Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Auqat-e-namaz (107 Questions)


Showing 0- 50 questions from 107 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
281
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-29

Question: if a woman gets tahir after midnight (blood of haizz stops after midnight) is it wajib for her to perform ghusl and pray magrib /ishaa or only namaz e fajr is wajib on her ? 2.how will be midnight calculated according to ayatullah khoir.a?

Answer: 1:Kisi uzr ki wajah say maghrib ya isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyaat-e-wajib ki bina par usay chahiye kay subah ki azan say pehlay pehlay ada aur qaza ki niyyat kay baghair namaz parhay (lihaza aap ghusl kar kay (aur behtar ye hay kay ghusl say pehlay wuzu karay) namaz-e-maghrib o isha baghair ada aur qaza kay anjaam dain)...2:Adhi raat ka hisaab awwal-e-ghuroob-e-aaftab say ibtida-e-tuloo-e-aaftab tak karna chahiye.(is bina par maghrib o isha ki namaz ka aakhiri waqt zohar-e-sharee kay 12 ghantay baad tak hay)masalan agar zohar ka waqt 12:30 bajay din main hota hay to maghrib o isha ka waqt raat 12:30 tak rahay ga.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.472,748.Minhaajus Saaliheen Masala No.134.

Print

Id:
300
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-30

Question: AOA YAALIMADAD shia namaz aik sath kion ada kertay hain and plz i need ans in detail with authentic books

Answer: Fiqh e Jafery main bhi log 5 Namazain parhtay hain.Laikin Azan 3 is liye detay hain kion kay wo Jam bainas Salatain kartay hain yani Zohar aur Asr ko Jama kartay hain aur Maghrib aur Isha ko Jama kartay hain Kion in Namazon ko Juda kar kay Parhna Lazim nahi hay,Agarchay Afzal ye hay kay har Namaz ko uskay Fazeelat kay Waqt main ada karain balkay fazeelat kay waqt kay bhi Awwal e Waqt main ada karay.Kionkay Rasool SAWW nay Zohar o Asr aur Maghrib o Isha ko 1 Azan aur 2 Iqamatoon kay saath Jama kiya hay baghair kisi wajah kay.Ref:Isitiftaat A.Sistani I-8.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1562
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: if the weather is cloudy,what do we do for maghrib prayer,if there is very dark before time

Answer: B.T. badal ya in jaisi rukawato ke mawqe par.....
ahteyat lazim ye he ke namaz me us waqt tak takhir ki jaye jab tak ke waqat shuru ho jane ka itmenan hasil ho jae. (Aqai Sistan d.b. minhajus salehin masala no. 507)

Print

Id:
1590
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ask mein jahan job karta hoon uske wajeh se meri asar & magrib ki namz kaza ho jati hai. aesi job karna mere liye KYA thik hai. agar

Answer: agar is mulazimat ko jari rakhna is musalman ki majboori hai to jaisay bhi mumkin ho waqt par aur ada (ki niyat se) namaz bajalae, agarchay ruku aur sujood kay liyay ishara karna paray. lekin yeh sirf aik farzi surat hai jo aaam halaat mein paish nahi aati. musalman ko chahiyeh key ho Khuda se daray aur aisi mulazimat ikhtiyaar na karay jis ki khatir shariyat ka woh aham farz tark karna paray jo ke deen ka sutoon (pillar) shumaar hota hai. REF: A.Sistani, jadeed fiqhi masail, pg no. 84, masla no. 87.

Print

Id:
1783
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: why we pray Zuhar and usar namaz at same time as well as mughrab and isha namaz?

Answer: chunke namaze zohar aur asar ka waqat zawale aftab ke bad shuru ho jata he aur isi tarh namaze maghrib aur esha ka waqat maghreebe sharee ke bad ho jata he, yaani namaze zohar padh sake itna waqat guzar jae to phir namaze asar ka waqt shuru ho jata he aur isi tarh namaze maghrib padh le itna waqat guzar jae to namaze esha ka waqt shuru ho jata he (ref: tawzihul masail Aytullah Khoie (r.a.) masaala no.738 & 743)

Print

Id:
1952
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: The summer days are very long in germany and i go to work early in the morning so i sleep at 9 pm and isha is sometimes at 11:00 pm . can i pay isha with maghrib? please answer because my father in law told that it is allowed in islam. thank you

Answer: b.t. namaze esha ka fazilat ka waqt asman ki surkhi zael hone (jo namaze maghrib ke baad maghrib ki simt me hoti he) ya rat ka ek tehai waqat khatam hone tak he. (www.sistani.org topic: awqate namaz qu.no.8)

Print

Id:
1970
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Namaaz Ishaa ka waqt kitnay bajay say shuru ho ker kitnay bajay tak hota hy.

Answer: b.t.isha ki namaz ka waqt mikhtar shakhs ke liye adhi rat tak he or rat ka hisab suruj gurub hone ki abteda se tulue fajar tak he. (tawzihul masail Aytullah Sistani (d.b.) masala no.727)

Print

Id:
2478
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: 5 wakth namaz me kitne rakat namaz padna hai

Answer: Rozana ki wajib namazain 5 hain:
Fajar(2 rakat), Zuhar(4 rakat), asar(4 rakat), magrib(3 rakat), esha(4 rakat).(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, pg122#)

Print

Id:
3052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: if the time for namaz and matam in majlis occurs at the same time so to what will we give preference

Answer: Munasib nahi he k namaz me takheer ki jaay. Aur is qadar takheer karna jaiz nahi he k namaz qaza ho jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 191 , pg # 88). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3646
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: asslamoalikum kya ak waqat main 2 namaz parh sakty han to ager parh sakty haan to kasy kya tareeqa hai

Answer: Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. ( Ref : website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112

Print

Id:
3680
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Sir I have a ques regarding the time of Namaz-e-fajr. Basically i m following the namaz timetable published by one of our shia masjid. According to them the starting fajr time is actually the imsaak time according to other shia masjid in birmingham. So my question is so far i was praying my fajr namaz at the start of imsaak time so whether my fajr namaz is accepted in the light of Islam or i have to offer my all namaz again? Please rely me ASAP in the light of Ayat-ul-Allah Seestani. ILTAMAASA DUA.

Answer: Just before dawn a column of whiteness rises upwards from the east. It is called the first dawn. When this whiteness spreads, it is called the second dawn, and the Prime time for Subh prayers. The time for Subh prayers is till sunrise.

A person can start offering prayers only when be becomes certain that the time has set in or when two just (Adil) persons inform that the time has set in. In fact, one can rely upon the Adhan, or on advice of a person who knows the timings and is reliable.. .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#,729731). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3816
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salamoelekum,What are the prayer times & direction of Qibla in Fortmcmurray Alberta provice Canada.Please reply on my e.mail address.

Answer: 1)Zohar aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftab k bad se suraj garoob honay tak he. Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k liay magrib e share se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phayl jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne taq he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729).

2) Jo shakhs namaz parhna chahay to zurari he k qible ki janib ka ta’ey’yun karnay ki koshish karay ta’keh qible ki samth k baray me yaqeen ho jaay maslan 2 aa’dil admi ki shahdat jo hiss (sense) ya is jaisi kisi cheez ki bunyaad per qible ki samth ki sahadat de. Ya masjid k mehrab ko daikh kar ya momineen ki qabroo ko daikh kar ghuman paida ho us per amal kar lain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 770)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3857
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: fajar ka waqt kab se kab tak hota hai ?yani fajar ki namaz ka akhari waqt kab tak hota hai

Answer: Farj ki azaan k qareeb mashriq ki taraf say aik safaidi ooper uthti hay jisay fajr e awwal(first) kaha jaata hay.jab ye safaidi phail jaay tu wo farj e dowum (second) or subah ki namaz ka awwal waqt hay or subah ki namaz ka aaKhri wqat suraj(Sun) nikalnay tak hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#729) .

Print

Id:
5046
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: fajar ki namaz ka afzal waqt kya he?

Answer: Subah ki azaan k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi ooper uthti he jise fajar e awal kahte hein jab ye safaidi phail jaay to wo fajar e doum aur subah ki namaz ka awal waqt he aur subah ki namaz ka akhri waqt suraj niklne tak he.subah ki namaz ka waqt e fazilat fajar k waqt say os waqt tak hay k jab subah aasmaan per zahir hojaay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 729)
Subah ki namaz ka waqt e fazilat fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay,or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay.(Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part#1,maslah#504).

Print

Id:
5066
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: what time the prayer(magribain) gets qaza?

Answer: : 1)Maghrib aur eisha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs k lie aadhi raat tak rehta he. Lakin jin lagoon ko koi uzur(majbori) ho maslan bhool janaay ki wajah se ya neend ya haiz ya in jessay dosray umoor ki wajah se aadhi raat se pahle namaz na parh sake hoon to un k lie maghrib aur eisha ki namaz ka waqt taloay fajr tak baqi rehta he.
2)Agar koi shakhs ikhtiyari halat me maghrib aur eisha ki namaz aadhi raat tak na parhey to ethiyaat e wajib ki bina per zurari he k azaan e subah se pahle qaza aur ada ki niyat kiay baghair in namazoon ko parhay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 724 , 727).
3) Adhi raat, ghroob e aftab se se talooa e fajar tak ki muddat ke nisf ko kaha ja sakhta he. Missal k tor per agar sham ko 7 bajay suraj doob jey aur subah k 4 bajay talooa e fajar ho to raat 11:30 bajay adhi raat ho gi. (ref : Jaded fiqhi masayl masla # 82 , pg # 74)

Print

Id:
5825
Mujtahid:
Date:

Question: is this necessary to maintain the sequence in namaz?

Answer: Agar koi shakhs jan boojh kar namaz ki tarteeb alut de maslan al humd se pahle surah parh le ya rakooh se pahle sajdah baja laye to o ski namaz batil he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1095)

Print

Id:
5835
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: SalamunAlaykum Molana Sab. BaMutabiq-e- Agha-e-Sistani, Halat-e-Ikhtiar main agar Magribain aadhi raat tak na padhi jae to phir azaan-e-fajr se pehle pehle ada-o-qadha ki niyat k baghair padhi jae. Sawal ye hai k iss soorat main niyat kese ki jae? kiyon k namaz ya to ada hoti hai ya phir qadha.

Answer: Namaz faqat qurbatan illallaah ki niyat se parhi jay or is main ada ya qaza ka tasawwur nah kia jay. Maslan you niyat ki jay k “main namaz magrib perhta hoon, qurbatan ilallaah”. Yani aap is namaz ko nah ada shumaar karain or nah hi qaza.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 768). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5975
Mujtahid:
Date:

Question: assar ki namaz ka akhri waqat kab tak hai?

Answer: Asar ki namaz ka aakhri waqt Gurub-e-Aaftaab tak hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #718) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)

Print

Id:
6453
Mujtahid:
Date:

Question: the commencement and ending time of zawal period in a day?

Answer: Zohar ka abtidae waqt zawal e aftab k bad se garoob e aftab tak he. “zawal e aftab” ye he k adha din guzar jana. Maslan agar din 12 ghantay ka ho to suraj nikalnay k 6 ghantay bad zohar sharie(zawal) ka waqt ho ga. Aur agar din 13 ghantay ka ho to suraj nikalnay k 6 ½ ghantay bad zohar e sharie ka waqt ho ga. Aur zohar ka ending waqt garoob e aftab tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6681
Mujtahid:
hunfia Date:

Question: without Wazoo Azan Ka Bayaan

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Mustahib he k azan kehtay waqt insan wazoo ya ghusl ki halat me ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 925) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6915
Mujtahid:
SUNNI. Date:

Question: Plz zawal k okaat bata dein with reference to AHADEETH & QURAN PAK. Or kya zawal ka waqt raat ko bhi hota hai or raat ko kb hota hai?

Answer: Note Is web site per fiqhae jafaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Zawal e aftaab (zohar e sharie) ka matlab he aadha din ghuzar jana. Maslan agar din 12 ghantay ka he to suraj nikalnay k 6 ghantay k baad zawal ka waqt ho ga. Raat me zawal ka waqt nahi hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9034
Mujtahid:
Date:

Question: Nimaz Fajr Kiss time tak parhii jati hai mera maqsad kaza ka time kia hai oor kis waqt main behtar hai perhain HAdees ki roshni main bayan kerain

Answer: (Namaz ka waqt har din badalta rahta hai.) agar musalman khud apne namaz , roze k lye fajar , zawaal (zohar),aur maqrib ki tayeen na kar sake aur rasadgha ( yani astronomy k office k calendar waghira) ki tayeen per is k ahtamad ho to wo apne rozon aur namazon k liye rasadgha (yani astronomy k office k calendar waghira) k moaiyan karda owkaat namaz pr bharosa kr sakte hen agarche rasadgha(yani astronomy k office k calendar waghira) me kaam karne wale musalman na ho, bachate ye k rasadgha ( yani astronomy k office k calendar waghira) ki tayeen aukaat per wosooq ho.
(Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 70 , pg # 70)
Namaz ko us k awal waqt me pherna mustahab hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 739) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9055
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: 5 time ki namaz ke fazilat ke waqt kya hai. Aur kya majlis e hussain ke dauran agar namaz ka waqt shuru ho jaye to majlis e hussain se alag ho kar namaz ada karni chahiye jab ke kuch der baad namaz ada karne se namaz khaza nahi hogi.

Answer: 1)Namaz e zohar ki fazilat ka waqt zawal aur shakhis(lerkrhi) ka sayah ki wo miqdaar jo zohar k baad paida ho 7 may say char 4 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. Namaz e asr ki fazilat ka waqt shakhis(lakrhi) k sayah ki wo miqdar jo zohar k baad paida ho 7 may say 6 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. (ye waqt os waqt ka hay jab shaded garmi na ho aur jab shaded garmi ho to in dono namazoo ki fazilat ka waqt shakhis k baraber aur shakhis ki dogni(double) miqdaar k dermiyaan baghair faaslay k hay.)
Maggrib ki fazilat ka waqt os k liay jo musafir nahi hay maghrib say shafaq k chalay janay tak yani humrae magribia(magrib ki surkhi) aur jo musafir ho os k liay fazilat ka waqt raat k 1/4 hissay tak hay.aur isha ki fazilat ka waqt shafaq k chalay janay say yani humrae magrabia say raat k aik 1/3 hissay tak hay.
Subah ki namaz ka waqt e fazilat fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay,or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay. Isi terha tamaam fazilat k waqtoon me jaldi karna pehlay bataye gay waqtoon par afzal he. (Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part#1,maslah#504).
2)Munasib nahi he k namaz me takheer ki jaay. Aur is qadar takheer karna jaiz nahi he k namaz qaza ho jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 191 , pg # 88). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9441
Mujtahid:
ayatulla sistani Date:

Question: kya azan aur aqamat wajib hain

Answer: Har mard aur aurat k liay mustababb hay k rozana ki wajib namazoon say pehlay azan aur aqamat kahay aur aisa karna doosri wajib ya mustababb namazoon k liay masrooe nahi lakin eid ul fitr aur eid ul qurban say pehlay jabkah namaz e ba-jamaat perhain to mustahabb hay k teen martaba ﺍﻠﺻﻠﻮﺓ kahian. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 903) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12983
Mujtahid:
Muslim Date:

Question: Exect expiry time of all Prayers(Namaz)in bothe the seasons like Summer and Winter briefly in digits not in discription like fajr timing expires e.g at 7 and zuhr at 2:30etc

Answer: Zohar aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftab k bad se suraj garoob honay tak he. Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k liay magrib e share se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phayl jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne taq he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13087
Mujtahid:
Date:

Question: assalam 0 alaikum g i am 19 yaers old main ye puchhna chahti hoon ki meri har roz office me hone ki bajah se namaz reh jati hai...to me use kaise karo matlab kaza kaise karoo plz ap mujhe btao...kaza v kis time pe karoo or kaise jaise hm namaz parhte hai vese hi....

Answer: Fuqahaa(rizwanul laah e alaihim) fermatay hain k namaz kisi halat main bhi saqit(maaf) nahi, iska matlab ye hay k na safar main saqit hoti hay or nah is k alawa main. Agar namaz ka waqt tang ho(or manzil e maqsood tak pohanchne se pehlay qaza hone ka khadshah ho) tu musalman musafir par wajib hay k wo chahay jahaaz(aero plan) main ho, kashti(ship) main ho, car main ho, train main ho, ruka hoa ho ya harkat main ho, intezaar gaah(waiting room) main no ya aam baghichah(public garden) main, raastay main ya apne kaam or duty ki jagah, gharz jahaan bhi ho wajib hay k namaz ko waqt main baja laay. (Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 64) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13343
Mujtahid:
Date:

Question: namaz kay auqat

Answer: Zohar aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftab k bad se suraj garoob honay tak he. Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k liay magrib e share se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phayl jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne taq he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13878
Mujtahid:
Waqt Date:

Question: quran ya hadish ki roshni me batay ki rat kis waqt shuru ho jati he magrib ki azan ke baad ya azaan ke shath ?

Answer: Agar shak ho k soraj ghoroob hoa ya nahi or is baat ka ehtimaal ho k soraj paharoon, imaratoon ya darakhoon k peechay chup gaya hay tu zarori hay k jab tak mashriq(East) ki traf ki surkhi jo suraj ghroob hona k baad zahir hoti hai, insaan k sar ka oper say na guzar jaay maghrib ki namaz na perhain balkeh agar shak nah ho tab bhi ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k mazkora waqt tak sabr karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 723)
Note: raat k shuru hone k liay azaan shart nahi hay k wo kis waqt hoti hay Q k mumkin hay k azaan dainay wala raat shuru hone k faran baad azaan nah day balkeh khuch dair baad azaan day ya ghalti se waqt se pehlay azaan day day.

Print

Id:
13964
Mujtahid:
Date:

Question: jume ki namaz se pahle ki sunnate agar choot jayen to kya unhe jume ki namaz ke bad padha ja sakta hai wo namaz sunnate-muaqqida hoti hai?

Answer: 1)Juma k din zohar aur asr ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai behtr ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 752)
Namaz Zohar , asar ki nafla (mustahab namaze) agar namaz zohar , asar k bad perhe jaay to qaza ki niyate se perhe jaay ghi. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part #2 ques # 57 pg # 36) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14042
Mujtahid:
Date:

Question: mane aj se phele jatne nimaz pade hai mane kabi 2 ya 3 time liken me itna q kamzor ho 5 time k nimaz ba jumyat nhi pad skta plz koi hal batao

Answer: 1- Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. ( Ref : website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ).
2- Rozana ki namazain jama,at k saath perhna mustahab hay.or subah, maghrib or isha ki namazo k liay, khososan masjid k parhoos main rehne walay or masjid ki azaan sunnay walay k liay bohot ziyada takeed ki gae hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1380).
3- Bay aytenai(yani laa perwaahi) k saath namaz e jama,at main shareek nah hona jaiz nahi hay or ye bhi munasib nahi hay k baghair uzr k namaz e jamat ko tark kia jaay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1382). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14256
Mujtahid:
Date:

Question: main job karti hoon subh is doran mujhe zohar asar magrib ki namaze padne nahi mil pati main ghar ja kar kaza namaz adakarti hoon lakin agar mujhe 3 se 4 ke darmiyan namz zohar padna ho to wo kaza padni hai ya nahi

Answer: 1-Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawal aftab( yani zohar sharhi ka matlab hai adhah din gzarna maslan agar din bara hours ka ho to suraj nikalne ke 6 hours ke baad zohar sharhi ka waqt ho ga ) ke baad se group aftab tak ha.(ref . tuziul masail aga sistani masla no. 718).
2-Namaz ko jaan bhoojh ker qaza kerna jazi nahi hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 736) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14257
Mujtahid:
Date:

Question: zohar namaj 3baje ke bad kaza hai

Answer: Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawal aftab k baad se ghoroob e aaftab tak he.(ref . tuziul masail aga sistani masla no. 718). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14514
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: salam.namaz parhnay ki fazeelat us k awal waqt mein batai gai hai lakin mazhab e shia mein chihay jama,t k sath namaz ho ya furada ziada tar alaqon mein zohreen aur mughribeen akthi ada ki jati hain us mein pehlay wali namaz ka tou awal waqt hota hai lakin dosri ka ni ahga sistani k mutabiq kia is tarha baghir kisi uzar k namaz parhna theek hai k nai pls detail mein jawab dain

Answer: 1- Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ).
2- Zohar,asar maghrib or isha ki namazo ko on namazo k maksoos waqt main alag alag perhna mustahab hay.(Ref. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14902
Mujtahid:
Assalam o alikum Date:

Question: Jenab! Asha ki namaz kab qaza hoti hain?

Answer: Asha ki namaz ka waqt aik aam insan k lye aadhe raat tak rheta hai . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #724) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15452
Mujtahid:
Date:

Question: agar magrib k bad soo jain to isha ki namaz hogi

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Maghrib or isha ki namaz ka time mukhtar shaks k liay aadhi raat tak hota hai lekin jin logon ko koe uzor ho maslan bhool janey ki waja se ya neend ya haiz etc ki waja se aadhi raat se phely namaz na parh sakey hoon tu on k lie maghrib or isha ka time fajir tulo honey tak baqi rehta hai (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #724 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16293
Mujtahid:
Ayatullah Sistaani Date:

Question: maghrib ki azaan sun kar agar hum sou jayen aur thhori der baad(baara baje se pehle) uthen aur namaz parhen to kia woh kaza ho jaati hai uski niyat kaza se parhte hain?

Answer: Magrib aur isha ki nimaz ka waqt mukhtar shaks k lie aahadi raat tak hota hai, Laikin jin logo ko koi uzr ho maslan neend, to is wajah sai aadhi raat sai pehlay namaz na parh sakay hon to in k lie magrib aur isha ki namaz ka waqt fajar tolu honay tk baqi rehta hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #724 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17168
Mujtahid:
Date:

Question: KYA SHAM KO ANDHERA HO JANE K BAD MAGRIB NAMAJ PAD SAKTE HAI JAISI ABHI AJAN KA TIME 6.45 HAI OR 7.30 YA 7.00 KO NAMAJ PADNI HO TO HO JATI HAI YA NAHI

Answer: Magrib ki namaz ka waqt mukhtar(aazaad) shakhs k lie guroob sai aadhi raat tk hota hai. yani is k darmian mai namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 724) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32214
Mujtahid:
Ayat Ullah sistani Date:

Question: Salam Allah pak Masoomeen A.s k waseelay sy apki Ais Koshish aor logon ki Rehnomayi ka AjaR DY...MAira sawal hai k faraz namaz pehlay parni chaiyay ya sunnat..yani suba ki 2 rakat sunat hai aor 2 farz tho pehlay konsi parain.aor sunat lazmi parni hai k nai.

Answer: Fajr,zuhar or asr ki sunnat namazo ka waqt os waqt tak baaqi rehta hay jab tak k in sunnat namazo ko wajib namazo say pehlay ada kerna mumkin ho,or jab wajib namazo ki fazilat ka waqt khatam honay k qareeb ho tu behtar ye hay k pehlay wajib namaz perhlay os k baad sunnat namaz ko perhay.or isiterah magrib or is terah magrib ki sunnat namaz ka waqt os waqt tak baaqi rehta hay jab tak k in sunnat namazo ko esha k wajib namaz say pehlay ada kerna mumkin ho. or jab esha ki wajib namaz ki fazilat ka waqt khatam honay k qareeb ho tu behtar ye hay k pehlay wajib namaz perhlay os k baad sunnat namaz ko perhay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#757,758)

Sunnat namaz parhna zarori nahi,balkeh in ko perna sawaab hay or inko baghair majbori k chorha jasakta hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #752,760). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32757
Mujtahid:
Mohammad Hussain Najfi Date:

Question: salam un alaikum Please tell me kay namaz e fajr ka awal waqt kiya hey aur aakhir waqt kiya hey .Agar sooraj subha 6:59 per talooh hota hey to kis waqt tak namaz e fajr aada ker laini chahye.

Answer: Subah ki azaan k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi ooper uthti he jise fajar e awal kahte hein jab ye safaidi phail jaay to wo fajar e doum aur subah ki namaz ka awal waqt he aur subah ki namaz ka akhri waqt suraj niklne tak he.subah ki namaz ka waqt e fazilat fajar k waqt say os waqt tak hay k jab subah aasmaan per zahir hojaay. (Ref : tauzeehul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 729) Subah ki namaz ka waqt e fazilat fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay,or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay.(Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part # 1,maslah # 504). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32867
Mujtahid:
aaqa-e-sistani Date:

Question: salam...sir mera sawal ya hai kay hum zohar aur asr aur magrib isha ki namaz sath kyu perhtay hain?kya hum alag alag perh saktay hain...kyu kay hum aqsar suntay hain kay roz-e- ashoor imam hussain(a.s) nay doran-e-jang asr ki namaz ada ki...plz quran o hadis kay zaria wazahat karain..

Answer: 1-Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ).
2-Zohar,asar maghrib or isha ki namazo ko on namazo k maksoos waqt main alag alag perhna mustahab hay.(Ref. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
37574
Mujtahid:
Date:

Question: Salam, Isha ki namaz ka waqt kab tk baqi rehta hai?

Answer: Isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs k lie aadhi rat tk hai. aur rat ka hisab suraj guroob honay ki ibteda sai toloe e fajar tk hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 727) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41107
Mujtahid:
suni Date:

Question: why we cant ofer prayer and resit quarn during the Zawal Time(sun set and sun rise) ?

Answer: Note: Is website par fiqh e jafria k mutabiq jawab diya jata hai.

Aap in auqaat main tilawat e Quran ker saktay hain or namaz perh saktay hain.(Ref: Email rcvd from A.Sistani d.b, dated: 06-05-13). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41199
Mujtahid:
agha sisitani Date:

Question: slam.mera sawal yeh hy ky hum shia jo 2 nimazen mila kar parhtey hain kia iska zikar quran e paak mein hy ?agar hy tu reference sy btaen...

Answer: 1-Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ).
2-Zohar,asar maghrib or isha ki namazo ko on namazo k maksoos waqt main alag alag perhna mustahab hay.(Ref. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774)
3- Quran e kareem main sorah Bani Israil(sorah#17) ki ayat#78 main hay k “ Aap zawaal e aftaab se raat ki tareeki tak namaz qaaim karain or namaz e subah bhi k namaz e subah k liay gawahi ka intezam kia gaya hay.”
Note: Wazeh rahay k Quran e Kareem nay namaz k 3 hi auqaat biyaan kiay hain.2 namazo ko zawaal e aftaab or 2 ko tareeki e shab or 1 ko fajr se, layhaza 3 auqaat per ayteraaz kerna Quran se nawaqifiyat ki wazeh daleel hay.(Anwaarul Quran, Tajuma or tafseer Allama Zezhan Haider Jawwadi, pg#613 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41713
Mujtahid:
Date:

Question: kya fajr ki azan se pehle namaz parhi jaye to ho jati hai?

Answer: Ager fajar ka waqt e Shari hone ke baad or Molvi ke Azaan dene se pehle fajar ki namaaz pharain to sahi hai, lekin ager waqt e Shari dakhil hone se pehle phari jaae to namaaz batil hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 729 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
42416
Mujtahid:
seestani Date:

Question: what is maximum time limit for offering namaz efajr and isha

Answer: 1)Just before dawn a column of whiteness rises upwards from the east. It is called the first dawn. When this whiteness spreads, it is called the second dawn, and the Prime time for Subh prayers. The time for Subh prayers is till sunrise.
2)In normal circumstances, the end of the time for Isha prayers is midnight; and the night will be calculated from dawn (Subh-e-Sadiq). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 729, 727) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43605
Mujtahid:
nil Date:

Question: mera swal yeh ha zawal ka kia time ha.or kia raat ko b zawal ka time hota ha.agr hota hawo kon sa time ha or kab tk hota ha.or kia is time koi b dua mangny chye?thanks

Answer: Zawal e aftab ka doosra nam ﻇﮩﺮﺸﺮﻋﻰ hai yani adha din ghuzr jana. maslan agar din 12 ghantay ka hai to suraj niklnay k 6 ghantay k baad ﻇﮩﺮﺸﺮﻋﻰ ka waqt ho ga aur agar din 13 ghanton ka hai to suraj niklnay k 6.5 ghantay baad ﻇﮩﺮﺸﺮﻋﻰ ka waqt ho ga.mazeed ye k ﻇﮩﺮﺸﺮﻋﻰ suraj niklnay sai groob honay k darmian adhay waqt k ghuzr janay ka nam hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 718 ka hashia) note : is k alawa zawal e aftab raat mai nahi hota hai q k raat mai suraj nahi hota hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45287
Mujtahid:
Date:

Question: assalamu alay kum main yeh janna chahatan hun zohar aur asar aur magrib isha ka namaz ka aada waqt kise hota hai aur namaz kab qasa hojati hai pls mahrabbani kare batye ke qaza namaz ka waqt kise hota hai

Answer: Zohar aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftab k bad se suraj garoob honay tak he. Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k liay magrib e share se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phayl jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne taq he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45360
Mujtahid:
namaz aada ka waqt Date:

Question: namaz aada ka waqt kise hota hai aazan se phale kitna waqt hota hai naamaz aada karene kiliye pls mujhe bataiye

Answer: Zohur aur asr ki namaz ka waqt zawaal e aaftab k bad se suraj ghuroob honay tak he. Maghrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtaar shaksh k liay maghrib e shure se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi oper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phel jaay tu wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal e waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
47064
Mujtahid:
namaz ka time Date:

Question: mera sawal ye h ki esha ki namaz ka time kab tak rehta h molana plz batane ki zehmat kare.

Answer: Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar(aazaad) shakhs k lie guroob sai aadhi raat tk hota hai. yani is k darmian mai namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 724) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47244
Mujtahid:
Agha sistani Date:

Question: Maghrib ki namaz ka wqt kb tak h.?

Answer: wo shaks jo magrib ki Aazaan ke baad namaaz phar sakta ho ese shaks ke liye magrib o isha ki namaaz ka waqt aadhi raat tak baqi rehta hai, or us shaks ke liye jo kisi waja se aadhi raat tak na phar saka ho fajat tuloo hone se pehle tak hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 723 , 724 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print