Showing 0- 44 questions from 44 questions on this page.
Question: A.O.A mera swal ye hai k hum zuhrain or maghrebain k lye ek ek azan q dety hen jo k hum tanqeed ki wja ban gya ha or jama slawtain ka Quran se koi refernce hai to wo b btaieye... dua go... mohsin ALI HAQ . . .
Answer:
1) Aam suratoon me jab k namazi mushtarak waqt rakhnay wali do namazoo ko pay dar pay(aik k baad aik) ada karay, agar is ne pehli namaz k lie azan kahi ho to to bad wali namaz k lie azan saqit he.in soratoon main azaan saqit honay ki shart ye hay k do namazo(yani zohor or asr ya maghrib or isha) k dermiyaan ziyada faasla nah ho laikin nafil namaz or taqibaat perhnay se koe faraq nahi perhta(yani ye kaam faasla shumaar nahi hotay) or ehtiyaat e wajib ye hay k in soratoon main azaan mashroo,eyat ki niyat se (shariyat ka hokum samjh ker) nah kahi jay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 909).
2)Quran ki sorah e bini isra,eel(sorah#17) ki ayat#78 main jama salatain ka zirk khuch is terah kia gaya hay k “Aap zawaal e aaftab se raat ki tareeki tak namaz qaaim karain or namaz e subah bhi k namaz e subah k liay gawahi ka intezaam kia gaya hay”. (Ref: Allama zeshan Hiader jawadi k tarjuma e quran ka pg#613)
1st Note: wazeh rahay k Quran e kareem ne namaz k 3 hi awqaat biyaan kiay hain. 2 namazo ko zawaal e aaftab se wabasta kia hay or 2 ko tareeki e shab se or 1 ko fajar se layhaza 3 awqaat per ayteraaz kerna naa waqifiyat ki wazeh daleel hay. (Ref: Allama zeshan Hiader jawadi k tarjuma e quran ka hashiyah ka bayaan, pg#613)
2nd Note: yaad rahay k kisi ko razi kernay ki khatir hokum e khuada ko tabdeel nahi kia jaskta.her cheez ko Islam per qurban kia jasakta hay laikin islam ko kisi cheez per qurban nahi kia jasakta. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam magreeb ki azan kitni dere take de sakte hai 10 mintes take de sakte hai
Answer:
Zarori he k azaan aur iqamat, namaz ka waqt daakhil honay k baad kahi jay or maghrib or isha ki namaz ka waqt mukhtaar shaks(jis ko koe majobori nah ho) k liay aadhi raat tak rehta hay is liay jab tak maghrib or ish ki namaz ko os k waqt k andar perhna mumkin ho tu os waqt maghrib say pehlay azaan or iqmat kahi jasakti hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #723-4, 922). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: azan ka massla
Answer:
1)Har mard aur aurat k liay mustahab he k rozana ki 5 wajib namazoo se pehlay azan aur iqamat kahay .or aisa kerna dosri wajib or mustahab namazo k liay mashro nahi(bid’at/haram) hay.laikin eid e fitr or eid e qurban say pehlay jabkeh namaz ko baa jama’at perhain tu mustahab hay keh 3 mertaba “as salaah” kahain.
2)Azan 18 jumlo per mushtamil he aur iqamat 17 jumlo per mushtamil he.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 903-906)
Question: azan ka sahi jawab dene ka tareeqa kia hai
Answer: Agar koe shakhs kisi doosray ki azaan jo ai’laan ya jama’at ki namaz k lie kahi jaay sunnay to mustahib he k is ka jo hissa sunnay khud bhi ose aa’hista aa’hista dhoraay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 914) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: DURING MAJLIS AGAR AZAAN HO RAHI HAI TO TAQREER KO ROK DENA CHAHIYE YA NAHI
Answer: Agar koi shaks kisi dusray ki azan jo aylaan ya jamaat namaz k liay kahi jaey,sunay tu mustahab hai k uska jo hissa sunay khud bhi ahista ahista dohraeay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #914). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam..mera do sawaal h: 1) kia agr asar aur isha ki namaz se pehle aqamat ada kr di jae o sahi hoga ya phir usse pehle zuhr ya maghrib mai azan aur aqamat dno dena zaroori h? 2)kia aap mjhe wajib hijaab ki sharait bata skte h? agr koi aurat abaya ya coat na pehne lekin apne aap ko dupatta se mukamal dhanp le to kia yeh jaiz h? aur agr uska libas colored ho to kia hukm h? kia hijab mai jagah k hisaab se uska andaaz badla jaskta h? maslan market area mai abaya pehn li jae aur ksi k ghr jana hot dupatta pehn lia jae....pls mjhe iska answer zaroor de ga
Answer:
1)Rozana ki wajib namazo se phele azan aur aqamat khena mustahab hai.
2)Tamaam surato me jab k namazi mustarak waqt rakne wali do namazo(zohar aur asar, maghrib aur isha ) ko aik k bad aik foran ada kare to agar phele namaz k lie azan kehi ho to dosere namaz k lie azan saqit hai(yani na de). Maslan agar zohar k lie azan kehi ho to asar k lie azan nahi dai aur agar maghrib k lie azan kehi ho to isha k lie azan na dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 903, 909)
3)Aurat ko caheay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupay laikin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaion tk hath khulay rakh saklti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khof ho ya is mard ko hath aut chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib ahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2399)
4)Rangeen libas mai aurat apnay khad o khal(look) ko chupanay ki shart k sath rangeen libas pehan sakti hai aur aurat ka har zinat ko chupana wajib nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 142,pg # 64)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal ha ke azan ke waqat bat karna mana ha ya nahi .yani apas me ghar me bhi bat karna mana ha ya nahi thanks
Answer:
Agar koi shaks kisi dusray ki azan jo aylaan ya jamaat namaz k liay kahi jaey,sunay tu mustahab hai k uska jo hissa sunay khud bhi ahista ahista dohraeay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #914). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: Doran e azaan baat kerna jaiz hay laikin mustahab hay k azaan k nkalimaat ko dohraya jaay.
Question: azan bagar wazoo ho sakti hai ya nhi tfsil bayn kary
Answer: Mustahab hai k azan kehtay waqt insan wazoo ya ghusl ki halat mai ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 925)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz e tahajud ke liye speaker main aazan dena kaisa hae
Answer: Namaz tahajjud me azan o akamat nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 903) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aoa ... mera question hai k kya women azaan k foran baad namaaz parh skti hain ya aqamat k baad parhain???
Answer: Mard or orat k liye mustahab hai ke rozana ki wajib namazo se pehle azaan o iqaamat kahe. Or esa karna dosri wajib ya mustahab namazo k liye mashroo(yani jaiz) nahi hai. Iqamat kehna wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 903 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: MAIN SUADI RAHTA HO AZAN AUR IQAMAT KE LIY BAAT KI TAQRARR HOGI
Answer: Azan o Iqamat wajib nahi balke mustahab hai. Namaz k liay alag se sahi azan o Iqamat kahi jain sunni azan o iqamat kafi nahi hay.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 903 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Salamun Alaykum Kya mummaiz bachcha azan aur iqamat kah sakta hai aur kya uski azan namaze JAMAAT me dusre logon ke liye kafi hogi? Shukriya
Answer: Wssalam o alykum, Azaan kafi hai, lekin ehtiyat ki bina iqamat dene wale ko balig hona chahiye.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , topic # Azan o Aqamat ki sharait main 2 or 3 shart , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: HELLO ASSLAMUALAIKUM JANAB MERA SAWAL YE HAI KI AZAN TEZI SE MERA MATLAB LOUDLY KYO HOTI HAI KYA VAZAH HAI ISKI YE JARUR BATAYE
Answer: Wssalam o alykum, ager ap Azan ke loud speaker per hone ki waja pochna chahte hain to ye logo ki zarorat ke lehaaz se hai, kun ke Shariat e Muqaddasa main is ka loud speaker per hona or na-hona dono jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 925 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: mozin ka adil hona kia hai
Answer: Mustahab hai k jis shaks ko azaan dene per muqarar kiya jaay wo aadil ho. Laikin azaan dene k lie aadil hona zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #928). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: As Salam , kon kon c azazn k waqat uth k beathna chahiye,
Answer: Jo shaks kisi ko azaan o iqamat khete sune to mustahab hai k jitna hissa sune utna hissa (khud bhi ) khe. laikin azaan k waqt uth k baitna zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #926). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: السلام علیکم جمعہ کے دن دو اذانیں کیوں دی جاتی ہیں اور کب سے شروع ہوئی
Answer: Jumme k din ki dosiri azaan bidat (sharhan jaiz nahi) hai aur ye wohi azaan hai jise aam tour per teseri azaan ka naam diya jata hai. (Ref: Ayatullah khoe r.h Tauzihul masael, maslah #741 ). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Azan or aqamat kehna zaruri hai? If yes tou us main kia kehte hain?
Answer: Azan o iqamat mustahab hain. Or azan o iqamat k liay is link http://www.sistani.com/urdu/book/61/3637/ per click karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #903). Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sunni aur shia azaan alag kyun hai?madine me to sunni azan hoti hai to nabi s.a.w.w ke zamane me bhi to sunni azan hi hoti hogi.
Answer: Shia hazraat nabi s.a.w.w or on k ehl e bait a.s k bataey hoay raaste ki pairwi kerte hain or qiyaas ko deen main dakhil nahi kerte, sunnat e nabi s.a.w.w or sunnat e ehl e bait a.s or degar ashaab e paighaber bhi osi azaan ko kaha kerte thay jo aaj kal shia hazraat kehte hain. Mazeed tafsilaat k liay aap is lin per click karain. (Ref: http://www.sadeqin.net/ur/shobahat.php?mod=4&id=25 ). Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal hai kia ladies namaz say pahle azan o aikamat parh sakti Hain ya nahi?? Kia ladies k liye parhna zrori hai????
Answer: Mard or orat k liay mustahab hay keh rozana ki wajib namazo k liay azan kahain. Ref: (Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 903 ) Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Azan ka jikr Quran me kounse surat me aur kounsi aayat me diya hai aur koi aur hadis me bhi iska jikr hai kya
Answer:
Surah maaida ayat#58, surah juma ayat#9, in ayaat main azaan ki taraf ishaara kia gaya hai is k alawaa ahadees main tu mufassal tour par azaan ko bayaan kia gaya hai, Riwayaat k mutaalay k liye kitaab wasaelush shia ki taraf rujoo karein.
[Updated on 15-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaj padte waqt kisi dusri masjid ki azaan ho to kya namaj jari rkhe Jwab kese de
Answer:
Azaan ka jawab dena wajib nahi hai lehaza aap par laazim hai k namaz ko jaari rakhain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 914).
[Updated on 24-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it important to listen to Azaan and then offer prayers?
Answer:
jee nahi namaz sai pehle azan o iqaamat mustahubaat mai sai hai in k baghair bhi namaz ho jati hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 903)
[Updated on 14-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal hai k Ghar mein Zohrain ki namaz me jab zohar ki namaz parh li jaye to kya asar parhne se pehlay iqamat ka parhna zaroori hai?
Answer:
Iqaamat zaroori nahi mustahabbat mai sai hai agar kisi bhi namaz sai pehle na kahi jaey tu namaz sahi hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail aytaullah seestani edition 41 maslah#903)
[Updated on 19-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Farz namaz ghr me pharne me iqamat pharna lazmi ha or kya baghir papers ke ghr me namaz qabul ho sakhti hai
Answer:
har mard aur aurat ke liay mustahab hai keh rozana ki wajib namazon se pehle azan aur aqamat kahe aur aisa karna dosri wajib ya mustahab namazon ke liay mashroo nahi.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Maslah#903).
[Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اذان Ú©Û’ غلط Ûونے کا نماز پر کیا اثر پڑتا ÛÛ’
Answer:
Azan k ghalat hone se namaz batil nahi hoti. (mafhoom e masla) (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 903).
[Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hm pehli saff k left end ya right end py khary ho kar iqamat keh skty hen ??
Answer:
Keh saktay hain.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Maslah#903).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Rozana ki namaz me azan aur eqamat ka kya hukm hai
Answer:
har mard or aurat k liye rozana ki wajib namazon sai pehle azan or aqaamat ka kehna mustahab hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 903).
[Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal he ke agr fajar ka waqt ho jai or azaan na ho tou kia hum azaan se pehle namaz parh sakte hen
Answer:
Agar fajar ka Sharee waqt dakhil hone ke baad or Azaan se pehle fajar ki namaaz pharhi jaae to namaz sahi hai, lekin ager Sharee waqt dakhil hone se pehle namaz pharhi jaae to namaaz batil hai. aur Namaz sai pehle azan o iqaamat ka kehna mustahab hai in k baghair bhi namaz ho jati hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani edition # 39 maslah # 729,903)-
[Updated on 07-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ma na ghusla janabat ke halat main nomolud bacha ka kaan ma azan da de ha. Kia kia jay ab. Plz rahnumai farmay
Answer:
Taharat ke bager azan o iqamat kahi ja sakti hai, azan o iqamat ke liye taharat ka hona zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315,356,904).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ladki ki rukhsati ke waqt azan dene ka kya hukm hai
Answer:
Sharaei taur par is ka koi hukum nahin hai. Q ke Azan o Iqamat ka do mawarid men kehna mustahab hai.
1. Har mard or aurat k liye rozana ki wajib namazon sai pehle azan or aqaamat ka kehna.
2. Bache ki pedaish ke pehle din ya naaf ukharne se pehle us ke daain kaan men azan or baain kaan men iqaamat kehna.
(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #, maslah #903,904).
[Updated on 16-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Mera sawal ha k aqamat Kon parh skta ha mean k koi Jawan ya bazurg ya Jo phly aajay aqat wali jaga py please rehumai farmyiye
Answer:
Azan dene ke liye baaligh hona shart nahin hai, yani mumayyiz bacha (jo ache, bure ko samajhta ho), or jawan, or buzurg sab azaan de sakte hain.
Albatta Iqaamat kehne men baaligh hona shart hai, yani Ehtiyat e lazim ki bina par mumayyiz bachay (jo ache, bure ko samajhta ho) ki Iqaamat dena kafi nahin hai balkeh zaroori hai hai ke baaligh Iqaamat de chahe wo jawan ho ya buzurg is men koi farq nahin hai aur is men bhi koi farq nahin hai ke Iqaamat agli saf men khare ho kar kahi jaye ya bad wali saf men. yani koie bhi desakta hay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, page #216).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ایک اذان بولنے سے کتنا ثواب ملتا ہے
Answer:
Jo shaks azan o iqamat k sath namza perhe tu os k peeche malaeka ki itni taweel saf namaz ada karti hay keh saf ka aakhri sira nazar nahi aata, or jo shaks iqamat k sath namaz perhe tu os k pechae farishta namaz perhta hay.(Ref: Sawabul amaal o iqabul amaal, sheikh sadooq pg#39)
[Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA, mera sawal ye k ek no molood bache ko beemari ki wajh se bina ghusal k Azaan o aqamat de sakte hn?
Answer:
jee bilkul dee jaasakti hai is mai koi harj nahi.(Ref:https://www.sistani.org/arabic/qa/02003/).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr office ma azan ki awaz nahe aa rhe, tu kya ham hod azan dy sakty hain?
Answer:
Har mard or aurat k liye rozana ki wajib namazon sai pehle azan or iqaamat ka kehna mustahab hai. Laikin wajib nahe hay ,is ke begaire be namaz hosakte hay ,lehaza agar office ki taraf se koi mana nahin hai azaan di ja sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #903).
[Updated on 20-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy k kan ma azan Dana bhol gay hoon Tu Kia nuksan Hoga???
Answer:
Bache ki pedaish ke pehle din ya naaf ukharne se pehle us ke daain kaan men azan or baain kaan men iqaamat kehna mustahab hai. Agar azaan or iqaamat na kahi jaye to is se nuqsan nahin hoga.
(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #904).
[Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz ke aalawa kitni jagaho par aazan dena mustahab he
Answer:
Azan or Iqamat do jagahon par kehna mustahab hai.
1. Har mard or aurat ke liye rozana ki wajib namazon se pehle Azan or Iqamat ka kehna.
2. Bache ki pedaish ke pehle din ya naaf ukharne se pehle us ke daain kaan men Azan or baain kaan men Iqamat kehna.
(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #, maslah #903,904).
[Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Iqaamat k bad namaz foran parrna chaie hai ya nasihat karsaktay hain..k line waghaira tik karay ???
Answer:
Is tarah ka amal kiya jaa sakta hai lekin Iqaamat aur namaz ke darmiyan ziyada faasla nahin hona chahiye, lekin agar Iqaamat aur namaz ke darmiyan itna faasla ho jaye ke wo Iqaamat us namaz ki Iqaamat shumaar nah ho to Iqaamat baatil ho jaye gi.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #920).
[Updated on 05-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia azaan khoobsurat awaaz me deni chahie
Answer:
Khoobsurat awaz me Azan dena Jaiz hai, Albatta agar Azan aur Iqaamat mein awaaz ko gale mein ghumaye aur kaifiyat yeh ho ke gina ho jaye yani is tarah kahe jaisa ke lahu-o-laib ki mehfilon mein awaaz nikaalne ka dastoor hai to woh Haram hai aur agar gina na ho to makrooh hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #908,925).
[Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy k kaan m azaan deny k shrait kia h
Answer:
Bache ki pedaish ke pehle din ya naaf ukharne se pehle us ke daain kaan men azan aur baain kaan men iqaamat kehna mustahab hai.
(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #904).
[Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy k kaan m azaan deny k shrait kia h
Answer:
Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia qaza namaz baghair Aqamat k parhi ja sakti Hy
Answer:
Jee han, parhi jaa sakti hai, balke ada namaz bhi Iqamat ke baghair parhi jaa sakti hai. Q ke rozana ki wajib namazon se pehle Azaan o Iqamat kehna wajib nahin balke mustahab hai aur mustahab amal ko jaan boojh kar baghair kisi majboori ke chhorha jaa sakta hai.
(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #903).
[Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia qaza namaz baghair Aqamat k parhi ja sakti Hy
Answer:
Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Eid ki namaj me iqamat kab kahi jayegi
Answer:
Har mard aur aurat ke liye mustahab hai ke rozana ki 5 wajib namazon se pehlay azan aur iqamat kahay aur aisa karna dosri wajib ya mustahab namazon ke liye mashro(مشروع) nahin (balke bidat/haram) hai. lekin eid e fitr aur eid e qurban se pehlay jabke namaz ko baa jamaat parhen to mustahab hai ke 3 martaba “as salaah (الصلاۃ)” kahen.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #903).
[Updated on 09-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aoa...aqamat is compulsory in every namaz...whether it is wajib or nafal? by ayatullah sistani
Answer:
Har namaz ke liye nahin hai balke faqat rozana ki 5 wajib namazon se pehlay azan aur iqamat kehna mustahab hai aur aisa karna dosri wajib ya mustahab(nafil) namazon ke liye mashro(مشروع) nahin (balke bidat/haram) hai. lekin eid e fitr aur eid e qurban se pehlay jabke namaz ko baa jamaat parhen to mustahab hai ke 3 martaba “as salaah (الصلاۃ)” kahen.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #903).
[Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]