Showing 0- 14 questions from 14 questions on this page.
Question: IS IT RIGHT TO SAY "YA ALI MADAD" WITH SALAM?IF RIGHT THEN TELL WEATHER IT IS MUSTAHAB OR MUBAH?
Answer: yeh salaam shumaar nahi hoga. REF: www.sistani.org
Question: AssalaamOallaikum, Kya salaam se phele YA ALI A.S MADAD kehna sahi hay?
Answer: w.s. yeh salaam shumaar nahi hoga. REF: www.sistani.org
Question: Please tell me about open voice salam to read after ever Farz Namaz alongwith reference
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein
Question: Kia hum ghair muslim ( Isaai) kay sath salam lay saktay hein agar woh salam karay to kia jawab dena chahiay
Answer: G han jaiz hai,lekin ehtiyaat e wajib ke madd e nazar in ke salam ke jawab main aly-ka or ager salaam karne wale ziyada hon to aly-kum kehen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1131 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kiya uraat ne mehram ko salam ma pehal kr sakti ha..?"
Answer: Agar lazzat aur haram mai mubtila honay k khauf k baghair salam karay to koi haraj nahi (Ref: Nigah aur libas pg # 59-60, ques # 84) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: Kia radio aur television sai kiay gae salam ka jawab dena wajib hai?
Answer: Jee nahi wajib nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 197,pg # 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar arabi k alawa kisi aur zaban mai wish kia jae to kia jawab dena wajib hai?
Answer: Jee nahi wajib nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 198,pg # 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Masjid mai dhakil hotay waqt salam karnay ka kia hokum hai? Is lie k salam karna namazio ki tawajah hat janay ka sabab banta hai?
Answer: Behtr hai k salam na kia jae. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sir I just want to know about salam . Many people says salam alaikum and many of them says asalamu alaikum . Brief me that what is the difference .
Answer: ye Arabi Grammer ki waja se farq hai, yani jab ap lafz e salaam main AL lagate hain jese AL-Quraan to is main mojood tanveen (jo AL ke na hone ki sorat main hoti hai Salamun) katam hojati hai or ye para jata hai Assalam o Alykum, or Al na hone ki sorat main para jata hai Salam un Alykum, or mana ke lehaaz se farq nahi hai.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: Salam mera sawal ye hai k kya non muslim ko salam kar sakty hai ya wo jis mazhab sy taluq rekhty hai us k mutabik kren maslan agr koi sikh hai to kya hum usy sasriakal keh sakty hai
Answer: kaafir ko salam karna makroo hai.(ref:ulwatulwasqa, taliqe aqa sistani,part:2, 1733,masla :32) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam. kiya namaz k Aakri Salam main Apni garden (neck) ko ghumana Mustahib hai ya Jaiz ha..? Jiasay k Ahel e sunnet bradran k hain hota hai.
Answer: Baghair kisi wajah k qible se moo phairna namaaz ko batil kar deta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1118). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa. Ahle sunnat namaz me lamba Tashahud parhtay to agar ham unkay pichay namaz parh rahay hon to ham Tashahud me darood tak parh kr unka wait karein aur jab wo salam parhein tab hi ham salam parhein ya ham mukamal kar lein salam parh kr aur unke saath taqiiya kay tor par salam parh lein?
Answer:
Agar muqtadi jan bhojh kar bhi imam se pehle salam keh day tu koe haraj nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1449).
[Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shia salam ki jaga ya ali madad kyun kehte hain
Answer:
Bismehi taala, Ya Ali(a.s) madad kehna Jaiz hay. (Ref: Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (publication. by jamia talimat e islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hai, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kehte hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hai, goya in se madad mangna khuda se madad mangna hai or in ki itaat khuda ki itaat hai. Albatta yeh salaam shumaar nahin hota.(tamam shia salam ki jagha ya ali mada nahe khe khete balke khuch shia salam ke sath ya ali madad khete hai) (Ref: www.sistani.org).
[Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it complusory to reply Salam.on WhatsApp or not ?
Answer:
SMS ya WhatsApp ke zariye kiye gaye salam ka jawab dena wajib nahin hai.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/26491/ ).
[Updated on 01-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]