Showing 0- 49 questions from 49 questions on this page.
Question: Salaam, 1) Namaaz ke musale per agar khan-e-kabaa ya masjidoon ki tasveer bani hui ho to us per paer(legs) rakhne ke bare me kya hkaam hai ? 2) Jo chadar namaaz keliye bandhi jati hai agar us ka kapra thora transparent ho to kya namaaz sahi hai ? 3) Namaaz me sajde ya ruku me jate ya uth te waqt jab badan mukamal itminan ki halaat me na ho darmian me agar takbeer kaheen to kya namaaz sahi hai ?
Answer:
Salam un alaikum,
1) Agar tauheen shumar ho to jayez nahi hay.
2) Agar wo cheez keh jis ka chupana wajib hay nazar aaye to jayez nahi hay laikin agar maslan face ho jis ka chupana wajib nahi hay to phir koi haraj nahi hay.
3) Yeh takbeeraat qiyam kee halat mein honi chahiye. Agar harkat kee halat mein takbeer keh de jayen to yeh takbeer shumar nahi hogi laikin namaz batil nahi hogi.
Ref: Istiftaat A.Sistani
Question: Salam Alaikum mera sawal yeh hai k platinum k jisko white Gold kaha jata hia pehnnna jaiz hai k nahi
Answer:
Salam un Alaikum
Platinum sona(Gold)nahi hai is lie is ka pehnna JAIZ hai
Ref:Mujtahid se Pooche Gay sawalat Book 1 Prob No 198
Question: salam un alike. barah e karam ya wazahat kar dxain k agar piles ki bemari ki waja sa agr maqam e pakhana sa khoon niakalty huay tangon pa lag jaiy tu kia insan napak hojata ha kia namaz ko baja lanay k liay pak hona zauri ha. Allah apki tufiqat mai mazeeed izafa karay.Shukriya
Answer: Agar piles (bawaseer) ki bemari ki wajah sa agar maqam e pakhana sa khoon niakalty huay tangon pay lag jaay tu taang ko paak kerna hoga.Laikin agar khoon kaprhay k os jagah per laga ho jo khoon likalnay ki jagah k qareeb ho, ya jism main maqam e pakhana or is k qareeb laga ho tu namaz k liay is khoon ko paak kerna zarori nahi ye maaf hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#838,839).
Question: keya nimaz main socks pehanana zruri hay?
Answer: Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: keya kimaz main black libas jaiz hay?
Answer: Mujtahideen nai namaz mai kala libas pehannay ko makrooh shumar kia hai magar Ayatullah sistani k nazdeek namaz mai kalay kapray k pehanna ka makrooh hona sabit nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 853)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya namaz main us waqt k jb koi bhi na mehram na ho phir b mozay pehnna wajib hai ? kya mozay pehnna wajib hain halat e namaz main jb koi kmray main akelay namaz ada ki jae??
Answer: Agar na mehram nah dekh raha ho to namaz ki halat me pao ka panjay (feet) ke oopar aur nechay k hissay ko zahir karna jaiz hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail pg # 265,Masla#502)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya aadhi baazu wali shirt mein namaz ho jati hai?
Answer:
Gee haan merd ki namaz hosakti hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #776 )
Question: Slam plz reply must 1 kea pent shirt ma nimaz ho jati ha 2 jnab mjy khuwab ma sanp Snakes bhot aty hn.taqreebun buchpan sa esa ho ra ha,kbi ma snakes sy drta ho or kbi unko mar dta ho,plz mjy is khuwab ke tabeer btain asa q hota ha
Answer:
1)Zaroori hai k mard chahae osay koi dekh nab hi reha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhanpain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tk badan bhi dhanpain. 2)Aur pent shirt mai namaz sahi hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 776 ,786)
2- Agar kala saanp dekha ho to is ki tabeer ye hai k hurat se dil shad(khush) hoga or agar korhiya sanp dekha ho to olad hogi. (kitaab tabeer nama allama pg:138). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Can namaaz be done by folding the pant and half sleve shirt is this acceptable
Answer: While offering prayers, a man should cover his private parts even if no one is looking at him, and preference is that he should also cover his body from the navel up to the knee. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2210). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: assala mu alaikum namaz me paint ke painche mood ke namaz padh sakte hai ya makroo hai full detail me batai please kuda hafiz
Answer: Merd k liay zarori he k wo namaz ki halat main apni sharamgaah ko dhaanpay(chopaay) chahay osay koe daikh bhi nah raha ho, or behter ye hay k naaf se ghutno tak badan bhi dhaanpay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 776). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia pent shirt ma namaz hoti hai ????
Answer:
1)Zaroori hai k mard chahae osi koi dekh nab hi reha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhanpain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tk badan bhi dhanpain.
2)Aur pent shirt mai namaz sahi hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 776 ,786)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia pent fold karne se namaz nahi hoti agar nahi to hadis ka hawala bhi digiye shukriya
Answer: Is se namaz batil nahe hote hai. Aur zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1113,776) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam, Kia pent fold kr k hm namaz ada kr skte hain
Answer: Libas ka pak hona zarori hai or tang libass main namaz parhna makrooh hai or fiqh jafaria k mutabik pent ko fold kr k namaz ho jati hai. aur namaz mai badan k dhanpnay k lie zaroori hai k mard chahae osay koi dekh bhi na raha ho namaz ki halat mai apni sharmgah ko dhanpain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tk badan bhi dhanpain. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #786,853, 776 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia jalay hue kapron me namaz hu skty he mne suna hai k nhi hu skty plz ap mjy iska jwb de dn agr huskty hai tu thk hw n agar ni huskty tu detail me bata den k q ni huskty
Answer:
1)Namazi k libaas main 6 sharait ka hona zarori hay, in 6 sharait main ye koe shart nahi k namazi ka libaas jala hoa nah ho.Laihaza namaz main jala hoa libas perhenna jaiz hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 786)
2)Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777)
Question: Kya Namaz Baghair Topi Kay adda Ho Jati hai
Answer: Fuqaha karaam nay chand chezain namzi k libaas main mustahab qaraar di hain jin main se tehtul hanak k saath amama bhi hay.Laikin namaz main topi ka pehenna mustahab sabit nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 852)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam o Alikum mera sawal hai k kis nay aap say ye sawal kia k kalay kapray penhana kaisa hai khas kar muharram me aap ka jawab tha k ye na pasandida fail hai... aap is ki reson bata k guid karain , kala golaf to kaba k b hai or hamary paisha imam b kala cover phenty hain namaz k time aap b phenty hain
Answer: Namaz main kale kaprhe pehenna makrooh nahi hay chahay ayyam e aza hoon nah bhi hoon.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, sawaal # ,84+ (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #853). Update on dated 05-03-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam - agar larki ya aurat ko mukamal hijab yani hatoon ka rafayadain kartay waqt (namza) main chupanay ka maloom na ho aur namazeen parh li hoon toh kiya sub ki qaza ada karni hoogi
Answer:
1)Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777)
2)Agar koi shakhs namaz k baad shak karay k doran e namaz is nai koi aisa kaam kia hai ya nahi jo namaz ko batil karta hai to o ski namaz sahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1143 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Gilhari ki khal pehn kr namaz parhnay ka kia hokum hai?
Answer: Gilhari (squirrel) ki postan pehn kr namaz parhny mai koi haraj nahi hai laikin ehtiyat e mustahab ye hai k is k sath namaz na parhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 817)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ref question id #23814 (Ref : Ayatullah sistani(d.b),Tauzeehul masail, maslah # 853). Is maslay mai aqa sistani ne apna fatwa bayan nahi kia hai bal k dosray (mujtahideen) foqah e karam ka qoul naqal kia hai yani namazi k libas mai kalay libas ka makrooh hona dosray (mujtahideeb) foqah e karam k fatway k mutabiq hai ayatyllah sistani d.b. k mutabiq nhi hai. aqa aaasistani ka fatwa wohe hai jo bayan ho chuka hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Mere swal yeh ha main bohat confused hogaya hu ap es jawab k baad kia ye aqa sistani ka fatwa ha ya nahi?, Because agar unho ney dosray (Mujtahideen) ka qoul naqal kia ha toa es ka matlab yeh nahi ha k aqa sistani ka fatwa different ha, haan agar different ha to us ka reference kahan ha? un ka reference(Fatwa) kahan ha? mere pass unki official website english version main clear cut reference mojod ha ap parh sakte hain jis main makrooh cheezo ka zikar ha aur wo bhi kisi aur mujtahid k mutabiq nahi aqa sistani k mutabiq ha http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2211 Makrooh things Certain Items are Makrooh for the Dress of One who Prays: 874. To wear a black, a dirty, or a tight dress, or to put on a dress of a person who is a drunkard, or of one who is careless about najasat. Similarly, to wear a dress which has images printed or drawn on it, to keep the buttons open, to wear a ring which has images engraved on it. kindly meri rahnumai karain allah ap ko jaza de Regards Ali Raza
Answer: Kala libaas pehenna ayatollah sistani d.b k nazdeeq makhrooh hona sabit nahi hay. aap ne jo english tauzee ka reference diya hay wo tauzee ayatollah sistani d.b k puranay fatway k mutabiq hay ayatuulah sistani ka fatwa tabdeel ho chukka hay, aap new fatway k mutabiq urdu tauzee k tafar ruju karain. Aap is link ki taraf ruju ker saktay hain. http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/28.htm . (Ref: http://sistani.org/index.php?lang=urd). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia haf asteen me namaz ni parhna chiye or haf asteen me nam ho jae gi kia ? or pent ko flod kr sakte hen namaz ke waqt?
Answer: Namaz mai mard k lie zaroori hai k chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1113,776) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz main aurat ko kon kon say parts cover karnay chaiye aur agar namaz main shak ho k theek nhe parhi tu kia karna chaiye?
Answer:
1)Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777)
2)Agar koi shakhs namaz k baad shak karay k doran e namaz is nai koi aisa kaam kia hai ya nahi jo namaz ko batil karta hai to o ski namaz sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1143)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia red tshirt mein namaz hujati he??
Answer: Jee han red t shirt mai namaz ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1113-1143)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam ... qibla mera app sai sawal hai k kya Shorts (jangya) mein nimaz hoti hai ?? ghutnay chupay huway hon ... !!!
Answer: Zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. Laikin shorts mai namaz ho jati hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 776) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aassalmu alaikm,kia namaj kapra na pehne se hota hai ?
Answer: Zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #776) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kiya frmaaty hain olama ekaram es masalah k bary me. Agar aik admi k pass kapry ni hain to baghair kpry k namaz jayze hi k ni agar hi kitny hd ke qaid hi kpra na hony ke plzz jldi jawab dein
Answer:
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Jab insan k pas namaz parhnay k lie libas na ho to ehtiyat e mustahab ki bina par namaz mai apnay aap ko ghas phons aur darakht k paton sai dhanp sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 782)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar Kapde Par Khoon Laga Ho , Aur Namaaz Ka Waqt Nikal Raha Ho Th Us Soorat Mai Humien Kya Karna Chahiye ?
Answer:
Mard ko chahiye agr ose koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai (kamaskum) apni sharamgahon ko dhapen aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #776)
Agar kise k badan ya libas per dirham ki miqdaar se kam (insaan ka) khoon lag jaay to wo is halat me namaz perh sakta hai aur ehteyate wajib ye hai k dirham ki miqdaar anghote ki upper wali gerha k barabar samaje jaay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 835)
Agar kise k pass namaz ka waqt itna baqi ho jis me srif tayumum he kiya jasakta ho hatta k is k pass is qadar waqt bhi na ho jis me apne jisam se nijasat door ki jasake to aise surat me tayumum kar ke nijasat k sath namaz perhna jaiz hai.
Jab waqt itna kam ho k agar aik shakhs wazu ya ghusal kare to sare namaz ya is ka khuch hissa waqt k baad perha jasake to zarore hai k (namaz k lye) tayumum kare.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 664) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Someone said to me that namaz can not be offered in black cloths other than ayyaam e aza, is this true? kindly reply
Answer: G nahi black kapre pehnna makrooh nahi hai chahe ayyam-e-aza hon ya na ho. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se poochhe gaye sawalat , Part # 2, Ques # 02 (Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: salam Mera sawal ye hai ke mard kitne wazan chandi(silver) ki Ring Angoothi Pehn sakta Hai jawab inayat farmaien tahnks
Answer: Mard k lie sona ( gold) pehanna haram hai aur k sone ( gold) k ilawa dosere instrument maslan chandi ring istemaal karna jaiz hai (is men koi miqdar moyan nahi h).( ref: sistani .org, urdu, zenat, que, 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya ulta kapde me namaz hoti hai. . . Quran me iska zikar hai
Answer: G han koi harj nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 786 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: asslam alaikum ...mera sawal ye hai ke aur ya mard underwear pene bagai lungi ya sadi me ya kisi bhi kapdome agar namaz pade to hoti hai kya???
Answer: merd k liay zarori hai k namaz main apni Sharamgaah ko kisi bhi cheez say dhaanpay aur behtar ye hai k naaf say gutno tak badan bhi dhapain. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla#776)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam.alaikum.mera sawal.hai k kya bagir underwear k wuzu jayaz hai aur kya bagair underwear pehne namaz padh sakte jai
Answer: Wssalam o alykum, Wazo jaiz hai, Ager under ware ke ilawa pore kapre pehne hon to bger underware k bhi phar sakte hain(wajib miqdar namaz men badan ko chupane ki faqt sharamgaah ko chupana hai).(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # after 128 to 142 , before 517, eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kia orat ki nakab main namaz ho skti hy jb kh koe namahram bhe mojood na ho??
Answer: G han jaiz hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 777 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kia sar pe topi rakhy bina namaz ho jati ha k nai?
Answer: G han ho jaati hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #786 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mujy ap sy pochna hy k ma job karti hon kia kisi male coleague k samny namaz parhna jaiz hy ya nai
Answer: Agar koe fasaad na paida ho raha ho aur haraam me bhi mubtala hone ka khouf na ho to mukamal hijaab sherhe k saath jis me foots (peron) ko bhi na-mehram se chupaana zaroori hai namaaz perh sakte hai.(Ref: Ayatullah khoie Tauzeehul masail 31st edition, maslah #898 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agr mard ke hath aur kandhe pr kpda nhi hai maslan jab wo banyan pehna ho toh kya uski namaz jaiz hogi ya kndhe aur hath dhkna zaroori hai.
Answer: Merd k liay namaz main sirif sharamgaah chupana zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #776). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya namaz main Half Shirt pehn'ne se namaz zaya hojati hai
Answer: Merd k liay namaz main sirif sharamgaah chupana zarori hay. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #796). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kea larki ki namaz trouser tshrt mai hojati hai
Answer: Jaiz hay. Laikin zarori hay k aurat namaz k waqt apna tamaam badan hatta k sar or baal bhi dhannpay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #777). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam o alaikum, sir aurat apne jism ka kaunsa hissa namaz mai khula rakh sakti hai jisay na mehram se chupana zarori hai
Answer: Aurat namaz main faqat chahra, kalaeyo tak hath or takhno tak pao khula rakhsakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #777). Update on dated 30-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia namaz k doaran sar dhanpna zrori hy mard k lye??Kia topi sar py na leny sy namaz pakrooh ho jati hy kia?
Answer: Namaz k doran sar dhanpna wajib nahi hay, berhana sar namaz perhna nahi makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #863). Update on dated 10-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai namaz prh raha hota hon to meri billi jayenamaz pr a jati hai....kya namaz qubool hogi?
Answer: koe haraj nahi, Agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1, 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail jaame, part#1, maslah #995). Update on dated 13-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya without underwear k namaz ho jati h?
Answer:
Mard k liye zaroori hai chahay usay koi na bhi daikh raha ho namaaz ki haalat mai apni sharam gaah ko daanphay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 776).
[Updated on 31-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mazi kapry py lagny sa kapry napak ho jay ghy? Pher nmaz parny k lia us kapry ko dhona zaruri ho gha ya mazi lagi hua he kapro sa nmaz par sakty hn?
Answer:
Mazi paak hai or kaprho ko paak karnay ki zaroorat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 70).
[Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aoa mera ye sawal hai agar zyada mard ghar main hon to kia namaz ho jati hai
Answer:
Ji haan hojati hay lekin aurton k liay behtar hai keh namaz aisi jagah parhain jo namehram sy mehfoz ho. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 881)
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar billi wha so jae jaha quran or janamaz rakhi h to kya billi ko hata dena chahie ?
Answer:
Usay hatana zarori nahi hay or agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1, 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail jaame, part#1, maslah #995).
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar aurten bra yani shameez nahi pahne to kya namaz nahi hogi
Answer:
Namaz kay waqt Aurat apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur Ehtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaye, lihaza agar aurat chadar is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnoo tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahin hay laikin ye yaqeen hasil karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar dhaanp li hay zaroori hay kay chehray kay atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #777 ).
(Note: Is se namaz men koi faraq nahin parta, namaz sahi gi ).
[Updated on 13-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia paseene wale kapre mein namaz ho skti he? Mjhe bht paseena ata he baar baar nahana kapre badalna mushkil he..
Answer:
Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. aur pasine wala libas najis nahin hota lehaza pasine wale libas men namaz parhna saheeh hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #787).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salaam walekum Kya mard shorts pehen kr namaz parh sakty hai aur t-Tank shirt pehen kr bhi namaz parh sakty kia.
Answer:
Zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahon ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnon tak badan bhi dhapain. Aur shorts aur t shart mai namaz ho jati hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #776).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz k wqt sir pr kprey ki topi rkhna kesa hy rkhni chhaye ya nahi
Answer:
Koi haraj nahin hai, Rakh sakte hain, albatta Fuqaha e karaam(r.z.a) namazi ke taht-ul-hanak ke sath amama pehenne ko mustahab shumaar karte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #852).
[Updated on 11-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]