghusal sahi hei

Answer: Niyat zabaan sai nahi ki jaati nah hi niyaat ka dil sai guzaarna zaroori hai bus faqat kaam ka iraada kaafi hai isi ka naaam niyyat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah #930
(Note: Agar aap ka irada tha ke dusl karne ja raha hon to kafi ha, aur aap ka gusl saheeh hai.)
[Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122190
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-28

Question: Kya Sari qaza namazein ik hi niyat k sath parhi jaa skti hn. Jesy k fajar k 2 frz Hoty Kya ik bar niyat kr k hum 2 st zyda frz parh skty hn

Answer: Jee nahin, bakle har namaz se pehle alag se niyat karna zaroori hai. Albatta niyat ke alfaaz dil se guzrna ya maslan zaban se ye kehna ke "me fajar ki do rakat parhti hon" ye zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #930).
[Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print