Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Sajda (74 Questions)


Showing 0- 50 questions from 74 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1742
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: namz me sajad-e-gah kiu rakhta hein plz ans in detail.

Answer: bismehi taala, namaz me sajda zameen ya us se ugne wali ashya par hona chahiye, khane aur phenane wali ashya par sajda karna saheen nahi he, aaj k dor me chunke ghar, masajid aur hall wagera me qaleen, farsh ya carpet wagera bichhe hote hai jin par sajda karna saheen nahin he, is liye khak ki sajdah gah se istefada karna chahiye aur chunke sajde ki jageh khas tor par pak hone chahiye is shart par amal k liye yahi sajdah-gah par sajda karna sab se aasan rasta he, han turbate karbala par sajda karna sab se afazal he. (ref: www.sistani.org (urdu) topic: sajda q.29)

Print

Id:
2468
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Assalam o alaikum wa rehmat ullah wa barakatahoo. I am staying in Saudi arabia and often pray in mosque with Ahle sunnat. Can I pray on the carpet without using Turbah, and weather my prayers are valid? Afriend of mine has to pray due to his office politics, but he says that he only do acting and prays again after reaching his home. What is fiqahai position in this matter. May Allah subhan wo talla reward you for your services to brothers in Islam.

Answer: Sijdah sirif turbah hi per wajib nahi balkeh or bhi bohat see chezain hain jin per sijdah jaaiz hay.sijdah zameen per kerna sahi hay or her os cheez per kerna sahi hay jo zameen say ugti hon,laikin insaan nah tu osko khaatay hon ,nah pehentay hon or naahi wo maadniyaat(minerals) main say ho.maslan mitti(sand),lekri(wood),darkht k pattay (leaf),sang e marmar(marble),patthar(stones),aqeeq(stone for finger ring), ghaas (grass),cement floor,kaagaz(paper) etc.
Agar aap taqayyah mehsoos karain or incheezon main say kisi cheez per bhi sijdah kena mumkin hi nah ho, tu aap carpet per sijdah kerlain hain.
(ref: Ayat ullah Khamnaie,tale mul ehkaam,Pg 144,145).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2552
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Sajde mai Allah kay kisi aur ism ki tasbeeh ki ja sakti hai for example subhana rabi al rehman wabay hamdaihi

Answer: Sijday main subhaa nallah(chota zikr) 3 mertabah ya subhaana rabbi yal a’alaa wabihamdih (berha zikr) 1 mertabah perhna zarori hay,behtar ye hay k yehi zikr perhay jaain,laikin koe bhi zikr perhna kaafi hoga,laikin ehtiyaat e laazim ye hay k itni hi miqdaar main ho jitna k btaya gaya hay.maslan 3 mertabah “allaaho akbar”, ya 1 mertabah “subhaana rabi yal rahmaani wabihamdih”.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzee hul masail, maslah#1036).

Print

Id:
4043
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Quran e pak k sjdey ada karney ka kya tariqa ha.

Answer: 1)Quran Majeed ki 4 sortoon main wo ayaat maujood hain jinkay sunnay aur parhnay par foran sajda karna wajib hojata hay wo ayaat ye hain: Sura Sajda Ayat 15,Sura Fussilat Ayat 37,Sura WanNajm Ayat 62 aur Sura Alaq Ayat 19.Jab insaan Quran Majeed ka Wajib Sajda karnay k Iraday say Peshaani Zameen par rakh day to Chahay wo koe zikr na bhi parhay tab bhi kaafi hay aur zikr ka parhna behtar hay.aur mustahab zikr k liye Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1086 ki taraf rujoo karain.
2)Ethiat e wajib ye he k quran majeed k wajib sajday me insane apni peshani aisi jigha rakhay jis per sajdah karna sahi ho aur ethiat e mustahib ki bina per badan k doosray aazah zameen per is terha rakhay jis terha namaz k silsilay me bataya gya he. .(Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1080,1086.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4844
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam. mera sawal yeh ha k namaz padte wakt sajda gah k jis side par kuch lika ho jese(YA HUSSAIN A.S) ya masjid bana ho, par sajda kar sakte ha ya sajdah gah ko olta rakna wajib ha? thanks

Answer: koi harj nahei he. (ref : Ques no 3 http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1132.)

Print

Id:
5869
Mujtahid:
sastani sahab Date:

Question: Asallam u alaekum janab! Main ny puchna tha k sadja gah keun rakhi jati hy aur es ki koe hadees ki reference dain aur sajda masjid main pari dariyo py keun nhi hota halan k wo masjid main pari hoti hy aur mukamal pak hoti hain

Answer: 1)Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472).
2)Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo kaa,e or pehni nah jati hoon or zarmeen se ugti hoon, maslan lerkrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay.or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9869
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: Sallam, mera sawaal ye hy k agar koi shaks Quran Majeed ki ek Surah yaad kar raha hy us main sajda bhi aa jata hy(jesa surah Alaq) to jitni dafa usy yaad karny k lie parhy ga utni dafa sajda wajib ho ga ya ek hi sajda kaafi hoga???

Answer: Wssalam o alykum, 1 sajda kafi nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1081 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
9892
Mujtahid:
Date:

Question: sajdai mein insan k ketne or kon kon se aazah k zameen per hona zarori hai?

Answer: Namaz main sajday ki halat may wajib hay k 7 aazah zameen par rakhain. 1) peshani 2,3) donoo hatailiyaan 4,5) donoo guthnay aur 6,7) donoo poun(legs) k anghotay. Ethiyaat e wajib ki bina par peshani se murad peshani ka darmiyani hissa hay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1032) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9893
Mujtahid:
Date:

Question: sajdai mein insan k kitne or kon kon se aazah k zameen per hona zarori hai?

Answer: 1 – peshani ka dermiyani hissa, 2 – dono hateelliyaan,3 – dono guthne 4 – dono paao ke angothe. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1032 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10880
Mujtahid:
Date:

Question: shia sajda gha rakh ke namaz parhty hain .mera sawal hai ki sajdy gha se namaz ho sakti hai ya nahee aur sajday gha rakha kuin zaroori hai...

Answer: Sajda chand chezo per sahi hai, un main se ik sajde gaah hai, 1 – zameen per 2 – un chezoo per jo khai or pehni na jati hon or zameen se ugti hon.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1063 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
13336
Mujtahid:
Sistani Sahb Date:

Question: slam kea sjda gah nimaz ma rakhana zrori ha, baz oqat jab ma ehl suant ke misjad ma nimaz purhta ho to sjda gah ne rakhta q k mjy shram ati ha ,kae mri nmaz ho jati ha? 2

Answer: 1- Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo kaa,e or pehni nah jati hoon or zarmeen se ugti hoon, maslan lerkrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay.or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070)
2- Agar aap ne sirif sharam ki wajah se namaz main paishani ko aisi jaghah rakha jis par sajdah kerna sahi nahi hota, tu aap ko apni namaz dobara ada kerna hogi, laikin agar aap ne apni paishani khajoor ya serkanday se bani hoe chata,e par rakhi ho ya concrete ya mosaic par ya aisi hi kisi cheez par jis par sajda sahi shumaar hota hay tu aap ki namaz sahi thi.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1059) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13484
Mujtahid:
Date:

Question: assalamu alaikum.mai her namaz ke baad sajda ker ke dua kerta hu.aaj aisa hogaya ke mai zuhur ki namaz ke bad sajda kiya to imam sahab ne mujhe mana kiy aur farmaya ke fajr aur asr ke bad sajda kerna haram hai please quran aur hades ki roushni me meri madad kare.allah hafiz

Answer: Mustahab hay k her namaz k baad sajdah e shukar bja laya jay or itna kaafi hay k shukar ki niyat se paishani zameen par rakhain.laikin behter ye hay k 100 dafa ya 3 dafa ya 1 dafa “shukran lillaah” { شُکراً لِلّٰہ} ya “afwan”{ عَفْوًا} kahain or ye bhi mustahab hay k jab bhi koe naimat milay ya musibat tal jay tu sajda e shukar bja lain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1110).
Note: is fatway se ye baat bilkul wazeh hojati hay k har namaz k baad or her naimat k milne or her musibat k door hojane k baad sajdah e shukar bjana lana mustahab(sawaab) hay.or sajdah e shukar kerna kisi bhi waqt mana nahi hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14314
Mujtahid:
Ahle tashih Date:

Question: Ahle tasheh namaz parte waqt sar ke niche tiki q rakhte heen

Answer: Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo khae or pehni nah jaati hoon or zameen se ugti hoon, maslan lakrhi, darakhtoon k patto ghaas or bhosa per sajda kerna sahi hay. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1063)
Sajday k liay khaak e shifa sub cheezo se behter hay, os k baad matti, matti k baad pather or pather k baad ghaas hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1070).
اب ہم چند ایسی احادیث ذکر کرتے ہیں جو اس بارے میں پیغمبراسلامۖ کی سیرت کو بیان کرتی ہیں یہ حدیثیں اس بات کو بیان کرتی ہیں کہ آنحضرتۖ خاک پر اور زمین سے اگنے والی بعض چیزوں جیسے چٹائی وغیرہ پر سجدہ فرماتے تھے اور آج شیعہ بھی اسی چیز کا عقیدہ رکھتے ہیں بہت سے مسلمان محدثین نے اپنی صحاح ومسانید میں آنحضرتۖ سے نقل کیا ہے کہ آپۖ نے زمین کو اپنے لئے سجدہ کے عنوان سے پہچنوایا تھا آنحضرتۖ فرماتے ہیں:
'جعلت لی الأرض مسجدًا و طھورًا'(سنن بیہقی جلد١ ص ٢١٢(باب التیمم بالصعید الطیب)صحیح بخاری جلد١ کتاب الصلوة ص٩١ اقتضائ الصراط المستقیم (ابن تیمیہ) ص ٣٣٢(.
زمین میرے لئے جائے سجدہ اور پاک کرنے والی قرار دی گئی ہے.
اس حدیث میں لفظ 'جعلت 'قانون گزاری کے معنی میں ہے اس سے یہ بات واضح ہوجاتی ہے کہ یہ مسئلہ دین اسلام کی پیروی کرنے والوں کے لئے ایک حکم الہی ہے اس حدیث سے خاک، پتھر اور ہر اس چیز پر سجدے کا جائز ہونا ثابت ہوتا ہے کہ جس کو زمین کہا جاسکے.
بعض دوسری روایات اس نکتے پردلالت کرتی ہیں کہ پیغمبر اسلامۖ نے مسلمانوں کو حکم دیا ہے کہ سجدہ کرتے وقت اپنی پیشانیوں کو خاک پر رکھا کریں جیسا کہ
زوجہ پیغمبرۖ ام سلمہ آنحضرتۖ سے روایت کرتی ہیں کہ آپ نے فرمایا:
'ترِّب وجھک للّہ'(کنزالعمال جلد٧ ص ٤٦٥ حدیث نمبر ١٩٨٠٩ کتاب الصلوة السجود و مایتعلق بہ.)
اللہ کے لئے اپنے چہرے کو خاک پر رکھو.
اس حدیث میں 'ترب' کے لفظ سے دو نکتے سمجھ میں آتے ہیں ایک یہ ہے کہ انسان کو سجدہ کرتے وقت اپنی پیشانی کو خاک پر رکھنا چاہیے دوسرا نکتہ یہ ہے کہ 'ترب' صیغہ امر ہے لہذا خاک پر سجدہ کرنا واجب ہے.
٣)خود آنحضرتۖ کا عمل بھی خاک پر سجدے کے صحیح ہونے کا بہترین گواہ ہے وائل بن حجر کہتے ہیں:
'رأیت النب ۖ اِذا سجد وضع جبھتہ و أنفہ علیٰ الأرض'((٢) احکام القرآن (جصاص حنفی جلد٣ ص٢٠٩ باب السجود علی الوجہ)
میں نے پیغمبر ۖکو دیکھا ہے کہ جب آپ سجدہ کرتے تھے تو اپنی پیشانی اور ناک کو زمین پر رکھتے تھے.
انس بن مالک اور ابن عباس اور آپۖ کی ازواج جیسے عائشہ اور ام سلمہ اور بہت سے محدثین نے اس طرح روایت کی ہے:
'کان رسول اللّہ ۖ یصل علیٰ الخمرة'(سنن بیہقی جلد٢ ص٤٢١ کتاب الصلوة علی الخمرہ.)
رسول خدا ۖ چٹائی پر نماز پڑھتے تھے (ایسی چٹائی جوکہ کھجور کی پتیوں سے تیار کی جاتی تھی)
پیغمبر اکرمۖ کے صحابی ابوسعید کہتے ہیں کہ:
'دخلت علیٰ رسول اللّہ ۖ وھو یصل علیٰ حصیر'(سنن بیہقی جلد٢ ص٤٢١ کتاب الصلوة علی الخمرہ.)
میں رسول خداۖ کی خدمت میں حاضر ہواتو اس وقت آپ چٹائی پر نماز پڑھ رہے تھے .
یہ بات شیعوں کے نظرئیے کے صحیح ہونے کی گواہی دیتی ہے کیونکہ وہ بھی یہی کہتے ہیں کہ زمین سے اگنے والی ان اشیاء پر سجدہ صحیح ہے جو نہ تو کھائی جاتی ہوں اور نہ ہی پہنی جاتی ہوں.
٤)پیغمبر اسلامۖ کے اصحاب اور تابعین کی سیرت اور ان کے اقوال بھی اس بارے میں آنحضرت کی سنت کو بیان کرتے ہیں :جابر بن عبداللہ انصاری کہتے ہیں :
'کنت أصل الظہر مع رسول اللّہ ۖ فأخذ قبضة من الحصاء لتبرد ف کف أضعھا لجبھت أسجد علیھا لشدة الحرّ'(سنن بیہقی جلد١ ص٤٣٩کتاب الصلوة باب ماروی فی التعجیل بھا فی شدة الحر.)
جب میں رسول اللہ ۖ کے ساتھ نماز ظہر پڑھتا تھا تو اپنی مٹھی میں سنگ ریزے اٹھا لیتا تھا تاکہ وہ میرے ہاتھ میں ٹھنڈے ہو جائیں اور انہیں سجدہ کے وقت اپنی پیشانی کے نیچے رکھ سکوں کیونکہ گرمی بہت شدید تھی.
اور پھر خود راوی نے اس بات کا اضافہ کیا ہے کہ اگر اپنے کپڑوں پر سجدہ کرنا جائز ہوتا تویہ سنگریزوں کے اٹھانے اور انہیں سنبھالنے سے آسان تھا .
ابن سعد (وفات ٢٠٩ ھ) اپنی کتاب 'الطبقات الکبری' میں یوں لکھتے ہیں:
'کان مسروق اِذا خرج یخرج بلبنةٍ یسجد علیھا ف السفینة'('الطبقات الکبری'جلد ٦ ص٧٩ طبع بیروت مسروق بن اجدع کے حالات کو بیان کرتے ہوئے.)
مسروق ابن اجدع جس وقت سفر کے لئے نکلتے تھے تواپنے ساتھ ایک کچی اینٹ رکھ لیتے تھے تاکہ کشتی میں اس پر سجدہ کرسکیں .
مسروق بن اجدع پیغمبرۖ کے تابعین اورابن مسعود کے اصحاب میں سے تھے،
کتاب 'الطبقات الکبری' کے مؤلف ان کے بارے میں تحریر کرتے ہیں:
' وہ پیغمبر اکرمۖ کے بعد اہل کوفہ میں سے طبقہ اول کے لوگوں میں سے تھے اور انہوں نے ابوبکر ، عمر، عثمان، علی اور عبداللہ بن مسعود سے روایتیں نقل کی ہیں .'
اس کلام سے یہ بات واضح ہوجاتی ہے کہ مٹی کی سجدہ گاہ کا ہمراہ رکھنا ہرگز شرک یابدعت نہیں ہے کیونکہ صحابۂ کرام بھی ایسا کرتے تھے .( اس سلسلے میں مزید شواہد کے لئے علامہ امینی کی کتاب 'سیرتنا' کی طرف مراجعہ فرمائیں.)
نافع کہتے ہیں :
' ان ابن عمرکان اذا سجد و علیہ العمامة یرفعھا حتیٰ یضع جبھتہ بالأرض'(سنن بیہقی جلد٢ ص١٠٥( مطبوعہ حیدرآباد دکن) کتاب الصلوة باب الکشف عن السجدة فی السجود)
عبد اللہ بن عمر سجدہ کرتے وقت اپنے عمامے کو اوپر کرلیا کرتے تھے تاکہ اپنی پیشانی کو زمین پر رکھ سکیں.
رزین کہتے ہیں:
'کتب اِلّ علّ بن عبداللّہ بن عباس أن أبعث لَّ بلوح من أحجار المروة أسجد علیھا '(ازرقی ،اخبار مکہ جلد ٣ ص١٥١)
علی بن عبداللہ بن عباس نے مجھے لکھا کہ مروہ پہاڑ کے ایک پتھر کی تختی میرے پاس بھیج دو تاکہ میں اس پر سجدہ کرسکوں.
٥)دوسری طرف سے مسلمان محدثین نے کچھ روایتیں نقل کی ہیں جن کے مطابق پیغمبر اسلام ۖ نے ایسے افراد کو ٹوکا ہے جو سجدہ کرتے وقت اپنی پیشانی اور زمین کے درمیان عمامے کے کپڑے کو حائل کرلیا کرتے تھے .
صالح سبائی کہتے ہیں :
'اِنّ رسول اللّہ ۖ رأی رجلاً یسجد علیٰ جنبہ و قد اعتم علیٰ جبھتہ فحسر رسول اللّہ ۖ علیٰ جبھتہ'(سنن بیہقی جلد٢ ص ١٠٥)
رسول خدا ۖ نے اپنے پاس ایک ایسے شخص کو سجدہ کرتے دیکھا جس نے اپنی پیشانی پر عمامہ باندھ رکھا تھا تو آنحضرتۖ نے اس کے عمامے کو ہٹا دیا .
عیاض بن عبداللہ قرشی کہتے ہیں:
'رأی رسول اللّہ ۖ رجلاً یسجد علیٰ کور عمامتہ فأوما ٔ بیدہ ارفع عمامتک وأومأ الیٰ جبھتہ'(سنن بیہقی جلد٢ ص ١٠٥)
رسول خدا ۖ نے ایک شخص کو دیکھا جو اپنے عمامے کے ایک گوشے پر سجدہ کررہا تھا تو آپ نے اس کی طرف ہاتھ اٹھا کر پیشانی کی طرف اشارہ کرتے ہوئے فرمایا اپنے عمامے کو اوپر اٹھاؤ.
ان روایات سے یہ بات ثابت ہوتی ہے کہ رسول خداۖ کے زمانے میں زمین پرسجدہ کرنا ایک لازمی امر تھا اور جب بھی کوئی شخص عمامے پر سجدہ کرتا تو آنحضرتۖ اسے اس کام سے روکتے تھے .
شیعوں کے ائمہ اطہار ٪ جوکہ حدیث ثقلین کے مطابق، قرآن مجید سے کبھی جدا نہ ہوںگے اور دوسری طرف وہ پیغمبر اکرمۖ کے اہل بیت ہیںانہوں نے زمین پر سجدہ کو صراحت کے ساتھ بیان کیا ہے امام صادق ـ فرماتے ہیں:
'السجود علیٰ الأرض فریضة و علیٰ الخمرة سنة'(وسائل الشیعہ جلد٣ ص٥٩٣ کتاب الصلوة ابواب ما یسجد علیہ ،حدیث نمبر ٧.)
زمین پر سجدہ کرنا حکم الہی ہے اور چٹائی پرسجدہ سنت پیغمبر ۖ ہے.
اور ایک مقام پر فرماتے ہیں :
'السجود لایجوز اِلاعلیٰ الأرض أو علیٰ ما أنبتت الأرض اِلا ما أکل أو لبس'(وسائل الشیعہ جلد٣ ص٥٩١ کتاب الصلوة ابواب ما یسجد علیہ ،حدیث نمبر ١.)
سجدہ کرنا صحیح نہیں ہے سوائے زمین یا اس سے اگنے والی اشیاء پر لیکن کھائی اور پہننے والی اشیاء پر سجدہ نہیں ہوسکتا.
نتیجہ:گزشتہ دلائل کی روشنی میں یہ بات واضح ہوجاتی ہے کہ نہ صرف اہل بیت ٪ کی روایات بلکہ رسول خداۖ کی سنت اور آنحضرتۖ کے اصحاب اور تابعین کی سیرت اس
بات کی گواہ ہیں کہ سجدہ صرف زمین یا اس سے اگنے والی اشیاء (سوائے کھانے اور پہنے جانے والی اشیاء کے) پر ہی کیا جاسکتا ہے اس کے علاوہ بقیہ دوسری چیزوں پر سجدے کے جائز ہونے کے سلسلے میں اختلاف پایا جاتا ہے لہذا اس احتیاط پر عمل کرتے ہوئے نجات اور کامیابی کی راہ صرف یہ ہے کہ ان چیزوں پر سجدہ کیا جائے
جن پر سب کا اتفاق ہے آخر میں ہم اس نکتے کی یاد آوری ضروری سمجھتے ہیں کہ یہ بحث صرف ایک فقہی مسئلہ ہے اور اس قسم کے جزئی مسائل کے بارے میں مسلمان فقہاء کے درمیان بہت اختلافات ہیں لیکن اس قسم کے اختلافات کوکسی قسم کی پریشانی کا باعث نہیں بننا چاہیے کیونکہ اس قسم کے فقہی اختلافات اہل سنت کے چار فرقوں کے درمیان فراوان ہیں مثال کے طورپر مالکی کہتے ہیں کہ ناک کو سجدہ گاہ پر رکھنا مستحب ہے جب کہ حنبلی کہتے ہیں کہ یہ عمل واجب ہے اور اسے چھوڑنے کی صورت میں سجدہ باطل ہوجائے گا۔(الفقہ علی المذاہب الاربعة جلد١ ص ١٦١ طبع مصر کتاب الصلوة ، بحث سجود.)

Print

Id:
14340
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Kia marbel or tiles per sajda krna jaiz hai? Haq nawaz khaskheli, lakharoad sindh.

Answer: 1-Tile par sijdah krna jaiz hay. (Ref : Ayatul;lah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail pg # 78 masla #92)
2-Marble per sajdah kerna jaiz hay. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Jul 2, 2012). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Print

Id:
15764
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia halat e sajda mai nak(nose) ko mosallay par rakhna jaiz hai?

Answer: Jee han halat e sajda mai nak ko mosallay par rakhna jaiz hai, lekin behtr ye hai nak ko aisi cheez par rakhay jis par sajda karna sahi ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 31 , pg # 31) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16070
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Aaema a.s. k mazarat e muqadas k samnay sajda krna ya apnay aap ko zamin par grana jisay khoon jari ho jae is ka hokum kia hai?

Answer: Shukr e khuda k unwan sai koi haraj nhi hai. (Ref : Jaded Masail Part # 4, Ayat ullaha Sistani d.b. pg # 98) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16071
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Aaema a.s. k mazarat e muqadas k samnay sajda krna ya apnay aap ko zamin par grana jisay khoon jari ho jae is ka hokum kia hai?

Answer: Shukr e khuda k unwan sai koi haraj nhi hai. (Ref : Jaded Masail Part # 4, Ayat ullaha Sistani d.b. pg # 98) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16160
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Ghalti se Nimaz ki sajdi min raku aur raku min sajdi ka ziker parhni se namaz batil hoti hai ya nahin.

Answer: Halat e ruko aur sajood mai koi bhi zikr perhna kafi hai jo ehtiyaat e wajib ki bina par itni hi miqdar mai ho jitna perha jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1015-36)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16211
Mujtahid:
Ayatullah seestani Date:

Question: Asalamualaikum.mera sawal ye hai ke namaz parney ke doran mera 4saal ka beta musallay per se khake kerbala(jis per sajda kya jata hai)utta ker ley jata hay,jis ki waja se majbooran muje sirf musallay per sajda kerna parta hai.kiya mera sajda or namaz sahi hai?

Answer: Jab namaz mai mashgool hon aur namaz k darmian wo cheez jis par sajdah kia jata hai faqid ho jae to jaiz hai k kisi bhi cheez par sajdah kia jae aur namaz sahi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16332
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: 1 agr namaz mai hatheli k neechay chadar ajae sida krte waqt to kia namaz durst h? 2 kia khums ki raqm mai kuch hisa uss waqeel ka bhi hota hai jo usse jama krta hai?agr aisa hai to islam mai is ki kia wajah hai? 3 kia aulad ko yeh haq hasil hai k apne maa baap k samne ksi baat pe debate kare kuin k quran mai to uff tk krne ki ijazat nhi h? 4 agr namaz k baad hath pe koi aisi cheez nazar ajae jo wazu mai rukawat hoti h to kia namaz dubara prhni hogi?

Answer: 1)Zarure hai k sajde me dono hatheliyan zameen per rakhe or ehteyat_e_wajib ki bina pr zarure hai k mumkina surat me puri hateliya zameen per rakhe.
(Is sharait k sath agar hathele k neche chadar ajay to koi haraj nahi).(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1048)

2) Mujtahid ki taraf se ijazat namon me ye zikr kiya jata hai k fulaan mujtahid ka vakil(Alim_e_deen) jo shar`ee hoqooq wasool krta hai in me se maslan ek tahai 1/3, ya nisf ½ shar`ee tor per moqarrar mawarid(mqamat) me kharach kare or is ka matlab ye hai k mazkura moqarrara miqdar is vakil ki zaat k lye makhsoos nahi. is he tara agar ye he vakil kohe serhe khidmat sar anjaam de raha ho aur deen ki sarbolandi k lye kaam karaha ho to wo maal_e_imam (khums) me se apne amal aur deni khidmaat k mutabiq karaj karsakta hai.(Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 596 , pg # 291, eidition 5)
3)(a) Olad k aqide k mutabiq walden ki jo raay aur mo`akaf sahi nahe, is me in se bahas kar sakta hai. laikin bête k liye ye zarore farz banta hai k walden se bahas k doran adab or tehzeeb ka khayal rakhe aur inki taraf ghoor kar dhekhne se bhi ghurez kare, apne awaz ko walden ki awaz se ziyada buland na kare , tundo tez alfaz istamal krna to bilkul jaaiz nahi hai.
(Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 347 , pg # 213, eidition 5)

b)Jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya rok tok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat sai inhain aziyat hoti ho to aulad k lie in ki mukhalifat krna haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1387)
4)Agar koie shaks wazu karne k baad wazu k aaza per koi aysi cheez dekhe jo pani k badan tak pouchene me rukawat ho or ise ye maloom na ho k wazu k waqt ye cheez mojood the ya bad me peda hui to is ka wazu sahe hai.(Is bina per namaz bhi sahi hogi)
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 296).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32639
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: Kiya hum madina mai carpets par sajdah kar sakhte hen ?? (madina k )

Answer: Jaha insan k lye taqiya karna zaroori hai, waha wo qaleen ya is tara ki cheez per sajda kar sakta hai aur ye zaroori nahi hai k namaz k lye kise doosri jagha jay ya namaz ko is lie dair karay k ise jagha per taqiya ka sabab khatam hone k baad namaz ada karay. laikin agar isi maqam par chatai ya kisi doosri cheez jis per sajda karna sahi ho, agar wo is tara sajda kare k taqiye ki mukhalfat na hoti ho to zaroori hai k phir wo qaleen ya is se milte julte cheezo per sajda na kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1059) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33111
Mujtahid:
ayatullah seestani Date:

Question: Assalam u alikum.agha sahab kia haath ke uper sajda ho jata he?

Answer: Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo kaa,e or pehni nah jati hoon or zarmeen se ugti hoon, maslan lerkrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay.or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay. lakin taarkool ko majbore ki halat me dosere cheezo k mukaable me k jin cheezo per sajda sahi nahi. Laikin hath par sajda karna jaiz nahi hai. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
36347
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: slam agha jan mary swal ye hn: Q1:kea lakri ke tasbeh,aqeeq ke tasbeh ya phr isi tra k or pathr jo hath ma pehny jaty hn un par sjda jaiz ha? Q2:agha jan meri dreams ma kafi saal ho gy hn hafty ma 1 dfa ya zaida snakes lazmi aty,diffeernt colours,big,smaal.kbi ma dar jata ho,kbi hansta ho kabi unko mar dta ho,kbi snakes mary sath play krty hn,kabi wo bhag jaty hn and point to note is that k tmam snakes mary village k ghar ma aaty hn jab k m living in pindi,plz btao kea wja ha??

Answer: Sajda zameen par aur un cheezon par karna zarori hai k jo khaye aur pehni nahi jati ho aur zameen say ugti ho lekin halat-e-majboori me taarchol aur zaft par sajda karna awwal hai magar agar ye na hoto dusri cheez jin par sajda karna sahi nahi un par kar saktay hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1063) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Khwab ki tabeer: Agar kala sanp dikha ho tu bivi se dil khush hoga, or agar safeed daagh wala sanp dikha ho tu aulad hogi. Sanp bohot saare ird gird daikhe tu daulat se mala maal hoga.( Ref: tabeerur roya, pg#138-9). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45449
Mujtahid:
- Date:

Question: ASWK Please send me dua between two sajde.....sajde ki darmiyan ki dua....

Answer: Pehlay sajday k baad jab jab badan ko sukoon hasil ho jae to mustahab hai k “ ﺍﺴﺘﻐﻔﺮﺍﷲﺮﺒﻰﻭﺍﺘﻮﺐﺍﻠﻴﻪ ” kehain. Yani mai magfirat talab karta hon os khuda sai jo mera palnay wala hai aur mai o ski taraf roju karta hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1078)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47563
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam alaikum, mera sawal ye hay k aap mujhe sajdayka sahi tarika detail main batayen, kia sajday main pehly matha zamin par rakhtay han phir nak aur nak pehlay authatay han phir matha, kia ye sahi hay.

Answer: Namaz ki har rakat mai ruku k baad 2 sajday wajib hotay hain aur ye aur os ka tareeqa ye hai. sajda ye hai k khas shakl mai peshani ko khozu ki niyat sai zameen par rakhay aur namaz k sajday ki halat mai wajib hai k donoo hathalian , dono ghutnay aur donoo poun k aunghatay zameen par rakhay jain. Aur mustahab hai k namazi naak ko sajdagah ya kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna durust ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1032-78)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Mazeed tafseelat k lie tauzeeh ki janib ruju karain.

Print

Id:
48661
Mujtahid:
Date:

Question: kya shohar ko sajda jaize hai

Answer: Allah k alawa kisi soosray ko sajdah karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1077)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49240
Mujtahid:
mangla Date:

Question: Quran Pak ka doosra (2) sajda kis surah mey hey?

Answer: Para 24,surah e Haa meem sajdah ayat# 37 me sajda karna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg #491 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50557
Mujtahid:
Date:

Question: aik rakat main 2 sajdy kyun hoty hain please iska ans dain

Answer: Tamam ahkaam share ki illato ka hame ilm nahe hai ( laikin har hokum khuda me kohi na kohi hikmat zaroor moujood hai ) jo khuch allah aur us k rasool ne hukam diya hai us ka baja lana zarori hai( ref: sistani.org, urdu , hajj, qus:23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50647
Mujtahid:
A. Sistani Date:

Question: Sajdah Quran me kia tilawat karn chaheye? Aur kia tamam aayaat sajdah ke baad aik he trh se sajdahme tilawat karni chaheye?

Answer: Quran k sajdey mai agar koi bhi zikar na parha jaey tu bhi sajadah durust hai.aur agar koi zikr parha jaey tu ye mustahab hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1085). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50732
Mujtahid:
zohain Date:

Question: Quran e pak mai sajda sahu ki tadaad kitni hy or kin kin surtoun mai hy...?

Answer: Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain me quran k wajib sajde hai jin ko agar insaan parhe ya sune tu ayat khatam hone k baad foran sajda karna zarori hai aur agar sajda karna bhool jaay to jab bhi yaad aye sajda kare. han agar ayat sajda gher ikhteyari halat me sune to sajda wajib nahi hai. agarche behter ye hai k sajda kiya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1080 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50734
Mujtahid:
Date:

Question: quran me shada ajaye to kasy karan? or agar humasha quran phara or ek b shada nh kea to wo shady kasy karan? or agar pura quran pharny k bad shady karan to

Answer: Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain me quran k wajib sajde hai jese agar insaan parhe ya sune tu ayat khatam hone k baad fouran sajda karna zarori hai aur agar sajda karna bhool jaay to jab bhi yaad aay sajda kare . hah agar ayat sajda ghair ikhteyari halat me sune to sajda wajib nahe hai . agarche beter ye hai k sajda kiya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1080 )

Print

Id:
50950
Mujtahid:
Ayat Ullah Sistani Date:

Question: Assalam-o-Alaekum! ap se ek sawal krna tha k hum shia Khak-e-Shifa pe Sajda q krte hain??? Shukriya....

Answer: Sajda zameen per or on cheezon per jo nah khaai jateen hen or nah hi pehni jateen hain or zameen se ugne wali hoon un per kerna zaruri hai,(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1063)
Sajda zameen per doosri tamaam cheezon se afzal hai or matti per sajda kerna zameen se bhi afzal haiy or tamaam mattiyon se afzal turbat-e-Hussainiya hai jis per sajda kerna tamam cheezon se afzak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Muntakhab-ul-Masaail, maslah #305). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54587
Mujtahid:
Date:

Question: Kia qaleen par sajda karna jaiz hai.?

Answer: jaiz or sahi nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1063 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
60354
Mujtahid:
Date:

Question: sajde ki tasbeeh kise kehte hain

Answer: waajib namaaz k dono sajdo me (ehteyaate waajib ki bina per) 3 dafa subhaan allah ya aik martaba subhaana rabiyalaala wa behamdei perhna zarori hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1036 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.A Janab yeh bata den k kisi dargah pr ja kr sajda krna ya alam pak ya kisi aur shabih ko sajda krna jaiz hai? plz zrur btaen plz

Answer: Allah k ilawa kisi dosray ko sajda karna haram hai. baaz loog jo imamo k mazaraat k samnay peshani zameen par rakhtay hain agar wo Allah ka shukar ada karnay ki niyat se aisa karain to koi haraj nahi warna mahal e ishkaal hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1077) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
63665
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: meray charay pay bohat danay han to jab main wozu kara hon ya sajda karta hon to thora sa khon nikal aata ha to kya is sorat main meri namaz ho jay gi

Answer: Ager pori sajda karne wali jagah main (yani peshani) main koe aisi jagah ho jahaan agar sajdah kiya jaey to khoon nahi nikle ga to us jagah per sajda karain, or agar nahi hai to peshani k atraaf ki jagaho (dono kanpatiyon) main se kisi aik se sajda karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1053 , 1054). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63790
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: namaz k roku or sojud k zikar k baad salwat ka parhna zaroori he?

Answer: Namaz main zikr e ruku, aur zikr e sujood k baad salawaat perhna zarori nahi hai balkeh mustahab hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1052,1100). Update on dated 25-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65814
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera Sawal ye hai k agar sajda gah hmary pas na ho to kia plastic ki ya kaprhy ki jae namaz per sajda jaiz kkia?? plz is ka jwab detail sy send kray .... Allah apko sehat aur tundrusti Ata kray

Answer: Sajda zameen par aur un cheezon par karna zarori hai k jo khaye aur pehni nahi jati ho aur zameen say ugti ho lekin halat-e-majboori me taarchol aur zaft par sajda karna awwal hai magar agar ye na hoto dusri cheez jin par sajda karna sahi nahi un par kar saktay hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1063). Update on dated 23-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: hum log sajda gah q rakhty ha kisi na muj sa ya sawal kia ha.plz jitna jald ho saky iska jawab bta day

Answer: Shia sajdahgaah Q rakhte hain, is jawab k liay aap is link per click karain. (Ref: http://shianet.in/index.php?option=com_content&view=article&id=781:1390-02-13-09-05-28&catid=36:etarazat-wa-jawabat&Itemid=37 ). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84645
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslamo alikum qibla kya ham sajda gah k bagher sajda kr sakte hen? Carpet waghera pe???????

Answer: Carpet pr sajda shi nhi hota hy, Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo khaa,e or pehni nah jati hoon or zameen se ugti hoon, maslan lakrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85009
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ruku ya sajde me ja kr takbeer kahna kaisa h shreeyat me, ya takbeer puri kah kr rukn kare

Answer: Agar harkat ki haalat main koi shaks mustahab zikr parhe e.g ruku ya sajde mai jaatey hoe takbeer kahey or us zikr k qasd sai kahey jis ka namaaz main hukum dia gaya hai tu wo zikr sahi nahi hai lekin us ki namaz sahi hai. (Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39, maslah#953). Update on dated 31-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86980
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aurton ki namaz me paun sajde me jaty we sedhi taraf rkhty hyn.mere knee me joint ki tklef hai jiski eja se sedha paun nh mor sakti.kia me ulti taraf paun kr k beth sakti hu namaz me??

Answer: Baghair majbori k bhi Jaiz hay, . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1078 ). Update on dated 14-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88711
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia hum plasric ke ya clean type janamz pa baghir sajdaga namaz par shkta hae ya ni

Answer: Jee nahi plastic par sajda sahi nahi hai q k plastic zameen k ajzaa mai shumaar nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 1063). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89181
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum mera sawal ye hay k namaz k bad jo hum sajda shukar karty hay us may kya parna jayz hay

Answer: Aap ko ikhtiyaar hay keh aap (شكراً لله شكراً لله) parhen ya 100 mratab (شكراً شكراً) parhen ya 100 martaba (عفواً عفواً) parhen ya 100 martba (الحمد لله شكراً) parhen is k ilawa or b azkaar hen jo dosri kitabon men zikr kiay gaey hen. (Ref: Minhajus saliheen, jild#1, maslah#657). Update on dated 19-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93310
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: Wo Sajdha gah jis pr kese masomen ka name likha ho us pr Sajdha kr jaiz hai?

Answer: Ji hasn us par sajda krna sahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 1063)
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93388
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-07

Question: Aasalam o alekum Main abhi Tak kise taqled main nhi Hoon Or main bohat kashmakash main Hoon. Ahly tashiyo par uthny waly bohat say sawal Hain Jo hum ko galat sabit karty Hain. 1sawal k hum sijdagah par sajda kun karty Hain .

Answer: wsalam. Deeni ahkam mai kisi aik ko apnana zaroori hai ya mujtahid ban jaey ya ehtiyaat par amal karlay ya kisi mujtahid ki taqleed karey.
khaak e shifa par sajdah karna sub sai behtar hai us k baad aaam mitti par behtar hai riwayaat mai yahi warid hoa hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1,1070)، Mazeed malomaamt k liay is link per jain: http://alhassanain.org/urdu/?com=content&id=1113.
[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93448
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-12

Question: Doraan e Namaz me sujood k baare me shaq hua hai k 2 sajda kiye hain ya 1 is baare me kia hukum hai

Answer: Agar koi shaks sajday sai sir uthaye or shak ho k ye pehla sajda hai ya doosra to aik or sajda ehtiyaatan karna hoga lekin agar aglay marhalay mai daakhil hogaya yaani tashaud parhna shuru hogaya ya agli rakat k liye kharha hogaya or sajday k hawalay sai shak ho tu shak ki parwa nahi ki jaey gi.(Ref: Tauzeeh ul masael jaamae, part#1, maslah#1433).
[Updated on 12-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93468
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-14

Question: kia namaaz k sajde me dua karney se pehle darood parhna laazmi ha

Answer: sajday mai wajib zikr ikhtiyaar ki haalat mai teen dai subhanallah ya aik dafa subahana rabiyal aala wabi hamdi parhna. is k ilawa sajday mai wajib kuch nahi hai durood parhna ye mustahab hai lekin wajib nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani editioon 39 maslah no 1036).
[Updated on 14-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98836
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-25

Question: Quran me wajib sajde kitne?

Answer: Quran main 4 sajday wajib hain (surah sajda ayat#15, surah fussilat ayat#37, surah najam or surah alaq ki akhri ayat). (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 41, page#491).
[Updated on 25-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99744
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Namaz main sajdy mainjany sy pehly zameen py hath pehly lgaty hy ya ghotny??

Answer: Sajde main jaane se pehle mardo k liay behtar hay keh wo zameen per pehle hath rakhain. ((Ref: Ayatullah khumeni(R.A), Urwatul wusqa, maslah#1626). Update on dated 28-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print