Showing 0- 31 questions from 31 questions on this page.
Question: asslamolikom. namz e janaza mey jand bato key mutalq batae,1- keya wazo karna lazme ha? 2- keya paon sey jotey otarney cheyn ? 3- kasi gair shia key leyey dua e magferat parni chaey?4/ marney waley key gar jaa kar 3 den ka kahna kana chaey? hamid madina Gujrat
Answer: 1:Zaroori nahi hay.(Ref:Tauzeehul Masail Masala No.586)...2:Mustahab hay kay Namaz-e-Mayyat nangay paaon parhi jaey (Ref:Tauzeehul Masail Masala No.601)...3:Shia aur ghair shia kay hawalay say chothi takbeer kay baad dua main kuch farq hay.is tarah kay shia(momin) kay liye alag dua hay.mustazafeen yani wo log jinhoon nay Haqq ko qabool nahi kiya laikin agar un kay samnay haqq aashkaar hojaey to wo isko qabool kar laingay,un logoon kay liye alag dua hay aur jin logon ka haal maloom na ho un kay liye alag dua hay(Urwatul Wusqa Pg.328)...4:Mustahab hay kay mayyat kay aihl-e-khana kay liye 3 din tak khana bhaija jaey,un kay paas baith kar aur un kay ghar khana khana makrooh hay.(Ref:Tauzeehul Masail Masala No.622)..Duain.Shia(momin) kay liye « Çááåã Åä åÐÇ ÇáãÓÌøì ÞÏÇãäÇ ÚÈÏß æÇÈä ÚÈÏß æÇÈä ÃãÊß äÒá Èß æÃäÊ ÎíÑ ãäÒæá Èå ¡ Çááåã Åäß ÞÈÖÊ ÑæÍå Åáíß æÞÏ ÇÍÊÇÌ Åáì ÑÍãÊß æÃäÊ Ûäí Úä ÚÐÇÈå ¡ Çááåã ÅäÇ áÇ äÚáã ãä ÅáÇ ÎíÑÇð æÃäÊ ÃÚáã Èå ãäÇ ¡ Çááåã Åä ßÇä ãÍÓäÇð ÝÒÏ Ýí ÅÍÓÇäå æÅä ßÇä ãÓíÆÇð ÝÊÌÇæÒ Úä ÓíÆÇÊå æÇÛÝÑ áäÇ æáå ¡ Çááåã ÇÍÔÑå ãÚ ãä íÊæáÇå æíÍÈå æÃÈÚÏå ããä íÊÈÑà ãäå æíÈÛÖå ¡ Çááåã ÃáÍÞå ÈäÈíß æÚÑøÝ Èíäå æÈíäå æÇÑÍãäÇ ÅÐÇ ÊæÝíÊäÇ íÇ Åáå ÇáÚÇáãíä ¡ Çááåã ÇßÊÈå ÚäÏß Ýí ÃÚáì Úáííä æÇÎáÝ Úáì ÚÞÈå Ýí ÇáÛÇÈÑíä æÇÌÚáå ãä ÑÝÞÇÁ ãÍãÏ æÂáå ÇáØÇåÑíä æÇÑÍãå æÅíÇäÇ ÈÑÍãÊß íÇ ÃÑÍã ÇáÑÇÍãíä »..Mutazafeen kay liye dua ..« Çááåã ÇÛÝÑ ááÐíä ÊÇÈæÇ æÇÊÈÚæÇ ÓÈíáß æÞåã ÚÐÇÈ ÇáÌÍíã ¡ ÑÈäÇ æÃÏÎáåã ÌäÇÊ ÚÏä ÇáÊí æÚÏÊåã æãä ÕáÍ ãä ÂÈÇÆåã æÃÒæÇÌåã æÐÑíÇÊåã Åäß ÃäÊ ÇáÚÒíÒ ÇáÍßíã »..Majhoolul Haal kay liye dua..« Çááåã Åä ßÇä íÌÈ ÇáÎíÑ æÃåáå ÝÇÛÝÑ áå æÇÑÍãå æÊÌÇæÒ Úäå »
Question: Kiya aik niyyat say mutaddid mayyatoon ki namaz-e-janaza ada ki jasakti hay?
Answer: Agar chand Janazay jama ho jain to un sab janazoon kay liye aik namaz-e-mayyat parhna jaiz hay.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala No.309.
Question: Assalam O Alaikum.... 1. Agar Mayat kisi suni ya wahabi ya deo-band ki hai aur namaz-e janaza k lieyeimamat un ka yaani suni ya wahabi karwa raha hai to kia us k peechy namaz perhna jaiz hay. es halat main keh aap ko namaz-e janaza nahin aati 2. Agar Namaz-e Janaza yaad hai to kia us imam k paichy niyat kr k parhni chahyey ya khud se apni (SHIA) kia namaz-e janaza parhni chahyey????
Answer: w.s. Shia aur ghair shia kay hawalay say chothi takbeer kay baad dua main kuch farq hay.is tarah kay shia(momin) kay liye alag dua hay.mustazafeen yani wo log jinhoon nay Haqq ko qabool nahi kiya laikin agar un kay samnay haqq aashkaar hojaey to wo isko qabool kar laingay,un logoon kay liye alag dua hay aur jin logon ka haal maloom na ho un kay liye alag dua hay(Urwatul Wusqa Pg.328)
Question: janaza paak karny ki duwa
Answer:
1)miyat ko tarteeb se teen ghusl daina wajib hain pehla aisay pani se jis me bairi k pattey mile huay hoon doosra aisay pani se jis me kafoor mila hua ho aur teesra khaalis pani say. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 539).
2)ghusl dainay wale ko ghusl k waqt zikhr e ilahi me mushgool rehna mustahab he aur behtr he k bara bar ye kehta rahe “rabbi af’wak af’wak”) (ref : a. sistani(d.b),urwatul wusqa part#1,maslah # 896(9)).
Question: shia fiqa mai namaz-e-janaza ka kya tariqa hai tafsil say btain?
Answer:
Namaz e mayyat me 5 takbeerain hein.Aur agar namaz parhnay wala shakhs nechay di gae tarteeb k saath 5 takbeerain kahay to kafi he. Niyat kernay aur 1st takbeer k bad kahay.( اشھد ان لا الہ الا اللہ و اشھد ان محمدا رسول اللہ ) (ASH,HADO AL LAA ILAA,HA IL,LALLAAHO WA ASH, HADO ANNA MUHAM,MA,DAN RASOO,LUL LAH)
2nd takbeer k bad dOrood parhay. (اللھم صل علی محمد وآل محمد)
3rd takbeer k bad kahay ( اللھم اغفرللمومنین و المومنات )(ALLAA HUM,MA IGH,FIR LIL,MOOMINEENA WAL MOO,MI,NAAT)
4th takbeer k bad agar mayyat mard ho to kahay (اللھم اغفرلھذا المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZAL MAYYAT)
Aur agar miyit aurat ki ho to kahay (اللھم اغفرلھذہ المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZIHIL MAYYAT)
Aus is k baad 5th takbeer kahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 598).
Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya namaz jinazah mai surah fatheh padhna hai 2
Answer: Namaz-e-mayyit me surah-e-fatiha nahi parhi jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #598 ) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)
Question: Assalam-o-allikum mera sawal ye hai,ky kia namaz janaza buland awaz ky sath parhai ja sakti hai,aur ye ka as main suray fatiha bhi purah saktey hain kia.
Answer:
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1- Namaz e janaza main mustahab hay k imam e jamaat takbeerain or duain buland awaaz se perhay or muqtadi(jamaat main shareek namazi) ahista perhain.
2- Jee nahi namaz e janaza main sorah e fatiha nahi perhi jaasakti balkeh is main 5 takbiraat hain jin k dermiyaan bataay gaay azkaar perhna hotay hain. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 598, 601)
Note: in takbiraat or or in k dermiyaan perhay janay walay azkaar ki tafseel k liay aap is link par click karain.(Ref: http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Suna hai jis shaks ki shadi na hoi ho uska janaza nahin hota agar koi shaks shadi na kare to kia saza or kitni gunjaish hai ehle toushia main shukria
Answer: Jee nahi aap ne bilkul ghalat suna hay.her musalman ki miyyat per or aisay bachay ki mayyit par jo islam k hokum main or poray 6 saal ka ho chukka ho namaz perhna wajib hay.or aik aisay bachay ki mayyait per jo jo 6 saal ka nah ho laikin namaz ki samajh bojh rakhta ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per namaz perna zarori hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 583). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namaz e janaza agar na aati ho to namaz e janaza main kya parhna chahye
Answer:
Namaz e janaza main takbirain kehna or duain parhna zarori hain chahay jama,at k saath hi namaz Q nah perhi jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 600 )
Note: Aap imam e jama,at k alfaaz ko dohratey jaein ya aap dekh kar bhi parh saktey hain . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia gair muslim hamsae k janazay mai shirkat karna jaiz hai?
Answer: Agar marnay wala aur janazay k shurka islam aur musmanoo ki dushmni mai mashoor na hon to is k janazay mai shirkat krnay mai koi haraj nhi. Lekin behtr ye hai k janazay k pechay chalay agay agay na chalay. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 323, pg # 206) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Namaz e Janaza k bad jo Heela ki jata hai .. Ahle sunnat k han tu aus ki shari hasiat kia hai ?
Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat deya jata hai.
Question: YA ALI MADAD, janab mera sawal ye hai k kia Nimaz-e-Janaza (Funeral prayer) ma Quran ki koe b ayaat pari ja sakti hai ya nahe. waiting for your answer with references.
Answer: Namaz janaza me makhsoos duaain perhi jati hain.jis ka zikar tauzeehul masail me hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 598) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz e janaza masjid ke ander q nhi hoti
Answer: Namaz e janaza masjid k ander parhna makrooh hai,siwaey masjid-ul-haram mai wahan par namaz e janaza makrooh nahi hai.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition, maslah #206) (khuda apki tofeeqat mai izafa farmaey).
Question: Kya Halatay Janabat me Namaz e Janaza per saktay hai?
Answer: Jee haan, jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #356). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Please tell me! kya Yeh such hai ke jinka (Nikah) nhi hota uska Janaza jaiz nhi agar han to kindly mjhe reference bhi dain is baat ka
Answer: Har musalman ki mayyat per namaz perhna wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #583). Update on dated 11-03-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya us bache ki janazah ki namaz parhayi ja sakti hai jo paida hote hi Kuch der bad maot ho jaye
Answer: Nahi, aise bache ki namaaz nahi parh sakte lekin baqi sub cheezen karna zaroori hai yani kafan ghusl,hunoot or dafan…(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 583). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Plz Ghaibana Namaz e Janazah jaiz hey in Fiqh Jafria?
Answer:
ghaibana namaz durust nahi Q keh namaz e mayyit parhny k liay mayyit ka samnay hona zarori hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 583)
[Updated on 14-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya janaja namaz me koi wajib hey?
Answer:
Namaz e janaza or ghusl waghaira in sub ki zimedaari us k wali par wajib hai lekin agar wali namaz ghusl waghaira say mana karay tu phir ye wajib e kifaayi hai yani tamaam mukalafeen par wajib hai yani agar tamaam logo mai sai koi aik shaks ye umoor anjaam dai dai tou wujoob sab sai saaqit ho jaata hai lekin agar koi bhi anjaam nah dai tou sub gunahgaar hoonge.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 531).
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam walaikum.Mere shohar ka inteqal 19 march ko hua hai.inteqal ke roz gum se nidhal hone ki wajeh se mai namaze janazah nahi padh paai.kya mai ab(4 din baad) namaze janazah padh sakti hoon.mai sunni hoon.kya aap mujhe dono ( shia aur sunni) ko madde nazar rakhte hue .jawab de sakte hain.agar mumkin nahi toh shia firqe ke hisaab de den.mera maqsad sirf namaz padhna hai.jawab jald az jald den.allah haafiz
Answer: Dafan hone k baad namaz e janaza nahi perha ja sakta hay. aap on k liay dua kar skati hain or naik amaal kar sakti hain.(Ref: Tauzihul masael, maslah#590).
Question: 5 hafty ka hamal zaya ho jae to usy dafnana zarori h kya.. agr hamal blood k sath toilet m nikaljae to koi kafara h kya?
Answer:
Agar 4 month mukkamal ho chukay hoon to usay ghusl diya jaey hunoot kia jaey or kafan dia jaey laikin namaz nah perhi jaey laikin agar is se kam umar ka ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par is ko aik kaprhay main lapait ker dafan kia jaey laikin agar is ki khilqat mukammal ho tu is sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per is per 4 month wale ahkaam jaari hoon gay. (Ref: Minhajus sliheen, jild#1, maslah#330).
[Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: namaz e janaza main wazoo kerna zarori h
Answer:
zarori nahi hay, balkeh mustahab hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 601)
[Updated on 13-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: janaze ki namaz me ruku or sajde hote hai ki nhi
Answer:
jee nahi.faqat 5 takbeerien hoti hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 598).
[Updated on 21-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: lrki ka nikkah na huwa to kia janaza jaiz nahi hota uska ???
Answer:
Har musalman ki mayyit per namaz perhna wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #583).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alakium Mera sawal ye hai kiya koi bh momin mar jye oski namaz e janaza ho tw kia oski Namaz e janaza main ALI UL WALI ULLAH ki gawahi de sakhty hain
Answer:
Jaiz hay. (Ref: istifta from A.sistani dated: 31-12-2011).
[Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya namaz e janaza kisi unchi nechi ya stadium type ki jaga per parha jasakta hai? Jismae janaza nechy ho or public oper ya oper janaza ho nechy public?
Answer:
Zaroori hai ke namaz parhne ki jagh mayyit ke maqam se unchi ya nichi na ho lekin mamooli pasti ya bulandi men koi harj nahin hai.(Ref: Tauzihul masail Ayatullah Sistani(d.b), edition # 39th, masla # 588)
[Updated on 23-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asllam o Allykum mera swal hai k Kiya sahb e istkaat Ho Aur sab kuch ho Shadi k Laiq bhi ho to shadi na Kary larka ya larki Kiya uska namaz janaza jaiz he plz Tafseel se Aur puri dalil K sath jawab den shukriya.
Answer:
wsalam.
shadi ka namaz e janaza sai koi talluq nahi hai, chahay musalmaan shadi karay ya na karay us ki namaz e janaza parhan wajib hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 583).
[Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia marad ki namaz e janaza masjid k andar ho sakti he
Answer:
Mayyit chahe mard ki ho ya aurat ki, Namaz e janaza masjid k ander parhna makrooh hai, siwaye masjid-ul-haram mai wahan par namaz e janaza makrooh nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #602).
[Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nimaz e janaza mein imam ne 4th takbeer bhool gay mayat dafan hogai ab kia kren ??
Answer:
Agar mayyit ko dafan kar dene ke bad pata chale ke jo namaz is par parhi ja chuki hai wo batil hai to mayyit par namaz parhne ke liye us ki qabar ko kholna jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #597).
[Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaze mayyat me wazu zaroori h ya nhi
Answer:
Zaroori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #586)
[Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Janaze jama ho to kya namaz ek saath padh sakte hai
Answer:
Agar chand Janazay jama ho jain to un sab janazoon kay liye aik namaz-e-mayyat parhna jaiz hay.(namaz Janaza me chutti taqbeer ke baad Jo Dua perhe jaate hay us me segho me tabdele ki jaay Yani agar do mardu ki maiyat hay tu tasniya ke jummle perhe jaay or agar 3 ya 3 se zaada maiyat hay tu Jame ke sighe perhe jaay . (Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala #.309.)
[Updated on 17-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1-Namaz janaza ki niyat kya hgi? Sahi tareeka btae hawale k sth ? 2-mard or aurat ki namaz me takbeere 5 hai ya km zada hai ?
Answer:
1: Niyat ke alfaaz dil se guzrna ya maslan zaban se ye kehna ke "is mayyit ki namaz e janaza parhta hon paanch ke sath" ye zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai.
2: Mayyit chahe mard ki ho ya aurat ki us ki namaz mein paanch takbeerein hain aur agar namaaz parhne wala shakhs mandarjah zeil tariqay ke mutabiq tarteeb ke saath paanch takbeerin kahe to kafi hai.
3: Namaaz e mayyit ka tariqa:
Niyyat karne aur pehli takbeer ke baad kahe: «أَشْهَدُ أَنْ لَّا إِلٰهَ إِلَّا اللّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّداً رَّسُولُ اللّهِ».
Dusri takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ صَلِّ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَآلِ مُحَمَّدٍ».
Teesri takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ اغْفِرْ لِلْمُؤْمِنیٖنَ وَالمُؤْمِناتِ».
Chauthi takbeer ke bad agar mayyit mard ho to kahe: «اللّهُمَّ اغْفِرْ لِهٰذَا المَیِّتِ»
Aur agar mayyit aurat ho to kahe: «اللّهُمَّ اغْفِرْ لِهٰذِهِ المَیِّتَةِ». Phir paanchween takbeer kahe aur namaz tamam ho jaye gi.
yahan tak paanch takbeerain aur jo duain bayan ki gayei agar koi shakhs is tariqay se namaz e janaza parhay to ye kaafi aur sahi hoga.
Lekin namaz e janaza ka tafseeli tariqa jo ke wajib nahin lekin behtar hai wo yeh hai keh niyyat karne aur pehli takbeer ke baad kahe: «أَشْهَدُ أَنْ لَّا إِلٰهَ إِلّا اللّهُ وَحْدَهُ لاشَریٖکَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّداً عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ، أَرْسَلَهُ بِالحَقِّ بَشیٖراً وَنَذیٖراً بَیْنَ یَدَیِ السّاعَةِ».
Aur dusri takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ صَلِّ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَآلِ مُحَمَّدٍ وَبارِکْ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَآلِ مُحَمَّدٍ وَارْحَمْ مُحَمَّداً وَآلَ مُحَمَّدٍ، کَأَفْضَلِ ما صَلَّیْتَ وَبارَکْتَ وَتَرَحَّمْتَ عَلیٰ إِبْراهیٖمَ وَآلِ إِبْراهیٖمَ إِنَّکَ حَمیٖدٌ مَجیٖدٌ، وَصَلِّ عَلیٰ جَمیٖعِ الأَنْبیٖاءِ وَالمُرْسَلیٖنَ وَالشُّهَدَاءِ وَالصِّدّیٖقیٖنَ وَجَمیٖعِ عِبٰادِ اللّهِ الصّٰالِحیٖنَ».
Aur teesri takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ اغْفِرْ لِلْمُؤْمِنیٖنَ وَالمُؤْمِناتِ وَالمُسْلِمیٖنَ وَالمُسْلِماتِ، الأَحْیاءِ مِنْهُمْ وَالأَمْواتِ، تٰابِعْ بَیْنَنٰا وَبَیْنَهُمْ بِالْخَیْراتِ، إنَّکَ مُجیٖبُ الدَّعَوٰاتِ، إِنَّکَ عَلیٰ کُلِّ شَیءٍ قَدیٖرٌ».
Aur agar mayyit mard ho to chauthi takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ إِنَّ هٰذا عَبْدُکَ وَابْنُ عَبْدِکَ وَابْنُ اَمَتِکَ نَزَلَ بِکَ وَأَنْتَ خَیْرُ مَنْزُولٍ بِهِ، اللّهُمَّ إِنّا لا نَعْلَمُ مِنْهُ إِلّا خَیْراً وَأَنْتَ أَعْلَمُ بِهِ مِنّا، اللّهُمَّ إِنْ کانَ مُحْسِناً فَزِدْ فی إِحْسانِهِ وَإِنْ کانَ مُسیٖئاً فَتَجاوَزْ عَنْهُ وَاغْفِرْ لَهُ، اللّهُمَّ اجْعَلْهُ عِنْدَکَ فی أَعْلیٰ عِلّیّیٖنَ وَاخْلُفْ عَلیٰ أَهْلِهِ فی الغابِریٖنَ، وَارْحَمْهُ بِرَحْمَتِکَ یا أَرْحَمَ الرّاحِمیٖنَ». is ke bad paanchween takbeer kahe.
Lekin agar mayyit aurat ho to chauthi takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ إِنَّ هٰذِهِ اَمَتُکَ وَابَنَةُ عَبْدِکَ وَابْنَةُ اَمَتِکَ نَزَلَتْ بِکَ وَاَنْتَ خَیْرُ مَنْزُولٍ بِهِ، اللّهُمَّ إِنّا لانَعْلَمُ مِنْها إلّا خَیْراً وَأَنْتَ أَعْلَمُ بِها مِنّا، اللّهُمَّ إنْ کانَتْ مُحْسِنَةً فَزِدْ فی إحْسانِها وَاِنْ کانَتْ مُسیٖئَةً فَتَجاوَزْ عَنْها وَاغْفِرْ لَها، اللّهُمَّ اجْعَلْها عِنْدَکَ فی أَعْلیٰ عِلّیّیٖنَ و اخْلُفْ عَلیٰ أَهْلِها فِی الْغٰابِرینَ، وَارْحَمْها بِرَحْمَتِکَ یا أَرْحَمَ الرّاحِمیٖنَ». is ke bad paanchween takbeer kahe.
Is baat ka zikr karna munaasib hai ke chauthi takbeer ke bad jo dua bayan ki gayei hai wo baaligh afraad ke liye makhsoos hai aur na-baaligh bachon ke liye chauthi takbeer ke bad kaha jaye: «اللَّهُمَّ اجْعَلْهُ لِأَبَوَیْهِ وَلَنا سَلَفاً وَفَرَطاً وَأَجْراً».
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #598,930. + Tauzeeh ul masail Jaame, part #1, edition #1443, maslah #804).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]