Showing 0- 38 questions from 38 questions on this page.
Question: Q:1 Whose reward is more than the other between these two namaz ? (1) wajib namaz e.g. namaz e zuhr OR (2) mustahib namaz e.g. namaz e tahajjuj ( namaz e shab )
Answer:
Salam un Alaikum
We are extremely sorry for the late reply. We will try to responce you soon next time insha allah.
Is sawaal ka jawaab yeh hay keh maslan zohar, aasar aur subah kee nafila kee fazilat us waqt ziyada hay keh ja usay fazilat key awwal waqt mein parha jaye laikin yeh nahi kaha ja sakta keh wajib ya mustahab mein sey kaun see namaz afzal hay, is liye keh wajib namaz ko to chora hee nahi jaa sakta jab-keh mustahab namaz ko tark kiya ja sakta hay.
Ref: Istiftaat Aqai Sistani.
Question: Namaz-e-Juma to Namaz-e-Juma ki niyat se pardhte hai laikin baqi jo sunnatay hai us ki niyat bhi juma ki hi hogi ya phir zohar ki niyat se pardhe
Answer: Jume k din zohar aur asar ki sola(16) rakat nafal per 4 rakat ka izafa ho jata he. Behter he k puri puri 20 rakatain zawaal se pehle parhi jein siwa’ay 2 rakat k jin ka zawaal k waqt parha jana bahter he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam-u-aliqum: may nafila namaaz kay baaray may jaanha chatha hon.mujhay in ki tadad to pata hai lakin agar aik shakhs Jamaat kay saath zohar aur asar ki faarz namaaz parhta ho to wo nafila naamaz kab parhay aur kis niyat kay saat paray.
Answer: Namaz e asar k bad Namaz e asar ki nafla rajae ki niyat se parh sakhtay hein.(ref : email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : April 6, 2011)
Question: namzey asar mein sonnat parhi jati hain kia? ar aghr nahi tu kiun?
Answer: Namaz e asar ki sunnat namazain (nafil) 8 rakat hain jise 2 , 2 rak’at kar k parhte hain. Asr ki nafil ,asr say pehlay perhi jaati hay aur is ka waqt asar tab tak baaqi rehta hay jab tak oasay namaz e asr say pehlay ada kerna mumkin ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752 , 757)
Question: Assalamo Alayikum. Mujhe namaaz ke sunnaton ke bare me batayen.
Answer: Mustahib namazain bohat se hein jinhein nafal namazain bhi kahtein hein. Ye namazain roz e jumma k alawa 34 rakaat heinjin me se 8 rakaat zohar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat magrib ki, 2 rakaat isha ki, 11 rakaat namaz shab ki aur 2 rakaat subah ki hoti hein. Lakin jumma k din zohar aur asar ki 16 rakaat nafal per 4 rakaat ka izafa hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752)
Question: namaz may jo nafil parhte hain wo bhi farz or sunnat ki tarah kharay ho k parhne chahiye ya beth ker parhna chahiye nafil.ya dono tarike se parh sakte hain.
Answer: Nafal namazain halat e ikhtiryari me bhi baith kar parhi ja sakhti hain. Aur ye bhi zarori nahi he k 2 rakaatoon ko aik rakat samjha jaay albatta behtr he k inhein kharay reh kar anjaam deen jain aur zarori he k namaz e isha ki nafil ehtiyaat e wajib ki bina per beth kar anjam di jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 754) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: as salam walikum. ya Ali as madad. mra sawal he ke zohreen ar maghraben ke total namz with sunnati kis tareqe se tarteeb war parhi jati he. 2) me agar 3pm me 4 rakat zohar ar 4 rkat asar ki namaz parhi to kia meri namaz hogai. plzz jaldi batade. me bht pareshan huu wasalam
Answer:
1)Mustahab namazain bohat si hain jinhein nafal namazain bhi kahtein hein. Ye namazain roz e jumma k alawa 34 rakaat hein jin me se 8 rakaat zohar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat magrib ki, 2 rakaat isha ki, 11 rakaat namaz shab ki aur 2 rakaat subah ki hoti hein. Lakin jumma k din zohar aur asar ki 16 rakaat nafal per 4 rakaat ka izafa hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752)
2)Namaz e zohar ki nafal, zohar se pehlay parhi jati he. Is k awal waqt zohar se he aur is waqt tak baqi rehta he jab tak osi namaz e zohar se pehlay ada karna mumkin ho. Namaz e asar ki nafal asar ki namaz se pehlay parhi jati he aur is ka waqt tab tak baqi rehta he jab tak osi namaz e asar se pehlay ada karna mumkin ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 756,757)
3)Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawaal e aftaab k baad se garoob e aftaab tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.A,mera sawal ye he ke hum agar farz namaz ke sirf farz hi parh len sunnat aur nafil na parhen to koi ghunah to nahi or kia humari namaz ada ho jaey gi?
Answer: Mustahab namazoon me se rozana ki nafil namazoon ki bohat ziada takeed ki gae he. Laikin in ko parhna zaroori nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.o.a.Keya nafal nemaz Beth ke parhne chayain ya khare ho ke.jo nafal nemaz main hote hain ,shukriya
Answer: Nafal namazain halat e ikhtiyaar may beth kar parhi ja sakhti hain aur ye bhi zaroori nahi hay k 2 rakatoo ko 1 rakat samjha jaay albatta behter hay k inhain kharay ho kar parhain. Aur zaroori hay k namaz e isha k nawafil ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 754). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: Isha ki qaza namaz mai kia witar b parhnay hotay hain plz guid me
Answer: Isha ki nafla ka waqt namaz khatam honay k baad sai aadhi raat tk hai aur bethr hai k namaz e isha khatm honay k foran baad baad parhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 759) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aslam o alikum sir mujhe namaz k mutalik kuch bataen isha ki namaz mn 3 vitr kis taraha perhay jatay hn?
Answer:
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Isha ki nafl 2 rakat beth kar parhi jati hai. aur fajar ki terah parhi jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 752-55)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: main ye janna chahta hun k agr zohar ki nemaz ya koi bhi nemaz jamat ke elawa parhi jaye to us ki tarteeb kya hogi matlab zohar ki nemaz main pehle 4 sunnat phir 4 farz parehige ya pehle farz ?
Answer:
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Zohar ki nafla namaz 8 rakat hain jo 2 2 kar k parhi jati hain aur ye namaz zohar ki namaz sai pehlay parhi jati hai phir zohar ki namaz parhtay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 756)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: As-salam-alaikum kya isha ki nafal k bagair isha ke nimaaz ho jati hy?
Answer: Zaroori hai k isha ki nafal ehtiyat e wajib ki bina par beth kar 2 rakat parhi jae aur isha k baad parhi jae laikin q k nafal parhna mustahab hai is lie nafal ko chor bhi saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 752-755)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Namaz e witr ka tareka sahi ahadith ke roshni mai
Answer: Namaz e tahajjud 11 rak,aat hay.8 rak,aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak,at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak,at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak,at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay namaz shab me faqd 1 rakhat witar per iqtefa karsakte hai (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104, (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 498, eidition 1435 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamuallaykum Molana Sahaib tahajjud ki namaz mein konsa surah padhna Fzal hai
Answer: Namaz e tahajjud ki rakato me surah al hamd per iqttefa kar sakte hain aur dosere surah perhna wajib nahi hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4,ques # 78, pg # 47) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar Fajar ki Namaz e Bajamat mai dair ho jaye phonchne mai aur jammat khari ho jaye tu sunnat kaise parhi jaye
Answer: Farj ki wajib namaz ko jama,at k sath ada kerne k baad fajr ki naafla namaz ko perhna jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #505 , Eidition 1430 hij). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wajib (farz) namazon ke alawa ek din mein kitni rakat namazein padhi jati hai
Answer: Answer wajib namazo k alawa aik din main 34 rakat mustahab namazain perhi jati hin. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #752). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: As...!! Kia wo nimaz qabool hu jti jc me farz hi ada kiye jye... Kia nimz me just farz ada kiye ja skty...!!! Agr koi sunaty ya nafil chor dy tu kia nimz adohri rhti...
Answer: Mustahab ya sunnat sai muraad har wo hukm jis ko karney mai sawab ho lekin na karney mai koi gunah na ho lehaza agar namaz mai faqat wajibaat ada kie jain or mustahabaat ko tark kar dia jaey ya nafl namazein chorh di jaey to namaz sahi ho jati hai albatta behtar hai k mustahabbaat ko tark nah kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 16-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 5 waqth Namaz k sarH kithne Nafal pharne chahye hai or baaD ma ya PehlY pharne chahye hai sahI tareeqa Or waqth bta dijeay
Answer: 1)Mustahab namazain bohat si hain jinhein nafal namazain bhi kahtein hein. Ye namazain roz e jumma k alawa 34 rakaat hein jin me se 8 rakaat zohar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat magrib ki, 2 rakaat isha ki, 11 rakaat namaz shab ki aur 2 rakaat subah ki hoti hein. Lakin jumma k din zohar aur asar ki 16 rakaat nafal per 4 rakaat ka izafa hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752) 2)Namaz e zohar ki nafal, zohar se pehlay parhi jati he. Is k awal waqt zohar se he aur is waqt tak baqi rehta he jab tak osi namaz e zohar se pehlay ada karna mumkin ho. Namaz e asar ki nafal asar ki namaz se pehlay parhi jati he aur is ka waqt tab tak baqi rehta he jab tak osi namaz e asar se pehlay ada karna mumkin ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 756,757) 3)Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawaal e aftaab k baad se garoob e aftaab tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718). Update on dated 09-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir Nafel Namaz perhna zroori hai ya ni? Jasy Esha ki namaz me nawafil hoty to nawafil na perhny k bagair namaz ho jti?
Answer:
Nawafil namaz mustahab hai yani on k perhne se sawab milay ga, un ka parhna zaroori nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 ,maslah#752).
[Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asslam o allaikum mara sawal ye h k maqarib ki namz k nafal beth kr ku parhy jaty han
Answer:
Maghrib ki nawafil beth kar parhi jaa sakti hai lekin ishaa ki nafil ehtiyaat e wajib ki bina par baith kar parhna zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 754)
[Updated on 01-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hum 3 rakat nafil sath parh sakty hein
Answer: Islam main 3 rakat nafila namaz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752). Update on dated 09-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Qasar namaz k sath ju suntien hain kia unko parhna hai ya nai
Answer:
zuhur aur asar ke nawafil safar mein nahi parhni chaiye aur agar isha ke nawafil rajaa ki niyyyat se parhe jaye to koi haraj nahi. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masla no 755 ).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zohar ki 4 sunnat jamat k bad kasy Ada ki Jay
Answer:
1. Nafal namazein (mustahab namazein) jummay ke ilawa kul 34 rakaat hain, jin me se 8 rakaat zuhar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat maghrib ki, 2 rakaat isha ki ehtiyat wajib yeh hai keh beth kar ada ki jaye to woh ek rakaat shumar hogi, 11 rakaat namaz e tahajjud aur 2 rakaat subah ki namaz, albatta jummay ke din zuhar aur asar ki 16 rakat ke sath 4 rakaat ka izafa ho jayega.
2. zuhar ki nafal zuhar se pehle parhi jati hai, us ka waqt awwal e zuhar se hai aur us waqt tak baqi rehta hai jab tk use namaz e zuhar ada karna mumkin ho.
(Ref : Ayatullah Sayyid Ruhollah Khomeini,Tauzeehul masail , maslah #764,768 )
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sukhrany ke nafal kab ada karny chye mtlb us ka time kia hota h
Answer:
Shukrane k nawafil kisi bhi waqt perhe jasakte hain. (Ref: Ayatullah sistani, Urwatul wusqa,Part#2, Maslah#1208). Update on dated 14-01-2020.
[Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr wedding night me nafil na parhy ho to kya hota ha?
Answer:
Nafil namaz mustahab hai lehaaza usay tark kiaa jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 752).
[Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr wedding night me nafil na parhy to kya hota ha?
Answer:
Nafil namaz mustahab hai lehaaza un ko agar tark kar dia jaey tu koi haraj nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 752).
[Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Panjgan namazo ka afzal tareen waqt?
Answer:
1: Namaz e zohar ki fazilat ka waqt zawal aur shakhis (lakrhi) ke sayah ki wo miqdaar jo zohar k baad paida ho 7 may say char 4 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. Namaz e asr ki fazilat ka waqt shakhis (lakrhi) k sayah ki wo miqdar jo zohar k baad paida ho 7 may say 6 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. (ye waqt os waqt ka hay jab shaded garmi na ho aur jab shaded garmi ho to in dono namazoo ki fazilat ka waqt shakhis k baraber aur shakhis ki dogni (double) miqdaar k dermiyaan baghair faaslay k hay.) Namaz e Maggrib ki fazilat ka waqt os k liay jo musafir nahi hay maghrib say shafaq k chalay janay tak yani humrae magribia (magrib ki surkhi) aur jo musafir ho os k liay fazilat ka waqt raat k 1/4 hissay tak hay. Namaz e Isha ki fazilat ka waqt shafaq k chalay janay say yani humrae magrabia say raat k aik 1/3 hissay tak hay.) Namaz e Subah ki fazilat ka waqt fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay, or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay. Isi terh tamaam fazilat k waqton me jaldi karna pehlay bataye gay waqtoon par afzal he. (Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part#1,maslah#504).
2: Munasib nahi he k namaz me takheer ki jaay. Aur is qadar takheer karna jaiz nahi he k namaz qaza ho jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 191 , pg # 88).
3: Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). 4: Zohar,asar maghrib or isha ki namazo ko on namazo k maksoos waqt main alag alag perhna mustahab hay.(Ref. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774)
5: Quran e kareem main sorah Bani Israil(sorah#17) ki ayat#78 main hay k “ Aap zawaal e aftaab se raat ki tareeki tak namaz qaaim karain or namaz e subah bhi k namaz e subah k liay gawahi ka intezam kia gaya hay.” Note: Wazeh rahay k Quran e Kareem nay namaz k 3 hi auqaat biyaan kiay hain.2 namazo ko zawaal e aftaab or 2 ko tareeki e shab or 1 ko fajr se, layhaza 3 auqaat per ayteraaz kerna Quran se nawaqifiyat ki wazeh daleel hay.(Anwaarul Quran, Tajuma or tafseer Allama Zezhan Haider Jawwadi, pg#613.)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Do we have Sunnat namaz in Shia belief? Or what is the difference between sunna and nafil?
Answer:
Sunnat or nafil namaz main koi farq nahi hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz kaha jata hai. Rozana ki mustahab (nafla, sunnat) namazain jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakat zohar ki, 8 rakat asar ki, 4 rakat magrib ki, 2 rakat isha ki, 11 rakat namaz shab ki, aur 2 rakat namaz subha ki. laikin Juma k din zohar aur asr ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtr ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parha jana behtar hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #752)
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 5 waqt namaz k sath nafal r sunat namazo k bary my tafsil sy btayi k kitni namazy Hain r har namaz k kitny rakat hy.
Answer:
1: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz kaha jata hai. Rozana ki mustahab(nafla, sunnat) namazain jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakat zohar ki, 8 rakat asar ki, 4 rakat magrib ki, 2 rakat isha ki, 11 rakat namaz shab ki, aur 2 rakat namaz subha ki. laikin Juma k din zohar aur asar ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtar ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parhna behtar hai.
2: Mustahabat(nawafil) ka waqt muayin hai. jese Zuhar ki nafila zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke waqt parhi jati hen, or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-zuhar se pehle ada karna mumkin ho, isi tarah Asar ki nafila asar se pehle parhi jati hen, or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-asar se pehle ada karna mumkin ho, Magrib ki nafila maghrib ke bad parhi jati hen or jahan tk mumkin ho ise magrib ke waqt ke andar anjam diya jaye. Esha ki nafila(jo k 2 rakat beth kar parhi jati hen) esha ke bad aadhi raat tak hai, or behtar hai ke ise esha ke foran baad parh liya jaye. Fajar ki nafila fajar se pehle parhi jati hen, or is ka waqt namaz-e-shab ke waqt ke itni der bad hota hai jis men namaz e shab parhi ja sake. Namaz shab ki, 8 rakat namaz shab ki niyat se 2.2 rakat kar ke parhi jati hen, phir 2 rakat namaz-e-shafa ki neyat say parhi jati hen, is k baad aik rakat namaz-e-witr ki neyat say parhi jati he jis mai sura e alhamd aur 3 baar surae qul-huwallah parhnay k baad qunoot mai 40 zinda aur murda momineen k naam le kar bakhshish ki dua mangi jati hai.
3: Namaz e shab ka waqt raat ki ibtidaa sai shuru hojaata hai (yani maghrib-o-isha ki azaan ke waqt se subah ki azaan ke waqt tak baaqi rehta hai) lekin behtar yehi hai subah ki azaan k qareeb hi parhi jaye. agar koe shaks us waqt bedaar ho jub fajar tuloo horahi ho tou ada or qaza ki niyat k baghair namaz e shab ada kar sakta hai. or agar namaz e shab ka waqt baqi na rahe tu baad main qaza ki niyat sai ada kar sakta hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Editon #41st, maslah #752,753, & 756 To 762)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aoa,fiqa e jafaria mai 5 waqt ki farz namaz kai sath jo sunnat aur Nafal phary jati hai us ki detail bta dai.juma mai bhi.jaxak Allah
Answer:
1: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai.
Rozana ki mustahab(nafla, sunnat) namazain jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakat zohar ki, 8 rakat asar ki, 4 rakat magrib ki, 2 rakat isha ki, 11 rakat namaz shab ki, aur 2 rakat namaz subha ki. laikin Juma k din zohar aur asar ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtar ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parhna behtar hai.
2: Mustahabat(nawafil) ka waqt muayin hai. jese Zuhar ki nafila zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke waqt parhi jati hen, or is waqt tab tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-zuhar se pehle ada karna mumkin ho, isi tarah Asar ki nafila asar se pehle parhi jati hen, or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-asar se pehle ada karna mumkin ho, Magrib ki nafila maghrib ke bad parhi jati hen or jahan tk mumkin ho ise magrib ke waqt ke andar anjam diya jaye. Esha ki nafila(jo k 2 rakat beth kar parhi jati hen) esha ke bad aadhi raat tak hai, or behtar hai ke ise esha ke foran baad parh liya jaye. Fajar ki nafila fajar se pehle parhi jati hen, or is ka waqt namaz-e-shab ke waqt ke itni der bad hota hai jis men namaz e shab parhi ja sake. Namaz shab ki, 8 rakat namaz shab ki niyat se 2.2 rakat kar ke parhi jati hen, phir 2 rakat namaz-e-shafa ki neyat say parhi jati hen, is k baad aik rakat namaz-e-witr ki neyat say parhi jati he jis mai sura e alhamd aur 3 baar surae qul-huwallah parhnay k baad qunoot mai 40 zinda aur murda momineen k naam le kar bakhshish ki dua mangi jati hai. 3: Namaz e shab ka waqt raat ki ibtidaa sai shuru hojaata hai (yani maghrib-o-isha ki azaan ke waqt se subah ki azaan ke waqt tak baaqi rehta hai) lekin behtar yehi hai subah ki azaan k qareeb hi parhi jaye. agar koe shaks us waqt bedaar ho jub fajar tuloo horahi ho tou ada or qaza ki niyat k baghair namaz e shab ada kar sakta hai. or agar namaz e shab ka waqt baqi na rahe tu baad main qaza ki niyat sai ada kar sakta hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #752,753,& 756 To 762)
3: Namaz-e-Ghufaila Maghrib o Isha ki namaz kay darmiyan parhi jati hay. is ki pehli rakat main Al-Hamd kay baad kisi doosri surah kay bajaey ye ayat parhni zaroori hay. ( وَذَاالنُّوْنِ اِذْ ذَّھَبَ مُغَاضِبًا فَظَنَّ اَنْ لَّنْ نَّقْدِرَ عَلَیْہِ فَنَادیٰ فِی الظُّلُمٰتِ اَنْ لَّا اِلٰہ اِلَّا اَنْتَ سُبْحٰنَکَ اِنِّیْ کُنْتُ مِنَ الظّٰلِمِیْنَ فَاسْتَجَبْنَالَہٗ وَنَجَّیْنٰہُ مِنَ الْغَمِّ وَکَذٰلِکَ نُنْجِی الْمُؤْمِنِیْنَ۔ )aur doosri rakat main Al-Hamd kay baad bajaey kisi aur surah kay ye ayat parhay ( وَعِنْدَہٗ مَفَاتِحُ الْغَیْبِ لَا یَعْلَمُھَا اِلَّا ھُوَ وَیَعْلَمُ مَا فِی الْبَرِّ وَالْبَحْرِ وَمَا تَسْقُطُ مِنْ وَّرَقَۃٍ اِلَّا یَعْلَمُھَا وَلَا حَبَّۃٍ فِیْ ظُلُمٰتِ الْاَرْضِ وَلَا رَطْبٍ وَّلَا یَابِسٍ اِلَّا فِیْ کِتٰبِ مُّبِیْنٍ ) aur iskay baad qunoot parhay ,us main ye dua parhay ( اَللّٰھُمَّ اِنِّیْ اَسْئَلُکَ بِمَفَاتِحِ الْغَیْبِ الَّتِیْ لَایَعْلَمُھَا اِلَّا اَنْتَ اَنْ تُصَلِّیَ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِ مُحَمَّدٍ وَّاَنْ تَفْعَلَ بِیْ کَذَاوَکَذَا) kaza wa kaza kay bajaey apni haajatain bayan karay aur iskay baad kahay ( اَللّٰھُمَّ اَنْتَ وَلِیُّ نِعْمَتِیْ وَالْقَادِرُعَلیٰ طَلِبَتِیْ تَعْلَمُ حَاجَتِیْ فَاَسْئَلُکَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِ مُحَمَّدٍ عَلَیْہِ وَعَلَیْھِمُ السَّلاَمُ لَمَّاقَضَیْتَھَالِیْ ).
Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #763).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir fajar ki namaz agr room me parhain to usme 2 sunnah pehly parhyn gy ya sirf 2 farz e parhyn gy
Answer:
Fajar ki nafal(sunnat) namaz e fajar sai pehlay perhi jati hai laikin agar koi shakhs subah ki nafal mashriq ki surkhi zahir honay tak na parhay to is surat mai behtr ye hai k pehlay subah ki namaz parhay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #760).
(Note: Fajar ki namaz jahan bhi parhi jaye us ki nafil namaz alag se mustahab hai ).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera sawal ye hai k isha ki namaz ma jo 2 rakaat bhaith k parhi jaati hain wo sunnat hain ya witar..?
Answer:
Mustahab namazain jitni bhi hai unhen sunnat bhi kaha jata hai aur isi tarah unhen nafela bhi kaha jata hai. Aur namaz isha ki nafl namaz ko witr is liye kaha jata hai Q ke is namaz ko agar khare ho kar parha jaye to ye aik rakat hai. aur jo bhi adad(عدد) taaq ho (jese 1,3,5,7 wagera...) to use (witr) kaha jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #752,755).
(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D9%88%D8%AA%D8%B1 ).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jume ki farz namaj se pahle 6 rakat kon si hai
Answer:
( Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain ).
Fiqh e jafaria main Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. Rozana ki mustahab(nafla, sunnat) namazain jumme k din k ilawa 34 rakat hain jin me se 8 rakat zohar ki (jo zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke waqt parhi jati hen), or 8 rakat asar ki (jo asar se pehle parhi jati hen), or 4 rakat magrib ki (jo maghrib ke bad parhi jati hen), or 2 rakat isha ki (jo esha ke bad beth kar parhi jati hen), or 2 rakat namaz subha ki (jo fajar se pehle parhi jati hen), or 11 rakat namaz shab ki hain. laikin Jumme k din zohar aur asar ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtar ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay parhi jaen sawaye 2 rakat ke jin ka zawal k waqt parhna behtar hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #752).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya fajr ki azaan se pehle sunnat doh raqat pdh skte hain?
Answer:
Jee han, parh sakte hain. Fajar ki nafil(sunnat) namaz e fajar sai pehlay parhi jati hai aur is ka waqt namaz e shab ka waqt shuru hone ke itni der bad shuru hota hai jis men namaz e shab ada ki jasake aur us waqt tak baqi rehta hai ke jab tak subah ki namaz se pehly is ki adaigi mumkin ho laikin agar koi shakhs subah ki nafil mashriq ki surkhi zahir honay tak na parhay to is surat mai behtar ye hai ke pehlay subah ki namaz parhay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #760).
[Updated on 10-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujhe shak hota h k mene shukrana k nafil parein h k nhi ab m kia karu
Answer:
Agar koi shakhs shak kare keh mustahab namaaz parhi hai ya nahin aur us ka koi muqarrar waqt na ho jaise “namaaz-e-jafar-e-tayyar” to use samajh lena chahiye keh nahin parhi. Agar us mustahab namaaz ka yaumiah nawafil ki tarah waqt muqarrar ho aur us waqt ke guzarne se pehle shak kare keh use anjaam diya hai ya nahin to us ke liye bhi yahi hukm hai. (yani samajh lena chahiye keh nahin parhi). Laikin agar waqt guzarne ke baad shak kare keh woh namaaz parhi hai ya nahin to apne shak ki parwah na kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1185).
[Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 2 2 rakat nafila namaz jo zohar mein padhte hai kya uski niyat 4 baar hogi?Nafila padhne ka tareeka btaiye plz kya har 2 rakat pr namaz mukammal kar kar agli 2 rakat shuru karni hai?
Answer:
Jee han, zuhar, asar aur maghrib ki Nafila ki niyat kar ke 2, 2 rakat nafila namaz parhi jayengi. or har do rakat se pehle us ki niyat ki jaye gi. Albatta niyat ke alfaaz dil se guzrna ya masalan zaban se ye kehna ke "me do rakat nafila e zuhar wagera parhti hon" zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #752,1531).
[Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: isha ki namaz ka 2 vitar zrori hn ya nahi or ya sunnat lazmi parhni hn?
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhein ko mustahab namaz bhi kaha jata hai.
2: Isha ki nafila (jo ke 2 rakat beth kar parhi jati hain) ka waqt isha ke bad aadhi raat tak hai, aur behtar hai ke ise isha ke fauran baad parh liya jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #752,759).
[Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]