Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz-e-Ijara (2 Questions)


Showing 0- 2 questions from 2 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: how to perfom namaz-e-ijara

Answer: 1.Zaroori hay kay ajeer Namaz kay Ajzaa o Sharait aur is kay munaafi cheezoon aur khalal kay aihkaam waghaira ko Ijtihaad ya sahih Taqleed kay zariye janta ho,haan jo shakhs na mujtahid ho aur na hi muqallid ho agar wo aihtiyat ki kaifiyat say aashna ho aur aihtiyat par amal pera ho to baeed nahi kay usay ajeer banana jaiz ho..2.Ajeer ka aadil hona shart nahi haybalkay is ka is tarah ameen hona kaafi hay kay Itmeenaan ho jaey kay wo sahih taur par anjaam day ga.baeed nahi hay kay baaligh hona zaroori na ho agarchay aihtiyat ye hay kay baligh ho..3.Mard aur Aurat main say har aik ko dosray ka ajeer banana jaiz hay..Namaz buland ya aahista awaz main parhnay ,badan chupanay,aur libaas ki sharait main jo namaz parh raha hayus ka khayal rakha jaey ga na kay marnay walay ka..4.Agar namaz kay mustahibbat ada karnay kay lihaaz say namaz ki kaifiyat moien na ki gae ho aur ijaray say bhi is ka pata na chalta ho kay namaz main mustahibbat ko anjaam dena wajib hay ya nahi,to qunoot aur rukoo ki takbeer waghaira jaisay maroof mustahibbat ka baja lana wajib hay..5.Qaza main Tarteeb wajib nahi hay.Ref:Tehreeul Waseela Imam Khumaini Part-1 Masala No.3,4,7,8,12.

Print

Id:
110807
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-18

Question: Agar main apne dada mahrum ka hajj karo.to muje sawab milega ?

Answer: Jee bilkul, marhoom ka hajj ada karne per aap ko bhi sawab milay ga.(Ref: istifta from A.sistani) [Updated on 18-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi